Please click the button for Quran o Itrat Academy Whatsapp Channel.
Whatsapp Channel
Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+


Question & Answers << Go Back

Topic: Ahkam-e-nikah (1043 Questions)


Showing 1000- 1043 questions from 1043 questions on this page.

Answers found for searched words
Id:
88413
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: ASSALLAM WAILAIKUM MAI EK SHADI SHUDA HU OR EK AURAT JO TALAQ HUA HAI UNSE MUJE MOHHABBAT HAI OR AKHIRAT ME ALLAH SE DUA KARTI KE MAI USKA SHOHAHR BANE BUT WO MEMON HONE KI WAJAH SE USKI FAMILY IJAZAT MAHI DERI TO KYA HUM 1 DIN NIKAH KARKE USKE BAD TALAQ LAEKAR RAHE SAKTE KYA ALLAH KE RAZI KE LIYE

Answer: Jee nikah kia jaa sakta hai or us larki ko maa baap sai ijaazat ki zaroorat nahi hai q k baakra larki ko maa baap ki ijaazat ki zaroorat nahi hoti.(Ref:Minhaj us saliheen ayatollah seestani maslah no 67). Update on dated 10-04-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
88416
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Maina ek ladki se shadi karna chahata tha per mera se phela us k talokat Kuch ladko k sath tha kya aise ladki k sath ma shadi Kar sakta hu ya nhi .

Answer: Zina main mash,hoor aurat se ehtiyaat wajib ki bina per oski tauba se pehlay shadi kerna jaiz nahi hay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 39th edition, maslah #2366 ). Update on dated 10-04-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id:
88422
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Sage mama se nikah kar liye toh

Answer: Mamo mehram hay or meh se nikah nahi ho sakta. (Ref:Tauzeeh ul masail ayatollah seestani edition 39 maslah no 2349). Update on dated 09-04-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
88428
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Syed larki ka nikah ghair syed se kr sakte hain

Answer: Shia Sayed merd ka nikah ghiar syeda shia aurat k saath hosakta hay or isi terah syedah shia aurat ka nikah ghair syed shia merd k saath hosakta hay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),minhajus saliheen, part#3, maslah #214,221 ). Update on dated 07-04-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
88534
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Agr larki ka nikha is ki marzi k bagair howa aur nikha k doran larki mjood na ho to kia nikha hoskta aur rukhsati na hoi ho

Answer: Agar nikah k baad larki nay ijazat day day to nikah sahi warna batil shumaar hoga. Agar nikah kerny wala walid ya dada hay to ehtiyaat ko tark nah kia jaey yani agar larki raazi nah ho tu talaq laina zarori hay. Ref: ( Minhajus saliheen, jld#3, maslah#67). Update on dated 04-04-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
88606
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Assalam.u.alikum sir please muja btain k kia syed zadi ka nikkah gair sayed sa jaiz ha??

Answer: Syed mard ka nikah ghair syeda aurat k saath ho sakta hay or isi tarah syedah aurat ka nikah ghair syed mard k saath ho sakta hay. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus saliheen Part # 3, Mafhoom e maslah# 221). Update on dated 25-04-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
88612
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Assalam o Alaikam, Mera sawal ye ha k, shadi krna sunnat hai, kya shadi na krna gunah hai??

Answer: Shadi karna takeedi mustahab e hai yaane aisa mustahab hai jis ki bohat ziada takeed ki gae hai lekin agar koi shadi nah karne ki wajah say kisi haraam kaam mai mubtila hota ho tu us k liay shadi karna wajib hai agar aisi sorat mai shaadi nahi karta hai tu phir ye gunah hay.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatollah seestani edition 39 maslah no 2407). Update on dated 25-04-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
88618
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: mera sawal yeh hai k mein larki se nikkha karna chata ho phone per matlan larki yaha apna wakeel kisi ko bana de aur phir ek chaath k nichay hijab o kabool ho jaye lekin masala yeh ha k larki k ghar walo se chup kar nikha krna hai han mein haseyat mein bilkul barabar hai matlan mein business man ho wo bhi achay ghar se nikka hoga

Answer: Wo Kunwari larki jo khud mukhtaar nah ho os k liay apne wali (baap ya dada) ki ijazat zarori hai. Or agar lerki khud mukhtaar ho tu os k liay apne wali (baap ya dada) ki ijazat ehtiyaat e lazim ki bina per zarori hai.(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2328-2335). Update on dated 25-04-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
88626
Mujtahid:
Date:

Question: Mera Sawal yeh hai k main larki se nikah karna chah raha hon mere pass qazi nahi hai kiya main do gawah k samne nikkah kar sakta hon khud se qabool larki or larka ?

Answer: 1)Larkay k liay kisi say nikah ki ijazat lena zarori nahi hai lekin Wo Kunwari larki jo khud mukhtaar nah ho os k liay apne wali (baap ya dada) ki ijazat zarori hay. Or agar lerki khud mukhtaar ho tu os k liay apne wali (baap ya dada) ki ijazat ehtiyaat e lazim ki bina per zarori hay.
2)Nikah mai gawah ki zarorat nahi hoti.
3)Nikah main seeghay khud bhi ada kiay jaa saktay hain.
(Ref:Tauzeeh ul masail ayatollah seestani edition 39 maslah no 2341,2335 and Minhaj us saliheen ayatollah seestani maslah no 70). Update on dated 25-04-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
88637
Mujtahid:
Date:

Question: Mara nakha hoia our nakha ka 2 year bad ma na apana name chang keaya our nakha mama be chang karwa leaya Kia is sa nakha pa koie asar parta ha ya nahi

Answer: Nahi is sai nikah baatil nahi hota.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatollah seestani edition 39 maslah no 2472). Update on dated 23-04-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
88639
Mujtahid:
Date:

Question: Assalam Alaikum. Agar larki kisi ko pasand karti ho or us se shadi ki khwahishmand ho or us larki k maa baap is duniya mai na hon or wo apne bhaiyo k sath rehti ho or khud job bhi karti ho or uske k behen bhai uski us shakhs se shadi k khilaf hon to us larki k behen bhaiyo k liye or us larki k liye kia ehkamat hain. Quran o hadees ki roshni mai jawab den ta k humari islah ho sake.

Answer: Larki ka faqat baap ya dada sai ijazat lena zarori hai baaqi kisi sai us k liay ijazat lena zarori nahi hay.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatollah seestani edition 39 maslah no 2341). Update on dated 23-04-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
88678
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Aslam-O-Alikum Sir . Muje ak question POuchna hai k meri ak aunty hein ( Chacho ki wife ) jo k widow hein chacho ki Foat howay 5 sal ho cukay hein almost 1 month phly un say meri bat start hoi .. btoun he btoun main unho ny muje shadi ka pouch liya ... secret shadi .. wo bolein main 5 sal wait kia hai aur ab b main kuch galat nahi karna chahti to kia main un say shadi kr sakta houn? please muje Quran k mutabik jawab dein PLease ..

Answer: Jee chachi na-mehram hai lehaaza un sai shaadi hosakti hai.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatollah seestani edition 39 maslah no 2349). Update on dated 20-04-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
88679
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Ami k chacha ki beti se rishta jaiz hai ?

Answer: Jee , jaiz hay. (Ref:Tauzeeh ul masail ayatollah seestani edition 39 maslah no 2349). Update on dated 20-04-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
88694
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Kya saadi suda aurat Se nikah jayaj hai wo abhi bhi kisi ke nikah me hai

Answer: Jee nahi, shaadi shuda aurat sai shaadi karna haraam hai.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatollah seestani edition 39 maslah no 2366). Update on dated 16-04-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
88698
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Meri umer 19 saal hai main gunaho sa bachna chahta hu to kia main nikkah karskta hu agr han to main ghr walo ko kese raazi karu?

Answer: Agar koi nikah na karne ki wajah sai haram kaam mai mubtilaa hota ho tu us par wajib hai k shadi karay. Shadi k liay larkay ko wali ki ijazat zarorat nahi hay. (Ref:Tauzeeh ul masail ayatollah seestani edition 39 maslah no 2407). Update on dated 14-04-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
88708
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: kya bhanji or khala 1 hi shaks se nikaah kr skti hain???

Answer: Agar kisi shaks ne pehlay nikah kisi aurat se kia ho or os k baad osi ki bhaanji se nikah os sorat main ker sakte hain jab bivi raazi ho. (Ref:Tauzeeh ul masail ayatollah seestani edition 39 maslah no 2357,2358). Update on dated 14-04-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
88978
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Salam alaikum... Maine ek sawal pucha tha uska jawab mujhe abhi tak nhi mila.... Plz jldi iska jawab de dijiye..swal ye hai ki kya waleema karna islam me wajib hai? Agar hai to kisi gareeb ldke ke iske liye sharayat kya hai.... Plzzz jldi jwab dijiyega

Answer: Waleema karna wajib nahi hay balkeh mustahab hay. (Ref: Minhajus Saliheen, part#3, maslah#4). Update on dated 01-05-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
89124
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: main seha hoon kia aurat ka nikhah hia ho aur uska hasbend chor kar gaya ho aur talaq na dii hoo to us aurat sa talaq leya bhegir nikkha ho sakta ha

Answer: Nahi , os aurat se nikah nahi kia jaa sakta, Q keh wo aurat shuhardaar hay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 39th edition, maslah #2366). Update on dated 27-04-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
89144
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: salam mear sawal ye hai mera meri chchi sy jismani rishta tha jo ab 4 sal phly khtam hogia hai ab masla ye hai k meri dadi or baqi ghar waly meri shahdi chchi ki beti sy karwana chaty hain us rishty ka kisi ko maloom nhai hai kia ab unki beti sy nikha jais hai?

Answer: Jee haan, yeh shadi ho sakti hay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 39th edition, maslah #2361). Update on dated 25-04-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
89171
Mujtahid:
Date:

Question: Asslam o Alikum ..Kya ladka ya ladki dil se razi na razi ho unka nikah hta ha ya nhi hota ha ?? chahe mun se qabool ha bol de us soorat ma b leki dil se razi na ho?? ya(un se sawal hi na kya jaye mostly log aj kal poachte nhi srf sign krwa lete ldki k room ma a kr) na bole kuch b srf sign kr de os soorat ma b??

Answer: Agar larhki hambistari se pehlay nikah per razi ho jaey to nikah sahi hay warna batil hay. Nikah main larhki ka raazi hona zarori hay .(Ref: Minhajus saliheen, jild#3, maslah#77). Update on dated 20-10-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
89197
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Aslam o alikum me bhot zyada preshan ho plz muje ye btayin k islam ne nikah ko asan bnaya ya nai??? takey zina am na ho but aj kl k mahol mein nikah ko itna mushkil kyun bnaya ja rha hai mera sawal ye hai k agr bap ki ijazat itni zruri hai lerki k lye to Allah ne shadi k lye lerka lerki ki razamandi ko kyun importance di yaha to lerki ki mrzi jaha ho aur bap ki mrzi na ho to kya lerki ghut ghut k mr jaye? Jeene ki arzo e khtm kr de jb k vo janti ho k bap kbi nai mane ga zat pat ko importance de ga syed hone ki waja se gher syed k sath nikah kbi nai hone de ga, aik pakeezah life guzarne k lye khud ko kitni aziat de?? to kya kre lerki khud kushi kr le kya kre jb koi rasta na nzer ata ho jb umeed e koi na ho k bta k bi kuch nai mile ga jb k age bi lrki ki 34 ho gai ho kya kre vo??? Me ne ami ko 12 saal se bta rkha hai vo na khud manti hain na father ko btati hain, kehti sari life bethi rhe bina shadi k agr nai reh skti us lerke k bina to fone pr beshuk bat kr but shadi nai ho gi, Ab btayin is age mein bi me bap ki ijazat ka wait kre jb k me janti ho k vo nai razi ho gay kbi nai

Answer: Agar ladki konwaari na ho ya konwaari ho laikin baap aur dada har os mard k sath ose shadi karne k liay ijazat na dete hoon jo urfan o shar’an os ka hampalla ho ya baap aur dada beti k shadi k maamle mein kisi tarah shareek hone k liay raazi nah hoon ya deewangi ya is jaisii dusri wajah se ijazat dene ki ehliyat na rakhte hoon to on tamaam suuraton mein on se ijazat lena lazim nahi hai. Isi tarah on k maujood na hone ya kisi dusri wajah se ijazat lena mumkin nah ho aur ladki ka shadi karna behad zaruri ho to baap aur dada se ijazat lena lazim nahi hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 39th edition, maslah #2342). Update on dated 16-10-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
90439
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: kiya kisi ko dil sa taslem krna ya phr KHUDA ko hazr nazr jan kr ek dosra ko dil sa kabol krna sa nikah ho jata hai........or iska bad kiya sex krna jaiz hai

Answer: Is tarah se nikah nahi hota, balkeh niakh ki khuch sharaet hain on ka khiyaal rakhna zarori hay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 39th edition, maslah #2335). Update on dated 27-05-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
90547
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Salam, Maine ek Shia ladki se Mutah Kiya Lekin Zina nhi ki, Bina uske baap ki permission liye hue, agar hm log Mutah naa karte to gunah ho jaati, Mutah isliye hi to hai ki gunah se Bach sake, to kya ye Mutah sahi hua hm log ne Zina nhi ki bs gunah se bachne ke liye Mutah kiya.

Answer: Wo Kunwari larki jo khud mukhtaar nah ho os k liay apne wali (baap ya dada) ki ijazat zarori hai. Or agar lerki khud mukhtaar ho tu os k liay apne wali (baap ya dada) ki ijazat ehtiyaat e lazim ki bina per zarori hai. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2328-2335). Update on dated 30-05-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
92122
Mujtahid:
Date:

Question: Kya lrka lrki alehdgi may , 2 gawahon ki mojoodgi may Allah ko hazir nazir jaan kr aik dosre ko 3 bar Qabool kr lain to nikkah ho jata hy ????

Answer: Kunwari (virgin) lerki jo khud mukhtiyar nah ho tu wo os waqt tak nikah (daimi / mutah) nahi ker sakti jab tak lerki ka Baap ya Dada lerki ko nikah ki ijazat nah day day or jo larki khud mukhtar ho wo ehtiyaat e wajin ki bina pr yehi hukum hy k apny walid ya dada ssy ijazat lsy .(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah # 2341). Update on dated 12-11-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
92123
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Salam Mera Masla ye k Meri beti ka nikah 2 sal pehle huwa h magar rukhsati nahi huwi h qk meri beti ab 17 sal ki h magar hum log nikah ko khatam karna chahate Qk Larke ko mirgi ki bimari h aur nikah ko 2 sal hogaen h Larka sahi nahi horaha h QK Larka Iran me tha Aur Meri beti Pakistan me thi hum es Nikah ko khatam karna chahate h us ki waja ye nikah k waqt hamara koi rabta nahi tha aur molana sahab ne meri us waqt ajazat k baghair Kia nikah hogaya ya nahi aur hum es nikah ko kese khatam karsakte h aur ab nikah ki registration nahi huwi h. Thanks

Answer: Nikah parhany k baad agar aap nay us waqt ijazat day di thi to nikah sahi hy chahay registration nah bhi krwae ho lekin agar aap nay us waqt ijazat nahi di thi to nikah nahi huwa or nikah khatam krny ka haq larky ky pass hy. (Ref: Aayat-ul-Allah Seestani (d.b), Minhajus Saliheen, part 03#,Mafhoom e Maslah # 73 ). Update on dated 12-11-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
92124
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: me ak shia larka hu or suni larki ko phasand karta hu 5 sal say agar hamara nikha or shadi ho to kya ause shia hona zaruri ha larki ko or me apne ghr walo ki raza mandi k siwa ause shadi kar sakta hu kun kay mere ghar wale kehte hain ause istimal karlo per shadi nahi per may shadi karna chata hu me koi khilona nahi plz answer

Answer: Je haan aap us say shadi kar saktay hain us ka shia hona zarori nahi hay lekin Kunwari (virgin) lerki jo khud mukhtaar nah ho wo os waqt tak nikah (daimi / mutah) nahi ker sakti jab tak lerki ka Baap ya dada larki ko nikah ki ijazat nah day day or jo larki khud mukhtaar ho wo ihtiyat ki bina pr yehi hukum hy k apny walid ya dada sy ijazat ly .(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah # 2341) (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
92504
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Kis .majboori mei ek waqt mei do sagi behno ze. Ikah jayz hei?

Answer: Jab tak aik behen nikah main ho tu doosri behen sai nikah nahi kia jaa sakta. Haan agar pehli behn ko talaaq dai dai ya us ki death ho jaaye tu phir us ki behn sai nikah kia jaa sakta hai.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatollah seestani edition 39 maslah#2355). Update on dated 23-10-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
94275
Mujtahid:
Date:

Question: Kya bewa soteli maan apnay sotelay betay say nikha kar sakti hai ya nikha karna jaiz hai

Answer: Sotelelay baite se nikah karna jaiz nahi hay. (Ref : tauzeeh e ul masayl ayat ullaha sistani (d.b.) jaded masayl ,masla # 73). Update on dated 22-02-19. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
94537
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Biwi ki sagi badi bahan jiska talakh hochuka hai aus say nikha kar sakta hu ?

Answer: Biwi k nikah main hote hoay os ki behen se nikah karna jaiz nahi hay, haan bivi k inteqal k baad ya agar bivi ko talaq di jaey os k baad os ki behen se nikah kia ja sakta hay.(Ref: Tauzihul masael,edition#41, maslah#3556)

Print

Id:
94576
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Kya shia syed larki ek sunni larke se nikkah krskti hai? Larki k maa baap agar raazi na ho toh unhe raazi krna zaruri hai? uske lie kya hukm hai? Ayat ul allh sistani.

Answer: 1)Shia larki ko agar apne shia mazhab k tabdeel ho jane ka khouf na or nah hi apny wazaif ky anjam deny men rukawat banny ka khouf ho to wo sunne larky se shadi kar sakti hai lekin makrooh hay aur agar shia mazhab k tabdeel ho jane ka khouf ho ya apny aamal apnay wazify ki bina pr anjam nah day saknay ka khouf ho to jaiz nahi hai (Ref : MinhajusSalaheen Ayatullah Sistani d.b. eidition,1439 Part #3 , masla # 215).
2)Kunwari (virgin) lerki jo khud mukhtiyar nah ho tu wo os waqt tak nikah (daimi / mutah) nahi ker sakti jab tak lerki ka Baap ya Dada lerki ko nikah ki ijazat nah day day or jo larki khud mukhtar ho wo ehtiyaat e wajin ki bina pr yehi hukum hy k apny walid ya dada ssy ijazat lsy .(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah # 2341).

Print

Id:
95272
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: asslam alekum, agar koi mard ki kisi aurat ke saath zina kiya tu kya uski beti se saath nikah ho sakta hai. Jabki uss mard ne uss aurat ke saath bahot samay se zina na kiya ho. Kya koi bhi rasta hai.

Answer: Agar koe shaks apni phophi ya khala k alawa kisi or aurat se zina kare tu ehtiyaat e mustahab ye hay keh oski baiti k sath shadi nah kare, agarche shadi karna jaiz hay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 41th edition, maslah #2361). Update on dated 08-04-19. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
95443
Mujtahid:
Date:

Question: Asalam Alikum ek lrki usky sth zati hui hy Mjh us sy muhabbt hy Ar usy bhi Me us sy nikahh krna chata hu izzat dna chata hu uska koi qasoor ni Kya asa krna jaiz hy

Answer: Agar koe shaks aisi bay shohar aurat k sath zina kare jo iddat main nah ho tu ehtiyaat e wajib ki bina per wo shaks is(aurat) k tauba karne se pehle is se shadi nahi kar sakta. Laikin zani k alawa koe doosra shaks(is aurat k) tauba karne se pehle os k sath shadi karna chahay tu koe ishkaal nahi hay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail, 41th edition, maslah #2364). Update on dated 16-04-19. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
95451
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: As kya ek ladka aur ladki mazaakh mai ya dil se 3 baar qubool hy kahien toh nikah ho jata hy aur uska baad humbistri kar sakte hain..?

Answer: 1)Kunwari (virgin) lerki jo khud mukhtiyar na ho wo os waqt tak nikah (daimi / mutah) nahi ker sakti jab tak lerki ka Baap ya Dada lerki ko nikah ki ijazat nah day day or jo larki khud mukhtar ho wo ihtiyat ki bina pr yehi hukum hy k apny walid ya dada sy ijazat ly .(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah # 2341).
2)Nikah ki chand sharaet hain on sharaet k mutabiq is tarah nikah durust nahi. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 41th edition, maslah #2335). Update on dated 16-04-19. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
99022
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: assalam alaikum meri mangani ho gai he or larki ki ammi ne or nani ne ijazat bhi dedi he ke unki larki meri wife he or larki bhi raazi he to kya meri wife ho chuki ya nahi rahenumai farmae

Answer: Mangetar na-mehram hay, nikah k baghair ye aap ki biwi shumaar nahi hoon gi. Kunwari (virgin) lerki jo khud mukhtiyar nah ho tu wo os waqt tak nikah (daimi / mutah) nahi ker sakti jab tak lerki ka Baap ya Dada lerki ko nikah ki ijazat nah day day or jo larki khud mukhtar ho wo ehtiyaat e wajin ki bina pr yehi hukum hy k apny walid ya dada ssy ijazat lsy .(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah # 2341). Update on dated 31-07-19. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
99814
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Salamun Alaikum mera sawal ye hai ki mere papa ki sabse chhoti khala ki ladki se mera nikah ho sakta hai

Answer: Jee, Ye nikah jaiz hay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Minhaus saliheen, jild #3, edition 1439 hijri, maslah #90-91). Update on dated 31-08-19. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
99911
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Salam mera sawal yeh ha k kya aik syed zaadi ki nikkah hashmi se ho sakta ha ?

Answer: Syed mard ka nikah ghair syeda aurat k saath ho sakta hay or isi terah syedah aurat ka nikah ghair syed mard k saath ho sakta hay. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus saliheen Part # 3, Mafhoom e maslah# 221). Update on dated 04-09-19. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
99937
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Salam.. Jb 1 larka r larki bgher maa bap ki ijazat k permanent nikah kr skty hn to bgher ijazat k muttah kiun nh ??? Plzz reply as soon as possible

Answer: Kunwari (virgin) lerki jo khud mukhtiyar nah ho tu wo os waqt tak nikah (daimi / mutah) nahi ker sakti jab tak lerki ka Baap ya Dada lerki ko nikah ki ijazat nah day day or jo larki khud mukhtar ho wo ehtiyaat e wajin ki bina pr yehi hukum hy k apny walid ya dada ssy ijazat lsy .(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah # 2341). Update on dated 04-09-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).Update on dated 04-09-19. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
101241
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Kya Husband ki wafat k bad biwi eddat pori karne k bad , husband k bhai yani apne dewar sy nikkah kar sakti hai ?

Answer: Jaiz hay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 41th edition, maslah #2349-2370).
Update on dated 22-10-19. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
102419
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Condition ke sath nikah karna kaisa 1) nikah ke bad joint family me rehna hoga 2) verna talak de donga

Answer: Nikah k waqt sharaet rakhna jaiz hay. (Ref: Ayatullah sistani d.b, Minhajus saliheen, part#3, maslah#330). Update on dated 10-12-19. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
102420
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Condition ke sath nikah karna kaisa 1) nikah ke bad joint family me rehna hoga 2) verna talak de donga

Answer: Nikah k waqt sharaet rakhna jaiz hay. (Ref: Ayatullah sistani d.b, Minhajus saliheen, part#3, maslah#330). Update on dated 10-12-19. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
102717
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Kya halath e Haiz me nikah hosakta hai meri Zouja nikah kay waqt halath e Haiz me thi kya ye nikah sahi hai

Answer: Jee, halat e haiz main nikah ho sakta hay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 41th edition, maslah #2335). Update on dated 27-12-19. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
110304
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2020-09-09

Question: Kya mai kisi aisi ladki k saath nikah kar sakta hu jiska phle kisi ldke k saath affair tha or usne us ladke k saath kiss kiya h or mjhe y pata h

Answer: Jee haan kar sakte hain. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail, 41th edition, maslah #2364)
[Updated on 09-Sep-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
110790
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2020-10-06

Question: Aoa. Mehandi aur barat ki rasam ki islam me kia heaseyat he?

Answer: Nikah or walima(khana khilana) mustahab amal hain. mehendi or baraat dunyavi rasam hain.(Ref:Ayatullah sistani, Minhajus Saliheen,Part#3, Maslah#3& 4, eidition 1439).
[Updated on 06-Oct-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print