Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+


Question & Answers << Go Back

Topic: Ahkam-e-nikah (1043 Questions)


Showing 900- 950 questions from 1043 questions on this page.

Answers found for searched words
Id:
72763
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ruhollah Khomeini Date:

Question: Kiya sali ko apni doosri biwi bana na jaye hai. ( kiyaal mein rakhey ke Pheli biwi ko talaq nahi diya)

Answer: Agar koi shakhs kisi aurat se shadi karay to jab tak wo aurat is k nikah me he wo shakhs oski behan se shadi nahi kar sakhta (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayatullah imam khumeni, Masla # 2387). Update on dated 26-08-16. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
72772
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Salam Agha sahib mera question ye hy k nikah k baad aagr abi rukhsti na howi hoo to kia mard apni hony wali biwi sy call pr baty kr skta hy yaa us ko ijezaat lena ho gii larki k parents sy. agr wo ijezaat ni lety to kia gunhagaar ho gy apas mein baaty kr k etc. please jawab zaroor dena. thanks

Answer: Nikah k baad wo aap ki biwi hi hain or on se mulaqaat kerna batain karna or on ko chuna jaiz hai. (Ref : Minhaj us salaheen Ayat ullah sistani d.b. part # 2, masla # 34). Update on dated 26-08-16. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id:
72833
Mujtahid:
Date:

Question: Ya pochna h k agr ik lrka lrki zana kry or lrki pregnant ho jye or pregnancy m wo nikh kr ly tu kya unka nikah jaiz ho ga ya jaiz nhi unka nikh sai h ya lrki ki pregnancy k bd nikah jaiz ho ga

Answer: 1-Agar koe shaks kisi aisi bay shohar aurat k sath zina kare jo iddat main nah ho to ehtiyat e wajib ki bina wo shaks is(aurat) k tauba kerne se pehle is se shadi nahi ker sakta. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 36,Mafhoom e Maslah #2364). 2-wo Kunwari larki jo khud mukhtaar nah ho os k liay apne wali (baap ya dada) ki ijazat zaruri hai. Or agar lerki khud mukhtaar ho tu os k liay apne wali (baap ya dada) ki ijazat ehtiyaat e lazim ki bina per zaruri hai. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2328-2335) 3-Zina k baad bhi is per kanwari k ehkamaat hi jaari hoon gaey. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 3, Mafhoom e Maslah #70 , Eidition 1427 hij). Update on dated 17-09-16. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
73054
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Kya kisi larki se us ki waldain ki ijazat k beghair mutah kya ja skhta hai jab k larki independent na ho? ager mutah karlia jaye beghair ijazat masla maloom na hune ki wajah se to is baray me kya hukm ha?

Answer: Jo baligh lerki kanwari ho or apni zindagi k umoor khudmukhtari se anjaam nah daiti ho tu agar wo shadi kerna chahay tu apany baap ya dada se ijazat lay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #2341). Update on dated 24-08-16. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
73064
Mujtahid:
Date:

Question: Agar larki ka nikkah apni marzi se na ho tou aur woh apni pasand se nikkah krna chahti ho tou kya kare?

Answer: Wo Kunwari larki jo khud mukhtaar nah ho os k liay apne wali (baap ya dada) ki ijazat zaruri hai. Or agar lerki khud mukhtaar ho tu os k liay apne wali (baap ya dada) ki ijazat ehtiyaat e lazim ki bina per zaruri hai. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2328-2335) Update on dated 25-08-16. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
73074
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: AOA I have sent an email recently to ask about mariage of syedani with no syed with reference and examples of sayings of our Imams. I still dint get response Second question is that possible to directly contact / talk Hazrat sistani shb through your office/ or any other way. JAZAKALLAH

Answer: Syed mard ka nikah ghair syeda aurat k saath ho sakta hay or isi terah syedah aurat ka nikah ghair syed mard k saath ho sakta hay. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus saliheen Part # 3, Maslah # 221). Update on dated 25-08-2016. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
73075
Mujtahid:
Date:

Question: salam g mara sawal ye hain ki larka our larki ki parents ki marze ki hilap dono ka nikah hosakta hain molve our 2 gawaho ki hazere mae

Answer: Wo Kunwari larki jo khud mukhtaar nah ho os k liay apne wali (baap ya dada) ki ijazat zaruri hai. Or agar lerki khud mukhtaar ho tu os k liay apne wali (baap ya dada) ki ijazat ehtiyaat e lazim ki bina per zaruri hai. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2328-2335). Update on dated 25-08-16. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
73265
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: mujhe mushkil hai Syed zadi ki ger syed me shadi k hawale se. Jo is k haq me hain ye daleel dete hain k Bibi Zainab s.a k shohar Hazrat Abdullah Syed nahi thy. Mutakki hona zaruri hai syed nahi. Ap iss mushkil ko door krden plz

Answer: Syed mard ka nikah ghair syeda aurat k saath ho sakta hay or isi terah syedah aurat ka nikah ghair syed mard k saath ho sakta hay. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus saliheen Part # 3, Maslah # 221). Update on dated 03-10-2016. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
74396
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ruhollah Khomeini Date:

Question: Assalam u Alaikum.. Sir meri ek sunni friend h jo k ek baar zina kr chuki h magr ab bht pichtati h r tauba b krti h....Kya mn us se shadi kr skta hn? I m a shia boy..

Answer: Aap k liay os se nikah kerna jaiz hay, agar aap ko apne mazhab k mehfooz rehne ka itminaan ho.(Ref: tauzeehul masael,ayatollah khumeni r.h, maslah#2396,+minhajus Saliheen, part#2, 5 maraje, maslah#1298, page#424). Upto dated: 05-12-2016. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
74432
Mujtahid:
Date:

Question: many ik larki ko allah ko hazir nazir jaan k ya kaha k ma allah ko gawah bna k tumy apny nikkah ma lata ho tumy qabool ha.us ny qabool kar lia.to kiya asy nikkah jaiz ha?

Answer: 1-Wo Kunwari larki jo khud mukhtaar nah ho os k liay apne wali (baap ya dada) ki ijazat zaruri hai. Or agar lerki khud mukhtaar ho tu os k liay apne wali (baap ya dada) ki ijazat ehtiyaat e lazim ki bina per zaruri hai. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2328-2335)
2-Nikah main gawah ka hona zarori nahi hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #2335). Update on dated 09-12-16. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
74516
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Salam ya ali a.s madad How are you? My questions is " if syed girl allowed to marriaged with non- syed boy? Please quick answer as soon possible.

Answer: Syed mard ka nikah ghair syeda aurat k saath ho sakta hay or isi terah syedah aurat ka nikah ghair syed mard k saath ho sakta hay. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus saliheen Part # 3, Maslah # 221). Update on dated 13-12-2016. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
74535
Mujtahid:
Date:

Question: agr lrka lrki msg py nikkah kry ALLAH ko gawah bna k to kya ye nikkah ho ga

Answer: Is tarah se nikah nahi hota. (Ref:Ayat Ullah Khoe(r.a), Tauzee hul masael, Mafhoom e Maslah #2335). Update on dated 14-12-16. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
75610
Mujtahid:
Date:

Question: A.A Qari sb,,,,,Mera ye sawal hai k meri age 27 hai ,,meri apni collegue k sath friendship hoi jo aahista aahista mohabat mien badal gye,,mera us k sath 1 saal ka relation hai,,or ab ja k us nien mje btaya k she was divorced in 2011,,or woh 1 saal tak nikah mien rahi,,,,she was elder than me about 6 to 7 years,,,,,mje btaen k mien ab kya krn ????

Answer: Agar koe shaks kisi aisi bay shohar aurat k sath zina kare jo iddat main nah ho to ehtiyat e wajib ki bina wo shaks is(aurat) k tauba kerne se pehle is se shadi nahi ker sakta. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 36,Mafhoom e Maslah #2364). Update on dated 09-12-16. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
75844
Mujtahid:
Date:

Question: Aslamualaikum sir mera swal ye hai k main aur meri cousin aik dusry sy muhabet krty hain nikah krna chahty hain lakin us k walid nhi razi apni anaa zid ki wja sy baqi sb razi hain mry ghr waly uski ami bhai sb lakin sirf walid nhi razi aur uski ami bolty hain k is k bap k bgair main kaaiy krdun ,to aisi surt main hum khud nkah kr skty hain kyaa ya koi beech ka rsta btain k wo man jain baqi koi aisi koshish nhi rhi jo hum ny mnany k liye ki na ho unhain apk jwab ka intzar rhy gaa

Answer: Wo Kunwari larki jo khud mukhtaar nah ho os k liay apne wali (baap ya dada) ki ijazat zaruri hai. Or agar lerki khud mukhtaar ho tu os k liay apne wali (baap ya dada) ki ijazat ehtiyaat e lazim ki bina per zaruri hai.(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2328-2335) Update on dated 23-01-17. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
76027
Mujtahid:
Date:

Question: Salaam mujhe Yeh puchna hai agr kisi lrki ki divorce hui ho or usne iddat na ki ho or usne dusri jagah bager iddat kiye dusra nikah kr liya ho or us k 3 saal bad lrka us larki ko talakh k 3 alfaaz bol de or woh phr b sath reh rhe ho or woh dubara nikah krna chahe to nikkah ho skta hai ya nai unko kia krna ho ga plz bata de kisi ki problem hai

Answer: Agar koe shakhs aik aisi aurat se nikaah kare jo dosre ki iddat mein ho to agar mard aur aurat dono ya in mein se koe aik jaanta ho keh aurat ki iddat khatam nahi huye aur ye bhi jaante hoon keh iddat k dauran aurat se nikaah karna haram hai to agarcheh mard ne nikaah k baad aurat se jama nah bhi kiya ho to wo aurat hamesha k liey os par haram ho jaey gi. Aur agar dono iddat k dauran hone ya iddat mein nikaah k haram hone se be-khabar hoon to nikaah batil hai, agar hambistari bhi ki hay to hamesha k liey haram ho jaeengay- Agar hambistari nah ki ho to haram nahi hain aur iddat khatam hone k baad dobara nikah kar sakte hain. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #2365). Update on dated 27-01-17. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
76784
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Abul Qasim e Khoie Date:

Question: Kia ghar main kam kaney wali ko londi keh saktey hain aor kia us sey mubasrat kar saktey hain

Answer: Ghar k kaam kerne wali nokerani loondi shumaar nahi hoti or is se hambistari kerna jaiz nahi hay. (Ref: Ayatullah khoe(r.a),almobeen fi tauzee e minhajus saliheen, mafhoom e maslah # brfore 1228,pg#222).Update on dated 25-02-2017. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
77087
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Kya sayyed gharane ki ladki ka rishta syyed parivar me hi hona chahiye? Khan gharane m hua nikah to kya koi buri bat hai?

Answer: Syed mard ka nikah ghair syeda aurat k saath ho sakta hay or isi terah syedah aurat ka nikah ghair syed mard k saath ho sakta hay. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus saliheen Part # 3, Mafhoom e maslah# 221). Update on dated 13-12-2016. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).Update on dated 13-03-17. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
77212
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: AoA Mufi saab Allah ap ko ajar o azeem ata kre mera sawal yeh hai k ager kisi larky ko ap 10 saal se love kerte ho,or us k sath kisi shadi shuda ne apni wife k sath mil ker black mail ker k ya deraa ker zina kia ho,or wo larky unmarried ho,or ab us k lover ko pata chal jay or larky tasleem bhi ker le k mere sath zabardasti aisa kia jata tha,,to aisay shadi shuda shakhs ko us k lover ko kia saza deni chahiye or kia us larky ko accept ker lena chahiye ya chor daina chahiye is maslay main Quran or ahdees ki roshni main mjhe yeh bta dain..k us shadi shuda ko koi saza daina jaiz hai,or kia us larky se shadi kerna jaiz hai\" kia us larkay ko sab jante hove bhi shadi kerne ka sawab ho ga k nahi:thanks

Answer: Jis lerki se zina kia gaya ho os se aap shadi ker sakte hain or aap zina kerne wale ko saza daine ka haq nahi rakhte, balkeh aap kisi mujtahid k paas apna maamla lay jaa sakte hain wohi saza muqarrar ker sakta hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #354-355). Update on dated 17-03-17. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
77460
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: kya soni larki sheeya say nekh karskti hi

Answer: Shia larka nasibiyon k elawa dusre sunni firqon ki larki se shadi kr sakta hai, albatta agr us shia larke ko apne deen se gumrah hone ka khoaf hoto phir ye shadi krna haram hai. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 3, Mafhoom e Maslah # 215-221, Eidition 1417 hij) Update on dated 24-03-2017. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
77559
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: AoA, agr larka sunni ho aur larki shia ho tu kn sy sect ka nikkah kia jaye sunni maslik k mutabiq ya shia maslik k mutabiq

Answer: Shia nikah perha jaey, tu nikah durust hoga, or ye nikah sunni hazrat k mutabiq bhi durust hota hay Q k shia nikah main sunni niakh ki sharit bhi pori ro jati hain. ( Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 36th edition, maslah #2335+ E-maul rcvd from A.Sistani d.b). Update on dated 27-03-17. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
77560
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: AoA, agr larka sunni ho aur larki shia ho tu kn sy sect ka nikkah kia jaye sunni maslik k mutabiq ya shia maslik k mutabiq

Answer: Shia nikah perha jaey, tu nikah durust hoga, or ye nikah sunni hazrat k mutabiq bhi durust hota hay Q k shia nikah main sunni niakh ki sharit bhi pori ro jati hain. ( Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 36th edition, maslah #2335+ E-maul rcvd from A.Sistani d.b). Update on dated 27-03-17. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
78029
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Sir mera swal ye h k agr larki fmly k pressure m akr nikah m han bol de or dil se qubool na kre nikah to kya nikah ho jyga?

Answer: Agr larki is nikah se razi na ho to phir nikah nahi hota, lekin nikah ho jane k bad wo larka or larki nikah se razi ho jaen ya koi aysa kaam karen jo un k miyaan biwi hone per dalalat kare to phir nikah sahi hai. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2338-2339).Update on dated 10-04-2017.(Khuda apko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
78059
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Sir meri shadi meri mrzi k bgeir ho rhi h mene apni fmly or larke ko waziah tor pe keh dya h k m dil se qubool ni krungi.plz mje btain kya m bina talak lye apni psnd se shadi kr skti hn

Answer: Agr larki is nikah se razi na ho to phir nikah nahi hota, lekin nikah ho jane k bad wo larka or larki nikah se razi ho jaen ya koi aysa kaam karen jo un k miyaan biwi hone per dalalat kare to phir nikah sahi hai. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2338-2339).Update on dated 10-04-2017.(Khuda apko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
78110
Mujtahid:
Date:

Question: Kya kisi surat soteli bhen se nikah ho sakta ha

Answer: Wo sotaili behen jo soteli maan k pehle shohar se paida hoe ho, os se shadi kerna jaiz hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhajus Saliheen, part#3,Mafhoom e Maslah #158). Update on dated 12-04-17. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
78192
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Kya uski larki se shadi ho sakti jis k 7 pehly zina kia ho???

Answer: Agar koe shaks apni phophi ya khala ki lerhki k alawa kisi or aurat se zina karay tu ehtiyaat e mustahab ye hay k oski baiti k sath shadi nah karay.(Ref:Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 36th edition,maslah #2361). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye). Update on dated 14-04-17. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
78331
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Assalam o alaikum Mera question ye h k meri shadi hui tou Meri saas ki wafat ho chuki thy Phr sussar ne doosri shadi kr li. Ab kia mere shoher k lie soteli maa wesi e h jese apni walida the in. Isk bare mh kia hukm h plz mjhe details mh btaie

Answer: Baap ki bivi mehram hoti hay, os se perda wajib nahi. Laikin wo asal maan k hokum main nahi hoti. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhajus Saliheen, part#3,Mafhoom e Maslah #155). Update on dated 18-04-17. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
78570
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: agar kisi sy zina ho jata hy to kia farz hy k us larki sy lazman nikah kiya jae?

Answer: 1)Agar koe shaks kisi aisi bay shohar aurat k sath zina kare jo iddat main nah ho to ehtiyat e wajib ki bina wo shaks is(aurat) k tauba kerne se pehle is se shadi nahi ker sakta. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 36,Mafhoom e Maslah #2364). Update on dated 26-04-17. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Note: jis aurat se zina kia ho os se shadi kerna lazim nahi hay.

Print

Id:
78573
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Salam main 25 yrs ki houn MRI engagement 2012 main hui ti main apnay fiancee se milti ti .Or phir hum close hugae or nikah se pehle h Milne lagay (sex) krnay lagay 8 months k bad phir nikah hua haii .I know ye gunah hai.mjhe iski touba batain or ye k mere shohar h ab mjhe tana daitay Hain or thread krtay Hain k sb ku bataonga tum milti ti jbkay main ab bivi hn phir bho .Mjhe Allah se maafi ka Tariqa batain plz

Answer: 1)Agar koe shaks kisi aisi bay shohar aurat k sath zina kare jo iddat main nah ho to ehtiyat e wajib ki bina wo shaks is(aurat) k tauba kerne se pehle is se shadi nahi ker sakta. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 36,Mafhoom e Maslah #2364).
2)Sab se pehlay tu aap ko apnay is gunah per nidamat honi chahiay or Allah se istighfaar or tauba talab kerni chahiay or apnay aap se ehed or wada kerna chahiay k is ghunah e azeem ko phir kabhi anjaam nahi dain gay.or hamaisha yaad rakhain k Allah aap ko har waqt daikh raha hay or aap is gunah ko anjaam day ker shaitan ka hokum maan rahay hain or Allah ki na fermani ker rahay hain.aap koshish karain k aap khud ko dosri mufeed kaamo main masroof ker lain jaisay khail, perhae waghaira waghaira or har os cheez se perhaiz karain jo aap ki jinsi khahish ko ubhaaray.or agar aap khud per qaabo nah rakh saktay hoon tu aap k liay wajib hoga k aap nikah karain.(Ref: Mafhoom e E-mail Rcvd from A.Sistani(d.b) Sep 27, 2010). Update on dated 26-04-17. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
81011
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Aso sir mera question hai k mera nikah zabardasti hoa hai me dil sy is k liye tyar nhi thi lakin agr me inkar krti to mere ghar wale muje mar dete me ny nikah pr signature to kiye hain lakin qabol nhi kiya aur larke k sath mere koi talukat nhi hain me kisi aur ko pasand krti hon ab us sy nikah krna chahti hon larka Bi razi hai kya aisi surat me nikah ho sakta hai? Pls ans krain me suni hon

Answer: Aap ka nikah durust nahi hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #2338). Update on dated 14-06-17. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
81751
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Salaam , Mera Sawal Hai , Mera Ek Dost Hai ,Usne Apni Biwi Ko Talaq Di Hai , Ab Takreeban Do Saal Honey Ko Hain , Lekin Woh Majboori Main Talaq Di Thi , Dono Ke Maa Baap Ka Problem Tha, Ab Kiya Dubara Nikah Kar Sakte Hian Woh Dono, Ek Dosre Ke Siwa Nahi Reh Sakte

Answer: Jee wo dono apas main dobara nikah kar sakhtay hain. (Ref: Minhajus saliheen, part#3, maslah#521). Update on dated 28-02-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
81773
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Kya maa baap ki mrzi k bagher Shadi ki ja skti hai

Answer: Baligh larka maan or baap ki ijazat k baghair nikah ker sakta hay. (Ref : Minhaj us salaheen Ayat ullah sistani d.b. part #3 masla #68). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye). Update on dated 24-08-17. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
81775
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Assalam O Alikum.. Molana sab mera nikah hua .. Jis larki say hua woh bhi mjhsay pyar karti thi.. hum 2no nay families ko agree kar k nikah kiya .. par rukhsati nhi hui abhi tak.. Us larki ki Lahore job hogae.. woh wahan chali Gae.. aur phir kahti hai k mjhy kisi aur larkay say pyar hogya hai.. ab esi surat e haal mn Allah k Kia Ahkamat hain Us aurat k Liye

Answer: Jab tak nikah hai, wo aap ki zojah hai or wo kisi se niakh nahi ker sakti. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah #2376). Update on dated 24-08-17. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
82123
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: slam,mujhay yah puchna hay kay meri mangni ho chuki hay,aur mera mangetar aur mein nay Allah ko hazir nazir jaantay huay aik dusray ko 3 dfa qabul kia hay,kia hamara nikaah ho chuka hay,mujhay derr lagta hay kay mein zinna na ker bethun aur ager nikaah hua hay to hmara toot na jaye

Answer: Sirif 3 dafa aik dosry ko qabol karnay say nikah nahi hota hay. Aisa nikah batil hay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 39th edition, maslah #2335). Update on dated 13-03-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
82129
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Kya ek hi ladki se dobar nikah kar sakte hai pahle nikah hua hai par ghar me kisi ko pata nahi is liye un ki raza k liye dobara nikah kar sakte hai kya

Answer: Wo Kunwari larki jo khud mukhtaar nah ho os k liay apne wali (baap ya dada) ki ijazat zaruri hai. Or agar lerki khud mukhtaar ho tu os k liay apne wali (baap ya dada) ki ijazat ehtiyaat e lazim ki bina per zaruri hai.(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2328-2335)
Note: Lehaza dobara nikah parha zarori hoga.

Print

Id:
82147
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Assalamoalaikum warehmatullah, sir m ek sawal puxhna chahta hu or mujhe ye sawal ka jawab Quran Pak k hisab SE chahye Mai Jo puxhna charha hu ussey puxhne me bhi mujhe sarm arhi Hai lekin Kya karo mujhe koi rasta dikhade koi Allah ka Banda Jo mujhe ache raste dikhaye, Mera sawal Hai ye he ki Maine ek Ladki SE bepanah Mohbbat Kiya 1salo Tak ham ek dusre se bat karte rhe hum kabhi mile nahi bs hum watsap PE call PE kabhi chat PE bat karte rhe Kuch samai bad jise Mai pyar karta Tha wo ladki ne munhe apni past k bare me batai jab wo college me padhti thi tab ek ladka SE uski afair Tha uske sath jismani bhi huwi ek bar nhi balke Kai bar,ye sab jankar Mai hairan hogya Kuch din Tak Mai wo ladki se bat karna band kardiya bat na karne k wajhse ladki Boht roi mujhse Mafi mangi Allah SE apni gunha ki Mafi mangi Maine dekha ladki achi Hai uske sath Jo Huwa Galt Huwa fir Maine Allah tala k waste uski gunah ko maf Kiya or Maine ussey sadi k liye ikrar Kiya fir Maine apni ammy SE kehkar unke ghr rista bheja hamari sadi k liye uske ghr wale bhi man Gye fir hamare ghr walo ne unke ghr walo SE 2sak ki time mangi kiyuki Mai Qatar me job karta hu Mera ghr aajana muskil Tha is doran hmari batein har roz Huwa karta Tha aaj hamari sadi ki bat huwe 3sal gujar Chuka or ab Mai ghr Jane ka plan me Tha itne me achank ek bat samne aai ki wo ladki ke baap ussey Galt nazar SE dekhte Hai uske sath Galt sambandh rakhne ka kosis karte Hai ye mujhe kaise PTA Chala Maine uska gmail I\'d apne phone me update Kiya Tha Kuch dino SE, uska baap us ladki ko msg kiya Tha Kuch Ganda sa to Allah behtar Jane wo kaise screenshot hogya or wo screenshot Google photos me save hogya Maine jab wo Google photos open Kiya to wo screenshot padha padhne k bad Mai us ladki se pucha Kya Hai ye sab to ladki ro ro kr mujhse kehni lagi k mere papa mere sath Galt karte jabrdasti Maine Boht Kosis ki khud ko bachane ki par nhi bacha Pai ye sunkar mujhe Boht Rona aya maine pucha kiyu tum apni mummy ko nhi btai wo kehne lagi mere ghr me Bhai Hai mummy Hai bhabi Hai behn isliye sab ki izajat bajane k chakkr me aisa Huwa or ek bat ye ki ladki ka baap jab uske sath first time Galt kiya to wo bhag gai thi dusre ghr me second bar Kuch dino bad uska baap fir apni beti ko Kuch kaha like mujhe bs ek bar dedo fir kabhi aisa nhi karunga itna kehne k bad wo ladki man gai ye soch k ki says agli bar aisa na Kare mere sath ye sab usne bataya mujhe Allah Jane Sach Kya Hai bs aap SE guzarish h mujhe ki AP Quran Pak k mutabik myjge hawala de mujhe batiye ki Kya ab bhi wo ladki k sath sadi karu ya rista tod du Maine rista todna chaha lekin ladki khana khane xhor deti Hai roti Hai ye mujhe dekha nhi jata lekin mere dil Zara sa bhi ab wo ladki k sath rehna gawara nhi karta mujhe Allah k waste mujge raste dikhaye jazak kher

Answer: Us larki say shadi karna jaiz hay. (Ref: (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 39th edition, maslah #2364 ). Update on dated 09-03-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
82154
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: salam .. ma bht preshan hn mujy ya pochna ha k .. ma kisi ko psnd krti hn mary gar waly whan krny ko razi ni bolty sari life ghar betha lain gy par whan ni krty .. larka shreef family sy ha gov job par ha .. educated ha bs gar waly zaat paat k chakr ma hain .. ma ny bht try ki but ni many nw ma ny bola k ma khyn or shadi ni krn gi .. app mujy ya bta dain k ab sb try kr li ghar waln ko manany ki ab kia islam mujy iazat data ha k ma us larky sy nikha kr ln parents k against ja k ..

Answer: Kunwari (virgin) lerki jo khud mukhtiyar nah ho tu wo os waqt tak nikah (daimi / mutah) nahi ker sakti jab tak lerki ka Baap ya Dada lerki ko nikah ki ijazat nah day day or jo larki khud mukhtar ho wo ehtiyaat e wajin ki bina pr yehi hukum hy k apny walid ya dada ssy ijazat lsy .(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah # 2341). (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 39th edition, maslah #2342 ). Update on dated 06-03-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
82179
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Assalam Aalaikum Kya nikah k liye ksi zalim ka hona zruri hai. Or arbi may parhna zruri hai ya nikah madari zubaan may parha jabsaktabhai?

Answer: Nikah k sahe hone ki khuch shara,it hain jin k baghair nikah sahi nahi hota jin me se khuch ye hain (nikah k alfaaz ) perhna zarori hay.aurat or merd ka faqat raazi hona kafi nahi 1)Ehtiyaat e wajib he nikah ka seeghah sahih arabi me parha jaay,or agar khud merd or aurat sighah arabi main nah perh saktay hon tu arbi k Alawa kisi dosri zaban main perh saktay hain or kisi ko vakil banana laazimi nahi hay albatta inhe chaie k wo alfaaz kehe jo zawwajto aur qabilto ka mafhoom ada kare maslan phele mahar moiyan karne k baad daime nikah me larki yu kehe k mene is mahar per jo moiyan ho chukka hai apne aap ko tumhari biwi banaya aur is k lamhe bhar baad mard kehe k mene is isdewaaj ko qabool kiya to nikah sahe hai Agar merd or aurat khud daimi nikah ka seegah perhna chahain to, nikah ka meher taay karney k baad pehlay aurat kahay k (زوجتک نفسی علی المھر المعلوم)(Zauwajtoka nafsee alal mahril ma’loom) Or os k baad merd furan kahay (قبلت)(qabilt) tu nikah ho jaay ga. Kunwari(virgin) lerki os waqt tak nikah nahi ker sakti jab tak k lerki ka Baap ya Dada lerki ko nikah ki ijazat nah day day.or yehi hokum ehtiyaat e wajib ki bina(base) per os sorat main bhi hay k jab larki khud mukhtar or balig bhi ho. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah # 2328-2335,2341,2342). Update on dated 16-03-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
82200
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Kya bewa apne jeith se dosri shaadi kersakti hy??

Answer: Jee ker sakti hay.( Ref: Minhajus saliheen, jld#3, pg#57). Update on dated 14-03-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
82309
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: assalam o alaikum mufti sahab merea sawal yeh ha ke mere dost ne ek lerki ke sath humbistri ki aur wo pregnant hu gae ab wo dono ek dusre se shadi kerna chahte han aur bacha abhi bhi lerki ke pet me ha tu kia nikah halal ha aur ager halal ha tu us bache ka kaffara ada kerna hu ga ya phir iska kia hal ha shukriya???

Answer: Agar wo larki touba ker lay to wo larka us say shadi ker sakta hay, or jo pet men bacha hay wo zina-zada shumaar hoga. (Ref: Minhajus saliheen, jild#3, masla#184/382). Update on dated 19-03-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
82310
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: A.o.a agr aik aurat ka shohar hu or wo kisi or sy sath bhi nikka kar le or jis sy wo nikka kar rahi ha os ko sb kuch pta hu or wo phir bhi nikka kar le tu kiya wo os ki biwi ban jaye gi

Answer: Nahi, wo pehly shohar ki hi biwi hogi .Dosray shakhs ko chahiay k wo us aurat say alag ho jaey ,or yeh aurat us per hamesha k liay haram ho jaey gi. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 39th edition, maslah #2366 ). Update on dated 19-03-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
82311
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: A.o.a agr aik aurat ka shohar hu or wo kisi or sy sath bhi nikka kar le or jis sy wo nikka kar rahi ha os ko sb kuch pta hu or wo phir bhi nikka kar le tu kiya wo os ki biwi ban jaye gi

Answer: Nahi , wo pehly shohar ki hi biwi hogi .Dosray shakhs ko chahiay k wo us aurat say alag ho jaey ,or yeh aurat us per hamesha k liay haram ho jaey gi. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 39th edition, maslah #2366 ). Update on dated 17-03-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
82319
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Kya 1he ldke se bina tlaq k dobara nikah kiya ja skta h msla yeh h pehle ghr wale shadi k unki khilaf the to un logon ne nikah kr liya pr ab ghr wale razi ho gye h or un logon ne ghr m nhi btaya h ki unka nikah ho chuka ki bdnami na ho to ab usi ldke se dobara nikah kiya ja skta jisse kisi ko yeh khbr na ho ki pehle nikah ho chuka h

Answer: Agar pehlay nikah larki k baap ya dada ki ijazat k bagher kia tha to wo batil hay ab phir say nikah kerna hoga. (Ref: Al-Masael ul mutakhaba, masla#981). Update on dated 17-03-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
82369
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: \" Meri wife aur meri separation ko 6 month say ziyada hogaye hain.. hum alheda rehtay hain.. kia nikah toot gaya humara ? agar hum dobara ek sath rahe tu reh sktay hain ?.

Answer: Aap ka nikah nahi tootta wo aap ki wife hain aap un kay sath reh sakty hen. (Ref: Mihajus saliheen, jld#3, maslah# 498). Update on dated 28-03-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
83772
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: agr koi shadi shuda larki kisi gair maed ke sath hambistri karti ha to aya ke us ka us ke husband ke sath ikkah toot jaye ga ya nhi

Answer: Agar sohardar aurat zina karay to ehtiyat e wajib ki bina par wo zaani par hamisha k lie haram ho jati hai Yani wo aurat phir khabi bhi zina kernay walay shakhs sai nikah nahi kar sakti hai. Laikin shohar per haram nahi hogi.(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 36th edition, maslah # 2367). Update on dated 09-09-2017. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
84422
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Mera showher mmere saath charsal se nahi na kuch haq ada karta hai aur intehai awara hai talaq paper per nahi dunga latka ker rakhunga kehta hai teen saal ki la taluqi nikah ko kharij karti hai ye sonch ker maine shadi karli mera ek bachcha is hali shoher se hai ab mai ye baad se pareshan hu kya mera nikah jayez hai agar nahi to ab mujhe kya karna chahiye

Answer: Aik shohar daar aurat ka kisi se shaadi karna haram hay lehaza jo aap ne baad mai shadi ki hai (jo k shadi nahi hai) zaroori hai k us shohar sai talaaq liay baghair hi alag ho jain. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 39th edition, maslah #2366 ). or pehle wala hi shohar aap ka shohar hai, haan jahan tak baat hai k wo aap ka haq adaa nahi karta or naan o nafqa nahi daita tu us k lie aap ko chahiay k hakim shara ki taraf rujoo karain or un ko apna masla paish karain or un sai apni talaq ka mutaliba karain. (Ref:jadeed fiqhi masail ayatollah sistani masla no 428 page 241). Update on dated 22-12-17. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
84425
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Assalamualaikum mujhe ye nikha pasand nai tha lekin ghar walaoun ke dabou me kiya magar main ne sirf do bar khubul hai bola tees ri dafa nai bola kiya mera nikha hogaya

Answer: w.salam nikah k liay mard or ourat dono ka razi hona shart hay warna nikah sahi nahi hoga. Haan gar nikah k baad aurat raazi ho jaey tub hi kaafi hay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 39th edition, maslah #2335 point#5). Update on dated 22-12-17. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
84437
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Kia 18 sal sai chota bachon ki shadi jaiz ha ya nahi

Answer: Jaiz hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 39th edition, maslah #2340 ). Update on dated 17-11-17. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
84452
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: janab hame janna hai ki kaya hum chand ki 3,13,9,18 ki tarikh ko nikah kar sakte hai ?

Answer: Jaiz hay. Albattah qamar dar aqrab or chand ki on aakhri tareeh main jin main chand chup jaata hay, nikah kerna makhrooh hay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),minhajus saliheen, part#3, maslah #3). Update on dated 16-11-17. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
84598
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Agar koi ladka kisi shadi suda aurat se zina kr leta hai or uski mafi mang leta hai or fir usi aurat ki beti se us ladke ka nikah ho jay to kya layak hai uska nikal

Answer: Agar koi shohar daar aurat sai zina karey tou ahtiyat e wajib ki bina par wo zani par hamesha k liye haraam ho jati hai.or agar koi shaks naozubillah apni khala ya phuphi k ilawa kisi or aurat sai zina karay tu ehtiyaat e mustahab hai k us ki beti sai shadi nah karay.(yani behtar hay k os se shadi nah kare). (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 39th edition, maslah # 2359,2361 &2367 ). Update on dated 09-11-17. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
84605
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Assalam o alikum. G mera sawal ye hae k kia sunni larki shia larky se nikkah jaiz h? Hamare Nabi pak S.A.w.w ne ijazat di hae iski ya nh .hmare mazhab mae h ya nh ijazat.

Answer: Shia larka nasibiyon k elawa dusre sunni firqon ki larki se shadi kr sakta hai, albatta agr us shia larke ko apne deen se gumrah hone ka khoof hoto phir ye shadi krna haram hai. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 3, Mafhoom e Maslah # 215-221, Eidition 1417 hij) Update on dated 14-11-2017. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print