Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+


Question & Answers << Go Back

Topic: Na-Mehram (754 Questions)


Showing 750- 754 questions from 754 questions on this page.

Answers found for searched words
Id:
126111
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2024-03-26

Question: Hum 4 bhen bhai hai, aur meri walidah ki ab death ho gai hai, is surat mai agar walid sahab dusri shadi krty hai to kya un ki dusri biwi hmary liye mehram hogi ya na mehram ?

Answer: Baap ki zouja (yani soteli maan) mehram hai.
(Ref: Mujtahid se poochay gaye sawalat part #3, ques #129, pg #63).
[Updated on 26-Mar-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
126212
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2024-04-23

Question: Assalam o alaikum Kia aurat ka apny Dewar se chehry ka bhi Parda hai??

Answer: Bhabhi or dewar aapas main na-mehram hain or na-mehram se parda karna wajib hai, Albatta aurat, na-mehram mard ke saamne chehra or kalaeyon tak hath khule rakh sakti hay laikin is soorat main keh haram main mubtila hone ka khoof ho ya kisi mard ko (hath or chehra) dikhana haram main mubtila karne ke irade se ho to in dono soorton main in ko chupana wajib hay.

(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Maslah #2397,2399).
[Updated on 23-Apr-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id:
126319
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2024-04-16

Question: Assalamo alaikum sir Mera question he Meri aik female dost thi mujhy us se muhabat ho Gai aik time K bad hamara kafi axha relationship Tha dosti ka kafi dafa larai jhagra huwa but masla ye he K wo mere sth dosti to Nibhana chahti per Shadi Ni krna chahti any solution?

Answer: Na-mehram ka apas me piyar o mohabbat aur relationship ke hawalay se buniyadi sharaei maslah ye hai ke Nikah se pehlay na mehram ke sath har qism ke taluqaat (relationship) jin mein mazaaq karna, muhabbat ka izhaar karna, yahan tak ke dosti karna, shehwat ki niyat se baat karna, larki ke jism ki taraf dekhna (siwaye is ke chehray aur hathon ke kalaiyon tak) aur is ke balon ki taraf dekhna, aur shehwat ki niyat se chehra dekhna yeh sab kaam Haram hain. balkay agar kisi ghunah mein parne ka andesha ho to un ke liye aapas mein kisi qisim ka rishta (relationship) rakhna Haram hai. Albatta Islam pasand ki shadi ki ijazat deta hai lehaaza is aitebaar se aap ziyada se ziyada apne ya un ke ghar walon ke zariye aik doosre ke ghar rishte ka paigham bhej sakte hain aur dua kar sakte hain

(Ref: Website Ayatullah Sistani(d.b), link, https://www.sistani.org/english/qa/25314/ + link, https://www.sistani.org/english/qa/25287/ ).
[Updated on 17-Apr-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
126334
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2024-04-16

Question: Agr boyfriend shadi se pehly sex ka kahy k tm tu meri hi ho mene tmse hi shadi krni tu mujse kesi sharm tu kya ye sehi hy

Answer: Mangetar dono aapas men na-mehram hote hain, nikah ke baghair dono mian, biwi shumaar nahin hote. lehaza nikah se pehly mian, biwi wale taluqaat qaaim karna haram aur gunah e kabira hai.

(Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Minhajus Saliheen, Part #1, maslah #30).
[Updated on 17-Apr-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print