Please click the button for Quran o Itrat Academy Whatsapp Channel.
Whatsapp Channel
Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions:


Question & Answers << Go Back

Topic: Ahkam-e-nikah (1030 Questions)


Showing 800- 850 questions from 1030 questions on this page.

Answers found for searched words
Id:
63201
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: kia talak yafta Bazari aurat se mutaa karna jaiZ ha?

Answer: Jo aurat zina kaar mashoor ho to ehteyat e wajib ki bina per os aurat k toba karne se phele is k saath shadi karna jaiz nahe hai. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #2364). Update on dated 21-04-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
63232
Mujtahid:
Date:

Question: Kia mene apne husband ki koob me full open hokar unka lund apne andar lekar lipkissing krte howe sex lesakti hn plz tell me i relly naaad

Answer: Jaiz hay. (Ref : Mafhoom e Email rcvd from Ayatullaha Sistani d.b.). Update on dated 17-04-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id:
63274
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Salam Allah aap ki sehat or taufiqat may izafa kry Agha agr larka or larki khud apna nikah parhna chahy to kia seghay parhain gy pls arbibi text ya link send krain isis tarha husband wife tallaq krna chahy to by self jo seghay parhy jain gy wo send krain Lots of thanks n Duas

Answer: 1)Nikah me alfaaz perhna zarori hain.:- Ehtiyaat e wajib he nikah ka seeghah sahih arabi me parha jaay,or agar khud merd or aurat sigha arabi main nah perh saktay hon tu arbi k alawa kisi dosri zaban main perh saktay hain or kisi ko vakil banana laazimi nahi hay. 2) . Merd or aurat sigha parhte waqt qasd e insha(nikah ka irada ) rakhte hon. Agar merd or aurat khud daimi nikah ka segha perhna chahain to, nikah ka meher taay karney k baad pehlay aurat kahay k (زوجتک نفسی علی المھر المعلوم)(Zauwajtoka nafsee alal mahril ma’loom) Or os k baad merd furan kahay (قبلت)(qabilt) tu nikah ho jaay ga. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #2328+ 2333). Update on dated 30-04-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
2)Talaaq ki chand shartain hain jin ki pabandi nah ki jaay tu talaaq nahi hoti. 1.talaq k waqt aurat haiz or nifaas say paak ho or is paaki k doran merd nay jima(intercourse) nah kia ho. 2.talaq zabani di jaay.yani likh ker talaq dayna batil hay or talaq nahi kehlaay gi. 3. Talaq ka seegha sahi arabi main lafz e “طالق” k saath perha jaay maslan agar kise ki biwi ka naam Fatima ho to shohar ye kahe : “ طالق ------ زوجتی” (zowjatee…. taaliq) . ( --- ) me zauja ka naam le 4.talaaq do aadil(jo zaahiran gunahgaar nah hoon,or wajib kaamo per amal kertay hon or haram kaamo say bachtay hon) gawahoo ki maujoodgi main di jaay. 5.zarori hay k merd talaq apne ikhtiyaar se day or agar osay apni bivi ko talaq daine par majboor kia jaay tu talaq batil hay. 6. Merd talaq k waqt talaq ki niyat rakhta ho,layhaaza agar wo maslan mazaaq ya nashay ya ghussay ki halat main talaq day tu,talaaq sahi nahi hogi. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #2462 to 2472). Update on dated 30-04-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
63292
Mujtahid:
Date:

Question: Kya prents ki ijazat k bina shadi krna jaiez hai???jo log bina maa baap ki ijazat k nikah krty hain kya wo jaiez hai plz ans me jaldi 2nd Q kya koi larki quranPak py hath rakh k Allah or Nabi(PBUH) KO gawah maan k larky ko apna shohr muntahib krnae ki liy 3 br qabool hai kahey or kalma parh ly to kya nikah mumkin hai or es doran os k prnts kaheen or shadi krna chahain to kya kia jay?

Answer: Jee nahi ye nikah sahi nahi hai.(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2335-2341-2342). Update on dated 20-11-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey)

Print

Id:
63539
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Abul Qasim e Khoie Date:

Question: assalamwalekum miane ek kafir ladki se nikha kiya. aur nikha se pahle myne use islam ke bare me sb kuch sikhaya. aj bh my roz rat ko sone se pahle use islam ki puri history aur allha ke bare me batata hu. humare jine se leke marne tak hume islam ki jo shariyat hai wo sb sikhaya. kya mre nikha jayaz hai.

Answer: Agr us larki ne nikah k wqt islam qabool krliya tha, or us larki k wali(bap ya dada) ne usko nikah ki ijazat di thi to nikah sahi hoga lekin agr in baton men se koi ek bat bhi nahi thi to nikah sahi nahi hoga.(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2362-2341-2342). Update on dated 20-11-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey)

Print

Id:
63547
Mujtahid:
Date:

Question: salam,mera sawal ye heke larki agr sunni ho aur larka shia to kya un dono ka nikah jaiz hga?

Answer: Jee han jaiz hai.(Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 3, Mafhoom e Maslah # 215, Eidition 1417 hij). Update on dated 20-11-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
63548
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ruhollah Khomeini Date:

Question: Assasala moalikum Kya do sagi behen se shadi karna jayaz hai, agar jayaz hai to kin halaato mai ,Quran aur hadis ki roshni mai jawab dijiye

Answer: Jee nahi jaiz nahi hai.(Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 3, Mafhoom e Maslah # 173, Eidition 1417 hij). Update on dated 20-11-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
63550
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: SALAM, ME NE EK SAWAL BHEJA THA LAKIN AB TAK KOI JAWAB NHI AAYA? MERA SAWAL YE HAI K NIKHA K BD OR RUKHSATI SE PHELA AGAR MASHRA ME IJAZAT NHI HAI TO LARKI K LYA ZARORI NHI HAI K WO KHUD KO HUSBAND K SAMNE PESH KRE LAKIN AGAR PESH KR DE YA HUSBAND YA WIFE ASI DEMAND KRE YA PHN PER KOI AASI BAT KRE YA HUMBISTARI KRE TO IS BARE ME KIA HUKAM HAI KIA IS KA KOI GHUNA HAI YA YE KARNA IS K KRE ME BHE WOHE SAWAB HAI TO JO RUKHSATI K BD HAI OR RUKHSATI SE PHELA KRNA ME BHE PHELA SHADI KI RAT WALE AMAL KRNE PERHA GA. WAITING FOR YOUR BEST REPLY JAZAKALLAH

Answer: Agr riwaj yehi ho k jab tak rukhsati nahi hoti us wqt tak larki apne apko apne shohar k liye pesh nahi krti, is tarah k goya rukhsati se is ko ek zimni shart samjha jata ho to phir larki per wajib nahi hai jab uska shohar us se mutaliba kre to wo us ki ita’at kre, Albatta Nikah k zariay aurat mard per aur mard aurat per halal ho jate hain, lehaza agr pesh kar chuki ho to un per koi gunah nahi q k jaiz hai.(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # after 2327)( Mujtahid se poochhe gaye sawalat,Edition# 2nd,Mafhoom e Maslah # 149, page # 72). Update on dated 20-11-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey)

Print

Id:
63670
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Asllam-o Alikum mujhe aap se quran wa hadees ke roshni main apni bat ka jwab chahy ke jub larke aur larki ke din rakhy jaty hain to kiya larky ka apni man aur mami ke sath un ke gher jana jayz ha plz jbab jaldi den

Answer: Wssalam o alykum, Jaiz hay. (Ref: Nigaah o Libaas , baab # 4 , sawaal # 94 , Mafhoom e pg # 64). Update on dated 07-05-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
63680
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Assalaamu alaikum, I am working as a in Saudi Arabia,my age is 28 yrs and residence of India lucknow, I was engaged with one girl in Lucknow age 26yrs itself for one year it was suppose to arrange marriage , till one year we are talking and sharing thoughts of each other for our future , and we started loving each other a lot as if we cant stay without each other now , but girls father is noe having some issue he is not getting ready for this marriage we as well as girl family members try to convince him but he is not getting ready for this , everyone in his and my home had talked with him but he is not getting ready, now we are planning to do nikaah without telling her father my family members will be there at the time of nikaah and her mother and sister will be also there for the same. Please suggest us that this will be ok according to the our culture, as we try a lot to convince her father

Answer: Nikah sahi nahi hoga Q k nikah mai shart ye hai k kawari (virgin) lerki os waqt tak nikah nahi ker sakti jab tak k lerki ka wali (Baap ya Dada) larki ko nikah ki ijazat nahi deden.or yehi hokum ehtiyaat e wajib ki bin (base) per os sorat main bhi hay k jab larki khud mukhtar or baligh bhi ho. agar lerki kawari nah ho tu os k liay baap ya dada ki ijazat ki zororat nahi hay. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, Mafhoom e maslah # 2341,2342). Update on dated 05-05-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
63686
Mujtahid:
Date:

Question: agar larki khula lana chti khula k bad wo ye chti h k m dobara us s shadi kru to kia wo ker skti hai.

Answer: Talaq e Khula ki Iddat khatam hone k baad pehle shohar se nikah karna jaiz he, lekin agr iddat k doran dubara rishta barqarar krna chahen to orat ne talaq e khula k badle jo mal shohar ko diya us se wapisi ka mutaliba kre or shoahar wo mal orat ko wapis dede to di hui talaq rijee hojayegi, or talaq e rijee men shohar k ruju krne se wo dobara miyan biwi shumar honge, dubara nikah ki bhi zarurt nahi rahegi. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2486-2498). Update on dated –2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
63717
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Aslam O Alikum mera sawal hy ak larki py taweez kr k usko apni trf kia ho or wo ye b na janti ho k nikkah ka tarika kia hy kis trha kia jata hy usko arabic seegho ka matlb b na ata ho na larka mahr muqarar kry us larki ko kahy k pahly seeghy tum parho phr mai larki parh dati hy to kia asy nikkah ho jata hy or jb jadoo taweez ka asar khtm hota hy to larki ko us larky sy hmesha ki trha nafrt rhy to kia wo nikkah tha jb larki janti na hn nikkah ka tarika na maher na seegho ka matlb

Answer: Jee nahi ye nikah sahi nahi hai. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2335-2341-2342). Update on dated –2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
63725
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Abul Qasim e Khoie Date:

Question: Maine or Ek ladki ne sath me ek jagah baith Kar hum dono ne teen baar nikah qubool kiya tha kya wo nikah hua tha ki nahi mujhe ans dijiye pls

Answer: Jee nahi ye nikah sahi nahi hai. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2335-2341-2342). Update on dated 20-11–2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey)

Print

Id:
63775
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: SALAAM, SIR ME PHELA BHE DO BAR YEHE SAWAL PUCH CHUKA HUN BUT ABHI TAK KOI JAWAB NHI AAYA PLEASE ANSWER ME MERA SAWAL HAI K NIKHA K BD OR SHADI SE PHELA LARKI K LYA ZARORI NHI HAI K KHUD KO PESH KRE LAKIN AGAR KR DETI HAI TO IS BARE ME KIA HUKAM HAI OR AGAR NIKHA K BD HAM BISTARI AGAR KRTE HAI TO US KA BHE WAHE TAREKA HO GA JO SHADI KI PHELI RAT KO HOTA HAI OR KIA SHADI K BD JO HAM BISTARI KA SAWAB HAI WO BHE MILE GA THANKS JAZAKALLAH

Answer: Agr riwaj yehi ho k jab tak rukhsati nahi hoti us wqt tak larki apne apko apne shohar k liye pesh nahi krti, is tarah k goya rukhsati se is ko ek zimni shart samjha jata ho to phir larki per wajib nahi hai jab uska shohar us se mutaliba kre to wo us ki ita’at kre, Albatta Nikah k zariay aurat mard per aur mard aurat per halal ho jate hain, lehaza agr pesh kar chuki ho to un per koi gunah nahi q k jaiz hai.(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # after 2327)( Mujtahid se poochhe gaye sawalat,Edition# 2nd,Mafhoom e Maslah # 149, page # 72). Update on dated 20-11-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey)

Print

Id:
63779
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Abul Qasim e Khoie Date:

Question: Assalamu Alaikum mujhe ek masla pata karna hai mera rishta ek ladki se hua hai meri magni b ho gayi unse main bas unse mila nhi bas bat karta hu phone par lekin maine unke bare me bht kch pata lagaya unke kafi ladko k sath affair the oe hindu ladko k sath b zina kiya unhone or ye baat wo mujhse bht tym tak chupati rahi or ab mjhse maafi mang rhi hai kya main unse nikah karu ab ya nhi aap mjhe bataye main kya karu janab

Answer: Mard ko chahae k jis aurat se shadi karna chahta he os me on sifaat aur khososiyaat ko pesh e nazar rakhay jo aik misali khatoon me honi chahae jo pak daman, shareef ul asal aur kunwari ho. (Ref : Ayatullah Khoe r.h, Minhaj Saliheen part#2 , Mafhoom e maslah #1230 , Pg #405). Update on dated 27-04-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
63800
Mujtahid:
Date:

Question: salam mra sawl kuch ajeeb hai lekin us ne boht parshan kr dia hai ab mujy' mujy pochna ye hai ke bachpan mai jb mai 8,9 sal ki the tb bot logon ne mujy use kiya hai us ke bad mry apne real bhai ne mujy boht bar use kiya hai ab sub mujy kehty hain ke mai shadi kr lon kia ab mai shadi ke qabil rhi houn mujy ni pta sex kia hai but mai use ho chuki hon plz jwb jaldi dena ap aur is gunha ka kaffra be krna chahti houn plz mri renomy kren ap mai umer bhar ap ki shukr guzr rahon gi

Answer: Aap shadi kar sakti han. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah #2364 ) aur jis se ghunah hoa hai wo Toba karein Parwar digar ne quran me wadah kia he k wo toba karney waloo ki toba ko qabool karta he aur aisa hargiz nahi ho sakhta he k wo apne wade per amal na karey. Aur ghuna se bachney k lie mazboot irada chahiay. (Ref Mafhoom e http://www.sistani.org/persian/qa/0864/ ) . Update on dated 25-04-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
63821
Mujtahid:
Date:

Question: AOA.mera question yeh hai k kia me apni mangetor sy do bar nikah kar sakta hu.mtlab ak bar pehly jab hamra relation start ho ta k agr hum sy aisa kuch ho jay tu wo guna me na ay.or dosri bar tab jab gar walay karwain.or agr meri mangetor sirf is waja sy apny bap sy ijazat na lay sakty ho k wo usay dantain gay tu kia hum kar saktay hain nikah??or jab rukhsty k wakt nikah ho ga tab mere gar walu ko pata chal sakta hai kia k inu ny pehly sy hi nikah kiya hua hai?

Answer: Bager walid ki ijazat k kunwari larki ka nikah nahi hosakta.(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #2341). Update on dated 20-11-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey)

Print

Id:
63837
Mujtahid:
Date:

Question: AGAR LARKI SHADI NA KRNA CHAHTI HO OR US K WALDAIN RAAZI HON OR SHOHAR K SATH US KE GHAR WALE BHI RAAZI HON TO AISI SOORAT ME KYA HUKUM HAI ...OR DOSRA YE K NIKAAH SE PEHLE MIAN BIWI AIK DOSRE K SATH GANDI BATEN KAR SAKTE HAIN YA NAHI OR AGAR NIKAH SE PEHLE MUBASHRAT JIMA KIYA TO US LARKI SE NIKAH FARZ HO JAYE GA

Answer: 1)Larki ki raza-mandi k baghair nikah sahi nahi hai. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2335)2)Nikah se pehle is terhan ki fehesh batain karne ki ijazat nahi hai.(Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 2, Mafhoom e Maslah #34 , Eidition 1427 hij).3) Agr larka or larki ne nikah se pehle jima kiya hai to Ehtiayat e wajib ki bina per wo larki jab tak toba na krle tab tak wo larka us larki se shadi nahi kar sakta.(Ref: Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #2364). Update on dated 20-11-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey)

Print

Id:
63851
Mujtahid:
Date:

Question: salam janb ek shadi hoi larki jis k husband na us ko 4 year sa chora hua tha koi talook ni tha par devoos ni di thi un k kisi larky sa talooqat qaim ho gey har tarha k kia wo ab muuta kar sakty ha ya ni ya koi rasta ho us ki zindagi ma anay ka jub k ab us larki k husband ki death ho gai ha

Answer: Ab ye larki ehtiyat e wajib ki bina per us larke per hamaesha k liye haram hogai hai, koi aysa rasta ab nahi hai jis se ye us larke k nikah men nahi aasakti chahe us larki ka shohar ab marchuka ho.(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2367). Update on dated 20-11–2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
63911
Mujtahid:
Date:

Question: jiss larki k sath beghair nikkah mubashrat ki jye usi k sath nikkah jaiz ha ? or larka lrki dono baligh hain to ghar walon ki razamandi k begair nikkah parwaa skty hain ?

Answer: Jab tak larki toba na karle tab tak usi larke se nikah nahi hosakta, toba karne k bad usi larke se agr larki ka wali (bap ya dada) razi nahi hen to phit nikah nahi hosakta.(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2364-2341). Update on dated 20-11-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
63914
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Abul Qasim e Khoie Date:

Question: Assalamualeykum Mera nikah ho chuka h meri biwi ko main shadiyo me ya ghar se bahar kahi aur Jane se rokta hu magar wo Phir bhi mujhe bina bataye chali jaati h to kya biwi ko aese bina apni shauhar ki ijazat k kisi shadi me ya kahin aur Jana chahiye aur shauhar ko aese me kya karna chahiye.

Answer: Jis aurat ka daimi nikah ho jaey is k lie haram he k shohar ki ijazat k baghair ghar se bahir nikle chahae is ka nikalna shohar k haq k manafi nah bhi ho. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #2376). Update on dated 24-04-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
65632
Mujtahid:
Date:

Question: Kya Dusare nikah ke liye, kya pehli biwi se izazat lena zaroo

Answer: Mard k lie Aik se ziyada musalmaan aurat se shadi karna riwayat ki roshni me mustahab hai. Aur dosere shadi karna makro nahe hai. aur agar jis se shadi kar raha ho wo musalmaan aurat ho to phele biwi se ijaazat ki zarorat bhi nahe hai .(Ref : Mujtahid se pouchey gay sawalat part # 3, ques # 105, Mafhoom e pg # 53). Update on dated 17-06-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
65736
Mujtahid:
Date:

Question: Mere galti ke karan meri wife jisse maine court marriage karke rakhha tha mujhe chod ke kisi aur se pyar karne lagi .main wuse wapas pana chata hoon.maulana ji mujhe koi aisa wazifa dr jisse main apni wife ko wapas pa saku.

Answer: Kunwari(virgin) larki us waqt tak nikah (daimi /muta) nahi ker sakti jab tak k larki ka Baap ya Dada lerki ko nikah ki ijazat deden , bs jis jagha aurat k liye baab ya dada se ijazat lena zarori hai agar wo ijazat liye beghair nikah karen to us ka nikah batil hai laikin agar baab ya dada bad me ijazat de den to nikah sahi ho jayega.court ka nikah durust nahi. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2335-2341-2342). Update on dated 21-06-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
65757
Mujtahid:
Date:

Question: lrka lrki agr akelay m beth k schay dil se nikah k bol bolain aur ik dusray ko qubool krlain tw kya unka nikah hojata h?

Answer: Is terah nikah nahi hota. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #). Update on dated 22-06-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
65766
Mujtahid:
Date:

Question: Assalaamu Alykum meri biwi 7 saal sy uske maa k ghar mai reh rahi hai hum 1 saal se ziyada huwa na mile aur nahi baat ki ab woh ana nhi chahti galt ilxamat lagaya aur badnam kiyiya kya woh nikkah sy hatgayi

Answer: Aap ka nikah baqi hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #2462). Update on dated 22-06-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
65852
Mujtahid:
Date:

Question: Sir main chrastion larki say shadi ker sakta hn or ager ker sakta hn to kia treeqa hai Plz zara detail say btai ga

Answer: Musalman mard ka ahl e kitab(yahoodi aur christian) auratoo sai mutah( tempory ) nikah krnay mai koi haraj nhi hai. Albetta ehtiyaat e lazim ki bina per in (yahoodi aur christian) aurto se daimi (permanent) nikah nahi karsakte. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #2362). Update on dated 24-06-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
65961
Mujtahid:
Date:

Question: Kia 3 gawaho ki majodgji me nikah ho jata.. Ik room me.. 3no mein say aik nikah parhaie. Ar haq mehar waghaira b day dia jae.?? Surat Maidah verse 5 mein hay.. Alaniya(anouced nikah) nikah kro naa k chup k badkari kro.. Plzz kindly tell chup k nikah ho jata. Sirf 3 bando ko pta ho.. Us k siwa kisi ko b naa???

Answer: Nikah main gawah ki zarorat nahi, laikin agar kunwari larki jo khud mukhtaar nah ho os k liay apne wali (baap ya dada) ki ijazat zaruri hai. Or agar lerki khud mukhtaar ho tu os k liay apne wali (baap ya dada) ki ijazat ehtiyaat e lazim ki bina per zaruri hai. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2328-2335). Update on dated 28-06-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
65966
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Abul Qasim e Khoie Date:

Question: Me talak shuda hu or ladka kuwara hum dono ik dusre ko pasand krte hai.mere ghar wale nikah je liye raazi hai or ladke ke ghar wale raazi nhi hai.bina ghar walo ki ijazat se ladka nikah Jr sakta hai

Answer: Jee haan. Lerka baghair ijazat k nikah ker sakta hay. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 3, Mafhoom e Maslah #67 , Eidition 1427 hij). Update on dated 28-06-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
66043
Mujtahid:
Date:

Question: Kiya ladka apne chacha ki ladki se nikah Kar sakta hai.??

Answer: Jaiz hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #). Update on dated 29-06-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
66049
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ruhollah Khomeini Date:

Question: Plz me use se shadi krna chahti hn plz meri help krn or dua krn us ki ami man jaen wo b mjh se thek hojay plz

Answer: Surah e ahzaab ko hath say likh kar aik dabbay(box) mai band kar k apnay ghar may hifazat say rakh dain aur is surah ko har rooz aik bar parh kar dua mangain to hisb e manshah rishta distiab ho ga. (Ref : Naway e salaheen, Mafhoom e pg # 352). Update on dated 29-06-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
66051
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Abul Qasim e Khoie Date:

Question: aslam-0-alaikum dear sir main ap se ye pochna chata hu ky .ma 3 sall se shadi shuda hu .mari court marraige hoi hain .mari koi olad nae . mari biwi ny dusri shadi ki ijazat bi di hoi hain sat writing bi lik ky diya huwa hain .mari biwi ki czn hain wo mari moo boli bhen bani hain 2 dafa divorce hu chuki hain 3 marteba eb hoi hain .keya islam is chez ki ijazt deta hain ky ma shadi kr sakta hu keya ?

Answer: Jee haan ye shadi jaiz hay. (Ref:Ayat Ullah Khoe(r.a), Tauzee hul masael, Mafhoom e Maslah #2393). Update on dated 29-06-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
66093
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Abul Qasim e Khoie Date:

Question: kia aik lerka or lerki akayly mai Allah ko qawah bana ker nikha ker sakty hn

Answer: Wo Kunwari larki jo baligh ho or rashida ho os k liay apne wali (baap ya dada) ki ijazatehtiyaat e wajib ki bina per zaruri hai. (Ref:Ayat Ullah khoe(r.a), Tauzee hul masael, Mafhoom e Maslah # 2385). Update on dated 01-07-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
66103
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Salam.. Agha sahb, zamana e talib ilmi mai mainy ek larki sy fone pe bat krna shuru ki or 4 saal krta rha.. ab Alhamdolillah achi job hai..or mai shariat ka zyada paband hona chahta hn..ab bat krna taqriban band krdi hai or usy ye b btaya hai k hamari shadi ni ho skti.. wo meri ghair zat o fiqa hai..seerat o soorat b koi khas ni..mai syed hun or syed family mai rishta chahta hun or muhammad o aal e muhammad k farman mutabiq shadi krna chata hun..wo bht gharib larki hai.. bht khab dekhae han mainy usy..drta hun agar uska acha rishta na hua ya usy meri waja sy koi dukh pahnch tou mujy badduaen dy gi..khen mai zalmon mai shumar na ho jaon.. mujy apny mutahid k fatwa k mutabiq jwab chahiye k mai kia krn?? plz answer in detail

Answer: Mard ko chahae k jis aurat se shadi karna chahta he os me on sifaat aur khososiyaat ko pesh e nazar rakhay jo aik misali khatoon me honi chahae jo pak daman, shareef ul asal aur naik ho aur dunyavi aur ukhravi maamlaat me shohar ki madadgaar sabit ho. (Ref : Ayatullah Sistani, Jadeed faqhi masael , Mafhoom e maslah #386 , Pg #232 , Eidition# 5). Update on dated 01-07-2015.( Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
66236
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: mae marraid hun meri wife 2 month k liye country se bahir gae hai kiya mae kisi ahlekitab aurat se mutah kar sakta hun apni bv ki ijazat liye bagair

Answer: shadi shuda mard muta ker sakta hay, albatta jis orat se mutta kare agar wo Eesae (chiriston) or Yahudi ho tu ehtiyat e wajib ki bina per bivi ki ijazat se bhi in se nikah nah kia jaay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #2362). Update on dated 05-07-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
66237
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: kiya mutah ki niyat se kisi aurat ko lazat ki nigah se dikh sakten hain?

Answer: Jis aurat se insan nikah kerna ka irada hay wo os k chehre ya baal or hath waghaira ko daikh sakta hay laikin lazzat ki nigah nah ho. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 3, Mafhoom e Maslah #28 , Eidition 1427 hij). Update on dated 05-07-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
66749
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: mairi ak larki sy dosti hai or hamari dosti gunah ki had tak barh chuki hai kia hamary liye jaiz hai k ham bghair walideen ki ijazat liye apni nikah parhen ta k gunah sy bach saken ??

Answer: Wo Kunwari larki jo baligh ho or rashida ho os k liay apne wali (baap ya dada) ki ijazatehtiyaat e wajib ki bina per zaruri hai. (Ref:Ayat Ullah sistani(d.b), Tauzee hul masael, Mafhoom e Maslah # 2341). Update on dated 20-08-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
67174
Mujtahid:
Date:

Question: as salam o alaikum mera sawal ye hai mera rishta hu hai mere do salhi hai sab se choti wali sali hai wo mujhe like krte hai aur mera rishta jis ladki se hu hai wo b mujhe like krte hai

Answer: Agar koi shakhs kisi aurat se shadi karay to chahe wo daimi nikah karay ya mutaa karay jab tak wo aurat is kay nikah me he wo shakhs oski behan se shadi nahi kar sakhta
(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #2355). Update on dated 24-08-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
67375
Mujtahid:
Date:

Question: me apni girlfriend k sath court marriag krna chahta hon.but kia court mariage k bad agr ghr waly agree ho jaen to dobara molvi nikah prhae to glat to ni ho ga.ya hamra nikah theek rhy ga or rishta b

Answer: 1)Kawari(virgin) lerki os waqt tak nikah nahi ker sakti jab tak k lerki ka Baap ya Dada lerki ko nikah ki ijazat nah day dai. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah #) 2)Nikah main seeghah(nikah k bool) perhna zaroori hay. aurat or merd ka faqat razi hona kafi nahi, or isi terah (nikah naama) likhna ehtiyaat e wajib ki bina per kaafi nahi hay. Aqd e nikah ki khuch shara,it hain jin me se khuch ye hain k:- 1)Ehtiyaat e wajib he nikah ka seeghah sahih arabi me parha jaay, or agar khud mard or aurat sigah arabi main nah perh saktay hon tu arbi k alawa kisi dosri zaban main perh saktay hain or kisi ko vakil banana laazimi nahi hay. 2) sigha parhne wala aqal-mand ho or agar apne lie perh raha ho to baligh hona bhi zurari hai . 3)Merd or aurat or uska vakil sigha parhte waqt qasd e insha(nikah ka irada ) rakhte hon. (ref : tauzeeh e ul masayl ayat ullaha sistani (d.b.) masla # 2341, 2328-35)Update on dated 01-10-2015.(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
68217
Mujtahid:
Date:

Question: Humne ek ladki se khud nikah kiya h allah ko gawah banake or wo bhi manti h is nikkah ko par ghar wale manti nahi h hamara nikkah hua ki nahi Sara tarika apna h nikkah me sirf gawah allah tala h koi insan nahi h mujhe bataye ki agar galat h to khud se nikkah kaise kare bahut meharbani hogi tarika quran or hadis ki roshni me

Answer: Kunwari(virgin) larki us waqt nikah (daimi /muta) ker sakti jab larki ka Baap ya Dada lerki ko nikah ki ijazat deden , bas jis jagha aurat k liye baab ya dada se ijazat lena zarori hai agar wo ijazat liye beghair nikah karen to us ka nikah batil hai laikin agar baab ya dada bad me ijazat de den to nikah sahi ho jayega. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2335-2341-2342). Update on dated 21-06-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
68244
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Salam! ap en ek question ka jawab ye dia hai k jis k sath zina kia hai os se shadi nai ho sakti aur phir dosry question ma jawab dia hai k jis k sath zina kia ho os k sath shadi krni chahiye? ab ye mjy samaj nai araha..........

Answer: 1) Agar koe shaks kisi aisi bay shohar aurat k sath zina kare jo iddat main nah ho to ehtiyat e wajib ki bina wo shaks is(aurat) k tauba kerne se pehle is se shadi nahi ker sakta.(Ref:Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31th edition,maslah #2364)
2) Agar sohardar aurat zina kray to ehtiyat e wajib ki bina par wo zaani par hamisha k lie haram ho jati hai Yani wo aurat phir khabi bhi zina krnay walay shakhs sai nikah nahi kar sakti hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 2367).

Note: Ye do alag hukum hain. Pehla hukum bay shohar aurat k liay hay jo kis shohar ki iddat main nah ho, or dosra hukum shohar daar aurat kay liay hay.

Print

Id:
68257
Mujtahid:
Date:

Question: Sir mera sawal hai k mn ek Larki se pyar karta hoon aur woh shaadi shuda hai magar us ne talaq li hui hai magar court ne clear nahi kiya talaq ka mn us se shaadi karoon ga jab tak court clear kar de ga us se pehle hum dono MUTA kar sakte hain ????????? please reply

Answer: Court ki talaq durust nahi hoti hay. Agar shohar tamaam sharait k sath talaq de tu talaq ki iddat mukammal ho ne k baad aap os se muta ya daimi nikah ker sakte hain. Talaq ki sharait k liay is link per click karain. (http://www.sistani.org/urdu/book/61/3650/). Update on dated 21-10-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
68259
Mujtahid:
Date:

Question: Kya aik hi shadi shuda joray ka do br nikkah hoskta hai ? Talaq nahi hoi v, lakin woh apnay rishtedaron k samnay dubara nikkah krwana chahein apna tou hoskta hai ?

Answer: 1)Kawari(virgin) ghair mukhtaar lerki os waqt tak nikah nahi ker sakti jab tak k lerki ka Baap ya Dada lerki ko nikah ki ijazat nah day day. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah #)
2)agar nikah tamaam sharait k sath anjaam paya tha tu phir rishtedaaro ko dikhane k liay dobara nikah perha jasakta hay.(Ref: Rcvd by email). Update on dated 21-10-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
68643
Mujtahid:
Date:

Question: Mami ya chachi k sath agar jismani taluk ban jay to kia us ko talaq ho jati hay k nae? Mera question hay plzz ans me

Answer: Agar sohardar aurat zina karay to ehtiyat e wajib ki bina par wo zaani par hamisha k lie haram ho jati hai Yani wo aurat phir khabi bhi zina kernay walay shakhs sai nikah nahi kar sakti hai. Laikin shohar per haram nahi hogi.(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 36th edition, maslah # 2367). Update on dated 14-11-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
69016
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ruhollah Khomeini Date:

Question: Aslamalikum ....sir plzzz mai bht preshan hu...Maine kaie bar ques pucha Lekin ans ni mila ...mera sawal ye hai ki.....mai apni khala ki ladki se nikha krna chata hu.lekin mere ghr wale or uske ghr wale khte hai ki Maine bachpan me ek bar apni nani ka doodh pilaya tha.....is liye nikha jayez nhi hai......mai ap se puchna chata hu ki mere nikha krna jayez hai...ki nhi..

Answer: Sirif aik baar dhoodh peena y se koe faraq nahi perhta, aap k liay apni khala ki baiti se nikah kerna jaiz hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 36,Mafhoom e Maslah #2438-39). Update on dated 18-12-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
69032
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: assalam o alaikum.... mai ye puchna chahti hn k mri ek dost ha wo syedzadi ha mgr bdkismati sy usy ek gair syed larky sy pyar ho gya. halan k syedzadi gair syed k lye jaiz nhi... mgr ab es had tk close hn k ek dussry k bgair reh b nhi skty... wo paryshan ha bht... asa nhi ho skta kya k ab wo nikah kr lain. agr nhi to eska kya kuffara ha? qk syed zadi gair syed k nikah mn nhi aa skti? mgr ksi majburi k tehat asa ho skta ha kya?plz tell me urgent...

Answer: Syed mard ka nikah ghair syeda aurat k saath ho sakta hay or isi terah syedah aurat ka nikah ghair syed mard k saath ho sakta hay. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus saliheen Part # 3, Maslah # 221). Update on dated 17-12-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
69033
Mujtahid:
Date:

Question: Agr larki kay parent uskay sath shadi zbardasti kar rahy hun or larki shadi kay haq mai ni hai to kya parent ka esa karna jaiz ha?

Answer: Lerki ki ijazat k baghair os ki shadi nahi ho sakti. . (Ref : Ayat Ullah Sistani(d.b), Tauzee hul masail, maslah # 2335).Update on dated 17-12-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
69046
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: as salamo alekum, mera naam salim hai me india madhya pradesh ke chhote se zile seoni ke bhoma gaon se hu, mera salawal ye hai ki kya kisi ladki ko bhaga kar shadi karne ke bad ya bese bhi nikha karne ke bad agar walima nahi diya our bachche ho jaye to kya wo haram hai,

Answer: Kunwari larki jo khud mukhtaar nah ho os k liay apne wali (baap ya dada) ki ijazat zaruri hai. Or agar lerki khud mukhtaar ho tu os k liay apne wali (baap ya dada) ki ijazat ehtiyaat e lazim ki bina per zaruri hai. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2328-2335). Update on dated 17-12-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
69047
Mujtahid:
Date:

Question: shadi se pehle agar zina kiye aur tauba kare Allah se, aur usise shadi karliye to ye Nikha Halal hoga?

Answer: Jaiz hay.(Ref: Ayatollah behjat r.h, tauzee masael, maslah#1861)

Print

Id:
69170
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ruhollah Khomeini Date:

Question: Ya ali madad mera sawal yeh hy k maine ek sunni larky sy ghr walon sy chup k nikah kia tha aur ab m us k sath ni rehna chahti aur wo muj divorce ni dy rha olz meri help krein m kia kron plzz jwab zaror dein

Answer: Ye Nikah sahi nahi hai, Q k jo lerki baligh ho or rashida bhi ho yani apni maslihat ki tashkees ker sakti ho , agar wo shadi kerna chahay or agar wo bakira ho tu ehtiyaat e wajib ye hay k wo apnay baap ya dada se ijazat hasil karay. (Ref : Ayatullah khumeni (r.a),Tauzeehul masail , maslah # 2373) Update on dated 24-12-2015.(Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey)

Print

Id:
69308
Mujtahid:
Date:

Question: a.o.a sir main ik larky se buht pyar karte hu woh b buht karta hn hum n buht logo k samny kah hn hum main bv hn.....hum k ik dosry qabool hn tu kia humra nikah hu chuka hn???????????? hum n sb kuch kiya hn or esy e rahty hn jisy humre shadi hui hn kaha jata hn 2 gwah hu tu nikah hu jata hn magr hum n tu kae logo k samny kaha hn k hum k qabool hn ik dosra??????????????? plz mujy zarori ans chahye kia humri nikah hui hn k nahi???????????????????

Answer: Kawari(virgin) ghair mukhtaar lerki os waqt tak nikah nahi ker sakti jab tak k lerki ka Baap ya Dada lerki ko nikah ki ijazat nah day day. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah #) Update on dated 11-01-2016. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print