Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+


Question & Answers << Go Back

Topic: Shohar Biwi K Ahkam 1 (1356 Questions)


Showing 50- 100 questions from 1356 questions on this page.

Answers found for searched words
Id:
1372
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: Salam. Mera sawal ye hai k biwi agar ulti laiti ho aur is halat mein us say intercourse kia jaye to kia ye jaiz hai jab k is halat mein dakhoul us ki sharmgah mein hi ho na k peechay say. please answer as it is my third time to ask this question. Thanks.

Answer: agar jima peechay se nahi ho raha ho to jaiz hai. aur peechay se jima karna aurat (women) ki marzi kay bagair ehtiyaat-e-wajib ki bina par jaiz nahi hai aur agar aurat razi bhi ho to yeh kaam shadeed makrooh hai. REF: www.sistani.org .Update on dated 18-11-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
1398
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: Kiya kisi ghair syed ki shadi kisi syed larki say ho sakti hay?

Answer: syedah shia aurat ka nikah ghair syed shia merd k saath hosakta hay. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus saliheen Part # 3, Maslah # 221). .Update on dated 19-11-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id:
1400
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: Main aur meray friend aik hi university main parhtay hain aur understanding itni ho gaee hay kay we have to do muta warna ham kuch ghalat kar baithain gay magar muta kay liye father ki persmission ki zaroorat hay aur wo nahi milay gee...aur larka aur larka dono mature hain acha bura samajhtay hain to kiya ham Nikah kay seeghay parh saktay hain..?

Answer: Larki kay Baap(Father),ya Dada(GrandFather) ki ijazat zaroori hay,agar larki khud mukhtaar ho to bhi Aihtiyat-e-Wajib ki bina par wali ki ijazat zaroori hay.Ref:I-07. istiftaat) .Update on dated 19-11-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
1401
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: Kiya kisi ghair syed larkay ki shadi kisi syed larki say ho sakti hay?

Answer: Ho sakti hay,Koi haraj nahi hay. Ref:I-07. istiftaat) .Update on dated 19-11-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
1402
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: Kiya kisi ghair syed ki shadi kisi syed larki say ho sakti hay?

Answer: Ho sakti hay,Koi haraj nahi hay. Ref:I-07. istiftaat) .Update on dated 19-11-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
1426
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: Kiya Nikah kay baad shadi ki pehli raat ko he jima karna zaroori hay ? agar bewi is kay liye kuch time mangay to kitna time day saktay hain ziada say ziada?

Answer: Aurat kay liye zaroori hay kay jab bhi shohar jinsi lazzatain hasil karna chahay to is ki khuwahish poori karay aur sharee uzr kay baghair shohar ko hambistari say na rokay.Haan shohar ki razamandi say takheer karna jaiz hay.Ref:Tauzeehul Masail A.Sistani 2371. .Update on dated 19-11-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
1478
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: Assalam-o-Aliakum allah aap ko sada shadoabad rakhay mujtahid ayatuallah seestani sahab umeed hay aap merey problem zarror samjhay gay seestani sahab mera sawal yeh hay k kya yeh wajab hay k aik syed larki ki shadi syed larkay say hi hoo ? umeed hay aap meray sawal ka jawab jald az jald day gay DUA go ZEANISH SYED

Answer: syeda larki ka syed larkay se shadi karna wajib nahi hai. REF: www.sistani.org .Update on dated 18-11-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
1511
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: I want to ask that if we know about a person that he does not offer his prayers can we merry him and if propsole of any momin does not come what should we do?

Answer: Agar gumrahi aur inhiraaf ka darr ho to jaiz nahi hay.Ref:www.sistani.org (urdu) .Update on dated 18-11-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
1512
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: I want to ask that if we know about a person that he does not offer his prayers can we merry him and if propsole of any momin does not come what should we do?

Answer: Agar gumrahi aur inhiraaf ka darr ho to jaiz nahi hay.Ref:www.sistani.org (urdu) .Update on dated 19-11-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
1581
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: salam,ajj ka her mujtahid syed lerki ki shadi non syed sy jaiz ker rha hy but hedese n aaima masoomen k fermeeen ki roshni main yea heram hy, keya mujtahid nabi n aaima sy zaida janta hy?jo cheez nabi n fermaan e masoom sy waziy ho tu b mujtahid sy pochni wajib hy?keya kissy imam ny apni kissy beti ki shadi non syed main ki?

Answer: syeda larki ka syed larkay se shadi karna wajib nahi hai. REF: www.sistani.org mazid maloomat ke liye Aqai Sistani (d.b.) se rujua kiya ja sakta hea. .Update on dated 18-11-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
1649
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Khoie Date:

Question: Does Allah make pairs for marriage before birth or He has given us the choice of marrying someone suitable.In other words is it really a fact that marriages are made in heaven even before a person is born?

Answer: islam ne shadi ke maamale me insan ko apani pasand or napasand ka pura ikhteyar daya he. or shariee hudud ka khiyal rakhte hue ladke or ladki ko ek dusare ko dekhane ki bhi ejazat di he. ye jumala jo kaha jata he ke jode asmaano par bante hain is ka hargiz ye matlab nahi he ke Allah ne insan ko majboor kar daya he. balke is se murad yeh le sakte hain ke shadi ke baad jo do insano ka rishta qaim hota he wo parwardigar ke pehle se maloom hota he. .Update on dated 18-11-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
1650
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: Is it really a fact that marriages are made in heaven before birth or Allah has given this choice to man? Secondly is it okay to watch television drama series which do not have songs and dances in them?

Answer: islam ne shadi ke maamale me insan ko apani pasand or napasand ka pura ikhteyar daya he. or shariee hudud ka khiyal rakhte hue ladke or ladki ko ek dusare ko dekhane ki bhi ejazat di he. ye jumala jo kaha jata he ke jode asmaano par bante hain is ka hargiz ye matlab nahi he ke Allah ne insan ko majboor kar daya he. balke is se murad yeh le sakte hain ke shadi ke baad jo do insano ka rishta qaim hota he wo parwardigar ke pehle se maloom hota he. .Update on dated 18-11-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
1728
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: agr kisi wja sai koi larki 24 sal ki umar tk haiza na ho or medical reoart k mutatbiq us mai koa kami ho to kia wo larki kisi sai shadi kar sakti hai ?

Answer: kar sakti he (ref:al-masailul muntkhba Aytullah Seestani (d.b.) masala no.966) .Update on dated 18-11-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
1810
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: Mera sawal ye hai k main aik larky ko chahta hoon shez already married or us k teen bache bhi hain or wo apne husband k saath rehne k lie raazy nahin kiun k wo wahan khush nahin prob ye hai k humare darmyan hum bistari hochuky hai kia wo apne shohar se talak leker mujhse shady ker sakty hai? main kunwara hon.

Answer: shohardar orat se zeena karne ki wajah se wo orat ahteyate wajib ki bina par aap par hamesha k liye haram ho gayee he (ref: tawzihul masail Aytullah Seestani (d.b.) masaala no.2412) .Update on dated 18-11-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
1894
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: main aur ek larki ek dosry se pyar karty hain mere ghar wale razi hain us larki k ghar rishta bhaija bohat koshish ki per wo nai manty hain unhen mujse nafrat hai us larki ko qaid kar k rakha hy education milna julna sare contect khatam karwadiye hain usk parents ne mager larki ab bi mera sat dati hai. sawal ye hay k agar hum bhag k shadi karen to kya uski ijazat hy? 2nd ye k nikah k lie kaisy witness ki zarurat paregi q k larki ki taraf se koi nai sb us ka sath chor chuky hain koi dost ya cousin nai jo sat de?

Answer: jo ladki sane bulug ko phonch chuki ho or rashida ho yaani apna bura bhala samaj sakti ho agar wo shadi karna chahe or kunwari ho to use chahiye k apne bap ya dada se ijazat le (ref: tawzihul masail Aytullah Seestani (d.b.) masala no. 2336 .Update on dated 18-11-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
1900
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: assalamualaekum mera sawal a hai k kya mae meri biwi kaa badan barhana(nude)mubashrat k dauraan dekh sakta hon kya meri biwi bhi mujhe usi halat me dekh sakthi hai

Answer: Mian bewi aik dosray ka poora badan dekh saktay hain.Ref:Tauzeehul Masail Pg.No.327 Aytullah Seestani (d.b.) .Update on dated 18-11-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
1901
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: Hi Asslam o Alikum. Mujhe Eik Sawaal Kerna Hai.Kay Shaadi Shuda Aadmi Kissi Shaadi Wali Aurat Se Payar Kerna jaiz Hai?Mai UAE Mai Rehta Hoo Aur Mujhe Yaha ki Eik National Aurat Se payar Hoo Gaya Hai Masla Yeh Hai Ka Woh 5 Bacho Ki Maa Hai Lakin Us Ka Apney Husband Se Kafi arsey se koi jismani relation nahe hai.aur us aurat ka dil mai apney husband ka liye koi jagha ya chahat nahe hai bas woh us ghar mai apney bacho ki wajha se rehti hai.Kiunke us ka husband ussey batayee bagair shaadi kiya 2nd.aur us ka husband us ko sabh kuch detta ai khaney ko peene ko lakin aurat ka haq nahe detta us ko.Woh Aurat jaanti hai ka Mai us ko Payar kerta hoon.Aur Woh Is Baat Se Bohat Khush Hai.Lakin Hum Dono Kuch Galat Nhe Kerna Chahtey. Ager Hum Dono Ko Eik Dosry Se Shaadi Bhi Kerna Pari Tu Hum Dono Tayar Hai.But Hum Dono Shaadi Shuda Hai. Ager Aisey Mai Hum Dono Eik Dosrey Ko Sachey Dil Se Chahtey Hai Eik Dosrey Ko Takleef Mai Nahe Dekh Sakktey To Kiya Hum Dono Eik Dosrey Ko Jismani Sakoon Deyy Saktey Hain. Reply Kerye Gaa Jaldi Plz.Ager Possible Hai tu plz is ka jawab mujhey e mail mai ker dijiye gaa. Hum Dono Eik Dosrey Ko Sachey Dil Se Chahteyy Hain.

Answer: mard k liye na-maheram orat ka jism dekhna or isi tarh us k balo ko dekhna khawah lazzat k irade se ho ya is k bagair haram he (tawzihul masail Aytullah Seestani (d.b.) masaala no. 2442) .Update on dated 18-11-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
1927
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: assalam-u-alaiakum janab mera sawaal ye hain ka mari shadi hone wali hai to app se ya poochna cahta hu ka biwi ka sath jansi talluqaat qayam karne ka tariqaqar kya hai islam ki rooh sa mai app ka jawab ka intazar karu ga. shukariah

Answer: miya-biwi jis tarh bhi dono razi ho ek-dusre se lazzat utha sakte hain. haiz ki halt me jemaa karna jaiz nahi he or maqaad me dukhul nahin karna chahiye.(www.sistani.org. topic: ham bistari q.5) .Update on dated 18-11-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
1930
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: assalam-o- alekum masala yehai ke agar kisi mard ya aurat ka shadi ka irada ho tu wo kisi bhi na mehram se shadi se pehle baat cheet ya mulaqat karsakte hain ya nahi jabke dono aik doosre ke lie na mehram hain or ye mulaqat doonon ke ghar waloon ke baghier alag kamre main ho rahi ho magar ghar waloon ko pata hai?

Answer: Ek kahtoon se aysi batain ki ja sakti hain jin ka natija kisi akhlaqi fasad ki soorat main n nikal raha ho jab k koi aysi bat bhi na ki ja rahi ho jis ka kisi ajanabi kahtoon k sath kiya jana munasib nahin hota. isi tarah bagair lazzat k erade k us ki batain bhi suni ja sakti hain jab k haram main n padne ka bhi etminan ho. albatta orat ki zimmedari bhi he k wo apni awaz ko atna khubsurat or barik n banae jo insan k jazbat ko abharne wali ho. (mujthid se puchhe gaye sawalat Aytullah Seestani (d.b.) part 4 q.127 pub. by quran-o-itrat academy) .Update on dated 18-11-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
1994
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Khamnaie Date:

Question: jesay ayatullah sistani k hisab se hai tou kya ayatullah khamnai k hisab se bhi kya larka larki khud shadi ker sktay hain baghair kisi wakeel k ???

Answer: aap www.khamenei.ir par ruju karain .Update on dated 18-11-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
2033
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: assamalaikum mera sawal hat kar hai laikin aaj ke zamanay ke hisaab se hai ke meray husband ko bivi ki hajat bohot kam hoti hai jaisay das ya pandra din mien aik baar. to kya hamaray liay is sabr ka koi ajar hai jab kay mien 25 hoon abhi ya koi tareeqa ya wazeefah hai husband ko paas laanay ka

Answer: shohar apni jawan biwi se char mahine se ziyada ke liye ham bistari tark nahi kar sakta (ref: tawzihul masail Aytullah Seestani (d.b.) masala no. 2377) jab zawja char mahine tak sabr na kar sakti ho is tarh se ke shohar ko khof ho ke agr us ne ham bistari na ki to zawja haram me pad jayegi is soorat me ahteyate wajib ki bina par shohar ko char mahine se pahle ham bistari karne me jaldi karni hogi (minhajus salehin Aytullah Seestani jild-3, page104 masaala no. 341) .Update on dated 18-11-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
2035
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: salaam janaab mera ek Q. hai ki mujhe hum bistrai ki doa nahi aati aur meri jaldi shaadi hone wali hai kya aap mujhe doa mail kar sakte hai me aap ki mail ka intzaar kar rahaa hoon khudha hafiz

Answer: is mawqe par khas koi dua padhna wajib nahi he, albtta shabe jufaf ke kuchh aadab he k jo mutaleqa kitabo me mil jayengain. .Update on dated 18-11-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
2052
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: agar mai sunni ladki se shaadi karu toh jayaaz hai hai toh kaise

Answer: agar gumrahi ka khof n ho to sahih he, albtta ye tabaee tor unhi logo me se ho sakta he jo ahlebayt ahlhemusslam se dushmani rakhne wale n ho.(ref: mujthid se puchhe gaye sawalat part-1 page 70) .Update on dated 18-11-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
2121
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: kiya baghair khatna k shadi hojati hai ?

Answer: jee ho jati hain. (ref: tawzihul masail Aytullah Seestani (d.b.) masaala no.2330) .Update on dated 18-11-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
2136
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: kia islam main pasand ki shadi jaiz hai?aur kia hm ALLAH se pasand ki shadi ki dua mang sakty hain ?

Answer: 1) aurat apne pasand ki shadi kar sakti magar agar ladki kunwari he to zaroori he k bap ya dada bhi us shadi par muwafeqat kare 2) munasib yeh he k ladki ayse ladke ka intekhab kare k jo dindar, pakdaman, achhe akhlaq wala, sharab aur digar gunaho se bachne wala ho (Al-Fiqho lil mughtrebin Aytulla Seestani masaala no.395 & 386) .Update on dated 18-11-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
2137
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: A.A qibla main bht ziada pareshan hon mujhy koi rasta nazar nahi a raha,main apne aik couzn ko pasand karti hn us k sath shadi karna chahti hn ,woh b mujhy psnd karta hai pr us k ghr wale hamari shadi k liy nahi manty halanke woh hamary rishty dar hain aur mery ghar wale b un logon ko bht psnd karty hain , aur main sachy dil se us k sath apna ghar bsana chahti hn ,woh lrka khta hai k main sari zindagi shadi nahi karon ga agr tmhary sath na hui tu ,pr woh apne ghr walon k agy bhi nahi bol sakta ,aur main bhi kisi aur k saht zindagi nahi guzar sakti

Answer: Na Mehram se Dosti karna "HARAM" hia kionke is se haram mai parnay ka khauf hota hia. Chahey aahista aahista hi gunah ki taraf le jaye. Ref . Isteftat Agha Sistani 2) Aurat k lie na mehram Mard par Lazzat kay qasd sey nigah dalna Haram hai jabke lazzat kay qasd k bagair un hisso par nazar dale jinhe aam tor par chupana zaroori nahi masalan (sar,dono hath etc)to to aisa karna Jaiz hai magar in hisso kay ilawa baqi jism par nigah dalna Haram hai. Ref:Tauzeeh ul Masail Ayatullah Sistani Prob No 2392 in masail ko madde nazar rakhte huye ab aap apne is rishet ke liye yeh wazife anjam de sakte hain: 1) 11 times durud aur phir 101 times Ya Allaho Ya Rahmano Ya Rahimo Ya Kareemo Ya Hayyo Ya Qayyum padhe (ref:naeemul aamal page no.314) .Update on dated 18-11-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
2164
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: mujhe sunni ladki pasand hai kia me us se shadi kar skta ho.

Answer: jaiz he agar woh nasebi na ho (ref: tawzihul masail Aytullah Seestani (d.b.) masaala no.2406) .Update on dated 18-11-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
2322
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: assalam u alikum mera sawal yai hai k mera nikah howa wa ha,rukhsati abhi nahi hoie hai 2 sal hogae hain hamaray nickah ko or main apni bivi sai milnay un k ghar jata hon, or hum sex kartay hain, tou kia yai jaiz hai

Answer: aqd k dawran ladki-ladka miya-biwi ki tarah hain, in me aur dusre shohrao aur biwiyo me koi farq nahin he. han hamare maashare me aam tor par aqd me yeh zimni shart karte hain k ladki ke liye zaroori nahi he k (rikhsati se pehle) woh dukhul k liye shohar ki shart ko qabool kare. (www.sistani.org/urdu/shadi/q41) .Update on dated 18-11-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
2335
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: Asalamoalikum mera ya sawal hy k kia biwi shohar ki sharam gha ko zaban laga sakti hy ya mun main dal sakti hy kia ya sahi hy i am waiting your answer Asalamoalikum

Answer: Aisa karna Jaiz hay,magar ye kay ratoobat Halaq mian nah jaay.isi terah biwi mard ki sharmgah(penis) hathon main le ker masht zani(masturbation/hand practice)) kar sakti hai.Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Istiftaat I-2,I-15. ) .Update on dated 18-11-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
2348
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: salam mera swal a hia k main ek talaq ladki se shadikarna chahta hon o mare se 2sal badi hai ladki bhi razi hia mian us ladki se shadi kar sakta hon ya nahi a islam zayij hia ya nahi pls mujhe is ka jawab jaldi dejye

Answer: yeh shadi jaiz he, agar ladki kunwari ho to use chahiye k apne bap ya dada se ijazat le (ref: tawzihul masail Aytullah Seestani (d.b.) masaala no.2379 & 2385) .Update on dated 18-11-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
2370
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: I have a question fron Ayat-ul-Allah Sistani sahib. Can I intercourse with my wife from back side but in pussy? KIya aik shia apni wife ke saath humbistari kersakta hain peeche ki taraf se lekin wife ke aage wale sorakh main

Answer: shohar k liay apni wife k saath peeche ki taraf se aage wale soraakh(sharam gaah) main hambistari kerna jaiz hay.(ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaa jus saliheen part #3, maslah#228) .Update on dated 18-11-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
2402
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: mubasrat kay masail

Answer: Bivi k saath jima (intercourse) ka islami tariqa ye hay k jima k waqt mustahab hay k bismillah perhi jaay, or baa wuzu hon khaas taur per jab bivi haamla ho,or jima k waqt jo kaam makroh hain on main say kuch ye hain 1.soraj or chaand gerhan ka hona,2. zawaal e aaftab ka hona siwaay jumayraat kdin k,3. groob e aaftaab k waqt ka hona,4.chand ki aakhri 3 raaton main jima kena,5.fajar k baad soraj nikalnay say pehlay,6.islami mahinay ki pehli taarikh siway Ramazan ki pehli raat(Chaand raat)main ,7. islami mahinay ki dermiyaani or aakri taarikh main jima kerna,8.qiblay ki taraf rukh ya pusht kerna,9.berhana (naked) halat main jima kerna,10.ehtilaam k baad baghair wuzu k jima kerna,11.jima k waqt bivi ki sharamgaah ki janib nazar kena,12.jima k doraan baat kerna siwaay Allah k zikr k. ye tamam kaam makrooh hain jin say perhayz kerna behtar hay.)Ref:Ayat ullah Seestani(D.B) minha jus saliheen Part #3,maslah #5) .Update on dated 18-11-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
2414
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: my question is that k jab mai off sa ata hoo to meri wife kapray utar k bethi hoti hai khas tor par meray lya.kia ya sab karna mari wife k lya jaiz hai.aisi baat nahi hai k wo out class hai,bus wo meray lya aisa kar rahi hoti hai.

Answer: Shohar or bivi k liay jaiz hay k wo aik dosray k tamaam jism ko daikh saktay hain,or isi terah aik dosray k jism k tamaam hisso(parts) ko choo(touch) saktay hain.ye choona chaahay lazzat k iraday say ho ya baghair lazzat k.is liay aap ki bivi ka ye amal bikul jaiz hay.(ref: Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaa jus saliheen,maslah #11).

Print

Id:
2457
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date: 2018-06-07

Question: kya muttah kr k .. larki k peechay say satisfaction li jasakti hay...2.kya larka larki kay brest choose sakta hay

Answer: 1) Bivi k peechay k maqam(maqam e pakhana) main hambistari kerna bivi k raazi nah honay ki sorat main haram hay, agar bivi raazi ho tab bhi shadeed makhroh hay. (ref: Ayat ullah Seestani(D.B) Al-masail e mutakhaba, maslah # 67). 2)Shohar bivi k breast choos sakta hay,laikin agar shohar biwi ke breast ko suck karey aur us mai doodh aa jaye, toh ehtiyaat wajib ye hay k bivi ka doodh nah piaya jay.(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), E-Mail from Answers@najaf .org). .Update on dated 18-11-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
2480
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: bevi kay sat islam kay mutabik kia jais ha khalwat may kan kan haat laga saktay hain

Answer: Shohar or bivi k liay jaiz hay k wo aik dosray k tamaam jism ko daikh saktay hain,or isi terah aik dosray k jism k tamaam hisso(parts) ko choo(touch) saktay hain.ye choona chaahay lazzat k iraday say ho ya baghair lazzat k.(ref: Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaa jus saliheen,part:3maslah #11) .Update on dated 18-11-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
2500
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: kia aisi baligh larki apne baap ki ijazatk baghair shadi ker sakti hai....jis ka baap ghar ke mamlaat say bilkul alag rehta ho...jo ghar k kisi bhi mamlaat main dakhal andazina kerta hoo......... please answer...

Answer: Baap-dada ki ijazat us soorat me bhi shart he aur agar ladki apani zindgi me mustqil ho tab bhi ijazat zaroori he (ref:www.sistani.org/urdu/shadi/q28) .Update on dated 18-11-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
2517
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: mera question ye hy k bivi k saath jama ka islami tariqa kia hy? kindly detail me sirf isi ka jwab den q k pehly bhi ap se ye sawal pocha gya hy lakin uska koi proper jawab nahi mila plz mujhy sirf isi ka complt deatil answer dy den

Answer: Bivi k saath jima (intercourse) ka islami tariqa ye hay k jima k waqt mustahab hay k bismillah perhi jaay, or baa wuzu hon khaas taur per jab bivi haamla ho,or jima k waqt jo kaam makroh hain on main say kuch ye hain 1.soraj or chaand gerhan ka hona,2. zawaal e aaftab ka hona siwaay jumayraat kdin k,3. groob e aaftaab k waqt ka hona,4.chand ki aakhri 3 raaton main jima kena,5.fajar k baad soraj nikalnay say pehlay,6.islami mahinay ki pehli taarikh siway Ramazan ki pehli raat(Chaand raat)main ,7. islami mahinay ki dermiyaani or aakri taarikh main jima kerna,8.qiblay ki taraf rukh ya pusht kerna,9.berhana (naked) halat main jima kerna,10.ehtilaam k baad baghair wuzu k jima kerna,11.jima k waqt bivi ki sharamgaah ki janib nazar kena,12.jima k doraan baat kerna siwaay Allah k zikr k. ye tamam kaam makrooh hain jin say perhayz kerna behtar hay.)Ref:Ayat ullah Seestani(D.B) minha jus saliheen Part #.3,maslah #.5) .Update on dated 18-11-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
2529
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: Assalamaleykum,mera question yeh hai , agar shohar biwi ke breast ko suck karey aur usmai doodh aa jaye. toh kiya quran aur sunnat ki rosani mai kuch kaffarah hoga.JazakAllah

Answer: agar shohar biwi ke breast ko suck karey aur usmai doodh aa jaye, toh oska koe kaffarah nahi hay.laikin ehtiyaat wajib ye hay k bivi ka doodh nah piaya jay.(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), E-Mail from Answers@najaf .org). .Update on dated 18-11-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
2548
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: A/w molana sahab muzhe a bataye ki jiski shadi na hui ho or oh ladka jawan ho or uski halat aisi nahi hai ke shadi kar sake or use jinah ka dar bhi hai to aisi halat me use sex ki hajat ho to use kya karna chahiye

Answer: Agar koe shaks bivi nah honay ki wajah say kisi haram kaam say nah bach paa raha ho, os k liay shadi kerna weajib hay chahay aarzi waqt(muta) ki shadi hi kun nah ho. (ref: Ayat ullah Seestani (D.B) tawzee hul masail maslah#2407). .Update on dated 18-11-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
2549
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: aurat k aglay maqam main hambistari /jima(Intercourse)say bacha hota hai ya peechay k maqaam say?

Answer: Aurat k agay k maqam main hambistari(jima) krnay say bacha paida hota hay.Mazeed ye k peechay k maqam(maqam e pakhana) main hambistari kerna bivi k razi nah honay ki sorat main ehtiyaat e wajib ki bina per haram hay, agar bivi razi ho tab bhi shadeed makhroh hay. (ref: Ayat ullah Seestani(D.B) Al-masail e mutakhaba, maslah # 67). .Update on dated 18-11-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
2571
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: keya may wife kay nipple ko mooun may lay sakta houn kay nahi .

Answer: Wife k nipple ko mooun may layna jaaiz hay.laikin agar shohar biwi ke breast(nipple) ko suck karey aur usmai doodh aa jaaye, toh oska koe kaffarah nahi hay.laikin ehtiyaat wajib ye hay k bivi ka doodh nah piaya jay.Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), E-Mail from Answers@najaf .org). (ref: Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah#6) .Update on dated 18-11-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
2572
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: kia admi apni bivi ki back me sex kar sakta ha

Answer: Aurat k peechay k maqam(maqam e pakhana) main hambistari kerna bivi k raazi nah honay ki sorat main ehtiyaat e wajib ki bina per haram hay, agar bivi raazi ho tab bhi shadeed makhroh hay. (ref: Ayat ullah Seestani(D.B) Al-masail e mutakhaba, maslah # 67) .Update on dated 18-11-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
2574
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: shohar ladki ko sex kam karta ho to kiya laki ko ijazat he ke wo dusra nikah kare?

Answer: Agar shohar bivi k sex ki khahish ko mukammal taur per pora nah kerta ho(yani kam sex kerta ho) jis ki wajah say bivi ko gunah main perhnay ka khatrah ho tu,is sorat e haal main ehtiyaat e wajib ye hay k shohar bivi k sex ki khahish ko pora karay ya is k talaaq k mutaalbay ko pora karay,laikin agar shohar aisa nah karay tu bivi ko sabar or intizaar kerna chahiay.(ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), jaded fiqhi masail, maslah #418). .Update on dated 18-11-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
2745
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: Biwi kea do rano ke bech me inzal kerna (jima) jayaz hai ya haram.

Answer: Bivi k do rano k beech me jima kerna jaiz hay.(Ayat Ullah Seestani(d.b), urwatul wusqa, part 1,maslah #3 chepter:fi ahkaami haaiz) .Update on dated 18-11-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
2746
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: Biwi apne shohar ke hat se masa kerke inzal kare to kiya ye jayaz hai

Answer: shohar or bewi dono kay k liay aisa karna jaiz hay.(Ref:Istiftaat A.Sistani I-2,I-15. ) .Update on dated 18-11-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
2793
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: Hamara nikkah ho chuka hay. Rukhsati 2 years k baad hay but kabhi kabhaar phone per hum oral sex kar letay hain kiya yeh Islam mein jayaz hay?

Answer: Nikah k baad bivi say shewat(lazzat) wali baat kerna kerna bhi jaiz hay.jaahaan tak phone per shehwat (laazat) wali baat kernay ki baat hay tu ye khiyaal rahay k is kaam say aap haraam kaam(maslan istimna(hand practice)) main nahi perhain gay,tu phone per lazzat wali baat kerna jaiz hogi.(Ayat ullah Seestani(d.b), jaded fiqhi masaail,maslah#396,452) . .Update on dated 18-11-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
2802
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: salam mera sawal ye hai ke ap kisi ahadees ya quran pak ke tarjame se batae ke mian biwi aik dosare ka pora jism dekh sakte hai (2)mian biwi aik dosare ki sharamgah ko mouth laga sakte hai(3)or mian biwi ke breast ko mouth laga sakta hai lekin muje kisi ne kaha tha ke ye sab haram hai ab ap muje batae mai ap ke jawab ka intezar karo ga allah hafiz

Answer: 1)Shohar or bivi k liay jaiz hay k wo aik dosray k tamaam jism ko daikh saktay hain,or isi terah aik dosray k jism k tamaam hisso(parts) ko jism k kisi bhi hissay(part) say choo(touch) saktay hain.ye choona chaahay lazzat k iraday say ho ya baghair lazzat k, jaiz hay.(ref: Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaa jus saliheen,maslah #11) 2)Jee haan,mian bivi aik dosray ki sharamgaah ko monh(mouth) laga saktay hain,magar ye kay sharamgaah say nikalnay wali ratoobat Halaq mian nah jaay.isi terah biwi mard ki sharmgah(penis) hathon main le ker masht zani(masturbation/hand practice)) kar sakti hai.Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Istiftaat I-2,I-15. ) 3)Wife k nipple ko mooun may layna jaaiz hay.laikin agar shohar biwi ke breast(nipple) ko suck karey aur usmai doodh aa jaaye, toh oska koe kaffarah nahi hay.laikin ehtiyaat wajib ye hay k bivi ka doodh nah piaya jaay).(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), E-Mail from Answers@najaf .org). (ref: Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah#6). .Update on dated 18-11-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
2812
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: i want to merry in abroad what you suggest me.

Answer: Mard ko chahae k jis aurat se shadi karna chahta he os me in sifaat aur khososiat ko pesh e nazar rakhay jo aik misali khatoon me honi chahae jo pak daman, shareef ul asal aur naik ho aur dunyavi aur ukravi muamilaat me shohar ki madad gar sabit ho. Mard k lie ye munasib nahi he k biwi k intikhab me is ka metmae nazar sirf is ka zaaheri husn o Jamaal aur maal o dulat ho. (Ref : Jaded Faqhi Masayl Ayat ullaha Sistani d.b. Masla # 386 pg # 232) .Update on dated 06-11-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
2850
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: maira nikkah ho chuka hai aur rukhsati next month hai, Q1)kia shadi ki pehli raat means valima say pehlay yeh lazmi hai k mujhay apni biwi say intercourse kerna hai warna valima halal nahi hota? Q2) maire biwi chahte hai k hum bacha k liey 1 year baad intercourse kerain aur 1 saal khud time guzarain, in this case kia condom use kerna jaiz hai? aur husband apni biwi say kitni bar sex ker sakta hai jis say nuksan na ho? aur agar biwi pregnant ho tab bhi us say intercourse kia ja sakta hai ? waiting for your reply

Answer: 1)Shadi ki pehli raat hambistari kerna wajib nahi. 2)Shohar apni jawaan bivi say 4 mahinay say ziyada muddat(time period) k liay hambistari(intercourse) tark nahi kersakta magar ye k(except) hambistari os k liay nuqsandah ya ziyada takleef ka sabab(reson) ho ya oski bivi khud 4 mahinay say ziyada muddat k liay hambistari tark kernay par raazi ho ya nikah kertay waqt nikah k zimn(agreement) main 4 mahinay say ziyada muddat k liay hambistari tark kernay ki shart rakhi gae ho Bivi k liay zarori(wajib) hay k jab bhi shohar os say jinsi lazzat(sex) hasil kerna chahay tu oski khahish pori karay or shar’e ruzr(any Islamic reson,i.e:in periods) k baghair shohar ko hambistari say nah rokay.(tauzee hul masail,Agha Seestani(d.b),maslah #2382,2376) shohar k liay jaiz hay k wo condom ko istimaal karay laikin is maqsad k ehtiyaat e wajib ye hay k pehlay apni bivi say ijazat lay lay.(Jadeed fiqhi masail,Maslah#455,Ayatullah Seestani(d.b) .Update on dated 18-11-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
2897
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: kya main shadi ki raat agar bivi ko sex karoon ur sath hi condom use karoo to ky ye jaiz hai ya nahi ans me soon

Answer: shohar k liay jaiz hay k wo condom ko istimaal karay laikin is maqsad k liay ehtiyaat e wajib ye hay k pehlay apni bivi say ijazat lay lay.(Jadeed fiqhi masail,Maslah#455,Ayatullah seestani(d.b). .Update on dated 18-11-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print