Please click the button for Quran o Itrat Academy Whatsapp Channel.
Whatsapp Channel
Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+


Question & Answers << Go Back

Topic: Pardah (Hijab) (114 Questions)


Showing 50- 100 questions from 114 questions on this page.

Answers found for searched words
Id:
93889
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2019-02-04

Question: Can I force my wife for hijab and what hijab should her do

Answer: Aurat par pardah karna wajib hai lehaaza aap ye baat apni zoja ko samjhaye, laikin aap on per jabar nahi kar sakte haan aap os ko baghair hijab k ghar se bahar janey ki ijazat nah dain.
Aurat ko chahye k sar k baal aur apna badan na-mehram mard se chupaey lekin na-mehram mard k samnay chahra aur kalaiyo tak hath khulay rakh sakti hai leikin is surat mai haram mai mubtila honay ka khoaf ho ya kisi mard ko hath or chehra dekhana haram mai mubtila karnay k iraday sai ho to in donoo suratoo mai in ko chupana wajib hai. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 41,Mafhoom e Maslah #2399).
[Updated on 04-Feb-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
102654
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-08-27

Question: Aasalamalikum,kiya ladki ku chahera ka parda karna wajib hai ya nai

Answer: aurat ko chahiye ke woh, ilawa chehre aur hathon ke sar ke baal aur apna badan na mehram mard se chupaye aur ahtiyat e lazim yeh hai keh apna badan aur sar ke baal us larky se bhi chupaye jo abhi baligh to na hua ho lekin itna samajhdar ho keh achay aur buray ko samajhta ho aur ahtimal ho keh aurat ke badan par us ki nazar parne se uski jinsi khuwahish bedar ho jayegi, lekin aurat na mehram mard ke samne chehre aur kalaiyon tak hath khulay rakh sakti hai lekin is surat mein keh haram mein mubtala hone ka khauf ho ya kisi mard ko hath aur chehra dikhana haram mein mubtala karne ke iraday se ho to un dono surton mein un ko chupana wajib hai. (Ref: Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani, Tauzeeh ul masail, Masla no 2399).
[Updated on 28-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id:
104067
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-08-16

Question: Asalaam walaikum. Mera sawaalon ye hai ki agar mein black burkha na pehenu aur gar mera libaas loose aur colourful rahe toh kya ye jayez hai??

Answer: Black Burqa pehanna wajib nahi hai faqat aurat ko caheay k sar k baal aur apna badan na-mehram mard sai chupay laikin na-mehram mard k samnay chahra aur kalaion tk hath khulay rakh saklti hai leikin is surat mai haram mai mubtila honay ka khof ho ya is mard ko hath aur chehra dekhana haram mai mubtila krnay k iraday sai ho to in donoo suratoo mai in ko chupana wajib hai. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #2399)
[Updated on 16-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
104234
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2020-03-03

Question: Kya aurat par parda wajib hai??

Answer: Na mehram aurat ke jism ke kisi hissay ko dekhna haram hai, chahae lazzat k iraday k sath ho ya is k baghair ya chahe haram me mubtila hone khof ho ya na ho. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 39th edition, maslah #2397).
Aurat , na-mehram k saamne chehra or kalaeyo tak hath khule rakh sakti hay laikin is sorat main keh haram main mubtila hone ka khoof ho ya kisi mard ko (hath or chehra) dikhana haram main mubtila karne k irade se ho tu in dono soorto main in ko chupana wajib hay. (Ref: Touzehul masael, maslah#2399)
[Updated on 03-Mar-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
104488
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2020-04-27

Question: Assalam o alaikum mujhy urgently koi ayat ya aqwal e masoomeen chahiye jo mehram na mehram ky liye kahi gae ho mere husband aur usski Bhabhi mehram na mehram ka concept nhi Marty mere sasural na mehram ka koi concept nhi mere husband ki Bhabhi ussky bhht close rehti hy night suit baghair dupattay ky ati hy mere husband ky samnay hijab ka koi concept nhi munah sy munh mila kr bat karti hy mere husband sy na mere husband ko ghlt lagta na mere saas sasur ko plzzz urgently kisi molana ka Numbr send kr dyn

Answer: 1) Bhabhi devar apas main na-mehram hain. (Ayat Ullah Seestani(d.b), ),nigah or libaas,part#1,pg#57-61)
2) Na mehram aurat ke jism ke kisi hissay ko dekhna haram hai, chahae lazzat k iraday k sath ho ya is k baghair ya chahe haram me mubtila hone khof ho ya na ho. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 39th edition, maslah #2397).
3) Aurat , na-mehram k saamne chehra or kalaeyo tak hath khule rakh sakti hay laikin is sorat main keh haram main mubtila hone ka khoof ho ya kisi mard ko (hath or chehra) dikhana haram main mubtila karne k irade se ho tu in dono soorto main in ko chupana wajib hay. (Ref: Touzehul masael, maslah#2399)

Note: Hijab ki mazeed tafseel k liay is link per click kaarain.(http://ur.wikishia.net/view/%D8%AD%D8%AC%D8%A7%D8%A8)
[Updated on 27-Apr-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
107813
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-08-04

Question: mea sawal hay k aurat agar mehram logon kay sath hay tu jisam kay kitany hisay ka perdah hay ?

Answer: Auraton k liay apne mehram mardo se perda karna wajib nahi hai, Jo mard aur aurat aapas mai mehram hon agar wo lazzat ki niyat na rakhtay hon aur haram mai parhnay ka khof na ho to sharmgah ke elawa aik dosre ka pora jism dekh sakte hain.(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 2401)
[Updated on 04-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
108054
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2020-08-17

Question: AoA , kia orat par parda krna lazmi ha, or agr vo parda na kra to kia os ka Baap ya Bhai os pa zorzbrdasti kr skta ha ka vo parda kra

Answer: Jee bilkul aurat k liye parda karna laazmi hai or amar bil maroof or nahi anil munkir k tehat baap or bhai aap ko parde k liye keh sakte hai or aap ko bhi chahye k parda karein kyun k pardah na kar k aap khuda ki naraazgi ka sabab bun rahi hai.(Ref:https://www.sistani.org/urdu/qa/01746/).

[Updated on 17-Aug-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
110302
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2020-09-08

Question: Kia mamo apni bhanji ko bhosa day sakta hai ya hathoo ko choom sakta hai?

Answer: Bhanji mehram hain or bagair shewat ky on ko choona ya onka boosa laina jaiz hay .(Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 3, Mafhoom e Maslah #12,16)
[Updated on 08-Sep-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
110376
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-10-19

Question: Quran majeed ki knsi surat me or ayat num knsi hai jaha ourat ko parde ka hukum diya gaya hai?

Answer: Aurtoon k liay perday ka hokum quran main Sorah e noor (sorah #24) ki ayat# 31 aur 60 main hay. (Ref: quran: Sorah e Noor ayat#31).
[Updated on 19-Oct-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
110416
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-09-30

Question: Assalamualaikum sir main ye pochna chahthi hon ka jo aj kal mahol ho gaya hai Pakistan main i mean modern apko maloom ho ga tu kya hum agat chadar la kar bahir nikaltha hain tu kya hamain phir bhi gunnah hai?

Answer: 1)Aurat ko chahiye ke woh, chehre aur hathon ke ilawa sar ke baal aur apna badan na mehram mard se chupaye aur ahtiyat e lazim yeh hai keh apna badan aur sar ke baal us larky se bhi chupaye jo abhi baligh to na hua ho lekin itna samajhdar ho keh achay aur buray ko samajhta ho aur ahtimal ho keh aurat ke badan par us ki nazar parne se uski jinsi khuwahish bedar ho jayegi, lekin aurat na mehram mard ke samne chehre aur kalaiyon tak hath khulay rakh sakti hai lekin is surat mein keh haram mein mubtala hone ka khauf ho ya kisi mard ko hath aur chehra dikhana haram mein mubtala karne ke iraday se ho to un dono surton mein un ko chupana wajib hai. (Ref: Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani, Tauzeeh ul masail, Masla # 2399).
2)Agar aap mukammal share parda karen or gunah men parhne ka khof nah ho to koi haraj nahin hai.(Ref: Book : Nigaah o lebaas , baab # 4 , sawaal no # 97 , pg # 65)
[Updated on 30-Sep-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
110441
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2020-09-16

Question: Aurat apne pair ka takhna dikha skti hai?

Answer: Jaiz nahi hay.(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Niggah o libas, Q # 6).
[Updated on 16-Sep-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
110452
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2020-09-16

Question: Sir, me bohattt ziyada loose shirts pehenti hun knees Tak or sath loose trousers of dark colors or sath me duppata se ache cover bhi karti hun khud ko .. to Kia phir bhi mere liye gown pehenna lazim he ... kindly answer

Answer: Aurat k liay kaafi hay keh mukammal sharee parde ka, har munasib libas k zarye, na-mehram mard k saamne lehaz kare laikin bila shak chadar parde k umwan se(khas taur per mazhabi jagho par) ziyada qadr o manzilat ki hamil hay. ((Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Niggah o libas, Q # 135).
[Updated on 16-Sep-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
110543
Mujtahid:
Sunni Date: 2023-06-03

Question: Asalamualikum .Myra sawal hai yeh k may oofice may majbori sy kam krti ho or may parda krna shoro kia hai office jaty way abbaya or nikkab pehnti ho or tyar ni ho k jati isi trha ghr may b koshish krti ho k be parda na hon .is bat sy myra shoshar khush ni hai mjy kia krna chahiya?

Answer: Aurat k liay Na-mehram se perdah karna wajib hay. is main shohar ki baat maanna lazim nahi hay.(Ref: tauzihul masael, Ayatullah sistani, maslah#2398).
[Updated on 03-Jun-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
110550
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2020-09-21

Question: Meri bivi sir par dupata ni leti or khulay balon k saat shar main phirti hy, kia ussy na ruka to mujy gunah mily ga, or agar wo na ruky to phir mujy kia karna chaye, shariyat es bary main kia kheti hy

Answer: Aurat par pardah karna wajib hai lehaaza aap ye baat apni zoja ko samjhaye, laikin aap on per jabar nahi kar sakte, haan aap os ko baghair hijab k ghar se bahar janey ki ijazat nah dain. Aurat ko chahye k sar k baal aur apna badan na-mehram mard se chupaey lekin na-mehram mard k samnay chehra aur kalaiyo tak hath khulay rakh sakti hai leikin is surat mai haram mai mubtila honay ka khoaf ho ya kisi mard ko hath or chehra dekhana haram mai mubtila karnay k iraday sai ho to in donoo suratoo mai in ko chupana wajib hai. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 41,Mafhoom e Maslah #2399)
[Updated on 21-Sep-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
110651
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-04-15

Question: Kia tasveer layna yani apni ya kisi dusre ki picture layna islam mai jaiz hai??kisi na mehram ko dikhane k liay ni aur na hi kisi ghlt irade se tsveer layna??

Answer:

photograpy ke zarea photo lena apne ya kise or insaan ke jaaiz hay.
(Ref : Minhaj us salaheen Ayat ullah sistani d.b. part # 2 masla # 18),agar koi mard kise namehram aurat ko pehchaanta ho agar wo beperdah aurato me se na ho tu ehtiyaate wajib ki bina ise is ki tasveer (photo ) nahe daikhna chaaie sewaae chera or haathon k ke inhe daikhna begaire lazzat or haraam me mubtela hone ka khoof na ho tu jaaiz hay.(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 39th edition, maslah #2403). [Updated on 15-Apr-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]








Print

Id:
110872
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Abul Qasim e Khoie Date: 2022-03-14

Question: Sir me doctor bn rhi hon or mera bachpan se shoq he K me PAKISTAN Army ya navy ko join kron as a doctor. Sir ye shoq mujhe shiddat se he. Is it permissible in Islam for a women. Sir plz answer after considering the uniform which women wear in Pakistan army and navy

Answer: Hijab or shariyat k ahkam ki pabandi k sath koe haraj nahi hay.(Ref; https://www.sistani.org/urdu/qa/01869/#18638)
[Updated on 14-Mar-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
110929
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-03-04

Question: Jab ap apnay ghar ky kaam kr rhy hon or hijab na kia hua ho or na chahty huy bh ap per kisi na mehram ke nazar perh jaye tw kia ap gunnah gar hngay?

Answer: Kisi bhi ghair ikhteyari amal amal per shariyat hukum nahi lagati, is liay gunah nahi hoga, (Ref: mujtahid se poche gaey sawalaat, jild#3, pg#65).
[Updated on 04-Mar-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
110993
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-12-03

Question: Humaray fiqh mai Naqab k lye kia hukum dia gaya hy?

Answer: Aurat ko chahiye ke woh, chehre aur hathon ke ilawa sar ke baal aur apna badan na mehram mard se chupaye aur ahtiyat e lazim yeh hai keh apna badan aur sar ke baal us larky se bhi chupaye jo abhi baligh to na hua ho lekin itna samajhdar ho keh achay aur buray ko samajhta ho aur ahtimal ho keh aurat ke badan par us ki nazar parne se uski jinsi khuwahish bedar ho jayegi, lekin aurat na mehram mard ke samne chehre aur kalaiyon tak hath khulay rakh sakti hai lekin is surat mein keh haram mein mubtala hone ka khauf ho ya kisi mard ko hath aur chehra dikhana haram mein mubtala karne ke iraday se ho to un dono surton mein un ko chupana wajib hai. (Ref: Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani, Tauzeeh ul masail,Edition 39th, Masla # 2399).(Note: Hijab ki mazeed tafseel k liay is link per click kaarain.(http://ur.wikishia.net/view/%D8%AD%D8%AC%D8%A7%D8%A8)
[Updated on 03-Dec-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
111012
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2020-10-19

Question: Pardy ka hukam kis hijri me nazil howa?

Answer: Parday ka hukm Maah e ziqaad 4 hijri main aaya.(Ref: http://hamariweb.com/articles/80577)
[Updated on 19-Oct-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
111023
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-12-03

Question: Asslam o alikum, Agar dill asi kafiyat ma ho ka kisi larki ka bara ma koi bura khaya aya lakin hum ya bhe nahi chata ka koi bura khaya aya lakin is ka bawajud aa gay.......matlab mara anko samna kisi larki ki taswir gazra aur ma sharam ka mara hata dun lakin ma phir sa palat jown dill chata ka na dakun laki chata bhee...to is bara islam kia hukam data ha

Answer: Wa alaikum salam, Agar tasweer men khatoon hijab k sath ho our lazat ka irada na ho, or haram me perhny ka khoof nah ho, fitna peda hony ka andisha bhi nah ho to jaiz hay. aur agar khatoon hijab men na ho to shehwat ke sath dekhna jaiz nahin hai.(Ref: Mujtahid se pochay gaye sawalat Part#4 pg#66, sawal #129 ).
[Updated on 03-Dec-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
111078
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Abul Qasim e Khoie Date: 2021-12-01

Question: I m 17 year old r ma parda krna chahti hun r Parna be chahti hun ma abhi 11 ma hun r meri family r frnds r czn ky pass meri unky sath pix ha kia ma parda kr sakti hun?

Answer: 1) Aurat par pardah karna wajib hai, Na mehram aurat ke jism ke kisi hissay ko dekhna haram hai, chahae lazzat k iraday k sath ho ya is k baghair ya chahe haram me mubtila hone khof ho ya na ho. Aurat ko chahye k sar k baal aur apna badan na-mehram mard se chupaey lekin na-mehram mard k samnay chehra aur kalaiyo tak hath khulay rakh sakti hai leikin is surat mai bhi agar haram mai mubtila honay ka khoaf ho ya kisi mard ko hath or chehra dekhana haram mai mubtila karnay k iraday sai ho to in donoo suratoo mai in ko chupana wajib hai. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael, Edition# 41, Mafhoom e Maslah #2397,2399).
2) University aur College me co.education: Agar gunnah aaloud nigahoo ka tabadla nah ho aur haram may mubtila honay ka khoof nah ho to koe haraj nahi laikin is k bawajood ye masla is laiq hay k islami mumalik k zimaydar afraad larkoo aur larkioon k liye alag alag taleemi idaray bananay k liye mansooba bandi karain. (Ref : nigah aur libaas ques # 92 pg # 63).
[Updated on 02-Dec-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
111576
Mujtahid:
Sayyad ayatulla khamenei Date: 2020-11-20

Question: Salamun alaikum ghr me agar namahram h to kya ghar me bhi moza pahna wajib h

Answer: 1) Na-mehram mard ki moujoodghi me aurat k liye aam halaat me apne pairo (foot) ko na-mehram mard se chupana wajib hai. aur isi tarh namaz me bhi apne pairo (foot) ko namehram mard se chapaay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah #777,2399 )
2) Aurat k lye zarori hai k wo (chehra aur kalahiyon tak hatho k elawa) sar k baal aur apna badan namehram mard se chupaye or ihtiyat lazim ye hai k apne badan or sar k bal us larke se bhi chupaye jo abhi baligh na ho klekin itna samjhdar ho k ache or bure ko samjhta ho or ehtamal ho k orat k badan pr uski nazar parne se uski jinsi khwahish bedar hojayegi, laikin orat na-mehram mard k samne chehre or kalaiyon tak hath khule rakh sakti hai lekin is surat men k haram men mubtala hone ka khoof ho ya kise mard ko(hath or chehra) dikhana haram me mubtela karne ke irade se ho to in dono suraton men inko chupana wajib hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 2399)
[Updated on 20-Nov-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
111578
Mujtahid:
Sayyad ayatullah khamenei Date: 2020-11-20

Question: Salamun alaikum ghr me agar namahram h to kya ghar me bhi moza pahna wajib h

Answer: 1) Na-mehram mard ki moujoodghi me aurat ke liye aam halat me apne pairo (foot) ko namehram mard se chupana wajib hai. aur isi tarah namaz ki halat me bhi pne pairo (foot) ko namehram mard se chupaay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Tauzeehul masail 39th edition, maslah #777,2399 ).
2) Aurat k lye zarori hai k wo (chehra aur kalahiyon tak hatho k elawa) sar k baal aur apna badan namehram mard se chupaye or ihtiyat lazim ye hai k apne badan or sar k bal us larke se bhi chupaye jo abhi baligh na howa ho, lekin itna samjhdar ho k ache or bure ko samjhta ho or ehtamal ho k orat k badan pr uski nazar parne se uski jinsi khwahish bedar hojayegi, laikin orat na-mehram mard k samne chehre or kalaiyon tak hath khule rakh sakti hai lekin is surat men k haram men mubtala hone ka khoof ho ya kise mard ko(hath or chehra) dikhana haram me mubtela karne ke irade se ho to in dono suraton men inko chupana wajib hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Tauzeehul masail 39th edition, maslah # 2399)
[Updated on 20-Nov-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
111702
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-11-30

Question: balig bacho ke samne maa ke hijab ka kia huqum hai jisam ke kis hisey ko chupana wajib hai , quran aur hadees aur sistani shab ke fatwa se jawab

Answer: Auraton k liay apne mehram mardo se perda karna wajib nahi hai, Jo mard aur aurat aapas mai mehram hon agar wo lazzat ki niyat na rakhtay hon aur haram mai parhnay ka khof na ho to sharmgah ke elawa aik dosre ka pora jism dekh sakte hain.(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 2401)
[Updated on 30-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
112151
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-12-02

Question: I'm from shia family but my parents are open minded i want to do hijab properly but my parents are getting upset and not talking to me for dping this what should i do

Answer: Aurat par har hal men pardah karna wajib hai. Aurat ko chahye k sar k baal aur apna badan na-mehram mard se chupaey lekin na mehram mard k samnay chehra aur kalaiyon tak hath khulay rakh sakti hai leikin is surat mai haram mai mubtila honay ka khoaf ho ya kisi mard ko hath or chehra dekhana haram mai mubtila karnay k iraday sai ho to in donoo suratoo main chehray aur kalaiyon tak hathon ko chupana wajib hai. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 41,Mafhoom e Maslah #2399).
[Updated on 03-Dec-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
112253
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-12-03

Question: Salam. Kia apnay say chotay cousin say baal chupuna wajib hai jabkay wo baligh bhi ho lkn aap say kafi chota ho ??

Answer: Aihtiyaat e lazim ki bina par apna badan aur aar k Baal us larkay say bhi chupaey jain jo abhi baligh to na hoa ho laikin achay aur buray ko samajhta ho aur aihtimaal ho k aurat kay badan par us ki nazar parhnay say us ki jinsi khwaahish baidaar ho jaey ge, Is k alawa main na-baligh say badan chupana wajib nahi hay. (Ref: Ayatullah Seestani(d.b), Tauzeeh ul masael, Edition# 39, Mafhoom e Maslah #2399).
[Updated on 04-Dec-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
112799
Mujtahid:
Any of Shia Mujtahid Date: 2021-11-23

Question: Assalam-o-Alaikum, aaik question tha mera ky orat ya jawan larki ky lia bhai ya behan ki shadi pr hijjab krna kitna zarori hai , agar wo lrki hijjab krny ka mutalba kry or usky ghar waly mana kr dain ya yee khouf ho ky khandan waly kia kahain gy tww uss lrki ya orat ko ruk jana chahiye? kindly iss question ka reply krna bohat zarori hai... thank you

Answer: 1: Aurat par har hal men pardah karna wajib hai. Aurat ko chahye k sar k baal aur apna badan na-mehram mard se chupaey, lekin na mehram mard k samnay chehra aur kalaiyon tak hath khulay rakh sakti hai leikin is surat mai haram mai mubtila honay ka khoaf ho ya kisi mard ko hath or chehra dekhana haram mai mubtila karnay k iraday sai ho to in donoo suratoo main chehray aur kalaiyon tak hathon ko chupana wajib hai.
2: Mard ke liye Na mehram aurat ke jism ke kisi hissay ko dekhna aur isi tarh un ke balon ko dekhna haram hai, chahe lazzat k iraday k sath ho ya is k baghair ya chahe haram me mubtila hone khof ho ya na ho. Isi tarah aurat k liye bhi na mehram mard k jism per nazar daalna lazzat k irade se aur haram me mubtila hone k sath haram hai balke ehtiyaat e wajib ki bina per lazzat ka irada aur haram me mubtila hone ka khof nah bhi ho tab bhi mard k badan per nigah nahi daalne chahiye laikin agar aurat mard k jism k in hisso maslan sar,dono hath aur dono pindliyo per jinhe umoman mard nahi chupate ,lazzat k irade k beghair nazar daale aur haram me mubtila hone ka khof na ho to koe haraj nahi hay..(Ref: Ayatllah Seestani(d.b), Tauzeeh ul masael, Edition# 42, Maslah #2399,2397).
[Updated on 23-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
113587
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-11-22

Question: AoA kya shohar kay kahana pay bivi ka hijab utarna jaiz hay ager nai to majbori may ager bivi hijab utaray shohar kay kahana pay to iska kya mamla hoga shariat may.

Answer: Jee nahin, jaiz nahin hai. Biwi ko is lihaz se apne shohar ki itaat karna zaroori nahin hai. Aurat par har hal men pardah karna wajib hai. Aurat ko chahye k sar k baal aur apna badan na-mehram mard se chupaey lekin na mehram mard k samnay chehra aur kalaiyon tak hath khulay rakh sakti hai leikin is surat mai haram mai mubtila honay ka khoaf ho ya kisi mard ko hath or chehra dekhana haram mai mubtila karnay k iraday sai ho to in donoo suratoo main chehray aur kalaiyon tak hathon ko chupana wajib hai.
(Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Tauzeeh ul masael, Edition #42, Maslah #2399).
[Updated on 23-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
114011
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-11-22

Question: Assalam o aliekum sie mujhai abhi kch time hua hai parda start kiyai huai ma na mehram k samnai majboori k tehat ya kabhi kam k silsilay ma ajti hoon lekin apna face or head cover karkai. Mujau puchna yeh hai kai jab rishtay walai ayain dekhnai or apko is cheez ka ilm na ho kai koi namehram bhi ayega or ajayain to ma samnai nai arai thi mama nani k khnai par kai ab wo agayaihain jabkai hamarai ilmma yeh tha kai sirf ladies ayengi lekin koi na mehram sath ajayi to unkai samnai ana kesa ha kai ab wo agyai thay dekhnai or rehtedar thay door kai to rishtedari ka masla tha yani meri doorkicousin k susrak walai thay unkibat khrab hoti to ana parra ma light makep ma thi sir par dupatta tha parbal nazar arhay thay agay sa to yeh kia gunah ka sabab banega?

Answer: Chehre ka parda kerna wajib nahin hay yani chehra kholnay ki ijazat hay agar mekup nah kia howa ho to balky agar halka mekup kia howa ho tab bhi jaiz hay. Lekin balon ka parda wajib hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Tauzeeh ul masael, Edition #42, Mafhoom e Maslah #2399).
[Updated on 23-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
114089
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-11-22

Question: Kia chehre ka parda karna ma mehram k samne jaiz hai? Aur gown nahi pehnti ma lkn kaprey shalwar kameez pehnti hoon aur sar per scarf krti hoon kia yeh theek hai ya mujhe gown hi pehna chaiye?

Answer: Chehre ka parda karna wajib nahin hay yani agar mekup nah kia howa ho to chehra kholnay ki ijazat hay balky agar halka mekup kia howa ho tab bhi jaiz hay.
Aurat k lye zaroori hai k wo (chehra aur kalahiyon tak hatho k elawa) sar k baal aur apna badan namehram mard se chupaye or ihtiyat lazim ye hai k apne badan or sar k bal us larke se bhi chupaye jo abhi baligh na ho klekin itna samjhdar ho k ache or bure ko samjhta ho or ehtamal ho k orat k badan pr uski nazar parne se uski jinsi khwahish bedar hojayegi, laikin orat na-mehram mard k samne chehre or kalaiyon tak hath khule rakh sakti hai lekin is surat men k haram men mubtala hone ka khoof ho ya kise mard ko(hath or chehra) dikhana haram me mubtela karne ke irade se ho to in dono suraton men inko chupana wajib hai. Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Tauzeeh ul masael, Edition #42, Mafhoom e Maslah #2399).
[Updated on 22-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
114776
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-09-17

Question: Bhai ka apni behn ko hath lagana aur uske shohar k saamne bosa dena jaiz hai ya nahi?! Shariyat k aitebar se barah-e-karam rehnumai farmayen.

Answer: Jawan mard ke liye jaiz hai ke wo piyar o muhabbat ke tour par apni jawan behan ko bosa dai, hath lagaye. aur agar yehi bosa, hath lagana shewat ka bais banay to jaiz nahin ho ga.
(Ref : Jadeed Fiqhi Masail, Ayatullah Sistani(d.b), Maslah #468, pg #254).
[Updated on 17-Sep-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
114893
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-08-30

Question: Kya husband ki death ke baad iddat ke dauran, sasur, jeth aur devar ke samne ja sakte hain?

Answer: Agar koe aurat baywah ho jaay to qamri (Chaand k lihaaz say) 4 mahinay or 10 din iddat rakhay.
Chahe uske shohar ne us se Jima(Intercourse) kiya ho ya nah kiya ho dono sorton men Iddat e wafat rakhay gi.
Jo aurat wafaat ki iddat main ho os k liye rang baranga libaas(colour full dress) pehenna, surmah lagana or is terah dosray aisay kaam kerna jo zeenat main shumaar hotay hon, haram hain or dosray nikah say bhi roki rahay, laikin ghar say bahar nikalna haram nahin hay.
(Ref: Tauzeeh ul masael, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Mafhoom e Maslah #2481,2482).
(Note: Mehram afraad jese (baap, dada, or susar) ke samne to wese hi (bager parde ke) ja sakti hai lekin ne mehram afrad jese (jeth, dewar or cousin) ke samne ke liye Agar mukammal sharaei parda kiya howa ho or gunah men parhne ka khof bhi nah ho to ja sakti hai.
aur Ghar se bahir jana bhi mana nahin hai. (Ref: Nigah o libaas, sawal #97, pg #65).
[Updated on 30-Aug-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
115197
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-07-02

Question: Is it permissible for a young woman to travel with her (milk) brother to Umrah as her Mahram?. Can they both stay and sleep in the same room of the hotel there?. What is the awrah of a woman in front of her foster (milk) Mahram?

Answer: razaai bhai aap ka mehram hai or mehram se pardah karna zarori nahe hai .or agar behaikne (ghumra hone ) ka khouf na ho tu aik sath aise jagha rehsakte hai jaha koi na ho. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 2427,2398,2408)
[Updated on 02-Jul-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
115344
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-07-07

Question: Kia larki ka sutaile baap se parda ka kia hukm hai jb k wo bachpan se hi sutaile baap k sath ho.

Answer: agar larki ke sutaila baap ne larki ki mah ke sath shadi karne ke baad us se jima bhi kia hai tu larki ka sutaila baap larki ka mehram hojaata hai aur mehram se pardah karna zaroori nahin hai. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2351,https://www.sistani.org/urdu/qa/01746/ , ques #3).
[Updated on 07-Jul-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
115860
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-08-11

Question: namahram ko kiss krna or uska mere jism pr hath lgana zina ha? or kia saza ha?

Answer: Na mehram aurat k jism k kisi hissay ko choona ya os ka bosa(kiss) laina ya gale lagana haram hai, chahae lazzat k iraday k sath ho ya is k baghair aur chahay baad mai shadi hi Q nah karni ho or bas shachay dilsay khuda kay hozoor toba karan. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 2397).
[Updated on 11-Aug-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
115914
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-08-16

Question: Agr ma apny chehry yani chin py bht chota sa til tattoo krwaoun to kya phr mujhy is til ko na mehram sy chupnana hoga?

Answer: Tattoo banana jaiz hai magar: 1) wuzoo ya ghusl k liye pani puhnchnay main rukawat na ho. 2) gunah main parhnay ka khof na ho. 3) tattoo sai galat aqaid ki tarweej na ho. 4) Allah ka nam ya quran ki koi ayat na ho. 5) Aurat k liye agar zeenat shumar ho to na mehram sai chupana wajib hai. (Ref : email rec from ayatollah sistani d.b. dated July 9, 2012).
[Updated on 16-Aug-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
115917
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-08-16

Question: Biwi iddat mein shohar ki photo dekhna chahe

Answer: talaaq rejhe yani wo talaaq jis me mard iddat ke duraan ruju kar ke aurat ko dobara apne biwi bana sakta hai ki iddat me aurat iddat khatam hone se phele tak us mard ki biwi hai ( or miah biwi aik dosere ki tasveer deikh sakte hai) ( hah iddat khatam ho jane wo aurat mard aapas me namehram hojaate hai )
or talaaq baain yani wo talaaq jis me mard ko ruju ka haqq nahe hota (is me talaaq ke baad aurat or mard aapas me namehram ho jaate hai )or agar lazzat ke irade or haram me mubtela hone ke khouf ke beghair ho or kise fasaad ka bais bhi na ho or tasveer me namehram mard ne apne jisam ke wo hisse zaahir na kie ho jinhr aam tour se mard chupate hain tu namehram aurat ke lie aise mard ki tasveer daikhna upper bataai ghe sharaait ke sath jaiz hai .(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah # 2486,2508,2397,nigaa or libaas jild :1,pg:38,45).
[Updated on 16-Aug-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
115936
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-02-26

Question: Kya 2 larkiyan 1 dosry k sath akaily mai lait skti hai?

Answer: Agar do larkion ka khalwat (tanahai) men hone se haraam (ghunah) men mubtela hone ka khauf mojud ho to jaiz nahin hai. lekin Agar Haram (ghunah) men mubtela hone ka khauf nah ho to jaiz hai.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, mafhoom e maslah #2402,2409. + Nigah Aur Libas, mafhoom e sawal #25, pg #33).
[Updated on 26-Feb-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
116086
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-02-21

Question: Mera y swal ha k mery shadi Australia me hoe ha Pakistan se.mera susral mery nand susar or sas ha.wo both Azad khyal family ha sir.jb k mery family prda kerny wali ha.mery husband mujhy waha ki dressing kerwty ha.jb k mene start me inkar kia to mera Ghar hi khrb honey lga tha.is waja se mene husband ki bat man li or jo dress wo khty ha like jeans short everyone me wear kerty ho.mery husband or mery susral waly wese both hi achy ha.har trha se care kerty ha.mera swl y ha k kia me glt ker rhy ho.ya husband ka hukm manna sahi ha.

Answer: nahi is maamlay mai shohar ki baat nahi maani jaaye gi kyun k parda karna wajib hai lehaa aap par laazim hai k shohar k baat na maanay or wajib parday ka khayal rakhein.
albatta agar ghar mai koi na mehram nahi hai jese k aap ne bataya k sirf susar saas or nand hai tou aap k liyeh jaaiz tou hojaaye ga lekin agar maloom ho k agar haraam nigah ka mojib hoga yeh libaas pehenna tou jaiz nhi hoga.(Ref:https://www.sistani.org/urdu/qa/01746/).

[Updated on 22-Feb-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
120521
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-07-05

Question: Assalamualaikum. Kya bap ka apni beti pe hd se zyada nazr rkhna sahi h? Use har bat pe rok tok krna sahi h? Beti qirdar ki bht achi h jhan mngni ki whin shadi kregi lekin uske bawajud bap uspe nazr rkhta h uspe har waqt cheekhta h gusse me rehta kya ye sahi h? Ese me beti kya kre?

Answer: Parday or hijab ya na mehram se baat, cheet or rawabit ke silsile me baap agar beti par aam halat se ziyada sakhti dikhaye is tarah se ke aurat ka na mehram mard ke samne chehre ki golayei aur kalayei tak hathon ke alawa tamam badan or baal chupana mukammal hijaab hai agar baap itni miqdar tak keh raha hai or beti is miqdar se kam badan chupati ho to is soorat me apne baap ki baat par amal karna wajib hai, lekin agar baap is miqdar se ziyada hijaab chahte hon to beti ke liye baap ki itaat wajib nahin hai magar ye ke baap ke hukum me do pehlo hon 1. baap ki beti se muhabat, shafqat or hamdardi ho, 2. beti ka apne baap ki nafarmani karna ranj or takleef ka sabab ho, to aisi soorat me aisa amal karna chahiye ke baap ranjeeda na ho.
(Ref: Nigah or Libaas, sawal #131, pg #82,83).
(Note: Wajibaat anjam dene aur muharmaat tark karne me waldain ki itaat haqeeqat me khuda e taala ki itaat shumar ki jati hai aur us par amal karna wajib hai).
[Updated on 06-Jul-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
120543
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-07-19

Question: aurton ka kinse parda karn lazmi hai or parda kese kre

Answer: 1: Zail me bayan kiye gaye mehram afrad ke alawa tamam na mehram mardon se
parda karna zaroori hai.
Aik aurat ke mehram afrad hain:- 1. Baap, dada aur jis qadar ye silsila upar chala jaye. Bhai, Beta, Chachu, Mamu, Bhatija, bhanja, Susar. 2. Aurat ka Chachu, or Mamu or isi tarah maan, baap, dada dadi or nana nani ke Chachu, or Mamu aur jis qadar ye silsila upar chala jaye, ye sab aurat ke mehram hote hain. 3. Shohar ka baap, dada isi tarah nana aur jis qadar ye silsila upar chala jaye, aur shohar ka beta, pota, nawasa aur jis qadar ye silsila niche chala jaye, chahe wo nikah ke waqt dunia men maujood hon ya baad men paida hon ye sab biwi ke mehram hain.
2: Aurat ko chahiye ke woh, chehre aur hathon ke ilawa sar ke baal aur apna badan na mehram mard se chupaye aur ahtiyat e lazim yeh hai keh apna badan aur sar ke baal us larky se bhi chupaye jo abhi baligh to na hua ho lekin itna samajhdar ho keh achay aur buray ko samajhta ho aur ahtimal ho keh aurat ke badan par us ki nazar parne se uski jinsi khuwahish bedar ho jayegi, lekin aurat na mehram mard ke samne chehre aur kalaiyon tak hath khulay rakh sakti hai lekin is surat mein keh haram mein mubtala hone ka khauf ho ya kisi mard ko hath aur chehra dikhana haram mein mubtala karne ke iraday se ho to un dono surton mein un ko chupana wajib hai.
(Ref: Tauzeeh ul Masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, maslah #2349,2353,2354,2399.+ Minhaj us Saleheen, part #3, maslah #90).
[Updated on 20-Jul-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
120574
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-07-22

Question: Namehram ke samne bal khol kar jana kaisa h ,

Answer: Jaiz nahin hai, Q ke Aurat ke liye zaroori hai ke wo apne chehre aur hathon ke ilawa sar ke baal aur apna badan na mehram mard se chupaye aur ahtiyat e lazim yeh hai keh apna badan aur sar ke baal us larky se bhi chupaye jo abhi baligh to na hua ho lekin itna samajhdar ho keh achay aur buray ko samajhta ho aur ahtimal ho keh aurat ke badan par us ki nazar parne se uski jinsi khuwahish bedar ho jayegi, lekin aurat na mehram mard ke samne chehre aur kalaiyon tak hath khulay rakh sakti hai lekin is surat mein keh haram mein mubtala hone ka khauf ho ya kisi mard ko hath aur chehra dikhana haram mein mubtala karne ke iraday se ho to un dono surton mein un ko chupana wajib hai.
(Ref: Tauzeeh ul Masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, maslah #2397,2399).
[Updated on 23-Jul-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
120803
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-09-06

Question: 1)Is it permissible for a lady to do job for her bright future or not? 2)As I'm getting opportunity to move abroad so can I go for my career? 3)If professional life doesn't allow you to do pardah or hijab what should I do in that situation?

Answer: In tamam soorton me Agar aurat mukammal sharaei parda kare or gunah men parhne ka khof nah ho to jaiz hai. Q ke Aurat par har hal men pardah karna wajib hai. Aurat ko chahye ke sar ke baal aur apna badan na-mehram mard se chupaey lekin na mehram mard ke samnay chehra aur kalaiyon tak hath khulay rakh sakti hai leikin is surat mai haram mai mubtila honay ka khoaf ho ya kisi mard ko hath or chehra dekhana haram mai mubtila karnay k iraday sai ho to in donoo suratoo main chehray aur kalaiyon tak hathon ko chupana wajib hai. (Ref: Nigah or libaas, sawal #97, pg #65. Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Maslah #2397,2399).
[Updated on 07-Sep-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
120862
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-09-14

Question: Assalamualaikum qari sahab mera naam isra hai or main graduation kr rahi hon main chahti hon study k saath main koi achi job bhi karo jis say main apni gher ki halat bhi thek kr sako kindly koi solution bata dain

Answer: (Note: Is website par fiqh e jafferiya (shia mazhab) ke mutabiq jawabat diye jatay hain).
Agar sharaei parde ka khayal rakha jaey aur lazzat ka irada ya gunah mai mubtila hone ka khoaf nah ho to aurat ke job karne main koi haraj nahin hai, Q ke Aurat par har hal men pardah karna wajib hai. Aurat ko chahye ke sar ke baal aur apna badan na-mehram mard se chupaey lekin na mehram mard ke samnay chehra aur kalaiyon tak hath khulay rakh sakti hai leikin is surat mai haram mai mubtila honay ka khoaf ho ya kisi mard ko hath or chehra dekhana haram mai mubtila karnay k iraday sai ho to in donoo surton main chehray aur kalaiyon tak hathon ko chupana wajib hai.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Maslah #2397,2399. + Nigah or libaas, sawal #97, pg #65).
[Updated on 14-Sep-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
120866
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-09-15

Question: Assalam o Alaikum. I have a fiancee who is studying in a co. university for higher education. Everytime i tell her her to cover her face aur to wear obaya she gets mad and says there is no reference about obaya air niqab and she says that hijab itself is enough. So kindly with the help of references guide me if i am wrong. Is covering face also necessary and wearing obaya while being in na mehrams. JazakAllah

Answer: 1: Aurat par pardah karna wajib hai, Na mehram aurat ke jism ke kisi hissay ko dekhna haram hai, chahae lazzat ke iraday k sath ho ya is k baghair ya chahe haram me mubtila hone khouf ho ya na ho. Aurat ko chahye k sar k baal aur apna badan na-mehram mard se chupaey lekin na-mehram mard k samnay chehra aur kalaiyo tak hath khulay rakh sakti hai leikin is surat mai bhi agar haram mai mubtila honay ka khouf ho ya kisi mard ko hath or chehra dekhana haram mai mubtila karnay ke iraday sai ho to in dono surton main in ko chupana wajib hai.
2: University aur College me co.education Agar gunah aalood nighahon ka tabadla nah ho aur haram main mubtila honay ka khouf nah ho to koe haraj nahi laikin is k bawajood ye masla is laiq hay k islami mumalik k zimaydar afraad larkon aur larkion k liye alag alag taleemi idaray bananay k liye mansooba bandi karain.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Maslah #2397,2399. + Nigah aur libaas, sawal #92, pg #63).
[Updated on 15-Sep-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
120876
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-09-20

Question: Assalamualaikum sir apsy sawal yeh hai ky AGR aik aurat kisi darbar sy apna ilaj fesabeliallah karwati hai 6 hafty or us ky sehat yaab hony ky bad AGR woh bolein ky AP do teen din darbar mein raho or baqi logun ki usi trha madad Kari jesy apki kisi NY ki thi matlb rohani ilaj ky waqt jesy apko sambhala tha kisi or NY to is Surat mein aurat ka ba parda ho jar wahan khidmat karna jaiz ho ga ya nai

Answer: Aurat par pardah karna wajib hai. Aurat ko chahye k sar k baal aur apna badan na-mehram mard se chupaey lekin na-mehram mard k samnay chehra aur kalaiyon tak hath khulay rakh sakti hai leikin is surat mai bhi agar haram mai mubtila honay ka khouf ho ya kisi mard ko hath or chehra dekhana haram mai mubtila karnay ke iraday sai ho to in dono surton main in ko chupana wajib hai. lehaza sharaei parde ki pabandi karte hue or gunah me mubtila hone ke khauf ke bager ye kam jaiz hai.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Maslah #2397,2399).
[Updated on 20-Sep-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
120877
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-09-23

Question: Assalamualaikum sir apsy sawal yeh hai ky AGR aik aurat kisi darbar sy apna ilaj fesabeliallah karwati hai 6 hafty or us ky sehat yaab hony ky bad AGR woh bolein ky AP do teen din darbar mein raho or baqi logun ki usi trha madad Kari jesy apki kisi NY ki thi matlb rohani ilaj ky waqt jesy apko sambhala tha kisi or NY to is Surat mein aurat ka ba parda ho jar wahan khidmat karna jaiz ho ga ya nai

Answer: Is sawal ka jawab de diya gaya hai.
[Updated on 23-Sep-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
120943
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-10-04

Question: islam mai mard ke parde ke huqooq?

Answer: Islam me mardon ke parde (yani jins e mukhalif se irtibaat ki hudood) ke silsile me Surah Noor ayat #30 me bayan hua hai ke: "Aap momin mardon se keh dijiye ke wo apni nigaahen neechi rakha karen aur apni sharamghahon ko bacha kar rakhen, ye un ke liye paakizagi ka baais hai, Allah ko un ke amaal ka yaqinan khoob ilm hai".
Mard or aurat ke darmiyan fitri taur par aik kashish hoti hai jo noye insani ki baqa ke liye zaroori hai or khatarnak bhi hai. islam ne is khuwahish ko fitri or pur aman tariqe se poora karne ki takeed ki hai, jabke is se phelne wali kharbiyon ki raah rokne ki bhi chara jouei ki hai. chunache qudrati taur par ye khuwahish insan me rakhi or qanooni taur par is ko lagaam di. ye lagaam nigah se shuru hoti hai, Q ke fasad ki ibtida bhi nigah se hoti hai. aik nigah, aik tabassum phir bahami guftagu, phir be takallufi. wagera wagera.....
(Ref: https://www.balaghulquran.com/quran-mozooati-ayaat.php?sno=1699&tid=1703&frm= ).
[Updated on 04-Oct-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
121074
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-10-18

Question: Asalam o alaikum Kya islam mai prda krny mai muh kø chupana ka bhi hukam hai?

Answer: Aytullah sistani sahab ke mutabiq Aurat ko chahye k sar k baal aur apna badan na-mehram mard se chupaey lekin na-mehram mard ke samnay chehra aur kalaiyon tak hath khulay rakh sakti hai leikin is surat mai bhi agar haram mai mubtila honay ka khouf ho ya kisi mard ko hath or chehra dekhana haram mai mubtila karnay ke iraday sai ho to in dono surton main in ko chupana wajib hai.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Maslah #2397,2399)
[Updated on 19-Oct-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
121219
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-11-10

Question: Urat parda nh kre to os ki saza kia he

Answer: 1: Aurat par pardah karna wajib hai. (Or wajib per Amal na karne per Aurat gunagaar hoghe),Aurat ko chahye ke sar ke baal aur apna badan na-mehram mard se chupaey lekin na-mehram mard ke samnay chehra aur kalaiyon tak hath khulay rakh sakti hai leikin is surat mai bhi agar haram mai mubtila honay ka khouf ho ya kisi mard ko hath or chehra dekhana haram mai mubtila karnay ke iraday se ho to in dono surton main in ko chupana wajib hai.
2: Paighambar Akram(s.a.w.w) ne farmaya: ya Ali(a.s) jis raat mujhe mairaaj par le jaya gaya mein ne buhat si cheezen dekhi jo aap ke liye bayan karta hon. mein ne apni ummat ki khawateen ko mamooli azaab mein nahin balkay sakht azaab mein mubtila dekha. meri ummat par honay wala azaab mere liye takleef ka sabab bana aur shiddat azaab ki wajah se mein giryaa karne laga. Aap(s.a.w.w) ne farmaya ke mein ne aik aurat ko dekha ke jisay is ke balon ke zariye jahannum ki deewar se latka rakha tha aur is ka bheja ubal raha tha.
Hazrat Zahra(s.a) {wahan maujood thein aur us} ne arz kya aye mere Habib mere meharban Baba jaan us aurat ne konsa gunah kya tha, un ka tareeqa e zindagi kya tha, jis ki wajah se parwardigaar e mutaal ne un par is tarah ke azaab ko musallat kiya, Paighambar e Islaam(s.a.w.w) ne farmaya: Beti woh aurat apne sar ke balon ko logon se nahin chupati thi aur woh kisi tarah ka parda nahin karti thi.

(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Maslah #2397,2399. + Bihar al anwaar jild #45, pg #218, baab #40, hadees #44. Al-amaali, Sheikh sadooq #115 hadees #3, majlis #24).
[Updated on 11-Nov-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print