Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+


Question & Answers << Go Back

Topic: Shohar Biwi K Ahkam 1 (1356 Questions)


Showing 900- 950 questions from 1356 questions on this page.

Answers found for searched words
Id:
63913
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: asalam o alaikum mera sawal ye hai k agar ghalti se duran e mubashirat biwi k pistaan mu me leny se doodh mu me ajay tou is ka kaffara kya hoga??? kindly reply q k tauzee ul masail me mujhe iska answer nhi mila

Answer: Shohar biwi ki breast suck(choos) kar sakta hay lekin shohar biwi ki breast ko suck karey aur moohn mai doodh aa jaye, to ehtiyat wajib ye hay k biwi ka doodh nah pia jay(yaani halaq say neechay nah utara jae.) (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Mafhoom e E-Mail from Answers@najaf .org). . Update on dated 19-11-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
65817
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ruhollah Khomeini Date:

Question: mere shadi ko 4 saal ho gay mere bewi shadi sy pehly kisi or sy sex karti thi likn shadi k bad jb mn ny os sy pocha to wo muje jhoot bolti rhi or jhooti qasmen khati rahi ab os ny accept kr liya k han wo esa karti thi.mera sawal ye hay k quran mn zikar hy k asy aurat k saat talukat tarak kr do ap mujhe bta dejeye k mere leye ab is ka kya hukom hy.

Answer: Quran main sorah nisa ki ayat#15 main jo hokum bayan kia gaya hay wo hokum os sorat main tha jab aurat shohardaar ho or zina bhi kare. Laikin ye hokum bhi mansookh ho gaya tha. Aap ki bivi aap per haram nahi hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #2400).. Update on dated 19-11-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id:
65845
Mujtahid:
Date:

Question: MERA SWAL HAI KI... EK SHAUHAR APNI SAHRIK-E-HAYAT KA DOODH PI SAKTA HAI YA NHI ?

Answer: Shohar biwi ki breast suck(choos) ker sakta hay,leikin agar shohar biwi ke breast ko suck karey aur moo mai doodh aa jaye, toh ehtiyaat wajib ye hay k biwi ka doodh nah piaya jaay(yaani halaq say neechay nah utara jaay.)(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Mafhoom e E-Mail from Answers@najaf.org).. Update on dated 19-11-2015 (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey)

Print

Id:
65957
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Abul Qasim e Khoie Date:

Question: Bivi ki Sharam gah dehkana jais hai?

Answer: Jaiz hay. (Ref : Ayat Ullah khoe(r.a), Minhaajus Saliheen Part # 2, Mafhoom e Maslah #1231 , nashir: Daarul Hujjah) . Update on dated 19-11-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
65977
Mujtahid:
Date:

Question: Aslam.o.alikum Molana sahab mer nikah ho gya ha and jis sey hoa ha wo bhi mjh se bht pyar krta ha or mein bhi magar meri abhi rukhsati nhi hoi or mere shohar mjh se milna chahty hain alehdagi mein magar me ni milna chahti rukhsati se phly to is bary me mjhy kch btain wo mjh se do din se naraz hain isi waja se and is bat py mjhy talak dene tak bhi aa gye thy wo but abhi ni hoi to plz is bary me kch btain apki meharbani

Answer: 1).Nikah k baad rukhsati se phele aurat apne shohar se mulaqaat kar sakte hai, 2)Agar Riwaj yahi ho k jab tak rukhsati nahe hoti is waqt tak larki apnay aap ko apnay sohar k lie paish nahi karti, is tarah sai k ise aik zimni shart samja jata ho to phir aurat k lie nikah k bad rukhsati se phelay sohar k lie apne aap ko paish karna wajib nahi hai. . (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e before Maslah #2328),(Ref : Mujtahid se pochay gaey sawalaat, part # 4, sawaal # 149, pg # 72). Update on dated 19-11-2015 (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey)

Print

Id:
65993
Mujtahid:
Date:

Question: My question is the first night of marrage about a girl.i want know is the new girl come the blood in her body when husband do the first time sex with the wife.

Answer: Shadi ki pehli raat aurat ko khoon ana zaroori nahi hai. Q k ho sakta hai k wo aurat kisi accident(ya phir kisi or ayse amal jese jumping wagera) ki wajah sai apna kunwara pan khatm kar chuki ho. Lehaza ye zauri nahi hai k aurat k kirdar ko is baat ka sabab qarar diya jaey.(Ref : Mafhoom e Email receive from Ayatullaah Sistani (d.b). dated : April 21, 2011). Update on dated 19-11-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
65994
Mujtahid:
Date:

Question: humbistari kitne taqeeron se karsakte hain..how many angle do we have to do sex with your partner according to sharyath

Answer: Shohar or bivi jis sex k tariqe per razi hoon wo jaiz hay. (Ref: Mafhoom e email rcvd from ayatollah sistani d.b).. Update on dated 19-11-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
66074
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Assalum o alaikum! Mje ye puchna hai k agar nikkah k baad shohar biwi sy apna jism dkhany ki khuwahish karay tou kya usay dkhana jaiz hai jb k jism dkhana door sy hi ho.???

Answer: Nikah k zariay aurat mard per aur mard aurat per halaal ho jate hain. Lehaza nikah k baad bivi ka badan daikhna or ose chona jaiz hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #2327). . Update on dated 19-11-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
66260
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Pls answer agr bewi humbistari karna chay aur shohar ki marzi na ho tu kya shohar ko guhna mila ga

Answer: Shohar apni jawaan bivi say 4 mahinay say ziyada muddat(time period) k liay hambistari(intercourse) tark nahi kersakta magar ye k(except) hambistari os k liay nuqsandah ya ziyada takleef ka sabab(reason) ho ya oski bivi khud 4 mahinay say ziyada muddat k liay hambistari tark kernay par raazi ho ya nikah kertay waqt nikah k zimn(agreement) main 4 mahinay say ziyada muddat k liay hambistari tark kernay ki shart rakhi gae ho. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #2382) Update on dated 19-11-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
66326
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ruhollah Khomeini Date:

Question: kia bivi ki gand me dala ja skta he...????ur is me gona he k ni??

Answer: Aurat ki anus main jima kerna sakht makhrooh hay. (Ref:Ayat Ullah Khumeni(r.a), Tauzee hul masael, Mafhoom e Maslah #449).. Update on dated 19-11-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
66471
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: salam ya Ali madad , mera name saqlain hai. aur main germany me rhta hoon,mai ne do month pehle aik larki ke saht muttah kia tha.baki sub sawal hum dono ne aik moulan se poch liye the lekin aik sawal jise humhe pochte hue thora ajeeb lag rha tha.sawal yeh thora ajeeb hai lekin pochna zarori hai.ke jab main aur meri biwi sex karte hain tu us dohran hum dono aik dosre ke jisam ke upar wale hise se niche chale jate hain kiss karte karte tu kiya jisam ke niche wale hise par kiss karne ki ijazat hai ke nei ?plzzzz app ager bata dain tu bohat mehrbani ho gi 

Answer: Shohar or bivi k liay jaiz hay k wo aik dosray k jism k tamaam hisso ko jism k kisi bhi hissay say choo saktay hain.(Ref: Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaa jus saliheen,maslah #11).. Update on dated 19-11-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
68525
Mujtahid:
Date:

Question: biwi ko peeche chodne me nikha tootta hai ya nai????

Answer: Biwi k peechay k maqam(maqam e pakhana) main hambistari kerna bivi k raazi nah honay ki sorat main haram hay, agar bivi raazi ho tu jaiz hay laikin shadeed makrooh hay. Lakin is se nikah nahi toota he (ref: Ayatullah Seestani(D.B) Al-masail e mutakhaba, maslah # 70) .Update on dated 10-11-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
68623
Mujtahid:
Date:

Question: Salamwalikum.my hyderabad se hoon.meri middle class family hi.mere deedi ne love marriage karliya hi ek hindu ladke se.eske badh meri shadi hogayee.shadi se pehle tak my ne meri deedi se bath nahee kiya.shadi ke badh mere husband ko pooch kar my ne deedi se bath kiya.aub my pregnant hoon.shadi hokar 2 saal hogaye hi.mere husband kabhee kehthe hi ki deedi se math bath karo, kabhee kehthe hi bath karo.hamare dono ke beech agar disputes aathe hi tho vo koe bahar aadmi se aate hi.ammi vunke yaha rent ko ek family rehthi hi.vun logon ne bhee love marriage kiya hi.mere husband ko es se problem hi.vo dono bhee hindu aur muslim hi.mere husband ne abbo ko vun logon ko ghar khaali karvane ko kaha hi.abba ne bola ki hame sirf rent se mathlab hi, vun logon se kya kaam.tho enhone kaha ki vo log acche nahee hi, aur vun logon ke bare me bohoth kuch bura kaha.my delivery ke liye ammi ke paas hoon.mere husband aub mere paas aa nahee rahe hi.mere ammi, abba se bath nahee kar rahe hi.mujhe vunse himmath milthi hi aur meri delivery next month hi.vo keh rahe hi ki vo jab bhee nahee aayenge.en sab me meri kya galthi hi, vo mujh se kyun dooriyan bada rahe hi.mere ammi, abba ko bohoth ghaaliyan de rahe hi.ye sab my vun dono ko nahee bolsakthee.plss mujhe koe solution deejiye es problem ka.

Answer: Shohar biwi ki aik doosray se mohabbat o ulfat k lie har namaz k bad surah e mumtahina ki ayat # 7 ko 7 martaba parha karain. Is se donoo me bai-misaal mohabbat qaim ho jaey gi. (Ref : kitab naway salaheen, Mafhoom e pg # 404). Update on dated 14-10-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
69389
Mujtahid:
Date:

Question: Assalam-O-Alaikum agar koi bv se sex kare our us ke baad ghussul karna zarori hota hai ? agar koi na kare ghussul to kiya Aolaad NAJAIZ ho jati hai ? Maherbani kar ke mujhe is ka jawab dain..

Answer: Jima(intercourse) (karne se insaan per namaaz perhne k lie ghusl e janabat wajib ) hojata hay.(Ref: sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah#344 , 356). Update on dated 24-02-16. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
70249
Mujtahid:
Date:

Question: Meri shadi ko ek saal se ziada hogaya he mere husband mjse pyar b bht kirte hen lakin unka mere pas ane ka dil nai krta,2 ya 3 mahinay guzar jaty jab me larti hun naraz hoti hun tab kch din bad wo is baray me sochte hen kia unpe is bat ka koi gunah nai? Men bht disturb hun raat ko sukoon ni Milta mje kia krna chahye mere k khud kch krne se b unka mood ni banta

Answer: Shohar apni jawaan bivi say 4 mahinay say ziyada muddat(time period) k liay hambistari(intercourse) tark nahi kersakta magar ye k(except) hambistari os k liay nuqsandah ya ziyada takleef ka sabab(reson) ho ya oski bivi khud 4 mahinay say ziyada muddat k liay hambistari tark kernay par raazi ho ya nikah kertay waqt nikah k zimn(agreement) main 4 mahinay say ziyada muddat k liay hambistari tark kernay ki shart rakhi gae ho.(tauzeehul masail,Agha Seestani,maslah #2382). Update on dated 02-03-2016. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
72275
Mujtahid:
Date:

Question: kia self sex krne se napak ho jaty haein?jese sex krne se hoty hain?iski islam me kia saza hai?

Answer: Shohar aur biwi k ilawa kise aur tariqe se jinse lazzat hasil karna gunah e kabira hay . .(Ref:Ayatullah sistani, Minhajus Saliheen,Part#1, Maslah#30)
Jo shaks shadi na hone ki waja se fale haraam me mubtela hota ho is per wajib hai k shadi kar le.(Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 2407)
agar mani kharij ho jaay to ghusal janabat wajib ho jata hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 344). Update on dated 23-07-16. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
72739
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Assalam o Alaikum. Molana sb. mera ak sawal hy please jawab detail sy aur lazmi degyee gaa. sir mera question ye hy k mera nikah ho chuka hy almost 3 years sy abi tk rukhsti ni howi matlb larki abi apny baap k gar hy aur mra nikah open hy us mein kisi qism ki koi shirt ni rakhi gai hy mein ab apni biwi sy telephone pr aur live baat cheet krta rehta ho kia ye theak hy yaa galt. us k gaar walo ko pata hy shyed us k baap ko pata na hooo us ki maa ko pata hy k ham dono bat krtty hy please mri rehnumayi farmyee ku k mein gunha to ni kr rahaa. plz brief kr dy detail k sath. w salam

Answer: Mian ,biwi aik dosere se baat cheet kar sakte hai.(Ref : Minhaj us salaheen Ayat ullah sistani d.b. part # 2, masla # 34). Update on dated 26-08-16. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
73216
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Abul Qasim e Khoie Date: 2021-06-21

Question: Age: 70 saal Husband se 14 saal se koi rabtaa qayam nahi. Shohar alag makan me rah rahe the or biwi bacho ke sath 14 saal se alag rah rahi thi. 14 saal ke bad shohar ka inteqal ho jata hai to iddat ka kya masail hai or iddat kaise puri ki jayegi

Answer: Answer:
Iddat e wafat:
1. Agar koe aurat baywah hojaay or agar wo haamlah nah ho tu qamri (Chaand k lahaaz say) 4 mahinay or 10 din iddat rakahy. Jo aurat wafaat ki iddat main ho os k liay rang baranga libaas pehenna(colour full dress),surmah lagana or is terah dosray aisay kaam kerna jo zinat main shomaar hotay hoon haram hain or dosray nikah say roki rahay, laikin ghar say bahar nikalna haram nahi hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #2481,2482)

Iddat e talaq e rajai:
1) Wo aurat jise talaq e rijee di gae ho wo iddat k dooran os mard k liay sahree bivi ki haisiyat rakhti hay yahaan tak keh iddat khatam ho jaey. Aurat k liay zarori hay keh har qism k istimtaa(lazzat) se jo shohar ka huq hay nah roke or jaiz balkeh mustahab hay keh shohar k liay banao singhaar kare or oski ijazat k baghair os k ghar se bahar nikalna jaiz nahi hay. Iddat e rijee k doran bivi k akhrajaat shohar per wajib hain. Bashart yeh keh wo nashiza(Nafarman) nah ho or os ka fitra or kafan bhi shohar k zimme hay. Kisi aik k marne se doosra waris ban sakta hay or mard iddat k doran saali se shadi nahi kar sakta. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 41th edition, maslah #2508)
2. Agr ap k shohar ne apse hambistari nahi ki to ap per koi iddat nahi hai.lekin agr hambistari ki thi to is surat main aap itni muddat tak sabar karen k apko 2 baar haiz aye or phir pak hojaen or jese hi teesra haiz ayega to aap ki iddat khatam hojayegi phir dusra nikah agar kerna chahain to kar sakti hen.(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2475)Answer: Agar koe aurat baywah hojaay or agar wo haamlah nah ho tu qamri (Chaand k lahaaz say) 4 mahinay or 10 din iddat rakahy. Jo aurat wafaat ki iddat main ho os k liay rang baranga libaas pehenna(colour full dress),surmah lagana or is terah dosray aisay kaam kerna jo zinat main shomaar hotay hoon haram hain or dosray nikah say roki rahay,laikin ghar say bahar nikalna haram nahi hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #2481,2482)
[Updated on 21-Jun-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
76730
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: kya biwi ko nanga kr k jima kr sakhty ha

Answer: Jima k doran(during intercourse) bivi ki sharamgaah par nazar kerna makrooh hay, shohor or bivi ka berhana(nacked) ho ker aik dosray se lazzat hasil kerna makhrooh nahi hay sirif berhana ko ker jima kerna makrooh hay). Update on dated 20-02-2017. (Ref: A.Sistani(d.b),Minhaajus saliheen, part#3, maslah#5).

Print

Id:
83872
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Delivery k bad mian biwi mil skty hai apus main ya nai

Answer: Jee, delivery k baad hambistari ki jaa sakti hay laikin aurat ka haiz or nifas se paak ho. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah #504). Update on dated 11-09-17. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
83873
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Delivery k bad mian biwi mil skty hai ya nai

Answer: Jee, delivery k baad hambistari ki jaa sakti hay laikin aurat ka haiz or nifas se paak ho. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah #504). Update on dated 11-09-17. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
98317
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2019-07-06

Question: Shohar ka apni bv k sth pechy se hmbistri krna jaiz ha?

Answer: Biwi k peechay k maqam(maqam e pakhana) main hambistari kerna biwi k raazi nah honay ki sorat main ethiyaat e wajib ki bina per haram hay, agar biwi raazi ho tu jaiz hay laikin shadeed makrooh hay). (Ref : Ayatullah Seestani(D.B) Al-masail e mutakhaba, maslah # 67).
[Updated on 06-Jul-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
102442
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-09-04

Question: Biwi ki razamandi hone k bawjud agar shohar humbistari 2 saal Tak na kre toh Kya nikah jayaz hai?

Answer: humbistri na karne se to koi farq nahi parta albattah , shohar apni jawan biwi se 4 mahine se ziada muddat ke liay humbistri tark nahi kar sakta magar yeh keh humbistri us ke liay nuqsanday ya buhut ziada takleef ka baais ho ya us ki biwi khud 4 mahine se ziada muddat ke liay humbistri tark karne par razi ho. (Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani, Tauzeeh Ul Masail, Masla no 2382).
[Updated on 04-Sep-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
102453
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-09-03

Question: Kia biwi k pechay jama Kia ja sakta hai?

Answer: ahtiyat e wajib ki bina par jaiz nahi agar biwi razi na ho, aur agar razi ho to bhi shadeed makrooh hai.(Ref: Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani, Tauzeeh Ul Masail, Masla no 448).
[Updated on 04-Sep-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
102475
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Abul Qasim e Khoie Date: 2023-09-03

Question: Ager kesi ki biwi ka kesi or mard sy na jaiz taloq bn jay to phr shohar ko kia krna chahyeh

Answer: Agar koi shohar dar aurat zina kare to ahtiyat wajib ki bina par woh par hamesha keh liay haram ho jati hai lekin shohar par haram nahi hoti aur agar toba wa istaghfar na kare aur apne amal par baqi rahe yani zina kari tark na kare to behtar yeh hai keh us ka shohar use talaq de de lekin shohar ko chaiye keh uska meher bhi day. (Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani, Tauzeeh Ul Masail 42 edition, Maslah no 2367).
[Updated on 04-Sep-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
102479
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Abul Qasim e Khoie Date: 2023-09-03

Question: Agar mian biwi se naraz ho ker os ke sath humbistri chor dey tu kitnay arsay baad nikah fasakh ho Jata hai.

Answer: jee nahi is se nikah faskh nahi hota albatta mard ke liay jaiz nahi hai keh woh apni jawan biwi se chaar mah se ziada muddat tak mujamiat na kare.(Ref: Aayat-ul-Allah Sayyid Abul Qasim e Khoie,Tauzeeh Ul Masail, Masala no # 2389,2427).
[Updated on 04-Sep-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
102534
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-09-01

Question: Main hamla hon or shohar k pas jany ko dil ni karta to kia me guhagar hon?

Answer: zaroori hai jab bhi shohar jinsi lazzatein hasil karna chahe to uski khuwaish pori kare aur sharee uzur ke beghair shohar ko humbistri se na roke. (Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani, Tauzeeh ul masail, Masala # 2376)
Haamilah (pregnant) biwi say hambistari (Itercourse) kerna haram nahi hay.Mustahab hay k biwi say wuzu ker k hambistari ki jaay waqt khaas taur per jab wo haamilah ho.Biwi say halat e haiz(period) or nifaas main hambistari kerna haraam hay. Shohar apni jawaan bivi say 4 mahinay say ziyada muddat(time period) k liay hambistari(intercourse) tark nahi kersakta magar ye k(except) hambistari os k liay nuqsandah ya ziyada takleef ka sabab(reason) ho ya oski bivi khud 4 mahinay say ziyada muddat k liay hambistari tark kernay par raazi ho ya nikah kertay waqt nikah k zimn(agreement) main 4 mahinay say ziyada muddat k liay hambistari tark kernay ki shart rakhi gae ho.(tauzeehul masail,Ayatullah Sistani (d.b.),maslah #2382). (Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus saliheen,part#3,maslah#5,email Received from Ayat Ullah Seestani(d.b),dated 13-07-10,Tauzee hul masail, maslah#448,504). Note: Doran e hamal jima kertay waqt is baat ka zaroor khiyaal rakha jay k aap jima k waqt bivi k pait per apnay jism ka wazan nah daalain, is say hamal ko nuqsaan pohanch sakta hay.aam taur per doctor hazraat 8th mahinay say jima kernay say mana kertay hain.laikin ye her aurat ki jismani kaifiyaat or taqat per muhasir (depend) hota hay.hum aap say guzarish kertay hain k aap is silsilay main apni bivi k lady doctor say ruju karain or hamal ko nuqsan pohchanay wali chizoo say perhaiz karain
[Updated on 01-Sep-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
102557
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-08-30

Question: As Salamu Alykum. Meri biwi kisi or ladke se pregnant hui 2 martaba. Kya wo ab bhi mere nikah me hai ?

Answer: jee ab bhi woh apke nikah me hai. (Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani, Tauzeeh Ul Masail, Masala No # 2367 ).
[Updated on 31-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
102576
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Abul Qasim e Khoie Date: 2023-08-30

Question: Agar call pa sex krna s dono afrad free o jyn to kya gussal lazam ha?

Answer: na-mehram se phone per is tarah ki guftugu kerna haram hai Q k is surat men gunah men mubtala hone ka khoaf mojud hai, chahe ap apas men shadi ka irada hi Q nah rakhte hon, (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Bk # Nigah or Libaas, Ed # 01,Mafhoom e Sawal # 84, Pg # 60)
1-Do cheezo i) jima(intercourse) or ii) mani(semen) k kharij(nikalnay say) say insaan (per namaaz perhne k lie ghusal janabat wajib ) hojata hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #344).
2-Wo ratubat jo aurat say shehwat k saath Khaarij hoti hay Agar is Hadd tak ho kay usay Inzaal Kaha ja sakay aur libaas ko aalooda kar day , jo aam tor par us waqt nikalti hay jab aurat jinsi shehwat ki Intihaa tak pohunch jaey to ye Najis bhi hay aur is aurat ko Mujnib shumaar kiya jaey ga aur us par ghusl e janabat bhi wajib hoga.ise tara ehteyaat e waajib ki bina per agar hijaan e shewat ki inteha tak nah bhi pouche magar paani itna ziyaada ho jitna puri razamandi k mouqe per kharij hota hai to ye Najis bhi hay aur is aurat ko Mujnib shumaar kiya jaey ga aur us par ghusl e janabat bhi wajib hoga. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 345)
[Updated on 31-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
102578
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-08-30

Question: Bivi Razi Ho Anal sex K Liye r Kabhi Kabaar Bivi Khud B Bolti Hai Peche se Karne Ko To Kya Is surat Mai haraam Hai Ya Gunah Milta Hai Sir Plzz bataen ???

Answer: Biwi k peechay (back) k maqam(maqam e pakhana) main jimaa(intercourse) krna biwi k raazi na honay ki sorat men ethiyaat-e-wajib ki bina pr haram hai,agr biwi razi ho tu jaiz hay lekin shadeed makrooh hay.
(Ref: Ayatullah Seestani(D.B) Al-masail e mutakhaba, maslah # 67).
[Updated on 31-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
102738
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-08-26

Question: Kia begum ko peechay sy krsakty hain haiz ki soorat mai or kia begum ki ass ko lick krsakty hain jb woh haiz k akhri dinun mai ho

Answer: Biwi k peechay (back) k maqam(maqam e pakhana) main jimaa(intercourse) krna biwi k raazi na honay ki sorat men ethiyaat-e-wajib ki bina pr haram hai,agr biwi razi ho tu jaiz hay lekin shadeed makrooh hay (Ref: Ayatullah Seestani(D.B) Al-masail e mutakhaba, maslah # 67).
Shohar or biwi aik dosray ki sharamgaah ko monh(mouth) laga saktay hain,magar ye k sharamgaah say nikalnay wali ratoobat Halaq mian nah jaey. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Istifta from eanswers@najaf.org).
[Updated on 26-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
102797
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-08-22

Question: Biwi par shouhar ke kya kya haqooq hain plz explain kar den wsalam

Answer: shohar ka biwi par yeh haq hai keh woh usko humbistri aur degar
jinsi lazzaat ke liay mana na kare siway uzur e sharee ke jaise haiz,
aur yeh keh woh aurat shohar ki ijazat ke beghair kisi bhi surat me ghar se bahar na nikle. (Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani, masla no 337, minhaj us saliheen part 3).
[Updated on 23-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
102908
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-08-21

Question: Miya apne bivi se sex mai games khail sakta hai zyda enjoy k liye, for example doctor patient, boss sacetry, saali jeji,bhabi dever etc Sex mai hon gay tu miya bivi hi,enjoy k liye,roz aik hi tarekay se banda ukta jata hai

Answer: Miya Biwi aik dosre ke liay mehram hai , lekin ghair maamooli lazzaton ke liay ahtiyat e wajib ki bina par dono ka razi hona lazmi hai. (Ref: Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani ,
Web Address: https://www.sistani.org/urdu/qa/01884/ ).
[Updated on 22-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
102923
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-08-22

Question: Asslam o Alaikum sir Sir mein pochna chhta ho k... Kya orat KY pichly hisy my ungli dalna jaiz hai? Please ans

Answer: Wa Alaikum Salam, Miya Biwi ek dosre ke liay pori tarah mehram hai, lekin ghair maamoli lazzaton ke liay ahtiyat e wajib ki bina par dono ka razi hona zaroori hai. (Ref : Ayat ul Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani, Web Address: https://www.sistani.org/urdu/qa/01884/ ).
[Updated on 22-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
103000
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ruhollah Khomeini Date: 2023-08-20

Question: meri shadi ko 1.5 saal ho gaye hain. shadi k 2 month baad shohar bahir chaly gaye thy or 1 saal baad bety ki padish par aye or tb hum jismani tor py mil nahen sakty thy. ab mera guzara nahen ho raha un k bafher or na unka guzara ho raha to kya krna chahye

Answer: shohar apni jawan biwi se 4 mahine se ziada muddat ke liay humbistri tark nahi kar sakta magar yeh keh humbistri us ke liay nuqsanday ya buhut ziada takleef ka baais ho ya us ki biwi khud 4 mahine se ziada muddat ke liay humbistri tark karne par razi ho. (Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani, Tauzeeh Ul Masail, Masla no 2382).
[Updated on 21-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
103109
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Abul Qasim e Khoie Date: 2023-08-18

Question: Salam. Meri sawal yeh hai. Meri shaadi 7 saal hogae hai. Ek he olad hai. Dosri olad beti ki tamana hai. Ab biwi ko neend ajata hai aur sex mai interest kam hogaya hai aur zabardasti bi nhe kar sagta ho. Kiya wajah ho sagta hai interest khatam hogaya hai. 4 saal se olad ki try kar rahe hai. 2019 se sex khatam hogaya hai.

Answer: jis aurat ka daimi aqd (nikah) ho jaye us ke liay ahtiyat is me hai keh jis lazzat ki bhi shohar khuwaish kare usay pora kare aur sharee uzur ke beghair shohar ko mujamiat (sex) se na roke. (Aayat-ul-Allah Sayyid Abul Qasim e Khoie, Tauzeeh Ul Masail, Masla no 2421).
[Updated on 18-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
103117
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-08-18

Question: Bivi agr gair mard k saath sex karay tu us k saath Kia Kia jaye

Answer: Agar shohar dar aurat zina kare to ahtiyat e wajib ki bina par woh zani par hamesha ke liay haram ho jati hai, lekin shohar par haram nahi hoti aur agar toba wa istaghfar na kare aur apne amal par baqi rahe (yaani zina kaari tark na kare) to behtar yeh hai keh us ka shohar usay talaq dede lekin shohar ko chahiye keh us ka meher bhi de. (Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani(D.B), Tauzeeh Ul Masail, Masla no 2367).
[Updated on 18-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
103930
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-08-17

Question: Agar shohar dar aurat zina kare to ehtiyat e wajib ki bina par zani par hamesha ke liay haram ho jati hai lekin agar aurat ki talaq ho jaye to kiya wo usi mard se shadi kr skti ha ya nahi kiya koi tarika ya kufara ha jis se wo us par haram na rahe?

Answer: Agar sohardar aurat zina karay to ehtiyat e wajib ki bina par wo zaani par hamisha k lie haram ho jati hai Yani wo aurat phir khabi bhi (zaani) zina kernay walay shakhs sai nikah nahi kar sakti hai chahe shohar use talaq bhi dede .(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 36th edition, maslah # 2367)
[Updated on 17-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
103931
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-08-17

Question: Asalam o alikum! Mera sawal yeh hai k kya shadi ki pehli raat krna zaroori h. Agar larki darr Se yaa khof Se shadi ki pehli raat krna naa chahe toh? Beshaq shohar bhi razi ho larki k faisale Se. Aur ek aur sawal kya shadi ki pehli raat yani barat ki raat krna har Surat zalim h?? Agar naa kiya ho toh isse walima jaiz hota h yaa nhi?

Answer: 1) Shadi ki pehli raat ko humbistri karna zaroori nahin hia. Shohar apni jawaan bivi say 4 mahinay say ziyada muddat (time period) k liye hambistari (intercourse) tark nahi kersakta magar ye k (except) hambistari os k liay nuqsandah ya ziyada takleef ka sabab (reason) ho ya oski bivi khud 4 mahinay say ziyada muddat k liay hambistari tark kernay par raazi ho ya nikah kertay waqt nikah k zimn (agreement) main 4 mahinay say ziyada muddat k liay hambistari tark kernay ki shart rakhi gae ho. (tauzeehul masail,ayatollah Seestani,maslah #2382)
2) Jee nahin har sorat me hambistri karna zaroori nahin hai, waleema humbistari sai pehle ho ya baad mai ho is sai koi farq nahi parhta.(Ref:minhaj us saliheen ayatollah seestani jild#3 maslah#4)
[Updated on 17-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
104060
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-08-16

Question: Mera sawal yh hai k jo shohar biwiyon ko time nai detay unk liye kia hukam hai?

Answer: 1) Shohar apni jawaan biwi sai 4 mahine sai ziaada jimaa tark nahi kar sakta.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatollah seestani edition 39 maslah no 2382).
2) Agar shohar apni biwi k huqooq ada nah karey or usey aziyyat day to biwi apna muaamla lay kar hakim shara (mujtahid) ki taraf ruju kar sakti hai takeh hakim shara (mujtahid) is k shohar ko husne sulooq karne ka hokum de aur agar is ka koe faida nah ho to apne sawabdeed k mutabiq use sarzanish kare or agar is se bhi koi faida nah ho to biwi talaq ka mutalba kar sakti hai. Agar shohar talaq dene se inkar karde or ise talaq per majboor nah kiya jaske to hakime shara (mujtahid) apne ikhteyaraat istemal karke is ka sighah e talaq jaari kar sakta hai. (Ref : AqaI sistani (d.b),Jadeed Fiqhi Masail, Maslaa # 413, pg # 237, 5th Edition).
[Updated on 16-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
104138
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-08-14

Question: kia diferent angle se humbustari kerne se bachon me nokas hota he

Answer: 1) Husband or wife har qisim ka sex ker sakte hain jis per wo dono razi hoon. Ye amal wase bhi haram nahi hay. (Ref: E-mail rcvd from Ayat Ullah Seestani(d.b)
2) Hadees e Rasool s.a.w.w. hai k jima kartay waqt koi shakhs batain na karay q k ajab nahi k wo bacha goonga paida ho aur aurat ki sharamgah na dekhay bal k is halat mai aankhain band rakhay q k is waqt sharamgah ki taraf dekhna aulad k andhay honay ka bais hai. (Ref : Islam aur jinsiat pg # 138)
3) Bivi k saath jima (intercourse) ka islami tariqa ye hai k jima k waqt mustahab hai k bismillah perhi jaay, jima k waqt jo kaam makrooh hain un main say kuch ye hain 1.soraj or chaand gerhan ka hona,2. zawaal e aaftab ka hona siwaay jumeraat k din k, 3. groob e aaftaab k waqt ka hona, 4.chand ki aakhri 3 raaton main jima kena, 5.fajar k baad soraj nikalnay say pehlay, 6.islami mahinay ki pehli taarikh siway Ramazan ki pehli raat(Chaand raat)main , 7. islami mahinay ki darmiani or aakri taarikh main jima kerna, 8.qiblay ki taraf rukh ya pusht kerna, 9.berhana (naked) halat main jima kerna, 10.ehtilaam k baad baghair wuzu k jima kerna, 11.jima k waqt bivi ki sharamgah ko dekhna makrooh hai. jima k waqt kamray main andhera hona lazmi nai (Ref: Minhaaj us salaheen Ayat ullah sistani d.b. part # 3 masla # 5 ).
[Updated on 15-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
104161
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-08-15

Question: Salaam,sir meri Shaadi ko 20 saal Ho gae hain .meray 3 bachay hain .shaadi ke bad se hi mujhay pata chala ke meray shohar ko dosri aurtoon mein interest hai mein ne Shaadi ke baad se unko zena kertay hua pictures and videos Dekhi aur yeh khetay suna Adami ko mutta aur 4 Shaadi jaiz hain . Per mujhay yeh batay meray sath 2 se 4 month tek sex na kerna . Mein ne is per bhi sabr keya Aur inka apnay bachoo aur meri haqooq ka kheyal na kerna .bohat moqay bhi diay ke shyed yeh badal jain per her dafa jhoot bola Keya Islam prostitue ke saat zina, mutta ke ijazaat deta hai ? Jab ap apni biwi Kay haqooq na pursuit karey. Adami Islam ki koi baat per Amal na kertay Ho per 4 Shaadi aur mutta per islam yaad aajai. Keya Islam sirf yeh hai .mujhay aisay mutta per itaraaz hai Hum jaisi aurtoon Kia keray . Ab mein in se alag hona chahti hoon per bachoon ki fikar aur family aur logon ke darr se khamosh hoon .

Answer: 1) Shohar apni jawaan biwi sai 4 mahine sai ziaada jimaa tark nahi kar sakta.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatollah seestani edition 39 maslah no 2382).
2) Biwi k liay talaq lena jaiz hai wo shohar sai talaq ka mutaalba kar sakti hai lekin agar shohar talaq nah day tu aurat hakim e shara say ruju karay tu hakim e shara halaat ko madd e nazar rakhte hoe talaq k seeghay jaari kar day ga.(Ref:Jadeed fiqhi masail ayatollah seestani mafhoom e masla 428 page 214).
3) Agar shohar apni biwi k huqooq ada nah karey or usey aziyyat day to biwi apna muaamla lay kar hakim shara (mujtahid) ki taraf ruju kar sakti hai takeh hakim shara (mujtahid) is k shohar ko husne sulooq karne ka hokum de aur agar is ka koe faida nah ho to apne sawabdeed k mutabiq use sarzanish kare or agar is se bhi koi faida nah ho to biwi talaq ka mutalba kar sakti hai. Agar shohar talaq dene se inkar karde or ise talaq per majboor nah kiya jaske to hakime shara (mujtahid) apne ikhteyaraat istemal karke is ka sighah e talaq jaari kar sakta hai. (Ref : AqaI sistani (d.b),Jadeed Fiqhi Masail, Maslaa # 413, pg # 237, 5th Edition).
[Updated on 15-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
104177
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-08-11

Question: Dear sir Assalamalaikum I am married and I stay abroad alone and Some time I discuss few things with my Wife which a husband and Wife do in Private, its like I share my personal feelings and Sexual Desire to her. Just want to Confirm if it is Permissible to share and discuss our personal feelings and sex desire to my wife on call and can she also share the same to me

Answer: Yes you can do it. (Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 page no 357
[Updated on 12-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
104183
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Abul Qasim e Khoie Date: 2023-08-14

Question: Is it also sin to see your wife or husband nude?

Answer: Aytullah sistani ke mutabiq shohar or bivi k liay aik dosray k jism k tamaam hison ko dekhna jaiz hay . (ref ayat ullah seestani d b minhaa jus saliheen maslah 11)

[Updated on 15-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
104184
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-08-11

Question: Quraan k mutabiq anal sex haram phir kaise jaiz ho sakta hai

Answer: Fiqhe jaferia ke mutabiq fiqhe masail me kise aalam mujtahid(aytullah )ki taqleed ki jate hay (or ye mujtahid ka kaam hota hay ke wo bataae quraan or ahadees me kya kha jaraha hay or kya samjaha jaraha hay ,or jo louq mujtahid nahe hay wo aalam mujtahid ki taqleed karte hay ,or aytullah sistani ke mutabiq Biwi k peechay (back ) ke maqam main hambistari kerna biwi k raazi nah honay ki sorat main ethiyaat e wajib ki bina per haram hay, agar biwi raazi ho tu jaiz hay laikin shadeed makrooh hay. (Ref : Ayatullah Seestani(D.B) Al-masail e Mutakhaba, Mafhoom e Maslah maslah # 67)
[Updated on 11-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
104212
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Abul Qasim e Khoie Date: 2023-08-10

Question: Kia mard apni biwi ko sex toy (rubber ke penis) se fuck kar sakta he

Answer: Shohar aur biwi apnay badan k kisi bhi hissay ko doosray k badan k kisi bhi hissay se choo sakhtay hein laikin jism k hissay k alawa koe aur cheez (maslan sex toys waghaira) sharamgaah main ehtiyaat ki bina per dakhil nahin ker saktay or shohar ka bivi ki sharamgaah main ungli daal ker mani nikaalna jaiz hay. (Ref: Jadeed Fiqhi Masail, Ayatullah Sistani(d.b), Maslah #406, pg #236)
[Updated on 11-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
104318
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-08-04

Question: Asalamualaikum merai sohar pichlai 10saloo sai mujhai har mamulai Mai Jhodh boltai hai or logo ko nokari ka jhasa daiker paise laitai hai. Mairai puchnai per mujhai daratai dhamkatai hai, har kosish kar li per vo nahi sudhar rahai hai, marai do batchai bhi hai kyaaa Karu, mummy papa nai kaha Allah per sab jhod do or inhi kai sath rahoo, Karz karkai mujhai or batchooo ko akalaa jhod hamaisa bhaag jatai hai, yaa sahar change kar laitai hai, Kyaa karu batai

Answer: (Note: is website per fiqha e jaffaria k mutabiq jawabaat diay jatay hain.) Agar shohar apne biwi ko iziyat de aur beghair kise shari jawaz k is per tashadud kare to biwi apna muaamla le kar hakim shara( mujtahid (bare Aalime edeen) ki taraf ruju kar sakte hai ta ke hakim shara ( mujtahid) is k shoar ko husne solooq karne ka hokum de aur agar is ka kohe faida na ho to apne sawabdeed (hesiat ot asro rasookh k mutabiq) k mutabiq ise sarzanish kare aur agar is se bhi koi faida na ho to biwi talaq ka mutalba karsakte hai. agar shoar talaq dene se inkar karde or ise talaq per majboor na kiya jaske to hakime shara (mujtahid) ( apne ikhteyaraat istemal karke is ka sigha talaq jari karsakta hai.(Ref : aqa sistani ,Jadeed faqhi masail , masla # 413 , pg # 237, eidition 5)
[Updated on 05-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
104359
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-08-04

Question: Aslamo alikum. Mera shohar k jagra ho gya q k wo haq e zojiat ada ni krty kai kai din mai ny unky samny qasam khai k Khuda ki qasam mei dobara ab nai kahon GI. Is ka kya kafaara hoga

Answer: Sohar apni jawan biwi sai 4 mahinay sai ziada muddat (time period) k lie hambistari (intercourse) tark nahi kar sakta magar ye k (except) hambistari os k lie nuqsandah ya ziyada takleef ka sabab (reason) ho ya oski biwi khud 4 mahinay sai ziada muddat k liay hambistari tark karnay par razi ho ya nikah kertay waqt nikah k zimn (agreement) main 4 mahinay say ziyada muddat k liay hambistari tark kernay ki shart rakhi gae ho.(tauzeehul masail,ayatollah Seestani,maslah # 2382)
Jazbaat mai khaail hoi qasam durust nahi hoti.koe kaffara nahi hay. (Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41, maslah#2633).
[Updated on 04-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
104417
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-08-04

Question: Mara husband dubai ma driver ha. Hamrai shadi ko aj 10 sal ho gay hain or hamra 9 sal ka aik baita ha. In 9 sal ma mara husband na aj tak kharcha ni dia. Ma Job krti hun or bht mushkil sa zindagi ghuzar rhi hun. Lakin ab muja khula chahia. Q ka mara husband bht bar talaq ke dhamki da chuka 3 sal hona ko hain k wo Pakistani ni aya. Family back ground b strong ha un ka 8 bhai jo k sb well settled hain UK or Italy or dubai ma. Is soorat ma khula lana thek ha ya ni?

Answer: Note : Is website per fiqha e jaffaria k mutabiq jawabaat diay jatay hain.
Agar shohar apni biwi k huqooq ada nah karey aur naan o nafqa na daita ho or usey aziyyat day to biwi apna muaamla lay kar hakim shara (mujtahid) ki taraf ruju kar sakti hai takeh hakim shara (mujtahid) is k shohar ko husne sulooq karne ka hokum de aur agar is ka koe faida nah ho to apne sawabdeed k mutabiq use sarzanish kare or agar is se bhi koi faida nah ho to biwi talaq ka mutalba kar sakti hai. Agar shohar talaq dene se inkar karde or ise talaq per majboor nah kiya jaske to hakime shara (mujtahid) apne ikhteyaraat istemal karke is ka sighah e talaq jaari kar sakta hai. (Ref : AqaI sistani (d.b),Jadeed Fiqhi Masail, Maslaa # 413, 428, pg # 237, 5th Edition).
[Updated on 04-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
104442
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-08-04

Question: Salamun aleykum Meri Shadi 18 Des 2018 me Hui thi uske baar Meri Bibi 3 month mere sath rahi or uski behan or ammi be use fhone me bahut sikhya padhya to mujhse bahut ladai ki or apne Ghar chali gai . Ab baat talak TK as gai mujhe ek bachcha bhi ho gaya or wo kharcha bhi mang rahi he . Bachche ka bhi or khud ka bhi to please mujhe bataiye me keya karu .

Answer: Biwi ki rihaish, giza, libaas aur zindagi ke baqi zaroriyaat ka intezaam shohar par wajib hai chahe wo na_farman bhi ho lekin agar orat mard ko hambistri ya jinsi lazzaton ky silsile men nafarman ho or uski khwahish puri na karti ho to akhrajat shohar per wajib nahi hen. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2376)
[Updated on 04-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print