Please click the button for Quran o Itrat Academy Whatsapp Channel.
Whatsapp Channel
Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+


Question & Answers << Go Back

Topic: Ahkam-e-nikah (1043 Questions)


Showing 950- 1000 questions from 1043 questions on this page.

Answers found for searched words
Id:
84608
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Agar ek larka ek larki se be inteha muhaabbat krta hai or larki k ghar wale us larke k lye razi ni hote to larka us larki ko zbrdasti apne ghar bulata hai bar bar uske sath zina krta hai or kehta hai k apne maa baap ko razi kro lekin larki k maa baap us larke k lye razi ni hote to wo larka ghar bula kr uske sath zina krta hai usy torture krta hai or jb us larke ko yaqeen hojata hai k wo larki ab uske ghar ni askegi to wo larka kisi or se shadi krleta hai to islam is bare main kya kehta hai k kis ka zada qusoor hai or uski saza unka relation 1 saal rha hota hai wo larka shuru se he us larki k sath pak relation ni rkhta or usy shadi ka kehta hai lekin jb relation he napak hoto sachi muhabbat ho ni sakti plzz is bare main bataen k islam kya kehta hai kis ka zada qusoor hai or islam main saza is ki??

Answer: Jinse mukhalif sai is had tak dosti karna k mohabbat ki had tak pounch jay, ye jaiz nahi hai q k ghunnah mai mubtila honay ka khof mojoud hay. (Ref : Nigah aur libas sawal # 106 pg # 69).or jo larki kunwari ho balig ho aur apni zindagi k umoor khud anjam na deti ho tou us k liye zaroori hai k agar wo shadi karna chahey tou apne baap ya dada sai ijazat le or agar zindagi k umoor khud anjam na deti ho tou bhi ahtiyat e wajib ki bina par baap ya daada sai ijazat lena zaroori hai.(Ref:tauzeeh ul masail ayatollah seestani edition 39 maslah no 2349). Zina gunah kabira hay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),minhajus saliheen, jild#1, maslah #30 ). Update on dated 14-11-17. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
84613
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Mai Islam me convert Ho gaya hu meri saadi kisse hogi kisi muslim ladki se ya hindu

Answer: Musalmaan mard kafir aurat(hindu)sai nikah nahi kar sakta.musalmaan aurat sai kar sakta hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 39th edition, maslah #2362 ). Update on dated 11-11-17. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id:
84619
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Salam, Mera Sawal Hai.. Shaadi Ke Waqt Larki Ke Ghar Waalon Ka Apne Baron Se Faislaa Lena Laazim Hai? Yaa Larki Ki Maa Baap Ki Faislaa Zaroori Hai? Please Detail Mein Batayein..

Answer: Wa alaikum salam, kunwari larki ko shadi k liay baap ya dada sai ijazat lena zaroori hai ,agar larki zindagi k umoor main khud mukhtar hay tab bhi ahtiyat e wajib ki bina par baap ya dada sai ijazat lena zaroori hai albatta maa sai ijazat lena lazmi nahi hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 39th edition, maslah #2341 ). Update on dated 11-11-17. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
84621
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Shadi shuda larki apna shohar ki ijazat lakar doosra nikkah kar sakti hai.. Yani ek waqt ma 2 nikkah nibha sakti hai

Answer: Aik shohar daar aurat ka shadi karna haraam hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 39th edition, maslah #2366 ). Update on dated 09-11-17. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
84625
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Asalam u alekum Kia shadi shuda bachoun wala sunni mard shia syeda se shadi ker sakta hy jab k donoun aik doosray ko pasand b kertay houn. Larka 35 aur larki 15 ho. I think larki k waldain to qatan nhi chahain gay but larki har haal main shadi ke khwaahish rakhti ho aur na kerne ke soorat kisi ghalat iqdaam ka khadsha ho.

Answer: Wo Kunwari larki jo khud mukhtaar nah ho os k liay apne wali (baap ya dada) ki ijazat zaruri hai. Or agar lerki khud mukhtaar ho tu os k liay apne wali (baap ya dada) ki ijazat ehtiyaat e lazim ki bina per zaruri hai.(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2328-2335) Update on dated 30-10-17. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
84631
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Assala mu alaikum! Mera sawal yeh h k Meri ek frnd ny as a 2 gawah k samny us k czn sy us ka b ek gawa Tha dono ny ek dusry ko kaha k may Saab k samny husband n wife qabul krti/ krta hn So,Kya yea nikha ho Gaya h ya nhi Ghr walo ko kch nhi pata only girls side 2 gawah thy or boy side ek gawa Tha...?

Answer: Was-salam. Nikah karne k liye kuch sharaet hai jin ka khayal rakhna zaroori hai.nikah mai ye concept nahi k sub k saamne qubool kar liya to nikah hogaya balkeh nikah mai seeghe parhe jaatey hai,doosri baat jo larki baligh ho kunwari hai or zindagi k umoor apne ikhtiyaar sai anjaam na deti ho tou agar wo shadi karna chahey tou zaroori hai k wo apne baap ya daada sai ijazat le balkeh agar zindagi k umoor apne ikhtiyaar sai anjam deti ho tab bhi ahtiyat e wajib ki bina par apne baap ya dada sai ijazat le albatta maa sai ijazat lena lazim nahi.lehaza ye jo nikah kia gaya hai wo sahi nahi hai q k ye nikah apni sharait par nahi utarta. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 39th edition, maslah #2335 &2340 ). Update on dated 28-10-17. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
84800
Mujtahid:
Date:

Question: Assalam o alikum! mne ghr walo or larky ko saf mana kr deya tha k moghy es larky se nikah nhi krna lqn onhn ne moghy mar peat k zaberdasti nikah k signatures krwa liye lqn mne apne moo se qabool nhi kaha or dil se b qabool nhi kia or us k or mere dermiyan koi b taluq nhi hy meri ruksati b nhi hoi na koi miya bv wala taluq hy or us se sakht nafrat hy moghy me kisi or se piyar krti thi or krti ho ab kia kro me sb k samne us se nikah krne k liye jis se piyar krti ho moghy ab talaq leni pry gi ya nikah hi nhi howa ???? boht preshan ho plz meri madad kry kia krna pry ga moghy us se nikah krne k liye jis se piyar krti ho jo zaberdasti nikah howa hy phly wo jaiz nhi hy tu b talaq leni pry gi ab ??? me sunii ho

Answer: Ye nikah batil hay. Is nikah ki koe haisiyat nahi. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 39th edition, maslah #2335 ). Update on dated 09-02-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Note : Is website per fiqha e jaffaria k mutabiq jawabaat diay jatay hain.

Print

Id:
84812
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Kia larka or larki Apas me dil sy husband wife man k rah sakty hain ya apas me nikah kar salty hain

Answer: Kunwari (virgin) lerki jo khud mukhtiyar nah ho tu wo os waqt tak nikah (daimi / mutah) nahi ker sakti jab tak lerki ka Baap ya Dada lerki ko nikah ki ijazat nah day day or jo larki khud mukhtar ho wo ehtiyaat e wajin ki bina pr yehi hukum hy k apny walid ya dada ssy ijazat lsy .(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah # 2341). Update on dated 08-02-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
84813
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Agar larka larki sub sy chup k alag akely Apas me husband wife bun k rahna chahin to kia karin

Answer: Kunwari(virgin) larki os waqt tak nikah(daimi / mutah) nahi ker sakti jab tak k lerki ka Baap ya Dada lerki ko nikah ki ijazat nah day day.(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah # 2341,2342). Update on dated 08-02-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
84817
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Kia suni larka shia larki sy shadi kr sakta ha agar wo donu ak dusry sy bht mohbt krty hon

Answer: Agar shia aurat ko apne shia mazhab k tabdeel hone ka khouf na ho to sunni mard se shadi kar sakte ha.laikin phir bhi aurat k liay is mard se shadi karna makrooh hay. Aur agar shia mazhab k tabdeel ho jane ka khouf ho to shia larki k liye is mard se shadi jaiz nahi hai (Ref : Minhaj us salaheen Ayat ullah sistani d.b. part # 3 masla # 215,eidition4th). Update on dated 08-02-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
84818
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Mera aik jaga rishta hua mgr shadi se pehle he mje meray honay wali bivi ne btaya k uska 13 sal ki umar se le ker 19 sal ki umar tak musalsal rape hota rha..ab mje btaen muje kia krna chaeay..shadi kerni chaeay k nahi..

Answer: Aap us say shadi kr sakty hen, lekin Jo aurat zina kaar mashoor ho to ehteyat e wajib ki bina per is aurat se o ski toba karne se phele is k saath shadi karna jaiz nahi hay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 2364). Update on dated 08-02-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
84827
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: assalam alekum kya sayyed ladki hindu ldke se nikah kr skti h .

Answer: Aghr wo islam qabool kr ly or shia ho jaey to shia merd se nikah ker sakti hain Q k “shariyat k laihaaz se aik muslim merd musalman aurat ka kufu(equivalent) hay or aik momin merd momina aurat ka kufu(equivalent) hay{yani in ki apas main shadi ho sakti hay}.Shia Sayed merd ka nikah ghiar syeda shia aurat k saath hosakta hay or isi terah syedah shia aurat ka nikah ghair syed shia merd k saath hosakta hay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),minhajus saliheen, part#3, maslah #214,221 ). Update on dated 02-02-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
84984
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: 1 biwi kai hotay huwai dosri shadi karna jaiz hai aur pehli biwi ko iska ilm na ho?

Answer: Aik mard k liye haram hai k wo 4 sai ziada daimi nikah kare.yane 4 daimi nikah karna jaiz hai or is k liay kisi ki ijazat ki zaroorat nahi(Ref: https://www.sistani.org/arabic/book/19/1042/ and Minhaj us salaheen Ayat ullah sistani d.b. part #3 masla #68). Update on dated 07-08-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
84992
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2018-09-07

Question: Agar koi ladki shadi nhi krti hai to mrne k baad kya hoga

Answer: Shadi mustahab e moakkada mai sai aik hai yani wo mustahab hai jis ki bohat takeed ki gae hai,shadi nah karney par koe gunah nahi hai lekin agar jo shaadi nah karney ki wajah sai khud ko fail e haram sai nah bacha sakey tu us par shadi karna wajib hai yani aisi sorat e haal mai agar shadi nah karey tu phir ye masiyat e khuda main sai aik hai or yakinan is ki saza hogi. (Ref: Jadeed fiqhi masail ayatullah seestani, maslah#385 & 397) . Update on dated 07-08-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
85001
Mujtahid:
Date:

Question: Apne se badi umar ki ladki se nikaah karna jaiz hai ya nahi?

Answer: Jee haan, bilkul nikah hoskta hai umar ki koi shart nahi hai albatta agar us larki ki umar 9 saal se kam hai to us k sath jimaa(humbisatri) kerna haram hai 9 saal ya us k baad koe haraj nahi.( Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 33rd edition,msla#2374). Update on dated 04-08-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
85013
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Salamun Alikum, mera Ye sawal hai ki kya shadi ki first night ko hambistari Karna zaruri hai, kya Aesa bhi hota hai ki agar hambistari Nahi ki to walima Haram ho jata hai

Answer: Zaroori nahai hai, waleema humbistari sai pehle ho ya baad mai ho is sai koi farq nahi parhta.(Ref:minhaj us saliheen ayatollah seestani jild#3 maslah#4) Update on dated 21-07-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
85014
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Achha kya Saudia ka ye custom tha k jis Ghar m shadi hoti thi us Ghar par hamla nahi Kiya jata tha, isliye hi janabe Qasim a.s. ki shadi ki gayi thi... Wazahat kare

Answer: Wazeh or roshan dalail sai ye baat sabit hai k janab e qasim ibn e Hassan a.s ka aqd nahi hoa tha jin dalail mai sai aik ye hai k janab e qasim ibn e Hassan a.s sun e buloogat tak nahi pohanche they mazeed azhar dalail k liye rujoo karey book “sadat ud daren fee maqtal e hussain a.s” of ayatollah allama Muhammad hussain najfi.( http://shiakitabe-shiabooks.blogspot.com/2011/11/saadat-ud-darain-fi-maqtal-il-hussain.html ). Update on dated 21-07-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
85023
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Assalam o alikum mulana sb mera sawal ha agr do log 5 saal se ek dosre se pyar kr rahy hon or shadi k irada b rakhty hon wade shadi ky kiye hon kasam khai ho us lrky ky alawa shadi ni kare gi kisi se or lrka b wada kiya ho shadi krny k bad me 5 saal bad lrka ghar walon ky dabao me a ky shadi kr lay or wo lrki tb b bole muj se shadi kro aisi surat mein lrka lrki maa bap se chori shadi kr skty is surat me biwi ki ijazat lena zrori ha jb ky lrki se wada krny ky bad wada tur ky shadi krta ha kya ab wo lrka lrki chori shadi kr skty lrki k kehna ha shadi sunat ha or me tmhare alawa shadi ni krni kisi se q ky me wada ki kasam khai kasam ni

Answer: wsalam. 1) Aurat or mard dono ka izdawaj par razi hona zaroori hai agar in mai sai kisi aik ko nikah k liye majboor kia jaye or wo baad mai bhi wo is nikah sai raazi na ho to wo nikah sahi nahi hoga.(Ref:tauzeeh ul masail ayatollah seestani edition 39 maslah no 2339)
2) Baligh larka maan or baap ki ijazat k baghair nikah ker sakta hay. (Ref : Minhaj us salaheen Ayat ullah sistani d.b. part #3 masla #68). Wo Kunwari larki jo khud mukhtaar nah ho os k liay apne wali (baap ya dada) ki ijazat zaruri hai. Or agar lerki khud mukhtaar ho tu os k liay apne wali (baap ya dada) ki ijazat ehtiyaat e lazim ki bina per zaruri hai.(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2328-2335) Update on dated 20-07-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey)

Print

Id:
85086
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: mai shia hn aik 20 saal ki larkei sy mutta krna chatta hn aur wo bhei yahei chatei hai usko aur mujhy zanna ka bhei daar hai mgar ghar walay usko ijazat nei daty han kya yai mumkin hai ky wo mujh sy mutta kr laay zanna sy bachnay ky leyay uska baap usko bilkul ijazat nie datay aur agr haam baqei tammam ter ehkamat ka keyal rakhay to mutta kr sktay haan

Answer: Kunwari (virgin) lerki jo khud mukhtiyar nah ho tu wo os waqt tak nikah (daimi / mutah) nahi ker sakti jab tak lerki ka Baap ya Dada lerki ko nikah ki ijazat nah day day or jo larki khud mukhtar ho wo ehtiyaat e wajin ki bina pr yehi hukum hy k apny walid ya dada ssy ijazat lsy .(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah # 2341). Update on dated 30-03-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
85092
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Ek lrki jo khula le chuki h wo apne psnd se kisi aur se nikah krna chahti h to kya wali ka raazi hona zrori h(khandan ka koi shks uski shdi n krwana chahta h)???

Answer: Agar uskay sath pehly shohar nay jima kia hay to walid ki ijazat lena zarori nahi hay lekin agar pehly shohar nay us k sath jima nahi kia to phir wo kunwari shumaar hogi or walid ya dada ki ijazat k baghair shadi nahi ker sakti hay. (Ref: Minhajus saliheen, jild#3, maslah#67). Update on dated 30-03-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
85123
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Mamo ki biwi(yani momani) se nikah karna islam main jaiz ha?

Answer: Jee nikah ho sakta hay laikin zarori hay k mumami ki iddat khatam ho chuki ho. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 2366-7). Update on dated 30-03-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
86163
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Kya mai apne khaleri phuphu se shadi karsakta hu jinka talak. ho chuka hai

Answer: Merd per apni phopho or khala se nikah kerna haram hay or isi tarah maan, baap, dada dadi or nana nani ki phopho or khala se bhi nikah kerna haram hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), tuazihul masael, maslah#2353 ). Update on dated 01-09-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
86170
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Bina Wajah koi mere pichhe pada hai Mai kya karu mujhe samajh me nhi aa raha hai ki usse Kaise pichha churao aap hi kuchh bataye

Answer: Surah e Hijr (surah no. 15) ko likh kar apnay bazoo k sath bandh lai. (Ref : Dunya Wa Akhirat ki 100 Pareshanion ka hal , pareshani no # 30 , pg # 27). Update on dated 18-08-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
86174
Mujtahid:
Date:

Question: agar koi larki bhai kehti hay to kiya hum ussy shadi ki ummeeed kr rsktay hn ya nahi

Answer: Kisi larke ko bhai kehne sai saghe bhai wala rishta haasil nahi hojata or dono aik doosre k liay na-mehram hi rehte hain lehaza aik doosrey say nikah kar saktey hain. (Ref:http://www.sistani.org/persian/qa/0816/ ). Update on dated 17-08-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
86175
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: mai aik lrkay ko psand krti thi phir uski shadi hu gai tu mujy pta chla i m in deep love with him mai ny usy kbhi btaya nhi h ab wo b mujhy psand krta h i can feel it mai shuru se kafi concious rhi hon pr sirf iss aik lrkay k agey mai bebass hon wo jessy kehta h mai maan leti hon mai boht iradey krti hon k ab nhi mgr usky aik bar keny se sb maan jati aessy hlaat mai mujhy kya krna chahiye ?kya mujhy ussy prpose krna chahyie ya nhi?

Answer: Kisi merd or aurat k liay na-mehram mard o aurat se doosti ya muhabbat kerna jaiz nahi hay. Haan aap faqat os k ghar nikah ka paighaam behjh sakte hain or dua ker sakte hain. (Ref : Nigah aur libas Mafhoom e sawal # 106 pg # 69). Update on dated 17-08-2018. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
86177
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: asalam o alikum mera sawal ye ha k agr ek larki k maa bap bhai bhen sub ki death hogai or wo kisi ko nhi janti jo uska saga ho toh esi larki ka nikha kese hoga jub k uske wali (baap or dada) bhi nhi???

Answer: Was salam. Agar larki k baap ya dada moujood na ho to phir kisi sai ijazat lena zaroori nahi hai. Wo jis mard se chahay nikah ker sakti hay.(Tauzeeh ul masail ayatollah seestani edition 39 maslah no 2342). Update on dated 17-08-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
86178
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ruhollah Khomeini Date:

Question: Salam bhai mera masla yeh hai k hum ne chup k shadi ki thi lakin ab hamari sakht larai aur understanding nai rahi aur hum dono kafi time sa naraz thay ab talaq ka faisla kar liya hai kyun k woh larki kisi aur sa nikah karna chahti hai. Ab please batayen k main usay kesay talaq dey sakta hoon? Please reply. JazakAllah

Answer: Was salam. Ye nikah durust nahi hoga Q k jo larki buloogh tak pohanch chuki ho or kunwari ho or shadi karna chahti ho to ehtiyaat e wajib ki bina par zarori hai k wo apne baap ya dada sai ijaazat haasil karey.(Ref: Tauzeeh ul masail ayatollah khumeni, maslah#2373) Update on dated 17-08-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
86183
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Mera aik frnd hai wo apni khala sy shadi krna chata hai uski khala or uski mother ki mother aik hai lykn fathr dfrnt hai kya unka nikah ho saqta mtlb k uski grandmother ki 2 shadian hain or uski khala dosry bap sy hai or uski mother pehly bap sy hai

Answer: Wo friend ki saghi khala hi kehlai gi or khala ka shumaar mehram mai hota hai or mehram sai izdawaj karna haraam hai.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatollah seestani edition 39 maslah 2349) Update on dated 17-08-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
86184
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Aoa mera frnd apni khala sy nikah krna chata uski mother or uski khala apas me sotyli behny hain mtlb maa aik hai bap dfrnt hain ku k uski grand mother ki 2 shadian hain kya unka nikah ho saqta plxxx answer me bht serious masla hai

Answer: Wo friend ki sagi khala hi kehlae gi or khala ka shumaar mehram mai hota hai or mehram sai izdawaj karna haraam hai.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatollah seestani edition 39 maslah 2349) Update on dated 17-08-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
86193
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: 1-Please confirm a virgin girl after Mutta will remain virgin or not? 2-During proceeding of Nikah it is necessary to give confirmation/reference to other party(Male) about Mutta, if it had done by a virgin Girl with complete permission.

Answer: 1) Agar mutta walid ya dada ki ijazat sai kia gaya tha or phr muta mai humbistri bhi hoi thi tou phr us ko kunwari nahi kaha jaye ga,or agar walid ya dada ki ijazat ki baghair mutta kia gaya ho or hum bistri bhi hoi ho tou ye zina kehlaye ga lekin wo larki kunwari hi kehlaye gi.(Minhaj us saliheen part#3 maslah#69)
2)or agar ab wo daimi nikah karna chahti hai tu agar nikah k shareit taey kartey waqt is baat ka zikr hi na ho or baad mai pata chale k ye kunwari nahi hai tu shohar talaaq dai sakta hai or sharait taey karte waqt shohar ne ye shart rakhi k agar kunwari ho to shadi karne k lie razi hai or female side sai jhoot bol dia jaey k kunwari hai or nikah k baad pata chale k kunwari nahi hai tu shohar nikah ko fasq kar sakta hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Minhaj us saliheen, part#3, maslah#258). Update on dated 14-08-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
86198
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Kya do log jo apas ma zina kr chukay hain unka apas ma nikah halal ha ya haram?

Answer: 1)agar koi shaks aisi be shohar(jis ka shohar na ho) aurat k saath zinaa karey jo iddat main nah ho to ahtiyaat e wajib ki bina par wo shaks us aurat k tauba karney sai pehley us sai shaadi nahi kar sakta.
2) Agar koi shaks aisi aurat sai zina karey jo talaaq e rijei ki iddat sai guzzar rahi ho tu ahtiyat e wajib ki bina par wo aurat us par haraam ho jaati hai aur agar aisi aurat k saath zinaa karey jo mutaa ya talaq e baain ya wafaat ya wati bish shuba ki iddat guzaar rahi ho tu baad mai us k saath nikah kar sakta hai .
3) Agar koi shohar daar aurat k saath zina karey tu ahtiyaat e wajib ki bina par wo us aurat par hamesha k liay haram hojati hai.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatollah seestani edition 39 maslah no 2363 2364 2367) Update on dated 14-08-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
86686
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Asslam aalikum sir g sir g mujhe ye pochna he ke agr suni larka aur shia lrki ak dosre se shadi karna chahte hon aur ghr wale bolen ke dono nikha hon ge suni shia wala to kya 2 nikha ak time mn ho sakte hen kya ye jaiz he

Answer: Was Salam. Jee is main koe haraj nahi hay, kiay jaa sakte hain ableh lazim hay k shia wala nikah har sorat main perha jaey Q k shumaar jo hoga wo faqat shia wala hi hoga.Q k sunni nikah main wo sharaet nahi hoti jo aik shia nikah k liay zaroori hain.(Ref:Tauzaaeh ul masail ayatollah seestani edition 39 maslah no 2335). Update on dated 08-09-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
86689
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Kya meri sagi chacha ki beti k sath bgair ldki k ghar walo k izazat se nikah kr skta hun do gawah ko gawah bana kar Aur jbke hum dono me salahiyat hain nikah k. Aur main aisa suna hu k ldka agr kufa me ho to nikah ho skta hai To ap zra detail me bataiye .

Answer: Kunwari (virgin) lerki jo khud mukhtiyar nah ho tu wo os waqt tak nikah (daimi / mutah) nahi ker sakti jab tak lerki ka Baap ya Dada lerki ko nikah ki ijazat nah day day or jo larki khud mukhtar ho wo ehtiyaat e wajin ki bina pr yehi hukum hy k apny walid ya dada ssy ijazat lsy .(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah # 2341).(Ref:tauzeeh ul masail ayatollah seestani edition 39 maslah#2349). Update on dated 04-09-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
86697
Mujtahid:
Date:

Question: Aslkm meine apni gf k saath zina kya or wo mere bache ki maa banne wali thi phr humlog ne abortion karaduye kya aage life may humlog maafi maangke shadi nahi kare toh kya ye gunah or b hojaaenga

Answer: Was salam.Zina gunahan e kabeera mai sai aik gunah hai. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhajus Saliheen,Part#1,Edition#2009,Mafhoom e Maslah #30). Hamal k ho janay k bad zaya karna jaiz nahi hai. (Ref : tauzeeh e ul masayl ayat ullaha sistani (d.b.) jaded masayl, masla # 73).
agar koi shaks aisi bai shohar aurat k saath zina karey jo iddat main ho to ehtiyaat e wajib ki bina par us aurat k tauba karne sai pehle shadi nahi kar sakta.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatollah seestani edition 39 maslah#2364). Update on dated 03-09-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
86704
Mujtahid:
Date:

Question: Assalam o Alaikum mera sawal ye hai ke agr koi aurat bina apne khawind se talak liye shadi kare to kya uska ye nikah jaiz hai ?

Answer: Was salam. kisi shadi shuda aurat sai shadi karna haraam hai agar koi shaks aisa karey tu zaroori hai k us aurat sai juda hojaey or baad mai us sai nikah nahi karna chahiay.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatollah seestani edition 39 maslah#2366). Update on dated 03-09-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
86708
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Aoa nikahh me kalmy k Kia ahkam hain

Answer: Nikah k waqt kalma parhna fiqhe jafferia k nazdeek sharaet mai sai nahi hai.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatollah seestani edition 39 maslah#2235). Update on dated 03-09-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
86720
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Asalamoalaikum! Meri umr 33 h aur shadi me mushqiley aa rahi h, kya koi roza rakhne se ya dua padhne se iska hal ho sakta h ?

Answer: Was salam. Rasool e akram ne farmaya: Surah yaaseen ki tilawat kiya kare is me 10 barkate hai (us me se aik ye hai k ) jin ki shadi nahe hoi hai wo shadi shuda ho jaay ghe. (Ref : Dunya Wa Akhirat ki 100 Pareshanion ka hal pg # 18). Update on dated 03-09-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
86967
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Shia Nikha mn larkay k Seeghy Molvi Q parhta hy

Answer: Q k wo sahi tareeky say parh saktay hen warna zarori nahi hy k molvi hi parhy, balky dholaha or dhulhan khud bhi parh sakty hen. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 39th edition, maslah #2333 ). Update on dated 19-02-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
86989
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Mra sawal ye hy k agr larka or larki gunnah s zinna s bchna chahty hain tw wo nikkah kr skty hain bgr gawah k?

Answer: Gawahoon ka hona zarori nahi hy lekin, Kunwari(virgin) lerki os waqt tak nikah nahi ker sakti jab tak k lerki ka Baap ya Dada lerki ko nikah ki ijazat nah day day, or yehi hukum ehtiyaat e wajib ki bina(base) per os sorat main bhi hay k jab larki khud mukhtar or baligh bhi ho. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah # 2341). Update on dated 14-02-16. (Khuda aap ko U7oom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
86999
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Kia msgs par nikkah ho jta ha ha jasy k larka apna or apny walad ka name likh k larki sy pochy k ma kabol hn apko or asy e larki b larky sy pochy pasy or apna or apny walad ka name LA k na koi gawah ho na gar walk ki marzi na molvi to kia asy nikkah ho jata ha.

Answer: Nikah k sahe hone ki khuch shara,it hain jin k baghair nikah sahi nahi hota jin me se khuch ye hain (nikah k alfaaz ) perhna zarori hay.aurat or merd ka faqat raazi hona kafi nahi 1)Ehtiyaat e wajib he nikah ka seeghah sahih arabi me parha jaay,or agar khud merd or aurat sighah arabi main nah perh saktay hon tu arbi k Alawa kisi dosri zaban main perh saktay hain or kisi ko vakil banana laazimi nahi hay albatta inhe chaie k wo alfaaz kehe jo zawwajto aur qabilto ka mafhoom ada kare maslan phele mahar moiyan karne k baad daime nikah me larki yu kehe k mene is mahar per jo moiyan ho chukka hai apne aap ko tumhari biwi banaya aur is k lamhe bhar baad mard kehe k mene is isdewaaj ko qabool kiya to nikah sahe hai Agar merd or aurat khud daimi nikah ka seegah perhna chahain to, nikah ka meher taay karney k baad pehlay aurat kahay k (زوجتک نفسی علی المھر المعلوم)(Zauwajtoka nafsee alal mahril ma’loom) Or os k baad merd furan kahay (قبلت)(qabilt) tu nikah ho jaay ga. Kunwari(virgin) lerki os waqt tak nikah nahi ker sakti jab tak k lerki ka Baap ya Dada lerki ko nikah ki ijazat nah day day.or yehi hokum ehtiyaat e wajib ki bina(base) per os sorat main bhi hay k jab larki khud mukhtar or balig bhi ho. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah # 2328-2335,2341,2342). Update on dated 13-02-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
87067
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Assalam o Alaikum! Mera sawal aap see yeh hai ke nikkah ke baad mard aur aurat humbistri kar sakte hain jab ke abhi ladki ki rukhsati bhi na hui ho aur ladka ladki ne chup ki nikkah kya ho aur dono ki families ko kuch bhi na pata ho ke ladka ladki ne nikkah kar liya hai?

Answer: Kunwari (virgin) lerki jo khud mukhtiyar nah ho tu wo os waqt tak nikah (daimi / mutah) nahi ker sakti jab tak lerki ka Baap ya Dada lerki ko nikah ki ijazat nah day day or jo larki khud mukhtar ho wo ehtiyaat e wajin ki bina pr yehi hukum hy k apny walid ya dada ssy ijazat lsy .(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah # 2341). (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah # 2341). Update on dated 27-02-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
87076
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Jis k sath zina kar liya jaye kia vo orat ham pe haram ho jati a ? Kia usse nikkah mumkin nh ?

Answer: Jis waqt zina howa ho us waqt agar wo aurat kisi k nikah men ho ya iddat men ho to zina kerney waly shakhs per ehtiyaat e wajib ki bina per hamesha k liay haram ho jaati lekin Jis shakhs nay kisi bay-shohar daar aurat sai zina kia ho aur os sai shadi karna chahti ho to is k liay ehtiyaat e wajib ye hai k wo os aurat k toba karnay say pehlay os se nikah nah karay. (Ref : tauzihul masael, Ayat ullah Sistani d.b. Masla # 2364,2367). Update on dated 30-07-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
87089
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ruhollah Khomeini Date:

Question: Mera swal ye k kya nikha k qawt molvi sab ka ye puchna k; kya ap ko flan flan se nikha qabul he; ye puchna shariyat mein lazmi he dono se yan agr kisi ek se na pucha jay to kya nikha sahi trike se ho gya?me is liye puch rha hon kun k mere se nahi pucha gya tha lrki se pucha gya tha bss mene bss dastakhat kiye the.

Answer: Is tarah pochna laazmi nahi hay agar aap nikah per raazi thay tu aap ka nikah sahi hay. (Ref: Ayatullah khumeni(r.a),Tauzeehul masail, maslah #2367). Update on dated 19-02-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
87092
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Abul Qasim e Khoie Date:

Question: Asalam o alikum! Mujhe ek larki bohat pasand hai hum 4 5 saal se baat karahay hain abhi 9 mahine phelay hamara relation hua phir woh islami bohat thi tw maine usey phone p nikkah karliya proper tareeqay se nikkah kaa sawal usne pocha aur maine bhi aur donu ne qabool hai bola 3 dafa jaise houta hai aur gawaah uski 2no bhene thi jo baalil hai. Kia mera nikkah qabool hai?

Answer: Jo lerki had e buloogh ko pohanch chuki ho or rasheeda ho yaani apni bhalae burae jaanch sakti ho agar wo shadi kerna chahay or kunwari ho tu ehtiyaat e wajib ki bina per osay chahiay k apne baap ya dada se ijazat lay. (Ref:Ayat Ullah Khoe(r.a), Tauzee hul masail, maslah # 2385). Update on dated 19-02-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
87102
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Abul Qasim e Khoie Date:

Question: Mara sawal ye ha k jis tarha aj kal call pay nikah ho jata ha jab larka out of country ho to kya muttah b call pay ho jata ha????amny samny bethay hona zarori ha????yq nahi?????w.salam

Answer: Jee haan, ho sakta hay aamnay or samnay hona zarori nahi hay. (Ref: Ayatullah Khoe(r.a),Tauzeehul masail, maslah #2379 ). (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Jo lerki had e buloogh ko pohanch chuki ho or rasheeda ho yaani apni bhalae burae jaanch sakti ho agar wo shadi kerna chahay or kunwari ho tu ehtiyaat e wajib ki bina per osay chahiay k apne baap ya dada se ijazat lay. (Ref:Ayat Ullah Khoe(r.a), Tauzee hul masail, maslah # 2385). Update on dated 19-02-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
87103
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Jasa k aj kal door honay ki waja say call pay b nikah ho jata ha....to kya call pay mutah b ho sakta ha agar larka larki amnay samnay na hon to

Answer: Jee haan, ho sakta hay. Aamnay or saamnay hona zarori nahi hay. Ref: (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 39th edition, maslah #2335 ). Update on dated 17-11-17. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey). Kunwari(virgin) lerki os waqt tak nikah nahi ker sakti jab tak keh lerki ka Baap ya Dada lerki ko nikah ki ijazat nah day day. or yehi hukum ehtiyaat e wajib ki bina(base) per os sorat main bhi hay k jab larki khud mukhtar or baligh bhi ho. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah # 2341). Update on dated 12-01-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
87933
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Agar larka kisi larka ko kiss kra aor uss sa masturbating krwae aor uss waqt iss gunah k bare ma na janta ho to kia uss ki ma behn aor beti uss par haram ha aor is ki tauba kasa kra

Answer: Mard ka mard sai jinsi kaam karna gunahan e kabeera mai sai hai lekin aap ka ye amal lawaat nahi kehlaye ga lehaaza us ki behn beti maa haram nahi hoongi. (Ref: Jadeed fiqhi masael, ayatullah seestani maslah#500). Update on dated 23-10-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
87963
Mujtahid:
Date:

Question: Sallam Sain Meri Ek sister Mere Czn Ko Deya Howa he usky 3Bachy He Ap Wo Dosra Shadi Kar Raha He Uska Husband Wo Pahly Se He Is Bacho Ko He Kuch Nhi Day pa Raha he fr Bhe Dosri shadi Kar Raha he Sain is Ka Quran Me Kea Saza He , Or Ha Sain Ek bhai Apni Behn Kay Leye Kea Kar Skahta He Quran Sharif Me Kea Kaha Gaya He Sain Please Explain me ?

Answer: Agar koi shaks doosri shaadi karna chahay tou adaalat ki shart laazmi hai yaani agar aik shab aik biwi k paas soey tou chaar raaton mai sai aik raat kisi biwi k paas bhi soay.
2)mard par biwi or bacho ka naan o nafq wajib hai.
3)agar mard adaalat na rakh sakta ho tou us k liye nikah karna jaiz nahi hoga.
(Ref:Jadeed fiqhi masaail ayatullah seestani edition 39 maslah no 434).khuda aap ko uloom e aale muhammad s.a.w.w seekhne ka ajar ata farmaye.

Print

Id:
88392
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: kia mn apne abu ko dosri shdi se rok skta hn kia mje y haq h ?

Answer: Nahi rook saktay un ko kisi ki ijaazat ki zarorat nahi hay. (Ref : Minhaj us salaheen Ayat ullah sistani d.b. part #3 masla #68). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye). Update on dated 11-04-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
88399
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Kya sauhar dusra Nikah kr skta h jb k uski phli biwi Hamla h

Answer: Is sorat main bhi shohar doosra nikah kar sakta hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 39th edition, maslah #2335). Update on dated 11-04-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print