Please click the button for Quran o Itrat Academy Whatsapp Channel.
Whatsapp Channel
Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+


Question & Answers << Go Back

Topic: Shohar Biwi K Ahkam 1 (1360 Questions)


Showing 950- 1000 questions from 1360 questions on this page.

Answers found for searched words
Id:
107128
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2024-04-02

Question: Agar kissy larky ka husband bahir k mulk lamby arsy se ho to kya larki apni jinsi khuwaish kissy or mard se poori kar sakty hai kya?

Answer: G nahin ye aisa karna zina kehlaiy ga aur zina karna gunah e kabira me se hay. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 1, Mafhoom e Maslah #30 , Eidition 1439 hij)
[Updated on 02-Apr-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
107146
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2024-04-08

Question: Agar koi aurat, jiska shohar us se larta ho aur us se humbistri na krta ho aur usay ignore krta ho, tou aisi soorat mein aurat apni sexual needs puri krny k liay kisi aur se Islami tareekay se sex krskti hai?

Answer: G nahin aap ka ye amal zina kehlay ga aur zina karna gunah e kabira me se hay.
Note : aap apne shohar ko is masle sharhe ki traf tawajju delaae ke 4 magene se ziya jawaan biwi se humbistri trak karna jaiz nahe hay

(Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 1, Mafhoom e Maslah #30 , Eidition 1439 hij)
[Updated on 09-Apr-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id:
107822
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-08-04

Question: Kia agar shaadi k bad shohar biwi or olad ko chor k chala jaya or saal sa b zaada k bad b un sa na milna aya to shaadi khatam ho jati ha kia

Answer: Shohar ke itne arse door chale jane ki wajah se nikah katam nahi hota. albata Shohar apni jawan biwi se 4 mahine se ziada muddat ke liay humbistri tark nahi kar sakta magar yeh keh humbistri us ke liay nuqsanday ya buhut ziada takleef ka baais ho ya us ki biwi khud 4 mahine se ziada muddat ke liay humbistri tark karne par razi ho.(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #2462 to 2472,2382)
[Updated on 04-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
107862
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-12-22

Question: Sir mai shadi shuda hun max 2 saal se mera sawal yeh tha k kiya mai apni biwi k sath oral sex kar sakta hun kiya yeh jayiz hy

Answer: Shohar or biwi oral sex yani aik dosray ki sharamgaah ko monh(mouth) laga saktay hain, magar ye k sharamgaah say nikalnay wali ratoobat Halaq mian nah jaay. Albetta is sai aurat mujnib nahi hoti hai laikin agar oral sex karnay sai wo ratubat jo aurat say shehwat k saath Khaarij hoti hay agar is hadd tak ho kay usay Inzaal Kaha ja sakay aur libaas ko aalooda kar day , jo aam tor par us waqt nikalti hay jab aurat jinsi shehwat ki Intihaa tak pohunch jaey to ye Najis bhi hay aur is aurat ko Mujnib shumaar kiya jaey ga aur us par ghusl e janabat bhi wajib hoga. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 345) (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Istiftaat I-2,I-15)
[Updated on 23-Dec-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
107873
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-12-22

Question: Agar zere naaf k baal 40 din tak na kaate aur humbistari karle to kaisa hai.

Answer: G nahin hambistri per koi faraq nahin parhta, Sharamgah or os se oper sakht baalo ko saaf karna mustahab hay. Baaz riwayaat main takeed(mustahab) aae hay k zair e naaf baal ko 40 din se ziyada kaatne ko tark nah kia jaey, or aurat 20 din se ziyada zair e naaf baal kaatne ko terk nah karay. Or rahi baat baghal k baal ki tu riwayaat e kaseera main in baalo ko kaatne k liay baghair mudaat e muayyana ki qaid k hokum diya gaya hay or agar aurat k ye baal shohar k liay bivi se lazzat or faida hasil kerne ki raah mian nafrat ka sabab banain tu aurat k liay in baalo ka kaatna wajib hay.(Re: http://www.sistani.org/arabic/qa/0504/page/7/).
[Updated on 23-Dec-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
110145
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-08-04

Question: salam meri shadi ko ak saal hony wala hai or mein pregnant b ho mery susral walo sy mjy koi masla ni lakin waha k mahool mai boht farak hai or responsibilities boht zada hai mai is kabil ni ho mjy batein ma kiya kro mai chati ho k mjy par mery shohar ki or mery bacho ki responsibilities ho un k her kam kro lakin baki sab k liya mai tayr ni jab b maakiya sy susral wapis jana hota gai ak dar sa hota hai soch soch kr needh ni ati mjy baatein ma kiya kro

Answer: Biwi ke liye Gharelo khidmat anjam dena wajib nahin hai. isi tarh Mard ko ko ye haq hasil nahi k bivi ko Gharelo khidmat per majboor kare.(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 41th edition, maslah #2378).
[Updated on 04-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
110148
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-08-04

Question: My wife doing zinah but not showing to me and something I'm watching like cloths,place and some things so what I have to do

Answer: Biwi ne zina kar k gunah e kabeera ka irtekaab kia hai Lekin Is se nikah par koi farq nahi parhe ga (yani shohar par haram nahin hogi) or agar biwi taubah o istighfar nah kare or apne amal per baqi rahe (yani zinakari tark na kare) tu behtar ye hay k os ka shohar osay talaq day day. (Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition#41, maslah#2367).
[Updated on 04-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
110151
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-08-04

Question: Kaya fajar ky bad hambistri ki jaye to kia hoga , kafraaa hai koi???

Answer: Fajar k baad soraj nikalnay say pehlay biwi se jima karna makrooh he (yani behtar hai is ke waqt hambistri nahin kiya jaye), lekin is ka koi kaffara nahin hai.(Ref: Ayatullah Seestani(d.b) minha jus saliheen Part #3, maslah #5)
[Updated on 04-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
110179
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-08-02

Question: Mera nikkah hogaya 2 sal hogaye mere husband out of country hyn visa ni laga to rukhsati nhi hui abhi tk to kia mera nikkah baqi hy or kitni muddat tk ese nikkah reh skta hy bina rukhsati k

Answer: nikah baaki rahay ga
ziada muddat door rehne sai talaq nahi hoti or nikah khatam nahi hota.(Ref:Tauzeeh ul masail edition 41 maslah no 2462-2472).
[Updated on 03-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
110252
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-11-18

Question: Agar shohar ko sex se mana kr de aurat tu kia hukam h?

Answer: Biwi ke lie zarori hay ke jab bhe shohar jinse lazzate hasil karna chaae tu is ki tu ki khaawish pure kare or sharhe waja ke begaire shohar ko jima se na rokhe .Agar koi aurat humbistri aur jinsi lazzaton k silsile mai shohar ka saath na day kar us ki khuwaish poori na karay tou us aurat k roti kapray makaan ka shohar zimedaar nahi hai. is k ilawa shohar us ko talaq daine ka haq bhi rakhta hai.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 2376,2377)
[Updated on 18-Nov-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
110255
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-11-18

Question: Salam, Kya biwi alag ghar ki demand kr skti h?

Answer: Alag ghar ka mutaalba karna aap k liay jaiz hay, laikin shohar per faqat ye wajib hay keh wo naan o nafaqqah k taur par os ko ghar farhaam kare, ye zarori nahi hay keh gahar zaati ho, balkeh gahar kiraey ka bhi ho tu kaafi hay.shohar ki heseyat ke mutabiq biwi ke shayaane Shan nafaqa shohar per wajib hay.(Ref:Ayatullah sistani, Minhajus Saliheen,Part#3, Maslah#340,eidition 1439,jadeed fiqhe masail ,aqa sistani,masla no:445 ).
[Updated on 18-Nov-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
110260
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-10-24

Question: Assalam Alaikum mera sawal ye ha k keya jab bivi hamila ho tab sex kar sexty he or sex wali jaga ko chum sekhy he

Answer: 1) Jee han hambistri kar saktay hain., Mustahab hai k jab biwi hamila ho to jimma karnay sai pehlay wazoo kia jay. (Ref : Minhaj us salaheen Ayat ullah sistani d.b. part # 3 masla # 5)
2)Shohar or biwi aik dosray ki sharamgaah ko monh(mouth) laga (yani choomna wagira) saktay hain, magar ye k sharamgaah say nikalnay wali ratoobat halaq mian nah jaay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Istiftaat I-2,I-15)
[Updated on 24-Oct-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
110365
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-10-19

Question: kia Nikha k bd Lrki apny Maa bap k Gher Rak skti h Hmesha k lie

Answer: Jis aurat ka daimi nikah ho jaey os k liay haram hay keh shuhar ki ijazat ke baghair ghar se bahar nikla chahay os ka nikalna shuhar k haq k manafi nah hi ho. Magar yeh keh koe aham zarurat pesh aay ya ghar mein rehna os k liay nuqsaan ka bais bane ya ghar os k monahsib nah ho. (Ref:Aayat-ul-Allah Seestani (d.b), Tauzeehul masael,Edition# 39,Mafhoom e Maslah # 2376 )
(Note: Aap ko chahye k aap apni zoja ko is maslay sai agaah karen k un k liye jaaiz nahi hai k shohar ki ijaazat k baghair ghar sai bahar nikle.
[Updated on 19-Oct-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
110402
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-10-14

Question: Slaam Agr ladke me kami ho k wo baap ni ban skta or ye baat use, uske baap, or chacha ko pta h phir bhi shaadi kr lijiye (ladki or uske ghar walo ko koi khabar na ho is bare me)or kuch mahine baad ladki ko ye sb btaya jaye to kya ese moke par ye shaadi batil hogi q k ye dhoka hua h ladki k sath Islam kya kehta h or kya koi esa msla h isme k ye shadi khud batil hojaye Please jaldi btaiyega jawab JazakAllah

Answer: Agar biwi ko nikah k baad pata chale k os ka shohar aisi beemari me mubtila ho k apne biwi se jima na karsakta ho kha wo bemari nikah k baad aur jima se phele ,ya jima karne k baad kyu na aai ho to in tamaam surato me aurat talaaq k baghair nikah khatam kar sakte hai.Laikin is surat me k shohar jima na kar sakta ho aur aurat nikah khatam karna chahay to is aurat per laazim hai k phele haakim sharah (mujtahid ) ya is k vakeel se ruju kare aur haakim sharah (mujtahid ) is (shohar ko) 1 saal ki mohlat de ga lehaza agar is douraan shohar ,biwi ya kise dosere aurat se jima na kar sake to is k baad aurat nikah ko khatam karsakti hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah #2346 ).
[Updated on 14-Oct-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
110403
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-09-30

Question: Apni biwi ko kisi or se jamah krty dekhna

Answer: Zina karna or bivi zina kare or shohar khasmoosh rahe or bivi ko mana nah kare tu ye gunah e kabira hay. (Ref: Ayatullah sistani d.b, Minhajus saliheen, part#1, maslah#30)
[Updated on 30-Sep-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
110408
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-09-30

Question: Kia poti wali jaga m sex karskty h

Answer: Agar aap ki muraad washroom hay tu kar saktay hain, lekin is cheez ka khayal rakha jaye ke jis najis jagh pe hambistri ki ja rahi hai, us jagh ki wajah se badan ya jo kapra pehna howa he najis ho rahain hon to use pak karna hoga.(Ref: https://www.sistani.org/arabic/book/16/858/,(Ref: Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani, Tauzeeh Ul Masail, Mahfoom e Maslaa # 156). Biwi k peechay k maqam(maqam e pakhana) main hambistari kerna biwi k raazi nah honay ki sorat main ethiyaat e wajib ki bina per haram hay, or agar aap ki muraad Apne wife se back sex karna hay tu agar biwi raazi ho tu jaiz hay laikin shadeed makrooh hay. Aur is sai nikah batil nhi hota hai.(Ref : Ayatullah Seestani(D.B) Al-masail e mutakhaba, maslah # 67
[Updated on 30-Sep-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
110412
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-10-13

Question: Sir Mera sawal ye h k agr nafs kw andar nhi dala jaaey lkn biwi ki sharamgaah k bhttt nazdeek Mani nkl jaaey tw biwi pregnant hojaegi agr pant se thorri c Mani uski sharmagah k uper b lgjaey tw

Answer: Jee nahin is biwi hamila nahin hoti. (Ref: Islam or jinsiyaat, pg#151)
[Updated on 13-Oct-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
110471
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-09-16

Question: Assalam.o.Alakum. muja ye jaan na hai k shohar ki itaat karna biwi per wajib hai k nahi.. or biwi ki izzat na karay to islam kia bolta hai is bara main...

Answer: Jis aurat ka daaemee nikah (perment merrige) ho jaey os k liay haram hay keh shohar ki ijazat ke baghair ghar se bahar nikla chahay os ka nikalna shohar k haq k manafi nah hi ho. Magar yeh keh koe aham zarurat pesh aay ya ghar mein rehna os k liay nuqsaan ka bais bane ya ghar os k monahsib nah ho. Bivi k liay zarori(wajib) hay k jab bhi shohar os say jinsi lazzat(sex) hasil kerna chahay tu oski khahish pori karay or shar’e uzr(any Islamic reson,i.e:in periods) k baghair shohar ko hambistari say nah rokay. Agar koi aurat hambistri aur jinsi lazzat k silsile me ki khowish puri na karay to shohar us ki roti , kapray aur makan ka zimadar nahi he. Agar chahe wo shohar k pas hi rahay. Aurat ki Giza ,lebaas ,rehaaish or zindaghe ki baaqe zaroriyaat ka intezaam shohar per wajib hay agar shohar
ye cheeze moeya na kare tu chaae in ke moeya karne per qudrat rakhta ho ya na rakhta ho wo biwe ka maqrooz hay .Aurat k huqooq me se aik ye bhi he k merd usi aziyat na pounchey aur kisi sharie waja k bagair us k saath sakhti aur tursh’ravi se pesh nah aay.
(Ref:Aayat-ul-Allah Seestani (d.b), Tauzeehul masael,Edition# 39,Mafhoom e Maslah # 2376 ,2377)
Hadees manqool hai jis main me aik orat ne kaha keh ya rasool allah (s.a.w.w) shohar ka haq zoja per kya hai yani bivi per kya kya cheezain farz hain farmaya lazim hai ke us ki itaat kare kisi waqt or kisi haal main us ki nafarmaani na kare jis waqt wo mubashirat(jima) ka irada kare inkaar na kare chahe wo unoot ki pusht per hi kun na sawaar ho phir us orat ne arz ki ya rasool allah mard per kis ka haq sab se bara hai farmaya baap ka aurat ne arz kia, orat per sab se bara haq kis ka hai farmaya shohar ka, aurat ne arz kia keh shohar per mera haq utna nahi hai jitna mere per shohar ka hai, farmaya nahi or aik doosri hadees manqool hai keh aurat per farz hai ke kisi raat is halat main na soay keh us ka sohar us se naraz ho us aurat ne arz kiya ya rasool allah chahe us orat k shohar ne kitna hi zulum kiya ho farmaya haan chahe kitna hi zulum kiya ho (Ref: Tehzib ul islaam baab 4 topic hoqooq e zojain pg#140, 141).
[Updated on 16-Sep-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
110526
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-06-22

Question: Assalam wo alekum sir mare behen shadi shuda ha 3 bacha ha lakin uska husband usa galliya data rehta ha logo k samina bala bura kehta a or marta ha dosre larkiyo k sat batain karta rehta wo b mare behen k samna sir koie ilaj bata da mehrubani hogi

Answer: Agar shohar apni biwi k huqooq ada nah karey or usey aziyyat day to biwi apna muaamla lay kar hakim shara( mujtahid) ki taraf ruju kar sakti hai takeh hakim shara( mujtahid) is k shohar ko husne solooq karne ka hokum de aur agar is ka koe faida nah ho to apne sawabdeed k mutabiq use sarzanish kare or agar is se bhi koi faida nah ho to biwi talaq ka mutalba kar sakti hai. Agar shohar talaq dene se inkar karde or ise talaq per majboor nah kiya jaske to hakime shara( mujtahid) apne ikhteyaraat istemal karke is ka sighah e talaq jaari kar sakta hai. (Ref : AqaI sistani (d.b),Jadeed Fiqhi Masail, Maslaa # 413, pg # 237, 5th Edition). Mian biwi me mohabat k lie : Mian biwi ki aik doosray se mohabbat o ilfat k lie har namaz k bad surah e mumtahina ki ayat # 7 ko 7 martaba parha karain. Is se danoo me be’misal mohabbat qaim ho jay gi. (ref : kitab naway salaheen pg # 404) 2. Aulad k lie : Riyawat me he k talab e aulad k lie sajday me surah e ambia ki ayaat # 89 (rab’bi laa tazar ni . . . . . . . . .al wa’ri’seen) aur surah e aal e imran ki ayat # 38 (rab’bi hab’li . . . . . . . . . .al dua) parhain. (ref : kitab naway salaheen pg # 400)
note: khaandaan ke bare or aise louqo se is silsele me raabta karsakte hay yu shohar ko zulm kare se ruke or shohar ko haram kane se ruke.
[Updated on 22-Jun-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
110528
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-06-08

Question: Salam Agr husband wife sth rathy hai us bd b 2 saal tak pass na aaea aur koi mabjri b na tu kiya nakha thot jatha hai

Answer: Nikah baaqi rahay ga ziada muddat door rehne sai talaq nahi hoti or nikah khatam nahi hota.(Ref:Tauzeeh ul masail edition 41 maslah no 2462-2472). Shohar apni jawaan bivi say 4 mahinay say ziyada muddat(time period) k liay hambistari(intercourse) tark nahi kersakta magar ye k(except) hambistari os k liay nuqsandah ya ziyada takleef ka sabab(reson) ho ya oski bivi khud 4 mahinay say ziyada muddat k liay hambistari tark kernay par raazi ho ya nikah kertay waqt nikah k zimn(agreement) main 4 mahinay say ziyada muddat k liay hambistari tark kernay ki shart rakhi gae ho.(tauzeehul masail,Agha Seestani,maslah #2382).
[Updated on 08-Jun-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
110592
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ruhollah Khomeini Date: 2022-06-17

Question: Jo log apni biviyo sy door chly jaty ma jsy k mulk sy bahir 1ya 2 saal k lye wo apni jinsi khwahish ko ksy poora krty ha ya biwi apni jinsi khawahish ko ksy pora kr skti ha jb k aurat or mard 4maheny sy zyada door nhi rh skty

Answer: 1)Shohar apni jawaan bivi say 4 mahinay say ziyada muddat(time period) k liay hambistari(intercourse) tark nahi kersakta magar ye k(except) hambistari os k liay nuqsandah ya ziyada takleef ka sabab(reson) ho ya oski bivi khud 4 mahinay say ziyada muddat k liay hambistari tark kernay par raazi ho ya nikah kertay waqt nikah k zimn(agreement) main 4 mahinay say ziyada muddat k liay hambistari tark kernay ki shart rakhi gae ho.or is hukum me ehteyate wajib ki bina per shohar ke moujood hone ya musafir hone me faraq nahe hay is lieehteyate wajib ki bina per jaiz nahe hay ke gaire zarori safar ko bagaire kise uzur ( sharhe waja ) ya biwi ki razamandi ke bagaire 4 month se ziyada tool dia jaay. )..laikin jahaan shohor bivi ki jinsi(sex) khahish ko mukammal taur per pora nah kerta ho jis se os ka gunah ka murtakib honay ka khatra ho, is sorat main agarchah wajib yehi hay k shohor bivi ki khahish pori karay ya os k talaq k mutaalbay ko pora karay.liakin agar shohor aisa nah karay tu bivi ko sabr or intezaar kerna chahiay.(ref:tauzeehul masail,Agha Seestani,maslah #2382,(Aqa.sistani(d.b),jaded fiqhi masa’il, masalah # 428).
2)Shohar or biwi ka ek duasre k ilawa kisi or tariqe se jinsi lazzat hasil karna gunah_e_kabira hai. (Ref : Ayatullah sistani, Minhajus Saliheen,Part#1, Maslah#30,eidition 1430)
3) Mard k lie aik se ziada shadi karsakta hay. (ref : Mujtahid se pouchey gay sawalat part # 3, ques # 105, pg # 53)
[Updated on 17-Jun-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]


Print

Id:
110620
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-04-30

Question: slam..shadi ko 1 saal hua ha olad nahe ha...jb b sex krta ho tu jmoney nahe nikalti...chahe jitna marzi time b sex krloin mai..nafs b tanao me rehta ha...hath sy kroin tu 2 min me nikl jati ha money...iska ilaj batain k sex k doran money nikal ai ... wese money kafi thick ha

Answer: Shohar ko chahiay k jima se pehlay masaas(orgasm) kare, yaad rakhna chaiay k masaas or dastbaazi k is amal main merd khososi tawajjah rakhe, yani wo piyaar o muhabbat ki baato k sath sath aurat ko good main lay , boos o kinaar kare, pistano (brest) ki niple ko masle, pistano ko dhere dhere dabae, honto ya zabaan ko ahista ahista chosay, baghal, guddi, raan waghera main ungliyaan phere, sharamgaah k ander ungli dakhil ker k halke hlake harkat day , apna uzo e tanasul (penis) aurat k hath main day takeh wo ose dhere dhere dabae or inteshaar (yani uzu e tanasul main tanao) paida hone per apne jazbaat or khahishaat ko os waqt tak qabo main rakhe jab tak aurat ki saansain ukharhni nah shuru ho jain, is k baad jab jima shuru kia jaay tu jab jima k doran aurat k munzil hone (discharge) k bilkul qareeb ho yani wo baytabana harakaat karay, merd se chumtay, liptay, apne hatho ya taango se merd ko kas ker daba,ay. Tab merd bhi jaldi jaldi dkhool (inserting of penis) or ikhraaj (emiting of penis) ker k farigh ho jaay, agar ittefaaq se aurat is waqt tak munzil nah ho or wo apne haatho ya taango se merd ko kas k daba rahi ho takeh merd alag nah ho tu merd ko chahiay k is waqt tak apne aala e tanasul (penis) ko aurat ki sahramgaah se bahar nah nikalay jab tak k aurat munzil nah hojaay, phir khuch dair baad penis ko nikaal ker merd aahistagi se aurat se alag hojaay). Update on dated 20-11-2015. (Ref:Islam or jinsiyaat, mu,allif doctor muhhammed taqi ali abdi, pg#150-151).
[Updated on 30-Apr-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
110644
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-04-10

Question: Bhai mera shohar apna koi farz ada ni krta jaisa k namaz, zakat, hajj or mjy mery farz ada krny ka bolta ha. Mjy bolty hain k parda kro ta k unko gunah na milay. Jo dusry sy gunah mily wo zabardasti pura krana ha or jo khud farz ha wo ada ni kry or na hi mjy namaz ka bolty hain. Mjy mera meyan tang krta ha is bt py or larai jhagra krta.

Answer: Agar shohar apne wajibat nahin baja la raha to wo gunahgar hai, aur apne aamal ka khud zimdar hai, lekin biwi k liye parda karna laazmi hai aur biwi ko bhi chahye k parda kare Q ke pardah na kar k biwi khuda ki naraazgi ka sabab bun rahi hai.(Ref:https://www.sistani.org/urdu/qa/01746/).
[Updated on 11-Apr-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
110733
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-04-11

Question: Me apna husband ke maqam pakhana me fingering karna chahti hu, aur mera husband mujha is ja dakhil karna chahte ha, is ka bare me masla btaya, jazakallah

Answer: 1-Shohar aur biwi apnay badan k kisi bhi hissay ko doosray k badan k kisi bhi hissay se cho sakhtay hein or Shohar aur biwi aik dosray k badan k zahari aur baatni tamaam hisso hatta keh sharamgah ko bhi dekh sakhtay hein.laikin jism k hissay k alawa koe aur cheez sharamgaah main ehtiyaat ki bina per dakhil nahi ker saktay.or shohar ka bivi ki sharamgaah main ungli daal ker mani nikaalna jaiz hay. (Ref : Jaded Faqhi Masayl Ayat ullaha Sistani d.b. Masla # 406 pg # 236, email rcvd from A.Sistani(d.b)+ e-mail rcvd from A.Sistani d.b, dated: Jan 20, 2012,)
2-Biwi k peechay k maqam(maqam e pakhana) main hambistari kerna(anal sex) bivi k raazi nahei honay ki sorat main ethiat e wajib ki bina per haram hay,or agar bivi raazi ho tu jaiz hay laikin shadeed makrooh hay. (ref: Ayatullah Seestani(D.B) Al-masail e mutakhaba, maslah # 67).
[Updated on 12-Apr-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
110744
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-03-23

Question: Asslam o alikum molvisahb sawal ya hy k dubai mn job krta hn or mre bv pakistan mn hy kia hum mobile py romance krskty hn

Answer: Bivi ke sath phone per sexy batain kar sakte hain laikin is baat ka khayaal rahe k is had tak baat nah ki jaey keh khud per kabo nah rahe or mushtzani karne per majboor ho jain, Q ke Mushtzani (muth) haraam aur guhnaah e kabeera hai. (Ref:Ayatullah sistani, Minhajus Saliheen,Part#1, Maslah#30,eidition 1430 ,(Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), jaded faqhi masayl masla # 406 pg # 236, minhaajus saliheen,part#2,maslah#34).
[Updated on 24-Mar-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
110794
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-03-20

Question: Kia muajjal haq meher adha aadha apni bv ko de sakte Hain ya pura ek sath Dena hoga

Answer: Jaiz hay k saray k saray mehar ko moujil (yani muddati) ya ghair e moujil (yani ghair muddati) ya indat talab (yani mutaalbay k waqt ada kerna) qarar dia jay aur baaz ko moujil aur baaz ko ghair moujil qarar dia jay aur moujil may muddat ka mouin karna zaroori hay. (Ref : Minhaj us salaheen Ayat ullah sistani d.b. part # 3 masla # 302).
[Updated on 21-Mar-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
110801
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-03-18

Question: mere husband ki 2 families hai yani mere hasband ki ak 1st wife or 6 bachey hai or 2nd wife or us se ak bacha ha un ki monthly income 2 se 3 lac ha dono families ko ketni takseem honi chahye income ki?????

Answer: shohar per wajib hay ke wo (apne daaime) biwi ( chae aik biwi ho ya aik se ziyada biwi ho )ke lie khana ,libaas ,aisa makaan faraam kare jis me jis me zarori wasaail ho. jise hiter ,colar,ghar ka farsh or degar samaan hay ,jo shohar ki heseyat ke mutabiq biwi ke sayaan shaan ho albatta ye lawaazimaat zindaghe zamaan o makaan or haalaaat o satha ke lehaaz se mukhtalif bhi hosakte hay or shohar per biwi ka naan o nafaqa srif use surat me wajib nahe ke jab biwi faqeer ho or muhtaaj ho balke is surat me bhe wajib hay jab biwi ameer or beniyaaz ho.
shohar per, ( aik se ziyada biwiyan hone ki surat me jo cheez wajib hay wo faqad ye hay ) ke agar shohar aik shab (raat) aik biwi ke pass soya ho tu 4 raatu me se aik raat kise dosere biwi ke pass bhi sohe ( is cheez ke ilawa shohar per apne biwiyoon ke darmiyaan dosere cheezo me barabar ki taqseem karna zarori nahe hay ) or jo adaalat shohar per sharhe nuqte nigha se mustahab ( behter hay or wajib nahe ) hay is se muraad naano nafaqa or biwiyoon ki taraf tawajju dene ,(shohar ka in biwiyoon ke saamne apne) chere ko hashaash bashaash (khush o khurram) rakhne or jinse khaash pure karne me baraabare hay. (ref:jadeed fiqhe masail,aqa sistani.org.urdu,masla no: 407,409,434)
[Updated on 18-Mar-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
110924
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-12-03

Question: Agr mard aorat ki sharmgah se apni sharmgah touch kary(under na daly) mard discharge ho jay but aorat dishcharge na ho, aorat k liy gusal ka kia hukm ho ga?

Answer: Agar koe shakhs aurat se jimma (intercourse) karay aur uzo e tanasul supari ki miqdar tak ya is se ziada dhakil ho jay to chahae ye dukhool (agali sharamgah) me ho ya pichle maqam me aur chahae mani kharij ho ya na ho dono junub ho jatay hein.(aur donoo per ghusl e janabat wajib ho hata he.)(Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 348).
(Note: agar uzo e tanasul supari ki miqdar tak ya is se ziada dakhil na ho to aurat par gusl wajib nahin hoga.)
[Updated on 03-Dec-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
110943
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-12-18

Question: Kia bivi apne shohr k piche ki jaga me ungli dal skti hai?

Answer: Shohar aur biwi apnay badan k kisi bhi hissay ko doosray k badan k kisi bhi hissay se cho sakhtay hein.laikin jism k hissay k alawa koe aur cheez sharamgaah main ehtiyaat ki bina per dakhil nahi ker saktay.or shohar ka bivi ki sharamgaah main ungli daal ker mani nikaalna jaiz hay. (Ref : Jaded Faqhi Masayl Ayat ullaha Sistani d.b. Masla # 406 pg # 236, email rcvd from A.Sistani(d.b)+ e-mail rcvd from A.Sistani d.b, dated: Jan 20, 2012)
[Updated on 18-Dec-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
111055
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-12-03

Question: Kia haiz khatam hony k baad ghusal se pehly intercourse kr sakty hain?

Answer: Haiz khatam hone k baad hambistari karna jaiz hay laikin ehtiyaat e lazim ye hay keh jima sharamgaah dhoone k baad kia jaey, or ehtiyaat e mustahab ye hay keh is k ghusl karne se pehle mard is se jima nah kare. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Tauzeehul masail, 41th edition, maslah #457).
[Updated on 03-Dec-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
111068
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-12-03

Question: Agar bivi ar bar sex se mana kare to mard ko kia krna chahiye?

Answer: Biwi ky liay jaiz nahi k shohar ko mana karay lekin agar mana karay or uzr e share bhi nah ho to wo nafaqqay (kharchay) ki haqdaar nahi hoti hay. (Ref: Al masail ul muntakhaba, maslah#1014).
[Updated on 03-Dec-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
111114
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-12-03

Question: Kiya condom kay sath sex kar sakty hai

Answer: Mard k liay jaiz hay k wo family planning k liay condom or is qisim k doosray cover istemal kare or ehtiyat e wajib ye hay k istemal se pehlay apni bivi se ijazat lay lay.(Ref: Ayatullah sistani (d.b), Jadeed fiqhi masael, Maslah # 465).
[Updated on 03-Dec-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
111115
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-12-05

Question: Kiya condom kay sath sex kar sakty hai

Answer: Mard k liay jaiz hay k wo family planning k liay condom or is qisim k doosray cover istemal kare or ehtiyat e wajib ye hay k istemal se pehlay apni bivi se ijazat lay lay.(Ref: Ayatullah sistani (d.b), Jadeed fiqhi masael, Maslah # 465).
[Updated on 06-Dec-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
111145
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-12-01

Question: Assalam o Alaikum meri wife ki age 17 hai or meri 37 hamari shadi ko 3 months ho gae hain pr hamal nahi ho raha or mere jism me sex krny sy bohat weakness ho rahi hai hadiyun me sy patakhy nikal rahy hain or pathy bhi bohat kamzor ho gae hain wazan bhi nahi uthta or tabiyat me chirchirapan ho gaya hai sex sy dr lagny laga hai mani bilkul patli ho gae hai wife qareeb ati ha to liqued nikalny lagta ha or azu bhi dhela ho gaya hai bohar pareshan hun astaghfar kr raha hun namz me bhi dil nahi lag raha zehan hr waqat chalta rehta hai neend bhi nahi ati hamal bhi nahi ho raha kahin meri wife mujhsy badzan na ho jay me bohat chahta hun usko or bohat izzat bhi karta hun pr problem ki waja sy door door rehata hun wo samjhti hai me usey pasand nahi karta is liye kam bat karta hun or nazren churata hun Ap ko Panjatan e Pak a.s ka wasta meri kuch help karen me syed hun or meri femily bohat izzat dar ha is liye me kisi sy is masly pr bat nahi kr pa raha hun father nahi hian mother dialysis peciant hain or behany sari mujh sy badi hain or married hain bhai chota hain kis sy apni problem share karun behno ki shadi ki waja sy meri shadi late pr late hoti chali gae...... meri wife bhi syed zadi ha or bohat achi or samajhdar larki hai please meri help kejye mola a.s Apky ilm me or izzat me izafa karen Ilahi Ameen Jazakallah.

Answer: wsalam.
Homeopathic store se mektum T-10 le kar is ke under di gaae malomaat ke mutabiq istemaal karain.
[Updated on 02-Dec-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
111263
Mujtahid:
Imam azam Abu hanifa Date: 2021-12-01

Question: I m a 18 years old girl.. Mera nikah ho Chuka h rukhsati ABI nhi hwi . Mery hubby mujy sexy msgs krty Hyn aur hm cal p b sexy baten krty hyn Hafty m 1 bar hm cal p sexy baten krty krty masturbate b krty hyn . Kya ye thek h ?? Agr thek nhi to btaen k hm Kya kren Kya rukhsati k bghair intercourse kr Len?????

Answer: 1) Sigha nikah k zaria mard aurat per aur aurat mard per halal ho jate hai (yani mian biwi wale taluqat qaim ker sakte hai). (nikah k baad rukhsati hona zaroori nahi hai). (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) before Masla # 2328)
2) Agar Riwaj yahi ho k jab tak rukhsati nahe hoti is waqt tak larki apnay aap ko apnay shohar k lie paish nahi karti, is tarah sai k ise aik zimne shart samja jata ho to phir aurat k lie nikah k bad rukhsati se phelay shohar k lie apne aap ko paish karna wajib nahi hai.(Ref : Mujtahid se pochay gaey sawalaat, part # 4, sawaal # 149, pg # 72)
3) Shohar or bivi aik doosray fehesh (sexy) batain ker sakte hain. ( Ref: Ayatullah Sistani(d.b),minhajus saliheen,part#, maslah #5+11)
4) Istimna (masturbation) haram aur gunahan e kabira main sai hai. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhajus Saliheen, Part#1, Edition#2009, Mafhoom e Maslah #30)
[Updated on 01-Dec-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
111289
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-12-24

Question: kya shohar biwi ko apnay khooni rishtedaron ya waledain se milnay se rok sakta hai. ayatullah seestani

Answer: agar ( rishtedaaro ke sath) silah rehmi (ahsaan ke sath talluqaat ko jure rakhna ) ka sidaq aana louqo (ki nigha me) ghar se nikalne per mouqoof ho tu biwi ke lie (aise surat me ) ( shohar ki ijazat ke beghair ) ghar se nikalna jaiz hay.
shohar ke lie munaasib (behter) ye hay ke apne biwi ko ijazat de ke wo (biwi) apne qarebi rishtedaaro ki ziyarat ( mulaqaat ) kare orus ke khaandaa walo me se jo mareez hain un ki iyadat kare or apne khaandaan walo ke marhomeen ke janazo me shirkat kare or is tarah ke kaam anjaam de balke shohar ke upper wajib hay ke ijazat de itni miqdaar me ke (khaandaan waalo ke sath) niake ka barqaraar rakhna jis ka taqaza karta hay or shohar ko ye haqq hasil nahe hay ke biwi ko (ghar) se nikalne se mana kare jab biwi ka nikalna aise kaam ke lie ho jo biwi per wajib ho ( jise biwi ka wajib hajj ke lie nikalna ) or jis aurat daaimi nikah hoa hay us ke lie apnay shohar ki ijazat k baghair ghar say bahar nikalna hi haraam hay ,siwaay is sorat k oska ghar main rehna os k liay nuqsaan ka sabab ho ya bohat ehem zururat paish aajay.(sistani.org,arabi.selatularhaam,sawaal :4), (Ref:Minhaaj us Saliheen Aqa .Sistani Part-3 Masala No:338) (ref: Ayat Ullah Seestani(d.b), Mi Tauzee hul masail, maslah#2376) Silah rehmi ka matalab sirf ek doosare ke han aana jaana nahin hai, balke bilkul bhi Qata e Taluq kar lena ye jaiz nahin hai, aur har hal mein un ki islaah ke liye koshish karani chaahie. aap us se apna rabta khatam na karen, milane ke waqt salaam karen, mizaj pursi karen, Agar wo beemaar ho jaen to uski ayadat karen aur agar unhen zaroorat ho to unki madad karen..wagera. (Ref : https://www.sistani.org/urdu/qa/01837/ )Kam se kam Silah rehmi ye hay k khooni rioshtedaaro se phone per khairiyat deryaat ki jaey. http://www.qoitrat.org/Books/book1/fahrist1.php?myid=85)+(http://qoitrat.org/Books/book4/fahrist4.php?myid=100)
[Updated on 24-Dec-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
111348
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-11-30

Question: As salam o alaikum ma bahar mulk ma hun or ma apna wife sa phone pa sexy karta hun to ya gunah hain ya haram hain ya hum karna jaiz hain ki nai please muja lazim batiya

Answer: Bivi ke sath phone per sexy batain kar sakte hain laikin is baat ka khayaal rahe k is had tak baat nah ki jaey keh khud per kabo nah rahe or mushtzani karne per majboor ho jain.(Ref:Ayatullah sistani, Minhajus Saliheen,Part#1, Maslah#30,eidition 1430).and (jadeed faqhi masayl masla # 406 pg # 236)
[Updated on 01-Dec-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
111661
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-11-30

Question: Kya husband wife sex chat kar skte ha

Answer: Shohar or bivi aik doosray fehesh (sexy) batain ker sakte hain. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b), minhajus saliheen, part#3, maslah #5+11).
[Updated on 01-Dec-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
111682
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-11-30

Question: aslam o alikum ma info lna chtha hu ka haiz ka dino ma bv sa peche ka rasta hum bistre kar sakta ha islam kia hukam dta ha

Answer: Biwi k peechay k maqam(maqam e pakhana) main hambistari kerna bivi k raazi nah honay ki sorat main haram hay, agar bivi raazi ho tu jaiz hay laikin shadeed makrooh hay. (ref: Ayatullah Seestani(D.B) Al-masail e mutakhaba, maslah # 70)
[Updated on 30-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
111817
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-11-29

Question: A.s 1- Husband apni biwi ke Piche ( gaand ) me sex kar sakte hai without condom ke .

Answer: Biwi k peechay(back) k maqam(maqam e pakhana) main jimaa(intercourse) karna biwi k raazi nah honay ki sorat men ethiyaat-e-wajib ki bina pr haram hai, agr biwi raazi ho tu jaiz hay lekin shadeed makrooh hay). (Ref: Ayatullah Seestani(D.B) Al-masail e mutakhaba, maslah # 67)
[Updated on 30-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
112107
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-12-05

Question: ASLMUALIKUM SIR SIR MERI SHADI KO 1 SAAL HO GIA H LEKIN ABI TK MERI WIFE KO HAMAL NI HUA ES KA KOI MUNASIB HAL BTA DEN THANKS

Answer: Mard jima say farig hone k baad aurat se aahistagi se alag ho jaey or aurat kuch dair tak chit laity rahe, aur apni rano ko milaey rakhe takeh hamal therne main asani ho. (Ref: Islam or jinsiyaat, pg#151).
[Updated on 06-Dec-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
112147
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-11-29

Question: میرا سوال یہ ہے کے کیا شوہر بیوی پر پابندیاں جیسا کہ والدین سے بات نہ کرنا یا رابطہ نہ کرنے دینا لگا سکتا اور اگر شوہر بلاوجہ کی سختی کرتا اس بارے میں کیا حکم ہے

Answer: 1: Auraton k hoqooq mai sai hai k mard isay aziyat aur takleef nah pounchay aur kisi sharae wajah k baghair is k sath sakhti aur tarsh rawi sai pesh nah aay. Biwi ki rihaish, giza, libaas aur zindagi ke baqi zaroriyaat ka intezaam shohar par wajib hai. (Ref: Ayatullah Seestani(d.b), Tauzeeh ul masail, Edition# 39th, Mafhoom e Maslah # 2376)
2: Merd k liay munasib hay k apni biwi ko ijazat day k wo apne rishtedaro se mulaqaat kare. Or shohar apni bivi ko ghar se bahar jane se rokne haq rakhta hay laikin shohor ko ye haq nahi pohanchta k wo bivi ko apne walidain se bat ya rabta kerne se roke. (Ref: Ayatullah Seestani(d.b), Minhajus Saliheen, Part#3, Maslah #337,338 ).
[Updated on 29-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
112150
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2020-12-22

Question: Kya wife apne shohar key only testicles chum sakti hey ......bina sharam gah ko chume .....

Answer: Miyan biwi apas men har qism ki lazzat hasil kr sakte hen,lekin uzzu e tanasul(penis) se nikalne wali ratobat ka haluq se neche pohcchana haram hai. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Istiftaat I-2,I-15 ).
[Updated on 22-Dec-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
112157
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-11-28

Question: Agr biwi ke pichy dalo to kya hota hai

Answer: Anal sex biwi k raazi na hone ki sorat main ethiyaat e wajib ki bina per haram hay, agar biwi raazi ho tu jaiz hay laikin shadeed makrooh hay. (Ref : Ayatullah Seestani(D.B.) Al-masail e mutakhaba, maslah # 67)
[Updated on 29-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
112164
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-12-02

Question: Aslam o alikum sir mera jawab plz day mry shadi ko 8 sal hu jy hn 6 sal tk sab thk chalta rha lakn 2 sal sy nafs mn na sakhti ha aur na he mje hambastri krne ka atna dil krta ha aur jb kbe dil kry nafs mn sakhti ne hoty mry age 27 sal ha 25 sal ke age mn problem start hu jy ha kindly rep kry

Answer: Homoeopathic store se mektum T-10 le kar is main di gaae malomaat ke mutabiq istamaal karain.(Ref : Mektum Homoeo Pharma)
[Updated on 03-Dec-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
112170
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-12-02

Question: apse sawal hy janna chahti hn malomat k ly.k pahly sultan or badsha apni kanizon se taluq qaym krty thy unse unk bachy b hoty thy nikah k baghair. to kia ye taluq zina m shumar ni hota tha?

Answer: Jee nahin, ye zina shumar nahin hota. Laudi(yani kaneez/bandi) nikah ke baghair halal hoti hay or is say tamaam lazzaat hasil ki jasakti hain jis terah bivi say tamaam lazzaat hasil ki jasakti hain. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Minhaajus saliheen part #2, 5 mujtahid k mutabiq, maslah #1320, pg # 430).
(Note: ye baat wazeeh rahay k aaj k zamanay main ghulaam or laundi(kaneez) nahi hotay. is liye in masail per amal kerna mumkin nahi hay ). (Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Minhaajus saliheen part #3, maslah #10 ka hashiya, pg # 11).
[Updated on 03-Dec-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
112266
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-11-28

Question: Kya nikah k baad jeth jethani ka ladki k uper hukum jatana islam me jayaz hai jaise kam ya koi baat per se

Answer: Jee nahin us ko ye haq nahi hai k wo larki ko ghar k kaam kaaj k liye majboor karay. aur larki ke liye bhi un ka hukum manna wajib nahin. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Tauzeehul masail Edition #42nd, maslah # 2378)
[Updated on 29-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
112289
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Abul Qasim e Khoie Date: 2021-12-07

Question: Agar uarat talaq magy aur mare galti be koi itne bari naa hu . tu kiya krna hu ga marad ko? Humara islam kiya kehta hai?

Answer: fighe jaferia me talaaq dene ka haqq srif mard ko hay .mard ki marze hay ke apne biwi ko talaq de ya na de ,mard ko talaaq dene per mujboor nahe kia jasakta or agar kia jaay ga tu talaaq batil hoghe or talaq dene ka haqq aurat ki hasil nahe hay. albaata Aurat k huqooq me se aik ye bhi he k merd usi aziyat na pounchey aur kisi sharie uzr k bagair us k saath sakhti aur tursh’ravi se pesh nah aay. (ref : tauzeeh e ul masayl ayat ullaha sistani (d.b.) masla # 2376,2503)
[Updated on 08-Dec-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
112342
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-12-03

Question: Salam Kiya biwi k hip hole main penis dal kr mani cbor sktay hai? Kiya larki k main main mani kharij ho gaye magar halaq c neechay na gae to koi masla nahi?

Answer: Anal sex biwi k raazi na hone ki sorat main ethiyaat e wajib ki bina per haram hay, agar biwi raazi ho tu jaiz hay laikin shadeed makrooh hay. (Ref : Ayatullah Seestani(D.B.) Al-masail e mutakhaba, maslah # 67). 2) Shohar or biwi aik dosray ki sharamgaah ko mou laga saktay hain,magar ye k sharamgaah say nikalnay wali ratoobat Halaq mian nah jaay). (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Istiftaat I-2,I-15).
[Updated on 04-Dec-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
112359
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-12-01

Question: Shadi ko 1 saal hogaya ho aur apas mein miyan bivi jesa koi rishta na ho to kya nikkah qaim rehta hai?

Answer: Nikah tou qaim rahay ga. albatta shohar k liye laazim hai k jawaan biwi sai 4 mahine sai ziada humbistri tark na karay han agar dono raazi ho tou koi maslah nahi. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullh seestani, edition 41, maslah #2382).
[Updated on 01-Dec-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print