Please click the button for Quran o Itrat Academy Whatsapp Channel.
Whatsapp Channel
Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+


Question & Answers << Go Back

Topic: Ahkam-e-nikah (1043 Questions)


Showing 850- 900 questions from 1043 questions on this page.

Answers found for searched words
Id:
67375
Mujtahid:
Date:

Question: me apni girlfriend k sath court marriag krna chahta hon.but kia court mariage k bad agr ghr waly agree ho jaen to dobara molvi nikah prhae to glat to ni ho ga.ya hamra nikah theek rhy ga or rishta b

Answer: 1)Kawari(virgin) lerki os waqt tak nikah nahi ker sakti jab tak k lerki ka Baap ya Dada lerki ko nikah ki ijazat nah day dai. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah #) 2)Nikah main seeghah(nikah k bool) perhna zaroori hay. aurat or merd ka faqat razi hona kafi nahi, or isi terah (nikah naama) likhna ehtiyaat e wajib ki bina per kaafi nahi hay. Aqd e nikah ki khuch shara,it hain jin me se khuch ye hain k:- 1)Ehtiyaat e wajib he nikah ka seeghah sahih arabi me parha jaay, or agar khud mard or aurat sigah arabi main nah perh saktay hon tu arbi k alawa kisi dosri zaban main perh saktay hain or kisi ko vakil banana laazimi nahi hay. 2) sigha parhne wala aqal-mand ho or agar apne lie perh raha ho to baligh hona bhi zurari hai . 3)Merd or aurat or uska vakil sigha parhte waqt qasd e insha(nikah ka irada ) rakhte hon. (ref : tauzeeh e ul masayl ayat ullaha sistani (d.b.) masla # 2341, 2328-35)Update on dated 01-10-2015.(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
68217
Mujtahid:
Date:

Question: Humne ek ladki se khud nikah kiya h allah ko gawah banake or wo bhi manti h is nikkah ko par ghar wale manti nahi h hamara nikkah hua ki nahi Sara tarika apna h nikkah me sirf gawah allah tala h koi insan nahi h mujhe bataye ki agar galat h to khud se nikkah kaise kare bahut meharbani hogi tarika quran or hadis ki roshni me

Answer: Kunwari(virgin) larki us waqt nikah (daimi /muta) ker sakti jab larki ka Baap ya Dada lerki ko nikah ki ijazat deden , bas jis jagha aurat k liye baab ya dada se ijazat lena zarori hai agar wo ijazat liye beghair nikah karen to us ka nikah batil hai laikin agar baab ya dada bad me ijazat de den to nikah sahi ho jayega. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2335-2341-2342). Update on dated 21-06-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id:
68244
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Salam! ap en ek question ka jawab ye dia hai k jis k sath zina kia hai os se shadi nai ho sakti aur phir dosry question ma jawab dia hai k jis k sath zina kia ho os k sath shadi krni chahiye? ab ye mjy samaj nai araha..........

Answer: 1) Agar koe shaks kisi aisi bay shohar aurat k sath zina kare jo iddat main nah ho to ehtiyat e wajib ki bina wo shaks is(aurat) k tauba kerne se pehle is se shadi nahi ker sakta.(Ref:Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31th edition,maslah #2364)
2) Agar sohardar aurat zina kray to ehtiyat e wajib ki bina par wo zaani par hamisha k lie haram ho jati hai Yani wo aurat phir khabi bhi zina krnay walay shakhs sai nikah nahi kar sakti hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 2367).

Note: Ye do alag hukum hain. Pehla hukum bay shohar aurat k liay hay jo kis shohar ki iddat main nah ho, or dosra hukum shohar daar aurat kay liay hay.

Print

Id:
68257
Mujtahid:
Date:

Question: Sir mera sawal hai k mn ek Larki se pyar karta hoon aur woh shaadi shuda hai magar us ne talaq li hui hai magar court ne clear nahi kiya talaq ka mn us se shaadi karoon ga jab tak court clear kar de ga us se pehle hum dono MUTA kar sakte hain ????????? please reply

Answer: Court ki talaq durust nahi hoti hay. Agar shohar tamaam sharait k sath talaq de tu talaq ki iddat mukammal ho ne k baad aap os se muta ya daimi nikah ker sakte hain. Talaq ki sharait k liay is link per click karain. (http://www.sistani.org/urdu/book/61/3650/). Update on dated 21-10-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
68259
Mujtahid:
Date:

Question: Kya aik hi shadi shuda joray ka do br nikkah hoskta hai ? Talaq nahi hoi v, lakin woh apnay rishtedaron k samnay dubara nikkah krwana chahein apna tou hoskta hai ?

Answer: 1)Kawari(virgin) ghair mukhtaar lerki os waqt tak nikah nahi ker sakti jab tak k lerki ka Baap ya Dada lerki ko nikah ki ijazat nah day day. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah #)
2)agar nikah tamaam sharait k sath anjaam paya tha tu phir rishtedaaro ko dikhane k liay dobara nikah perha jasakta hay.(Ref: Rcvd by email). Update on dated 21-10-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
68643
Mujtahid:
Date:

Question: Mami ya chachi k sath agar jismani taluk ban jay to kia us ko talaq ho jati hay k nae? Mera question hay plzz ans me

Answer: Agar sohardar aurat zina karay to ehtiyat e wajib ki bina par wo zaani par hamisha k lie haram ho jati hai Yani wo aurat phir khabi bhi zina kernay walay shakhs sai nikah nahi kar sakti hai. Laikin shohar per haram nahi hogi.(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 36th edition, maslah # 2367). Update on dated 14-11-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
69016
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ruhollah Khomeini Date:

Question: Aslamalikum ....sir plzzz mai bht preshan hu...Maine kaie bar ques pucha Lekin ans ni mila ...mera sawal ye hai ki.....mai apni khala ki ladki se nikha krna chata hu.lekin mere ghr wale or uske ghr wale khte hai ki Maine bachpan me ek bar apni nani ka doodh pilaya tha.....is liye nikha jayez nhi hai......mai ap se puchna chata hu ki mere nikha krna jayez hai...ki nhi..

Answer: Sirif aik baar dhoodh peena y se koe faraq nahi perhta, aap k liay apni khala ki baiti se nikah kerna jaiz hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 36,Mafhoom e Maslah #2438-39). Update on dated 18-12-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
69032
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: assalam o alaikum.... mai ye puchna chahti hn k mri ek dost ha wo syedzadi ha mgr bdkismati sy usy ek gair syed larky sy pyar ho gya. halan k syedzadi gair syed k lye jaiz nhi... mgr ab es had tk close hn k ek dussry k bgair reh b nhi skty... wo paryshan ha bht... asa nhi ho skta kya k ab wo nikah kr lain. agr nhi to eska kya kuffara ha? qk syed zadi gair syed k nikah mn nhi aa skti? mgr ksi majburi k tehat asa ho skta ha kya?plz tell me urgent...

Answer: Syed mard ka nikah ghair syeda aurat k saath ho sakta hay or isi terah syedah aurat ka nikah ghair syed mard k saath ho sakta hay. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus saliheen Part # 3, Maslah # 221). Update on dated 17-12-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
69033
Mujtahid:
Date:

Question: Agr larki kay parent uskay sath shadi zbardasti kar rahy hun or larki shadi kay haq mai ni hai to kya parent ka esa karna jaiz ha?

Answer: Lerki ki ijazat k baghair os ki shadi nahi ho sakti. . (Ref : Ayat Ullah Sistani(d.b), Tauzee hul masail, maslah # 2335).Update on dated 17-12-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
69046
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: as salamo alekum, mera naam salim hai me india madhya pradesh ke chhote se zile seoni ke bhoma gaon se hu, mera salawal ye hai ki kya kisi ladki ko bhaga kar shadi karne ke bad ya bese bhi nikha karne ke bad agar walima nahi diya our bachche ho jaye to kya wo haram hai,

Answer: Kunwari larki jo khud mukhtaar nah ho os k liay apne wali (baap ya dada) ki ijazat zaruri hai. Or agar lerki khud mukhtaar ho tu os k liay apne wali (baap ya dada) ki ijazat ehtiyaat e lazim ki bina per zaruri hai. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2328-2335). Update on dated 17-12-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
69047
Mujtahid:
Date:

Question: shadi se pehle agar zina kiye aur tauba kare Allah se, aur usise shadi karliye to ye Nikha Halal hoga?

Answer: Jaiz hay.(Ref: Ayatollah behjat r.h, tauzee masael, maslah#1861)

Print

Id:
69170
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ruhollah Khomeini Date:

Question: Ya ali madad mera sawal yeh hy k maine ek sunni larky sy ghr walon sy chup k nikah kia tha aur ab m us k sath ni rehna chahti aur wo muj divorce ni dy rha olz meri help krein m kia kron plzz jwab zaror dein

Answer: Ye Nikah sahi nahi hai, Q k jo lerki baligh ho or rashida bhi ho yani apni maslihat ki tashkees ker sakti ho , agar wo shadi kerna chahay or agar wo bakira ho tu ehtiyaat e wajib ye hay k wo apnay baap ya dada se ijazat hasil karay. (Ref : Ayatullah khumeni (r.a),Tauzeehul masail , maslah # 2373) Update on dated 24-12-2015.(Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey)

Print

Id:
69308
Mujtahid:
Date:

Question: a.o.a sir main ik larky se buht pyar karte hu woh b buht karta hn hum n buht logo k samny kah hn hum main bv hn.....hum k ik dosry qabool hn tu kia humra nikah hu chuka hn???????????? hum n sb kuch kiya hn or esy e rahty hn jisy humre shadi hui hn kaha jata hn 2 gwah hu tu nikah hu jata hn magr hum n tu kae logo k samny kaha hn k hum k qabool hn ik dosra??????????????? plz mujy zarori ans chahye kia humri nikah hui hn k nahi???????????????????

Answer: Kawari(virgin) ghair mukhtaar lerki os waqt tak nikah nahi ker sakti jab tak k lerki ka Baap ya Dada lerki ko nikah ki ijazat nah day day. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah #) Update on dated 11-01-2016. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
69346
Mujtahid:
Date:

Question: Kaya mae apnae bhai ki beti sa shaadi kar sakta hon or vo bhai ki saghe beti nahi hae wo uski biwi ki pehle shaadi sa hae

Answer: Aap k liay os se shadi kerna jaiz hay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 36th edition, maslah # 2349)Update on dated 01-04-16. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
69352
Mujtahid:
Date:

Question: Kiya sotela bap mehram Hota ha aik aurat Ka shohar inteqal kerjain n Wo dosra nikkah kerlain phelay shohar say Beti ha Tu Kiya Beti Kay liye Wo bap mehram ha??

Answer: Agar koi shakhs kisi aurat sai nikah karay aur is k sath hambistri kray to is aurat ki larki is mard ki mehram ho jati hai chahae wo shadi k waqt moujood ho ya baad mai paida ho.(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 2351-52). Update on dated 01-04-16. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
69366
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: salam mera sawal ha kay bap ki ijazat kay bgair mai larki say mutta kr sakta hun kia agar ye mumkin na ho kay wo apnay bap say pochay ?? jaisay app nay aik que kay answer may likhakay agr baap ya dada os merd k saath osay shaadi kernay ki ijzat nah daitay hon jo sharan(Ismlam ki nazar main) or urfan(maa

Answer: Ijazat laina hogi Q k Kunwari lerki os waqt tak mutah nahi ker sakti jab tak k lerki ka Baap lerki ko nikah ki ijazat nah day day or yehi hokum ehtiyaat e wajib ki bina(base) per os sorat main bhi hay k jab larki khud mukhtaar or baligh bhi ho. Haan agar larki ka baap os merd k sath osay shadi kernay ki ijzat nah daitay hoon jo sharan(Islam ki nazar main) or urfan(mea’ashay ki nazar main) os k brabari(equal) ka ho tu ijazat ki zarorat nahi.(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah # 2341,2342). Update on dated 20-02-16. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
69392
Mujtahid:
Date:

Question: kya syedzadi ka nikah ghair syed say jaiz hay? quran o hadees say daleel dain

Answer: Syeda shia aurat ka nikah ghair syed shia merd k saath hosakta hay. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus saliheen Part # 3, Maslah # 221) Update: 13-02-2015. (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
69568
Mujtahid:
Date:

Question: Kia mamo ka sath rishta jaiz ha or agar jaiz ha to plz mujha koi mazifa batai taka woh mujh sa mangane kar la q ka hum dono aak dosra sa bohat piyar karta ha plz iss ka jawab abhe chahia

Answer: Mamo mehram hay, is se nikah jaiz nahi hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 36,Mafhoom e Maslah #2349). Update on dated 22-01-2016. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
69690
Mujtahid:
Date:

Question: aslam u ale kum islam me shadi shadi kis kis se kar sakte hen maslan khala,bhufu,mami,bhanji,bhateji

Answer: On aurtoon k sath jo insan ki mehram hain nikah kerna haram hay.Maslan maan,behen,baiti,phophi, khala, bhatiji,bhanji,saas. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 36,Mafhoom e Maslah #2382). Update on dated 05-02-2016. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Note: tafseel k liay aap is link per click karain.( http://www.sistani.org/urdu/book/61/3649/ )

Print

Id:
69700
Mujtahid:
Date:

Question: Kya kisi asi aurat ki bati se shadi ho skti ha jis se najiz taluqat rahy hon

Answer: Agar koe apni phophi ya khala k alawa kisi or aurat se zina kare tu ehtiyaat e mustahab ye hay k oski baiti k sath shadi nah kare. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 36,Mafhoom e Maslah #2361). Update on dated 01-02-2016. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
69703
Mujtahid:
Date:

Question: Kya apni sagi chachi k bahan se nikah jayaz h.

Answer: Jaiz hay. (Ref:Minhajus saliheen,ayatullah sistani d.b, part#3, maslah#90). Update on dated 01-02-2016. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
70241
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: kia islam ma walda ki cousin sa nikah krna jaiz ha ya ni

Answer: Waalda ki cousin se nikah jaiz hay. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 3, Mafhoom e Maslah #90 , Eidition 1427 hij). Update on dated 10-03-16. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
70248
Mujtahid:
Date:

Question: Sir Main jissy pyar karti hon ussy many Mobile message pr nikkah kr liya ALLAH ko hazir o nazir rakh k.. Kiaa humara nikkah jaiz ho gaya such main Allah ki raah main Yeh qabool ho jaye ga ?????

Answer: Ye nikah durust nahi. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #2335). Update on dated 02-03-16. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
70253
Mujtahid:
Date:

Question: Mobile pr nikkah krty waqt 2 log us main gawah b shamil thy Kia Ab b yeh jaiz nahi?

Answer: Nikah main gawah ka hona zarori nahi hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #2335). Update on dated 10-03-16. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
70262
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Abul Qasim e Khoie Date:

Question: Kiya parents ki ijazat ke bgair bhaag kr court marriage krna jaiz ha ya na jaiz???

Answer: Jo lerki had e buloogh ko pohonch chuki ho or rasheeda ho yani apni bhalae burae jaanch sakti ho agar wo shadi kerna chahay or konwari ho tu ehtiyaat e wajib ki bina per osay chahiay k apnay baap ya dada se ijazat lay. (Ref:Ayat Ullah Khoe(r.a), Tauzee hul masael, Mafhoom e Maslah #2385). Update on dated 10-03-16. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
70274
Mujtahid:
Date:

Question: Aik ladki ko nikkah me kya padhaya jata hai

Answer: Nikah main seeghah (nikah k alfaaz ) perhna zarori hay.aur agar larki ki taraf se koi vakeel seeghah perh de to larki ko khuch perhna zarori nahe hai. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah # 2328-2335,2341,2342) . Update on dated 23-08-16. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
70284
Mujtahid:
Date:

Question: Aslamualikum Phle to bohat shukriya mere sawal ka jawab dene ke liye. Mujhe ek or sawal pochna tha meri ek dost hai or uske gher walon ne uski marzi ke khilaf uska nikah karwa diya hai wo us rishte se khush nahi hai pr wo yhe bat apne waldain ko b nahi khna chahti wo. To kia jab koi larki kisi ko dil se qubool ni karti to kia nikah nahi hota? Or usko is mamle mein kia karna chahiye? Please meri dost ki help kariye.

Answer: Nikah k sahe hone ki sharait me aik ya hai k aurat aur mard nikah per razi ho.ha agar bazahir napasadeedghe ka ishaar kare aur malooom ho k dil se raze hai to nikah sahe hai aur agar dil se razi nahe hai to nikah sahe nahe hai. Agar aurat aur mard ko ya in me se kise aik ko isdewaj (shadi) per majboor kiya jaay aur nikah k baad wo ijazat de de to nikah sahe hai.laikin behter ye hai k dobara nikah perha jaay . (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah #2335,2339, 2379 ) . Update on dated 23-08-16. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
70294
Mujtahid:
Date:

Question: agar larka larki ka rishta teh hota hai or phr unka nikah ho jata hai or nikah k 2 sal bad rukhsati hoti hai to ye jaiz hai k nikah 2 sal tak rehta hai ya nhi. agar nhi reh sakta 2 sal tak to resion btae with hadees nabvi(s.a.w) or agar 2 sal tak reh sakta hai nikah to phr b hadees ya koi quran ki ayat brae is k bare mai.

Answer: Sigah nikah k zarie mard aurat per aur aurat mard per halal ho jate hai(yani mian biwi wale talukat qaim ker sakte hai) .(Aur nikah k baad rukhsati hona zarori nahi hai) (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) before Masla # 2328) . Update on dated 23-08-16. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
70321
Mujtahid:
Date:

Question: agar koi mard apni bewe ka kapray nikalay tho ye teak hai ya galat...aur us ke wajoob ko daikay...

Answer: Biwi aur shohar k liay apni sharamghao ko aik dosere se chopaana laazim nahi hai. auraik dosere ki sharamgha ko dekh sake hai. (Ref: sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah#53,). . Update on dated 23-08-16. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
70345
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Is Nikah of syedzadi to non syed is acceptable or not??

Answer: Yes, it is acceptable according to Islam. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 3, Mafhoom e Maslah #221 , Eidition 1427 hij). Update on dated 12-03-16 . (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
70377
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: jab mai be shadi shuda thi tab maine ek shaqs k saath zina kia aur fir usi k saath nikah bhi bina tawbah kiye huye.. ye mera pehla nikah hai. aaj humari shadi ko 6saal ho gye hai aur humari abhi koi aulad nhi ..kya humara nikah jaiz hai aur agar ye nikah haraam hai toh iske liy kya hume ek dusre ko talaq deni hogi ya bina talaq diye tawbah krke dobara nikah krna chaiye ...mere walid mujse mere shauhar ko talaq dene ko bol rahe hai kyuki ye nikah haram hai aur mera nikah kisi aur k sath muntakhib krna chahte hai kya unke kehne par amal karna laazmi hai..jawab dein muje apke jawab ki sakht zarurat hai ilm or deen ki roshini me...

Answer: 1-kawari(virgin) lerki os waqt tak nikah nahi ker sakti jab tak k lerki ka Baap ya Dada lerki ko nikah ki ijazat nah day day.or yehi hokum ehtiyaat e wajib ki bina(base) per os sorat main bhi hay k jab larki khud mukhtar or baligh bhi ho. agar lerki kawari nah ho tu os k liay baap ya dada ki ijazat ki zororat nahi hay. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah # 2341,2342).
2)Agar koe shaks kisi aisi bay shohar aurat k sath zina kare jo iddat main nah ho to ehtiyat e wajib ki bina wo shaks is(aurat) k tauba kerne se pehle is se shadi nahi ker sakta.(Ref:Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31th edition,maslah #2364). Update on dated 14-03-16.
Note: in dono fatwo k mutabiq aap ka nikah durust nahi. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
70385
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ruhollah Khomeini Date:

Question: Nikah k time Molana sahab ne Larkay say Qabool nhe krwaya, Lekin Nikah nama par sign bhe krway. Nikah ka khutba bhe parha. Larki se qabool krwaya gya ha. Kya yeh Nikah jaiz ha ya nhe?

Answer: Agar lerka nikah per razi tha tu niakh durust shumaar hoga. (Ref:Ayat Ullah khumeni(r.a), Tauzee hul masael, Mafhoom e Maslah #2378). Update on dated 11-03-16. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
70419
Mujtahid:
Date:

Question: Kya dadi ki behan ki beti se nikah jaiz haiz?

Answer: Jaiz hay. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 3, Mafhoom e Maslah #90 , Eidition 1427 hij). Update on dated 25.0316. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
70590
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Kya talaq yafta larki se zinah k bad nikah jaiz hai ya nhi

Answer: Agar koe shaks kisi aisi bay shohar aurat k sath zina kare jo iddat main nah ho to ehtiyat e wajib ki bina wo shaks is(aurat) k tauba kerne se pehle is se shadi nahi ker sakta.(Ref:Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 36th edition,maslah #2364). Update on dated 28-03-16. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
70800
Mujtahid:
Date:

Question: Agr Kisi Larki K Sath Sex Kia Ho to us Larki Ki Tauba k bad Apus me Bhaith K Usk Sath Nikah Ho sakta Hay Larka Or Larki Apna Nikah Khud Parh sakte Hain ?

Answer: 1-Agar koe shaks kisi aisi bay shohar aurat k sath zina kare jo iddat main nah ho to ehtiyat e wajib ki bina wo shaks is(aurat) k tauba kerne se pehle is se shadi nahi ker sakta. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 36,Mafhoom e Maslah #2364).
2-wo Kunwari larki jo khud mukhtaar nah ho os k liay apne wali (baap ya dada) ki ijazat zaruri hai. Or agar lerki khud mukhtaar ho tu os k liay apne wali (baap ya dada) ki ijazat ehtiyaat e lazim ki bina per zaruri hai. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2328-2335)
3-Zina k baad bhi is per kanwari k ehkamaat hi jaari hoon gaey. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 3, Mafhoom e Maslah #70 , Eidition 1427 hij). Update on dated 23-04-16. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
70820
Mujtahid:
Date:

Question: Kia Khalo or phuppa se parda hai??

Answer: Jee haan, aurat ko in dono se perda kerna wajib hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #90). Update on dated 16-04-16. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
70985
Mujtahid:
Date:

Question: Mein ye sawal pehle b kar chuka hun leken koi jawab nahi diya hai ap logo ne please mujhe is sawal ka jawab den k Kia Bete per baap ki dusri bivi mehram hai Talaq k bad ya baap K fout hojany k bad.

Answer: Jee haan,har sorat main mehram hay. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 3, Mafhoom e Maslah #155 , Eidition 1427 hij). Update on dated 07-05-16. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
71007
Mujtahid:
Date:

Question: Kya apne jija ki bhai ke beti se nikah ho sakti hai.

Answer: Jaiz hay. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 3, Mafhoom e Maslah #155 se188 , Eidition 1427 hij). Update on dated 07-05-16. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
71150
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: nikah kr sakte hain ladka ladki dono sirf dono....

Answer: Kawari(virgin) lerki os waqt tak nikah nahi ker sakti jab tak k lerki ka Baap ya Dada lerki ko nikah ki ijazat nah day day.or yehi hokum ehtiyaat e wajib ki bina(base) per os sorat main bhi hay k jab larki khud mukhtar or baligh bhi ho. agar lerki kawari nah ho tu os k liay baap ya dada ki ijazat ki zororat nahi hay. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah # 2341,2342).Update on dated 10-05-16. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
71795
Mujtahid:
Date:

Question: Assalam-o-alaikum kya larka aur larki apna nikah khud ker sakte hain khuda ko gawah bna ker

Answer: Nikah k sahe hone ki khuch shara,it hain jin k baghair nikah sahi nahi hota jin me se khuch ye hain (nikah k alfaaz ) perhna zarori hay.aurat or merd ka faqat raazi hona kafi nahi 1)Ehtiyaat e wajib he nikah ka seeghah sahih arabi me parha jaay,or agar khud merd or aurat sighah arabi main nah perh saktay hon tu arbi k Alawa kisi dosri zaban main perh saktay hain or kisi ko vakil banana laazimi nahi hay albatta inhe chaie k wo alfaaz kehe jo zawwajto aur qabilto ka mafhoom ada kare maslan phele mahar moiyan karne k baad daime nikah me larki yu kehe k mene is mahar per jo moiyan ho chukka hai apne aap ko tumhari biwi banaya aur is k lamhe bhar baad mard kehe k mene is isdewaaj ko qabool kiya to nikah sahe hai Agar merd or aurat khud daimi nikah ka seegah perhna chahain to, nikah ka meher taay karney k baad pehlay aurat kahay k
(زوجتک نفسی علی المھر المعلوم)(Zauwajtoka nafsee alal mahril ma’loom) Or os k baad merd furan kahay (قبلت)(qabilt) tu nikah ho jaay ga.
Kunwari(virgin) lerki os waqt tak nikah nahi ker sakti jab tak k lerki ka Baap ya Dada lerki ko nikah ki ijazat nah day day.or yehi hokum ehtiyaat e wajib ki bina(base) per os sorat main bhi hay k jab larki khud mukhtar or balig bhi ho. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah # 2328-2335,2341,2342). Update on dated 26-06-16. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
71846
Mujtahid:
Date:

Question: Assalam-O-Alaikum Mera que ye h k agr koi admi roza rakh k so jata h kuch der baad ussy gussal e janabat ho jata h to kiya roza toot jaye ga ?.....aur kiya roze men gussal kar lena chaiye yaan phir roza aftaar krny k baad?

Answer: Agar rozedaar ko neend me ahtelaam (mani kharij ho jaay) to is ka roza batil nahe hota.
Agar kise rozedaar ko din me ahtelaam ho jaay to is per fouran ghusal karna wajib nahe hai balke namaaz se phele bhi ghusal kiya jasakta hai . (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #1571 ,1605). Update on dated 12-07-16 . (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
71859
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Sir maine na samjhi ma aik larky ko kaha k mai Allah, Rasool SAW aur Quran ko hazir nazir jaan kr husband mana but wo banda theek ni tha ub wo kehta hmara nikah ho gya hai shariat ki roo sy kya nikah ho gya hoga? Answer me plz

Answer: Is terah nikah nahi hota. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #2328-2335,2341,2342). Update on dated . (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
72284
Mujtahid:
Date:

Question: kiya father aur mother ki sagi cusion say nikah jayz hai

Answer: Jaiz hai. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhajus saliheen, part#3,,Mafhoom e Maslah #90-228). Update on dated 14-07-16. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
72648
Mujtahid:
Date:

Question: sir mera nam naveed 2sal phly mujy aik larki say muhabbat ho gai lekn ius ky ghar wly ius ki shadi khi or karwna chaty thy lekn hm dono ny mil ky Quran majeed pay hath rakh ky nikha krlia 3dfa ius ny nam lay ky qabool ha qabool ha kha 3dfa mny hmary pas or koe hal nahi tha kia islam my izzat many parha ha Kay agr larki razi ho nikha krskty hn

Answer: Jee, nikah me arbi me sigah parhna zarori hay quran pak pe hat rakhny ya ordu waghera me kehny se nikah sahi nhy hota. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #2335). Update on dated 28-09-16. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
72650
Mujtahid:
Date:

Question: sir mera nam naveed 2sal phly mujy aik larki say muhabbat ho gai lekn ius ky ghar wly ius ki shadi khi or karwna chaty thy lekn hm dono ny mil ky Quran majeed pay hath rakh ky nikha krlia 3dfa ius ny nam lay ky qabool ha qabool ha kha 3dfa mny hmary pas or koe hal nahi tha kia islam my izzat ha

Answer: Ehtiyaat e wajib ki bina Nikah ka segha arbi me parhna zarori hay quran pak pe hath rakhnay ya urdu waghera me kehny se nikah sahi nahi hota. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #2335). Update on dated 27-09-16. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
72669
Mujtahid:
Date:

Question: Muj sy ik larka nikah krna chahta hai lekin hmari families razi ni ho rhi wo phr b muj sy nikah krna chahta h kya ghr walu ki marzi k bagair hmara nikah ho jae ga agr hm proper gawahon ko ly kr nikah kren to

Answer: jo larki san e bologh ko pohanch chuki ho our rashida ho agr shadi karna chaheye our kanwari ho our apni zendgi ke omor khud muteyari se injam na deti ho to usy bap our dada se ejazat lena zarori hay our agr khud muteyari se apni zendgi ke omor anjam deti ho to ehtiat wajeb ki bena par bap our dada se ejazat lena zarori hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #2341). Update on dated 17-09-16 . (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
72733
Mujtahid:
Date:

Question: Sagi phupi ki beti se nikah jayz h ya nhi

Answer: Jaiz hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 37th edition, maslah #2349 ). Update on dated 26-08-16. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
72734
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Abul Qasim e Khoie Date:

Question: Kya ak ladka usse umar main badi ladki se nikha kar sakta hai

Answer: Shia mard ki shadi shia aurat se ho sakti aur aurat aur mard ki umar k bara ya chota hone se koi faraq nahe perhta. (Ref : Ayat Ullah khoe, Minhaajus saliheen Part # 2,pg:425, Maslah # 1300). Update on dated 26-08-16. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
72741
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Kia shadi sy pehly boy or girl face to face 1 dusry ko dekh skty hay i mean jb rishta ho rha ho to kia 2no 1 dusry ko dekh k pasnd kr skty hay kindly tel me

Answer: Mard jis aurat se shadi ka irada rakhta ho lazzat ki niyat k beghair us k face ko daikh sakta hai. (Ref: aqa sistani,Jadeed faqhi masail , masla # 424, pg # 240, eidition 5)
Agar lazzat k irade beghair aur haraam me mubtela hone k khuof na ho aur kise fasaad ka bais na ho to jis aurat se mard shadi karne ka irada rakhta ho us se guftagho karna jaiz hai. (ref:shadi k ahkaam ,part:4,author syed mujtaba hasani,fatwa aqa sistani,pg:28). Update on dated 26-08-16. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
72744
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Abul Qasim e Khoie Date:

Question: meri shadi k 4sal ko khula howa ab khula hoke 7 mahine howe my ab unse phir se shadi karna cha ho to o jayaz hy ya nahi...

Answer: Iddat khatam hone per os saabqa bivi se nikah jaiz hay. (Ref:Ayat Ullah Khoe(r.a), Tauzee hul masael, Mafhoom e Maslah #2531). Update on dated 26-18-16. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print