Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+


Question & Answers << Go Back

Topic: Nazr/Qasam/Ahad (515 Questions)


Showing 500- 515 questions from 515 questions on this page.

Answers found for searched words
Id:
123238
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-11-07

Question: Salam alaikum janab mera sawal ye hai ki ek ldka hai usne kaha ki mujhe knowledge nhi thi ke roze ki halat me jaanbooz mani nikalna roza tootta hai lekin usne 15ki age se roze shuru kre hai rkhna but ab wo 20 ki age hai use ye b nhi maloom kitni baar mani nikla ilm na hone ki wjh se wo mani ka dhyaan nhi diya kya usse roze maane jaaenge ya batil ho jaaega agr hoga to kaffara dena pdega? Pls reply fast

Answer: 1: Agar insaan nah janta ho ke fulan cheez rozay ko baatil karti hai aur hukum ke nah janne ki wajah se use anjaam day, to agar woh cheez, khanay, peenay ya jima ke alawa koi aur ho jo rozay ko baatil karti ho, to yahan mein chand soorten banen gi:
1. Agar maslah seekhnay mein kotaahi ki ho (ke is soorat mein jaahil muqassir shumaar hoga) to is ka roza baatil ho jaye ga.
2. Agar maslah seekhnay mein kotaahi nah ki ho aur is cheez ko anjaam dete waqt taraddud mein bhi nah raha ho (ke is soorat mein jaahil qaasir shumaar hoga) to is ka roza sahi hai.
3. Agar insaan rozay ko baatil karne wali cheez ko anjaam dete waqt is ke anjaam dainay ke liye sharaei Hujjat rakhta ho (ke is soorat mein bhi jaahil qaasir shumaar hoga) to is ka roza baatil nahin hoga.

Note pehli soorat mein 15 saal ki umr se 20 saal ki umr tak jitne rozon ke baare mein yaqeen ho ke un rozon is tarah ka kaam kiya tha to wo baatil hain aur un ki qaza karna zaroori hai, lekin kaffara nahin aaye ga. albatta baaqi do soorton me rozay sahi hain.

2: Agar koi shakhs nah janta ho ya bhool gaya ho ke un rozon ki tadad kiya hai to agar wo chhote adad ke hisaab se rozay rakh lay to kaafi hai lekin behtar ye hai ke itne rozay rakhay ke use yaqeen ho jaye ke saare qaza rozay rakh liye hain, misaal ke taur par agar wo bhool jaye ke us ne kitne rozon me is tarah kaam kiya tha jabke use yaqeen ho ke maslan 10 se ziyada nahin aur maslan 15 ke baare mien shak ho to agar 10 rozay rakh lay to kaafi.

(Ref: Tauzeeh ul masail Jaame[farsi], Ayatullah Sistani(d.b), part #2, maslah #138. + Tauzeeh ul masail, edition #42, maslah #1364,1668).
[Updated on 08-Nov-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
123271
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-11-13

Question: Agar koi admi alam PE hath Rakh k Kisi kaam ko na karny ki qasam khaye k nahi karonga or Kuch Saalon k baad dobara kar lay tu Kiya hukum hai

Answer: Jab koi shakhs qasam khaye ke falan kam anjam dega ya falan kam tark karay ga to is qasam ki chand sharaait hain:
1: Qasam khane wala balig or aaqil ho apna irade aur ikhtear se qasam khaye.
2: jis kam ki qasam khai jaye wo haram or makrooh na ho.
3: Qasam men Allah ka aysa naam le jo kisi or k liye istemal na hota ho.
4: qasam ke alfaz zaban par laye.
5: Us qasam par amal karna bhi mumkin ho.

(Note: In sharaait (khaas taur par shart 3) ko madde nazar rakhte hue aap ki qasam durust nahin hai, aap is qasam ki mukhalifat kar sakte hain aur ghunahgar nahin hon gay aur kaffara bhi nahin aaye ga Q ke aap ne Allah ke naam ki qasam nahin khaayei balke alam pe hath rakh ke qasam khayei hai jabke sharaei qasam wo hai jab Allah taala ka maan liya jaye).

(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2633,2634).
[Updated on 14-Nov-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id:
123279
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-11-14

Question: Agr Bv apko Quran Jholi mn rakh kr wasta day k is Quran e Pak ka wast Dosri shadi ni kro gay To isk liay kia hukam hy...? Ya ye kahay k Fulan ko chor do or us say Shadi ni kro gay..

Answer: Shohar agar ko is tarah ka waasta diya jaye to shohar par is pe amal karna zaroori nahin hai. Han, agar shohar Quran ke ehteraan ki khaatir biwi ke is tarah kehne par amal kare to kar sakta hai ye aik alag baat hai.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2633,2634).
[Updated on 15-Nov-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
123349
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-12-14

Question: Asslam-o-alaikum Mera aur mery bhai ka daily ek aurat ki wja sy jhgra hota tha ussy lgta tha mai usky sath zna kiya ha aur mje lgta uss ny kiya ho gaa Ek din gussy mai mai quran pak ly aya uss ny bhi qasm utha lii aur mai ny bhi Dono sachy hon to iss kakaffa ada krna ho gaa ya nahi

Answer: is tareekay ki qasam durust nahin Q ke is me qasam ki sharait moujood nahin lehaaza kaffara nahin hoga.

(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2633,2634).
[Updated on 15-Dec-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
123442
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-12-31

Question: Allah say Wada torny ka kaffara Lkn hamy ye yard nhi ky Wada kerty hua Kia alfaz Kahy thy is pr Kia kaffara Ho ga

Answer: Sharaei wada(ahad) ye hai ke jab koi shakhs Allah se ahad kare ke jab uski koi muayyen sharaei hajat poori ho jayegi to wo fulan kam karega. Albatta ahad men seegha parhna zaroori hai. aur isi tarah is par amal na karne ki soorat men kaffara bhi dena zaroori hoga aur is ka kaffara ka ye hai ke 60 faqeeron ko pet bhar kar khana khilaye ya phir 2 mahine musalsal roze rakhe jayen.

(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2630,2631,2632).
[Updated on 01-Jan-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
123444
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-12-31

Question: Wada Krny ki sharite Jin ki bina pay Wada kiya jay

Answer: Sharaei ahad (jo Allah se kiya jata hai) ki chand sharait hain.
1. Jo shakhs Allah se ahad kare, zaroori hai ke ahad ke alfaaz zaban se ada kare maslan is tarah se ke allah se ahad kare ke jab uski koi muayyan sharaei hajat pooiri ho jaye gi to wo fulan kam karega. faqat dil me niyat kar lene se wo kaam karna wajib nahin hota.
2: Ahad karne wale ke liye zaroori hai ke Baalig, aur Aaqil ho aur apne ikhtiyar aur irade se ahad kare.
3: Ahad me ye zaroori nahin hai keh jis kaam ka ahad kiya jaye woh sharaei taur par acha ho balke is qadr kaafi hai ke shareat me is kaam se na roka gaya ho aur uqala ke nazdeek ba maqsad qarara paaye, lekin aap ne Allah se jo ahad kiya hai wo kaam to sharaei taur par acha bhi nahin hai aur nah hi uqala ke nazdeek ba maqsad hai.
4: Jab koi shakhs Allah se ahad kare aur jaan bhooj kar us ki mukhalifat kare to phir kaffara dena wajib hoga. Allah se kiya hua ahad torne ka kaffara ye hai ke 2 mahine musalsal roze rakhe jayen ya phir 60 faqeeron ko pet bhar kar khana khilaye jaye.

(Ref: Minhaj us Saliheen, Ayatullah Sistani(d.b), part #3, edition #1443 hij, maslah #741,742,744,745).
[Updated on 01-Jan-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
123616
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2024-01-25

Question: Agr koe mujhy Quran Pak ky Saamne lejaky kahy k tumhen ek kaam nae krna hy( wo Ger Mard sy baat krti hy men rokna chah raha hon). Aur wo mujhy Eshara krty huwy kehti quran ki traf kiya mujhy es kasim ko nibhhany ki zaroorat hy? Please Reply

Answer: Agar kisi se zabardasti qasam uthwaayi jaye to ye qasam durust nahin hai Q ke qasam apne irade aur ikhtiyar se khaayi jati hai. aur dusri baat ye ke Quran ki qasam khana bhi sahi nahin hai. aur qasam ke sahi hone ki sharait main se aik shart ye hai Allah ke naam ki qasam khayei jaye lehaza Quran ki qasam sharaei qasam nahin hai. aur us ko nibhana zaroori nahin hai aur ghunah aur kaffara bhi nahin hoga.
(Ref: Tauzeeh ul Masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, Maslah #2634).
[Updated on 26-Jan-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
123644
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2024-03-01

Question: agar koi insaan allah ka wada kry or us wja sa kisi or ko takleef ho tu kia wo wada tor skte hain?

Answer: Iss sawal ki chand qismein hoskti hai:
1. Agr Allah se Ehad / Wada kia hai or apne Allah se Wada krte wqt is tarah ka jumla kaha tha k “Men Allah se Ahad krta hun” to is ahad per amal na krne ki surat men ap gunahgar hen or zaruri hai k kaffara den aur is ka kaffara 60 faqeero ko pait bhar k khana khilaen ya 2 mahine musalsal roze rakhna hai. Lekin Agr apne zaban is tarah ka jumla ada nahi kiya to ap per shareeat ki janib se koi hukm nahi, Yaani yh wada shumar hi nhi hota to torne me koi Harj nhi
2. Agr Allah se Ehad krte hue unhi Alfaaz se Ehad kia hai or uss kaam se kisi ko azziyat horhi ho tb bhi Ehad shumar nhi hota
3. Agr ap ne kisi or shaks se wada kia hai k masln yh kaam zaroor kruga to uss se baat ki ja skti hai lekin berhaal har sorat me kisi Momin ko izziyat phnchana Jaiz nhi hai

(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #2631,2632).
[Updated on 02-Mar-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
123744
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2024-03-17

Question: Assalamualaikum Muj sy Quran Pak utha k Kuch bty Pocho gai Han Jo shak k hawaly sy thi kch suchi thi lkn jhut b thi ...is tra is k kaffara Kesy ada huga ...plzz Mujy bta den...

Answer: Agr Quran e Majeed ki jhoti qasam khai jae to Gunehgar hai lekin kaffara nhi hai.. Parwardigar se sidq e dil se taubah ki jae vo gunaho ko bakshne wala hai.( Tuizi masail ,aqa sistani ,masla no:2632,2633,2637)
[Updated on 18-Mar-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
123755
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2024-03-14

Question: Salam Mera ek sawal tha k agar koi gunah kar k alam PE hath rakh kar jhooti qasam kha kar yaqeen dilaye k uss NY gunah NAHI Kiya but Kiya ho tu uss ka Kiya anjam hai or agar qasam khaye alam PE hath rakh kar k Zindagi mey yeh baat nahi karonga magar b kary tu Kiya anjam hai

Answer: Jhoot bona vese hi gunah e kabira hai khas k alam pe hath rkh k bola jae, iss sorat me gunehgar shumar hoga aur wajib hai k toubah kre.
Agr qasam amdan in alfaaz k zariye khai jae masln k "Mai Allah ki qasam kha kr kehta hn ..." aur vo kaam na kre to zarori hai k kaffara de aur jhooti qasam ka kaffara 1 ghulam azad kre ya 10 faqeero ko pait bhar k khana khilae ya unhe libas jise pehna jaskta ho de aur agr yh nhi krksta to zarori hai k Ramadhan k ilawa musalsal 3 din roza rkhe.
(Ref : Touzih ul Masail Agha Sistani d.b, 39th Edition, Masla No. 2633)
[Updated on 15-Mar-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
123759
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2024-01-31

Question: Kiya Dil mein kahnaye se qasam Hoti hai

Answer: Aisi qasam durust nahin hai Q ke qasam ke alfaz zaban se ada karna zaroori hain.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2633,2634).
[Updated on 01-Feb-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
123804
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2024-03-26

Question: Salam.myra sawal ye hai.k agar koe qasam uthay k wo apny mangytar sy bat nhe kary ge.lykin bad main us ko qasam torne par jay.to is ka kia qafara hai?

Answer: Agar koi shaks shih alfaaz k sath qasam khae or jaanbojh kr apni qasam pr amal na kre to vo gunehgar hai aur zarori hai k das faqeero ko pait bhar k khana khilae ya unhe libas de or agar na krskta ho to zarori hai k 3 din musalsal roza rkhe..
Lkn agar koi shaks galati se ya majbori ya ghaflat ki waja se apni qasam pe amal na kre to uss pr kaffara wajib nhi..
(Reff: Touzih ul Masail Agha Sistani d.b, 39th Edition, Masla No. 2632,2636)
[Updated on 26-Mar-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
123818
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2024-04-17

Question: Mera question ye ha agr meinny gussay mein jazabati ho kr quran ki ksm khali ha ky mein ya kam nhi kru gi Kia mein apni qasam wapis ly skti hu?

Answer: Agar qasam gusse me jaqzbati ho kr khai gai hai to yh qasam shumar nh hoti or aisi qasam ko pora na krne se kaffara bhi lazim nh ata
(Ref: Touzih ul Masail Agha Sistani d.b, 39th Edition, Masla No. 2634)
[Updated on 17-Apr-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
125883
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2024-02-16

Question: A.O.A ma na apni maa sa un ka samny qasam khai thi ka ma ab wo kaam nhi karon ga but ma out of control hon or ma wo kaam karna chahta hon to is ka kia hal ha? ager wo qasam tut gaye to kia hoga?

Answer: Jab koi shakhs qasam khaye ke falan kam anjam dega ya tark karay ga. maslan qasam khaye ke roza rakhe ga ya tambakoo istemal nahin karay ga, to is Qasam ki chand sharaait hain:

1: Qasam khane wala balig or aaqil ho isi tarah apne irade aur ikhtiyar se qasam khaye.
2: Jis kam ki qasam khayei jaye zaroori hai ke wo Haram or makrooh na ho.
3: Allah ke namon me se kisi aisa naam ki qasam khayei jaye jo us zaat ke siwa kisi aur ke liye istemal na hota ho.
4: Qasam ke alfaz zaban par laye.
5: Qasam khane wale ke liye us qasam par amal karna bhi mumkin ho.

(Note: In sharaait ko madde nazar rakhte hue aap ki qasam durust nahin hai, aap is qasam ki mukhalifat kar sakte hain aur ghunahgar nahin hon gay aur kaffara bhi nahin aaye ga Q ke aap ne Allah ke liye qasam nahin khayei jabke sharaei qasam wo hai jab Allah taala ka maan liya jaye aur doosri baat ye ke is qasam par amal karna mumkin nahin hai).

(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2633,2634).
[Updated on 17-Feb-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
126115
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2024-03-26

Question: Aik shaks nay apna aap say kaha keh mari job jis shaks ki waja say howi hai mein us ko apni pay hamesh dayni ki mannat manta hoon . Kya yeh mannt hai .kaya is par kaffara dayna paray ga?

Answer: Jo nazar (mannat) sirf Allah ke liye maani jaye to wo sahi hoti hai aur us ke mutabiq amal karna zaroori hota hai lekin jo nazar (mannat) apne liye ya kisi aur ke liye maani jaye wo sahi nahin hoti hai aur par amal karna bhi zaroori nahin hai, aur kaffara bhi lazim nahin hoga.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, maslah #2603,2604).
[Updated on 26-Mar-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print