Please click the button for Quran o Itrat Academy Whatsapp Channel.
Whatsapp Channel
Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions:


Question & Answers << Go Back

Topic: Na-Mehram (736 Questions)


Showing 650- 700 questions from 736 questions on this page.

Answers found for searched words
Id:
121539
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-01-13

Question: Mera swal yeah hy k mjeh ek larka mila tha instagram pr uska breakup howa va tha aur wo bht depressed tha even nasha b krny lga tha.. Main sirf usy es niyat sy k wo es sab sy thora bahir ajye samjhati thi aur ab wo alhamdulillah es trauma sy bahir agya howa hy aur wo mjeh apni choti behn kehta hy main bhi usy bary bhaiyo ki tra hi treat karti hn har bat ek bary bhai hony ki hesiyat sy usy btatai hn aur wo b mjeh choti behn hi manta hy aur hm abhi b esi hesiyat sy bat krty hain please bta dain k yeah gunah hy ya nahi please ??

Answer: (Note: Is website par fiqh e jafferiya (shia mazhab) ke mutabiq jawabat diye jatay hain).

Munh bola bhai na mehram hota hai aur Na-mehram se aisi baatain ki jaa sakti hain jin ka natija kisi akhlaqi fasaad ki soorat me na nikal raha ho jab ke koi aisi baat bhi nah ki jaa rahi ho ke jis ka kisi ajnabi khatoon ya mard ke saath kiya jana munasib nahin hota. Na-mehram aurat ki awaz sunna jaiz hai is shart ke sath keh ye ke lazzat aur shehwat ki niyat se na suni jaye aur Haram me mubtila honay ka bhi khauf na ho aurat ke liye ye jaiz hai ke wo apni awaz na mehram mardon ko sunaye magar ye keh Haram kaam me mubtila honay ka khauf ho to is surat me jaiz nahin hai. Albata aurat ki zimedari bhi hai ke wo apni awaz ko itna khubsurat aur bareek na banaye jo isaan ke jazbaat ko ubharne wali ho. or agar gunah me parhne ka khauf ho agarche ahista ahista parhne ka hi khauf Q na ho, baat karna jaiz hi nahin hai, isi tarah ger akhlaqi or mazaq me bhi warid hona jaiz nahin hai.

(Ref: Minhaj us Saliheen, Ayatullah Sistani(d.b), part #3, maslah #90. + Nigah or Libaas, 1st Edition, Page #58, sawal #79. + Mujtahid se pochay gaye sawalaat, part #4, sawaal #127, pg #66).
[Updated on 14-Jan-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
121546
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-01-16

Question: Assalamualikum, Men ak larki sy pyar krta hu wo b mujsy bhoot pyar krti ha lakin usny mujy btaya k usy bhoot bar larku ny harras kia ha but Alhumdulillah uski izzat mahfooz ha (virgin ha) , mujy kbhi shaq hota ha k wo b is sb mn involve ha ,mn ny aj tk kisi larki k sath ghalt nhi kia mujy sb smj ni aa rhi mn kia krn ? Kia mujy us larki k sath nikah krna chaey? Q k Allah frmata ha naik mard naik aurtoon k liy han Meri rhnmai frmain , Mn bhoot preshaan hun

Answer: (Note: Is website par fiqh e jafferiya (shia mazhab) ke mutabiq jawabat diye jatay hain).

Jins e mukhalif se is had tak dosti ka is had tak izhaar karna ke us se kaha jaye ke mujhe tum se mohabbat hai ye kam jaiz hi nahin hai, chahe bad me us se shadi hi Q na karni ho. Q ke gunah men mubtela hone ka khauf maujud hai. balke kisi na mehram se (muhabbat to door) dosti karna hi Jaiz nahin hai. magar ye hai ke islam pasand ki shadi ki ijazat deta hai aur is aitebar se aap ziyada se ziyada us ke ghar rishte ka paigham bhej sakte hain. (lekin unhen majboor nahin kar sakte). Khuda aap ko gunah men mubtela hone se mehfooz rakhe.

(Ref: Nigah or Libaas, 1st Edition, Page #69, Ques #106. + link: https://www.sistani.org/urdu/qa/01845/ ).
[Updated on 17-Jan-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id:
121586
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-01-30

Question: Meri Nani ki apni choti behn kiya nikah karna jaiz h mai karna chahta hu rishta me wo khala lagti h ap mujhe bataye kiya ye jaiz h

Answer: Wo aap ke liye na-mehram hai, or na-mehram ke tamaam Ahkaam us ke or aap ke dermiyaan jaari honge, aur us se nikah bhi kar sakte hain.
(Ref: Minhaj-us-Saliheen, Ayatullah Sistani(d.b), part#3, edition 1443 hijri, maslah #90,91).
[Updated on 31-Jan-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
121594
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-02-03

Question: meri koi bhn ni hy koi czn ni hy koi dost ni hy mery life me bs ak e insn hy jis sy me bht pyar krti lakin vo rishta haram hyy . me usy chah ky b chor ni sktii rishta halal krna chahti lakin abhi ghr ni bta skti.uska b dil brh rha hy mujse.vo bht acha hy but choti choti bt pr mujse larhta hy ab jesw mujse tng agya ho muje koi importance naii deta ab lakin chorta b nai hy muje smjh ni arae me kya kru . kya yh sb isliye hora q ky hmara rishta haram hy ? lakin me bht duaye krti ky halal hojaye vo b mery bs me ni hy or usy chorna b mery bs me nai hy .me kya kru muje kuj smjh nai ata

Answer: (Note: Is website par fiqh e jafferiya (shia mazhab) ke mutabiq jawabat diye jatay hain).
Jins e mukhalif se is had tak dosti ka is had tak izhaar karna ke us se kaha jaye ke mujhe tum se mohabbat hai ye kam jaiz hi nahin hai, chahe bad me us se shadi hi Q na karni ho. Q ke gunah men mubtela hone ka khauf maujud hai. balke kisi na mehram se (muhabbat to door) dosti karna hi Jaiz nahin hai. magar ye hai ke islam pasand ki shadi ki ijazat deta hai lihaaza is aitebar se aap ziyada se ziyada us ke ghar rishte ka paigham bhej sakti hain. (lekin unhen majboor nahin kar sakti). Khuda aap ko gunah men mubtela hone se mehfooz rakhe.

(Ref: Nigah or Libaas, 1st Edition, Page #69, Ques #106. + link: https://www.sistani.org/urdu/qa/01845/ ).
[Updated on 03-Feb-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
121595
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-02-03

Question: me bht akyli hun ghr .me sb hy lakin muje koii b nai smjhta na koi dost hy na bhn koiii b nai hy meri life me . bs ak rishta hy vo b haram . me usy chor naii,skti mar ky b bht pyr krtii hun usky ilawa koi ni hy mery pas halal krna b abhi mery bs me nai hy . me kya kru ? allah talalh ne mujse hr rishty ky bdly me vo diya lakin vo b haram hy vo b mujse tng agya ab vo bht acha hy shyd me hun e itni burii ky koi b psnd ni krta.

Answer: Is sawal ka jawab de diya gaya hai.
[Updated on 03-Feb-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
121610
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-02-03

Question: Assalamualaikum mera sawal ye h ke mai ek ldke se bhot mohabbat krti hu or hmara 3 years ka relationship tha or fir October m unhone achanak mujhe chor diya or mujhse door hone ka faisla leliya mene unhe bhot mnaya lekin vo nhi mane or kehne lge meri mohabbat khtm ho gyi h unhone mujhse nikah ke liye quran paak pr Hath rkhke ksme khayi thi ke vo kbhi mujhe nhi chorenge or nikah krenge m tahjjud bhi pdhti hu or jb unhe mnane jati hu vo nhi mante or nafrat krne lge h mujhse please mujhe btaiye m kya kru kese vo mere pass vps aa jaye or mujhse nikah ke liye taiyar hojaye or kya unhe vps lane ke liye m koi qurani taweez bnwa skti hu please mujhe btaiye m bhot preshan hu mai vo khud mere pass vps aa jaye or nikah ke liye rishta bhejde

Answer: (Note: Is website par fiqh e jafferiya (shia mazhab) ke mutabiq jawabat diye jatay hain).
Jins e mukhalif se is had tak dosti ka is had tak izhaar karna ke us se kaha jaye ke mujhe tum se mohabbat hai ye kam jaiz hi nahin hai, (yani na mehram se muhabat karna jaiz nahin hai) chahe bad me us se shadi hi Q na karni ho. Q ke gunah men mubtela hone ka khauf maujud hai. balke kisi na mehram se (muhabbat to door) dosti karna hi Jaiz nahin hai. magar ye hai ke islam pasand ki shadi ki ijazat deta hai lihaaza is aitebar se aap ziyada se ziyada us ke ghar rishte ka paigham bhej sakti hain aur dua kar sakti hain. (lekin unhen majboor nahin kar sakti). Khuda aap ko gunah men mubtela hone se mehfooz rakhe.

(Ref: Nigah or Libaas, 1st Edition, Page #69, Ques #106. + link: https://www.sistani.org/urdu/qa/01845/ ).
[Updated on 03-Feb-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
121689
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-02-27

Question: kia pyar main larkaya or larki bat cheet kr saktay hain

Answer: Jins e mukhalif se is had tak dosti ka is had tak izhaar karna ke us se kaha jaye ke mujhe tum se mohabbat hai ye kam jaiz hi nahin hai, (yani na mehram se muhabat karna jaiz nahin hai), Q ke gunah men mubtela hone ka khauf maujud hai. balke kisi na mehram se (muhabbat to door) dosti karna hi Jaiz nahin hai. aur is gunah se bachne or jinsi taskeen ka sharaei or halaal rasta shadi karna hai Q ke Jo koi bhi chahe mard ho aurat agar shadi na hone ki wajah se Haram kaam me mubtila hote hon to is par wajib hai ke wo shadi kar lay.

(Ref: Nigah or Libaas, 1st Edition, Page #69, Ques #106. + link: https://www.sistani.org/urdu/qa/01845/ ). + Tauzeeh ul Masail, Edition #42, Maslah #2407).
[Updated on 27-Feb-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
121690
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-02-24

Question: kia larka larki ak dosray sy muhabat kartay hain or nikah ka irada rakhtayn hain a/ ak dosray sy normally bat kr saktay hain ??

Answer: (Note: Is website par fiqh e jafferiya (shia mazhab) ke mutabiq jawabat diye jatay hain).

1: Jins e mukhalif se is had tak dosti ka is had tak izhaar karna ke us se kaha jaye ke mujhe tum se mohabbat hai ye kam jaiz hi nahin hai, (yani na mehram se muhabat karna jaiz nahin hai) chahe bad me us se shadi hi Q na karni ho. Q ke gunah men mubtela hone ka khauf maujud hai. balke kisi na mehram se (muhabbat to door) dosti karna hi Jaiz nahin hai. magar ye hai ke islam pasand ki shadi ki ijazat deta hai lihaaza is aitebar se aap ziyada se ziyada us ke ghar nikah ka paigham bhej sakti hain aur dua kar sakti hain.
2: Na-mehram se aisi baatain ki jaa sakti hain jin ka natija kisi akhlaqi fasaad ki soorat me na nikal raha ho jab ke koi aisi baat bhi nah ki jaa rahi ho ke jis ka kisi ajnabi khatoon ya mard ke saath kiya jana munasib nahin hota.
3: Na-mehram aurat ki awaz sunna jaiz hai is shart ke sath ke ye ke lazzat aur shehwat ki niyat se nah suni jaye aur Haram me mubtila honay ka bhi khauf na ho. Isi tarah aurat ke liye bhi ye jaiz hai ke wo apni awaz na mehram mardon ko sunaye magar ye ke Haram kaam me mubtila honay ka khauf ho to is surat me jaiz nahin hai.
Albata aurat ki zimedari bhi hai ke wo apni awaz ko itna khubsurat aur bareek na banaye jo isaan ke jazbaat ko ubharne wali ho. or agar gunah me parhne ka khauf ho agarche ahista ahista parhne ka hi khauf Q na ho, baat karna jaiz hi nahin hai, isi tarah ger akhlaqi or mazaq me bhi warid hona jaiz nahin hai.

(Ref: Nigah or Libaas, 1st Edition, Page #58,69, Ques #79,106. + link: https://www.sistani.org/urdu/qa/01845/ ). + Mujtahid se pochay gaye sawalaat, part #4, sawaal #127, pg #66).
[Updated on 25-Feb-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
121699
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-02-19

Question: Assalamualaikum kya na mehram dost bansakte hai?

Answer: (Note: Is website par fiqh e jafferiya (shia mazhab) ke mutabiq jawabat diye jatay hain).

Kisi na mehram se dosti aur refaqat rakhna jaiz nahin hai. isi tarah gher akhlaqi aur mazaq me bhi warid hona bhi jaiz nahin hai. aur agar koi tanhaei ki sakhti aur shadi ke muqadmaat faraham nah honay ki soorat me kisi na mehram se dosti kare to ye bhi jaiz nahin hai, aur aisay shakhs (chahe mard ho ya aurat) ko shadi ke muqadmaat faraham karne ki koshish karni chahiye, aur is gunah se bachne or jinsi taskeen ka sharaei or halaal rasta shadi karna hai Q ke Jo koi bhi chahe mard ho aurat agar shadi na hone ki wajah se Haram kaam me mubtila hote hon to is par wajib hai ke wo shadi kar lay.

(Ref: link: https://www.sistani.org/urdu/qa/01845/ + (Ref: Tauzeeh ul Masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Maslah #2407).
[Updated on 20-Feb-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
121713
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-02-19

Question: Main. Ny kasam Khai ak lrki sy Quran py hath rkha hum dono ny k dubara ni milain gy ab Wapis ly skta hu

Answer: 1: Is tareeqe ki qasam khana durust nahin hai Q ke qasam Allah ke liye khayei jaati hai quran ki qasam nahin khai jaati. lihaaza is qasam par koi gunah ya kaffara nahin hai Q ke ye qasam hi sahi nahin hai.
Lekin aap ko chand fiqhi masaail ki taraf mutawajeh kiya jata hai ke Na-mehram mard aur aurat ka tanhaai me kisi aisi jagah sath hona jahan aur koi nah ho aur gunah me mubtela hone ka ahtemaal (chance) bhi ho, Haraam hai. chahe wo jagah aisi ho jahan koi aur aa sakta ho.
2: Aurat ka apna badan yahan tak ke apne baal kisi na mehram mard ko dikhana haram hai aur kisi na mehram mard ka badan dekhna bhi haram hai. Isi tarah na-mehram mard or aurat ka aik dosre ke badan ko choona ya chomna bhi haram hai.
3: Na-mehram mard aur aurat aapas me aisi baatain kar sakte hain jin ka nateja kisi akhlaqi fasaad ki sorat me na nikal raha ho jab k koe aisi baat bhi nah ki ja rahi ho jis ka kisi ajnabi ke saath kiya jana munasib nahin hota .or agar gunah mai parhne ka khof ho agarcheh ahista ahista parhne ka hi khoof Q na ho to baat karna jaiz nahin hay isi tarah gair akhlaqi or mazaq me bhi warid hona jaiz nahin hai.
4: Na-mehram aurat ki awaz sunna jaiz hai is shart ke sath keh ye ke lazzat aur shehwat ki niyat se nah suni jaye aur haram me mubtila hone ka bhi khof na ho, isi aurat ke liye ye jaiz hai ke wo apni awaz na mehram mardon ko sunaey magar ye ke haram kaam me mubtila hone ka khoof ho to is surat mai jaiz nahin hai. Albata aurat ki bhi zimedari hai k wo apni awaz ko itna khubsurat aur bareek na banaye jo insaan ke jazbaat ko ubharne wali ho.
5: Kisi mard aur aurat ke liye na-mehram mard o aurat se doosti karna jaiz nahin hai.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #44, maslah #,2409,2397,2633,2634. + Mujtahid se pochay gaey sawalaat, part #4, sawaal #127, pg #66. + http://www.sistani.org/urdu/qa/01845/ + Jadeed fiqhi masail, Ayatullah Sistani(d.b), maslah #510. + Nigah aur libas Mafhoom e sawal # 106 pg # 69).
[Updated on 20-Feb-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
121750
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-02-27

Question: asalam walikum...sawal ye h ki ma jis se mohabbat karti hu wo nhi karta h but m nikha karna chahti hu. but ladka nahi chahta 3 year ho gaye h sath m hame..mari family mare kiye rishta dekh rshi h m us k bare family ko bata bhi nahi saktu kyuki wo shadi k liye kuch nahi bol raha m .m us ko dil se nahi nikal pa rahi hu kafi koshish kar k dekh li h...bhot pareshan rehne lagi hu ...koye amal bataye wo mare se nikha k liye bole apni family ko bheje..............

Answer: (Note: Is website par fiqh e jafferiya (shia mazhab) ke mutabiq jawabat diye jatay hain).
Jins e mukhalif se is had tak dosti ka is had tak izhaar karna ke us se kaha jaye ke mujhe tum se mohabbat hai ye kam jaiz hi nahin hai, (yani na mehram se muhabat karna jaiz nahin hai) chahe bad me us se shadi hi Q na karni ho. Q ke gunah men mubtela hone ka khauf maujud hai. balke kisi na mehram se (muhabbat to door) dosti karna hi Jaiz nahin hai. magar ye hai ke islam pasand ki shadi ki ijazat deta hai lihaaza is aitebar se aap ziyada se ziyada us ke ghar rishte ka paigham bhej sakti hain aur dua kar sakti hain. (lekin unhen majboor nahin kar sakti).
(Ref: Nigah or Libaas, 1st Edition, Page #69, Ques #106. + link: https://www.sistani.org/urdu/qa/01845/ ).
[Updated on 28-Feb-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
121804
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-03-06

Question: Assalamualaikum sir ma ek larki sa muhabat krta aur ma us ka sath chatting bi krta lakin ma usa Saal ma mushkil sa 1 dafa dakhta hoo aur sath sath nikha ki wish bi rkhta hoo ya usa bi pata hai us ka Ghar walo ko bi aur sath sath mare Ghar walo ko bi lakin job problem aana ki waja sa ma nikha abi nhi kr sakta tw kia ya friend ship Mari us ka sath shi hai ya galat?

Answer: (Note: Is website par fiqh e jafferiya (shia mazhab) ke mutabiq jawabat diye jatay hain).

1: Jins e mukhalif se is had tak dosti ka is had tak izhaar karna ke us se kaha jaye ke mujhe tum se mohabbat hai ye kam jaiz hi nahin hai, (yani na mehram se muhabat karna jaiz nahin hai) chahe bad me us se shadi hi Q na karni ho. Q ke gunah men mubtela hone ka khauf maujud hai. balke kisi na mehram se (muhabbat to door) dosti karna hi Jaiz nahin hai. magar ye hai ke islam pasand ki shadi ki ijazat deta hai lihaaza is aitebar se aap ziyada se ziyada us ke ghar nikah ka paigham bhej sakte hain aur dua kar sakte hain.

2: Na-mehram se aisi baatain ki jaa sakti hain jin ka natija kisi akhlaqi fasaad ki soorat me na nikal raha ho jab ke koi aisi baat bhi nah ki jaa rahi ho ke jis ka kisi ajnabi khatoon ya mard ke saath kiya jana munasib nahin hota.

3: Na-mehram aurat ki awaz sunna jaiz hai is shart ke sath ke ye ke lazzat aur shehwat ki niyat se nah suni jaye aur Haram me mubtila honay ka bhi khauf na ho.
Isi tarah aurat ke liye bhi ye jaiz hai ke wo apni awaz na mehram mardon ko sunaye magar ye ke Haram kaam me mubtila honay ka khauf ho to is surat me jaiz nahin hai.
Albata aurat ki zimedari bhi hai ke wo apni awaz ko itna khubsurat aur bareek na banaye jo isaan ke jazbaat ko ubharne wali ho. or agar gunah me parhne ka khauf ho agarche ahista ahista parhne ka hi khauf Q na ho, baat karna jaiz hi nahin hai, isi tarah ger akhlaqi or mazaq me bhi warid hona jaiz nahin hai.

(Ref: Nigah or Libaas, 1st Edition, Page #58,69, Ques #79,106. + link: https://www.sistani.org/urdu/qa/01845/ ). + Mujtahid se pochay gaye sawalaat, part #4, sawaal #127, pg #66).
[Updated on 07-Mar-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
121877
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-03-28

Question: Assalam o alaikum... Mere ye sawal he k kiya larki ki mother ki sister k larke or larki k chacha k lakre na mehram he ya mehran kiya un sb se larki parda kare ya nahi...

Answer: Na mehram hain aur parda karna zaroori hai.
Mard ke liye namahram auraton ka jism dekhna aur oosi tarah oon ke baalon ko dekhnaa
khawah lazzat ke iraade se ho ya oos ke baghair, haraam mein mubtela hone ka khauf ho ya na
ho, haram hai. Oon ke chehre par nigaah daalna aur hathhon ko kalayiyon tak dekhna agar lazzat
ke iraade se ho ya haraam mein mubteka hone ka khauf ho to haraam hai. Balkeh ehtayaat-emustahab
yeh hai keh lazzat keiraade se ho ya haraam mein mubtela hone ka khauf na ho tab bhi
na dekhe. Isii tarah aurat jliye namahram mard ke jism par nazr daalna lazzat ke iraade se aur
haraam mein mubtela hone ke khauf ke sathh haraam hai balkeh ehtayaat-e-waajib ki bina par
lazzat ka iraada haram mein mubtela honeka khauf na ho tab bhi nigaah nahin daalni chahiye.
Laikin agar aurat mard ke jism ke oon hisso maslan sar, dono hathhon aur dono pindaliyon par
jinhein amuman mard nahin chhipaate, lazzat ke iraade ke baghair nazr dale aur haraam mein
mubtela hone ka khauf na ho to koi ishkaal nahin hai.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2349,2397,2399)
[Updated on 29-Mar-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
121975
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-04-13

Question: Sir agr kisi larki ko bgir kapro k dekh ly to gosal Krna ha k nae ser dekha ha tuch b nae kya

Answer: Is se ghusl wajib nahin hota.
Insan Do cheezon se mujnib hota hai aik jima (sex) aur dosra mani ke kharij hone se chahe woh neend ki halat me niklay ya jagtay me, kam ho ya ziada, shehwat ke sath niklay ya beghair shehwat ke, aur uska nikalna ikhtiar me ho ya na ho.
(Ref: Tuazeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #344,345).
nemehram aurat k jism ko dhekna aur use touch karna haram hai.( Laikin us se nikah ho skta hai). Shohar aur biwi k ilawa kise aur tariqe se jinse lazzat hasil karna kerna gunah e kabira hay . .Maslah#30), Jo shaks shadi na hone ki waja se fale haraam me mubtela hota ho is per wajib ha k shadi kar le.(Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 2397,2407,Ayatullah sistani, Minhajus Saliheen,Part#1)
[Updated on 13-Apr-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
122026
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-04-27

Question: Mera sawal ye he ki kya na-mehram jo ki dost he par ham dono bhai behen mante he naa hi koi galat irada he aur Inshaallah naa hi koi galat kaam me girne ka khatra he to kya hamara baate karna haram he??

Answer: Na-mehram say dosti jaiz nahi .
Na-mehram mard aur aurat apas men aisi batain kar sakte hain jin ka natija kisi akhlaqi fasaad ki soorat me na nikal raha ho jabke koi aisi baat bhi nah ki jaa rahi ho ke jis ka kisi ajnabi ke saath kiya jana munasib nahin hota.
Na-mehram aurat ki awaz sunna jaiz hai lekin is shart ke sath ke ye lazzat aur shehwat ki niyat se nah suni jaye aur haram me mubtila hone ka bhi khauf na ho.
Aurat ke liye ye jaiz hai ke wo apni awaz na mehram mardon ko sunaey magar ye keh haram kaam mai mubtila honay ka khauf ho tu is soorat mai jaiz nahin hai.
Albata aurat ki zimedare bhi hai ke wo apni awaz ko itna khubsurat aur bareek na banaye jo insaan ke jazbaat ko ubharne wali ho. aur agar gunah me parhne ka khauf ho agarche ahista ahista parhne ka hi khauf Q na ho baat karna jaiz hi nahin hai, isi tarah ger akhlaqi aur mazaq me bhi warid hona jaiz nahin hai.
.Ref:Istiftaat A.Sistani Book-4 Q.No.124,12, Mujtahid se pochay gaye sawalaat, part #4, sawal #125,127, pg #65,66. + https://www.sistani.org/urdu/qa/01845/ ).
[Updated on 28-Apr-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
122052
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-05-02

Question: Mera sawal ye hein k damad ma apny sas k bary mein ghalat sochna ya usky liye bury khyal lana our ya apny sas ko bagher kapro k dekh lena sakht gunah h jis se biwi talaq hoti hein agar kasy ko pata na hu ke ye itna bhara gunah hein tu kya karna chaye ..our damad ko bad m pata chaly tu kya krna chye k biwi talaq na hu

Answer: Faqat kisi ke baare me aisa sochna, ghunah nahin hai Lekin is ke ba wujood bhi is ki muzammat ki gayei hai yani aisa nahin sochna chahiye, Albatta shehwat aur lazzat ki niyat ke sath mehram aur na mehram aurat ke badan ki taraf nazar karna ye haram aur ghunah e kabira hai, Lekin is se biwi ko talaq nahin hoti.

(Ref: Minhajus Saleheen, Ayatullah Sistani(d.b), Part #1, edition #1443 hijri, masla #30. + Tauzeeh ul masail, edition #42, maslah #2462 to 2472).
[Updated on 03-May-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
122069
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-05-09

Question: It's been a year since our engagement and the girl wants to have sex with me bcz She is afraid to go to someone else.She wants to have sex with his fiancé she dont want to do sex with anyone else she only want to do sex with his fiance.so what to do plz reply soon

Answer: 1: Mangetar apas men na mehram hain aur Nikah ke baghair kisi se (chahe wo mangetar ho ya koi aur ho) sex (jinsi lazzat hasil) karna zina kehlata hai aur zina haram or gunah e kabira hai.
2: Na mehram se aisi baatain ki jaa sakti hain jin ka nateeja kisi akhlaqi fasaad ki surat me na nikal raha ho jab ke koi aisi baat bhi nah ki jaa rahi ho jis ka kisi ajnabi ke saath kiya jana munasib nahin hota. aur agar gunah mai parhne ka khauf ho agarcheh ahista ahista parhne ka hi khoof Q na ho baat karna jaiz nahin hay isi tarah gher akhlaqi aur mazaq me bhi warid hona jaiz nahin hai.

(Ref: Minhaj us Salaheen, Ayatullah Sistani(d.b), part #1, maslah #30. + Mujtahid se pochay gaey sawalaat, part #4, sawaal #127, pg #66. + Nigah aur libas, edition #1, pg #31).
[Updated on 10-May-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
122077
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-05-10

Question: Kiya sex chat krna apni hony wali biwi KY sth thk hai?

Answer: Mangetar dono apas men na mehram hain aur Nikah ke bagher kisi se (chahe wo mangetar ho ya koi aur ho) sex chat (be hooda baatain) karna Jaiz nahin hai. Lekin na mehram se aisi baatain ki jaa sakti hain jin ka nateeja kisi akhlaqi fasaad ki surat me na nikal raha ho jab ke koi aisi baat bhi nah ki jaa rahi ho jis ka kisi ajnabi ke saath kiya jana munasib nahin hota. aur agar gunah mai parhne ka khauf ho agarcheh ahista ahista parhne ka hi khoof Q na ho baat karna jaiz nahin hay isi tarah gher akhlaqi aur mazaq me bhi warid hona jaiz nahin hai.

(Ref: Minhaj us Salaheen, Ayatullah Sistani(d.b), part #1, maslah #30. + Mujtahid se pochay gaye sawalaat, part #4, sawaal #127, pg #66. + Nigah aur libas, edition #1, pg #31).
[Updated on 11-May-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
122099
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-05-14

Question: A.s... Kia hum kisi orphnage se bachi adopt krskty hain?? Kia wo mere shohar k liye mehram hogi???

Answer: Adoption (Gaud lene) men aur us bache ki daikh bhaal karne men or us se muhabbat ka izhaar karne me koi haraj nahin lekin bache ko apna bacha kehlana (yani bacha gaud lene wale is bache ke baare me ye kahen ye hamara bacha hai) jaiz nahin hay.
Agar bachay ki adoption ki jaaye to is baat ka khayaal rakha jaye ke bachay ke shajra e nasab aur is ki family se is ka taaluq mehfooz rahe. is bache ko adopt karne wale ki wiraasat nahin mile gi aur is bache ko haqeeqat bata den albatta is tarah se ke is par zehni dabaao na parhe aur is ka naam apne baite ke tour par (I.card) na likhwaain. chunache kisi nuqsaan ya mushaqqat ki wajah se aisa karna mumkin na ho to (is baat ko mehfooz karen) aur likhen aur is par ghawaah banain.
Jise adopt kiya gaya hai agar wo larka hai to adopt karne wale shakhs ki biwi ke liye na mehram hoga, lihaaza dono ke darmiyan parday ke ahkaam jaari honge, isi tarah jise adopt kiya gaya hai agar wo larki hai to adopt karne wale shakhs liye na mehram hogi, lihaaza dono ke darmiyan parday ke ahkaam jaari honge.

(Ref: link: https://www.sistani.org/urdu/qa/02838/ urdu, guad lena, sawaal #1. + english, ques & ans, topic: adoption, ques #1,2).
[Updated on 15-May-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
122100
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-05-14

Question: A.s... Kia hum kisi orphnage se bachi adopt krskty hain?? Kia wo mere shohar k liye mehram hogi???

Answer: Jawab de diya gaya hai.
[Updated on 15-May-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
122135
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-05-18

Question: Sir agr call pe kisi larki k sth sex hojaye to kia ye zina hai?

Answer: Zina ye hota hai ke aik baaligh or aaqil mard (jo pagal na ho) apne uzo e tanasul (penis) ko hashfe (glanspenis) ki miqdaar ke barabar aik aisi aurat ki agli (vagina) ya pichli (anus) sharamghah main daakhil kare jo is mard ke liye halal na ho. Aur zina Haram or gunah e kabira hai.
Lekin jis ki aap baat kar rahe hain wo zina nahin kehlaye ga.
Albatta na-mehram se aisi gair akhalqi baatain karna jo kisi ajnabi khatoon se nahin ki jatien chahe phone call ke zariye hi Q nah ho, Jaiz nahin hain. Ya kisi bhi tarah ka gair sharaei talluq rakhna Jaiz nahin hai.
Jo shaks shadi na hone ki waja se fale haraam me mubtela hota ho is per wajib hai k shadi kar le.
(Ref: Al-Lumatud damashqiyah, part #3, chapter kitab e hodood, pg #313. + Minhaj us Saliheen, Ayatullah Sistani(d.b), Part #1, Edition #1443 hij, maslah #30,Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 2407)
[Updated on 19-May-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
122158
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-05-22

Question: Na merham ka sadka Diya ja sakta ha kia

Answer: Jee han, diya jaa sakta hai Q ke kisi ka sadqa dene ke liye mehram hona shart nahin hai.
(Ref: Minhaj us Saliheen, Ayatullah Sistani(d.b), Part #2, Edition #1443 hij, Mafhoom e Maslah #1602,1606).
[Updated on 23-May-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
122163
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-05-23

Question: سلام کیا تائی یا چچی بالغ بھتیجے کا بوسہ لے سکتی ہے؟

Answer: Taai aur chachi na-mehram hai aur kisi na mehram mard aur aurat ka aik dosre ke jism ke kisi hissay ko dekhna, choona ya bosa dena chahe lazzat or shehwat ke iraday ke sath ho ya is ke baghair ye tamam kaam bhi Haram aur gunah e kabira me se hain.
(Ref: Tauzeeh ul Masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Maslah #2397,2399. + Minhaj us Saliheen, Part #1, Edition #1443 hij, maslah #30).
[Updated on 24-May-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
122208
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-06-02

Question: Salam alaikum kia hm hamari class fellows say hath Mila saktay hn skin dhamp kar dastanay use kar k ?

Answer: Na-mehram se hath milana haram hay, siwaye ye ke hath main dastana ho to haram nahin hay,
(Ref: Jadeed fiqhi masail, Ayatullah Sistani (d.b), maslah # 467).
[Updated on 02-Jun-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
122231
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-06-01

Question: Assalamalaikum Hazrat Mere Bhai Ghar se Bahar Amrika Akele Rahte hai aur job karte hai aur Meri Bhabhi Ghar pakistan me rahti hai meri bhabhi Se bhai ki gairmoujudgi me 1-2 Logo se Friendship ho jati hai aur unhee se zina ho jata hai mujhe jab ye baat pata chalti hai to mai bhabhi se puchhta hoo tab bhabhi aur bhai haz par hote hai aur mai waha video call se bhabhi se baat karta hoo aur ye baat puchhta hoo ki madeena me jhut na bolna ye baat sach hai ya jhoot to bhabhi bolti hai ki mujhse galti hui hai Lekin is galti ka mujhe bhut afsos hai aur meri bhabhi ne Gumbade Khizra ke saamne ro ro kar maafi mangi ki ab aisi galti nhi hogi aur mai ye video call me dekha hoo Ab mujhe ye bataye ki maine apne bhai se ye baat nhi batai kya ye baat mai apne bhai se bataoo ya bhabhi ki baat chhupa loo jisse talak na ho sake

Answer: Jawab de diya hai.
[Updated on 01-Jun-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
122274
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-06-06

Question: Salamu alaikum bina shadi kiya lover ko touch kar sakte hai

Answer: Na-mehram aurat ke jism ke kisi hissay ko choona (touch) haram hai, chahae lazzat ke iraday ke sath ho ya is ke baghair, balke choona to door, dekhna bhi haram hai. chahay baad me shadi hi Q nah karni ho.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2397).
[Updated on 06-Jun-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
122282
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-06-07

Question: asslam o Alikum sir mari age 24 years hai aue mangeter ki 23 years wo Meri Kazan ha aur ma aik cheez pochna chahta Hoon hmari mangni ko sal hogaya hm aik dosry sa mangni sa Phahly behad Mohabbat karty thy ab aaky behad shak hogaya uspa yaha tk ka bat bat pa kasmo ka Sahara Lana parta us na Quran pak pa ksm da die apny kirdar ki phr bh zehan sa badgumani ni gai tarha tarha ka galat kheyal aty kbhi asa lagta aski chati ka size narha to kahi as na gunah na kia ho as trha ka zehan hogaya wo Sachi ha wo ni darti lakin ma as cheez ko soch soch ka Marta AUR yaha take ka us na ya tk kaha nikah ka bad bh agr ma Khud ko sabit na kar ski to ma thumen chor doungi phr bh asy khyaal ath kindly mjhy aska Hal bta dien

Answer: Sab se pehlay to aap ko aik sharaei masle ki taraf mutawwih kiya jata hai ke jins e mukhalif (na-mehram mard aur aurat ka aik dusre) se is had tak dosti ka izhaar karna ke us se kaha jaye ke mujhe tum se mohabbat hai ye kam jaiz hi nahin hai, (yani na mehram se muhabat karna jaiz nahin hai) Q ke gunah men mubtela hone ka khauf maujud hai. balke kisi na mehram se (muhabbat to door) dosti karna hi Jaiz nahin hai.
Aur dusri baat ye ke ye dosti aur piyar o muhabat jo jaiz nahin hai is ki wajah se hi saara muamalah paish aa raha hai ke aap ke dil me tarah tarah ke khayalaat janam lay rahen hain, aap ko chahiye ke in khayalaat ki parwah na karen aur Allah taala ki zaat par bharosa karte hue us se shadi kar sakte hain.

(Ref: Nigah or Libaas, 1st Edition, Page #58,69, Ques #79,106. + link: https://www.sistani.org/urdu/qa/01845/ ).
[Updated on 08-Jun-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
122290
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-06-06

Question: Assalamualaikum Meri engagement ho gae hy, or mera mangeter out of country hota, or mother in law ki death ho gae hy, Mera mangater Chahta hy k shadi k baad mai us k parents k ghar raho jahan pr us k Abu or Bhai rehty hein. Lakin mujay yeh baat Pasand ni aye wahan akely rehna jahan sirf mard hn, Mera sawal yeh hy k mai inlaws ma shohar k bina akeli reh rakti hn? Kiya yeh Islam ma jaiz hy ?

Answer: Mustaqbil me (In future) agar behekne (ghumrah hone) ka khouf na ho to susraal me sirf mardon ke darmiyan reh sakti hain.

(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, mafhoom e maslah #2397,2400,2409).
[Updated on 07-Jun-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
122303
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-06-07

Question: Assalam -o- alaikum. ek larki ke sath me bh pyar karta ho and wo larki bh mjhse pyar karti hai. wo bh married hai and main bhi married hoon. is larki ki financial halat ache nahi hai. main uski har month help krta ho. abhi tak hum ne kch ghalat baat nahi ki hai but ahista ahista burayi ki taraf andesha nazar aa rha hai. ab agr me us larki ko chorh deta ho to uska guzara may be mushkil ho jaye. or uska dil bh toot jaye ga and kahi wo apne sath kch kar na le. plz rahnimayi farmaye kya karo me

Answer: Shadi shuda aurat ka kisi dosre mard se nikah karna Haram hai, lekin agar us ka shohar us ko talaq de de to iddat guzarne ke baad wo kisi aur mard se nikah kar sakti hain.
lekin aik aur sharaei masle ki tarafa aap ko mutawwih kiya jata hai ke jins e mukhalif (na-mehram mard aur aurat ka aik dusre) se is had tak dosti ka izhaar karna ke us se kaha jaye ke mujhe tum se mohabbat hai ye kam jaiz hi nahin hai, (yani na mehram se muhabat karna jaiz nahin hai) Q ke gunah men mubtela hone ka khauf maujud hai. balke kisi na mehram se (muhabbat to door) dosti karna hi Jaiz nahin hai. Aur dusri baat ye ke agar koi aadmi kisi aurat ko warghalaay ke wo apne shohor se mutalliq izdawazi zimmedariyaan poori nah kare taakeh is tarah shohor use talaq daine par majboor ho jaaye aur wo khud us aurat ke saath shadi kar sake to talaq aur nikah to sahi hai. Lekin dono ne buhut barha gunah kiya hai.

(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2366,2502. + Nigah or Libaas, 1st Edition, Page #58,69, Ques #79,106. + link: https://www.sistani.org/urdu/qa/01845/ ).
[Updated on 08-Jun-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
122318
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-06-09

Question: Mai aik larki sy piyaar karta ho aur wo bhi muj sy piyaar karti ha kiya hum message par baat kar skty hai.

Answer: 1: Jins e mukhalif (na-mehram mard aur aurat ka aik dusre) se is had tak dosti ka izhaar karna ke us se kaha jaye ke mujhe tum se mohabbat hai ye kam jaiz hi nahin hai (yani na mehram se muhabat karna jaiz nahin hai) Q ke gunah men mubtela hone ka khauf maujood hai. balke kisi na mehram se (muhabbat to door) dosti karna hi Jaiz nahin hai.

2: Na-mehram mard aur aurat apas men aisi batain kar sakte hain jin ka natija kisi akhlaqi fasaad ki surat me na nikal raha ho jabke koi aisi baat bhi nah ki jaa rahi ho ke jis ka kisi ajnabi ke saath kiya jana munasib nahin hota.
Na-mehram aurat ki awaz sunna jaiz hai lekin is shart ke sath ke ye lazzat aur shehwat ki niyat se nah suni jaye aur haram me mubtila hone ka bhi khauf na ho.
Aurat ke liye ye jaiz hai ke wo apni awaz na mehram mardon ko sunaye magar ye keh haram kaam me mubtila honay ka khauf ho to is surat me jaiz nahin hai. Albata aurat ki zimmedari bhi hai ke wo apni awaz ko itna khubsurat aur bareek na banaye jo insaan ke jazbaat ko ubharne wali ho. aur agar ghunah me parhne ka khauf ho agarche ahista ahista parhne ka hi khauf Q na ho baat karna jaiz nahin hai, isi tarah ger akhlaqi aur mazaq me bhi warid hona jaiz nahin hai.

(Ref: link; https://www.sistani.org/urdu/qa/01845/ . + Nigah or Libaas, 1st Edition, Page #58,69, Ques #79,106. + Mujtahid se pochay gaye sawalaat, part #4, sawal #125,127, pg #65,66).
[Updated on 10-Jun-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
122359
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-06-21

Question: asalam o alaikum mera swal ye h ke agr ap kisi ke sth relation me ho apki niyat nikkah ki ho pr ap kr ni skte kiun ke apki abh age ni pr ap agy jakr us se nikkah krna chahte ho or abh bs relation me rehna chahte ho tu kya gunah h

Answer: Jins e mukhalif se is had tak dosti ka izhaar karna ke us se kaha jaye ke mujhe tum se mohabbat hai ye kaam jaiz hi nahin hai, (yani na mehram se muhabat karna jaiz nahin hai) chahe bad me us se shadi hi Q na karni ho. Q ke gunah men mubtela hone ka khauf maujud hai. balke kisi na mehram se (muhabbat to door) dosti karna hi Jaiz nahin hai. magar ye hai ke islam pasand ki shadi ki ijazat deta hai lihaaza is aitebar se aap ziyada se ziyada apne ghar walon ke zariye us ke ghar rishte ka paigham bhej sakti hain aur dua kar sakti hain.

(Ref: Nigah or Libaas, 1st Edition, Page #69, Ques #106. + link: https://www.sistani.org/urdu/qa/01845/ ).
[Updated on 21-Jun-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
122401
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-06-20

Question: Aslam o alikum! Aik kunwari lrki kisi na mehram lrky sy baty krti thy aur us lrky ko usky past ki purani chatting mili hai kisi aur lrky sth ab lrka lrki ko bht bura bhala keh raha hai aur na zaiba ilfaz estmal kr raha yaha tk ky lrky ny bht mafia mangi lrki es lrky sy nikkah krna chhati thy? Kia eski saza lrki ko mily gy?? Aur ab lrki kia kry wo bht zyada aziyat mai haiii....???

Answer: 1: Kisi na mehram (mard aur aurat ka aik dusre) se dosti karna hi Jaiz nahin hai chahe baad me us se shadi hi q ne karni ho.

2: Na-mehram mard aur aurat apas men aisi batain (chatting) kar sakte hain jin ka natija kisi akhlaqi fasaad ki surat me na nikal raha ho jabke koi aisi baat bhi nah ki jaa rahi ho ke jis ka kisi ajnabi ke saath kiya jana munasib nahin hota.
Na-mehram aurat ki awaz sunna jaiz hai lekin is shart ke sath ke ye lazzat aur shehwat ki niyat se nah suni jaye aur haram me mubtila hone ka bhi khauf na ho.
Aurat ke liye ye jaiz hai ke wo apni awaz na mehram mardon ko sunaye magar ye keh haram kaam me mubtila honay ka khauf ho to is surat me jaiz nahin hai.
Albata aurat ki zimmedari bhi hai ke wo apni awaz ko itna khubsurat aur bareek na banaye jo insaan ke jazbaat ko ubharne wali ho. aur agar ghunah me parhne ka khauf ho agarche ahista ahista parhne ka hi khauf Q na ho baat karna jaiz nahin hai, isi tarah ger akhlaqi aur mazaq me bhi warid hona jaiz nahin hai.

3: Kisi momin mard aur aurat ko gaali dena ya bure alfaaz kehna, us ki tauheen karna, us ki tazaleel karna, us ke raaz ko faash karna, us ke makhfi gunaahon ke bare me jasoosi karna, us par tuhmat lagana, gheebat karna, us ka mazaaq urana, us ko ruswa karna, us ki naqal utaarna, use darana, dhamkana yeh tamam kaam Haram aur Gunahan e kabira hain.

4: Agar kisi se ghunah sarzad ho jaye to agar wo sharmidagi ke sath sachay dil se tauba kare lay to yaqeenan Allah taala Gafoor o Raheem aur bakhshne wala hai aur use bhi yaqeenan bakhsh dega.

(Ref: link; https://www.sistani.org/urdu/qa/01845/ . + Mujtahid se pochay gaye sawalaat, part #4, sawal #125,127, pg #65,66. + Tauzeeh ul Masail Jaame (farsi), part #2, maslah #394. + (E-mail rcvd from A.Sistani(d.b), dated: Sep 27, 2010).
[Updated on 20-Jun-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
122415
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-06-20

Question: Asslam.o.Alykum! University life ma hum opposite gender k sth kia had tak rah skty ha

Answer: 1: University me co-education me agar ghunah aalood nigahon ka tabaadla nah ho aur Haram me mubtila honay ka khauf nah ho to koi haraj nahin. lekin is k bawajood ye maslah is layeq hai ke islami mumaalik(countries) ke zimme daaar afraad larkon aur larkioon ke liye alag alag taleemi idaray bananay ke liye mansooba bandi karain.

2: Kisi na mehram (larkay aur larki ka aik dusre) se dosti karna hi Jaiz nahin hai. Lekin na-mehram larka aur larki apas men aisi batain kar sakte hain jin ka natija kisi akhlaqi fasaad ki surat me na nikal raha ho jabke koi aisi baat bhi nah ki jaa rahi ho ke jis ka kisi ajnabi ke saath kiya jana munasib nahin hota.
Na-mehram aurat ki awaz sunna jaiz hai lekin is shart ke sath ke ye lazzat aur shehwat ki niyat se nah suni jaye aur haram me mubtila hone ka bhi khauf na ho.
Aurat ke liye ye jaiz hai ke wo apni awaz na mehram mardon ko sunaye magar ye keh haram kaam me mubtila honay ka khauf ho to is surat me jaiz nahin hai.
Albata aurat ki zimmedari bhi hai ke wo apni awaz ko itna khubsurat aur bareek na banaye jo insaan ke jazbaat ko ubharne wali ho. aur agar ghunah me parhne ka khauf ho agarche ahista ahista parhne ka hi khauf Q na ho baat karna jaiz nahin hai, isi tarah ger akhlaqi aur mazaq me bhi warid hona jaiz nahin hai.

(Ref: Nigah aur libas, sawal #92, pg #63. +link; https://www.sistani.org/urdu/qa/01845/ . + Mujtahid se pochay gaye sawalaat, part #4, sawal #125,127, pg #65,66).
[Updated on 21-Jun-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
122425
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-06-21

Question: Assalam o alikum Agha! Me ny 5-6 Saal pehly b msg kia tha...apni psnd ki shadi k ly k aik Syed zadi ghair Syed sy nikkah kr skti hy? Or ye k 6 Saal sy me usi inteezarrr me hon bhttt kurb me...larky Waly Suni maslik sy hn or hm Alhamdulliah maktab e Alhlebait A.S sy munslik hn shia hn...unki ye shart hy k agr me Suni maslik sy munslik ho Jaon tu possible hy is baat ko b 4 Saal sy zyda arsa ho Chuka hy ab wo larka apny ghr walon ki mrzi sy shadi krny Wala hy...or me bar bar apny ap ko realize krwana Cha rhi hon k me in sb sy nikl aon...apni zindgi me agy brh Jaon 6 Saal sy zindgi wahin ruki hoi hy Mera Dil nhi manta Kisi or sy shadi k ly b pehly rishty aty thy tb Dil nhi manta tha by sabab Rona dhona shuru ho jata tha sakht depression sy guzr rhi hon needein tk Haram hn ... sleeping pills Leni prti thi pehly tu ....ab khud py control krny ki Koshish krti hon k us k bary me na sochon... Is hadd tk k wo chahy aik shadi apni family ki mrzi sy kr ly or aik mj sy ...chahy Haq e zojiyat na dy sirf nikah bray naam kr ly ... likin ye sirf Meri soch hy unko kbi esa nhi kaha or kbi in k ly nazdeeki ka koi shehwaat mehsoos nhi ki....mjy khud b smj me nhi ata akhirrrrr us insaan ko itni ehmiyat q deti hon or api zaat ki nafi kr di bilkul hi....janoon ki had tk mohbat hy k chahy wo door rhy likin Mera hoo... Imam e Zamana AJF sy twasul krti rehtii hon Raat ko zyda try....khawoob me b unka brhta hwa hath dekh chuki hon k wo band muthi sy hath brha rhy in k hath ki pushy pr hath rkhti hon or wi logo k hojom sy mjy upr asman ki traf utha lety hn ....is khawab ka kia mtlb hy?? Please jwaab zroor den Meri Zindagi ruki pri hy khud kushi ki sochein ATI hn zindgi khtm krna Chahti hon

Answer: 1: Jins e mukhalif se is had tak dosti ka izhaar karna ke us se kaha jaye ke mujhe tum se mohabbat hai ye kaam jaiz hi nahin hai, (yani na mehram se muhabat karna jaiz nahin hai) chahe bad me us se shadi hi Q na karni ho. Q ke gunah men mubtela hone ka khauf maujud hai. balke kisi na mehram se (muhabbat to door) dosti karna hi Jaiz nahin hai.

2: Shia or sunni ki shadi ke liye buniyadi taur par sharaei maslah ye hai ke maslan shia larki ko agar apne shia mazhab k tabdeel ho jane ka khouf na ho to wo sunni larke se shadi kar sakti hai aur agar shia mazhab ke tabdeel ho jane ka khouf ho (jaise ke aap ne zikr kiya ke wo aap ko sunni hone ka keh rahe hain) to is surat me shia larki ka sunni larke se nikah karna jaiz nahin hai.

(Ref: Nigah or Libaas, 1st Edition, Page #69, Ques #106. + link: https://www.sistani.org/urdu/qa/01845/ + Minhaj us Saliheen, Ayatullah Sistani(d.b), Part #3, maslah #215,200).
[Updated on 22-Jun-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
122427
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-06-21

Question: Can a girl add males in her social media accounts?

Answer: Agar ghunah me mubtila (ghumrah) hone ka khouf nah ho to koi haraj nahin hai. lekin agar fasaad, buraayei aur ghunah me mubtila hone ka khauf ho jaiz nahin hai.
(Ref: Nighah aur libaas, mafhoom e sawal #78,79, pg #58).
[Updated on 22-Jun-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
122495
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-07-04

Question: Me ek Sunni ladki hu aur ek Shia ladke se muhabbat krti hu vo bhi krte h unke ghar wale razi h per hamare nhi h aur unke karobaar ki wajah se ghar wale nhi maante plz koi Amal batyae take rishta aur shadi ho sake

Answer: Jins e mukhalif se is had tak dosti ka izhaar karna ke us se kaha jaye ke mujhe tum se mohabbat hai ye kaam jaiz hi nahin hai, (yani na mehram se muhabat karna jaiz nahin hai) chahe bad me us se shadi hi Q na karni ho. Q ke gunah men mubtela hone ka khauf maujood hai. balke kisi na mehram se (muhabbat to door) dosti karna hi Jaiz nahin hai. magar ye hai ke islam pasand ki shadi ki ijazat deta hai lihaaza is aitebar se ziyada se ziyada apne ghar walon ke zariye us ke ghar rishte ka paigham bheja jaa sakta hai aur dua ki jaa sakti hai.

2: Wazifa: Surah e ahzaab ko hath se likh kar aik dabbay (box) me band kar ke apnay ghar me hifazat se rakh dain aur is surah ko har roz aik bar parh kar dua mangain to hasb e manshah rishta distiab ho ga.

(Ref: Nigah or Libaas, 1st Edition, Page #69, Ques #106. + link: https://www.sistani.org/urdu/qa/01845/ ). + Naway e saleheen, pg #352).
[Updated on 05-Jul-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
122559
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-07-10

Question: Kiya ager larki ki sharmgah ke andar na dala jaye na agye na pechain lakin baqi sab romance ho or jism be nagaye ho tu ye zina hai ke nai?

Answer: Yeh zina shumar nahin hoga lekin is tarah apna jism kisi na mehram ko dikhana ya dekhna aur choona Haram aur ghunah e kabira hai.

(Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Tauzeeh ul masail, edition #42, maslah #2397. + Minhaj us Saliheen, part #1 maslah #30).
[Updated on 11-Jul-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
122565
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-07-12

Question: I'm talking to a namehram with the intention of nikah and also following the rules of halal conversation,without including any haram talk , is it right or not?

Answer: Aam mamool ki baat cheet karna jis ke andar koi shehwat nah ho koi haraj nahin hai lekin is me bhi shart hai ke is se koi jinsi lazzat haasil nah ho aur nah hi Haram me parhne ka khauf ho.
(Ref: Mujtahid se poochy gaye sawalaat, part #3, sawal #115,116, pg #57).
[Updated on 13-Jul-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
122592
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-07-13

Question: AOA sir mai ek shaks k nikah e mutta mai thi us doran mein kisi or mard k sath humbistar hue lakin intercourse ni hua baqi sb hua uper uper se kia lakin andar ni gya toh kia yeh zinah hai?? ab mai usi shaks se nikah krna chahti hun jis mutta doran yeh sb hua kia mai nikah kr sakti hun? plz jaldi jawab dijiye ga

Answer: Agar jima (intercourse) nahin hua to ye zina shumar nahin hoga lekin is tarah apna jism kisi na mehram ko dikhana ya dekhna aur choona wagera bhi Haram aur ghunah e kabira hai. aur jis se muttah kiya hua tha ki muddat aur iaddat ke khatam hone baad us se nikah kar sakti hain.

(Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Tauzeeh ul masail, edition #42, maslah #2364,2397. + Minhaj us Saliheen, part #1 maslah #30).
[Updated on 14-Jul-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
122628
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-07-19

Question: Assalamualaikum, mein 27 years pehla sa ek ladki ko bahot chahta hoon, aur us ladki ki shadi kahain aur hogai aur meri kahain aur, hum dono bhi shaadi shuda hain, laikin izhar hum dono 5 saal pehla kia ek doosre sa , hamari Mohabbat aisi ka ek doosra ka bara ma bagair sunalia, hamara dil unki kaifiat bolta,aur hum kabhi 5 saal pehla tak, kabhi intercourse karna ka khayal bhi nai aya tha, laikin 5 saal pehla hum dono jaisa ek doosre sa mila hum dono intercourse karna laga , aur ab kaifiat aisi hai ka hum Duniya ma na mein meri biwi sa intercourse ka lia sex margaya, aur us ladki ka Shohar sa intercourse ka lia sex margai, ab aisa halat ma uwo ladki ka Shohar ladki ko khula dena bilkul ready nai hai, taka hum nikah karen kyu ka ab hamara dil jism aur har cheez ek doosre ka lia hogai, hum dono bs allahtala ko hazir maanka hamara aisa nikah khubool kar ya allah bolka hum sath milren aur physical bhi karrain sub, ab iska plz ap haal nikalia dono bhi ek doosre ka bagair nai rahsakren, aur bs bachon ka soachka khamush hai Laikin milren aur physical horen hum log, ap plz islamic tariqua sa iska hal bataiya taka hamein allahtala ko mana kar hamara rishta ko mazboot banana hai, kyu ka ab hum ek doosre ka bagair hargiz nai rahsakren, bahot kosish karlia Laikin nahi hora ekk doosra sa bagair Mila bagair kia rahna, plz iska jawab zaroor dijia

Answer: (Note: Is website par fiqh e jafferiya (shia mazhab) ke mutabiq jawabat diye jatay hain).

1: Jins e mukhalif se is had tak dosti ka is had tak izhaar karna ke us se kaha jaye ke mujhe tum se mohabbat hai ye kam jaiz hi nahin hai, (yani na mehram se muhabat karna jaiz nahin hai), Q ke ghunah men mubtela hone ka khauf maujud hai. balke kisi na mehram se (muhabbat to door) dosti karna hi Jaiz nahin hai.

2: Agar shohar daar aurat zina karay to ehtiyat e wajib ki bina par wo zaani (zina karne wake) par hamisha ke liye Haram ho jati hai yani jis ne zina kiya hai wo kabhi bhi is aurat se shadi nahin kar sakta.

(Ref: Nigah or Libaas, 1st Edition, Page #69, Ques #106. + link: https://www.sistani.org/urdu/qa/01845/ ). + Minhaj us Saliheen, Ayatullah Sistani(d.b), part #1 maslah #30. + Tauzeeh ul masail, edition #42, maslah #2367).
[Updated on 20-Jul-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
122762
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-08-16

Question: Phli bar date ketni umar ma hoti ha Or ksa pta kr skta ha kh lrke ka phly physically relationship khi or tha ha ni

Answer: 1: Physically relationship ke hawalay se doctor se maaloom kiya jaa sakta hai. Albatta agar date se aap ki muraad "kisi larki ke sath date pe jana hai" to is hawalay se aap ko chand sharaei masail ke taraf mutawajjeh kiya jaata hai ke agar in sharaei masail ki pabandi karte hue larki ke sath date pe jaa rahe hain to is me umr ki koi qaid nahin.
2: Na-mehram se is aitebaar se dosti karna ke ye piyar o muhabat ban jaye aur phir is se shadi kar lenge to ye jaiz nahin, Q ke jins e mukhalif se is had tak dosti ka izhaar karna ke us se kaha jaye ke mujhe tum se mohabbat hai ye kam jaiz hi nahin hai, (yani na mehram se muhabat karna jaiz nahin hai), Q ke ghunah men mubtela hone ka khauf maujood hai, balke kisi na mehram se (muhabbat to door ki baat) us se dosti karna hi Jaiz nahin hai. albatta Islam pasand ki shadi ki ijazat deta hai lehaaza is aitebaar se aap ziyada se ziyada apne ghar walon ke zariye us ke ghar rishte ka paigham bhej sakte hain aur dua kar sakte hain.
3: Na-mehram mard aur aurat ka tanhaai me kisi aisi jagah sath hona jahan aur koi nah ho aur ghunah me mubtila hone ka ahtemaal (chance) bhi ho, to Haram hai. chahe wo jagah aisi ho jahan koi aur aa sakta ho, albatta agar ghunah me mubtila hone ka ahtemaal (chance) nah ho to koi haraj nahin hai.
4: Aurat ka apna badan yahan tak ke apne baal kisi na-mehram mard ko dikhana Haram hai aur kisi na-mehram mard ka badan dekhna bhi Haram hai. Isi tarah na-mehram mard or aurat ka aik dosre ke badan ko choona ya chomna bhi Haram hai.
5: Na-mehram mard aur aurat aapas me aisi baatain kar sakte hain jin ka nateja kisi akhlaqi fasaad ki surat me na nikal raha ho jab ke koe aisi baat bhi nah ki jaa rahi ho jis ka kisi ajnabi ke saath kiya jana munasib nahin hota. aur agar ghunah me parhne ka khauf ho agarcheh ahista ahista parhne ka hi khauf Q na ho to baat karna jaiz nahin hai, isi tarah gair akhlaqi aur mazaq me warid hona bhi jaiz nahin hai.
6: Na-mehram aurat ki awaz sunna jaiz hai is shart ke sath keh ye ke lazzat aur shehwat ki niyat se nah suni jaye aur Haram me mubtila hone ka bhi khauf nah ho, isi aurat ke liye ye jaiz hai ke wo apni awaz na-mehram mardon ko sunaye magar ye ke Haram kaam me mubtila hone ka khauf ho to is surat me jaiz nahin hai. Albata aurat ki bhi zimedari hai ke wo apni awaaz ko itna khubsurat aur bareek na banaye ke jo insaan ke jazbaat ko ubharne wali ho.

(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #44, maslah #2409,2397. + Mujtahid se pochay gaey sawalaat, part #4, sawaal #127, pg #66. + http://www.sistani.org/urdu/qa/01845/ + Jadeed fiqhi masail, Ayatullah Sistani(d.b), maslah #510. + Nigah aur libas Mafhoom e sawal # 106 pg # 69).
[Updated on 17-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
122771
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-08-16

Question: اسلام علکیم میرا سوال ہے کہ اگر ایک لڑکا اور لڑکی ایک دوسرے کو پسند کرتے ہوں اور اس پسند کو 5 سال گزر جائیں اس دوران وہ ایک دوسرے سے ملتے بھی رہے ہوں اور کئ بار ان سے زنا بھی سر زد ہوا ہو ۔اب لڑکا تو لڑکی سے نکاخ کے لیے تیار ہو ۔لیکن لڑکی کے گھر والوں نے اس کا رشتہ کئ اور طہ کر دیا ہو ۔ایسی صورت میں لڑکی کو کیا کرنا چایے کیا اسی لڑکے سے شادی کرنی چاہیے جہاں اس کا رشتہ والدین نے طہ کیا ہے یا پھر دوسرے لڑکے سے جس کے ساتھ کئ بار زانا کی غلطی سرزاد ہو چکی ہے

Answer: (Note: Is website par fiqh e jafferiya (shia mazhab) ke mutabiq jawabat diye jatay hain).

1: Na-mehram mard aur aurat ka apas me kisi bhi qisim ka taaluq(relationship) rakhna jaiz hi nahin hai ye Haram aur ghunah e kabira hai. aur agar relationship me zina bhi kar liya hai to ehtiyaat e wajib ki bina zaani (zina karne wala larka) is larki ke tauba karne se pehle is se nikah nahin kar sakta. (yani jab tak wo larki is zina se tauba nahin kar leti, ehtiyaat e wajib ki bina par tab tak wo larka is larki se nikah nahin kar sakta).

2: Agar larki tauba kar lay tab bhi is larke se nikah karne ke liye larki ko apne wali (yani baap ya dada) se ijazat lena zaroori hogi Q ke wo kunwari larki jo baaligh ho lekin khud mukhtaar nah ho to nikah ke liye us ko apne wali (baap ya dada) ki ijazat zaroori hai aur agar larki khud mukhtaar ho tab bhi nikah ke liye apne wali (baap ya dada) se ijazat lena ehtiyaat e lazim ki bina par zaroori hai. yani kunwari larki apne wali (baap ya dada) se ijazat liye bager nikah nahin kar sakti.

(Ref: Minhaaj us Saliheen, Ayatullah Sistani(d.b), part #1, maslah #30. + Tauzeeh ul masail, edition #42, maslah #2341,2364).
[Updated on 17-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
122800
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-08-22

Question: ASSALAMUALIKUM SIR:MAI EK JOB KARNE WALI LADKI HUN ,MERE KOI BHAI NAHIN HAIN ISLIYE MUJHE HI JOB KARNA PADRAHA HAIN ,AUR MAKAN BANAYA HAIN MAINE ISI DOURAN THODA KHADZA HAI ISI KO ADA KARNE MAI JOB KAR RAHI HU MUJHE EK GAIR QOUMI (HINDU LADKE SE MOHABBATH HUI THI)MAI ZINA KAR CHUKI HUN IS K BAAD MUJHE EHSAAS HUA K MAI NE GALAT KIYA HAIN AUR MERE DIL BECHAIN HAIN BAHUT SHAMINDAGI MEHSOOS KARRAHI HU KYA ALLAH MUJHE MAAF KARDENGE ?

Answer: (Note: Is website par fiqh e jafferiya (shia mazhab) ke mutabiq jawabat diye jatay hain).

1: Jins e mukhalif se is had tak dosti ka is had tak izhaar karna ke us se kaha jaye ke mujhe tum se mohabbat hai ye kam jaiz hi nahin hai, (yani na mehram se muhabat karna jaiz nahin hai), Q ke ghunah men mubtela hone ka khauf maujud hai. balke kisi na mehram se (muhabbat to door) dosti karna hi Jaiz nahin hai.
2: Agar kisi se koi Ghunah sarzad ho jaye to agar wo sharmidagi ke sath sachay dil se Allah taala ki bargah me tauba kare lay to yaqeenan Allah taala ki zaat Gafoor o Raheem aur bakhshne wali hai aur use bhi yaqeenan bakhsh degi.
3: Tauba ka sahi mafhoom ye hai ke sub se pehlay sharmindagi ka ehsaas karain or Allah se maghfirat talab karain or khud se ehed or wada karain ke is ghunah ko dobara anjaam nahin dain gi.
4: Taqwa e ilahi ke zariye se is se nijaat hasil ki jaa sakti hai or jin cheezon or maqamaat se jazbaat main tehreek(harkat) paida hoti hay un se door raha jaye. or Allah talaa ka kasrat se zikr kiya jaye or is se bachne ke liye sakht koshish ki jaye is tarah se ke aap apne ghar walon ko shadi ke liye kahen.
5: Isi tarah ghunah se bachne or jinsi taskeen ka sharaei or halaal rasta shadi karna hai Q ke Jo koi bhi chahe mard ho ya aurat, agar shadi na hone ki wajah se Haram kaam (zina) me mubtila hote hon to is par wajib hai ke wo shadi kar lay. (yani wese to shadi karna aik mustahab amal hai lekin aap ke liye shadi karna wajib ho gaya hai Q ke agar shadi nahin karen gi to ghunah me mubtela hon gi).
6: Ghunah ka jab khayal aaye to hameshah yeh yaad rakhain ke Allah aap ko daikh raha hay, or is gunah ko anjaam day kar aap shaitan ka hokum maan rahe hain or Allah ki na-farmani kar rahay hain. aur koshish karain ke khuch mufeed kaamon main khud ko masroof kar lain jaisay sports, parhayei waghaira, or har os cheez se bachain jo jinsi khahish ko ubharay ya baydaar karay. Agar khud par qabo nah paa sakte hon to roza rakhain Q ke roza ghunahon ke muqabilay me dhaal ka kaam karta hai.

(Ref: Nigah or Libaas, 1st Edition, Page #69, Ques #106. + link: https://www.sistani.org/urdu/qa/01845/ ). + Minhaj us Saliheen, Ayatullah Sistani(d.b), part #1 maslah #30. + (E-mail rcvd from A.Sistani(d.b), dated: Sep 27, 2010). + link: http://www.sistani.org/index.php?p=297396&id=262 . + Tauzeeh ul Masail, Edition #42, maslah #2407).
[Updated on 23-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
122803
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-08-22

Question: As Salam Alikum Mai shadi Karna chahti hon aur jis sy Mai Karna chahti hon is larky sy mere ghr wale nhi Karna chahty Mai 12 Waal Ki thi or aj m 20 saal Ki hon Mai unko TB sy jantii hon is larky KO Mai is k bigr nahi reh sakti m ghr m Sab se choti hon hum 5 bhen Bhai hein bary Bhai Ki Shadi ho gai h baki hum 4 KO ki nhi mujhse bare Bhai Ki magni oski pasand se hui hai Lekin m larki hon meri nhi ho sakti wo larka ameer nhi zaad bi alag hai lekin mujhe koi masla nahi h meny1000 br ghr m bt kar li hai mai suicide krna chahti hon mai zinda nahi reh sakti os k bigr wo apny ghr m bary hn ma nikah kr sakti hon ghr walo ko batye bigr meny bhot br zina krna h meri marzi sy m gunnah sy bachna chahti hon m toba krti hon phir gunnah ho jata h m bhot sharminda hon ma kesy nikah kru please koi help Kary mere papa shadiyon ki btein nh sunty hein meri mama bs ase he bolti hein Allah NY chaha toh ho jye gi kiya maa Baap ki zimedari nahi hoti m bs nikah krna chahti hon

Answer: (Note: Is website par fiqh e jafferiya (shia mazhab) ke mutabiq jawabat diye jatay hain).

1: Na-mehram mard aur aurat ka apas me kisi bhi qisim ka taaluq rakhna jaiz hi nahin hai ye Haram aur ghunah e kabira hai. aur agar taaluqaat is had tak barh jayen ke zina bhi kar liya ho to ehtiyaat e wajib ki bina zaani (zina karne wala larka) is larki ke tauba karne se pehle is se nikah nahin kar sakta. (yani jab tak wo larki is zina se tauba nahin kar leti, ehtiyaat e wajib ki bina par tab tak wo larka is larki se nikah nahin kar sakta).
2: Agar larki tauba kar lay tab bhi is larke se nikah karne ke liye larki ko apne wali (yani baap ya dada) se ijazat lena zaroori hogi Q ke wo kunwari larki jo baaligh ho lekin khud mukhtaar nah ho to nikah ke liye us ko apne wali (baap ya dada) ki ijazat zaroori hai aur agar larki khud mukhtaar ho tab bhi nikah ke liye apne wali (baap ya dada) se ijazat lena ehtiyaat e lazim ki bina par zaroori hai. yani kunwari larki apne wali (baap ya dada) se ijazat liye bager nikah nahin kar sakti.

(Ref: Minhaaj us Saliheen, Ayatullah Sistani(d.b), part #1, maslah #30. + Tauzeeh ul masail, edition #42, maslah #2341,2364).
[Updated on 23-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
122812
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-08-25

Question: Kisi na mehram (mard , aurat) ko namaz k lia bolna ya nend se uthana haram ha ya halal or waja kia agr haram h to?

Answer: Na-mehram (na-mehram mard, aurat) ke hawale se parday aur ghuftago ka khayal rakhte hue us ko namaz ke liye bolna ya neend se bedaar karna pasandeeda kaam hai, balkay baaz auqaat to amar bil maroof ke wajib honay ki wajah se namaz ke liye neend se bedaar karna lazim hota hai, jaisay ke kahin koi susti aur namaz ko kamtar shumaar karte hue so raha ho, Albata agar kisi bemaar ya is jaisay kisi shakhs ko bedaar karna is ki aziyat ka sabab banay, to zaroori hai ke aisa karne ke liye sharai ijazat rakhta ho.

(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2397,2399. + Tauzeeh ul masail jaame, part #1, maslah #994).
[Updated on 26-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
122823
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-08-29

Question: اگر ایک لڑکا لڑکی آپس میں بہت محبت کرتے ہوں اور اپنے نفس پہ قابو نہیں پا سکے اور بہت بار آپس میں ہی شادی سے پہلے ہمبستری کر چکے ہوں تو کیا ان دونوں کا آپس میں نکاح ہو سکتا ہے ؟

Answer: (Note: Is website par fiqh e jafferiya (shia mazhab) ke mutabiq jawabat diye jatay hain).

1: Na-mehram larka aur larki ka apas me kisi bhi qisim ka taaluq (relationship maslan piyar o muhabat, dosti) rakhna jaiz hi nahin hai. aur agar taaluqaat is had tak barh jayen ke zina bhi kar liya ho to ye kaam Haram aur ghunah e kabira hai. aur ehtiyaat e wajib ki bina zaani (zina karne wala larka) is larki ke tauba karne se pehle is se nikah nahin kar sakta. (yani jab tak wo larki is zina se tauba nahin kar leti, ehtiyaat e wajib ki bina par tab tak wo larka is larki se nikah nahin kar sakta).
2: Agar larki tauba kar lay tab bhi is larke se nikah karne ke liye larki ko apne wali (yani baap ya dada) se ijazat lena zaroori hogi Q ke wo kunwari larki jo baaligh ho lekin khud mukhtaar nah ho to nikah ke liye us ko apne wali (baap ya dada) ki ijazat zaroori hai aur agar larki khud mukhtaar ho tab bhi nikah ke liye apne wali (baap ya dada) se ijazat lena ehtiyaat e lazim ki bina par zaroori hai. yani kunwari larki apne wali (baap ya dada) se ijazat liye bager nikah nahin kar sakti.
Is ke alawa bhi nikah ki buhat saari sharaait hain ke jin ki pabandi karna nikah ke waqt zaroori hai warna nikah sahi nahin hoga.

(Ref: Minhaaj us Saliheen, Ayatullah Sistani(d.b), part #1, maslah #30. + Tauzeeh ul masail, edition #44, maslah #2327,2332,2334,2340,2363).
[Updated on 30-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
122905
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-09-18

Question: Kya nikkah ki niyat se kisi Larki se relation rkh skte hain??

Answer: (Sahe sharhe nikah ke begaire kise namehram larki se jinse relation qaim karna jaiz nahe hay) or na-mehram se is aitebaar se dosti karna ya relation rakhna ke ye piyar o muhabat ban jaye aur phir is se shadi kar lenge to ye jaiz nahin, Q ke jins e mukhalif se is had tak dosti ka izhaar karna ke us se kaha jaye ke mujhe tum se mohabbat hai ye kam jaiz hi nahin hai, (yani na mehram se muhabat karna jaiz nahin hai), Q ke ghunah men mubtela hone ka khauf maujood hai, balke kisi na mehram se (muhabbat to door ki baat) us se dosti karna hi Jaiz nahin hai. albatta Islam pasand ki shadi ki ijazat deta hai lehaaza is aitebaar se aap ziyada se ziyada apne ghar walon ke zariye us ke ghar rishte ka paigham bhej sakte hain aur dua kar sakte hain.

(Ref: http://www.sistani.org/urdu/qa/01845/ + Nigah aur libas sawal #106, pg #69).
[Updated on 19-Sep-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
122944
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-09-27

Question: Kya na mehram sy wada krna jaiz hai??

Answer: Agar ghumrahi me parne ka khouf na ho aur darmiyaan main aisi batain nah ki jain jo aik ajnabhe khatoon musalman ke shayaan e shan nahin hain (or koi fasaad na ho ) to Jaiz hai.
(Ref: Mujtahid se pochay gay sawalaat, part #4, pg #65,66).
[Updated on 27-Sep-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
122994
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-10-01

Question: Mera sawal ye hy ke Hum 2 classfellow hain aor ek dusry ko nikah ki neyat se Pasand krty hain. Dono ki families ko pta hy. Bs lrkay ki job ke wait main hain uske bad nikah hojai ga. Kia is Duran university main milna aor koi ghair ikhlaqi hrkat na krty huay boundaries main rehty huay publicaly hansi mazak kr lena...ya koi kam assignment akethy baith kr krna jaiz hy?

Answer: 1: Nikah se pehle mard aur aurat aapas me na-mehram hote hain aur kisi mard aur aurat ke liye na-mehram mard o aurat se doosti karna jaiz nahin hai isi tarah mard ke liye na-mahram aurat ka jism dekhna aur isi tarah un ke baalon ko dekhna chahe lazzat ke iraade se ho ya is ke baghair, Haraam mein mubtela hone ka khauf ho ya nah ho, dono soorton me Haram hai. aur un ke chehre par nigaah daalna aur hathon ko kalaiyon tak dekhna agar lazzat ke iraade se ho ya Haram mein mubteka hone ka khauf ho to Haraam hai. Balke ehtayat-e-mustahab yeh hai ke lazzat ke iraade ke bager aur Haram mein mubtela hone ka khauf nah ho tab bhi nah dekhay.
2: Na-mehram mard aur aurat aapas me aisi baatain kar sakte hain jin ka nateja kisi akhlaqi fasaad ki sorat me na nikal raha ho jab k koe aisi baat bhi nah ki ja rahi ho jis ka kisi ajnabi ke saath kiya jana munasib nahin hota .or agar ghunah mai parhne ka khof ho agarcheh ahista ahista parhne ka hi khoof Q na ho to baat karna jaiz nahin hay isi tarah gair akhlaqi or mazaq me bhi warid hona (perna )jaiz nahin hai.
3: Na-mehram aurat ki awaz sunna jaiz hai is shart ke sath keh ye ke lazzat aur shehwat ki niyat se nah suni jaye aur haram me mubtila hone ka bhi khof na ho, isi aurat ke liye ye jaiz hai ke wo apni awaz na mehram mardon ko sunaey magar ye ke haram kaam me mubtila hone ka khoof ho to is surat mai jaiz nahin hai. Albata aurat ki bhi zimedari hai k wo apni awaz ko itna khubsurat aur bareek na banaye jo insaan ke jazbaat ko ubharne wali ho.

(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2397. + Mujtahid se pochay gaey sawalaat, part #4, sawaal #124,125,127, pg #65,66. + http://www.sistani.org/urdu/qa/01845/ + Jadeed fiqhi masail, Ayatullah Sistani(d.b), maslah #510).
[Updated on 02-Oct-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
123025
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-10-04

Question: Ek mahram orat apne bhai k samny apny jism k Kon kon say hise khule chor Sakta hai. (Agar dill mein shaikani khayal na ho toh) . Un hison k Naam b bataiye ga.

Answer: Jo mard aur aurat aapas mein mehram hon agar wo lazzat ki niyat na rakhte hon aur Haraam mein mubtela hone ka khauf bhi na ho to (agli aur pichhli) sharmghah ke alawa aik dusre ka poora badan dekh sakte hain.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2401).
[Updated on 05-Oct-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print