Please click the button for Quran o Itrat Academy Whatsapp Channel.
Whatsapp Channel
Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions:


Question & Answers << Go Back

Topic: Pardah (Hijab) (132 Questions)


Showing 0- 50 questions from 132 questions on this page.

Answers found for searched words
Id:
79
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Khoie Date: 2018-05-19

Question: I AM MUQALIDA OF AAYAT-UL-ALLAH KHUI MY QUESTION IS AURAT MARD KE KONSE AAZA(BODY)DIKH SAKTI HAI BAGEER KISI LAZAT KE TV ME AUR PICTURE {TASVEER} ME.

Answer: w salaam,
We are extremely sorry for the very late reply. This was because of some site functional probelems. We will try our best for the quick responce later, Insha allah.
Aurat ka na-mehram key chehray (face), hathoon (hands), sar aur gurden (neck), legs ka lazzat key bagair daikhna jayez hay,
agar-che behtar hay keh aisa na kiya jaye. Lazzat key saath in aaza ko daikhna ehtiyaat kee bina par haram hay.
Ref: Tawzeeh ul Masail, Masla No. 2442

Print

Id:
129
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date: 2018-05-21

Question: Salamulikum I just wana ask. The order of Islam in friendship with Na-Mehram (Girls).

Answer: W salam
Na Mehram se Dosti karna "HARAM" hia kionke is se haram mai parnay ka khauf hota hia.Chahey aahista aahista hi gunah ki taraf le jaye.
Ref . Isteftat Agha Sistani

Print

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id:
130
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date: 2018-05-21

Question: Salamulikum I just wana ask. The order of Islam in friendship with Na-Mehram (Girls).

Answer: W salam
Na Mehram se Dosti karna "HARAM" hia kionke is se haram mai parnay ka khauf hota hia.Chahey aahista aahista hi gunah ki taraf le jaye.
Ref . Isteftat Agha Sistani

Print

Id:
161
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date: 2018-05-23

Question: Can i show top and bottom parts of my feet to non family members? Is it permissable or is it better not to do?

Answer: If the non family members are your "Mehrams" then it is allowed. But if they are "Na-Mehrams" then it is not permissable.(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #2399). Update on dated 15-08-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
174
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Khoie Date: 2018-05-23

Question: Salaam Alaykum, Kya koi aurat lazat ke qasad ke bagair tv ke drame ya koi aur program dekh sakti hai jab ke aksar aukaat koi aisa scene aa jata hai jis me na-mehram ka shoulder ya girebaan wagaira khula ho ?

Answer: Salam-un-alaikum,
Ahtiat-e-Wajib ki bina par aurat ka Na-Mehram key chehrey hathon ,sar aur gardan aur pairon key ilawa baqi badan par lazzat key qasd key baghair bhi nigah dalna haram hai.
Ref: Tauzeeh Aqa-e-Khoi Prob no 2442

Print

Id:
179
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date: 2018-05-23

Question: salam muja app se ya poochna hai k mai ek larkay se bohat pyaar karty hoon aur wo bhi mujse par wo larka sunni ha..wo muja be inteha chata hai..kahta hai agr tumse shadi na huyi to mai marjaaongaa sirftum meri ho..mai bhi usse shadi karna chaty hoon wo kahta hai shadi k baad tum shia hi rahnaa app batao kia ya shadi hosakty ha kuch log bhi to sunni mai gaye hai mera naam plz app show nahi karna plzz mai kai karoon muja kuch samjh nahi ata meri mushkil asan karay..wo kahata hai k hum muslaman hai sirf na koi shiana koi sunii? muja app jawab do plzzz

Answer: Agar aap key gumrah honay ka khoof na ho to shadi karna jayez hay. Ham aap ko har soorat mein taqwa aur parhezgari kee naseehat kartey hein. Ref: Mujtahid Sey Poochay Gaye Sawalaat (Part 1) Ques No. 134 .Update on dated 19-11-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
189
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date: 2018-05-24

Question: salaam, TV ke programs me na-mehram ka achanak agar aisa scene aajaye jis me shoulder wagaira khulein ho to lazat ke bagair nazar karne ke bare me kya hukam hai ?

Answer: Salam un alaikum,
Agar lazzat ka qasd na ho aur haraam mein mubtala honay ka khauf na ho to koi ishkaal (haraj) nahi hay.
Ref: Tawzeeh ul Masail Aqai Sistani Probe No. 2443

Print

Id:
606
Mujtahid:
-- None -- Date: 2018-05-30

Question: salam kia kisi namehram say dosti ki jai tu haraam hey jub key hum us say milna rahey ho aur agar milay tu bhi pardey may milay aur kia us say phone per baat ki jasakti hey i mean kia awaaz sunana haraam hey ya us may koi prb nahi?? khudha hafiz

Answer: Na-mehram say dosti jaiz nahi hay.Aik mard kisi khatoon say aisi batain kar sakta hay jin ka nateeja kisi akhlaqi fasaad ki soorat main na nikal raha ho jab kay koi aisi baat bhi na ki jarahi ho jis ka kisi ajnabi khatoon kay saath kiya jana munasib nahi hota.isi tarah baghair lazzat kay iraday kay is ki batain bhi suni jasakti hain jab kay haram main na parnay ka itmeenan ho albatta is soorat main aurat ki zimmedari bhi hay kay wo apni awaz ko itna khoobsoorat aur baqreek na banaey jo insaan kay jazbaat ko ubharnay wali ho.Ref:Istiftaat A.Sistani Book-4 Q.No.124,125.

Print

Id:
650
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date: 2018-06-03

Question: salam mara sawal ye hai k ager kissi k matay per zada ball hain tuo kiya un ko bhi chopna hai , ager koi larka body buliding keray tuo kiya ye qulat hai.yani ak terhan say uss ka ye kam zeenat hogaya . wassalam

Answer: Jee haan,Khawateen kay liye na-mehramoo say chehray aur hathoo kay ilawa baqi tamam badan aur baaloo ka chupana wajib hay.Ref:Book-1 Q.No.140...Larkoo kay body building karnay main bazat-e-khud koi haraj nahi hay,jaisay mard kay chotee aasteen ki qameez pehenna aur eye brows banwana jaiz hay.Ref:Book-4 Q.No.123,135...Haan albatta aurat kay liye na-mehram mard kay jism par nazar daalna Lazzat kay iraday say aur haram main mubtala honay kay khouf kay saath Haram hay balkay Aihtiyaat-e-Wajib ki bina par lazzat ka irada aur haram main mubtala honay kay khouf na ho tab bhi nigah nahi daalni chahiye.laikin agar aurat mard kay jism kay un hissoo masalan SAR,DONO HAATHOO,aur DONO PINDLIOON par jinhain umooman mard nahi chupatay lazzat kay iraday kay baghair nazar daalay aur haram main mubtala honay ka khouf na ho to koi Ishkaal nahi hay.Ref:Tauzeehul Masail A.Sistani Masala No.2392.

Print

Id:
652
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date: 2018-06-03

Question: asalamwalaikum, i want to ask as to how i should repent for my big sins which i regret so much now for having committed i.e. i had an affair with a married man while i was away from pakistan. in the country i stayed i.e. tanzania i could not control my feelings for him. i was working as his secretary and had a physical relationship with him.

Answer: Aap kay liye zaroori hay kay Tauba karain.Khudawand-e-Alam nay Quran-e-Majeed main wada kiya hay kay agar insaan khud is kay khilaaf amal na karay to Tauba qubool ki jaey gee.Ref:Istiftaat A.Sistani I-53.

Print

Id:
1414
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: agar paishani par baal ziada hoon to kiya usay chupana zaroori hay?

Answer: Sar k baal chupana wajib hain. Laikin agar paishani per zaa,ed baal ugay hoon tu onko chupana wajib nahi hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #2399). Update on dated 15-08-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
2462
Mujtahid:
-- None -- Date: 2018-06-07

Question: salam islam main orat ko balo ke sath chehre ko bhi chopana chahiye

Answer: Khawateen kay liye na mehramoo say chehray aur hatho ki alahiyon (palms) kay alawa baqi tamam badan aur baloo ka chupana zaroori hay.(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Mujtahid say pochay gay sawalaat, Book-1 Q.No.140) . Update on dated 15-08-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
2537
Mujtahid:
Ayatullah Behjat Date:

Question: Kya girls jeans(skin tite nahi) pahansakti hai?

Answer: Ehtiyaat e wajib hay k aurt, merd ka makhsoos libaas nah pehnay os isi terah merd ,aurt ka makhsoos libaas nah pehnay.(Ayat ullah Behjat, Nigah or libaas,sawal#178). Update on dated 15-08-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
2538
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: Is it permisible to wear Hijab with long coat till knee and lover jeans(not skin tite) with scarf? and how is it to cover chin with scarf?

Answer: It is permisible to wear Hijab with long coat till knee and lover jeans (although skin tight) with scarf,if her sensitive parts of body(like bottom and breast) is not seen convexly.it is permissible for women to open faces and some part of chin which is seen when a woman wear scarf normaly.(Ref: jaded fiqhi masail Aytullah Seestani (d.b.) maslah # 508,530) . Update on dated 15-08-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
2579
Mujtahid:
Ayatullah Behjat Date:

Question: ladki kab jawan hoti hai?

Answer: Qamari saal (Islamic calendar) k 9 saal pooray ho janey pr larki baligh ho jati he. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 3, Mafhoom e Maslah #8). Update on dated 15-08-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
2748
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: 64 years khatoon ko parda karna wajib hoga

Answer: Wo khwateen jin per perdah wajib nahi is ka miyaar umar nahi hay.is silsilay main khuch umar raseedah kawateen khuch kawateen say mukhtalif hoti hain.balkeh is baat ka miyaar wohi hay jo quraan main biyaan howa k ‘umar raseedah honay ki wajah say on main nikah ki khaahish or rujhaan nah rahay to is surat main parda saqit hojata he.( Ayat Ullah Seestani(d.b), jaded fiqhi masail, maslah #509). Update on dated 15-08-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
2965
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Khoie Date:

Question: kya thori k neechay ka hisah jo maqna phentey waqat mamoolan khula reh jata hai us ka chupana zaroori hai.

Answer: Wajib nahi. (Ref : Jaded Faqhi Masayl Ayat ullaha Sistani d.b. Masla # 519 pg # 269). Update on dated 15-08-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
3035
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: salam.mera sawal ye he k agar kici ka face naturally attractive ho tu kia usko cover krna wajib he jab k cover karne se usko yaqeen ho k isko bura samjha jata he aur loog deen se door horahe hn aur usko pata ho k face cover karne se wo logo ki nazron me ziada ayegi yani shurat ka sabab he tu kia kare,ya bhi bata dije k seestani sahab k yaha face cover krna ahtiat wajib he agar han tu phir me sistani sahab k baad kis marje ki taraf rujo kar sakti hn means yani kece pata chale ga k sistani sahab k baad kon aalum he jis ki taraf hum ruju karen?plz mujhe is sawal ka jawab zaror chahye

Answer: Aurat namehram merd k saamne chehra or kalaeyo tak hath khule rakh sakti hay,laikin agar aap ko haram main mubtila hone ka khoof ho ya kisi merd ko (hath ya chehra) dikhana haram main mubtila kerne k irade se ho tu in dono soorto main inko chupana wajib hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #2399). Update on dated 15-08-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
3157
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: Salam! Is light make up which is Invisible and just brings freshness on the face, No lipstick, no eye make up, just light face powder and cream) allowed for ladies in a public gathering?

Answer: If makeup and powder so light that which are not consider as a cosmetic(i.e zeenat) then it is permissible for women to open their face in front of Na-mehmam men.but if you do this work(using light makeup and powder) with intention of cosmetic perpose(i.e zeenat) then it is obligatory to conceal their faces from na-mehram men. (Ref : Mujtahid se pouchey gay sawalat part # 4, ques # 136, pg # 68). Update on dated 15-08-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
3158
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: How much make up is allaowed for ladies?

Answer: It is lawful for ladies to do makeup.But it is obligatory (wajib) for them to conceal their face from Na-mehram men. (Ref : A.Sistani(d.b),Sawalaat or jawabaat 10 maraja e karam k fatwoo k mutabiq, pg#96, sawaal#161). Update on dated 15-08-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
5120
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date: 2018-09-08

Question: mera sawaal ye hai k larki pe parda kab wajib hota hai?aur agar koi 5saal ki bachi ki sharamgha ko dekhay koi namehraam to os bachi ko gunaah milayga?ya osko chuaye?

Answer: 1)Jab qamari saal (Islamic calendar) k mutabiq 9 saal mukammal hojain tu larki per perdah or is ki ilawah digar tamaam wajibaat bhi lazim hojatay hain. (http://www.sistani.org/local.php?modules=nav&nid=5&cid=68 )
2)Ghair mumaiyaz per perday k ehkam nahi hain. Or baghair lazzat k in ki sharam gaah per nazar kerna or onko chuna jaiz hay. (Ref :Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 3, Mafhoom e Maslah #23). Update on dated 15-08-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
5624
Mujtahid:
Ayatollah Nasir Makarim Sheerazi Date:

Question: Is it allowed to wear tight burqas or hijab ?

Answer: Agar is se badan k hassas hisse mujassam(embossed) ho ker zahir hote hoon ya naazreen k jinsi ehsasaat baraanghikhatah hote (ubharte) hoon tu jaiz nahi hay. (Ref:Nigah o libaas,aqa makarim sherazi, pg,82,87 ). Update on dated 15-08-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
9511
Mujtahid:
Date: 2018-05-29

Question: salam maulana mera masla ye hai k me ek ladke se bahut pyar karti ho aur usse shadi karna chahti ho plz mujhe koi wazifa batayien k meri shadi usi se ho

Answer: Sab se pehli bat to ye hai k jins-e-muitazad se dosti ka is had tak izhaar krna k us se kaha jaye k (jesa k apne frmaya ) mujhe tum se mohabbat hai ye kam jaiz nahi hai q k gunah men mubtala hone ka khoaf mojood hai, mgr ye hai islam pasand ki shadi ki ijazat deta hai us hawale se wazeefa apko dete. Khuda apko gunah men mubtala hone se mohfooz rakhe.
(Ref: Nigah or Libaas 10 maraje kiram k fatwon k mutabiq 1ST Eddition, Page#69, Ques#106)
Surah e ahzaab ko hath say likh kar aik dabbay(box) mai band kar k apnay ghar may hifazat say rakh dain aur is surah ko har rooz aik bar parh kar dua mangain to hisb e manshah rishta distiab ho ga. (Ref : Naway e salaheen pg # 352)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
9822
Mujtahid:
problem in love Date: 2018-06-07

Question: sir muja koi aisi dua batayn jis sa kisi larki k dil ma pyar paida kiya ja saka or allah talah k hukam sa usi sa shadi b ho.allah talah ap ko is amal ki jazaa dn gaa

Answer: Allah Taala ki di hoi Shariat e Muqaddasa shadi se pehle is terhan ki dosti o mohabbat jaiz nahi hai. (Ref : Nigah aur libas sawal # 106 pg # 69 , Allah Taala hi tofiqaat mian izafa farmaane wala hai).

Print

Id:
10586
Mujtahid:
Date:

Question: kay outart ko qabar par lany ki ijazat ha?

Answer: Gee haan, orato ka qabrstan jana jaiz hai, peer k din, jumeraat k din khususan sham k waqt or hafte ko subah k waqt qabrustan jane ki takeed warid hui hai. (Ref: Mujtahid se Puche gaye sawalat, Ayatul_Allah Sistani(d.b) Part#3,Pg#85,Ques#202). Update on dated 15-08-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey)

Print

Id:
15559
Mujtahid:
Date:

Question: Khawateen k lie parday ka hukam Quran Pak ki kis surat mai nazil howa...?

Answer: Aurtoon k liay perday ka hokum quran main Sorah e noor(sorah #24) ki ayat# 31 main hay. (Ref: quran: Sorah e Noor ayat#31). Update on dated 15-08-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey)

Print

Id:
16311
Mujtahid:
Aayattula shishtani Date:

Question: Kisi b ladki ko hijab kis had tak wajib hai.jaise wo apne sister ke husband k samne bina parde ke ja sakti hai ke nahi.

Answer: Sister ka shohar na-mehram hai aur aurat ko chahiay k sar k baal aur apna badan na-mehram mard sai chupaey laikin na-mehram mard k samnay chehra aur kalaiyoo tak hath khulay rakh saklti hai. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #2399). Update on dated 15-08-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
19257
Mujtahid:
Quran and Sunnah Date:

Question: Kia meri biwi ko maray bayo aur bahno kay baito say parda karna zaroori ha?

Answer: Sohar k bhetijay aur bhanjay os ki biwi k lie na mehram hain. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #2399). Update on dated 15-08-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
31062
Mujtahid:
sunni Date:

Question: mje ye question puchna hy k islam me naqab must hy ya hijab? agar koi larhki sirf hijab kare or naqab na kare to is bare me islam kya kehta hy? humein kya karna chahye? sirf hijab ya naqab? q k ek taraf islam me ye b hy k sir se pair tak female k liye parda must hy...

Answer: Aurat k lie zaroori hai k chehray aur hathoo ki kalahiyon (palms) k alawa sar k baal aur badan na-mehram mard sai chupay. Laikin aurat na-mehram mard k samne chehra aur kalaiyo(wrist) tak hath khulay rakh sakte hai. Laikin is surat me k haram mai mubtila honay ka khof ho ya kisi mard ko dekhana haram me mubtila karne k irade sai ho to phir hath aur chehray ko chupana wajib hai. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #2399). Update on dated 15-08-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
32535
Mujtahid:
Date:

Question: Asslam o alikum Mufti sahab ... mera apse ye sawal hai k kya behnoi Se b Parda lazim hain? tafseel Se Bata dijiye.. Please

Answer: Behnoi na mehram hai aur aurat ko chaheay k chehray aur hatho ki kalahiyo k alawa sar k baal aur apna badan na mehram mard sai chupay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #2399). Update on dated 15-08-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
40463
Mujtahid:
Date:

Question: Kya me net pe ladkiyo ke tasweer deksakta hun

Answer: Agar mard be-hijab na-waqif aurat ki tasweer lazzat k iraday aur gunah aur kisi bhi fasad mai mubtila honay k khof k baghair dekhay to koi haraj nahi.warna haram he. (Ref : Kitab Nigah aur libas pg # 41). Update on dated 15-08-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
43456
Mujtahid:
Gunah Date:

Question: Salaam. Kya zasa he jab girl apni body kisi ladke ko dihaje (no sex only body)? Kesi muaafi mangni chahye ?

Answer: 1)Kisi mard k samnay aurat apnay body parts zahir nahi kar sakti hai. (Ref : Jaded Faqhi Masayl Ayat ullaha Sistani d.b. Masla # 501, pg # 265)
2)Sachay dil se toba karain. Parverdigar ne quran majeed me wada kia he k wo toba karney waloo ki toba ko qabool karta he. Aisa hargis nahi ho sakhta k wo apne waday per amal na karey. (ref : website ayatullaha sistani d.b. ques # 1 , toba http://sistani.org/local.php?modules=nav&nid=5&cid=888 ) Update on dated 15-08-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
46477
Mujtahid:
Date:

Question: kia ek larki dosri larki k sath lip kissing ker sakti haiaur os k opar lait sakti hai? muj sai ye galti ho gae hai aur mai bht sharminda ho ab kia karoo

Answer: Shehwat(Lazzat) ki niyat se aurat ka aurat ko galay lagana, oska bosa lina or os se cherh charh kerna haram hay agarchah in k darajaat mukhtalif hain.(Ref:Jadid fiqhi masail,maslah#515, edition#2003). Update on dated 15-08-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
46480
Mujtahid:
ayatullah seestani Date:

Question: aurat k zahiri parday ka kia hukam hay?? hijab kafi hay ya niqaab karna zaruri hay?

Answer: Zarori hai k aurat apnay sir k baal aur apna badan na-mehram merd say chupaey laikin chehra aur hathon ko kalaiyo tak khula rakha jasakta hai. (Ref:Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31th edition,maslah #2399). Update on dated 15-08-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
47097
Mujtahid:
Date:

Question: Kya BURKHA pahanna Compulsary hai According to ISLAM ???

Answer: Burqa pehanna wajib nahi hai faqat aurat ko caheay k sar k baal aur apna badan na-mehram mard sai chupay laikin na-mehram mard k samnay chahra aur kalaion tk hath khulay rakh saklti hai leikin is surat mai haram mai mubtila honay ka khof ho ya is mard ko hath aur chehra dekhana haram mai mubtila krnay k iraday sai ho to in donoo suratoo mai in ko chupana wajib hai. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #2399). Update on dated 15-08-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
51675
Mujtahid:
Date:

Question: assalam o aalikum sir g agr insan k c sy bepana pyar kary bat kary pyar ka kahy k ma tum sy bht lobe karti ho to kya larka yaqen na kary wo kahay k agr tm muj sy love karti ho to apny kapry uatar do to kya pyar ma ya sb khuc jaize hai pyar ma insan ko qurbaniya day dani chyea?

Answer: Ye jaiz nahi hai kisi bhi surat men q k orat ko chahiye k wo sar k baal or apna badan na-mehram mard se chupaye. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #2399). Update on dated 15-08-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
57949
Mujtahid:
Date:

Question: assalam o alaikum....me ne 3 sawal puchne hai k 1. ager hum bahir jate hue niqab kren lekin acdamey me naqab utar den to kia ye sehi hai q k chand din hi hue hai niqab krna shuru hue? 2. kia eye liner lgana sehi hai jb k hum apne lie lga rhe hon..? 3. kia assalam 0 alaikum ki jga salam khna sehi hai..?

Answer: Na-mehram merd k samne chehra or hathaili khoolna jaiz hay. Baqi tamaam badan or baal chupana waib hain. Or khawateen k saamne bay perda hona jazi hay. (Ref : nigaah o lebaas , baab # 5 , sawaal no # 131 , pg # 84).
2 – Sahi hai. (Ref : Mujtahid se pochay gaey sawalaat, part # 3 , sawaal # 132).
3 – Sahi hai (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus saliheen Part # 1 , Maslah # 677 , eidition # 1st). Update on dated 15-08-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
60325
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Asalam o alaikum.kia koi larki hijab mai bahir ja sakte hai jis k baal nai sirf chehra nazar aye?kia female baghair chat k nimaz ada kr sakti hai?aur kia ek baligh larki na mehram se hath mila sakte hai baghair kise najaiz khwahish k? Mola e kainat a.s aap ko khush raky.

Answer: 1)Aurat ko chahye k sar k baal aur apna badan na-mehram mard se chupay lekin na-mehram mard k samnay chahra aur kalaiyon tk hath khulay rakh sakti hai leikin is surat mai haram mai mubtila honay ka khoaf ho ya kisi mard ko hath or chehra dekhana haram mai mubtila krnay k iraday sai ho to in donoo suratoo mai in ko chupana wajib hai. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #2399).
2)Aurat khulay asman k nichay namaz parh sakti he. Albatta aurat k lye behter ye he k esi jagha namaz parhe jo na mehram se mehfooz hone k etebar se zyada mehfooz ho. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #777, 881).
3)Aurat k liay na mehram se hath milana jaiz nahi siwaay ye k dermiyaan main kaprha ya koe rukawat ho. (Ref : Ayatullah Sistani, Jadeed faqhi masael , Mafhoom e maslah # , Pg #271 , Eidition# 5). Update on dated 15-08-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
61320
Mujtahid:
Date:

Question: QUESTION. ISLAM MEIN AURAT KA BAYAN YA NAMAZ KE LIYE ANA JAYEZ HAI YA NAHI TAFSIL SE BATAYEYE?

Answer: 1)Behter hai k aurat esi jagah namaz pharay jahan na-mehram nah hoon. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #881).
2)Ager Sharai (Islamic) parda mukammal ho or is ki awaaz lazzat ko ubhaarne wali nah ho or guhnah main mubtila hone ka koof bhi na ho to taqreer o bayaan jaiz hai. (Ref : nigaah o lebaas , baab # 3 , Question # 89 , pg # 61). Update on dated 15-08-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
61933
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: as salam o alaikum wa rahma tul lahe wabarakatuh, aaj kal ALI SHANAWAR jesi shakhsiyat bohat maqbool ho rahi hai shia girl's main hum chund larkiun ka group hai jo iss bath par muttafiq hain k ALI SHANAWAR larkoun ko dykhna jaez nahi hai , agar hum kisi larki ko samjhany ki koshish karty hain to wo nahi manti humyn koi aesa mazboot link chahiye k hum iss kaam say un ko rokyn, aap ayetullah seestani ka chund futwy deegiye k hum inn say un ko rokyn , ba'azz oqa'at hum nay suna k uss ki{ALI SHANAWAR} judai main larkiyan khudkushi karna chahti hain, KIUN k wo austrailia , victoria , main rehta hai, larkiyan uss ko I LOVE YOU , kehti hain orr kafi had tak by huda bathyn karti hain kuch aesa bataen k inn larkiun ko hosh dia jaye ziyaada tar ye larkiyn 14,15,16,17,etc. till 30 years tak hoti hain, main khud itni bari houn 14th ki magar main apna dill in bathon say door bhi karchuki hou,magar kabhi kabhi rujhan hota hai , to main iss ka toor duann , say nikal lyti houn.

Answer: 1-Aurat k liay na-mehram mard k jism per nazar daalna lazzat k irade se aur haram me mubtela hone k sath haram hai balke ehteyat wajib ki bina per lazzat ka irada aur haram me mumbtela hone ka khof nah bhi ho tab bhi mard k badan per nigha nahe dalne chaiay laikin agar aurat mard k jisam k in hisso maslan sar, dono hath aur dono pinliyo per jine omoman mard nahe chupate ,lazzat k irade k beghair nazar dale aur haram me mubtela hone ka khof na ho to kohe haraj nahe hai. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #2397).
2-Jins e mukhaalif(opposite sex) sai is had tak dosti karna k mohabbat ki had tak pohanch jaey, ye jaiz nahi hai Q k ghunah mai mubtila honay ka khoof mojoud hay. (Ref : Nigah aur libas sawal # 106, Mafhoom e pg # 69) .
3-Agar kisi k naik baat qabool karne ka ehtemaal ho to amar bil maroof karna wajib hai aur gunah se rokna wajib hai. Aur agar baat qobool karne ka ehtemaal nah ho to ehtiyaat e wajib ye hai k gunahgaar k is ghlat kaam per naraazgi ka izhaar kare chahay jaanta ho k wo is ka asar nahi le ga. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #2009). Update on dated 07-08-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
62419
Mujtahid:
Date:

Question: Aslam o alikum sir mera sawal hai k orat ko kin kin say naqab krna caheya kea usy apny husband k bhai mamu chahu wagera say niqab krna frz hai or orat ko kesy niqab krna caheya or agar wo join family main rahti ho to kea apny husband k bhaio say niqab krna frz hai please sir mujhe answer dyn quran o sunnat ki roshni main

Answer: Aurat k lie us k shohar ka bhae ,shohar ka mamoo, shohar ka chacha namehram hain aur namehram se aurat ko perda karna wajib hai . Albatta aurat k shohar ka baab,dada, baita, aurat k lie mehram hain aur aurat k lie in mardo se perda karna waajib nahe hai aurat ko chahiay k sar k baal aur apna badan na-mehram mard sai chupaay laikin na-mehram mard k samnay chehra aur kalaiyoon tak hath khule rakh saklti hai leikin is surat mai haram mai mubtila honay ka khof ho ya kise mard ko hath aur chehra dekhana haram mai mubtila krnay k iraday sai ho to in dono suratoo mai in ko chupana wajib hai. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #2354, 2399). Update on dated 15-08-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
65629
Mujtahid:
Date:

Question: Aorat ko apny bhaio r walid k samny sir dhapna zroori he

Answer: Wajib nahi. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 3, Mafhoom e Maslah #13 , Eidition 1427 hij). Update on dated 17-06-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
69179
Mujtahid:
Date:

Question: QIBLA ORAT KA PARDA KESA HONA CHAHYE? KIYA ISLAM MN MON(FACE)KO KHOLNE KA HUKM HE?MTLAB SARE JISM KO DHAMPNA HE CHEHRE KO KHULA CHORNA HE?

Answer: Aurat ko chahye k sar k baal aur apna badan na-mehram mard se chupay lekin na-mehram mard k samnay chahra aur kalaiyon tk hath khulay rakh sakti hai leikin is surat mai haram mai mubtila honay ka khoaf ho ya kisi mard ko hath or chehra dekhana haram mai mubtila krnay k iraday sai ho to in donoo suratoo mai in ko chupana wajib hai. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #2399). Update on dated 22-12-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
70564
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Assalamo -alaikum , sir i am a nuse in burn ward where patients are in critical condition, means semi conscious, unconscious and in painful condition . can i touch male patients arms, lower legs ,hands or feet without wearing gloves?

Answer: It is unlawful. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Jadeed Fiqhi masael, Mafhoom e Maslah #529). Update on dated 30-03-16. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
74603
Mujtahid:
Date:

Question: assalam o alaikum sir mera swal ye hai k kiya orat dosri orat ka jism dekh skti hai jesy cheast sometime bhny ek dosry k samny kapry chnge kr lti hai etc

Answer: Lazzat k baghair aik aurat doosri aurat ka poora badan daikh sakti hay siwaey sharam gaah (i.e vagina & anus)k. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhajus Saliheen, part#3,Mafhoom e Maslah #12). Update on dated 17-12-16. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
84636
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Abul Qasim e Khoie Date:

Question: What is the rule about hijaab for the followrs of Agha e khuoi.

Answer: Aurat k liye zaroori hai chehre or haatho k ilawa apne poore badan ko is tarah dhaanpe k namehram ki nigah na parey balkey ahtiyat e wajib ki bina par zroori hai k apne chehre or haathon ko bhi dhaanpey. (Ref:Ayat Ullah khoe (r.a), Tauzee hul masael, Mafhoom e Maslah #2442). Update on dated 24-10-17. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
84656
Mujtahid:
Date:

Question: Plx mera question show nhn na kia jayen r answer dia jaye just.intercourse karte howe kisi r kisi gair ki ghalti se nazar par jaye to gunah kis ko hoga

Answer: Orat k liay jaiz nahi hay k doosri orat ki sharmghah dekhy or mard k un aazaa ko dekhy jo aam halat say ziyada khule hoon, lekin agar galti say nazar parh jaey to foran nazar pherni chahiay warna daikhne wale ko ghunah mily ga. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 39th edition, maslah #369 ). Update on dated 13-02-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
88511
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: I started ful face veil in pakistan but now my family is shifting to canada where veil is banned so what should i do there .. As i have to continue my study..

Answer: Chehre ka parda kerna wajib nahi hay yani chehra kholnay ki ijazat hay agar mekup nah kia howa ho to balky agar halka mekup kia howa ho tab bhi jaiz hay. (Ref: Touzehul masael, maslah#2399). Update on dated 06-04-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
88607
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Asalam o Alaikum. Mera sawal yeh hai k agar larki shadi ho k join family mai jaye aur dewar, susar b sath ho to un sy kis tarah parda kiya jaye?

Answer: Susar sai parda karna wajib nahi hai lekin dewar sai parda karna zarori hay q k wo na- mehram hai. Aurat ko chahaiy k sar k baal aur apna badan na-mehram mard se chupay lekin na-mehram mard k samnay chahra aur kalaiyon tak hath khulay rakh sakti hai leikin is surat mai haram mai mubtila honay ka khoaf ho ya kisi mard ko hath or chehra dekhana haram mai mubtila krnay k iraday sai ho to in donoo suratoo mai in ko chupana wajib hai. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #2399). Update on dated 25-04-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
93026
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2018-11-10

Question: islam mai aurton par parde ka huqum kis year mai aaya hai?

Answer: Maah e ziqaad 4 hijri main parde ka hukm aaya.(Ref: http://hamariweb.com/articles/80577).
[Updated on 10-Nov-2018 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print