Please click the button for Quran o Itrat Academy Whatsapp Channel.
Whatsapp Channel
Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+


Question & Answers << Go Back

Topic: Nazr/Qasam/Ahad (516 Questions)


Showing 450- 500 questions from 516 questions on this page.

Answers found for searched words
Id:
120472
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-06-24

Question: salam mere bhai ki death hogai aur mainy neeat aik ki k mein apny aur bhai k aur abu k qaza rozy rkhunga ga aur zindagi bhr rkhunga aur aik din mainy decide krlyia k is din rkhunga lekin abhi tk main aik bhi roza nhi rkh paya hu is ka kia kaffara hoga

Answer: Bazahir aap ne jo kaha hai is se ye lagta hai ke aap ne na nazar/maani hai, na qasam khai hai or hi koi ahed kiya hai lihaza aap par koi kaffara nahin hoga. Han! Abatta agar aap ke apne qaza roze aap ke zimme hain to un ki qaza baja lana aap par laazim hai or dusri baat ye ke agar aap apne walid sahb ke bare bete hain to aap par walid sahb ke qaza roze or namazen ehtiyat e wajib ki bina par wajib hain lekin agar bare bete nahin hain to walid sahb ke qaza roze or namazen aap par wajib nahin hain.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #1356,1371,1683).
[Updated on 25-Jun-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
120483
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-06-26

Question: Agar koi zabaradasti kisi sa Qasam uthwae or Qasam uthana wala na chahta ho uthana but us admi ko zabardasti us mamla sa jor kar Qasam uthwae jae or wo admi apna nazarya ka mutabiq Qasam uthae tou islam is baara mein kya hukam detaa hai?

Answer: Jo shakhs qasam khaaye zaroori hai ke wo apne iraade aur ikhtayaar se qasam khaaye. Lehaaza us shakhs ka qasam khana jise majboor kiya gaya ho durust nahin hai.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah 2634).
[Updated on 27-Jun-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id:
120488
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-06-27

Question: Kya quran pak me manat puri krny k hawaly sy koi ayat h?

Answer: Jee han, surah rad ayat #20, surah hajj ayat #29, surah insan 7 me manat pori karne ka hukum bayan kiya gaya hai.
(Ref: https://previous.quran.com/ ).
[Updated on 27-Jun-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
120501
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-07-04

Question: Mine ghalti sy ALLAH KI QASM khali hai ek cheez ko chupane k liye takay mai nazar sy bach sakun lekin qasm ghalti sy koun sy nikal gayi us baat ko lekar toh kya ALLAH pak mujhse naraz houjyenge ya woh cheez cheen toh nh lenge ? Qasam wapis lene k liye kya krna houga

Answer: Yeh qasam saheeh nahin hai. Q ke Jab koi qasam khaye ke falan kam anjam dega ya tark karay ga to is tarah ki Qasam ki chand sharaait hain: 1. Qasam khane wala balig or aaqil ho apna irade aur ikhtear se qasam khaye, 2. Jis kam ki qasam khai jaye wo haram or makrooh na ho, 3. Qasam men Allah ka aysa naam le jo kisi or k liye istemal na hota ho, 4. Qasam k alfaz zaban per laye, 5. Us qasam per amal karna mumkin ho. lehaaza agar in sharait men se koi aik bhi shart maujood na ho to ye qasam durust nahin hogi aur na hi aap par kaffara wajib hoga.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Maslah #2633,2634).
[Updated on 05-Jul-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
120511
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-07-04

Question: Assalam o Alaikum Agr aapko koi aapke bht pyare jese aapki maan ki kasam de ghuse men aur kahe ke mere se taluq mat rakhna. Toh is soorat men kia yeh kasam theek maani jaati?

Answer: Yeh qasam saheeh snahin hai. Q ke Jab koi qasam khaye ke falan kam anjam dega ya tark karay ga to is tarah ki Qasam ki chand sharaait hain: 1. Qasam khane wala balig or aaqil ho apna irade aur ikhtear se qasam khaye, 2. Jis kam ki qasam khai jaye wo haram or makrooh na ho, 3. Qasam men Allah ka aysa naam le jo kisi or k liye istemal na hota ho, 4. Qasam k alfaz zaban per laye, 5. Us qasam per amal karna mumkin ho. lehaaza agar in sharait men se koi aik bhi shart maujood na ho to ye qasam durust nahin hogi aur na hi aap par kaffara wajib hoga.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Maslah #2633,2634).
[Updated on 05-Jul-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
120556
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-07-19

Question: Main ny apny dil main yeah pkka irada kia tha k agr meri job Jo jaay tu main usi mosam main 30 rozy rkhn gi. Msla yeah hy k ab mjy yad nhe hy k main ny akthy 30 rozy rkhny ki niyat ki the ya sirf 30 rozon ki. Main boht oreeshan hn k kahe Allah Talah Mj sy naraz na ho jaen agr main ny wqfy wqfy sy rozy rkhny or akthy na rkhy plz iss bary main mjy guide kr dyn

Answer: Aap ka ye amal nazar/mannat kehlayega lekin is men zaroori k zaban se nazar ke alfaz kahe jayen or Allah naam liya jaye lekin chonke aap ne nazar ke alfaz zaban se ada nahi kiye or Allah ka naam nahin liya faqat niyat ki hai to ye nazar sahi nahin hai. lehaza aap par koi zimmedari nahin hai. yani roze rakhna aap par wajib nahin hai.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Mafhoom e Maslah #2604).
[Updated on 20-Jul-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
120579
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-07-26

Question: Maine kassam khaye the k mai ye kaam chodo ga agar nahii choda to mere dost ko mujhe sai door karna aur tauba kiya tha but touaba aur kasam toot gaye abh mai kya karoo Koi rasta hai bachne ka k Allah maaf kare aur dost ko bhi mere pass rakhe

Answer: Jab koi shakhs qasam ki tamam sharait ke sath qasam khaye keh falan kaam anjaam de gaa ya tark kare gaa maslan qasam khaye keh roza rakhe gaa ya tambakoo ko istemaal nahin kare gaa to agar baad mein jaan bhoojh kar us qasam ke khilaaf amal kare to woh gunahgar hai aur zarori hai keh kaffara de.
Qasam ki chand shartein hain:
1. Qasam khane wala balig or aaqil ho or apne irade aur ikhtiyar se qasam khaye,
2. Qasam khane wala Jis kam ki qasam khai jaye zaroori hai ke wo haram or makrooh na ho,
3. Qasam khane wala Qasam men Allah ka aysa naam le jo kisi or ke liye istemal na hota ho,
4. Qasam khane wala Qasam ke alfaz zaban per laye,
5. Us qasam per amal karna mumkin ho. lihaza Agar qasam ke waqt ye tamam sharait maujood hon aur qasam khaye jaye to us qasam pe amal karna zaroori hai. agar baad mein jaan bhoojh kar us qasam ke khilaaf amal kare to woh gunahgar hai aur zaroori hai keh kaffara de, yani das (10) faqeeron ko pait bhar kar khaana khilaye ya unhein libaas pehnaaye aur agar in amaal ko baja na la sakta ho to zaroori hai keh teen(3) din musalsal roze rakhe.
Aur Agar in tamam sharait men se koi aik bhi shart maujood na ho to ye qasam durust nahin hogi aur na hi kaffara wajib hoga.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Maslah #2633,2634).
[Updated on 27-Jul-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
120638
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-08-04

Question: Apne ghar walon ka maan or bharosa qaim rakhne k liye quran par hath rakh k jhoot bol dia ho magar dil mai aisa irada or niyat na ho dil mai Allah se aisa kam karne ki mafi mang rahy hon tou Allah maaf kar deta hai? Kafara kia hoga?

Answer: Quran ki jhooti qasam khana jaiz nahin hai, laikin is jhooti qasam khane ki wajah se kafara wajib nahin hoga. albatta jo jhoot bola hai us ka gunah zaroor milay ga lehaza tauba karna laazmi hai. Aur yaqeenan parwardigar aalam ghafoor o raheem hai maaf farmaye ga.
(Ref: Al masaelul muntakhaba, maslah #1264. + Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2634).
[Updated on 05-Aug-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
120648
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-08-03

Question: Agr ye kha jaye k Allah main ap k samne qsm uthata hon k dobara ye km nhi kron ga r phr qsm tot jaye to kfara kya ho ga

Answer: Jab koi shakhs qasam ki tamam sharait ke sath qasam khaye keh falan kaam anjaam de gaa ya tark kare gaa maslan qasam khaye keh roza rakhe gaa ya tambakoo ko istemaal nahin kare gaa to agar baad mein jaan bhoojh kar us qasam ke khilaaf amal kare to woh gunahgar hai aur zarori hai keh kaffara de. Qasam ki chand shartein hain:
1. Qasam khane wala balig or aaqil ho or apne irade aur ikhtiyar se qasam khaye.
2. Qasam khane wala Jis kam ki qasam khai jaye zaroori hai ke wo haram or makrooh na ho.
3. Qasam khane wala Qasam men Allah ka aysa naam le jo kisi or ke liye istemal na hota ho.
4. Qasam khane wala Qasam ke alfaz zaban per laye.
5. Us qasam per amal karna mumkin ho. lihaza Agar qasam ke waqt ye tamam sharait maujood hon aur qasam khayei jaye to us qasam pe amal karna zaroori hai. agar baad mein jaan bhoojh kar us qasam ke khilaaf amal kare to woh gunahgar hai aur zaroori hai keh kaffara de, yani das (10) faqeeron ko pait bhar kar khaana khilaye ya unhein libaas pehnaaye aur agar in amaal ko baja na la sakta ho to zaroori hai keh teen(3) din musalsal roze rakhe. Aur Agar in tamam sharait men se koi aik bhi shart maujood na ho to ye qasam durust nahin hogi aur na hi kaffara wajib hoga.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Maslah #2633,2634).
[Updated on 04-Aug-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
121022
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-10-09

Question: Aoa Mera mere ak dost na Quran pak pa hath rakh ka baqiyda kasam khiye ha ka wo ak shks sa bat ya rabta nhi krya ga or kuch din bd us na ghusya ma bina sach dekhya wo kasam tor de ha Or use shks sa rabta kiya hova ha jis ka liya kasm khi thi us ki Kiya saza hogi koi kuch aghya msla to nhi ?

Answer: Is tareeqe ki qasam khana durust nahin hai Q ke qasam Allah ke liay khaai jaati hai quran ki qasam nahin khai jaati. lihaaza is qasam par koi gunah ya kaffara nahin hai Q ke ye qasam hi sahi nahin hai.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2633,2634).
[Updated on 10-Oct-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
121067
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-10-18

Question: اسلام علیکم! اگر قسم کہتے ہوئے بس یہی کہا ہو کہ میں قسم کھاتا ہوں اور کسی کا نام نہ لیا ہو تو کیا قسم ہو جائے گی۔ اور کیا قسم کھاتے وقت اللہ پاک کا نام لینا ضروری ہوتا ہے۔

Answer: 1: Is tarah ki qasam sahi nahin hogi.
2: Jee han, Qasam me Allah taala ka naam lena zaroori hai.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2633,2634).
[Updated on 19-Oct-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
121201
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-11-07

Question: Aoa plz answer me . Agr humen beathy beathy khayal aye k humry mind ma ye chal Raha hai k hum nay kisi k liye koi manat Mang li hai liken hum manat us k liye ni magna chaty aur na he mu say asi koi chez boli hai bs mind ma aye aur hum Allah Paak say b bol den k hum nay koi manat ni mangi to kia Jo mind ma ai hai puri krni ho gai??? Plz answer kr den ye baat mind say ni ja ri clear kr den

Answer: Aap ka ye amal nazar ya mannat nahin kehlaye ga Q ke nazar ya mannat men zaroori ke zaban se nazar ke alfaz kahe jayen or Allah taala ka naam liya jaye lekin chonke aap ne nazar ke alfaz zaban se ada nahi kiye or Allah ka naam nahin liya faqat mind me irada kiya hai to ye nazar ya mannat sahi nahin hai. lehaza aap par koi zimmedari nahin hai. yani aap par kuch bhi wajib nahin hai. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Maslah #2604).
[Updated on 08-Nov-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
121281
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-12-02

Question: تھانہ کچہری میں کسی گناہ گار کو بے گناہ کرنے کے لیے جھوٹا قرآن اٹھانا جھوٹی قسم دینا کتنا غلط ہے اور اس کی سزا کیا ہے

Answer: 1: Jhoot bolna hi gunah e kabira hai aur is me agar kisi aisi cheez ki jhooti qasam khayei jaye jis ki azmat buland o baalaa ho jaise ke Allah, Rasool(s.a.w.w), Aimma(a.s), ya Quran ke jis ki agar jhooti qasam khayei jaye to is me shiddat aur barh jati hai.
2: Hazrat Imam Mohammad Baqir(a.s) farmatay hain ke
Hazrat Imam Ali Ibn Abi Taalib(a.s) ki kitaab mein hai ke teen khaslatien aisi hain, jinhen anjaam dainay wala jab tak bura nateeja nah dekh le ga, nahin mare ga, woh zulm, qata reham aur jhooti qisam hai ke jiske zariye yeh khuda se jung karta hai.
3: Khudawand e Mutaal farmata hai:
jhooti qasmain khanay walay ko meri rehmat naseeb nah hogi aur qayamat walay din zaani ko meri qurbat naseeb nah hogi.
3: Kabira gunah se muraad ye hai:
baaz mufassreen ne un gunaahon ko kabira qarar diya hai jin par quran Majeed mein azaab e ellahi ka wada kiya gaya hai.
Isi tarah baaz hazraat ka yeh kehna hai ke gunah e kabira woh gunah hai jis ke irtikaab karne walay par ”had e sharaei“ jari hoti hai. lekin sab se behtar yeh hai ke hum yun kahen ke baaz gunah ko Kabira kehna khud is ke azeem honay par Dalalat karta hai, lehaza jis gunah mein darj zail sharait mein se koi aik shart payei jaye to woh gunah kabira hai:
1. Jin gunaahon par azaab e ellahi ka wada kiya gaya hai.
2. Jin gunaahon ko quran o sunnat mein aham qarar diya gaya hai.
3. Jin gunaaho kon sharaei manaabe mein gunah kabira se bhi azeem qarar diya gaya hai.
4. Jin gunaahon ke baray mein muatabar riwayaat mein kabira honay ki wazahat ki gayei hai.

(Ref: Minhaj us Saliheen, Ayatullah Sistani(d.b), Part #1, Edition #1443 hijri, Maslah #30.
Link: https://makarem.ir/compilation/Reader.aspx?lid=0&mid=70469&catid=0&pid=72684
Link: https://www.makarem.ir/main.aspx?reader=1&pid=62027&lid=4&mid=60134&catid=6478 ).
[Updated on 02-Dec-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
121301
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-12-02

Question: اگر غصّے میں یہ کہہ دیا جائے کے میں تم سے بات نہیں کرو گا اور پھر قرآن پہ ہاتھ رکھ دے تو کیا کرنا ہوگا

Answer: Agar is se aap ki muraad qasam hai to is tareeqe ki qasam khana durust nahin hai Q ke qasam Allah ke liye khayei jaati hai quran ki qasam nahin khai jaati. lihaaza is qasam par koi gunah ya kaffara nahin hai Q ke ye qasam hi sahi nahin hai.

(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2633,2634).
[Updated on 03-Dec-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
121358
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-12-12

Question: Mein ny kisi kaam ko na karny ky liye quran par hath rakh kar kaha hy mein aj ky baad wo kaam naii karooo ga ab mein wo qasam khatam karna chahta hu kesy ho giii

Answer: Ye qasam hi sahi nahin hai Q ke Quran par hath rakh kar qasam khana sahi nahin hai. aur qasam ke sahi hone ki sharait main se aik shart ye hai Allah ke naam ki qasam khayei jaye lihaza Quran ki qasam sharaei qasam nahin hai.

(Ref: Tauzeeh ul Masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, Maslah #2634).
[Updated on 12-Dec-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
121359
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-12-12

Question: میں نے کسی کام کو نہ کرنے کیلۓ قرآن پاک پر ہاتھ رکھ کر کہا تھا کہ میں آج کے بعد وہ کام نہیں کروں گا اب میں وہ قسم ختم کرنا چاہتا ہوں میں اب وہ کام کرناچاہتا ہوں تو اسکے لیۓ کیا کرنا ہو گا

Answer: Ye qasam hi sahi nahin hai Q ke Quran par hath rakh kar qasam khana sahi nahin hai. aur qasam ke sahi hone ki sharait main se aik shart ye hai Allah ke naam ki qasam khayei jaye lihaza Quran ki qasam sharaei qasam nahin hai.

(Ref: Tauzeeh ul Masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, Maslah #2634).
[Updated on 12-Dec-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
121393
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-12-16

Question: Agar mere se koi gunnah ho gaya ho lakin Ab apna rishta bachane k liye mère shohar Mujhe kahein k Quran ki kasam kha k kaho k aysa kuch nahi hua to kya main Ye kasam kha sakti hoon apna rishta Aur izat bachane k liye ?

Answer: (Note: Is website par fiqh e jafferiya (shia mazhab) ke mutabiq jawabat diye jatay hain).
1: Agar pehle tauriya kiya jaa sakta ho to pehle yahi karna hoga aur agar is se bhi maslah hal na ho to jhooti qasam khayei jaa sakti hai. waise aam haalaat men Jhoot bolna (ya jhooti qasam khana) yani wo khabar dena jo haqeeqat mai na ho ye gunah e kabeera hai chahe is se kisi ko nuqsan pohnche ya nah pohnche. Is mai koi faraq nahin ke jhoot mazaq me bola jaye ya sanjeedgi men.
2: Jhoot bolna faqat do maqamaat par jaaiz hai: 1) Apni ya momineen ki jaan bachane ke liye. 2) Do logon men islah karane ke liye.
3: Agar tauriyah kiya jaye to koi haraj nahin hai. tauriyah yani alfaaz ke zaaheri mafhoom ko chhor kar dosray matlab ki niyat karey maslan agar koi zaalim kisi ko aziyat dena chahe aur kisi dosray shakhs se pooche ke kiya tum ne fullan shakhs ko dekha hai? Aur is ne us shakhs ko aik minute pehlay dakha ho to wo kahay ke mein ne use nahin dekha aur qasad (irada) ye karay ke is waqt sai 5 minute pehlay mene use nahin dekha.

(Ref: Minhaj us Saliheen, Ayatullah Sistani(d.b), Part #2, Maslah #38. + sawal o jawab website agha sistani Link: https://www.sistani.org/urdu/qa/01776 . + Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, Maslah #2638).
[Updated on 17-Dec-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
121419
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-12-21

Question: kiya massage per wada kr sakte hain? agar koi kisi se wada kare k wo doabar usy koi cheez nahi bheje ga or us k bad bhi bheje

Answer: 1: Jee han, massage par bhi wada kar sakte hain,
2: Wada khilaafi karna Haram hai aur ehtihyat e lazim ki bana par aisa wada karna bhi Haram hai jis ke shuru se hi wafa nah karne ka qasad ho, Hatta ke ghar walon ke sath bhi aisa wada jaaiz nahin hai.

(Ref: Minhajus Saliheen, Ayatullah Sistani(d.b), part #1, edition #1443 hijri, maslah #30. + link: https://www.sistani.org/urdu/qa/02869/ ).
[Updated on 22-Dec-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
121460
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-12-29

Question: agar aap nai 10-15 martaba bar bar bola ho k Allah ki qasam abh nhi keru gi aaise aur aap se wo qasam toot jati hai tou apko kafara aik martaba dena ho ga ya 10-15 martaba? matlab aap mai 10-15 martaba aik hi waqt mai bola ho k Allah ki kasam nhi ho ga abh aaisa aur kuch din baad apki kasam toot jaye tou aap ko kafara kitni martaba dena ho ga?

Answer: Jab koi shakhs qasam ki tamam sharait ke sath qasam khaye keh falan kaam anjaam de gaa ya tark kare gaa maslan qasam khaye keh roza rakhe gaa ya tambakoo ko istemaal nahin kare gaa to agar baad mein jaan bhoojh kar us qasam ke khilaaf amal kare to woh gunahgar hai aur zarori hai keh kaffara de.

Qasam ki chand shartein hain:
1. Qasam khane wala balig or aaqil ho or apne irade aur ikhtiyar se qasam khaye. lehaza jo qasam jazbaat me khaai jaaye wo durust nahin.
2. Qasam khane wala Jis kam ki qasam khayei jaye zaroori hai ke wo haram or makrooh na ho. lehaza haram ya makrooh kam ki qasam khana durust nahin.
3. Qasam khane wala Qasam men Allah ka aysa naam le jo kisi or ke liye istemal na hota ho.
4. Qasam khane wala Qasam ke alfaaz zaban par laye. lehaza agar qasam ke alfaaz zaban par na laye aur dil hi dil me qasam khaye to ye qasam durust nahin.
5. Us qasam par amal karna mumkin ho. lehaza agar aisi qasam khaye k jis par amal karna mumkin hi na ho to wo qasam durust nahin.

Agar qasam ke waqt ye tamam sharait maujood hon aur qasam khayei jaye to us qasam pe amal karna zaroori hai. agar baad mein jaan bhoojh kar us qasam ke khilaaf amal kare to woh gunahgar hai aur zaroori hai keh kaffara de, yani das (10) faqeeron ko pait bhar kar khaana khilaye ya unhein libaas pehnaaye aur agar in amaal ko baja na la sakta ho to zaroori hai keh teen(3) din musalsal roze rakhe. Aur Agar in tamam sharait men se koi aik bhi shart maujood na ho to ye qasam durust nahin hogi aur na hi kaffara wajib hoga.

(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Maslah #2633,2634).
[Updated on 30-Dec-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
121476
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-01-09

Question: Asslam-u-Aleikum, meera sawaal ya ha k agar koi promise jazbaat ma aak kr liya jae aur baad ma pta chlaee k ya promise deen saa doori ka baees bn rha ha tu kya promise toor saaktae hn ?

Answer: Jee han, torh sakte hain, balke is tarah ka wada karna ke jo deen se munharif hone ka sabab bane ye jaiz nahin hai.

(Ref: Minhajus Saliheen, Ayatullah Sistani(d.b), part #1, edition #1443 hijri, maslah #30. + link: https://www.sistani.org/urdu/qa/02869/ ).
[Updated on 09-Jan-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
121580
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-01-29

Question: Mery shohar mjhsy hlf uthwana chahty hain k mai apny ghar wln sa rabta na rkhn....mry shohar k mry ghr wln k sth kuch personal issues hain jiski wjah sa woh mjhsy hlf uthwa rhy....mai kya krn jabran hlf jaiz hai islam mai?????

Answer: 1: Agar kisi se zabardasti qasam uthwaai jaye to ye qasam durust nahin hai Q ke qasam apne irade aur ikhtiyar se khaayi jati hai.
2: Shohar apni biwi ko ghar se bahir jane se rokne ka haq rakhta hai lekin Shohar ke liye munaasib (behter) hai ke apni biwi ko ijazat de ke wo apne qareebi rishtedaron se mulaqaat kare or us ke khaandaan walon me se jo mareez hain un ki ayaadat kare or apne khaandaan walon ke marhomeen ke janazon me shirkat kare or is tarah ke kaam anjaam de balke shohar ke upper ye (cheez) wajib hai ke ijazat de itni miqdaar me ke (khaandaan waalon ke sath) naiki ka barqaraar rakhna jis ka taqaza karta hai or shohar ko ye haq hasil nahin ke biwi ko (ghar) se nikalne se mana kare jab biwi ka nikalna aise kaam ke liye ho jo biwi par wajib ho (jaise ke biwi ka wajib hajj ke liye nikalna), albatta shohor ko ye haq nahin puhanchta ke wo biwi ko apne walidain se bat cheet karne ya rabta rakhne se roke.
(Ref: Ayatullah Seestani(d.b), Minhajus Saliheen, Part#3, Maslah #337,338).
[Updated on 30-Jan-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
121584
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-01-30

Question: Imamo ki jhooti qasam khana

Answer: Jhoot bolna hi gunah e kabira hai aur is me agar kisi aisi cheez ki jhooti qasam khayei jaye jis ki azmat buland o baalaa ho jaise ke Allah, Rasool(s.a.w.w), Aimma(a.s), ya Quran ke jis ki agar jhooti qasam khayei jaye to is me shiddat aur barh jati hai.
(Ref: Minhaj us Saliheen, Ayatullah Sistani(d.b), Part #1, Edition #1443 hijri, Maslah #30. + Tauzeeh ul Masail, Edition #42, Maslah #2638).
[Updated on 31-Jan-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
121617
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-02-07

Question: Assalam alaikum Mera sawal hai Maine neeyat kee, ki jab bhi me koi makhsoos gunah karunga to 100 rupees sadqa karunga. Kya ye sadqe ke paise me MASJID me de sakta hu.

Answer: Aap ka ye amal nazar/mannat kehlaye ga lekin is men zaroori ke zaban se nazar ke alfaz adaa kiye jayen or Allah ka naam liya jaye lekin chonke aap ne nazar ke alfaz zaban se ada nahi kiye or Allah ka naam nahin liya, faqat niyat ki hai to ye nazar sahi nahin hai. lehaza aap par sadqa dene ki koi zimmedari nahin hai.
(Ref:Minhajus , Ayatullah Sistani(d.b), Edition #1439, maslah #709).
[Updated on 07-Feb-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
121688
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-02-27

Question: agar koi qurat apne husband k samne qasam khai or quran uthai k me ye ye nhi krongi or bad me kahe k me apni qasam wapis leti hon to kia is ka gunah hoga usey?

Answer: Is tareeqe ki qasam khana durust nahin hai Q ke qasam Allah ke liye khayei jaati hai, kisi aur ke liye qasam khana, sharaei qasam nahin kehlati. lihaaza is qasam par koi gunah ya kaffara nahin hai Q ke ye qasam hi sahi nahin hai.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2633,2634).
[Updated on 28-Feb-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
121731
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-02-26

Question: Agar koi banda haiz ki halat ma app ko zabardasti bole quran pak pe hath rakh ke qasam uthao ainda ye kaam ni kro gi to hum un ke dur ki wja se rakh de aur bad ma qasam toor de to kya kaffara ada krna ho ga?

Answer: Agar kisi se zabardasti qasam uthwaai jaye to ye qasam durust nahin hai Q ke qasam apne irade aur ikhtiyar se khaayi jati hai. aur dusri baat ye ke Quran par hath rakh kar qasam khana sahi nahin hai. aur qasam ke sahi hone ki sharait main se aik shart ye hai Allah ke naam ki qasam khayei jaye lihaza Quran ki qasam sharaei qasam nahin hai. aur kaffara bhi nahin hoga.
(Ref: Tauzeeh ul Masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, Maslah #2634).
[Updated on 27-Feb-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
121767
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-05-25

Question: Mainnny quran pak almari main rakha tha is pay hand aur moun kr aur b bht ai dene books rakhi the Allah sy kaha k ak buri adit jo phir ni kron ga but ab Shiad wo mujh sy toot jay g mean phir ho jay g Kia kafara

Answer: Is tarah ki qasam ka koe kaffara nahi hota. (Ref: tauzihul masael, ayatullah sistani, maslah#2333). [Updated on 25-May-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
121777
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-03-01

Question: I made an oath for many times not to do drugs my house members forced me many times to leave this habit and take a oath regarding this. After some time i made a oath putting hand on Quran that i will never repeat this act again. But once i saw on one Islamic website that this oath does not have any value in Islam, that day i did the drugs again and feeling guilty for this act while considering more Islamic websites i found that the oath on Quran has a greater value. What should i do that Allah forgives me.This time i repeated this act by misinformation. I want to take an oath again to make a bridge between the oath and the sin to keep me away from repeating it again.

Answer: 1: Har wo cheez jo mukammal ya juzvi tor par nasha awar ho, chahe solid ho ya liquid, ye sab Haram hain.

2: Qasam ke sahi hone ki chand shartein hain:
1. Qasam khane wala balig or aaqil ho or apne irade aur ikhtiyar se qasam khaye. lehaza jo qasam jazbaat me khaai jaaye wo durust nahin.
2. Qasam khane wala jis kam ki qasam khaye, zaroori hai ke wo haram or makrooh na ho. lehaza haram ya makrooh kam ki qasam khana durust nahin.
3. Qasam khane wala Qasam men Allah ka aysa naam le jo kisi aur ke liye istemal na hota ho, lihaza quran ki qasam khana durust nahin.
4. Qasam khane wala Qasam ke alfaaz zaban par laye. lehaza agar qasam ke alfaaz zaban par na laye aur dil hi dil me qasam khaye to ye qasam durust nahin.
5. Us qasam par amal karna mumkin ho. lehaza agar aisi qasam khaye ke jis par amal karna mumkin hi na ho to wo qasam durust nahin.

(Not: Agar qasam khaate waqt ye tamam sharait maujood hon aur qasam khayei jaye to us qasam pe amal karna zaroori hai. agar baad mein jaan bhoojh kar us qasam ke khilaaf amal kare to woh gunahgar hai aur zaroori hai keh kaffara de, yani das (10) faqeeron ko pait bhar kar khaana khilaye ya unhein libaas pehnaaye aur agar in amaal ko baja na la sakta ho to zaroori hai keh teen(3) din musalsal roze rakhe.
Lekin agar in tamam sharait men se koi aik bhi shart maujood na ho to ye qasam durust nahin hogi aur na hi kaffara wajib hoga.

(Ref: Jadeed Fiqhi Masail, Ayatullah Sistani(d.b), Maslah #164, pg #123. +Tauzeeh ul Masail, Edition #42, Maslah #2633,2634).
[Updated on 02-Mar-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
121784
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-03-02

Question: Me me khyda ki qasm Khai hai ke me ye kam ni kroo ga ab wohii kam krne ka Dil kr raha hai me kia kroo ab??

Answer: Qasam ke sahi hone ki chand shartein hain:
1. Qasam khane wala balig or aaqil ho or apne irade aur ikhtiyar se qasam khaye. lehaza jo qasam jazbaat me khaai jaaye wo durust nahin.
2. Qasam khane wala jis kam ki qasam khaye, zaroori hai ke wo haram or makrooh na ho. lehaza haram ya makrooh kam ki qasam khana durust nahin.
3. Qasam khane wala Qasam men Allah ka aysa naam le jo kisi aur ke liye istemal na hota ho, lihaza quran ki qasam khana durust nahin.
4. Qasam khane wala Qasam ke alfaaz zaban par laye. lehaza agar qasam ke alfaaz zaban par na laye aur dil hi dil me qasam khaye to ye qasam durust nahin.
5. Us qasam par amal karna mumkin ho. lehaza agar aisi qasam khaye ke jis par amal karna mumkin hi na ho to wo qasam durust nahin.

(Not: Agar qasam khaate waqt ye tamam sharait maujood hon aur qasam khayei jaye to us qasam pe amal karna zaroori hai. agar baad mein jaan bhoojh kar us qasam ke khilaaf amal kare to woh gunahgar hoga aur kaffara dena zaroori hoga, yani das (10) faqeeron ko pait bhar kar khaana khilaye ya unhein libaas pehnaaye aur agar in amaal ko baja na la sakta ho to zaroori hai keh teen(3) din musalsal roze rakhe.
Lekin agar in tamam sharait men se koi aik bhi shart maujood na ho to ye qasam durust nahin hogi aur na hi kaffara wajib hoga.

(Ref: Tauzeeh ul Masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Maslah #2633,2634).
[Updated on 03-Mar-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
121792
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-03-04

Question: Assalamualaikum Maina qasam Khai ka ma Friday Wala din is qasam ko Pura karunga Lekin Meri galti ki waja se qasam agla Friday tak Chala gai or maina qasam ko Pura bhi diya to Kya agla Friday tak to is ka koi guna ya kaffara ha. Lekin maina qasam nhi Tori sirf kuch dino ka bad us qasam ko Pura kar diya

Answer: Agar qasam ki tamam sharait ke sath aap ne kisi muayyin jumme ki qasam nahin khayei thi balke aap ke ye qasam khayei thi ke kisi bhi jumme ko qasam par amal karon ga to is surat me chunke aap ne agle jumme ko apni qasam par amal kar diya tha is liye aap gunahgar bhi nahin hon ge aur na hi kaffara wajib hoga.
Aur agar qasam ki tamam sharait ke sath aap ne aik muayyin jumme ki qasam khayei thi to is surat me zaroori tha ke aap usi jumme ko apni khayei huei qasam par amal karte, to chunke aap ne us muayyin jumme ko apni qasam par amal nahin kiya is liye aap gunahgar bhi hon ge aur zaroori hai ke aap qasam torne wala kaffara bhi ada karen. yani das (10) faqeeron ko pait bhar kar khaana khilayen ya unhein libaas pehnayen aur agar in amal ko baja na la sakte hon to zaroori hai keh teen(3) din musalsal roze rakhen.
Lekin agar qasam ki tamam sharait men se koi aik bhi shart maujood na ho to ye qasam durust nahin hogi aur aap gunahgar bhi nahin hon ge aur na hi kaffara wajib hoga.

Qasam ke sahi hone ki chand shartein hain:
1. Qasam khane wala balig or aaqil ho or apne irade aur ikhtiyar se qasam khaye. lehaza jo qasam jazbaat me khaai jaaye wo durust nahin.
2. Qasam khane wala jis kam ki qasam khaye, zaroori hai ke wo haram or makrooh na ho. lehaza haram ya makrooh kam ki qasam khana durust nahin.
3. Qasam khane wala Qasam men Allah ka aysa naam le jo kisi aur ke liye istemal na hota ho, lihaza quran ki qasam khana durust nahin.
4. Qasam khane wala Qasam ke alfaaz zaban par laye. lehaza agar qasam ke alfaaz zaban par na laye aur dil hi dil me qasam khaye to ye qasam durust nahin.
5. Us qasam par amal karna mumkin ho. lehaza agar aisi qasam khaye ke jis par amal karna mumkin hi na ho to wo qasam durust nahin.

(Ref: Minhaj us Saliheen, Ayatullah Sistani(d.b), part #3, edition #1443 hijri, maslah #700). + Tauzeeh ul Masail, Edition #42, Maslah #2633,2634).
[Updated on 05-Mar-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
121805
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-03-16

Question: Maine Allah se wada kiya ki meri mahwari aaye me unsay tb tk bat nahi karungi jb tk wo khud se na kare nge mujhse bat

Answer: Ahad me ye zaroori nahin hai keh jis kaam ka ahad kiya jaye woh sharaei taur par acha ho balke usi qadr kaafi hai ke shareat me is kaam se na roka gaya ho aur uqala ke nazdeek ba maqsad qarara paaye,
lekin aap ne Allah se jo ahad kiya hai wo kaam to sharaei taur par acha bhi nahin hai aur nah hi uqala ke nazdeek ba maqsad hai balke kisi musalman se 3 din se ziyada taluq khatam kar dena ehtiyaat e lazim ki bina par haram hai. lehaza aap ka kiya hua ahad durust nahin hai aur is par amal karna bhi zaroori nahin hai, aur is par amal na karne ki wajah aap par koi kaffara bhi nahin aaye ga.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2630. + link: https://www.sistani.org/urdu/qa/02869/ ).
[Updated on 16-Mar-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
121825
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-03-10

Question: Maine khuda ki kasam khayi par fir usko bhulkar tod diya kya uska kaffara hoga?

Answer: Agar qasam ki tamam sharait ke sath aap ne qasam khayei thi to is surat me zaroori tha ke aap apni khayei hui qasam par amal karte, ab chunke aap ne us qasam par amal nahin kiya is liye aap gunahgar bhi hon ge aur zaroori hai ke aap qasam torne wala kaffara bhi ada karen. yani das (10) faqeeron ko pait bhar kar khaana khilayen ya unhein libaas pehnayen aur agar in amal ko baja na la sakte hon to zaroori hai keh teen din musalsal roze rakhen.
Lekin agar qasam ki tamam sharait men se koi si bhi aik shart maujood na ho to ye qasam durust nahin hogi aur aap gunahgar bhi nahin hon ge aur na hi kaffara wajib hoga.

Qasam ke sahi hone ki chand shartein hain:
1. Qasam khane wala balig or aaqil ho or apne irade aur ikhtiyar se qasam khaye. lehaza jo qasam jazbaat me khaai jaaye wo durust nahin.
2. Qasam khane wala jis kam ki qasam khaye, zaroori hai ke wo haram or makrooh na ho. lehaza haram ya makrooh kam ki qasam khana durust nahin.
3. Qasam khane wala Qasam men Allah ka aisa naam lay jo kisi aur ke liye istemal na hota ho, lihaza quran ki qasam khana durust nahin.
4. Qasam khane wala Qasam ke alfaaz zaban par laye. lehaza agar qasam ke alfaaz zaban par na laye aur dil hi dil me qasam khaye to ye qasam durust nahin.
5. Us qasam par amal karna mumkin ho. lehaza agar aisi qasam khaye ke jis par amal karna mumkin hi na ho to wo qasam durust nahin.

(Ref: Tauzeeh ul Masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Maslah #2633,2634).
[Updated on 11-Mar-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
121895
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-03-24

Question: Mjhy yeah Jana tha m ny dukh m aa k Allah Sy kia wada yeah qasam kia tha k AGR m pura na kru wo wada/qasam tw jis Chez ka mujhy khof h wo ho jy lkin m wada yeah qasam pura nae kr saki lkin m ny wada BHT e ziada jazbat m aa k kia tha ab m BHT dar gae hu kindly btain mjhy Kia karna chaiya q k m BHT ziada sharminda hu apna Rab Sy r magi b BHT mangi h ? Lkin kuch samjh nae AA raha kuch b nae

Answer: Jazbaat me aa kar wada kar lena durust nahin hai aur is tarah ka wada karna baatil hai Q ke wada apne irade aur ikhtiyaar se allah ke liye kiya jata hai, lehaza jo wada jazbaat me kiya jaye wo durust nahin aur is ka kaffara bhi nahi hoga.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2304,2631).
[Updated on 24-Mar-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
121897
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-03-22

Question: Kiya koe shahks azaan ki qasam khaye or sachi qasam khaye ke logon ko yaqeen ajae k usne aesi koe baat nae ki or ye sirf tohmat hai jhuta ilzam hai..Wo Allah ko hazir nazir jan k ye qasam khata hai to kiya ye theek hai?

Answer: Azaan ki qasam baatil hai Q ke qasam Allah ke liye khayei jaati hai lehaza jis qasam Allah ka naam na liya jaye wo qasam durust nahin aur is qasam par amal karna zaroori nahin hai aur amal na karne ki surat me is ka kaffara bhi nahin hoga.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2603,2604).
[Updated on 22-Mar-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
121901
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-03-22

Question: Kiya koe shahks azaan ki qasam khaye or sachi qasam khaye ke logon ko yaqeen ajae k usne aesi koe baat nae ki or ye sirf tohmat hai jhuta ilzam hai..Wo Allah ko hazir nazir jan k ye qasam khata hai to kiya ye theek hai?

Answer: Jawab de diya gaya hai.
[Updated on 22-Mar-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
121918
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-03-24

Question: Mein NY Qasam khayi the r uska Kaffara adda krny ky lye 2 rozy rkhy 3sery din mujhe mensis hogy .. mra roza choot gya... Plz mujhe bta dein ky m ab dobra 3 rozy rkhn ge musalsal ya phr bus ju ek rah gya Hy Wohi rkh lon...

Answer: Jis ko qasam torne ke kaffara taur par musalsal teen (3) din rozay rakhna zaroori hon, use us waqt rozay rakhna shuru nahin karna chahiye ke jab use maloom ho ke darmiyan mein koi aisa din aa jaye ga jis mein roza rakhna Haram hai.
lekin agar us ne saheeh waqt pe rakhna shuru kiye hon, lekin darmiyan mein achanak uzr aa jaye jaise ke haiz ya nifas to uzr ke bar taraf hone ke baad rozon ko dobara shuru se rakhna lazim nahin hai balke uzr bar taraf hone ke baad baghair faaslay ke baqiya rozay baja laa sakti hai.
(Ref: Tauzeeh ul Masail Jaame, Ayatullah Sistani(d.b), Part #2, Maslah #1120,1121).
[Updated on 25-Mar-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
121947
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-03-31

Question: Kiya mannat kay rozay ekhtay rkhnay hain...ya alag alag rkhay ja sktay hain?

Answer: Agar koi amal baja lane ki mannat maani jaye to zaroori hai ke woh amal usi tarah baja laya jaye jis tarah mannat maani gayei hai.
Lihaza rozay pay dar pay (ikathay) rakhna ya alag alag rakhna ye is baat par munhsir hai ke mannat kis tarah se maani thi, agar rozay pay dar pay rakhne ki mannat maani gayei thi to zaroori hai ke pay dar pay rakhay jayen, aur agar rozay pay dar pay rakhne ki mannat nahin maani gayei thi to alag agal rakhe jaa sakte hain.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2615,2616).
[Updated on 01-Apr-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
121961
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-04-04

Question: Agar qasam puri karna ma dar (late) hojai to us ka bhi kaffara hota ha

Answer: Agar qasam ki tamam sharait ke sath kisi muayyin din ki qasam nahin khayei thi balke aap ke ye qasam khayei thi ke kisi bhi din ko qasam par amal karon ga to is surat me aap jis din bhi apni qasam par amal kar denge to aap gunahgar bhi nahin hon ge aur na hi kaffara wajib hoga.
Lekin agar qasam ki tamam sharait ke sath kisi aik muayyin din ki qasam khayei thi to is surat me zaroori tha ke aap usi din ko apni khayei huei qasam par amal karte, to chunke aap ne us muayyin din ko apni qasam par amal nahin kiya is liye aap gunahgar bhi hon ge aur zaroori hai ke aap qasam torne wala kaffara bhi ada karen. yani das (10) faqeeron ko pait bhar kar khaana khilayen ya unhein libaas pehnayen aur agar in amal ko baja na la sakte hon to zaroori hai keh teen(3) din musalsal roze rakhen.
Lekin agar qasam ki tamam sharait men se koi aik bhi shart maujood na ho to ye qasam durust nahin hogi aur aap gunahgar bhi nahin hon ge aur na hi kaffara wajib hoga.

Qasam ke sahi hone ki chand shartein hain:
1. Qasam khane wala balig or aaqil ho or apne irade aur ikhtiyar se qasam khaye. lehaza jo qasam jazbaat me khaai jaaye wo durust nahin.
2. Qasam khane wala jis kam ki qasam khaye, zaroori hai ke wo haram or makrooh na ho. lehaza haram ya makrooh kam ki qasam khana durust nahin.
3. Qasam khane wala Qasam men Allah ka aysa naam le jo kisi aur ke liye istemal na hota ho, lihaza quran ki qasam khana durust nahin.
4. Qasam khane wala Qasam ke alfaaz zaban par laye. lehaza agar qasam ke alfaaz zaban par na laye aur dil hi dil me qasam khaye to ye qasam durust nahin.
5. Us qasam par amal karna mumkin ho. lehaza agar aisi qasam khaye ke jis par amal karna mumkin hi na ho to wo qasam durust nahin.

(Ref: Minhaj us Saliheen, Ayatullah Sistani(d.b), part #3, edition #1443 hijri, maslah #700). + Tauzeeh ul Masail, Edition #42, Maslah #2633,2634).
[Updated on 05-Apr-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
122046
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-04-30

Question: Agar AP ne Quran par haath rakh kr kasam khayi k ab Mai ye kaam nhi karoon ga or phir bhi wo kaam Kiya tu AP Allah se Jese maafi mange?

Answer: Quran par haath rakh kar qasam khayei jaye to ye durust nahin Q ke qasam Allah ke liye khayei jaati hai lehaza jis qasam Allah ka naam na liya jaye wo qasam durust nahin aur is qasam par amal karna zaroori nahin hai aur amal na karne ki surat me is ka kaffara bhi nahin hoga.

(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2603,2604).
[Updated on 01-May-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
122140
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-05-22

Question: Mene mannat mangi thi kisi k liye ki jb tk mera us shakhs se rishta nhi hoga me jb tk Monday Thursday ka roza rkhungi... Lekin ab mera dil nhi h or usse baat bhi nhi hoti itni to kya me roze chhod skti hu plzz bta dein

Answer: Jo nazar (mannat) sirf Allah ke liye maani jaye wo sahi hoti hai aur us ke mutabiq amal karna zaroori hota hai lekin jo nazar (mannat) kisi aur ke liye maani jaye wo sahi nahin hoti hai aur par amal karna bhi zaroori nahin hai.
lihaza aap ke liye rozay rakhna lazim nahin hain.

(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, maslah #2603,2604).
[Updated on 23-May-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
122202
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-06-03

Question: Koi zalim insan agr zbrdsti Quran pr hath rkhwa kr kahe mujhy vote krna or bad m hm ksi or ko vote krain ye kesa hay? Rehnumaee frmaayain

Answer: 1: Agar kisi se zabardasti qasam uthwaayi jaye to ye qasam durust nahin hai Q ke qasam apne irade aur ikhtiyar se khaayi jati hai. aur dusri baat ye ke Quran par hath rakh kar qasam khana bhi sahi nahin hai. aur qasam ke sahi hone ki sharait main se aik shart ye hai Allah ke naam ki qasam khayei jaye lihaza Quran ki qasam sharaei qasam nahin hai. aur ghunah aur kaffara bhi nahin hoga.
2: Koi insaan kisi dusre inssan ko kisi bhi kaam ke silsile me majboor nahin kar sakta lihaza insaan ki marzi hai ke wo jis ko chahe vote kare.

(Ref: Tauzeeh ul Masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, Maslah #2634).
[Updated on 03-Jun-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
122251
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-06-04

Question: Shohar biwi k Sath sex na krne ki kasam kha le tou Islam ic bare main Kiya kehta hai ?

Answer: Agar shohar ne mazaq me ya shaheed gusse (jis me insan ane aape me nahin rehta aur apne hosh o hawas kho bethta hai) ki haalat me aisa kaha hai ya is me Allah ka naam waazeh taur par nahin liya to in tamam surton me nikah par koi asar nahin hoga. or humbistari karna haram nahi hoga.
(Ref: Minhaj-us-Saliheen, Ayatullah Sistani(d.b), Part #3, Maslah #650,651,652).
[Updated on 05-Jun-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
122333
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-06-11

Question: Asalam o alikum ... Agr kisi insan ne sakht ghusse me message par Allah ki kasm kha le ho or uske zehn me kuch bhi na ho us waqt or na he koi paky iraday se kasm khayi gyi ho ke .. ke me ab ap ke sat nhi rahungi jab ke unka nikah na hua ho vo ekhaty nhi rehte hon or aisi kasm kha le ho ke me ab rishta bhi tor dungi magr ghusse me or use achnk se khyl jaiye ke ye to mene ghalt bat krdi to phr kiya karna chahye ?

Answer: Jo qasam ghussay ki haalat ya jazbaat me aa kar khayei jaaye aisi qasam durust nahin hai lehaza is ka kaffara nahin hoga.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Maslah #2634).
[Updated on 12-Jun-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
122409
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-06-20

Question: Talaq ki kasam kaise tode

Answer: Yeh qasam hi durust nahin hai Q Islaam me Talaq dene ko makrooh (na-pasandeedah) shumaar kiya gaya hai aur qasam ki sharaait me se aik shart ye hai jis kaam qasam khayei jaye zaroori hai wo Haram ya Makrooh nah ho. lihaza makrooh amal ki qasam khana durust nahin aur aap par koi sharaei zimmedari nahin hai yani is qasam par amal karna wajib nahin hai aur nah hi aap par koi kaffara aaye ga.

(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Maslah #2634. + link; http://shiastudies.com/ur/1157/%D8%B7%D9%84%D8%A7%D9%82-%D8%AF%D8%B1-%D8%A7%D8%B3%D9%84%D8%A7%D9%85/ ).
[Updated on 21-Jun-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
122494
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-07-04

Question: Agr ham Allah se kia hua waada na nibha saken aur torden aur uska 60 rozon wala kaffara bh ada na karsaken magr toba o astgfar kren tow kia isse gunah maaf hoga?

Answer: 1: Agar aap ne Allah se wada karte waqt (niyat aur dil se nahin) balke zaban se is tarah ka jumla kaha tha ke “Men Allah se Ahad karta hon” to is ahad par amal karna zaroori hai aur amal na karne ki surat men aap gunahgar hoge or kaffara dena zaroori hoga. Lekin agar aap ne zaban is tarah ka jumla ada nahin kiya to aap par shareeat ki janib se koi hukum nahin.

2: Pehli surat me apne waaday par amal nah karne ka kaffara ye hai ke 60 faqeeron ko pait bhar kar khana khilaya jaye ya 2 mahine musalsal roze rakhe jayen ya aik ghulam aazad kiya jaye.
Lekin agar insaan kaffare me in teeno cheezon me se kisi aik ko bhi anjam dene ki qudrat na rakhta ho to zaroori hai 18 roze rakhe jayen aur ehtiyat e mustahab (yani behtar) hai ke aik baad aik bager faasle ke rakhe jayen, aur agar 18 roze bhi nah rakh sakta ho to zaroori hai istighfaar kare.

(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Maslah #2631,2632. + Tauzeeh ul Masail Jaame, Part #2, Edition #1443, Maslah #1126).
[Updated on 05-Jul-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
122539
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-07-09

Question: Kisi ko marhoom walid ki qasam dena par wo insan qasam tod de to iska koi kaffara hai?

Answer: Qasam ke sahi hone ke liye ye shart ye hai ke qasam apne iraday aur ikhtiyar se apne liye khayei jaye lekin jo qasam kisi dusre ko di jaye wo sharaei qasam nahin kehlaye gi aur koi ghunah aur kaffara nahin hai.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2633,2634).
[Updated on 10-Jul-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
122651
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-07-19

Question: Aoa Mera sawal ye ha ka ma ne jazbat ma a ke gusse ma Quran p hath rkh k y qasam khai thi ka ma aik bande SE kbhi bt nai kru gi lekin ab mujhe se us bande SE bt keya bagar guzara nai ho rha tu Kya ma usse bt kr skti hua ab?

Answer: 1: Qasam ki chand shartein hain, aur qasam khaate waqt un pabandi karna zaroori hai warna qasam durust nahin hogi, aur jab durust nah ho to sharaei taur par koi zimme daari bhi nahin aaye gi.

2: Qasam ki sharaait:
1. Qasam khane wala baalig or aaqil ho or apne irade aur ikhtiyar se qasam khaye. lehaza jo qasam jazbaat aur ghusse me khaai jaaye wo durust nahin.
2. Qasam khane wala jis kam ki qasam khayei jaye zaroori hai ke wo haram or makrooh na ho. lehaza haram ya makrooh kam ki qasam khana durust nahin.
3. Qasam khane wala qasam men Allah ka aysa naam le jo kisi or ke liye istemal na hota ho.
4. Qasam khane wala qasam ke alfaaz zaban par laye. lehaza agar qasam ke alfaaz zaban par na laye aur dil hi dil me qasam khaye to ye qasam durust nahin.
5. Us qasam par amal karna mumkin ho. lehaza agar aisi qasam khaye k jis par amal karna mumkin hi na ho to wo qasam durust nahin.

3: Albatta aap aik sharaei masaleh ki mutawajjeh kiya jata hai ke Na-mehram mard aur aurat apas men aisi batain kar sakte hain jin ka natija kisi akhlaqi fasaad ki surat me na nikal raha ho jabke koi aisi baat bhi nah ki jaa rahi ho ke jis ka kisi ajnabi ke saath kiya jana munasib nahin hota.
Na-mehram aurat ki awaz sunna jaiz hai lekin is shart ke sath ke ye lazzat aur shehwat ki niyat se nah suni jaye aur haram me mubtila hone ka bhi khauf na ho.
Aurat ke liye ye jaiz hai ke wo apni awaz na mehram mardon ko sunaye magar ye keh haram kaam me mubtila honay ka khauf ho to is surat me jaiz nahin hai. Albata aurat ki zimmedari bhi hai ke wo apni awaz ko itna khubsurat aur bareek na banaye jo insaan ke jazbaat ko ubharne wali ho. aur agar ghunah me parhne ka khauf ho agarche ahista ahista parhne ka hi khauf Q na ho baat karna jaiz nahin hai, isi tarah ger akhlaqi aur mazaq me bhi warid hona jaiz nahin hai.

(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Maslah #2633,2634. + Mujtahid se pochay gaye sawalaat, part #4, sawal #125,127, pg #65,66).
[Updated on 20-Jul-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
122748
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-08-10

Question: Asslam o alikum Mera swal ye hai Main nay qasam ki thi k main 6 maheenay tak apni bivi se hambestari NAHI Karonga. Wo qasam main nay pori ki Sotay thay aik saat lekin hambestari NAHI ki ab 6 qasam pora Kiya hai aur ham hambestry kartay hai Is se nikah par kush araz para hai Bosa aur aik Sath sotay thay Is k baray main aga kary

Answer: Aap ki ye qasam hi durust nahin hai Q ke Biwi se hambistri ke hawalay se sharaei maslah ye hai ke shohar apni jawaan biwi se 4 mahinay se ziyada muddat(time period) ke liye hambistri tark nahin kar sakta (yani 4 mahinay se ziyada muddat(time period) ke liye hambistri ka tark karna shohar ke liye haram hai). aur qasam ki sharaait me se aik shart ye bhi hai ke jis kam ki qasam khayei jaye zaroori hai ke wo kaam Haram ya Makrooh nah ho, lehaza 4 mahinay se ziyada muddat ke liye hambistri tark karne ki qasam khana durust nahin. lehaz hambistri kar sakte hain, aur nikah par bhi koi asar nahin hoga.

(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Maslah #2382,2634).
[Updated on 11-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
122975
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-12-19

Question: Assalam o alaikum.. Mera sawal ye hy k agr ap koi kam krlein or bad me Allah ki qasam khayen k mene ye kam nhi Kia to iska Kia kaffara hy? Or agr apko yad na ho k apne kitni is trya ki qasmein kha li hn ab to, to Kia kaffara bnyga? Or Kia kafarra dene k bad is jhooti qasam ka gunah ap PR se ht jayga? Or agr ap qasam khayen k ye kam nhi krungi or qasam khany k bad ap krlein wo kam to Kia kaffara hy? Or Kia rishty ko bachany k lye jhooti qasam khana jaiz hy? Jese agr mene koi kam krlia ho or rishta bachany k lye me khuda ki qasam kha kr kahun k mene ye kam nhi Kia hy to Kia ye sahi hy? Or iska Kia kaffara hoga? Mere hr ek sawal ka jawab dijiyga please.. Me bohot pareshan hun jhooti khai hui qasam ka gunah soch soch kr.. Lekin mjbori me khani pr jati hy koi hl nhi hota... Or mera nam show nhi kijiyga please.. Yahan agr mujhy mere sawal ka jawab receive na ho ska agr to please ap se request hy mere email pr bhi jawab de dijiyga mujhy intezar rhyga apky jawab ka.. Shukria

Answer: (Note: Is website par fiqh e jafferiya (shia mazhab) ke mutabiq jawabat diye jatay hain).

1: Is tarah ki jhooti qasmen khane ki wajah se kaffara nahin aata, Albatta jhooti qasmen khana Haram aur ghunah e kabira hai, lehaza is ke liye tauba karna lazim hai. Isi tarah jhoot bolna Haram aur ghunah e kabira hai chahe is se kisi ko nuqsan pohnche ya nah pohnche. Is main koi faraq nahin ke jhoot mazaq main bola jaye ya sanjeedgi main.
2: Jis kisi ne koi ghunah kiya ho to use chahiye ke wo sachay dil se tauba kare. aur Sache dil se tauba karne se Parwardigar e aalam yaqeenan muaf farmaye ga Q parverdigar ne Quran majeed main wada kiya hai ke wo tauba karney walon ki tauba ko qabool karta hai. Aisa hargiz nahin ho sakta ke wo apne waday par amal na karay.

(Ref: Minhaj us Saliheen, Ayatullah Sistani(d.b), part #1, maslah #30. + part #2, maslah #38. + Tauzeeh ul masail, edition #42, maslah #2638. + sawal o jawab website Ayatullah Sistani(d.b), jhoot, Link: https://www.sistani.org/urdu/qa/01776 ). + sawal o jawab website, tauba, link; https://www.sistani.org/urdu/qa/01766/ ).
[Updated on 19-Dec-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
123047
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-10-13

Question: Aoa, Sir ma ny Quran pr hath rak kr apni mother sy qasam khai ky ma cigrete nhi peonga pr ma majbor hun apni addat say koi asaan sa tarika bta dain qasam wapas lainy ka

Answer: Jab koi shakhs qasam khaye ke falan kam anjam dega ya tark karay ga. maslan qasam khaye ke roza rakhe ga ya tambakoo istemal nahin karay ga, Is Qasam ki chand sharaait hain:
1: Qasam khane wala balig or aaqil ho apna irade aur ikhtear se qasam khaye.
2: jis kam ki qasam khai jaye wo haram or makrooh na ho.
3: Qasam men Allah ka aysa naam le jo kisi or k liye istemal na hota ho.
4: qasam ke alfaz zaban par laye.
5: Us qasam par amal karna bhi mumkin ho.

(Note: In sharaait (khaas taur par shart 3 aur 5) ko madde nazar rakhte hue aap ki qasam durust nahin hai, aap is qasam ki mukhalifat kar sakte hain aur ghunahgar nahin hon gay aur kaffara bhi nahin aaye ga Q ke aap ne quran pe hath rakh ke qasam khayei hai jabke sharaei qasam wo hai jab Allah taala ka maan liya jaye aur doosri baat ye ke is qasam par amal karna mumkin nahin hai).

(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2633,2634).
[Updated on 14-Oct-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
123237
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-11-07

Question: Asalam walikum mujhe pe koi musibat i aur maine jald bazi main bibi syeda ki kahani man li ke har mahine parugi jab tak zinda hoon lakin kabhi aisa hota hai banda bhul jata hai phr bad ahdi hoti hai plz jawab dein ke iska kaffara kia hoga agar kahni na parhu tu afatein ati hain buraiyan ati hai bht

Answer: Ye nazar aur mannat sahi nahin hai Q ke jo bhi nazar ya mannat maan raha ho chahe mard ho aurat, zaroori hai ke nazar (mannat) karne wala baligh aur aaqil ho, apne irade aur ikhteyaar k sath mannat mane lehaza aise hi jald bazi aur jazbaat me aakar bager irade aur ikhteyaar ke mannati maani jaye to wo mannat sahi nahin hai. Isi tarah kisi aise kaam ki mannat manna jise anjaam dena mumkin nah ho to bhi mannat sahi nahin hai. Agar mannat mannte waqt qudrat rakhta tha aur baad me aajiz ho jaaye to bhi mannat mana baatil hai. [jab mannat sahi na ho to us ko poora karna zaroori nahin hai aur kaffara bhi nahin aaye ga].

(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2605,2610).
[Updated on 08-Nov-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print