Please click the button for Quran o Itrat Academy Whatsapp Channel.
Whatsapp Channel
Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+


Question & Answers << Go Back

Topic: Na-Mehram (756 Questions)


Showing 700- 750 questions from 756 questions on this page.

Answers found for searched words
Id:
122318
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-06-09

Question: Mai aik larki sy piyaar karta ho aur wo bhi muj sy piyaar karti ha kiya hum message par baat kar skty hai.

Answer: 1: Jins e mukhalif (na-mehram mard aur aurat ka aik dusre) se is had tak dosti ka izhaar karna ke us se kaha jaye ke mujhe tum se mohabbat hai ye kam jaiz hi nahin hai (yani na mehram se muhabat karna jaiz nahin hai) Q ke gunah men mubtela hone ka khauf maujood hai. balke kisi na mehram se (muhabbat to door) dosti karna hi Jaiz nahin hai.

2: Na-mehram mard aur aurat apas men aisi batain kar sakte hain jin ka natija kisi akhlaqi fasaad ki surat me na nikal raha ho jabke koi aisi baat bhi nah ki jaa rahi ho ke jis ka kisi ajnabi ke saath kiya jana munasib nahin hota.
Na-mehram aurat ki awaz sunna jaiz hai lekin is shart ke sath ke ye lazzat aur shehwat ki niyat se nah suni jaye aur haram me mubtila hone ka bhi khauf na ho.
Aurat ke liye ye jaiz hai ke wo apni awaz na mehram mardon ko sunaye magar ye keh haram kaam me mubtila honay ka khauf ho to is surat me jaiz nahin hai. Albata aurat ki zimmedari bhi hai ke wo apni awaz ko itna khubsurat aur bareek na banaye jo insaan ke jazbaat ko ubharne wali ho. aur agar ghunah me parhne ka khauf ho agarche ahista ahista parhne ka hi khauf Q na ho baat karna jaiz nahin hai, isi tarah ger akhlaqi aur mazaq me bhi warid hona jaiz nahin hai.

(Ref: link; https://www.sistani.org/urdu/qa/01845/ . + Nigah or Libaas, 1st Edition, Page #58,69, Ques #79,106. + Mujtahid se pochay gaye sawalaat, part #4, sawal #125,127, pg #65,66).
[Updated on 10-Jun-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
122359
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-06-21

Question: asalam o alaikum mera swal ye h ke agr ap kisi ke sth relation me ho apki niyat nikkah ki ho pr ap kr ni skte kiun ke apki abh age ni pr ap agy jakr us se nikkah krna chahte ho or abh bs relation me rehna chahte ho tu kya gunah h

Answer: Jins e mukhalif se is had tak dosti ka izhaar karna ke us se kaha jaye ke mujhe tum se mohabbat hai ye kaam jaiz hi nahin hai, (yani na mehram se muhabat karna jaiz nahin hai) chahe bad me us se shadi hi Q na karni ho. Q ke gunah men mubtela hone ka khauf maujud hai. balke kisi na mehram se (muhabbat to door) dosti karna hi Jaiz nahin hai. magar ye hai ke islam pasand ki shadi ki ijazat deta hai lihaaza is aitebar se aap ziyada se ziyada apne ghar walon ke zariye us ke ghar rishte ka paigham bhej sakti hain aur dua kar sakti hain.

(Ref: Nigah or Libaas, 1st Edition, Page #69, Ques #106. + link: https://www.sistani.org/urdu/qa/01845/ ).
[Updated on 21-Jun-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id:
122401
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-06-20

Question: Aslam o alikum! Aik kunwari lrki kisi na mehram lrky sy baty krti thy aur us lrky ko usky past ki purani chatting mili hai kisi aur lrky sth ab lrka lrki ko bht bura bhala keh raha hai aur na zaiba ilfaz estmal kr raha yaha tk ky lrky ny bht mafia mangi lrki es lrky sy nikkah krna chhati thy? Kia eski saza lrki ko mily gy?? Aur ab lrki kia kry wo bht zyada aziyat mai haiii....???

Answer: 1: Kisi na mehram (mard aur aurat ka aik dusre) se dosti karna hi Jaiz nahin hai chahe baad me us se shadi hi q ne karni ho.

2: Na-mehram mard aur aurat apas men aisi batain (chatting) kar sakte hain jin ka natija kisi akhlaqi fasaad ki surat me na nikal raha ho jabke koi aisi baat bhi nah ki jaa rahi ho ke jis ka kisi ajnabi ke saath kiya jana munasib nahin hota.
Na-mehram aurat ki awaz sunna jaiz hai lekin is shart ke sath ke ye lazzat aur shehwat ki niyat se nah suni jaye aur haram me mubtila hone ka bhi khauf na ho.
Aurat ke liye ye jaiz hai ke wo apni awaz na mehram mardon ko sunaye magar ye keh haram kaam me mubtila honay ka khauf ho to is surat me jaiz nahin hai.
Albata aurat ki zimmedari bhi hai ke wo apni awaz ko itna khubsurat aur bareek na banaye jo insaan ke jazbaat ko ubharne wali ho. aur agar ghunah me parhne ka khauf ho agarche ahista ahista parhne ka hi khauf Q na ho baat karna jaiz nahin hai, isi tarah ger akhlaqi aur mazaq me bhi warid hona jaiz nahin hai.

3: Kisi momin mard aur aurat ko gaali dena ya bure alfaaz kehna, us ki tauheen karna, us ki tazaleel karna, us ke raaz ko faash karna, us ke makhfi gunaahon ke bare me jasoosi karna, us par tuhmat lagana, gheebat karna, us ka mazaaq urana, us ko ruswa karna, us ki naqal utaarna, use darana, dhamkana yeh tamam kaam Haram aur Gunahan e kabira hain.

4: Agar kisi se ghunah sarzad ho jaye to agar wo sharmidagi ke sath sachay dil se tauba kare lay to yaqeenan Allah taala Gafoor o Raheem aur bakhshne wala hai aur use bhi yaqeenan bakhsh dega.

(Ref: link; https://www.sistani.org/urdu/qa/01845/ . + Mujtahid se pochay gaye sawalaat, part #4, sawal #125,127, pg #65,66. + Tauzeeh ul Masail Jaame (farsi), part #2, maslah #394. + (E-mail rcvd from A.Sistani(d.b), dated: Sep 27, 2010).
[Updated on 20-Jun-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
122415
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-06-20

Question: Asslam.o.Alykum! University life ma hum opposite gender k sth kia had tak rah skty ha

Answer: 1: University me co-education me agar ghunah aalood nigahon ka tabaadla nah ho aur Haram me mubtila honay ka khauf nah ho to koi haraj nahin. lekin is k bawajood ye maslah is layeq hai ke islami mumaalik(countries) ke zimme daaar afraad larkon aur larkioon ke liye alag alag taleemi idaray bananay ke liye mansooba bandi karain.

2: Kisi na mehram (larkay aur larki ka aik dusre) se dosti karna hi Jaiz nahin hai. Lekin na-mehram larka aur larki apas men aisi batain kar sakte hain jin ka natija kisi akhlaqi fasaad ki surat me na nikal raha ho jabke koi aisi baat bhi nah ki jaa rahi ho ke jis ka kisi ajnabi ke saath kiya jana munasib nahin hota.
Na-mehram aurat ki awaz sunna jaiz hai lekin is shart ke sath ke ye lazzat aur shehwat ki niyat se nah suni jaye aur haram me mubtila hone ka bhi khauf na ho.
Aurat ke liye ye jaiz hai ke wo apni awaz na mehram mardon ko sunaye magar ye keh haram kaam me mubtila honay ka khauf ho to is surat me jaiz nahin hai.
Albata aurat ki zimmedari bhi hai ke wo apni awaz ko itna khubsurat aur bareek na banaye jo insaan ke jazbaat ko ubharne wali ho. aur agar ghunah me parhne ka khauf ho agarche ahista ahista parhne ka hi khauf Q na ho baat karna jaiz nahin hai, isi tarah ger akhlaqi aur mazaq me bhi warid hona jaiz nahin hai.

(Ref: Nigah aur libas, sawal #92, pg #63. +link; https://www.sistani.org/urdu/qa/01845/ . + Mujtahid se pochay gaye sawalaat, part #4, sawal #125,127, pg #65,66).
[Updated on 21-Jun-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
122425
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-06-21

Question: Assalam o alikum Agha! Me ny 5-6 Saal pehly b msg kia tha...apni psnd ki shadi k ly k aik Syed zadi ghair Syed sy nikkah kr skti hy? Or ye k 6 Saal sy me usi inteezarrr me hon bhttt kurb me...larky Waly Suni maslik sy hn or hm Alhamdulliah maktab e Alhlebait A.S sy munslik hn shia hn...unki ye shart hy k agr me Suni maslik sy munslik ho Jaon tu possible hy is baat ko b 4 Saal sy zyda arsa ho Chuka hy ab wo larka apny ghr walon ki mrzi sy shadi krny Wala hy...or me bar bar apny ap ko realize krwana Cha rhi hon k me in sb sy nikl aon...apni zindgi me agy brh Jaon 6 Saal sy zindgi wahin ruki hoi hy Mera Dil nhi manta Kisi or sy shadi k ly b pehly rishty aty thy tb Dil nhi manta tha by sabab Rona dhona shuru ho jata tha sakht depression sy guzr rhi hon needein tk Haram hn ... sleeping pills Leni prti thi pehly tu ....ab khud py control krny ki Koshish krti hon k us k bary me na sochon... Is hadd tk k wo chahy aik shadi apni family ki mrzi sy kr ly or aik mj sy ...chahy Haq e zojiyat na dy sirf nikah bray naam kr ly ... likin ye sirf Meri soch hy unko kbi esa nhi kaha or kbi in k ly nazdeeki ka koi shehwaat mehsoos nhi ki....mjy khud b smj me nhi ata akhirrrrr us insaan ko itni ehmiyat q deti hon or api zaat ki nafi kr di bilkul hi....janoon ki had tk mohbat hy k chahy wo door rhy likin Mera hoo... Imam e Zamana AJF sy twasul krti rehtii hon Raat ko zyda try....khawoob me b unka brhta hwa hath dekh chuki hon k wo band muthi sy hath brha rhy in k hath ki pushy pr hath rkhti hon or wi logo k hojom sy mjy upr asman ki traf utha lety hn ....is khawab ka kia mtlb hy?? Please jwaab zroor den Meri Zindagi ruki pri hy khud kushi ki sochein ATI hn zindgi khtm krna Chahti hon

Answer: 1: Jins e mukhalif se is had tak dosti ka izhaar karna ke us se kaha jaye ke mujhe tum se mohabbat hai ye kaam jaiz hi nahin hai, (yani na mehram se muhabat karna jaiz nahin hai) chahe bad me us se shadi hi Q na karni ho. Q ke gunah men mubtela hone ka khauf maujud hai. balke kisi na mehram se (muhabbat to door) dosti karna hi Jaiz nahin hai.

2: Shia or sunni ki shadi ke liye buniyadi taur par sharaei maslah ye hai ke maslan shia larki ko agar apne shia mazhab k tabdeel ho jane ka khouf na ho to wo sunni larke se shadi kar sakti hai aur agar shia mazhab ke tabdeel ho jane ka khouf ho (jaise ke aap ne zikr kiya ke wo aap ko sunni hone ka keh rahe hain) to is surat me shia larki ka sunni larke se nikah karna jaiz nahin hai.

(Ref: Nigah or Libaas, 1st Edition, Page #69, Ques #106. + link: https://www.sistani.org/urdu/qa/01845/ + Minhaj us Saliheen, Ayatullah Sistani(d.b), Part #3, maslah #215,200).
[Updated on 22-Jun-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
122427
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-06-21

Question: Can a girl add males in her social media accounts?

Answer: Agar ghunah me mubtila (ghumrah) hone ka khouf nah ho to koi haraj nahin hai. lekin agar fasaad, buraayei aur ghunah me mubtila hone ka khauf ho jaiz nahin hai.
(Ref: Nighah aur libaas, mafhoom e sawal #78,79, pg #58).
[Updated on 22-Jun-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
122495
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-07-04

Question: Me ek Sunni ladki hu aur ek Shia ladke se muhabbat krti hu vo bhi krte h unke ghar wale razi h per hamare nhi h aur unke karobaar ki wajah se ghar wale nhi maante plz koi Amal batyae take rishta aur shadi ho sake

Answer: Jins e mukhalif se is had tak dosti ka izhaar karna ke us se kaha jaye ke mujhe tum se mohabbat hai ye kaam jaiz hi nahin hai, (yani na mehram se muhabat karna jaiz nahin hai) chahe bad me us se shadi hi Q na karni ho. Q ke gunah men mubtela hone ka khauf maujood hai. balke kisi na mehram se (muhabbat to door) dosti karna hi Jaiz nahin hai. magar ye hai ke islam pasand ki shadi ki ijazat deta hai lihaaza is aitebar se ziyada se ziyada apne ghar walon ke zariye us ke ghar rishte ka paigham bheja jaa sakta hai aur dua ki jaa sakti hai.

2: Wazifa: Surah e ahzaab ko hath se likh kar aik dabbay (box) me band kar ke apnay ghar me hifazat se rakh dain aur is surah ko har roz aik bar parh kar dua mangain to hasb e manshah rishta distiab ho ga.

(Ref: Nigah or Libaas, 1st Edition, Page #69, Ques #106. + link: https://www.sistani.org/urdu/qa/01845/ ). + Naway e saleheen, pg #352).
[Updated on 05-Jul-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
122559
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-07-10

Question: Kiya ager larki ki sharmgah ke andar na dala jaye na agye na pechain lakin baqi sab romance ho or jism be nagaye ho tu ye zina hai ke nai?

Answer: Yeh zina shumar nahin hoga lekin is tarah apna jism kisi na mehram ko dikhana ya dekhna aur choona Haram aur ghunah e kabira hai.

(Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Tauzeeh ul masail, edition #42, maslah #2397. + Minhaj us Saliheen, part #1 maslah #30).
[Updated on 11-Jul-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
122565
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-07-12

Question: I'm talking to a namehram with the intention of nikah and also following the rules of halal conversation,without including any haram talk , is it right or not?

Answer: Aam mamool ki baat cheet karna jis ke andar koi shehwat nah ho koi haraj nahin hai lekin is me bhi shart hai ke is se koi jinsi lazzat haasil nah ho aur nah hi Haram me parhne ka khauf ho.
(Ref: Mujtahid se poochy gaye sawalaat, part #3, sawal #115,116, pg #57).
[Updated on 13-Jul-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
122592
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-07-13

Question: AOA sir mai ek shaks k nikah e mutta mai thi us doran mein kisi or mard k sath humbistar hue lakin intercourse ni hua baqi sb hua uper uper se kia lakin andar ni gya toh kia yeh zinah hai?? ab mai usi shaks se nikah krna chahti hun jis mutta doran yeh sb hua kia mai nikah kr sakti hun? plz jaldi jawab dijiye ga

Answer: Agar jima (intercourse) nahin hua to ye zina shumar nahin hoga lekin is tarah apna jism kisi na mehram ko dikhana ya dekhna aur choona wagera bhi Haram aur ghunah e kabira hai. aur jis se muttah kiya hua tha ki muddat aur iaddat ke khatam hone baad us se nikah kar sakti hain.

(Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Tauzeeh ul masail, edition #42, maslah #2364,2397. + Minhaj us Saliheen, part #1 maslah #30).
[Updated on 14-Jul-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
122628
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-07-19

Question: Assalamualaikum, mein 27 years pehla sa ek ladki ko bahot chahta hoon, aur us ladki ki shadi kahain aur hogai aur meri kahain aur, hum dono bhi shaadi shuda hain, laikin izhar hum dono 5 saal pehla kia ek doosre sa , hamari Mohabbat aisi ka ek doosra ka bara ma bagair sunalia, hamara dil unki kaifiat bolta,aur hum kabhi 5 saal pehla tak, kabhi intercourse karna ka khayal bhi nai aya tha, laikin 5 saal pehla hum dono jaisa ek doosre sa mila hum dono intercourse karna laga , aur ab kaifiat aisi hai ka hum Duniya ma na mein meri biwi sa intercourse ka lia sex margaya, aur us ladki ka Shohar sa intercourse ka lia sex margai, ab aisa halat ma uwo ladki ka Shohar ladki ko khula dena bilkul ready nai hai, taka hum nikah karen kyu ka ab hamara dil jism aur har cheez ek doosre ka lia hogai, hum dono bs allahtala ko hazir maanka hamara aisa nikah khubool kar ya allah bolka hum sath milren aur physical bhi karrain sub, ab iska plz ap haal nikalia dono bhi ek doosre ka bagair nai rahsakren, aur bs bachon ka soachka khamush hai Laikin milren aur physical horen hum log, ap plz islamic tariqua sa iska hal bataiya taka hamein allahtala ko mana kar hamara rishta ko mazboot banana hai, kyu ka ab hum ek doosre ka bagair hargiz nai rahsakren, bahot kosish karlia Laikin nahi hora ekk doosra sa bagair Mila bagair kia rahna, plz iska jawab zaroor dijia

Answer: (Note: Is website par fiqh e jafferiya (shia mazhab) ke mutabiq jawabat diye jatay hain).

1: Jins e mukhalif se is had tak dosti ka is had tak izhaar karna ke us se kaha jaye ke mujhe tum se mohabbat hai ye kam jaiz hi nahin hai, (yani na mehram se muhabat karna jaiz nahin hai), Q ke ghunah men mubtela hone ka khauf maujud hai. balke kisi na mehram se (muhabbat to door) dosti karna hi Jaiz nahin hai.

2: Agar shohar daar aurat zina karay to ehtiyat e wajib ki bina par wo zaani (zina karne wake) par hamisha ke liye Haram ho jati hai yani jis ne zina kiya hai wo kabhi bhi is aurat se shadi nahin kar sakta.

(Ref: Nigah or Libaas, 1st Edition, Page #69, Ques #106. + link: https://www.sistani.org/urdu/qa/01845/ ). + Minhaj us Saliheen, Ayatullah Sistani(d.b), part #1 maslah #30. + Tauzeeh ul masail, edition #42, maslah #2367).
[Updated on 20-Jul-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
122762
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-08-16

Question: Phli bar date ketni umar ma hoti ha Or ksa pta kr skta ha kh lrke ka phly physically relationship khi or tha ha ni

Answer: 1: Physically relationship ke hawalay se doctor se maaloom kiya jaa sakta hai. Albatta agar date se aap ki muraad "kisi larki ke sath date pe jana hai" to is hawalay se aap ko chand sharaei masail ke taraf mutawajjeh kiya jaata hai ke agar in sharaei masail ki pabandi karte hue larki ke sath date pe jaa rahe hain to is me umr ki koi qaid nahin.
2: Na-mehram se is aitebaar se dosti karna ke ye piyar o muhabat ban jaye aur phir is se shadi kar lenge to ye jaiz nahin, Q ke jins e mukhalif se is had tak dosti ka izhaar karna ke us se kaha jaye ke mujhe tum se mohabbat hai ye kam jaiz hi nahin hai, (yani na mehram se muhabat karna jaiz nahin hai), Q ke ghunah men mubtela hone ka khauf maujood hai, balke kisi na mehram se (muhabbat to door ki baat) us se dosti karna hi Jaiz nahin hai. albatta Islam pasand ki shadi ki ijazat deta hai lehaaza is aitebaar se aap ziyada se ziyada apne ghar walon ke zariye us ke ghar rishte ka paigham bhej sakte hain aur dua kar sakte hain.
3: Na-mehram mard aur aurat ka tanhaai me kisi aisi jagah sath hona jahan aur koi nah ho aur ghunah me mubtila hone ka ahtemaal (chance) bhi ho, to Haram hai. chahe wo jagah aisi ho jahan koi aur aa sakta ho, albatta agar ghunah me mubtila hone ka ahtemaal (chance) nah ho to koi haraj nahin hai.
4: Aurat ka apna badan yahan tak ke apne baal kisi na-mehram mard ko dikhana Haram hai aur kisi na-mehram mard ka badan dekhna bhi Haram hai. Isi tarah na-mehram mard or aurat ka aik dosre ke badan ko choona ya chomna bhi Haram hai.
5: Na-mehram mard aur aurat aapas me aisi baatain kar sakte hain jin ka nateja kisi akhlaqi fasaad ki surat me na nikal raha ho jab ke koe aisi baat bhi nah ki jaa rahi ho jis ka kisi ajnabi ke saath kiya jana munasib nahin hota. aur agar ghunah me parhne ka khauf ho agarcheh ahista ahista parhne ka hi khauf Q na ho to baat karna jaiz nahin hai, isi tarah gair akhlaqi aur mazaq me warid hona bhi jaiz nahin hai.
6: Na-mehram aurat ki awaz sunna jaiz hai is shart ke sath keh ye ke lazzat aur shehwat ki niyat se nah suni jaye aur Haram me mubtila hone ka bhi khauf nah ho, isi aurat ke liye ye jaiz hai ke wo apni awaz na-mehram mardon ko sunaye magar ye ke Haram kaam me mubtila hone ka khauf ho to is surat me jaiz nahin hai. Albata aurat ki bhi zimedari hai ke wo apni awaaz ko itna khubsurat aur bareek na banaye ke jo insaan ke jazbaat ko ubharne wali ho.

(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #44, maslah #2409,2397. + Mujtahid se pochay gaey sawalaat, part #4, sawaal #127, pg #66. + http://www.sistani.org/urdu/qa/01845/ + Jadeed fiqhi masail, Ayatullah Sistani(d.b), maslah #510. + Nigah aur libas Mafhoom e sawal # 106 pg # 69).
[Updated on 17-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
122771
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-08-16

Question: اسلام علکیم میرا سوال ہے کہ اگر ایک لڑکا اور لڑکی ایک دوسرے کو پسند کرتے ہوں اور اس پسند کو 5 سال گزر جائیں اس دوران وہ ایک دوسرے سے ملتے بھی رہے ہوں اور کئ بار ان سے زنا بھی سر زد ہوا ہو ۔اب لڑکا تو لڑکی سے نکاخ کے لیے تیار ہو ۔لیکن لڑکی کے گھر والوں نے اس کا رشتہ کئ اور طہ کر دیا ہو ۔ایسی صورت میں لڑکی کو کیا کرنا چایے کیا اسی لڑکے سے شادی کرنی چاہیے جہاں اس کا رشتہ والدین نے طہ کیا ہے یا پھر دوسرے لڑکے سے جس کے ساتھ کئ بار زانا کی غلطی سرزاد ہو چکی ہے

Answer: (Note: Is website par fiqh e jafferiya (shia mazhab) ke mutabiq jawabat diye jatay hain).

1: Na-mehram mard aur aurat ka apas me kisi bhi qisim ka taaluq(relationship) rakhna jaiz hi nahin hai ye Haram aur ghunah e kabira hai. aur agar relationship me zina bhi kar liya hai to ehtiyaat e wajib ki bina zaani (zina karne wala larka) is larki ke tauba karne se pehle is se nikah nahin kar sakta. (yani jab tak wo larki is zina se tauba nahin kar leti, ehtiyaat e wajib ki bina par tab tak wo larka is larki se nikah nahin kar sakta).

2: Agar larki tauba kar lay tab bhi is larke se nikah karne ke liye larki ko apne wali (yani baap ya dada) se ijazat lena zaroori hogi Q ke wo kunwari larki jo baaligh ho lekin khud mukhtaar nah ho to nikah ke liye us ko apne wali (baap ya dada) ki ijazat zaroori hai aur agar larki khud mukhtaar ho tab bhi nikah ke liye apne wali (baap ya dada) se ijazat lena ehtiyaat e lazim ki bina par zaroori hai. yani kunwari larki apne wali (baap ya dada) se ijazat liye bager nikah nahin kar sakti.

(Ref: Minhaaj us Saliheen, Ayatullah Sistani(d.b), part #1, maslah #30. + Tauzeeh ul masail, edition #42, maslah #2341,2364).
[Updated on 17-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
122800
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-08-22

Question: ASSALAMUALIKUM SIR:MAI EK JOB KARNE WALI LADKI HUN ,MERE KOI BHAI NAHIN HAIN ISLIYE MUJHE HI JOB KARNA PADRAHA HAIN ,AUR MAKAN BANAYA HAIN MAINE ISI DOURAN THODA KHADZA HAI ISI KO ADA KARNE MAI JOB KAR RAHI HU MUJHE EK GAIR QOUMI (HINDU LADKE SE MOHABBATH HUI THI)MAI ZINA KAR CHUKI HUN IS K BAAD MUJHE EHSAAS HUA K MAI NE GALAT KIYA HAIN AUR MERE DIL BECHAIN HAIN BAHUT SHAMINDAGI MEHSOOS KARRAHI HU KYA ALLAH MUJHE MAAF KARDENGE ?

Answer: (Note: Is website par fiqh e jafferiya (shia mazhab) ke mutabiq jawabat diye jatay hain).

1: Jins e mukhalif se is had tak dosti ka is had tak izhaar karna ke us se kaha jaye ke mujhe tum se mohabbat hai ye kam jaiz hi nahin hai, (yani na mehram se muhabat karna jaiz nahin hai), Q ke ghunah men mubtela hone ka khauf maujud hai. balke kisi na mehram se (muhabbat to door) dosti karna hi Jaiz nahin hai.
2: Agar kisi se koi Ghunah sarzad ho jaye to agar wo sharmidagi ke sath sachay dil se Allah taala ki bargah me tauba kare lay to yaqeenan Allah taala ki zaat Gafoor o Raheem aur bakhshne wali hai aur use bhi yaqeenan bakhsh degi.
3: Tauba ka sahi mafhoom ye hai ke sub se pehlay sharmindagi ka ehsaas karain or Allah se maghfirat talab karain or khud se ehed or wada karain ke is ghunah ko dobara anjaam nahin dain gi.
4: Taqwa e ilahi ke zariye se is se nijaat hasil ki jaa sakti hai or jin cheezon or maqamaat se jazbaat main tehreek(harkat) paida hoti hay un se door raha jaye. or Allah talaa ka kasrat se zikr kiya jaye or is se bachne ke liye sakht koshish ki jaye is tarah se ke aap apne ghar walon ko shadi ke liye kahen.
5: Isi tarah ghunah se bachne or jinsi taskeen ka sharaei or halaal rasta shadi karna hai Q ke Jo koi bhi chahe mard ho ya aurat, agar shadi na hone ki wajah se Haram kaam (zina) me mubtila hote hon to is par wajib hai ke wo shadi kar lay. (yani wese to shadi karna aik mustahab amal hai lekin aap ke liye shadi karna wajib ho gaya hai Q ke agar shadi nahin karen gi to ghunah me mubtela hon gi).
6: Ghunah ka jab khayal aaye to hameshah yeh yaad rakhain ke Allah aap ko daikh raha hay, or is gunah ko anjaam day kar aap shaitan ka hokum maan rahe hain or Allah ki na-farmani kar rahay hain. aur koshish karain ke khuch mufeed kaamon main khud ko masroof kar lain jaisay sports, parhayei waghaira, or har os cheez se bachain jo jinsi khahish ko ubharay ya baydaar karay. Agar khud par qabo nah paa sakte hon to roza rakhain Q ke roza ghunahon ke muqabilay me dhaal ka kaam karta hai.

(Ref: Nigah or Libaas, 1st Edition, Page #69, Ques #106. + link: https://www.sistani.org/urdu/qa/01845/ ). + Minhaj us Saliheen, Ayatullah Sistani(d.b), part #1 maslah #30. + (E-mail rcvd from A.Sistani(d.b), dated: Sep 27, 2010). + link: http://www.sistani.org/index.php?p=297396&id=262 . + Tauzeeh ul Masail, Edition #42, maslah #2407).
[Updated on 23-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
122803
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-08-22

Question: As Salam Alikum Mai shadi Karna chahti hon aur jis sy Mai Karna chahti hon is larky sy mere ghr wale nhi Karna chahty Mai 12 Waal Ki thi or aj m 20 saal Ki hon Mai unko TB sy jantii hon is larky KO Mai is k bigr nahi reh sakti m ghr m Sab se choti hon hum 5 bhen Bhai hein bary Bhai Ki Shadi ho gai h baki hum 4 KO ki nhi mujhse bare Bhai Ki magni oski pasand se hui hai Lekin m larki hon meri nhi ho sakti wo larka ameer nhi zaad bi alag hai lekin mujhe koi masla nahi h meny1000 br ghr m bt kar li hai mai suicide krna chahti hon mai zinda nahi reh sakti os k bigr wo apny ghr m bary hn ma nikah kr sakti hon ghr walo ko batye bigr meny bhot br zina krna h meri marzi sy m gunnah sy bachna chahti hon m toba krti hon phir gunnah ho jata h m bhot sharminda hon ma kesy nikah kru please koi help Kary mere papa shadiyon ki btein nh sunty hein meri mama bs ase he bolti hein Allah NY chaha toh ho jye gi kiya maa Baap ki zimedari nahi hoti m bs nikah krna chahti hon

Answer: (Note: Is website par fiqh e jafferiya (shia mazhab) ke mutabiq jawabat diye jatay hain).

1: Na-mehram mard aur aurat ka apas me kisi bhi qisim ka taaluq rakhna jaiz hi nahin hai ye Haram aur ghunah e kabira hai. aur agar taaluqaat is had tak barh jayen ke zina bhi kar liya ho to ehtiyaat e wajib ki bina zaani (zina karne wala larka) is larki ke tauba karne se pehle is se nikah nahin kar sakta. (yani jab tak wo larki is zina se tauba nahin kar leti, ehtiyaat e wajib ki bina par tab tak wo larka is larki se nikah nahin kar sakta).
2: Agar larki tauba kar lay tab bhi is larke se nikah karne ke liye larki ko apne wali (yani baap ya dada) se ijazat lena zaroori hogi Q ke wo kunwari larki jo baaligh ho lekin khud mukhtaar nah ho to nikah ke liye us ko apne wali (baap ya dada) ki ijazat zaroori hai aur agar larki khud mukhtaar ho tab bhi nikah ke liye apne wali (baap ya dada) se ijazat lena ehtiyaat e lazim ki bina par zaroori hai. yani kunwari larki apne wali (baap ya dada) se ijazat liye bager nikah nahin kar sakti.

(Ref: Minhaaj us Saliheen, Ayatullah Sistani(d.b), part #1, maslah #30. + Tauzeeh ul masail, edition #42, maslah #2341,2364).
[Updated on 23-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
122812
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-08-25

Question: Kisi na mehram (mard , aurat) ko namaz k lia bolna ya nend se uthana haram ha ya halal or waja kia agr haram h to?

Answer: Na-mehram (na-mehram mard, aurat) ke hawale se parday aur ghuftago ka khayal rakhte hue us ko namaz ke liye bolna ya neend se bedaar karna pasandeeda kaam hai, balkay baaz auqaat to amar bil maroof ke wajib honay ki wajah se namaz ke liye neend se bedaar karna lazim hota hai, jaisay ke kahin koi susti aur namaz ko kamtar shumaar karte hue so raha ho, Albata agar kisi bemaar ya is jaisay kisi shakhs ko bedaar karna is ki aziyat ka sabab banay, to zaroori hai ke aisa karne ke liye sharai ijazat rakhta ho.

(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2397,2399. + Tauzeeh ul masail jaame, part #1, maslah #994).
[Updated on 26-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
122823
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-08-29

Question: اگر ایک لڑکا لڑکی آپس میں بہت محبت کرتے ہوں اور اپنے نفس پہ قابو نہیں پا سکے اور بہت بار آپس میں ہی شادی سے پہلے ہمبستری کر چکے ہوں تو کیا ان دونوں کا آپس میں نکاح ہو سکتا ہے ؟

Answer: (Note: Is website par fiqh e jafferiya (shia mazhab) ke mutabiq jawabat diye jatay hain).

1: Na-mehram larka aur larki ka apas me kisi bhi qisim ka taaluq (relationship maslan piyar o muhabat, dosti) rakhna jaiz hi nahin hai. aur agar taaluqaat is had tak barh jayen ke zina bhi kar liya ho to ye kaam Haram aur ghunah e kabira hai. aur ehtiyaat e wajib ki bina zaani (zina karne wala larka) is larki ke tauba karne se pehle is se nikah nahin kar sakta. (yani jab tak wo larki is zina se tauba nahin kar leti, ehtiyaat e wajib ki bina par tab tak wo larka is larki se nikah nahin kar sakta).
2: Agar larki tauba kar lay tab bhi is larke se nikah karne ke liye larki ko apne wali (yani baap ya dada) se ijazat lena zaroori hogi Q ke wo kunwari larki jo baaligh ho lekin khud mukhtaar nah ho to nikah ke liye us ko apne wali (baap ya dada) ki ijazat zaroori hai aur agar larki khud mukhtaar ho tab bhi nikah ke liye apne wali (baap ya dada) se ijazat lena ehtiyaat e lazim ki bina par zaroori hai. yani kunwari larki apne wali (baap ya dada) se ijazat liye bager nikah nahin kar sakti.
Is ke alawa bhi nikah ki buhat saari sharaait hain ke jin ki pabandi karna nikah ke waqt zaroori hai warna nikah sahi nahin hoga.

(Ref: Minhaaj us Saliheen, Ayatullah Sistani(d.b), part #1, maslah #30. + Tauzeeh ul masail, edition #44, maslah #2327,2332,2334,2340,2363).
[Updated on 30-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
122905
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-09-18

Question: Kya nikkah ki niyat se kisi Larki se relation rkh skte hain??

Answer: (Sahe sharhe nikah ke begaire kise namehram larki se jinse relation qaim karna jaiz nahe hay) or na-mehram se is aitebaar se dosti karna ya relation rakhna ke ye piyar o muhabat ban jaye aur phir is se shadi kar lenge to ye jaiz nahin, Q ke jins e mukhalif se is had tak dosti ka izhaar karna ke us se kaha jaye ke mujhe tum se mohabbat hai ye kam jaiz hi nahin hai, (yani na mehram se muhabat karna jaiz nahin hai), Q ke ghunah men mubtela hone ka khauf maujood hai, balke kisi na mehram se (muhabbat to door ki baat) us se dosti karna hi Jaiz nahin hai. albatta Islam pasand ki shadi ki ijazat deta hai lehaaza is aitebaar se aap ziyada se ziyada apne ghar walon ke zariye us ke ghar rishte ka paigham bhej sakte hain aur dua kar sakte hain.

(Ref: http://www.sistani.org/urdu/qa/01845/ + Nigah aur libas sawal #106, pg #69).
[Updated on 19-Sep-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
122944
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-09-27

Question: Kya na mehram sy wada krna jaiz hai??

Answer: Agar ghumrahi me parne ka khouf na ho aur darmiyaan main aisi batain nah ki jain jo aik ajnabhe khatoon musalman ke shayaan e shan nahin hain (or koi fasaad na ho ) to Jaiz hai.
(Ref: Mujtahid se pochay gay sawalaat, part #4, pg #65,66).
[Updated on 27-Sep-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
122994
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-10-01

Question: Mera sawal ye hy ke Hum 2 classfellow hain aor ek dusry ko nikah ki neyat se Pasand krty hain. Dono ki families ko pta hy. Bs lrkay ki job ke wait main hain uske bad nikah hojai ga. Kia is Duran university main milna aor koi ghair ikhlaqi hrkat na krty huay boundaries main rehty huay publicaly hansi mazak kr lena...ya koi kam assignment akethy baith kr krna jaiz hy?

Answer: 1: Nikah se pehle mard aur aurat aapas me na-mehram hote hain aur kisi mard aur aurat ke liye na-mehram mard o aurat se doosti karna jaiz nahin hai isi tarah mard ke liye na-mahram aurat ka jism dekhna aur isi tarah un ke baalon ko dekhna chahe lazzat ke iraade se ho ya is ke baghair, Haraam mein mubtela hone ka khauf ho ya nah ho, dono soorton me Haram hai. aur un ke chehre par nigaah daalna aur hathon ko kalaiyon tak dekhna agar lazzat ke iraade se ho ya Haram mein mubteka hone ka khauf ho to Haraam hai. Balke ehtayat-e-mustahab yeh hai ke lazzat ke iraade ke bager aur Haram mein mubtela hone ka khauf nah ho tab bhi nah dekhay.
2: Na-mehram mard aur aurat aapas me aisi baatain kar sakte hain jin ka nateja kisi akhlaqi fasaad ki sorat me na nikal raha ho jab k koe aisi baat bhi nah ki ja rahi ho jis ka kisi ajnabi ke saath kiya jana munasib nahin hota .or agar ghunah mai parhne ka khof ho agarcheh ahista ahista parhne ka hi khoof Q na ho to baat karna jaiz nahin hay isi tarah gair akhlaqi or mazaq me bhi warid hona (perna )jaiz nahin hai.
3: Na-mehram aurat ki awaz sunna jaiz hai is shart ke sath keh ye ke lazzat aur shehwat ki niyat se nah suni jaye aur haram me mubtila hone ka bhi khof na ho, isi aurat ke liye ye jaiz hai ke wo apni awaz na mehram mardon ko sunaey magar ye ke haram kaam me mubtila hone ka khoof ho to is surat mai jaiz nahin hai. Albata aurat ki bhi zimedari hai k wo apni awaz ko itna khubsurat aur bareek na banaye jo insaan ke jazbaat ko ubharne wali ho.

(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2397. + Mujtahid se pochay gaey sawalaat, part #4, sawaal #124,125,127, pg #65,66. + http://www.sistani.org/urdu/qa/01845/ + Jadeed fiqhi masail, Ayatullah Sistani(d.b), maslah #510).
[Updated on 02-Oct-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
123025
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-10-04

Question: Ek mahram orat apne bhai k samny apny jism k Kon kon say hise khule chor Sakta hai. (Agar dill mein shaikani khayal na ho toh) . Un hison k Naam b bataiye ga.

Answer: Jo mard aur aurat aapas mein mehram hon agar wo lazzat ki niyat na rakhte hon aur Haraam mein mubtela hone ka khauf bhi na ho to (agli aur pichhli) sharmghah ke alawa aik dusre ka poora badan dekh sakte hain.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2401).
[Updated on 05-Oct-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
123041
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-10-12

Question: Kya cousin k sath engagement k baad or Nikkah se phle ghr walo ki razamandi se sb k sath ghr pr milna bethna batein krna jaiz ha..??

Answer: 1: Nikah se pehle mangetar aapas me na-mehram hote hain aur kisi mard aur aurat ke liye na-mehram mard o aurat se doosti karna jaiz nahin hai isi tarah mard ke liye na-mahram aurat ka jism dekhna aur isi tarah un ke baalon ko dekhna chahe lazzat ke iraade se ho ya is ke baghair, Haraam mein mubtela hone ka khauf ho ya nah ho, dono soorton me Haram hai. aur un ke chehre par nigaah daalna aur hathon ko kalaiyon tak dekhna agar lazzat ke iraade se ho ya Haram mein mubteka hone ka khauf ho to Haraam hai. Balke ehtayat-e-mustahab yeh hai ke lazzat ke iraade ke bager aur Haram mein mubtela hone ka khauf nah ho tab bhi nah dekhay.
2: Na-mehram mard aur aurat aapas me aisi baatain kar sakte hain jin ka nateja kisi akhlaqi fasaad ki sorat me na nikal raha ho jab k koe aisi baat bhi nah ki ja rahi ho jis ka kisi ajnabi ke saath kiya jana munasib nahin hota .or agar ghunah mai parhne ka khof ho agarcheh ahista ahista parhne ka hi khoof Q na ho to baat karna jaiz nahin hay isi tarah gair akhlaqi or mazaq me bhi warid hona (perna )jaiz nahin hai.
3: Na-mehram aurat ki awaz sunna jaiz hai is shart ke sath keh ye ke lazzat aur shehwat ki niyat se nah suni jaye aur haram me mubtila hone ka bhi khof na ho, isi aurat ke liye ye jaiz hai ke wo apni awaz na mehram mardon ko sunaey magar ye ke haram kaam me mubtila hone ka khoof ho to is surat mai jaiz nahin hai. Albata aurat ki bhi zimedari hai k wo apni awaz ko itna khubsurat aur bareek na banaye jo insaan ke jazbaat ko ubharne wali ho.

(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2397. + Mujtahid se pochay gaey sawalaat, part #4, sawaal #124,125,127, pg #65,66. + http://www.sistani.org/urdu/qa/01845/ + Jadeed fiqhi masail, Ayatullah Sistani(d.b), maslah #510).
[Updated on 13-Oct-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
123089
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-10-18

Question: Salam muje pochna hai k agr ek orat jeans shirt phenti hai or namz k waqt bari chadr se apna jism dhaanp leti hai to namaz hojati hai kia koi masla to nahi asy namaz pharne mai

Answer: 1: Agar aurat jeans aur full shirt, half shirt ya t-shirt pehene ke sath chadar se aap apne ko mukammal dhaanp (cover) lay to is soorat me namaz sahi hai.
Albatta darj zel maslah pe ta tamam badan ka dhaanpna zaroori hai.

2: Zaroori hai ke Aurat namaz ke waqt apna tamam badan hatta kay sar aur baal bhi dhaanpay aur ehtyat-e-wajib ye hai ke apne aap se bhi chupaaye, lihaza agar aurat chadar(choti ya bari) is tarah pehne ke use apna badan nazar aaraha ho to is me bhi ishkaal hai albatta chehre ka jitna hissa wuzu main dhoya jata hai aur kalaiyoon tak haath aur takhnon tak paaon ka laazmi hissa dhanpna zaroori nahin hai laikin ye yaqeen karne ke liye ke us ne badan ki wajib miqdaar dhaanp li hai zaroori hai ke chehre ke atraaf ka kuch hissa aur kalaiyoon aur takhnon se neeche ka kuch hissa bhi dhaanpay. Aurat ke liye namaz me mardana libaas pehanna haram nahin hai aur is se namaz baatil nahin hoti albatta ehtyat-e-wajib ki bina par ye jaaiz nahin ke aurat apne aap ko mard ke roop me dhaal lay.

(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatllah Sistani(d.b.) edition #42, maslah #777,786,833).
[Updated on 19-Oct-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
123128
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-10-24

Question: Asslam o alikum Main ik larki Sana os sy bhot payar karta ho bhot ziyda wo b mj sy bhot payar karti on ki do bhno ki abi bahir batt chall rhi out off famli on ki ami ni mann rhi bhot mushkill say mann rhi plz ayysa wazifa batain ham dono karay on kay gar walay mann jain may sajdo main b osy roo kay mangta plz

Answer: 1: Na-mehram se is aitebaar se dosti karna ya relation rakhna ke ye piyar o muhabat ban jaye aur phir is se shadi kar lenge to ye jaiz nahin, Q ke jins e mukhalif se is had tak dosti ka izhaar karna ke us se kaha jaye ke mujhe tum se mohabbat hai ye kam jaiz hi nahin hai, (yani na mehram se muhabat karna jaiz nahin hai), Q ke ghunah men mubtela hone ka khauf maujood hai, balke kisi na mehram se (muhabbat to door ki baat) us se dosti karna hi Jaiz nahin hai. albatta Islam pasand ki shadi ki ijazat deta hai lehaaza is aitebaar se aap ziyada se ziyada apne ghar walon ke zariye us ke ghar rishte ka paigham bhej sakte hain aur dua kar sakte hain.

2: Shadi ke liye wazifa: Rasool(s.a.w.w) ne famaya: surah e yaseen ki tilawat kiya karo is me 10 barkaten hain jin me se aik ye hai ke gair shadi shuda (afraad) shadi shuda ho jayen gay.

(Ref: http://www.sistani.org/urdu/qa/01845/ + Nigah aur libas sawal #106, pg #69. + Dunya-o-akhirat ki 100 pareshaniyon ka hal, mafhoom e pg #18).
[Updated on 25-Oct-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
123170
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-10-29

Question: Assalamualaikum sir me 1 lrky se bht Pyar karti hu or wo b mjh se bht Pyar karta h magar uski family mjhy ni psnd karti h or ab wo lrka b family k dbao me araha h brae meharbani mjhy 1 aesa wazeefa btae J's se hmari mangni ho jae

Answer: 1: Na-mehram se is aitebaar se dosti karna ke ye piyar o muhabat ban jaye aur phir is se shadi kar lenge to ye jaiz nahin, Q ke jins e mukhalif se is had tak dosti ka izhaar karna ke us se kaha jaye ke mujhe tum se mohabbat hai ye kam jaiz hi nahin hai, (yani na mehram se muhabat karna jaiz nahin hai), Q ke ghunah men mubtela hone ka khauf maujood hai, balke kisi na mehram se (muhabbat to door ki baat) us se dosti karna hi Jaiz nahin hai.
Albatta Islam pasand ki shadi ki ijazat deta hai lehaaza is aitebaar se aap ziyada se ziyada apne ghar walon ke zariye us ke ghar rishte ka paigham bhej sakte hain aur dua kar sakte hain.
2: Shadi ke liye wazifa: Rasool(s.a.w.w) ne famaya: surah e yaseen ki tilawat kiya karo is me 10 barkaten hain jin me se aik ye hai ke gair shadi shuda (afraad) shadi shuda ho jayen gay.

(Ref: http://www.sistani.org/urdu/qa/01845/ + Nigah aur libas sawal #106, pg #69. + Dunya-o-akhirat ki 100 pareshaniyon ka hal, mafhoom e pg #18).
[Updated on 30-Oct-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
123181
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-11-03

Question: Ek ladki jiska apne cousins jo ki namahram hain ke sath hasi mazak karna saamne rahna sahi hai

Answer: Namehram aurat se Agar baat cheet had se bahar nah ho jaye aur aisi baatein nah ho jo aik na-mehram se na hoh sakti hon to koi harj nahin hai. isi tarah Iffat aur sharaei hijaab ka khayaal rakhtay hue baat karne mein koi haraj nahin hai, lekin mazzaq,gaire ahklaqi batain karna aur aashiqana baton mein warid(dakhil )hona jaaiz nahin hai.

(Ref: https://www.sistani.org/urdu/qa/01864/ ).
[Updated on 03-Nov-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
123189
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-11-01

Question: Muja aik larkay se bht Pyar ha r ous ko b muj se ha per wo larka Meri chachi ka Bai ha ous na ghr bat ki thi lakin ous ka ghr walay nhi manay phr ous na muj se kaha ka hum bat kerna chor dy menay kaha ok

Answer: 1: Jins e mukhalif se is had tak dosti ka izhaar karna ke us se kaha jaye ke mujhe tum se mohabbat hai ye kam jaiz hi nahin hai, (yani na mehram se muhabat karna jaiz nahin hai), Q ke ghunah men mubtela hone ka khauf maujood hai, balke kisi na mehram se (muhabbat to door ki baat) us se dosti karna hi Jaiz nahin hai. Albatta Islam pasand ki shadi ki ijazat deta hai lehaaza is aitebaar se aap ziyada se ziyada apne ghar walon ke zariye us ke ghar rishte ka paigham bhej sakte hain aur dua kar sakte hain.
2: Shadi ke liye wazifa: Rasool(s.a.w.w) ne famaya: surah e yaseen ki tilawat kiya karo is me 10 barkaten hain jin me se aik ye hai ke gair shadi shuda (afraad) shadi shuda ho jayen gay.

(Ref: http://www.sistani.org/urdu/qa/01845/ + Nigah aur libas sawal #106, pg #69. + Dunya-o-akhirat ki 100 pareshaniyon ka hal, mafhoom e pg #18).
[Updated on 02-Nov-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
123225
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-11-05

Question: Mra rishta mry czn sa hwa ha 4 sal hogy ha m na bht khosish ki torny ki mry ghr waly mri study ktm krwa dtu ha J's ki wja sa m chup hogi par ab MRI study complete ho y wali ha m apny class fellow sa payr krti wo b krta oska ghr pata oski family ana chati but mra rishta hwa hwa J's ki wja sa osy abhi nhi bhula pa rhi ku k wo ay to mra last year ha to ghr beta dy ghy mjy ..m chati kch aysa ho k mry ghr waly kd mana kr dy ku k larkhy ko m na bola tha k wo mana kry osna MRI bto ki recoding kr k mry Ghar wlao ko suni mjy ghr walo na mara b ha wo mjy bilkul b pasnd nhi ha plz koi aysa wzifa bty J's sa mry ghr walo k Dil odr sa bhura hojy r mra rishta jidr m chati whyha hojy

Answer: 1: Na-mehram se is aitebaar se dosti karna ke ye piyar o muhabat ban jaye aur phir is se shadi kar lenge to ye jaiz nahin, Q ke jins e mukhalif se is had tak dosti ka izhaar karna ke us se kaha jaye ke mujhe tum se mohabbat hai ye kam jaiz hi nahin hai, (yani na mehram se muhabat karna jaiz nahin hai), Q ke ghunah men mubtela hone ka khauf maujood hai, balke kisi na mehram se (muhabbat to door ki baat) us se dosti karna hi Jaiz nahin hai. Albatta Islam pasand ki shadi ki ijazat deta hai lehaaza is aitebaar se aap ziyada se ziyada apne ya un ke ghar walon ke zariye aik doosre ke ghar rishte ka paigham bhej sakte hain aur dua kar sakte hain.
2: Wazifa: Surah e ahzaab ko hath se likh kar aik dabbay (box) me band kar ke apnay ghar me hifazat se rakh dain aur is surah ko har roz aik bar parh kar dua mangain to hasb e manshah rishta distiab ho ga.

(Ref: http://www.sistani.org/urdu/qa/01845/ + Nigah aur libas sawal #106, pg #69. + Naway e saleheen, pg #352).
[Updated on 06-Nov-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
123240
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-11-07

Question: Assalamualaikum kya gair mehram doston ki tasweer mobile mai rakh sakte bina koi lazzat ke bas yaad ke taur mai q ki mai co ed school se parhi hun waha mere kuch larke dost bhi the toh unke sath bht si tasweer hai kya mai wo mobile mai rakh sakti hun memory ka soch ke bina koi lazzat ke

Answer: 1: Na-mehram ke hawale se buniyadi sharaei maslah ye hai ke Na-mehram se dosti o rafaqat rakhna jaaiz nahin hai aur isi tarah mazaaq karna ya ghair ikhlaqi baton mein warid hona bhi jaaiz nahin hai.

2: Aurat ke liye na-mehram mard ke jism par nazar daalna lazzat ke iraade se aur Haram mein mubtela hone ke khauf ke sath Haram hai balke ehtiyat e wajib ki bina par lazzat ka iraada aur Haram mein mubtela hone ka khauf na ho tab bhi nigaah nahin daalni chahiye. Lekin agar aurat, mard ke jism ke un hisson maslan sar, dono hathon aur dono pindliyon par jinhein aam taur par mard nahin chhupaate, lazzat ke iraade ke baghair nazar dale aur Haram mein mubtela hone ka khauf na ho to koi haraj nahin hai.

Note: is do maslon ko madde nazar rakhte hue yaadgar ke taur (memory) mobile me rakh sakti hain.

(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2397. + link, http://www.sistani.org/urdu/qa/01845/ ).
[Updated on 08-Nov-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
123244
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-11-08

Question: Mera sawal ha k ma ek larki sy pyar krta hu aur wo b bhot pyar krti ha lakin masla ye h k hm dono shadi shuda hain kisi aur k sath. Hm chahty hain k hamara nikah ho jy kya aisa ho sakta ha k nikah hmara ho jy .. kya ek larki na nikah ho sakta ha aisy...

Answer: 1: Jins e mukhalif se is had tak dosti ka izhaar karna ke us se kaha jaye ke mujhe tum se mohabbat hai ye kam jaiz hi nahin hai, (yani na mehram se muhabat karna jaiz nahin hai), Q ke ghunah men mubtela hone ka khauf maujood hai, balke kisi na mehram se (muhabbat to door ki baat) us se dosti karna hi Jaiz nahin hai.
2: Shadi shuda aurat ka kisi dosre mard se nikah karna Haram hai, lekin agar us ka shohar us ko talaq de de to iddat guzarne ke baad wo aurat kisi doosre mard se nikah kar sakti hai.
3: Agar koi aadmi kisi aurat ko warghalaye ke wo apne shohor se mutalliq izdawaji zimmedariyaan poori nah kare taake is tarah shohor use talaq daine par majboor ho jaaye aur wo khud us aurat ke saath shadi kar sake to talaq aur nikah to sahi hain. Lekin dono ne buhut barha ghunah kiya hai.

(Ref: http://www.sistani.org/urdu/qa/01845/ + Nigah aur libas sawal #106, pg #69. + Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2366,2502).
[Updated on 09-Nov-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
123257
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-11-09

Question: Kia Na mehrum ki awaz public sun sakti hai, chahy nohay ki surat mai hi ho?

Answer: 1: Na-mehram aurat ki awaz sunna jaiz hai is shart ke sath ke ye lazzat aur shehwat ki niyat se nah suni jaye aur haram me mubtila hone ka bhi khauf na ho. Aur isi tarah aurat ke liye bhi ye jaiz hai ke wo apni awaz na mehram mardon ko sunaye magar ye keh haram kaam me mubtila hone ka khauf ho to is soorat me jaiz nahin hai.
2: Woh nukaat jo ke manqabat aur marsia khuwani ke muamlay mein zaroori hain, in mein se aik yeh hai ke: khawateen ki manqabat ya marsia khuwani, agar naram aur bareek aawaz ya isi ki manind ke hamrah is tarah se ho ke jo aam taur par sunne walay ke liye hejaan (shehwat) ka baais banti ho, to lazim hai ke na-mehram tak aawaz puhnchane se parhaiz kya jaye.

(Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Jadeed fiqhi masail, pg #266, maslah #510. +
Tauzeeh ul masail Jaame[farsi], Ayatullah Sistani(d.b), part #2, maslah #534).
[Updated on 10-Nov-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
123270
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-11-13

Question: Agar mard or aurat ek jaga pe Kam karty Hain TU Kiya dono apass mey phone pe baat cheet kar sakty Hain

Answer: 1: Na-mehram se baat cheet ke hawale se aap ko aik sharaei masleh ki taraf mutawajeh kiya jata hai ke, Na-mehram mard aur aurat aapas me aisi baatain kar sakte hain jin ka nateja kisi akhlaqi fasaad ki soorat me na nikal raha ho jab ke koi aisi baat bhi nah ki jaa rahi ho jis ka kisi ajnabi ke saath kiya jana munasib nahin hota. aur agar ghunah me parhne ka khauf ho agarcheh ahista ahista parhne ka hi khauf Q na ho to baat karna jaiz nahin hai, isi tarah gair akhlaqi aur mazaq me bhi warid hona (parna) jaiz nahin hai.
2: Na-mehram aurat ki awaz sunna jaiz hai is shart ke sath keh ye ke lazzat aur shehwat ki niyat se nah suni jaye aur haram me mubtila hone ka bhi khauf na ho, isi tarah aurat ke liye ye jaiz hai ke wo apni awaz na mehram mardon ko sunaye magar ye ke haram kaam me mubtila hone ka khauf ho to is soorat me jaiz nahin hai. Albata aurat ki bhi zimedari hai k wo apni awaz ko itna khubsurat aur bareek na banaye jo insaan ke jazbaat ko ubhaarne wali ho.

(Ref: Mujtahid se pochay gaey sawalaat, part #4, sawaal #124,125,127, pg #65,66. + http://www.sistani.org/urdu/qa/01845/ + Jadeed fiqhi masail, Ayatullah Sistani(d.b), maslah #510).
[Updated on 14-Nov-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
123306
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-11-19

Question: Salam! Mohtram Masala Koch Youn hai Mai Eik Larki sy Pyaar krta Hoon Uss Larki k Ghr waloon ko b Pta hai Or Meray Ghr waloon ko b Pta hai,maslay ki terf dehan krty hain Mai Allah ki raza k lia Gunahoon sy Bachny k lia Shadi krna chahta Hoon Magar Uskay Ghr waly nhi man Rehy Or hum Din ba din Gunahoon ki lapat mai aaty jaa rehy hain Brayee mehrbani Goor kryn Kya Humey Begair Btaye Nikaah kr lena Chahiyee? Rehy gy Apney Apney Ghr he…. JazakAllah Khair

Answer: (Note: Is website par fiqh e jafferiya (shia mazhab) ke mutabiq jawabat diye jatay hain).

1: Na-mehram larkay or larki ka apas main doosti karna or piyaar o muhabbat jaiz nahin hai. Aur aik larki ka kisi no-jawan larke se is aitebar se dosti karna ke shadi to aik dam nahin hoti balke shuru men baat cheet hoti hai to ye jaiz nahin hai.

2: Fiqh e jafferiya ke mutabiq, nikah me agar darj zel saari ki saari sharaait payei jayen to hi nikah sahi hota hai warna hain.
1. Nikah mein seegha (nikaah ke bol) parhna zaroori hai. Aurat aur mard ka sirf razamand hona aur isi tarah (nikaah nama) likhna ehtiyaat-e-waajib par kaafi nahin hai. Nikaah ka seeghaa ya to aurat aur mard khud parhte hain ya kisi wakeel ko muqarrar kar lete hain taakeh wo un ki taraf se parh day.
2. Ehtiyaat-e-waajib ki bina par nikaah ka seegha arabi mein parha jaaye aur agar khud mard aur aurat seegha arabi mein na parh sakte hon to arabi ke alawa kisi dusri zabaan mein parh sakte hain aur kisi shakhs ko wakeel banana laazim nahin hai. Albatta unhein chahiye keh woh alfaaz kahen jo “zawwajto” aur “qabilto” ka mafhoom ada kar saken.
3. Mard aur aurat jo keh seegha parh rahe hon woh “qasd e insha’” rakhte hon yani agar khud mard aur aurat seegha parh rahe hon to aurat ka “zawwajatoka nafsi” kehna is niyyat se ho keh khud ko us ki biwi qarar de aur mard ka “qabiltut tazweeja” kehna is niyyat se ho keh woh us ka apni biwi banna qabool kare.
4. Jo shakhs seegha parh raha ho zaroori hai ke woh aaqil ho aur agar apne liye parh raha ho to baaligh hona bhi zaroori hai. Balkeh ehtiyaat-e-waajib ki bina par na-baaliigh mummayez bache ka dusre ka nikah parhna kaafi nahin hai. Aur agar parh day to talaaq dena zaroori hai ya dobarah nikaah parhen.
5. Aurat aur mard nikah par raazi hon. Han! Agar bazaahir na-pasandgi ka izhaar karen aur maloom ho ke dil se raazi hain to nikah sahi hai.
6. Wo kunwari larki jo baaligh ho lekin khud mukhtaar nah ho to nikah ke liye us ko apne wali (baap ya dada) ki ijazat zaroori hai aur agar larki khud mukhtaar ho tab bhi nikah ke liye apne wali (baap ya dada) se ijazat lena ehtiyaat e lazim ki bina par zaroori hai. yani kunwari larki apne wali (baap ya dada) se ijazat liye bager nikah nahin kar sakti.

(Ref: Mujtahid se pochay gaye sawalaat, part #4, sawaal #125, pg #65. + Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2328,2335,2341).
[Updated on 20-Nov-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
123365
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-12-14

Question: Assalam O Aliakum Mera ye sawal hai ky mein jin se pyar krti hun wo kbhi mere sath pyar se bat krty or kbhi achanak sakht gusay me ajatay hain ...... Or gusay me bht sakht alfaz istemal Krty hain ..... Gali nhi nikaltay bs mujy glt khna shoru krdetay hain or phr khud he thk ho jatay hain ..... Normal ho jatay hain unko buri nxr tu lgi Hui h mujy pta h lkn kya un pe jaduuuu b hai ???? Kyun ky mujy lgta h ky unpe taweeez hue hain mujy bar bar is Cheez ka ishara milta h .... Or one more thing wo phly gussa nhi krty thy lkn ab wo meri har bat pe gusay krty hain.... Normal bat ho tb b gussa krty hain mein bht preshan hun

Answer: Na-mehram ka apas me piyar o mohabbat aur relationship ke hawalay se buniyadi sharaei maslah ye hai ke Nikah se pehlay na mehram ke sath har qism ke taluqaat (relationship) jin mein mazaaq karna, bahami mohabbat ka izhaar karna, hata ke dosti karna, shehwat ki niyat se baat karna, larki ke jism ki taraf dekhna (siwaye is ke chehray aur hathon ke kalaiyon tak ) aur is ke balon ki taraf dekhna, aur shehwat ki niyat se chehra dekhna yeh sab kaam Haram hain. balkay agar kisi ghunah mein parne ka andesha ho to un ke liye aapas mein kisi qisam ka rishta (relationship) rakhna haraam hai.

(Ref: Website Ayatullah Sistani(d.b), link, https://www.sistani.org/english/qa/25314/ + link, https://www.sistani.org/english/qa/25287/ ).
[Updated on 15-Dec-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
123372
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-12-14

Question: islam ma kon kon sa rishta na maherm h plz ayat sa wazhiya kryn like bhabhi dever ka rishta bahnoi ka sali etc

Answer: Quran ki surah nisa ki ayat #23 me jin mehram afrad ka tazkira hua hai un ke alawa baqi tamam reshtay na-mehram hain, jaise chachi, mumani, bhabhi, sali, chacha zad, phupho zad, mamu zad, khala zad, wagera ye na-mehram hain.

Surah nisa ki ayat #23 ka tarjema: "Tum par Haram kar di gayei hain tumhari maaen, tumhari betiyan, tumhari behnain, tumhari phuphiyan, tumhari khalayein, tumhari bhatijiyan, tumhari bhanjiyan, tumhari woh maaen jo tumhe doodh pila chuki hon aur tumhari doodh shareek behnain, tumhari biwion ki maaen aur jin biwion se tum muqarebat kar chuke ho un ki woh betiyan jo tumhari parwarish mein rahi hon, lekin agar un biwion se (sirf adq {nikah} hua ho) muqarebat nah huei ho to koi harj nahin hai, neez tumahray sulbi beton ki biwiyan aur do behnon ka baham jama karna, magar jo pehlay ho chuka so ho chuka, bay shak Allah bara bakhsnay wala, reham karne wala hai.

(Ref: https://www.balaghulquran.com/index.php?sno=4&ano=23 ).
[Updated on 15-Dec-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
123391
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-12-13

Question: AssalamOalaikum, Mera Sawal Yeh Hai Kay Joint Family System... Like Hum 4 Bhai Hain... Aik e Ghar mei Rehty Hain Hum Dosra Ghar Afford Nahi Kar Sakhtay... Tw Agar Samny bhabi Ayein Tw Is Baray Mei Kya Hukam Hai... Kay Yeh Haram Ha Ya Jaiz Hai Hadees e Masoomeen A.s Sy Reference dein JazzakAllah

Answer: Joint Family System Haram nahin albatta Bhabi na-mehram hain aur na-mehram ke darmiyan parda/hijab zaroori hai.

Parday ke hawalay se aap darj zel masleh ke mutabiq amal karen.

1: Mard ke liye na-mahram aurat ka jism dekhna aur isi tarah un ke baalon ko dekhna khawah lazzat ke iraade se ho ya is ke baghair, Haram mein mubtela hone ka khauf ho ya na ho, ye Haram hai. un ke chehre par nigaah daalna aur hathon ko kalayion tak dekhna agar lazzat ke iraade se ho ya Haram mein mubteka hone ka khauf ho to Haram hai. Balkeh ehteyat-e-mustahab yeh hai keh lazzat ke iraade se ho ya Haram mein mubtela hone ka khauf na ho tab bhi na dekhe.

2: Aurat ke liye na-mahram mard ke jism par nazar daalna lazzat ke iraade se aur Haram mein mubtela hone ke khauf ke sath Haram hai balkeh ehtayaat-e-waajib ki bina par lazzat ka iraada Haram mein mubtela hone ka khauf na ho tab bhi nigaah nahin daalni chahiye.
Lekin agar aurat, mard ke jism ke un hisson maslan sar, dono hathon aur dono pindaliyon par jinhein amuman mard nahin chhupaate, lazzat ke iraade ke baghair nazar dale aur Haram mein mubtela hone ka khauf na ho to koi ishkaal nahin hai.
Isi tarah waise to aurat ke liye makeup karna jaiz hai lekin makeup karne ke baad na-mehram mard se apna pura chehra chupana wajib hai, aur agar makeup buhat mamoli ho aur zahir na ho to phir makeup karne ke baad chehra chupana wajib nahin hai.

(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Maslah #2397,2399. + Nigah or libaas, sawal #97,160, pg #65,96. + website urdu, zeenat, link; https://www.sistani.org/urdu/qa/01817/ ).
[Updated on 14-Dec-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
123478
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2024-02-29

Question: Salaam, Mera sawal ye hai k shaadi shuda hone k bawahood kya shohar ka extra Marital affair hona jayaz hai? Chahe wo is niyat se ho k wo nikah krega?

Answer: Jins e mukhalif sai is had tak dosti karna k mohabbat ki had tak pounch jay, ye jaiz nahin hai Q k ghunah mai mubtila honay ka khof mojoud hay. Isi tarah kisi na mehram se doosti karna bhi Jaiz nahin hai.
(Ref: Nigah aur Libas, sawal #106, pg #69, Mujtahid se pouchey gaye sawalat, part #4, sawal #125, pg #65).
[Updated on 01-Mar-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
123481
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2024-02-29

Question: Sir mray question ya hy k agr ak larki or larka apny marzi sa zina karty hain to kia dono barabr k gonah k haq dar hu gay k zina srf boys k lia ho ga?

Answer: 1: Jins e mukhalif sai is had tak dosti karna k mohabbat ki had tak pounch jay, ye jaiz nahin hai Q k ghunah mai mubtila honay ka khof mojoud hay. Isi tarah kisi na mehram se doosti karna bhi Jaiz nahin hai.
Zina krna to uss se bhi bara gunah shumar hoga or Gunah dono k zimme hai ot toubah krna wajb hai
(Ref: Nigah aur Libas, sawal #106, pg #69. + Mujtahid se pouchey gaye sawalat, part #4, sawal #125, pg #65).
[Updated on 01-Mar-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
123571
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2024-01-16

Question: Aslamu alikum ... mera sawal ye h mene apne fiance ki video dkhi .. dekhne se geelapan mehsoos kyaa... bgair shehwaat k wo liquid nkla to kia wo mani h yaa koi or chz ? Or kia us se mj pr gusal wajib hogaya ? Nmz k lye ?

Answer: 1: Mangetar apas men na-mehram hain aur nikah ke bager na-mehram mard or aurat ka aik dusre ke jism ke kisi hissay ko dekhna, choona ya us ka bosa(kiss) laina ya gale lagana ye tamam kaam bhi Haram aur ghunah e kabira me se hain, chahe lazzat ke iraday ke sath hon ya is ke baghair aur chahe baad me shadi hi Q nah karni ho.

2: Wo rutoobat jo khawateen mulaabat ya shehwat anghez tasawwuraat ke waqat apni sharamghah men mehsoos karti hain aur wo ratoobat itni miqdar men nah ho ke doosri jaghah ko aalooda kare to wo paak hai aur us ke liye ghusl nahin hai aur wuzu ko bhi baatil nahin karti hai, Han! agar rutobat is qadar ziyada ho ke inzaal kehlaye aur libaas ko aalooda kare jabke sath sath aurat hijan e shehwat ki intihaa ko puhnch jaye aur mukammal razamandi (orgasm) ho to najis aur janabat ka moojib hai balke agar hijan e shahawat sath nah bhi ho to bhi ehtiyat e lazim ki bina par najis aur janabat ka moojib hai aur in maqamat par jahan aurat shak kare ke rutoobat is had se ziyada puhnchi ya nahin aur ya khud rutoobat ke kharij hone men shak kare to ghusl wajib nahin hai aur wuzu aur ghusl baatil nahin hai.

(Ref: Minhaj us Saliheen, Ayatullah Sistani(d.b), part #1, maslah #30. + part #3, maslah #14,15,16. + Tauzeeh ul masail, edition #42, maslah #345,2397).
[Updated on 17-Jan-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
123613
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2024-01-22

Question: slm...fiqe jafrrya me mangi k kia hasyt hai..or mangi k period k duran..text ,msges waghera kr skte hain..zrrt prne pr ..kabhi kabhi...agr mangi k duranya zaid ho..ya nikkah dair se hona paya ho tab?

Answer: Mangni karne se larka or larki shohar or biwi nahin ban jate jab tak ke nikah na kiya jaye or mangani ki koi sharaei hesiyat nahin hai. lehaza mangetar apas me na-mehram hain aur Mangni ke baad aam mamool ki baat cheet karna jis ke andar koi shehwat angez guftagu nah ho, koi haraj nahin hai lekin is me bhi shart hai ke is se koi jinsi lazzat haasil nah ho aur nah hi Haram me parhne ka khauf ho.
(Ref: Tuazeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2328,2335,2341. + Mujtahid se poochy gaye sawalaat, part #3, sawal #115,116, pg #57).
[Updated on 22-Jan-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
123621
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2024-01-22

Question: کیا لڑکی کا ٹی وی وغیرہ پر نعتیہ مقابلے میں حصہ لینا جائز ہے؟

Answer: Khawateen ki naat, manqabat ya marsia khawani, agar naram aur bareek aawaz ya isi ki manind ke hamrah is tarah se ho ke jo aam taur par sunne walay ke liye hejaan (shehwat) ka baais banti ho, to laazim hai ke na-mehram tak aawaz puhnchanay se parhaiz kiya jaye.
(Ref: Tauzeeh ul Masail Jaame, Ayatullah Sistani(d.b), part #2, maslah #534).
[Updated on 22-Jan-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
123693
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2024-01-29

Question: Umrah k doran jis lrki se mngni hui usse message ya cal kr skty?

Answer: 1: Mangni hone ke baad larka aur larki na-mehram hi rehte hain aur na-mehram se baat cheet (chahe aamne saamne ho ya message aur call par ho) ke hawale se aap ko aik sharaei masleh ki taraf mutawajeh kiya jata hai ke, Na-mehram mard aur aurat aapas me aisi baatain kar sakte hain jin ka nateja kisi akhlaqi fasaad ki soorat me na nikal raha ho jab ke koi aisi baat bhi nah ki jaa rahi ho jis ka kisi ajnabi ke saath kiya jana munasib nahin hota. aur agar ghunah me parhne ka khauf ho agarcheh ahista ahista parhne ka hi khauf Q na ho to baat karna jaiz nahin hai, isi tarah gair akhlaqi aur mazaq me bhi warid hona (parna) jaiz nahin hai.

2: Na-mehram aurat ki awaz sunna jaiz hai is shart ke sath keh ye ke lazzat aur shehwat ki niyat se nah suni jaye aur haram me mubtila hone ka bhi khauf na ho, isi tarah aurat ke liye ye jaiz hai ke wo apni awaz na mehram mardon ko sunaye magar ye ke haram kaam me mubtila hone ka khauf ho to is soorat me jaiz nahin hai. Albata aurat ki bhi zimedari hai k wo apni awaz ko itna khubsurat aur bareek na banaye jo insaan ke jazbaat ko ubhaarne wali ho.

(Ref: Mujtahid se pochay gaey sawalaat, part #4, sawaal #124,125,127, pg #65,66. + http://www.sistani.org/urdu/qa/01845/ + Jadeed fiqhi masail, Ayatullah Sistani(d.b), maslah #510).
[Updated on 30-Jan-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
125783
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2024-01-27

Question: Girlfriend matlb non mehram ko touch krna hat pakrna kiss krna or hug krna zinn ha

Answer: Ise zina nahin kaha jaye ga lekin is tarah kam bhi Haram aur ghunah e kabira. (Ref: Minhaj us Saliheen, Ayatullah Sistani(d.b), part #1, edition #1443 hij, maslah #30. + Tauzeeh ul masail, edition #42, maslah #2397,2399).
Shohar aur biwi k ilawa kise aur tariqe se jinse lazzat hasil karna gunah e kabira hay . .(Ref:Ayatullah sistani, Minhajus Saliheen,Part#1, Maslah#30)
2) Jo shaks shadi na hone ki waja se fale haraam me mubtela hota ho is per wajib hai k shadi kar le.(Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 2407)
[Updated on 27-Jan-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
125790
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2024-01-24

Question: A. O. A. Sir me apni cousin se sachi sachi muhabbat krta ho lekin pays no so janti he ke nai koi aesa wazifa bataye his se so mere jiyada kareeb aye air so bhi krne lage shukriye..

Answer: Jins e mukhalif se is had tak dosti ka izhaar karna ke us se kaha jaye ke mujhe tum se mohabbat hai ye kam jaiz hi nahin hai, (yani na mehram se muhabat karna jaiz nahin hai), Q ke ghunah men mubtela hone ka khauf maujood hai, balke kisi na mehram se (muhabbat to door ki baat) us se dosti karna hi Jaiz nahin hai.

(Ref: http://www.sistani.org/urdu/qa/01845/ + Nigah aur libas sawal #106, pg #69). Jo shaks shadi nai kernay ki wajah se haram kaam main mubtila hota ho os per wajib hay k shadi karay (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail,33rd Edition,maslah #2407)
[Updated on 25-Jan-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
125854
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2024-02-18

Question: Assalamualaikum, Mera Sawal yeh hai k meray maa baap k behan bhai matlab mamu, chacha aur taya meri beti k liye bhi mehram hain jesay mere liye woh mehram hain?

Answer: Jee han, Mehram hain.
(Ref: Minhaj-us-Saliheen, Ayatullah Sistani(d.b), part #3, maslah #90).
[Updated on 19-Feb-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
125916
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2024-02-15

Question: Kiya aurath kisi na mahram mard se muhabath ka ezhar kar sakti hein

Answer: Jins e mukhalif se is had tak dosti ka izhaar karna ke us se kaha jaye ke mujhe tum se mohabbat hai ye kam jaiz hi nahin hai, (yani na mehram se muhabat karna jaiz nahin hai), Q ke ghunah men mubtela hone ka khauf maujood hai, balke kisi na mehram se (muhabbat to door ki baat) us se dosti karna hi Jaiz nahin hai.
(Ref: http://www.sistani.org/urdu/qa/01845/ + Nigah aur libas sawal #106, pg #69).
[Updated on 16-Feb-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
125934
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2024-02-15

Question: اسلام او علیکم! میرا سوال تھا کہ۔ کیا ایسی لڑکی جس سے آپکی شادی ہونی ہو پر ابھی وہ آپ کے لئے نامحرم ہو۔۔ ویڈیو کال پر اس کے اعضا کو دیکھنا زنا کے زمرے میں آتا ہے؟اگر اس بات کا احساس ہو جائے اور سچے دل سے توبہ کریں تو کیا معاف ہو سکتا ہے؟

Answer: 1: Mangni karne se larka or larki miyan, biwi nahin ban jate jab tak ke nikah na kiya jaye or mangani ki koi sharaei hesiyat nahin hai. lehaza mangetar apas me na-mehram hain aur nikah ke bager na-mehram aurat ke balon ko dekhna, aur mard or aurat ka aik dusre ke jism ke kisi hissay ko dekhna, choona ya us ka bosa(kiss) laina ya gale lagana ye tamam kaam bhi Haram aur ghunah e kabira me se hain, chahe lazzat ke iraday ke sath hon ya is ke baghair aur chahe baad me shadi hi Q nah karni ho.
Isi tarah Mangni ke baad aam mamool ki baat cheet karna jis ke andar koi shehwat angez guftagu nah ho, koi haraj nahin hai lekin is me bhi shart hai ke is se koi jinsi lazzat haasil nah ho aur nah hi Haram me parhne ka khauf ho. warna jaiz nahin.

2: Agar kisi se koi ghunah sarzad ho jaye sharmidagi ke sath aur sachay dil se tauba kar lay to yaqeenan Allah taala Gafoor o Raheem aur bakhshne wala hai aur aap bhi yaqeenan bakhsh dega.

3: Ghunaahon se tauba aham tareen umoor aur wajibaat me se hai. Tauba ki haqeeqat gunaahon se pashemaan hona hai aur pashemaani aik qalbe amar hai (yani is ka talluq dil se hai) sirf (astaqferullah) kehna tauba ke liye kaafi nahin hai balke tauba ke liye haqeeqi taur par pashemaan hona zaroori hai aur agar waqean pashemaan ho jaaye to (astaqferullah) kehna lazim nahin hai agarche is ka kehna ehteyaat e mustahab hai (yani ehteyatan behtar hai) aur tauba ke sharaei aasaar paaye jane ke liye do baatain lazim hain:
1) Insaan hatmi irada rakhta ho ke gunah ki taraf dubaara nahin palte ga.
2) Jo khuch bhi nafarmaani ki hai imkaan ki surat me shareat ke qanoon ke mutabiq us ki islah kare; maslan jo wajibaat insaan par wajib the aur us ne use anjaam nahin diye hain maslan namaz, roza, hajj, zakaat wagaira, agar us amal ki qaza hai ya kaffara hai to un ki qaza kare ya kaffara ada kare yani use anjaaam de aur jin logon ka maali haq khaya hai ya koi maali nuqsaan punhchaya hai, wo un ko waapsi de ya is silsile me un loqon se un razamandi hasil kare. yeh baat qabil e zikar hai ke agar koi shakhs tauba ke baad dobara gunah ki taraf lout jaye to use khuda ki rehmat se mayoos nahin hona chahiye balkay dobara tauba karni chahiye. Jis insaan se ghunah hua hai wo Tauba kare, Parwar digar ne quran me wadah kia hai ke wo tauba karne walon ki tauba ko qubool karta hai aur aisa hargiz nahin ho sakta ke wo apne waade par amal na kare. aur gunah se bachne ke liye mazboot irada chahiye.

(Ref: Tuazeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2328,2335,2341. + Mujtahid se poochy gaye sawalaat, part #3, sawal #115,116, pg #57. + (Ref: link, https://www.sistani.org/urdu/qa/01766/ . + E-mail rcvd from A.Sistani(d.b), dated: Sep 27, 2010).
[Updated on 16-Feb-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
125965
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2024-03-06

Question: عورت کا اسپیکر پہ مجلس پڑھنا کیسا ہے شیعہ علماء

Answer: 1: Mardon ke na-mehram aurat ki awaz sunna jaiz hai is shart ke sath ke ye lazzat aur shehwat ki niyat se nah suni jaye aur haram me mubtila hone ka bhi khauf na ho. Aur isi tarah aurat ke liye bhi ye jaiz hai ke wo apni awaz na mehram mardon ko sunaye magar ye keh haram kaam me mubtila hone ka khauf ho to is soorat me jaiz nahin hai.

2: Woh nukaat jo ke manqabat aur marsia khuwani ke muamlay mein zaroori hain, in mein se aik yeh hai ke: khawateen ki majlis, manqabat ya marsia khuwani, agar naram aur bareek aawaz ya isi ki manind ke hamrah is tarah se ho ke jo aam taur par sunne walay ke liye hejaan (shehwat) ka baais banti ho, to lazim hai ke na-mehram tak aawaz puhnchane se parhaiz kya jaye.

(Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Jadeed fiqhi masail, pg #266, maslah #510. + Tauzeeh ul masail Jaame[farsi], Ayatullah Sistani(d.b), part #2, maslah #534).
[Updated on 06-Mar-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
126098
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2024-03-26

Question: Asalamaoalekum. Agar larka larki dost hen or un k Dil me ak dosry k Liye feelings hen. Or un dono ko ye pta he. Pr wo zuban pr la nahi rahe . Q k uhen ye pta he k ye gunah he. Unki bat cheat normal hoti he izat or ehtram se. Or wo bi 1 sal bad ya 7 month bad hoti he wo bi ziyada nahi 1, din k Liye.. Normal bat cheat krte hen phir chale jate hen Bina Kisi Galat irade Galat alfazon k Jo gunah ki Taraf le jaye . To kya ye Sahi he. Ya gunah he. Sirf bat krna hi gunah he .ya Sirf ASI bat krna gunah he Jo dilo ko milati ho.?

Answer: Na-mehram mard aur aurat baat cheet karna agar had se bahar nah ho jaye aur aisi baatein nah ho jo aik na-mehram se na ho sakti hon to koi haraj nahin hai. isi tarah Iffat aur sharaei hijaab ka khayaal rakhtay hue baat karne mein koi haraj nahin hai, lekin mazzaq, gaire ahklaqi batain karna aur aashiqana baton mein warid (dakhil )hona jaaiz nahin hai.

(Ref: https://www.sistani.org/urdu/qa/01864/ ).
[Updated on 26-Mar-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
126104
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2024-03-26

Question: Assalam o Alaikum Ma jis sy pyr krta uska nikkah kahy or ho gya ha to Kiya abhi b usko duao ma mangna jaiz ha?

Answer: 1: Jins e mukhalif se is had tak dosti ka izhaar karna ke us se kaha jaye ke mujhe tum se mohabbat hai ye kam jaiz hi nahin hai, (yani na mehram se muhabat karna jaiz nahin hai), Q ke ghunah men mubtela hone ka khauf maujood hai, balke kisi na mehram se (muhabbat to door ki baat) us se dosti karna hi Jaiz nahin hai.

2: Agar koi aadmi kisi aurat ko warghalaay ke wo apne shohor se mutaliq izdawazi zimmedariyaan pori nah karay taake is tarah shohor use talaq daine par majbor ho jaaye aur wo khud us aurat ke saath shadi kar sakay to ye buhut barha ghunah hai.

(Ref: http://www.sistani.org/urdu/qa/01845/ + Nigah aur libas sawal #106, pg #69. + Ayatullah Sistani(d.b), Tauzeeh ul masail, maslah #2502).
[Updated on 26-Mar-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print