Please click the button for Quran o Itrat Academy Whatsapp Channel.
Whatsapp Channel
Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions:


Question & Answers << Go Back

Topic: Shohar Biwi K Ahkam 1 (1353 Questions)


Showing 1000- 1050 questions from 1353 questions on this page.

Answers found for searched words
Id:
112743
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-11-26

Question: Kia asa nikha jaiz hi jo khabi kissi orat sass k sath najaiz taulaq rakhen hon nabaligi ki umar may orat ki bhekaway may akar sex kia or phir kaen Sal tak dono ne tuaba b kr li ho is kam galat kam se wo baad may wo larka us ki beti se shadi kr lyta hi kia us ki biwi us k lye jaiz hi

Answer: Agar koe shaks apni phophi ya khala k alawa kisi or aurat se zina kare tu ehtiyaat e mustahab ye hay keh oski baiti k sath shadi na kare, agarche shadi karna jaiz hay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Tauzeehul masail 42 edition, maslah #2361)
[Updated on 27-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
113288
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-02-26

Question: Keya biwi ke sath video call main dono nanga ho ke bat Kar sakte hain Agar biwi razi ho Aur sohar dusre desh main hain . Do salun se unlogun ki mulaqat nhi hui ho 2. Biwi se kitne dur rahne ki ezazat hai Hadees main .

Answer: 1: Jee han, Shohar aur biwi aik dosre ko behrna(naked) halat men dekh sakte hain aur sex(fahash) ki batain bhi kar sakte hen.
2: Shohar k liye laazim hai k jawan biwi sai 4 mahine sai ziaada humbistri tark na karay lekin agar dono raazi ho tou koi maslah nahin hai.
(Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Minhajus salaheen part #3, Mafhoom e maslah #5)
(Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Tauzeeh ul masail edition #42, maslah 2382).
[Updated on 26-Feb-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id:
113375
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-11-23

Question: Nikkah k bad kitne din tk sex karna zorori hai?

Answer: 1: Shohar ko biwi k sath 5 awqat mai hambistri karna haram hai. 1. Haiz ki halat mai jima karna. 2. Nifas yani jab aurat ko bacha paida honay k baad 10 din tak khoon aata hai os halat mai jima karna. 3. Rozay ki halat mai jima karna. 4. Etikaaf ki halat mai jima karna. 5. Hajj ka Ehraam bandhnay k baad jima karna.
2: Biwi k peechay k maqam(maqam e pakhana) main hambistari kerna biwi k raazi nah honay ki sorat main ethiyaat e wajib ki bina per haram hay, agar biwi raazi ho tu jaiz hay laikin shadeed makrooh hai.
(Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Al-masail e mutakhaba, maslah #67).
3: Biwi k saath jima (intercourse) ka islami tariqa ye hay k jima k waqt mustahab hay k bismillah perhi jaay, or baa wuzu hon khaas taur per jab biwi haamila ho, or jima k waqt jo kaam makrooh hain on main say kuch ye hain 1. Soraj or chaand gerhan ka hona. 2. Zawaal e aaftab ka hona siwaay jumayraat kdin k. 3. Guroob e aaftaab k waqt ka hona. 4. Chand ki aakhri 3 raaton main jima kena. 5. Fajar k baad soraj nikalnay say pehlay. 6. Islami mahinay ki pehli taarikh siway Ramazan ki pehli raat(Chaand raat)main. 7. Islami mahinay ki dermiyaani or aakri taarikh main jima kerna. 8. Qiblay ki taraf rukh ya pusht kerna. 9. Berhana(naked) halat main jima kerna. 10. Ehtilaam k baad baghair wuzu k jima kerna. 11. Jima k waqt biwi ki sharamgaah ki janib nazar kena. 12. Jima k doraan baat kerna siwaay Allah k zikr k. ye tamam kaam makrooh hain jin say perhayz kerna behtar hay.
(Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Minhajus Saliheen Part #3, Maslah #5)
(Note: Upar bataye gaye haram aur makrroh maqamat ke elawa saal men kabhi bhi Jima(Intercourse) kia jasakta hai ).
[Updated on 23-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
113435
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-11-23

Question: Rukhsati k time Shadi wale din agar periods ho Jayein to kya karein

Answer: Halat e haiz(Periods) main Jima(intercourse) karna mard aur aurat dono k liye haram hai. laikin jima k ilawa baqi lazzat maslan bos-o-kinar(kissing wagera) karna jaiz hai.
(Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Tauzeeh ul Masail, Edition #42, Maslah #448,451)
(Note: Biwi ko chahiye ke wo shohar ko is masle se agah kare. Q is halat men Jima(intercourse) karna shohar aur biwi dono ke liye haram hai ).
[Updated on 23-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
113436
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-11-23

Question: Assalam Alaikum. Sir meri shadi ko 2 month hue hain me apni wife ki breast Ko suck karta hun Uska koi masla to nahi hai ya sex karte time me apna wo uski breast par ghumata hun is se Nikkah par Koi asar parta hai to bataiye plzz

Answer: 1: Shohar biwi ke breast suck(choos) ker sakta hay, laikin agar shohar biwi ke breast ko suck karey aur moohn main doodh aa jaye, to ehtiyaat wajib ye hay k biwi ka doodh nah piaya jaye.
(Ref: Ayatullah Sistani(d.b), E-Mail from Answers@najaf .org)
2: Shohar or biwi ke liay jaiz hai ke wo aik dosray ke jism ke tamaam hisso(parts of body) ko jism ke kisi bhi hissay(part) say chhoo(touch) saktay hain ye chhoona chaahay lazzat ke iraday say ho ya baghair lazzat ke, jaiz hai.
(Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Minhajus Saliheen, Part #3, Edition #1439, Maslah #11).
[Updated on 23-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
113453
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-11-26

Question: Aslam o Alikum Agr shohar k mouth (mue) mai bivi ka chotta bishab jay halaq se agy ni gya is ka kya hukam he, sir

Answer: Shohar or biwi aik dosray ki sharamgaah ko mou laga saktay hain,magar ye k sharamgaah say nikalnay wali ratoobat Halaq mian nah jaay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Istiftaat I-2,I-15).
[Updated on 27-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
113547
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-11-23

Question: Asslam o alaikum sir meri shadi ko 6 mah ho gy han lakin abh tak meri bewi ko hamal nh howa ha our kal us ko date shuru hoi ha kya date k doran koi medicine use kar sakty han jis sy agr reham main qamzoori ho ya koi our waja ho jis ki waja sy hamal na ho raha ho

Answer: 1: Jab tak mard ki mani aurat k rehem main nah jaye tab tak aurat haamila(pregnant) nahin ho sakti or agar aurat ka parda e bakarat(seal) baqi ho or phata na ho tu aurat haamila(pregnant) nahin ho sakti.
2: Hamal theherne ke liye Mard jima say farigh hone k baad aurat se aahistagi se alag ho jaey or aurat kuch dair tak chit laity rahe, aur apni rano ko milaey takeh hamal theherne main asani ho. (Ref: Islam or jinsiyaat, pg #150 to 152).
(Note: Aurtain hamila hone ke lehaza se mukhtalif qism ki hoti hain, koi aurat aik martaba hi jima karne se us ka hamal theher jata hai. aur kisi aurat ke sath is tarah ka mamala nahin hota ).
[Updated on 23-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
113555
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-11-23

Question: Asalam o alakium I just mired a month ago when I do sex with my wife my there is nothing comes mani out from my side But my lora fully stand with power during sex but problium it's no discharge any thing comes out

Answer: Tab bhi Aap dono par gusl e janabat wajib ho jaye ga. Q ke Agar koi shakhs aurat se jimma(intercourse) kare or uzw e tanasul supari ki miqdar tak ya is se ziyada dhakil ho jay to chahe ye dkhool farj(ugli sharamgah) me ho ya pichlay maqam me aur chahe wo baligh ho ya na baligh aur chahae mani kharij ho ya na ho dono junub ho jatay hein. aur dono per ghusl e janabat wajib ho jata hai.
(Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Tauzeehul masail, edition #42, maslah #348)
[Updated on 23-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
113641
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-11-22

Question: Aslawalekym Me Aapse Ye Sawal karna Chahta Hun ki Kya Apni Sarmgah Ki Size kitni hoti he..... Agar 4/5Inch ki ho to kya Ye size Kam Hai..... Plz mere ko Jarur repaly Dena

Answer: Nojawaan jab ghair mutabar afraad ki taraf ruju kertay hain tu wo onhain ghalat mashwara daite hain, maslan mardon main aam taur se yehi baat bayaan ki jati hay k mardon k aala e tanasul(penis) main 3 khososiyaat hona zaroori hain: 1-Lamba(Large) or seedha(straight) ho. 2-Mota(thick) ho. 3-Sakht(hard) ho. Or aam tabeeb(doctors) bhi yehi taleem mardon ko daite hain laikin jahaan tak uzo e tanasul(penis) ka chota ya lamba hone ka sawaal he, tu osay bas is qadar hona chahiay k Indaam e nihaani (yani aurat sharamgah) ko mutaharrik ker sakay or sub se ziyada hassaas(sensitive) sharamgah ka baahar ka hissa hota he. Khaas taur per bazr (Clitoris) or os tak pohanchne k liay chota uzo bhi kafi hota he. Lihaza penis k chote bare hone se koe faraq nahin parhta, albatta penis ka bohot hi ziyada bara hona takleef ka sabab hota he. Or penis k terha(crookedness) hone se bhi koe faraq nahin parhta Q k wo sharamgah main jane k baad khud hi seedha ho jata he. Penis k mota or patla honay se bhi koe faraq nahin hota, Q k aurat ki sharamgah k naram or lachak daar raysho main phailne or sokarhne(Shrinkage) ki salahiyat hoti he. Or itna sakht hona zaroori he k aurat ki sharamgah main asaani k saath dakhil ho sake. Ghalat tabeeb ghalat raey day ker nujawaan nasal ko mayoos ker daite hain. {Lihaza aise tabeebon(doctors) se bacha jaay}.
(Ref: Tehqeeqi islami encyclopedia, muallif doctor sibt e shabbar zaidi, wakeel e ayatullah muntazari, part#1, pg #110-111 ). Arnica + Lycopodium + Olive.ye oil Penis k massage k liay behter hain laikin massasge bohot ehtiyaat se karain k kaheen mushtzani nah ker baithain. mushtzani(Handprctice) se bachain Q k ye haram hay or mushtzani kisi bhi sorat main jaiz nahi hay.
(Ref: http:/h/abchomeopathy.com/forum2.php/124370/ + http://sistani.org/index.php?p=616687&id=1213 )
[Updated on 23-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
113646
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-11-25

Question: Assalam o alikum main janana chata hn kay agar wife apny shohar ko os ki khawaish par sex na day sirf jab os ka dil karay tab sex karay tu shohar kia karay

Answer: (Note: Aap apni biwi ko in sharaei masail se agah karen) ke 1. Biwi k liye laazim hai k shohar ki ijaazat k baghair ghar sai na nikle, aur shohar jitne arsay k liye ijaazat de us hisaab sai reh sakti hai is ke elawa nahin reh sakti. 2. Biwi k liay zaroori hai k jab bhi shohar os say jinsi lazzat (sex) hasil kerna chahay tu oski khahish pori karay or sharaei uzr (any Islamic reason, i.e : in periods) k baghair shohar ko hambistari say na rokay. 3. Biwi k hoqooq mai sai hai k mard isay aziat aur takleef na punhchaye aur kisi sharaei wajah k baghair is k sath sakhti aur tarsh royei sai pesh na aaye. 4. Biwi ki rihaish(housing), giza(fooding), libaas(clothing) aur zindagi ke baqi zaroriyaat ka intezaam shohar par wajib hai. 5. Agar biwi humbistri aur jinsi lazzaton k silsile mai shohar ka saath na day kar us ki khuwaish poori na karay tou biwi k roti, kapray aur makaan ka shohar zimedaar nahi hai. (Ref: Ayatullah Seestani, Tauzeeh ul masail, edition #42, maslah #2376,2377).
Hadees manqool hai jis main me aik orat ne kaha keh ya rasool allah shohar ka haq zoja per kya hai yani bivi per kya kya cheezain farz hain farmaya lazim hai ke us ki itaat kare kisi waqt or kisi haal main us ki nafarmaani na kare jis waqt wo mubashirat ka irada kare inkaar na kare chahe wo unoot ki pusht per hi kun na sawaar ho phir us orat ne arz ki ya rasool allah mard per kis ka haq sab se bara hai farmaya baap ka aurat ne arz kia, orat per sab se bara haq kis ka hai farmaya shohar ka, aurat ne arz kia keh shohar per mera haq utna nahi hai jitna mere per shohar ka hai, farmaya nahi or aik doosri hadees manqool hai keh aurat per farz hai ke kisi raat is halat main na soay keh us ka sohar us se naraz ho us aurat ne arz kiya ya rasool allah chahe us orat k shohar ne kitna hi zulum kiya ho farmaya haan chahe kitna hi zulum kiya ho (Ref: Tehzib ul islaam baab 4 topic hoqooq e zojain pg#140, 141).
[Updated on 26-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
113826
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-11-25

Question: Suhag rat manane ka sahi tariqa kaya hai

Answer: Bivi k saath jima (intercourse) ka islami tariqa ye hai k jima k waqt
1. mustahab hai k bismillah perhi jaay,
2. baa wuzu hon
jima k waqt jo kaam makrooh(na-pasandeedah) hain un main say kuch ye hain
1.soraj or chaand gerhan ka hona,
2. zawaal e aaftab ka hona siwaay jumeraat k din k,
3. groob e aaftaab k waqt ka hona,
4. chand ki aakhri 3 raaton main jima kena,
5. 5.fajar k baad soraj nikalnay say pehlay,
6. 6.islami mahinay ki pehli taarikh siway Ramazan ki pehli raat(Chaand raat)main ,
7. islami mahinay ki darmiani or aakri taarikh main jima kerna,
8. qiblay ki taraf rukh ya pusht kerna,
9. berhana (naked) halat main jima kerna,
10. ehtilaam k baad baghair wuzu k jima kerna,
11. jima k waqt bivi ki sharamg ko dekhna makrooh hai.
Hambistari ki dua:
Mustahabb hai k hambistari say pehlay apna haath biwi ki peishani k baal (hair of forehead) par rakhay aur ye dua perhay: (Allahumma alaa kitaabeka tazawwajtuha, wa fee amanatika akhaztuha, wa bekalematekas tahlalto farjaha, fa in qazaita lee fee rahmeha shay an fajalhoo musliman sawiyyan wa laa tajalahoo shirkash shaitan). (Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus saliheen Part # 3,maslah # 4 , 5).
[Updated on 25-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
113869
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-11-25

Question: Biwi agar uska doodh pilane ke liye raji ho toh kya pi sakte hai

Answer: Shohar bivi k breast suck(choos) ker sakta hay,laikin agar shohar biwi ke breast ko suck karey aur moo mai doodh aa jaye, toh ehtiyaat wajib ye hay k bivi ka doodh nah piaya jaay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), E-Mail from Answers@najaf .org).
[Updated on 25-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
114239
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-11-10

Question: Kia wife husband ka private part suck kr sakti hai uzu e tanasul ko suck yani chos sakti hai

Answer: Biwi se har qism ki lazzat hasil kr sakte hen, lekin sharamgah se nikalne wali ratubat ko gale se neeche le jana jaiz nahi hai.
(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Istiftaat I-2,I-15 ).
[Updated on 11-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
114600
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-11-19

Question: Sir mera masla ajeeb hai. Mai aur meri biwi aik dusre se bohat payar kartay hain. Lekin masla yeh hai kae wo mere har mamlay mae etraaz karti hai. Jese kae walida ka koi chota mota kaam ho tu etraz . Mere aik 12 saal ke bhanji mere saath rehti hai. Uske parents nahi hain. Tu is waja sae meri ami khud uski dekh bhaal karti hain. Meri biwi is cheez ko bhe na pasand karti hai. Mere par bohat ghalat tohmatien lagati hai. Guse mae haath uthati hai aur gali galoch karti hai. Lekin aam mamlat mae bohat dehan rakhti hai jese ghar ka khayal rakhna khana pakana mere kapro ka khayal rakhna. Lekin guse mae behad bad ikhlaaq ho jati hai. Mere khandan walo ko galiyan deti cheezien torti. Ghar sae nikal jati. Unchi unchi cheekhti hai.. Aur gusa bhe kabhi koi waja nahi hota. Ab is cheez ko bardasht kar kar kae esa ho gya hun kae mai guse mae khud ko nuqsan pohancha deta hun. Aur phr us par bhe haath utha deta hun. Esi esi harkatien kae bardasht na hun. Jese joota tor dena. Mere parents ke tasweero par thookna. Mere ghar walo k diye tohfay zaya kar dena. Meri pasand ke ashiya bahar phenk dena. Mai bohat pareshan hun. Meri aik choti beti bhe hai. Mai dino se bohat payar karta hun lekin humari zindagi bohat besakun ho chuki hai

Answer: biwi ke huqooq main se hay k shohar osay aziyat o azaar nah pohchaey ( maar peet na kare ) or kisi sharee wajah k baghair os k sath sakhti or ghusse se paish nah aay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #2376) , Mian biwi ki aik doosray se mohabbat o ilfat k lie har namaz k bad surah e mumtahina ki ayat # 7 ko 7 martaba parha karain. Is se danoo me be’misal mohabbat qaim ho jay gi. (ref : kitab naway salaheen pg # 404)

[Updated on 19-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
114674
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-11-01

Question: Haiz ki halat me shohar se gale laga kar Sona kaisa hai???

Answer: Is men koi haraj nahin hai shohar aur biw aisa kar sakte hain. Halat e haiz(Periods) main Jima(intercourse) karna mard aur aurat dono k liye haram hai. laikin jima k ilawa baqi lazzat maslan bos-o-kinar(kissing wagera) karna jaiz hai. (Ref: Tauzeeh ul Masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Maslah #448,451).
[Updated on 02-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
114891
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-08-30

Question: Sir shadi ka baad first time sex k bad dobara begair condom k kab tak sex kr sakty ha plz guide me

Answer: 1) jima (intercourse) k baad dobara jama kerna jaiz hay balkeh pehlay jima k baad baghair ghusl e janabat k dosra jima kerna makroh bhi nahi hay.
(Ref : Minhaj us salaheen Ayat ullah sistani d.b. part # 3 , masla # 5).
2) Agar ap medical point of view se pooch rahe hen to Apko iske lie doctors ki taraf ruju karna chahie.
[Updated on 30-Aug-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
114901
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-08-30

Question: S/A Mera swal ye hai ke agar kisi shaks ko kisi sexual imagination ki vjh kar kuch drop pani ki shakl Mai penis se leak kar Jate hai to kya Ghusul lena wajib hai ya uss jgh ko pani se saaf kar namaz ada ki ja sakti hai pls decribe.

Answer: Wo ratoobat jo shehwat angez khayalat k waqt insan apni sharmgah men mehsoos karta hai wo pak hai, us se ghusl bhi wajib nahi hota or na hi ye wazu ko batil karti hai. lehaza bager us maqam ko dhoye namaz parhi ja sakti hai.
(Ref: Tauzeeh ul masael, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Maslah #344,345).
(Note: Ehtiyat e mustahab he ke ese khayalaat se parhez karen)
[Updated on 30-Aug-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
114947
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-08-28

Question: Assalamualikum mai janna chahti hn k agr operation sai bachhe paida hote hain tou kia wo maa nhi bnti mtlb islam mai ix bare mai kia hai ???? plz mjhe zaroor jwb dain

Answer: wa alaikum assalam,
bacha chahe operation se ho, ya chahe normal delivery se ho, jis aurat ke batan se bacha paida hoga wo aurat us bache ki mah hoghe.
[Updated on 28-Aug-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
114952
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-08-28

Question: Assalam wa alaikum.. Sir meri shaadi ko 2 saal ho chuke hai. Aur mujhe darr lagta hai ki mujhe bahot dard hoga humbistari karne se. Isliye mein mere shohar ko andar tak karne nahi deti hoon.. Iss darr ko kaise door kar sakte hai please btayen. Kyun ki hum dono chahtein hai ki iss saal hamari aulad ho.. Iss dard ko door karne ka salah de please..

Answer: jab tak sahe tareqe se jima ( humbistri ) na hoghe tu aulaad kaise hoghe lehaza aap khoshish kar ke sahe tarah se apne shohar se jima (humbistri ) karaae take aulaad hosake or is silsele me khuch na khuch dard or mushkilaat bardaash kare or mazeed malomaat ke lie aap docter se ruju kare.[Updated on 28-Aug-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
114958
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-08-27

Question: Bivi ki bimari ka ilaj krana islam main shohar per faraz ha ?

Answer: (Permanent Marriage wale ) Bivi ki bimari ka ilaj kraana zindigi ki zarooriyat men shamil hai Aur daimi nikah (Permanent Marriage) k baad biwi ki ghiza, libaas, rehaish aur zindigi ki baqi zaroriyaat ka intezaam shohar par wajib hai.
(Ref: Tauzeeh ul masael, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Mafhoom e Maslah #,2376).
[Updated on 27-Aug-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
114996
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-08-24

Question: Main ny 2 shadia ki hai Kya dono biwion sy mubashrat karna farz hai ? Ya main dosri biwi jis sy pyar krta ho us k sath hi rho.

Answer: Agar kisi ki do daaimi biwiyan hon aur in men se aik ke pass aik raat rahe to wajib hai ke chaar raaton men se aik raat doosri ke pass bhi guzare aur is soorat ke elawa aurat ke pas rehna wajib nahin hai. Han ye laazim hai ke us ke pass rehna bilkul hi tarak na kar de.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Maslah #2381).
[Updated on 24-Aug-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
115051
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-08-10

Question: Kya agar biwi bemari ki halat main ho or insan ko apni jismani zarorat pori karni ho to kon sa tareka Jaiz Ha Islam main

Answer: Biwi se istimna karwana jaiz hai. Istimna (yani jima ke ilawa kisi or tareqe se mani nikaalna) agar shohar o bivi ke dermiyaan ho to jaiz hai jese shohar bivi ke zariye apni mani nikale jima ke bageer, or is hi terhan bivi shohar ke zariye jima ke bageer mani nikale, to ye jaiz hai or agar is sorat ke ilawa ho - chahe mard o orat kud apni apni mani nikalain ya aik mard ajnabi orat ke zariye ya orat ajnabi mard ke zariye mani nikale - to haraam o guhnaah e kabera main se hai.
(Ref: https://www.sistani.org/urdu/qa/01734/).
(Ref: Minhajus Saliheen, Ayatullah sistani, Part #1, Maslah #30, edition 2009).
(Ref: Jaded Fiqhi Masail, Ayatullah Sistani(d.b), Maslah #406, pg #236).
[Updated on 10-Aug-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
115053
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-08-10

Question: Kya husband apni wife se zabardasti sex karsakta hai kya Islam mein

Answer: Biwi ke liye ye zaroori hai k jab bhi shohar jinsi lazzat hasil karna chahe to uski khuwahish puri kare or sharaei uzr k bager shohar ko humbistari se nah roke.
Agar biwi kisi sharaei uzr k baghair jima se mana kare tu phir wo gunahgar hai or shohar hambistari kar sakta hai.
(Ref: Tauzeeh ul Masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Maslah #2376,2382).
[Updated on 10-Aug-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
115063
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-08-02

Question: Mere shauhar aj kl ki pareshaniyon mein mubtila h isliye wo sex ache se nhi krte or mein satisfy nhi hu to mujhe kya krna chahiye poen dekhni chahiye satisfy krne k liye ya kuch or qki isse dusri trf insan attract hota h plz reply plz

Answer:
Shauhar apni jawaan biwi se chaar mahine se ziyadah k liay hambistari tark nahin kar sakta, Magar yeh keh hambistari us ke liay nuqsaandeh (harmful) ya bohut ziyadah takleef ka ba’is (reason) ho ya os ki biwi khud 4 mahine se ziyadah ke liay hambistari tark karne par raazi ho, ya shaadi karte waqt nikaah mein 4 mahine se ziyadah muddat ke liay hambistari tark karne ki shart rakhi gaee ho.or shohar or biwi is tareqe se bhi se istefada karsakte hai ke i apnay badan k kisi bhi hissay ko doosray k badan k kisi bhi hissay se mass kar sakhtay hein. or bivi ki sharamgaah main ungli daal ker mani nikaalna jaiz hay.
Ref:Aayat-ul-Allah Seestani (d.b), Tauzeehul masael,Edition# 35,39,Mafhoom e Maslah #2376,2382, email rcvd from A.Sistani(d.b)
[Updated on 02-Aug-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
,))

Print

Id:
115071
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-07-29

Question: Assalam o alaikum .....mera ek sawal hai Kiya mazi jo pani ki trha huti hai wo mun me jane se hamal hu sakta hai kiya ...koi sex nh kara bs uzoo ko mun me dya tha or mjhe lgta hai us doran mazi mun me chali gae thi to kiya hamal hu sakta hai is soorat me

Answer: oral sex yani mian bivi aik dosray ki sharamgaah ko mou laga saktay hain,magar ye khayaal rahay k sharamgaah say nikalnay wali ratoobat Halaq mian nah jaayi.. or hamal is tah se hosakta hai ke nahe is masle me docter se raabta kare.( Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Istiftaat I-2,I-15. ). .Update on dated 18-11-2015.
[Updated on 29-Jul-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]


Print

Id:
115075
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-06-23

Question: Me let k hand practice krta tha shadi k bad jab ander dalta hu to biwi ko maza ata hai or me end me zor laga k farig hota hu mujy maza ni ata ander dalty waqt or nikalty waqt kindly suggest kya kru

Answer: 1) Shohar aur biwi k ilawa kise aur tariqe se jinse lazzat hasil karna gunah e kabira hay . .(Ref:Ayatullah sistani, Minhajus Saliheen,Part#1, Maslah#30)
2) Biwi apne hath se shohar ki isi tarah shouhar bhi apne hath se biwi ki mani nikal sakta he.laikin jism k hissay k alawa koe aur cheez sharamgaah main ehtiyaat ki bina per dakhil nahi ker saktay. (Ref : Jaded Faqhi Masayl Ayat ullaha Sistani d.b. Masla # 406 pg # 236, email rcvd from A.Sistani(d.b).
[Updated on 23-Jun-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
115076
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-06-23

Question: Assalam o Alaikum Mjy yeh pouchna hy ky mayri biwi ka maika dosry city main hy wo kuch months ky baad wahan jati hy or 1 hafta wahan rehti hy. Mjy akyly bohat zyada shewat hoti hy or main khud pr control ni rkh skta or internet pr kuch bura dykhta hon or anzaal ho jata hy. Baad main bara dukh hota hy ky yeh kia kr bytha please mjy btaiyeh main kysy bachoon is sy?

Answer: 1) Agar shohar biwi ko jaane ki ijazat nah day ya phir shohar ki haq talafi ho rahi ho tou biwi k liay shohar ki ijazat k baghair ghar sai nikalna haram hai.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 39 maslah#2376)
2) Shohar ki ijazat se bivi k liay ghar se bahar jana jaiz hay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 41th edition, maslah #2376)
3) Mard k liay mustahab hay k wo apni bivi ko ijazat da take wo apnay azeeb o aqarib se milay or on k marizoon ki iyadat kare or tashee e janaza main jaey waghaira waghaira, balkeh ye kaam mard per itni miqdar main wajib ho jain gay jitni miqdar husn e mashrat ki taqaza karti ho. (Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41, maslah#2376)
4) Istimna(Musht zani) kisi bhi zarie say ho haram hay. (Ref : jaded fiqhi masail masla no 462 pg # 253)
5) Taqwa e ilahi k zarye se is adat se nijaat hasil ki jay or jin cheezo or maqamaat se jazbaat main tehreek(harkat) paida hoti hay un se door raha jay. or Allah e subhaan ka kasrat se zikr kia jay or ye adat se bachne k liay ye sakht koshish ki jay or roza rakha jay q k roza burai say bachnay k liay dhal hay.
(Ref: http://www.sistani.org/index.php?p=297396&id=262 ).
[Updated on 23-Jun-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
115077
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-06-23

Question: AoA Mere 2 choty sawal hain Agar Kisi shaks ki 2 ya 3 biwiyan hain to Kia wo dono ya teeno k Sath ek waqt mein Matlab eksath Raat (sex) guzar sakta hai Dusra sawal ye k Kia wo dono biwiyan apas mein pyar (sex) kar sakti hain ? Inshort threesome jaiz hai ya nahi ?

Answer: 1) doosri biwion ke samne apne biwi se hambistri kar sakte hen Ager koi or haraam na ho raha ho raha ho maslan aik biwi dosere biwi ki sharamgah na dekhe kyu k aisa karna haraam hai (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 2400)
2) shohar (ka biwi ke) aur biwi (ka shohar) ke ilawa kise aur tariqe se jinse lazzat hasil karna gunah e kabira hay . .(Ref:Ayatullah sistani, Minhajus Saliheen,Part#1, Maslah#30),
[Updated on 23-Jun-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
115372
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-07-08

Question: Aoa sir meri biwi pregnant h 4 month sy to intercourse k liye agr wo agree na ho to kha rajoh kia jaye jinse taskeen k lye ya kia jaiz h aise sort m plz reply

Answer: Aap apni Hamila biwi se hambistri kar saktay hain.or biwi ,apne shoar ko sharhe waja ke begair jima se nahe ruk sakte . Mustahab hai k jab biwi hamila ho to jimma karnay sai pehlay wazoo kia jaye.(Ref: Minhaj us Saliheen Ayatullah Sistani(d.b), part #3, maslah #5). (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2376)
(Note: Doran e hamal jima kertay waqt is baat ka zaroor khayaal rakha jay k jima k waqt bivi k pait per apnay jism ka wazan nah daalain, is say bache ko nuqsaan pohanch sakta hay. aam taur per doctor hazraat 8th mahinay say jima kernay say mana kertay hain. laikin ye her aurat ki jismani kaifiyaat or taqat per munhasir (depend) hota hay. hum aap say guzarish kertay hain k aap is silsilay main apni biwi k lady doctor say ruju karain or bache ko nuqsan pohchnay wali chizon say perhaiz karain ).
[Updated on 08-Jul-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
115382
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-07-09

Question: Parents ka apny bachoun ko kis umar tak apny sath sulana jaiz hay? Kia ek hi room me bachoun ki majodgi m e un kay sotay huay parents sex kar saktay hain?

Answer: Jima(Intercourse) karte waqt makrooh hai ke koi wahan maujood ho aur jima karne walo ke amal ko dekh raha ho chahe chota bacha ya bachi hi q na ho jab tak ke us ka dhekhna haram me perne ka sabab na bane , aur agar haram men parne ka sabab bane tu jaiz nahin hai. or insan per wajib hai apne sharamghao ko aise bacho se chupaahe jo ache bure ki tameez rakhte ho. or rasool akram (s.w) ka arshaad hai ke qasam hai us zaat ki jis ke qabze qudrat me mere jaan hai ke agar koi shakhs is halat me apne biwi se jima kare ke ghar me koi bacha jaag raha ho or in ko dhekh raha ho or in kalaam or saas ki awaaz sun raha ho tu wo kabi falah nahe paaiga . agar larka hoga tu zina karne wala or agar larki hoghe tu zina karne wali . (Ref: Minhaj us Saleheen, Aytullah Sistani(d.b), Part #3, Masalah #5, Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #53,wasaailusshia ,urdu tarjuma ,jild # 14 ,pg# 115)
[Updated on 09-Jul-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
115484
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-07-16

Question: Husband wife apne balik bacho ke samne yah bol kar zina kar sakte hai kya ? Ki zina karna Mummy papa ke payar ka hissa hai

Answer: Jima(Intercourse) karte waqt makrooh hai ke koi wahan maujood ho aur jima karne walon ke amal ko dekh raha ho, jab tak ke us ka dekhna haram me perne ka sabab na bane, aur agar haram men parne ka sabab bane is tarah se ke sharamgahon ko dekha raha ho tu jaiz nahin hai.
or insan per wajib hai ke apni sharamgahon ko un logon se jo mukallaf(baliq, aaqil, qadir) hon chahe betay aur beti ki tarah ya maan aur behan ki tarah is ke mehram hi q na hon chupaa kar rakhe.
(Ref: Minhaj us Saleheen, Ayatullah Sistani(d.b), Part #3, Masalah #5, + Tauzeeh ul masail, edition #42, maslah #53,2400,2401).
[Updated on 17-Jul-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
115632
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-07-30

Question: Hez ki halat me zina karna mana hai. But kya hez ki halat me wife ke piche ke part se zina kar sakte hai yadi wife hez ki halat me piche se zina karne ke lie razi ho jaye ?

Answer: Aurat halat e haiz main ho ya nah ho Biwi k peechay k maqam(maqam e pakhana) main hambistari kerna bivi k raazi nah honay ki sorat main ethiat e wajib ki bina per haram hay, Jab keh agar biwi raazi ho tu jaiz hay laikin shadeed makrooh hay. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #448)+ Al-masail e mutakhaba, maslah #67).
[Updated on 30-Jul-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
115652
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-07-29

Question: Mutah ki iddat main oral sex kar sakty hai kiya shohar ke sath?

Answer: Jee nahin, yeh jaiz nahin hai Q ke mutah ki iddat men talaq rejie ki tarah ruju nahin hota.(Ref: Minhaj us Saleheen, Ayatullah Sistani(d.b), Part #3, Masalah #252,531).
[Updated on 29-Jul-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
115689
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-04-22

Question: Kiya biwi par kisi dosre mard se taluq ki shak ki bina par talaq di ja sakti hai?

Answer: (Note: Chahe koi wajah ho ya na ho shohar ke liye apni biwi ko talaq dene ka haq maujood hai, aur talaq shohar ki marzi par mauqoof hai ke chahe to apni biwi ko talaq de, chahe to na de. Lekin Riwayat men hai k talaq shareeat k shadeed makroohat men se aik makrooh amal hai, aur jis qadr mumkin ho is se bacha jaye, lehaza koshish ki jaye k ayse kamon ko anjam diya jaye jis se dubara shohar aur biwi k darmiyan taluqaat behtar ho jaen. Miyan biwi ki ek dusray se mohabbat o ulfat k liye har namaz k bad surah e mumtahina ki ayat #7 ko 7 martaba parha karen. Is se donon me bai-misal mohabbat qaim ho jaye gi. (Ref: Tauzeeh ul masasil, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2462 to 2464. + kitab Naway-e- Saleheen, pg #404).
chand kaam gunahaane kabera me se hain: pak daman mard ya aurat per sharhe gawaahoon ke begaire zina ki toumat lagana
momin ( ya momena ) ki touheen karna , momin ko zaleel karna ,momin k razo ko donna , momin per jhoote bahnna .(Ref:Ayatullah sistani, Minhajus Saliheen,Part#1, Maslah#30,eidition 2009).

[Updated on 22-Apr-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
115746
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-04-09

Question: Assalamualaikum kya viladath ya shahadath ke waqt biwi k khareeb jasakte hai?

Answer: Ayam wailadat men biwi se muqarebat ( jima ) karna jaiz hai or koi mana nahin hai.
Aur Ayam e shahadat men bhi Haram nahin hai siwaye ye ke Ayam e shahadat men tauheen or be-hurmati samjhi jati ho is soorat men to jaiz nahin hoga.
Han ye munasib hai ke ahl e bait (a.s) ki museebaton or gam ke dinon ke is tarah ka amal na kiya jaye ke jo aik shakhs aam taur par apne azeezon ke gam or pareeshani ke dinon men nahin karta.
(Ref: https://www.sistani.org/arabic/qa/0425/ , https://www.sistani.org/arabic/qa/02047/ ).
[Updated on 09-Apr-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
115751
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-08-05

Question: Aoa sir mera sawal ye hai k humbistri k doran husbund kam timing main discharge ho jy or bivi abi discharge na hui ho usko or zaroorat hy tab husbund ko kya krna chye .

Answer: 1: Mustahabaat e jima main ye bhi milta hay k koe shakhs apni aurat se fauran jima nah karay balkeh pehlay orgasm yani masaas (chhaati, raan waghaira ko haath se masalna, sehlana) cheerh chaarh or hansi mazaaq karay. is baat ko maahireen e jinsiyaat ne bhi tasleem kia hay. In ki nazar main fauran jima karne par mard ki mani jaldi se kharij ho jane ki sorat main mard ki khahish tu pori ho jati hay laikin aurat ki khahish pori nahin ho pati. jis ki wajah se aurat apne merd se nafrat kerne lagti hay. shayad isi liay deen e fitrat (mazhab e Islam) ne orgasm yani masaas, bosah baazi (kissing), cherh chaarh, hansi mazaaq, piyaar o muhabbat ki batain kerne ko mustahab qaraar diya takeh aurat mazkorah amal se jima k liay pori tarah aamadah ho jaay or jab is se jima kia jaay tu wo bhi mard ki tarah se pori terah jinsi tasalli hasil ker sakay shayad isi liay rasool khuda (s.a.w.w) ne irshad fermaya k: “ jo shakhs apni aurat se jima karay wo murgh(cock) ki terah os k paas nah jaay balkeh pehlay masaas (orgasm) or dast baazi (badan pe haath phairna) or khush tabae karay, is k baad jima karay. or shayad yehi wajah hay k jis waqt imam jaffer sadiq (a.s) se kisi ne daryaaft kia k : “agar koe shakhs haath ya ungli se apni zauja ya kaneez ki sharamgaah k saath baazi karay(playing) tu kaisa hay? Aap(a.s) ne fermaya khuch muzaiqa nahin (No Problem) laikin ajzaay badan (parts of body) k alawa koe or cheez is maqam main dakhil nah karay. {Ref: Tehzib ul Islam, pg #109,231} Yani aurat ko jima k liye poori terah aamada kerne ,yani garam kerne k liye mard aurat ki sharamgaah main ungli ya jism k kisi bhi uzw(part) se cherh charh ker sakta hay takeh aurat or mard dono ko mukammal jinsi kaif o lazzat hasil ho sakay.
2: Jima se pehlay masaas (orgasm) k baad jab jima shuru kia jaay tu jab jima k doran aurat k muzil hone (discharge) k bilkul qareeb ho yani wo baytabana harakaat karay, mard se chumtay, liptay, apne hatho ya taango se merd ko kas ker dabaye. Tab mard bhi jaldi jaldi dukhool (inserting of penis) or ikhraaj (emiting of penis) ker k farigh ho jaay, agar ittefaaq se aurat is waqt tak munzil nah ho or wo apne haatho ya taango se mard ko kas k daba rahi ho takeh mard alag nah ho tu mard ko chahiay k is waqt tak apne aala e tanasul(penis) ko aurat ki sharamgaah se bahar nah nikalay jab tak k aurat munzil nah ho jaay, phir khuch dair baad penis ko nikaal ker mard aahistagi se aurat se alag ho jaay. (Ref: Islam or jinsiyaat, muallif doctor muhammad taqi ali abdi, pg #145 to 151).
[Updated on 05-Aug-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
115753
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-04-06

Question: Meri shadi ko 12 saal ho gaye hain mere 2 bachay b hain magar mera shohar mere pas bht kam atay hain kabhi tou maheeno gizar jate hain agr mujhe hajat ho tou main kia karun?? Un ko bht bar shadi k shuru may h kaha kagar vo nai sunte aisa nai h k vo namard hain warna bachay hi na hote un k andar urge nai hoti maloom nai kyn... Aisa b nai k main shakal ki buri hun lekin main ai tak nai jaan payi vo aise kyn hain.. ab main ne unko kuch b kehna chor dia hai takreeban 6 saal ho gaye hain... Lekin mujhe samajh nai aa raha k main kia karun.. mard ko agr hajat hoti h tou vo jab marzi apni bv k sath relation qaim kr sakta hai magar bv ko agr hajat ho tou vo kia karay

Answer: Note: Aap apne shohar ko in masail se aghah karen or use waaz o naseehat kar sakti hain. ya kise aise shaks ko is bare bataae ke wo shaks aaap ke shohar ko samjaahe take aap ke shohar aap ke huqooq ada kare
1: Shohar apni jawan biwi se 4 mahine se ziyada ke liye ham bistari tark nahin kar sakta or shohar ke liye 4 mahine se ziyada muddat ke biwi se hambistri tark karna haram hai.
2: Jab zauja 4 mahine tak sabr na kar sakti ho is tarah se ke shohar ko khauf ho ke agar us ne zauja se hambistri na ki to zauja haram me par jaye gi tu is soorat me ehtiyat e wajib ki bina par shohar ko 4 mahine se pahle hambistri karne me jaldi karni hogi.
3: Biwi apne shohar ko waaz o naseehat kare or daraye, dhamkaye take shahar huqooq e zaujiyat ada kare lekin agar waaz o naseehat, or darane, dhamkane ka koi faaida na ho to zauja apna maamla le kar Haakim me shara ke pass chali jaye jo is ke huqooq ke liye munasib iqdam kare.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah 2382, Minhaj us Saleheen part #3, page 104 maslah #341, Jadeed Fiqhi masail, maslah #446).
[Updated on 07-Apr-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
115758
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-08-05

Question: Sir biwi k pacha valii jagaa saa andar Karna saa bacha pada ho ga ya ni give me answer plzzzz sir

Answer: Biwi k peechay k maqam (maqam e pakhana) main hambistari kerna bivi k raazi nah honay ki soorat main ehtiyaat e wajib ki bina haram hay, agar bivi raazi ho tu jaiz hay laikin shadeed makrooh hay.
Jab tak mard ki mani aurat k rehem (uterus, vagina) main dakhil nah ho tab tak aurat pregnant nahin ho sakti or agar aurat ka parda e bakarat(seal) baqi ho or phata na ho tu aurat haamla nahin ho sakti.(Ref: Ayatullah Seestani(D.B) Al-masail e mutakhaba, maslah #70)+ Islam or jinsiyaat, pg #151,152).
[Updated on 05-Aug-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
115771
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-08-10

Question: Asslam walaikum mardana kamzori ki wajah se apni awrat ki sharmgaah me sex toy's dal kar farigh kar sakte hai jaizz hai

Answer: Shohar aur biwi apnay badan k kisi bhi hissay ko doosray k badan k kisi bhi hissay se choo sakhtay hein laikin jism k hissay k alawa koe aur cheez (maslan sex toys waghaira) sharamgaah main ehtiyaat ki bina per dakhil nahin ker saktay or shohar ka bivi ki sharamgaah main ungli daal ker mani nikaalna jaiz hay. (Ref: Jadeed Fiqhi Masail, Ayatullah Sistani(d.b), Maslah #406, pg #236).
(Note: Shohar Medicine istimal kare inshallah is se faaida milega. (Damiana Pentarkan Germany ki homeopathic medicine hay or is k koe side effect nahi hain. aur tamaam jinsi amraaz se nijaat hasil karne k liay Mektum homeo Phrama k medicine T49 istemal kare. ye medicine bhi bohot mufeed hay.(Ref: http://www.hmlinks.com/mektum/product.php).
[Updated on 10-Aug-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
115774
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-04-05

Question: AOA ! Mera shohar meri maa ko bohat gandi gaaliya deta hai un k mu pa b unha da chuka hai or meray mu pa un ki gar majoodgi ma wo gusay ma mjhay b bohat ghatiya baatay sunata hai wo bohat bohat ganday alfaaz b istemaal kar chuka hai meray liyay k btatay huay sharab ay meri aek beti h aek saal ki mei apnay shohar ko bht mana krti hu 3 saal sa nikkah ma hu lekin har baar maafi mang k phr wo esay hi zaleel krta hai kya mei usay hula la skti hu in wajao ki bunyaad pa ya ni

Answer: Talaq e Khula us aurat ki talaq ko kehtay hain jo apne shohar ki taraf maail nah ho or us se nafrat karti ho apna mehr ya koe or maal usay bakhsh day taakeh wo apne biwi ko talaq day day. Talaq e khula main mutabar hay k aurat apne shohar se is qadar shaded nafrat kerti ho k usay wazifa e zaujiyat (maslah hambistari ) ada nah kerne ki dhamki day.( or aap apne khaandaan ke kise aise shaks se ye baat khe sakte hay ke wo aap ke shohar ko samjaae ke aap ka shohar aap se usne solooq se paish aahe or aap ke wajib huqooq ada kare )
Agar shohar apne biwi ko iziyat de aur beghair kise shari jawaz k biwi per tashadud kare to biwi apna muaamla (case) le kar hakim shara( yani mujtahid ya mujtahid ke vakeel ) ki taraf ruju kar sakte hai ta ke hakim shara ( yani mujtahid) is k shohar ko husne solooq karne ka hokum de aur agar is ka kohe faida na ho to apne sawabdeed (hesiat ot asro rasookh) k mutabiq ise sarzanish kare aur agar is se bhi koi faida na ho to biwi talaq ka mutalba karsakte hai. agar shohar talaq dene se inkar karde or ise talaq per majboor na kiya jaske to hakime shara ( yani mujtahid) ( apne ikhteyaraat istemal karke is ka sigha talaq jari karsakta hai.(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2492). (Ref : aqa sistani ,Jadeed faqhi masail , masla # 413 , pg # 237, eidition 5)
[Updated on 06-Apr-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
115778
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-04-04

Question: Mera sawal ye hai k mere nikah ko 2 sal hone wale hain.or rukhsati abi tak ni ki gai. Me halat-e-hamal me hu to bacha jaiz hai? Or dusra sawal mera ye hai k agar nikah or rukhsati me 2 sal ka ya us se zyada ka waqfa raka jaye to nikah qayam rahega? Ya nahi?

Answer: 1: Nikah ke bad mard aur aurat aik doosray per halal ho jatay hein or rukhsati se pehle agar hambistri ki jaye or is ke nateeje me hamal ho jaye to wo bacha jaiz hai or halal zada hoga.
2: Agar rukhsati men chand saal takheer ki jaye to is se nikah men koi farq nahin parhta, nikah barqar rehta hai.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, pg#357)
[Updated on 05-Apr-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
115782
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-04-04

Question: Salam. Sir mujhay poochna tha k agr koi aur halat e haiz main shohar se humbistri karay aur uss humbistri se wo pregnant ho jaye tou kya wo bacha halal ho ga ya haraam? Plz jaldi bataiye ga kisi nay urgent poocha hai.shukariya

Answer: Jee is Hambistri ke natije men paida hone wala Bacha halal zada hoga.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2427).
[Updated on 04-Apr-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
115789
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-06-03

Question: Salam, mera sawal ye hai k agr namaz ka waqt ho or shoher kahy k mjy khana do tw Kia namaz Ada kerna zyda zaroori ho ga TB ya shoher ka hukum?

Answer: Mard ko ye haq hasil nahi k biwi ko gharelo khidmat per majboor kare. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah #2378 ) biwi ke lie mustahab hay( yani zarore nahe hay laikin is ka sawaab milega ) ke wo shohar ki jinsi zarorat ko pura karne ke ilawa bhe shohar ki ghareru khidmat karte rahe , misaal ke tour par ghar ka khana pakaahe ,kapre seea ,ghar ki safaai kare or kapre waghaira dho kar de albatta shohar ki jinse zarorat pura karne ke ilawa ye kaam biwi per wajib ( zarori ) nahe hay. (ref:jadeed fiqhe masail ,urdu ,aqa sistani,masla no: 509) namaz ko awaal waqt me perhna behter hay ( or iski bhut ziyada takeed ki ghe hay laikin ye wajib or zarore nahe hay ,or khoshish ki jaay ke apne programmo ko is tarah se menage ki jaay namaz ke timming se muzaahemat na ho) ( sistani .org,urdu, topic : auqaat namaaz ,sawaal no : 6)
[Updated on 03-Jun-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
115843
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-04-03

Question: Mai bout choti choti bato pr preshan hojati hu mje asa lgtaa h jse mre hsbnd mjse ziadaa mri sas ko importance dete hain jbke wo Mje BHt importance dete hain hr bt m mra khayal rkhte hain pr mje choti choti bt buri lg jati h choti choti bt m feel krti hu dil drta rhtaa h or mnfi sochen BHt ati hain kbhi kbhi bht Rona ata h hr time tension m rhti hui anxiety ka msla h Mje .. pr jb nahi tha tb b mje yahi htaa tha k mre hsbnd mje ziada importance den hr bt Mai or hmsha unko apni khbt ka yqeen dilana prta tha k m tmhe ziadaa importance deta hn m khud s kbhi satisfy nhi hti unse jb wo yqeen dilate hain tb yqeen ata h k wo mjse mhbt krte hain or phr m tnsion free hojati hn plzzz mje kch btayen k m choti choti bato ko na sochu m BHt ziadaa sochti hu

Answer: Aik shadi shuda zindagi ko behtar banane ke liye zaroori hai he ke aik doosre ki chhuti chhuti baton ko nazar andaz kiya jaye, aik doosre ke sharaei huqooq ka khayal rakhte hoe aik doosre ki ghalation se darguzar kiya jaye, or is baat ki koshish ki jaye ke zindagi ki bunyad piyar o muhabat par ho,
Or jo aurat daemi nikah men ho os k liay haram hay keh shohar ki ijazat ke baghair ghar se bahir jaye chahe us ka nikalna shohar k haq k manafi nah bhi ho. Magar yeh ke koe aham zaroorat pesh aaye ya ghar men rehna us ke liye haraj or mashaqqat e shadeed ka baais ho ya ghar uski shan ke mutabiq nah ho. Or use chahiye ke khud ko jinsi lazzaton ke liye jo shohar ka haq hai us ke ikhtiyar men qaraar day, or kisi sharaei uzr (any Islamic reason, i.e : in periods) k baghair shohar ko hambistari say mana na karay.
Biwi ki rihaish, giza, libaas aur zindagi ki baqi zaroriyaat ka intezaam karna shohar par wajib hai. agar intezaam na kare chahe qudrat rakhta ho ya na rakhta ho apni biwi ka maqrooz hai.
Biwi k hoqooq mai sai hai k mard isay aziat aur takleef na punhchaye aur kisi sharaei wajah k baghair is k sath sakhti aur tarsh royei sai pesh na aaye.
Agar biwi humbistri aur jinsi lazzaton k silsile mai apne wazaaif par amal na kare ghar, libaas or roti wagera ke mutalbe ka haq nahin rakhti agharche us ke pass rahe.
Mard biwi ko ghar ke kam, kaj par majboor nahin kar sakta, agarche biwi ke liye mustahab hai ke ghar ke kam ko anjam de.
(Ref: Tauzeeh ul Masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Maslah #2376,2377,2378. + Link, https://www.sistani.org/urdu/qa/01744/ ).

(Note: Mazeed malomaat ke liye darj zel Links visit karen).
Link: https://www.erfan.ir/urdu/30907.html
Link: https://www.erfan.ir/urdu/30908.html
Link: https://www.erfan.ir/urdu/12253.html
[Updated on 04-Apr-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
115863
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-03-14

Question: Larki k sth Peechy se sex Krne k bd peechy se kesy blood aa skta hai

Answer: sharhe nikah ke begaire kise larki se sex karna zina hay or gunah kabira hay ,(Ref:Ayatullah sistani, Minhajus Saliheen,Part#1, Maslah#30)or biwi k peechay k maqam(maqam e pakhana) main hambistari kerna (back se sex karna ) bivi k raazi nah honay ki sorat main ehtiyaat e wajib ki bina per haram hay, agar bivi raazi ho tab bhi shadeed makhroh hay. (ref: Ayat ullah Seestani(D.B) Al-masail e mutakhaba, maslah # 67) ( or back se khoon aasakta hay ,is ki malomaat ke silsele me docter se raaabta kia jaae)
[Updated on 15-Mar-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
115868
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-03-08

Question: Agr wife ki mrzi na ho tu kya husband oral sex kr sagta ha?

Answer: miah ,biwi aik dosere ke lie pure tarah se mehram hay laikin gaire mamoli lazzatu ke lie eyteyaate wajib ki bina per miah ,biwi ka razi hona lazim hay . (ref: sisitani.org,urdu,humbistri,sawaal no : 1)
Oral sex yani aik dosray ki sharamgaah ko monh(mouth) laga saktay hain, magar ye k sharamgaah say nikalnay wali ratoobat Halaq mian nah jaay.
Albetta is sai aurat mujnib nahin hoti hai laikin agar oral sex karnay sai wo ratubat jo aurat say shehwat k saath Khaarij hoti hay agar is hadd tak ho kay usay Inzaal Kaha ja sakay aur libaas ko aalooda kar de jo aam tor par us waqt nikalti hay jab aurat jinsi shehwat ki Intihaa tak pohunch jaey to ye Najis bhi hay aur is aurat ko Mujnib shumaar kiya jaey ga aur us par ghusl e janabat bhi wajib hoga.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, Maslah #345. + Istiftaat I-2,I-15).
[Updated on 08-Mar-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
115908
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-03-01

Question: Salam.. Meri pareshani ye hai k Meri shadi ko ek saal hogaya hy lekin abhi tak me or mery shohar ek dusry k kareeb nahi aye hamara azdawaji taluk nahi qaim ho saka.. meny ek do bar shohar sy is pe baat karny ki koshish ki to jawab me unho ny kaha k pehly hum khud ko smbhal le phir family start karengy ya phir siray sy is pe koi baat hi nahi karty mery shohar.. Me ab is chez sy bht pareshan rehti hu qk saas or baqi ghar walo ny family barhany k lye zor dena shuru kardia hy jo k me khud b chahti hu lekin me unse is maslay k baray me bat nhi kar pa rahi maherbani kar k mjhy is maslay ka hal bataen mery shohar baqi chezo me bht achy hain .

Answer: (Note: Aap apne shoharse kisi bhi tarah is masle se aaghah karen ke Shohar apni jawaan biwi se chaar(4) mahine se ziyadah muddat k liay hambistari tark nahin kar sakta. magar yeh keh hambistari us ke liye nuqsaandeh ya bohut ziyadah takleef ka baais ho ya os ki biwi khud chaar(4) mahine se ziyadah muddat ke liay hambistari tark karne par raazi ho ya shaadi karte waqt nikaah ke zimin mein chaar(4) mahine se ziyadah muddat ke liye hambistari tark karne ki shart rakhi gaei ho. Aur is hukum mein ehtayaat- e-waajib ki bina par shohar ke maujood hone ya musaafir hone mein koe farq nahin hai is liye ehtayaat-e-waajib ki bina par yeh jaiz nahin keh ghair zaruri safar ko baghair kisi uzr ya aurat ki razamandi ke baghair chaar(4) maah se ziyadah tool diya jaaye.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Maslah #2382).
[Updated on 02-Mar-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
115925
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-02-27

Question: Humari pasand ki Shaadi hai per biwi ko ijma ka shauq nai hai mard honai ki hesiat se mein iss mamley mein pareshan rehta Hun or jinsi zaroorat pori karne ke liye dosri Shaadi ka khuaosh mand Hun, do sawal Hain. Pehla kia is sorat mein dosri Shaadi karsakta Hun Bina pehle se pochey kyun ke khula ka khatra hai or dosra sawal yeh ke uske ijma ke shouq na honai or mere hajat kahin or pori karne ke gunah ka haqdar Kon hoga?

Answer: (Note: Aap apni zauja ko is masale se agah karen).
1: Biwi ka apne shohar ko hambistri se mana karna jaiz nahin hai. Aurat kay liye zaroori hay ke jab bhi shohar jinsi lazzatain hasil karna chahay to is ki khuwahish poori karay aur sharaei uzr(reason periods e.t.c..) kay baghair shohar ko hambistari say na rokay. Haan shohar ki razamandi say taakheer karna jaiz hay. Agar koi aurat humbistri aur jinsi lazzaton k silsile mai shohar ka saath na day kar us ki khuwaish poori na karay tou us aurat k roti, kapray, aur makaan ka shohar zimedaar nahin hai.
2: Shohar apni marzi se (pehli biwi se pooche bager) doosri shaadi kar sakta hai siwaye yeh ke nikah ke waqt ye shart rakhi gaei ho k doosri shadi ke liye pehli biwi sai ijazat leni hogi to phir is soorat men pehli biwi se ijazat lena zaroori hai.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2376,2377. + Mujtahid se pochay gaye sawalaat, part #3, sawaal #105, pg #53).
[Updated on 28-Feb-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
115941
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-03-02

Question: Agar hamne ladki ke baap ki ijaazat par Audio call, Video call or ek dusre ko dekhne ki conditions par Mutah kia ho, aur aage chalkar hame haraam kaam me padne ka dar ho to ek dusre ke sath physically engage ho sakte hai or kya uske liye baap ki ijaazat lena zaruri hai? Aqa Sistani r.a ka iske baare me kya masla hai?

Answer: Agar wali (baap) ki ijazat se Nikah e mutah kiya gaya tha to ab physically
taluqaat qaaim karne ke liye dubara baap se ijazat leza zaroori nahin hai.( wo or baat hay ke larki ka baap apne ghar me miah ,biwi ke physically taluqaat qaaim karne se mana karsakta hay kyu ke wo ghar larki ke baap ka hay or kise ke ghar me us ki ijazat ke begire tasarruf nahe karsakte or ager larki ka baap physically taluqaat qaaim karne se mana karde tu physically taluqaat qaaim karne ke lie koi or jaiz jagha talaash karne hoghe )
(Ref: Tauzeeh ul Masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, masalah #2341).
[Updated on 03-Mar-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
115954
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-03-02

Question: Aslamoaliqum....mere shadi ko 8 sal ho gy hain. Shadi k 2 sal tk mery husband mery 7 thk rahy lkn bad me inki university ki koi frnd thi ab is ny inho NY friendship kr li r ab sahdi b kr li ha....lkn mene b Inka shadi me 7 diya...inho NY mje kha k me shadi k bad tumhara b khayal rakho ga...lkn shadi k bad wo blkl ignore kr ry hain mery samny apni biwi se bolty Hain lkn mery 7 ni hm dono 1 hi ghr me rahty Hain....me apny shohar se Pyar krti ho me usy ni chorna chahti ...ab is suiation me Kiya kro ...mskl halat Hain plz aap mje koi acha jawab dy dain. Mje khuch samjh ni a Ra....

Answer: (Note: Aap apne shohar is sharaei masale se aghah karen or shohar ke liye is par amal karna zaroori hai warna wo gunhagar honge).
Agar kisi shakhs ki do ya do se zaaid daaimi biwiyan hon to zaroori hai k tamam biwiyon men adalat se kaam lay. Aur is adalat se murad raaton ki taqseem men adalat karna hai, is mana men k aik raat aik biwi ke pass guzari ho to zaroori hai k chaar(4) raaton men se aik raat kisi doosri biwi ke pass bhi guzare. Aur jo adalat sharaei nuqta e nigah se mustahab hai is se murad naan o nafaqa aur un ki taraf tawajuh dene, chehre ko hashash bashash rakhne aur jinsi khuwahish poori kare men barabari karna hai.
(Ref: Jadeed Fiqhi Masail, Ayatullah Sistani(d.b), Maslah #428, pg #264).
[Updated on 03-Mar-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print