Please click the button for Quran o Itrat Academy Whatsapp Channel.
Whatsapp Channel
Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+


Question & Answers << Go Back

Topic: Pardah (Hijab) (114 Questions)


Showing 100- 114 questions from 114 questions on this page.

Answers found for searched words
Id:
121247
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-11-19

Question: Kia be pardah khawateen k badan ko dekhna jaiz hay?

Answer: Woh be pardah aurtain jinhen agar koi pardah karne ke liye kahe to us ko ahmiyat na deti hon, un ke badan ki taraf dekhne men agar lazzat ka qasd aur haram men mubtila hone ka khauf na ho to koi ishkaal nahin. Is hukm men kaafir aur ghair kaafir aurton men koi farq nahin hai. Isi tarah un ke hath, chehre aur jism ke deegar hisse jinhen chhupaane ki woh aadi nahin, koi farq nahin hai.
Mujtehideen is baat ki wazahat karte hay ke shak or lazzat ki niyat se aurton ko daikhna haraam hay or lazzat ki nigah ka matlab ye hay ke in ki taraf shehwat ki nazar se daikha jaaye or shak ki nigah ka matlab ye hay ke fail e haraam me mubtila hone ka khouf ho.
Jo aurtain be hijabi se ruke jaane se nahin ruktien in aurton ke chehre, hatheliyon or un aazaa (jisam ke hisso) ko daikhna jaiz hay jo aam tour par nahin chhupatien is shart ke sath ke jinsi lazzat ki nigah se na daikha jaaye or daikhne wale ka fail e haraam me mubtila hone ka khatra bhi na ho lekin un aazaa ko daikhna jaaiz nahin jinhen (wo aurtain) mamool ke khilaaf sirf kuch aurtain zaahir karti hain.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2398.+ Jadeed Fiqhi Masail, Ayatullah Sistani(d.b), maslah #458,459).
[Updated on 19-Nov-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
121480
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-01-03

Question: Assalamo alaikum sir agar shalwar ke puhcho pe design ESA bna ho jis se tangein nazar aein to kya esy kapry pehanna islam me jayaz hai ya nhi?

Answer: Aisa libaas pehenna to jaiz hai lekin na mehram se chupana wajib hai yahan tak ke pairon ka chupana bhi wajib hai is tarah se ke maslan paon me mauze (Socks) pehenne se chupaya jaa sakta hai.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Maslah #2397,2399).
[Updated on 04-Jan-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id:
121557
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-01-17

Question: Aurat par kis Omar mai parda lazim hai

Answer: Larki 9 qamari (chand waly) saal poore karne ke baad balig hoti hai. aur jab baliq aur aaqil ho jaaye to is par namaz, roza, parda aur dosray sharaei ahkaam wajib ho jate hain.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2215,2397).
[Updated on 18-Jan-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
121892
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-04-04

Question: ASSALAM O ALAIKUM Mera Question ye hai ke kya bra(breezer) na pehny sy gunah milta hai ya ni??

Answer: Aurat k lie zaroori hai k chehray aur hathoo ki kalahiyon (palms) k alawa sar k baal aur badan na-mehram mard sai chupay. Laikin aurat na-mehram mard k samne chehra aur kalaiyo(wrist) tak hath khulay rakh sakte hai. Laikin is surat me k haram mai mubtila honay ka khof ho ya kisi mard ko dekhana haram me mubtila karne k irade sai ho to phir hath aur chehray ko chupana wajib hai.
Hijab ke lie badan or baalo ka chupana aise ke zenat shumaar na ho kafi hay hay or badan ke nashaebo faraaz zahir na ho.
Note: agar mukammal sharhe pardah horaha brezar ke bagaire tu is ke zarorat nahe .
(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #2399,Sistani. Org, Urdu, topic :pardah , sawaal no :19
[Updated on 04-Apr-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
121999
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-04-19

Question: Meri mangni hui hy jis larki ky sath wo is rishty sy kuch saal pehley sy ek jaga job karti hy wese wo koi galat jaga nh na ee wo kuch galat kr rhi hy lkn mera dil nahi maan raha k shadi tk wo job karey main chahta hoon filhal wo ghr pr rahey jab tak shadi ho job chor dey lkn wo nahi maan rahi meri bat is pr bht misunderstanding ho rahi hy hamary beech, kya karna chahiye?

Answer: (Note: Is website par fiqh e jafferiya (shia mazhab) ke mutabiq jawabat diye jatay hain).

1: Agar sharaei parde ka khayal rakha jaye aur lazzat ka irada ya gunah me mubtila hone ke khoaf bhi nah ho aur jahan job kar rahi hai wo jagh bhi sahi ho aur jo kam kiya jaa raha hai shariyat ki nigah me wo kam sahi ho to us larki ke wajan job karne main koi haraj nahin hai, aur aap bhi use job chorne par majboor nahin kar sakte
2: Sharaei parda ye us larki ko chahye ke sar ke baal aur apna badan na-mehram mard se chupaye lekin na mehram mard ke samnay chehra aur kalaiyon tak hath khulay rakh sakti hai leikin is surat me haram me mubtila honay ka khoaf ho ya kisi mard ko hath or chehra dekhana haram me mubtila karne ke irade se ho to in donoo surton main chehre aur kalaiyon tak hathon ko chupana wajib hai.
3: Auraton ke liye makeup karna jaiz hai lekin makeup karne ke baad na-mehram mard se apna pura chehra chupana wajib hai, lekin agar makeup buhat mamoli ho aur zahir na ho to phir makeup karne ke baad chehra chupana wajib nahin hai.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Maslah #2397,2399. + Ref: Nigah or libaas, sawal #97,160, pg #65,96.+ Ref: https://www.sistani.org/urdu/qa/01817/ ).
[Updated on 19-Apr-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
122067
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-05-08

Question: Kya khali kamre mein hijab kie bigar rehe sakte hai?Please tell me my answer

Answer: Na mehram se hijab aur parda karna wajib hai lekin agar wahan koi na mehram maujood nahin hai to hijab karna wajib nahin hai, aur hijab kiye bager bhi reh sakti hain.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Maslah #2397,2399).
[Updated on 09-May-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
122068
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-05-09

Question: Kia ham apny male ustad k samny parda hata skty hain aur kia un sy hum free ho skty hain

Answer: 1: Aurat ke liye zaroori hai ke wo (chehra aur kalahiyon tak hathon ke alawa) sar ke baal aur apna poora badan na-mehram mard se chupaye aur ehtiyat e lazim ye hai ke apne badan aur sar ke baal us larke se bhi chupaye jo abhi baligh na hua ho, lekin itna samjhdar ho ke ache aur bure ko samjhta ho aur ehtamal ho ke aurat ke badan par uski nazar parne se uski jinsi khwahish bedaar ho jaye gi, lekin aurat, na-mehram mard ke samne chehre aur kalaiyon tak hath khule rakh sakti hai lekin is surat men ke haram men mubtala hone ka khauf ho ya kisi mard ko (hath aur chehra) dikhana haram me mubtela karne ke irade se ho to in dono suraton men (hathon aur chehre) ko bhi chupana wajib hai.
2: Na-mehram mard aur aurat apas men aisi batain kar sakte hain jin ka natija kisi akhlaqi fasaad ki surat me na nikal raha ho jabke koi aisi baat bhi nah ki jaa rahi ho ke jis ka kisi ajnabi ke saath kiya jana munasib nahin hota. Isi tarah agar na-mehram mard aur aurat apas ke darmiyan men aisi batain bhi na ki kayen ke jo aik musalman ke shayan e shan nahin hain to koi haraj nahin.
Isi tarah na-mehram ki awaz bhi sunni jaa sakti hai lekin is shart ke sath ke ye lazzat aur shehwat ki niyat se nah suni jaye aur haram me mubtila hone ka bhi khauf na ho.
Aurat ke liye ye jaiz hai ke wo apni awaz na mehram mardon ko sunaye magar ye keh haram kaam men mubtila honay ka khauf ho to is surat me jaiz nahin hai. Albata aurat ki zimme daari bhi hai ke wo apni awaz ko itna khubsurat aur bareek na banaye jo insaan ke jazbaat ko ubharne wali ho. aur agar ghunah me parhne ka khauf ho agarche ahista ahista parhne ka hi khauf Q na ho baat karna jaiz hi nahin hai, isi tarah ger akhlaqi aur mazaq (free ho ke baat karna) me bhi warid hona jaiz nahin hai.

(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2399. + Istiftaat A.Sistani Book-4 Q.No.124,12. + Mujtahid se pochay gaye sawalaat, part #4, sawal #124,127, pg #65,66).
[Updated on 10-May-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
122736
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-08-08

Question: شیعہ مذہب میں چہرا چھپانا واجب ہے ؟

Answer: Fiqh e jafferiya (shia mazhab) me aytullah sistani sahab ke mutabiq, sharaei parda ye hai aurat ke liye apne sar ke baal aur apna tamam badan na-mehram mard se chupana wajib hai lekin na mehram mard ke samnay chehra aur kalaiyon tak hath khulay rakh sakti hai lekin is surat me ke haram me mubtila honay ka khauf ho ya kisi mard ko hath or chehra dekhana haram me mubtila karne ke irade se ho to in dono surton main chehre aur kalaiyon tak hathon ko chupana wajib hai. Isi tarah waise to aurat ke liye makeup karna jaiz hai lekin makeup karne ke baad na-mehram mard se apna pura chehra chupana wajib hai, aur agar makeup buhat mamoli ho aur zahir na ho to phir makeup karne ke baad chehra chupana wajib nahin hai.

(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Maslah #2397,2399. + Nigah or libaas, sawal #97,160, pg #65,96. + website urdu, zeenat, link; https://www.sistani.org/urdu/qa/01817/ ).
[Updated on 09-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
122770
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-08-15

Question: بہن کے شوہر سے پردہ کرنا فرض ہے یا نہیں ؟

Answer: (Note: Is website par fiqh e jafferiya (shia mazhab) ke mutabiq jawabat diye jatay hain).

Jee, behen ka shohar na-mehram hai aur na-mehram se parda karna wajib aur farz hai.
Sharaei parda ye hai aurat ke liye apne sar ke baal aur apna tamam badan na-mehram mard se chupana wajib hai lekin na-mehram mard ke samnay chehra aur kalaiyon tak hath khulay rakh sakti hai lekin is surat me ke Haram me mubtila honay ka khauf ho ya kisi mard ko hath or chehra dekhana Haram me mubtila karne ke irade se ho to in dono surton main chehre aur kalaiyon tak hathon ko chupana wajib hai. Isi tarah agar makeup kiya hua ho to na-mehram mard se apna poora chehra chupana wajib hai, aur agar makeup buhat mamoli ho aur zaahir nah ho to phir chehra chupana wajib nahin hai.

(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Maslah #2397,2399. + Nigah or libaas, sawal #97,160, pg #65,96. + website urdu, zeenat, link; https://www.sistani.org/urdu/qa/01817/ ).
[Updated on 16-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
123042
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-10-12

Question: Kitni umer Kay namehram say aurat ka.parda wajib hay

Answer: Aurat ke zaroori hai ke wo chehre aur hathon ke alawa sar ke baal aur apna badan na-mahram mard se chupaaye aur ehtayaat-e-laazim ye hai ke apna badan aur sar ke baal us larke se bhi chupaaye jo abhi baaligh to na hua ho lekin (itnaa samajhdaar ho ke) ache aur bure ko samajhta ho aur ehtemaal ho ke aurat ke badan par us ki nazr parne se us ki jinsi khawahish bedaar ho jaaye gi. Lekin aurat na-mahram mard ke saamne chehra aur kalaiyon tak hath khule rakh sakti hai lekin is soorat mein ke Haraam mein mubtela hone ka khauf ho ya kisi mard ko (hath aur chehra) dikhana Haraam mein mubtela karne ke iraade se ho to in dono sootron mein chehra aur kalaiyon tak hath chupana bhi waajib hai.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2399).
[Updated on 13-Oct-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
123831
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2024-04-19

Question: Ager larki teacher ho naqab na ker sakte ho to phir woh ghair mehrum.Se perda kese kare jis se Allah naraz na ho or woh easily perha bhi sake

Answer: Khawateen kay liye na mehramoo say chehray aur hatho ki kalahiyon (palms) kay alawa baqi tamam badan aur baloo ka chupana zaroori hay.
(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Mujtahid say pochay gay sawalaat, Book-1 Q.No.140)
[Updated on 20-Apr-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
126124
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2024-03-26

Question: Assalam o alikum kia azan ka waqt aurton ko sir par dupata lana zaroori hn yah nhi?

Answer: Parda na-mehram se karna zaroori hota hai, is ke alawa kisi aur cheez ke liye zaroori nahin nahin hai.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2397,2399).
[Updated on 27-Mar-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
126318
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2024-04-15

Question: kya aurat ko apny chachy, taya yah mamu se parda krna lazim ha

Answer: Na-Mehram se parda karna zaroori hota hai, lekin mehram se parda karna zaroori nahin hai.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2397,2399).
[Updated on 16-Apr-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
126336
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2024-04-17

Question: Kya aurat ghr sy bahir mtlb university main normal kapry kameez aur shalwar pehn kar ja sakti hai?

Answer: Maslah #27. Aurat ka hijaab aur parda - jo ke Quran kareem aur Ahadees ahlbait (a.s) mein bayan hua hai - musallamaat-e-shariat mein se hai aur zarooriyaat-e-deen mein se hai, aur is ki riayat nah karna gunah aur maasiyat samjha jata hai.

Maslah #28. Aurton ke liye behtareen chadar aur hijaab, kaali chadar hai. aur aurton ke liye munasib hai ke woh usay na-mehram ke samnay mukammal aur behtar hijaab ke taur par istemaal karen, agarchay wajib miqdaar chadar ke baghair hi Q nah chhupi huei ho.

Maslah #29. Aurton ke liye sar ke baal aur apne pooray jism (siwaye chehray aur kalayeion se unglion ke suron tak hathon ke) na-mehram mard se chhupana wajib hai.
Albata is baat ka yaqeen karne ke liye ke is ne wajib aaza ko chhupa liya hai, zaroori hai ke woh chehray ke ird gird ka kuch hissa aur kalayeion se kuch neechay tak na-mehram se chupaye.
lehaza sar ke balon, kaan, gala, thhorhi ke neechay ka hissa, hathon (bazuon aur kalayeion) aur peeron hatta ke takhnay se neechay ke pooray hissay ko na-mehram mard se chhupana wajib hai. aur aisa libaas jo sar ke baal ya jism ke mazkoorah aaza ko wajib miqdaar mein nah chupayen, (to aisa libaas) na-mehram ke samnay kaafi nahin hai.

Maslah #30. Aurat ke liye apne chehray aur hathon ko kalayi se le kar unglion ke siron tak chhupana zaroori nahin hai, siwaye teen sooraton mein ke jin mein inhen mehram mardon se bhi chhupana wajib hai:
1. Yeh dar ho ke un hisson ko nah chhupana ghunah mein mubtala honay ka baais banay ga.
2. Un hisson ko nah chhupanay se is ka maqsad, dekhnay walay ko haraam nigah mein mubtala karna ho.
3. Un hisson ko aam taur par aur mamool ke mutabiq nah chhupana, is cheez ka sabab banta ho ke doosron ki tawajah apni taraf ho aur lazzat amaiz nigah parre".

Maslah #31. Na-mehram mardon ke samnay aurton ke hijaab aur parday mein, is cheez ke sath sath ke wajib miqdaar ko dhanpe - jo ke maslah 29 aur 30 mein bayan huei hai. darj zail khususiyaat ka haamil hona zaroori hai:
1. "Patla aur jism numa" nah ho. lehaza aisay kapray pehnana kaafi nahin hai maslan aisa scarf ya bareek mozay jo jism ke baal ya jild ko nah chupatay hon aur inhen numaya karte hon, na-mehram ki samnay kaafi nahin hai.
2. "Tang aur chipka" hua nahin hona chahiye, is tarah se ke aam taur par doosron ki tawajah ko apni taraf mutwajjah karne aur lazzat amaiz nigah ka sabab banta ho. lehaza aisa libaas pehnana jaaiz nahin hai jis se aurat ke jism ke ubhray hue hisse zaahir hotay hon.
3. "Zeenat wala" nahin hona chahiye. lehaza na-mehram ke samnay kisi bhi qism ke libaas bashmool chadar, coat, shalwaar, scarf, mozay waghera jo riwayati taur par rang ya silai ke aitbaar se ya deegar khususiyaat ke lehaaz se "zeenat" walay hon, pehnana jaaiz nahin hain.

Maslah #32. Aurton par wajib hai ke woh apne makeup aur zeenat ko na-mehram se chupayen. lehaza masnoi baal aur whigs, nail polish, haath ki mehndi, aankhon ke rangeen lens, kuch qism ke tattoos ya palken ya masnoi naakhun jaisi cheezen agar mamolan zeenat samjhi jati hon to na-mehram se chhupana lazim hain.
Yeh baat qaabil-e-zikar hai ke zeenat mein se surma lagana, bhanwain banana, chehra ke baal saaf karna, chhalla aur anghutiyaan, choorian aur kangan" mustasna hain, maslah 30 mein mazkoor teen sharait ki riayat ke sath inhen chhupana wajib nahin hai, Albata ehthyat-e-mustahab hai ke yeh zeenat bhi na-mehram se chupayen.

(Ref: Tauzeeh ul masail jaame(farsi), Ayatullah Sistani(d.b), part #4, maslah #27 to 32).
[Updated on 18-Apr-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print