Please click the button for Quran o Itrat Academy Whatsapp Channel.
Whatsapp Channel
Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions:


Question & Answers << Go Back

Topic: Nazr/Qasam/Ahad (517 Questions)


Showing 400- 450 questions from 517 questions on this page.

Answers found for searched words
Id:
112503
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-11-26

Question: Agr ap saa koi wadaa kryy k maa ya kam kroo gaaa or krtaa ho wo kam or aik dfa kisi situation ki wjaa saa wo kam choot jai too kyaa is saa wada toot sktaa?

Answer: Is wade or ahad ki koi sharae hesiat nahin hai. Q k sharae wada(ahad) ye hai k jab koi shakhs Allah se ahad kare k jab uski koi moayyan sharaee hajat puri hojayegi to wo fulan kam karega. Albatta ahad men seegha parhna zaruri hai. Or Isi tarah is per amal na karne ki soorat men kaffara bhi dena zaruri hoga Or is ka kaffara ka ye hai k 60 faqeeron ko pet bhar kar khana khilaye ya phir 2 mahine musalsal roze rakhe..
(Ref: Ayatullah Seestani(d.b), Tauzeeh ul masael, Edition #41st, Maslah #2630,2631,2632)
[Updated on 27-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
112572
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-01-18

Question: Assalam Alaikum Main nay gussay mei apni maa ki qasam kha li thiii ... Aur gussa khatam honay kay baad ehsas hua kay ghalat kiya main nay ... Ub qasam jaiz hai ya najaiz ? Aur iska kufara kya hai?

Answer: Is tarah ki qasam durust nahi hai or koi kaffara nahi hoga albatta agar jhoot shamil tha tou us ka gunah milay ga or is ki tauba laazim hai.(Ref:Tauzeeh ul massail edition 41 ayatullah seestani maslah no 2633-2634)
[Updated on 18-Jan-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id:
112620
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-01-20

Question: Sirf lafz kasm bolna b kya kasm hoti ha ?

Answer: Nnahi, Is tarah ki qasam durust nahi hoti.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 2634).
[Updated on 20-Jan-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
112671
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-01-24

Question: Salamun alykum Mera sawal yeh hai k mannat pe mana gaya roza rkhne k time niyat wajib qurbatan illah hogi ya sunnat kurbatan illalah hogi?

Answer: Agar roza rakhne ki mannat maangi gae ho, tu roza wajib ki niyat se rakha ajey ga. Niyat zabaan ya dil say ada karna zarori nahi hay, faqat us kaam ka iraada kaafi hai. aur niyat men wajib kehna ya sunnat kehna zaroori nahin hai, balke faqat qurbatan ilallah irada hi kaafi hai. (Ref: Tauzeeh ul masail Ayatullah seestani, edition 41st, maslah #930,2615)
[Updated on 25-Jan-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
112705
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-01-22

Question: Aoa Agar kisi chor ki talash k liye 20,25 bandon se quraan pak pe halaf lia jaye to kya ye gunah hy? Agar hy to jis ne halaf ka kaha us ka kaffara kya hy Plz....

Answer: Jee nahi aisi halaf durust nahi hai or is ka koi kaffara b nahi nay.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 2634).
[Updated on 22-Jan-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
112710
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-11-26

Question: Kia jin logo nay qasam khai ho wo bahimi mashwaray kay sath qasam wapis le saktay hain? Jesay mein nay aur meray dost nay qasam khai thi k hum cigeratte nai piyen gay hum donon ye qasam wapis le saktay hain?

Answer: Aise aik dosre ki qasam khana sharaei qasam shumar nahin hoti. balke sharaei qasam wo hoti jo allah ke liye khaye jaye, aur is tarah ki qasam par amal karna zaroori nahin hai.(Ref: Ayatullah Seestani(d.b), Tauzeeh ul masael, Edition #42, Mafhoom e Maslah # 2633-34).
[Updated on 27-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
112714
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-11-26

Question: Aoa main nay apny rishty ko bachany k liya apny hny walay shohar k samny bhhht kasmain khai usny mujsy her tarah ki ksmain uthwai yahan tak kaha k quran ki ksm nabi oak kilsm khana kana ki ksm jhoth bolo tu barbad ho jao ye sb kasmain un batu oe ithwai jo main nay ki thi but reshty ko bavhanay k kiya k jhothi kasmain khai rwdhta tu ni raha lakin en kasmo say bhht dar gai hu kya kru ab ?

Answer: Ye qasam shumaar nahi hogi q k qasam ki sharait mai sai hai k allah k liye qasam khaai jaaye albatta kisi ko raazi karne k liye jhooti qasam khaana jaiz nahin hai aur gunahan e kabeera mai sai hai. Albatta aap ko chahiay k aap tauriyah karain, (tauriyah yani aise alfaaz istemaal karain k jis se wo khuch or samjhain aap ki muraad khuch or ho). (Ref: Tauzeeh ul masail Ayatullah seestani edition 41 maslah #2634,2638)
[Updated on 27-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
113721
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-11-22

Question: agar kisi ne jazbat m aa k mannat mangi ho k falana kam ho jae to m koi cheez Allah ki rah m du ga but ab wo chahta ho k bs wo kam na ho jo mannat mangi h wo Puri na ho to us mannat ka kuffara kya hoga?

Answer: Agar jazbaat me aakar baghair irade ke mannat mane to mannat sahi nahin hai lehaza koi kaffara nahin hoga.
(Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Tauzeeh ul masail edition #42, maslah #2605).
[Updated on 23-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
113883
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-11-22

Question: Asalam o alaikum. Mene qasam khai ti ke me acha kaam nahi krugi ab mujhe pachtawa horaha hai aur me woh acha kaam karna chahti hun to me kasam thor sakti hun ya kaffara dena parega?

Answer: Is Qasam ki koi ahmiyat nahin hai, or sharaei lihaz se sahi nahin hai. lehaza koi kaffara bhi nahin hoga.
(Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Tauzeeh ul masael, Edition #42, Mafhoom e Maslah #2633,2634)
[Updated on 22-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
113904
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-04-02

Question: Mene kesi se quran ki kasam khai thi k mein yeh nahi karungi kyn k uskk shaq tha mere pe. Aj woh mjhy chor k chala gaya hai and woh meri zindagi mein nhi rha. Jab woh hi nahi raha toh kasam hogi? And uss ko khtm krne k liya kya kafara dun and kya maafi mangun?

Answer: Is qasam ki mukalfat jaiz hai, Q k qasam k sahi hone ki sharait main se aik shart ye hai ke Allah ke naam ki qasam khana hay lehaza Quran ki qasam sharaei nahin hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Tauzeeh ul masael, Edition #42, Mafhoom e Maslah #2634).
[Updated on 02-Apr-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
113907
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-04-02

Question: Salam... Meine majboori mei mola ki qasm khali k yeh ab ni krungi or meine kr lia wo kaam ab mjhy kia karna hoga

Answer: Is qasam ki mukalfat jaiz hai, Q k qasam k sahi hone ki sharait main se aik shart ye hai ke Allah ke naam ki qasam khana hay lehaza Maula ki qasam khana ye sharaei qasam nahin hai. Aur aap par koi zamidari nahin.(Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Tauzeeh ul masael, Edition #42, Mafhoom e Maslah #2634).
[Updated on 02-Apr-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
113938
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-11-22

Question: Mne qasm khayi thi me quraan shreef pe hath rakh k qasm khati hu Ali mera shauhr h ar m ali se kbi jhoot nhi bolungi lkn mne quraan shreef pe hath nhi rkha tha ...kya yeh qasm maani jygi??

Answer: Is qasam ki koi sharei hesiyat nahin hai, Q k qasam k sahi hone ki sharait main se aik shart ye hsi ke Allah k naam ki qasam khana hay. lehaza Quran ki qasam sharei nahin hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Tauzeeh ul masael, Edition #42, Mafhoom e Maslah #2634).
[Updated on 22-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
113982
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-11-22

Question: Assalumualaikum mera sawal ye hai ki mene apne aap ko bachane ke liye kuran ki kasam khali ki me jisse mohabbat karti hu me usse kabhi baat nahi karungi or me usse baat karna chahti hu to kasam agar tut jaye to iska kya Kaffara hoga please bataye

Answer: Is tareekay ki qasam durust nahin Q ke is mai qasam ki sharait moujood nahin lehaaza kaffara nahin hoga. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Tauzeeh ul masael, Edition #42, Maslah #2633,2634).
Na-mehram larkay or larki ka apas main doosti kerna or piyaar o muhabbat jaiz nahi hay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Mujtahid Sai Poochay Gay Sawalaat, Part #4, Sawaal# 125).
[Updated on 22-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
114048
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-11-22

Question: Aoa mai 15 sal ka hun aur 7 class mai hun mai na aj koi chez lani thi aur that wala nhi la Kar da raha thy mai ghussa mai thai aur mai na quran pa hath rakh Kar 3, 4 dafa allah aur quran ki qasam kahai ka mai kal tutation nhi junga likin mai na quran ki qasam abi tk nhi tori linkin ab mjy asas ho raha ka mai na galat kia aur mai allah ka samna bohat sharminda hun aur mai kal tutation jana chata hun tu mai ab kya karon reply

Answer: Jo qasam ghussay ki haalat ya jazbaat mai aakar khayi jaaye aisi qasam durust nahin hai.(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2634).
[Updated on 22-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
114125
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-11-22

Question: Mene Apni Gf (Sajmiya Ansari) Ko Uske Abbu Jo ki iss duniya se rukhsati le chuke allah unhe jannat ata kare mene use guuse me uske abbu ki kasam de di ab mei kya karu? jisse mujhe maafi mile

Answer: Is tareekay ki qasam durust nahi hai. lihaza koi kaffara bhi nahin hoga. (Ref: ATauzeeh ul Masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2634).
[Updated on 22-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
114143
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-11-24

Question: Mujhe Qur'an ki kasam ko lekr waswase Aate hain har chhoti baat pe Or phir mein maan b leti hu ke wo kasam ho gyi or wo kaam Karna band krdeti hu Or aise kaam Jo mein chhord nhi Sakti to mein ab kya Karu

Answer: Is qasam ki mukalfat jaiz hai, Q k qasam k sahi hone ki sharait main se aik shart Allah k naam ki qasam khana hay Quran ki qasam sharaei nahin hai.( or aap apne waswaso ki parwa nakare)
(Ref: Tauzeeh ul Masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, Mafhoom e Maslah #2634).
[Updated on 24-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
114272
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-04-17

Question: ma na Quran ki kasam khai te gusa ma k Tum sa nikah nai kru ga ab karna chahta hu... is ka hal ha koi

Answer: ghussay mai qasam khany sai qasam durust nahi hoti.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 2633,2634)
[Updated on 17-Apr-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
114275
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-04-17

Question: Ma na quran ki kasam kahi te k gusa ma k tum sa nikah ni kru ga ..Ab ma krna chahta hu is ka kki hal ha

Answer: ghussay mai khaai howi qasam sharai qasam nahi hai lehaaza nikah kia jaa sakta hai Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 2633-2634).
[Updated on 17-Apr-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
114348
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-04-20

Question: Kia ksi ko apni qasam dena k tm ye kaam kro qasam k zumry main ata ha?? Kyun k qasam khana Allah k elawa islam main shirk haa

Answer: Aise aik dosre ki qasam khana sharaei qasam shumar nahin hoti. balke sharaei qasam wo hoti jo allah ke liye khaye jaye, aur is tarah ki qasam par amal karna zaroori nahin hai. or is tarah ki qasam dene haram nahi hay. (Ref: Tauzeeh ul masael, Ayatullah Seestani(d.b), Edition #42, Mafhoom e Maslah #2633,2634).
[Updated on 20-Apr-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
114373
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-04-21

Question: Quran Shareef par hath rakh kr koi bt bolna lekin kasam nahi khana quran Shareef ki??? Iski mfii kya hai???

Answer: Quran par hath rakh kar qasam khana sahi nahin hai. aur koi gunah bhi nahin hai. lekin gar jhoot kaha ho tu jhoot ka gunah hoga. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Maslah #2633,2634).
[Updated on 21-Apr-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
114763
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-09-21

Question: Salam. I am Sunni Muslim and mene ek bar jazbat me qasam khai ti , us waqt mai ro raha tha aur takleef me tha tho us takleef se bachne k liye mene qasam kha li. To kia is qasam ka kaffara dena hoga?

Answer: Is website per fiqh e jafferiya k mutabiq jawabaat diay jaate hain.

Ye qasam baatil hai Q k qasam apne ikhtiyaar sai allah k liye khaai jaati hai lehaza jo qasam jazbaat mai khaai jaaye wo durust nahin or is ka kaffara bhi nahin hoga.
(Ref: Tauzeeh ul Masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Maslah #2634).
[Updated on 21-Sep-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
114768
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-09-21

Question: Kya Bina bole mann Mai Kuch Allah ki kasam kha Lena for us kaam ko na Karna kya kasam Mani jayegi

Answer: Ye qasam shumar nahin hogi Q ke qasam khane men ye shart hai ke qasam khane wala qasam ke alfaaz zaban par laye.
(Ref: Tauzeeh ul Masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Maslah #2634).
[Updated on 21-Sep-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
114792
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-09-10

Question: mane quran ma hath rakh k kasam khai thy k mne ye bt nai ki or muje yad nai ki mne ki ha k nai.....iska kia kafara huga...?

Answer: Quran par hath rakh kar qasam khana sahi nahin hai. aur koi gunah bhi nahin hai. lekin agar jhoot bola hai tu jhoot ka gunah hoga aur agar jhoot bhi nahin bola to koi gunah nahin hoga.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Maslah #2633,2634).
[Updated on 10-Sep-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
114976
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-06-23

Question: Agr ksi bndy ny meri Qasam khaye or wo ho bhi jhooti to kiya meri jaan ko Khatra ho skta?

Answer: Aise aik dosre ki qasam khana sharaei qasam shumar nahin hoti. balke sharaei qasam wo hoti jo allah ke liye khaye jaye, aur is tarah ki qasam par amal karna zaroori nahin hai. Lekin jo koi Jhooti qasam khata hai to ye aik haram amal hai, or iska kaffara istighfaar hai.
(Ref: Tauzeeh ul masael, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Mafhoom e Maslah #2633,2634,2638).
(Note: Agar koi kisi ki jhooti qasam khaye to is se kisi ko koi nuqsan nahin hota).
[Updated on 23-Jun-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
114992
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-08-25

Question: Aoa mra swal ye h k agr quran pak ki ksam uthae ho ksi bat py guse me a kr or phr wo kam na kr sky to iska kaffara ksi ny btya ta k ak maskeen ko 10 days khana khlado ya 10 maskeen ko ak time khana khla do ...to mny deg bna k data drbar k pas logo me divide krde....kya ye kaffara ada hogya ya nhi .....

Answer: Is qasam ki mukalfat karna jaiz hai, Q ke ye qasam sahi nahin hai aur qasam ke sahi hone ki sharait main se ye hai ke Allah k naam ki qasam khayei jaye lehaza Quran ki qasam khana sharaei qasam nahin hai aur jo qasam ghussay ki haalat ya jazbaat mai aakar khayi jaaye aisi qasam bhi durust nahin hai lehaza is ka kaffara nahin hoga.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Maslah #2634)
[Updated on 25-Aug-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
115176
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-06-24

Question: Agar kisi ko kisi ki qasam de jaey tou kia wo wapis li ja skti hai? Is shak ki bina py k woh banda woh kaam dubara krega

Answer: maktab e jafferia mai aisi qasam ki koi sharai haisiat nahi hai.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 2634).
[Updated on 24-Jun-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
115187
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-07-15

Question: Mene jaldii me Quran ki ksam khae par hath nh rkha tha mujhy kiya Karn chsiye

Answer: Jee nahin, is tariqe ki qasam durust nahin hai Q keh qasam Allah k liay khaai jaati hai quran ki qasam nahin khai jaati. is qasam par koi gunah ya kaffara nahin hai q k ye qasam hi sahi nahin hai. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2633,2634).
[Updated on 15-Jul-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
115398
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-07-08

Question: Main ne jazbat mai. a kr qasam khae k main falan kam nhi krunga kia qasa drust hai agr wo kam main kr lun uska kia hukm haim?

Answer: Maktab e jafferia mai is tarah ki qasam durust nahi hai.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 42 maslah no 2633-2634).
[Updated on 08-Jul-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
115660
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-07-30

Question: Salam ,question ye he k agr kisi se shadi krny ki Quran k samny qasam khai ho r bad me wo shakhs shadi se inkar kr de to usk ilawa r kisi se shadi krny se qasam khnay waly ko gunah hoga?

Answer: Jee nahin, Is tareeqay ki qasam durust nahin hai or aap par koe gunah nahin hai.(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2633,2634).
[Updated on 30-Jul-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
115693
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-08-02

Question: Kya ham kisi insan ke kasam kar saktay hain

Answer: kise insaan ki qasam khana durust nahin hogi q k qasam allah k naamo me se aise naam se hote hai jo us ki zaat ke siwa kise or ke lie istemaal na ho .(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2634).
[Updated on 02-Aug-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
115711
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-08-03

Question: Main ne kasam to nhi khai but m ne ALLAH se wada kiya k mri sis thk ho jay to m ya kam nhi krn ge ab ya wada mjh se pura ni ho rha eska koe kafara ha ya nhi????

Answer: Agar aap ki wada karne se murad Allah se ehad karna hay or apne Allah se wada karte waqt is tarah ka jumla kaha tha k men Allah se ehad karti hun to is ehad per amal na karne ki surat men aap gunahgar hongi or zaroori hai k kaffara den aur is ka kaffara 60 faqeeron ko pait bhar k khana khilaen ya 2 mahine musalsal roze rakhna hai lekin agar aap ne zaban is tarah ka jumla ada nahin kiya to ap per sharieat ki janib se koi hukm nahin hai.(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2631 2632).
[Updated on 03-Aug-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
115776
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-08-07

Question: Menay 1 and half year pehla kasam khai thi masjid ki traf dekh kar kai mai kabi zinidigi mai smoking nai karu ga par 1 and half year kai baad kasam tut gay mujsay ap mujay yeh batai yeh kasam jayaz thi ya is ka koi kafara hai

Answer: Qasam ki sharait men se aik shart ye hai k yuon kaha jaaye k Allah k liye men ye kaam karon ga ya nahin karon ga. Allah k alawa k liay qasam nahin khaee jati. aur isi tarah masjid ki qasam nahin khaee jati. lehaza ye qasam durust nahin hai. aur Qasam sahi na hone ki waja se koi kaffara nahin hota hai. (Ref: Tauzeeh ul Masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Maslah #2633,2634)
[Updated on 07-Aug-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
115841
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-08-11

Question: Salam agha sahib mera ye question hai k jhooti qasam ka kaffara kya h

Answer: Jhooti qasam khana haram or gunah hai, or iska kaffara istighfaar o taubah hai. (Ref: Tauzeeh ul masael, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Maslah #2633,2634,2638).
[Updated on 11-Aug-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
115872
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-03-16

Question: Assalam o Alaikum mera sawal yh hai k muharram k dino mein jo mannat mangi jti h wo gr beth k b mang skty hn ya us k lye imam bargha ya drbar jana lazmi hta h aur jb wo pouri ho to ohr bnda niyaz charha ay ja k

Answer: 1: mannat ya nazar maanghne ki koi jagha maksoos nahe hay .agar mannat ki sharaait moujood hay tu kise bhi jagha mannat maanghe jasakte hay .or jab mannat pure hojaae or mannat ko pura karne ki koi maksoos jagha moiyan na ki ho tu mannat ko kahin bhi pura kia jasakta hay ,koi khaaz jagha jane ki zarorat nahe : sharaait mannat me khuch ye hain:
Nazar(mannat) sirf Allah ke liye maani jati hai or Nazar (mannat) yeh hai ke insaan apne aap par waajib kar le keh Allah Taala ki riza ke liye koi achha kaam karega ya koi aisa kaam tark kar dega jis ka na karna behtar ho. Allah ke alawa kisi aur ke liye mannat manna sahi nahin hai wo mannat sharaei mannat shumar nahin hogi.
2: Nazar(mannat) men seegha parhna zaroori hai magar laazim nahin keh seegha arabi men hi parha jaye lehaaza agar koi shakhs kahe keh “mera mareez sehatiyab ho gaya to Allah (na ke kisi aur) ki khatir mujh par laazim hai keh main 10 rupee faqeer ko don” to us ki mannat sahi hai. Ya yoon kahe keh Allah (na ke kisi aur) ki khatir main ne yeh mannat maani hai to ehtayaat-e-waajib ki bina par zaroori hai keh us par amal kare. Laikin agar Allah ka naam na le sirf yeh kahe keh main ne mannat maani hai ya auliya allah mein se kisi ka naam le to mannat sahi nahin hai. Agar nazar(mannat) sahi ho aur mukallif jaan boojh kar us par amal na kare to gunah hai. aur zaroori hai keh kaffara de yani 10 faqeeron ko pait bhar kar khaana khilaye ya unhen libaas pehnaaye aur agar in amaal ko baja na la sakta ho to zaroori hai ke 3 din musalsal (aik baad aik) roze rakhe.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, maslah #2603,2604).
[Updated on 16-Mar-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
115873
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-03-07

Question: Sir main me washroom m khary ho k ALLAH se wada kiya k main ya kam nhi kron ge or mri help krna es wady ko pura krny main mri sis thek ho jay. Ab mjh se wada pura ni ho rha. Ab ya wada ho ga ya nhi or eska kafara h ya nhi

Answer: Agar aap ki wada karne se murad Allah se ehad karna hay or aap ne Allah se wada karte waqt is tarah ka jumla apni zaban se jaari kiya tha k men Allah se ehad karti hun to is ehad per amal na karne ki surat men aap gunahgar hongi or zaroori hai k kaffara den aur is ka kaffara 60 faqeeron ko pait bhar k khana khilaen ya 2 mahine musalsal roze rakhna hai. lekin agar aap ne zaban is tarah ka jumla ada nahin kiya to aap par sharieat ki janib se koi hukum nahin hai.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2631,2632).
[Updated on 07-Mar-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
115995
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-02-19

Question: Janab Assalam alaikum Mera sawal ye h ki muharram ki 7 tareekh ko yha India me Varanasi me Kuch log k ghar ye rivaz h ki 7 muhrram ko kuch log jo beemar rhte h unke ghar wale mannat mante h ki shifa ho jay to har sal beemar ko emam husain ka fakeer bnayge or wo ja ja kar emam husain ke naam par bheekh mangta h .. Kya bheekh mangna sahi h? Ya ye mannat sahi h?

Answer: Jee nahin ye mannat sahi nahi hai. Q keh agar koi shakhs nazar kare keh koi haram ya makrooh kaam anjaam degaa ya koi wajib ya mustahab kaam tark kar dey ga to us ki mannat sahi nahi hogi.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #44 maslah #2610).
[Updated on 19-Feb-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
116005
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-02-09

Question: Mene masalle ke upar ho ke, allah mi kasam khai he ke me kabu smoking nehi karu fa aaj ke baad, agar mene ye kasam tor di apni marzi se, to me kaise maafi mang sakh ta hu? Kaise me maaf kia jaa sakh ta hu? Iska kia kaffara he

Answer: Jab koi shakhs qasam khaye k falan kam anjam dega ya tark karay ga maslan qasam khaye k roza rakhe ga ya tambakoo istemal nahin karay ga, Is Qasam ki chand sharaait hain:
1. Qasam khane wala balig or aaqil ho apna irade aur ikhtear se qasam khaye,
2. Jis kam ki qasam khai jaye wo haram or makrooh na ho,
3. Qasam men Allah ka aysa naam le jo kisi or k liye istemal na hota ho,
4. Qasam k alfaz zaban per laye,
5. Us qasam per amal karna mumkin ho.
Agar in tamam sharairt ki riyaat karte hoye aap ne qasam khai thi to is qasam ki mukhalifat karne ke soorat men aap gunahgar honge aur kaffara bhi wajib hoga. Aur kaffaray ke taur par zaroori hai k 10 faqeeron ko pait bhar kar khaana khilayen ya unhe poshaak pehnaen, or agar ye na kar sakte hon to zaroori hai k 3 din musalsal rozay rakhen.
Lekin agar in sharait men se koi aik bhi shart mojood na ho to gunahgar bhi nahin honge aur na hi aap par kaffara wajib hoga.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Maslah #2633,2634).
Sab gunah maaf ho saktay hain agar inssan tauba karay tou usay ye yaqeen hona chahiye k parwardigaar e aalam ki rehmat bohat wasee hai wo maaf karne waala hai q k parwardigar nai quran majeed mai wada kia hai k wo tauba karney walon ki tauba ko qabool karta hai aur aisa hargiz nahin ho sakta k wo apne waday par amal na karay haqiqat e tauba gunah ki anjaam dahi per nidamat hay or isi liay kaha gaya hay k nidamat hi tauba hay or waazeh hay rahay k haqiqi nidamat hamesha gunah k tark k mazboot iraday or dobara is ki taraf nah palatnay k iraday k saath hoti hay or haqiqi nadim shakhs zaroor bil zaroor apnay pichlay gunahon ka izala or tadaruk karta hay agar os ka gunah huqooq e khuda main se ho tu khuda ki baargaah se maghfirat talab karay or agar qaza ya kaffara ya dobara amal ka anjaam daina wajib ho tu anjaab dain. taubah faqat astaghfirul laah kehnay se nahin hoti balkeh nidamat or hamesha gunah k terk kernay ka mazboot irada or os ka tadaruk laazim hay albattah agar tauba k baad gunah karay tub hi remat e khuda se mayoos nah ho balkeh zaroori hay k dobarah tauba karain kyun keh khuda kareen or meherban hay or bakshnay wala hay or tauba karnay walo ko doost rakhta hay hadees e shareef main hay k aik lamhah fikr karna 60 saal ki ibadat se behter hay or tauba main asar andaaz cheez ye hay k azmat e khuda or os ka apnay bando per haq or khuda ka her jagah hazir o nazir honay per fikr karna hay or isi liay hadees main aya hay tanhaae main bhi gunah k anjaam dainay se parhaiz karo k khuda hazir or daikhnay wala hay.
(Ref: website Ayatullah Sistani(d.b,) ques #1, toba, https://www.sistani.org/urdu/qa/01766 + (Ref: email rcvd from Aqae sistani(d.b), dated 17 08 2011).
[Updated on 10-Feb-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
116009
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-02-08

Question: Assalamualaikum maine allah se ek waada kiya tha pr wo tut gya hai to ab m kya kru

Answer: Agar aap ki wada karne se murad Allah se ehad karna hay or apne Allah se wada karte waqt is tarah ka jumla kaha tha k men Allah se ehad karta hun to is ehad per amal na karne ki surat men aap gunahgar honge or zaroori hai k kaffara den aur is ka kaffara 60 faqeeron ko pait bhar k khana khilaen ya 2 mahine musalsal roze rakhna hai. lekin agar aap ne zaban is tarah ka jumla ada nahin kiya to ap per sharieat ki janib se koi hukum nahin hai.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2631,2632).
[Updated on 09-Feb-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
116041
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-01-27

Question: Allah Pak ki qasam kah kr ya wada kia ta k main aj ke bad us larki k elawa kesi or nikaah nahi karonga agr jis lardki se shadi kia wo Meri Mother ya Sister ki jaga hai phr wo qasam or wada pe karah hun magar shadi k lia Ghar walon ne tang kia h, phr kia kr sakta hun?

Answer: Jab koi qasam khaye k falan kam anjam dega ya tark karay ga maslan qasam khaye k roza rakhe ga ya tambakoo istemal nahin karay ga, Is Qasam ki shariat hain ke 1. Qasam khane wala balig or aaqil ho apna irade aur ikhtear se qasam khaye, 2. jis kam ki qasam khai jaye wo haram or makrooh na ho, 3. Qasam men Allah ka aysa naam le jo kisi or k liye istemal na hota ho 4. Qasam k alfaz zaban per laye, 5. Or us qasam per amal karna bhi mumkin ho.
Agar aap ki qasam men ye sharaait mojood thin to aap ki durust hogi lekin agar in sharaait men se koi aik bhi shart mojood nahin thi to aap ki qasam batil hogi aur is par amal karna bhi zaroori nahin hai aur na hi koi kaffara hoga.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42,, maslah #2633,2634).
[Updated on 27-Jan-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
116053
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-01-25

Question: Assalam o alaikum aj se 5 ya 6 saal k darmiyan mujhse kisi ne quran par hath rakhwaya tha k hum dono sath rahengey kabhi ek dusre se door nhi hongey jhooth nhi bolengay mere dil me us wakt niyat nhi thi us cheez ki phir bhi uski khushi k khatir hath rakh liya tha 1.5 saal se ab wo waida ya kasam mujhse pura nhi horha bht pareshan hu sukoon nhi hai ap btaen me kya karu

Answer: Jab koi qasam khaye k falan kam anjam dega ya tark karay ga maslan qasam khaye k roza rakhe ga ya tambakoo istemal nahin karay ga, Is Qasam ki shariat hain ke 1. Qasam khane wala balig or aaqil ho apna irade aur ikhtear se qasam khaye, 2. jis kam ki qasam khai jaye wo haram or makrooh na ho, 3. Qasam men Allah ka aysa naam le jo kisi or k liye istemal na hota ho 4. Qasam k alfaz zaban per laye, 5. Or us qasam per amal karna bhi mumkin ho.
Aap ne jo qasam khai hai is men ye sharait maojood nahin lehaza aap ki durust nahin hai. ( or is pe amal karna zarori nahe hay) Na Mehram se Dosti karna "HARAM" hia kionke is se haram mai parnay ka khauf hota hia.Chahey aahista aahista hi gunah ki taraf le jaye. Ref . Isteftat Agha Sistani )
insaan ke lie sache qasam khan yani ye qasam khae ke jo kheraha hay wo sach kheraha hay ye qasam khana makrroh hay lekin agrne jo kuch kaha jhoot kaha tha to ye qasam khana haram hai, is ka istighafar or Allah se maafi talab krna hai. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2633,2634, 2638
Hazrat Imam Jafar Sadiq(a.s) irshad farmaty hain k: ”Jo Surah Ankboot (sorah #29) ko likhe or os ka pani piye tu ye us ke Dil ko sukoon Aata kare ga or us ky seene ko kushada kare ga”.
(Ref: Duniyan wa Akhirat ke 100 Pareshaneeon ka Hal, pg #20,92).
[Updated on 25-Jan-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
116056
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-01-24

Question: Assalam o alaikum aj se 5 ya 6 saal k darmiyan mujhse kisi ne quran par hath rakhwaya tha k hum dono sath rahengey kabhi ek dusre se door nhi hongey jhooth nhi bolengay mere dil me us wakt niyat nhi thi us cheez ki phir bhi uski khushi k khatir hath rakh liya tha 1.5 saal se ab wo waida ya kasam mujhse pura nhi horha bht pareshan hu sukoon nhi hai ap btaen me kya karu

Answer: Jab koi qasam khaye k falan kam anjam dega ya tark karay ga maslan qasam khaye k roza rakhe ga ya tambakoo istemal nahin karay ga, Is Qasam ki shariat hain ke 1. Qasam khane wala balig or aaqil ho apna irade aur ikhtear se qasam khaye, 2. jis kam ki qasam khai jaye wo haram or makrooh na ho, 3. Qasam men Allah ka aysa naam le jo kisi or k liye istemal na hota ho 4. Qasam k alfaz zaban per laye, 5. Or us qasam per amal karna bhi mumkin ho.
Aap ne jo qasam khai hai is men ye sharait maojood nahin lehaza aap ki durust nahin hai. ( or is pe amal karna zarori nahe hay) Na Mehram se Dosti karna "HARAM" hia kionke is se haram mai parnay ka khauf hota hia.Chahey aahista aahista hi gunah ki taraf le jaye. Ref . Isteftat Agha Sistani )
insaan ke lie sache qasam khan yani ye qasam khae ke jo kheraha hay wo sach kheraha hay ye qasam khana makrroh hay lekin agrne jo kuch kaha jhoot kaha tha to ye qasam khana haram hai, is ka istighafar or Allah se maafi talab krna hai. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2633,2634, 2638
Hazrat Imam Jafar Sadiq(a.s) irshad farmaty hain k: ”Jo Surah Ankboot (sorah #29) ko likhe or os ka pani piye tu ye us ke Dil ko sukoon Aata kare ga or us ky seene ko kushada kare ga”.
(Ref: Duniyan wa Akhirat ke 100 Pareshaneeon ka Hal, pg #20,92).
[Updated on 25-Jan-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
116101
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-01-10

Question: Mjhy mery husband ny aik dfa is bat p behas krty hoy k gher ki flah window many kitni dfa saaf ki k mjhy majbor kia k m pas pry quran p hath rukh k kahon k many y 2 dfa sy ziada dfa saaf kia 2 months m . Mjhy bohat bura lga itni fazool bat p m is kasam ko nhi manti per Majborun hath rukh k qasam ka lafuz itamal kiy bgair many such bat khi k mjhy tadad yad nhi lekin 2 dfa sy ziada bar chuki hn.isk baad m roi or Akeley m Allah sy dua ki k m nhi janti k esa krna theak tha k nhi ,m nhi chahti thi mjhy maaf krdana. Mjhy bohat gusa aya k quran majeed jesy kalam ko itni fazol mamly m kun lay wo .plz answer di jiey k kia y jumla qasam shamar hogi?

Answer: Is tareekay ki qasam durust nahin Q ke is mai qasam ki sharait maujood nahin lehaaza koi ghunah nahin hoga.
(Ref: Tauzeeh ul Masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2633,2634).
[Updated on 11-Jan-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
116108
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-01-07

Question: Assalamwalaikum Mai ye jaanna chachti hu ki mai ek aadmi se mohabbat karti hu aur wo shadi shuda hai aur ye baat meri ammi ko shaq hai ki mera aur wo aadmi ka koi chakkar hai iss wajah se meri ammi ne kasam khilae quran ki toh maine quran pe haath rkh k kasam khae ki mera aur wo aadmi ka koi rishta nhi hai..lekin maine ye jhuti kasam khae hai majboori mei toh kya iski maafi hai ?kya karungi toh allah maaf kardenge plz jawaab dijiye ? Mjhe bht ghabrahat ho rahi hai sofh k allah mjhe maaf kare maine bht majboori mei ye kasam khae hu plz jawaab dijiye?

Answer: 1: Jins e mukhalif sai is had tak dosti karna k mohabbat ki had tak pounch jay, ye jaiz nahin hai Q k ghunah mai mubtila honay ka khof mojoud hay. Isi tarah kisi na mehram se doosti karna bhi Jaiz nahin hai.
(Ref: Nigah aur Libas, sawal #106, pg #69. + Mujtahid se pouchey gaye sawalat, part #4, sawal #125, pg #65).
2: Quran ki jhooti qasam khana jaiz nahin hay, Aur jo jhoot bola hai tou wo gunah e kabeera hai us ki tauba karni hogi magar kaffara nahin hoga.
(Ref: Al masaelul muntakhaba, Ayatullah Sistani(d.b), maslah #1261).
[Updated on 08-Jan-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
116191
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-03-05

Question: Main ny khuda sy ehd Kia tha k main musalsal 2 months kisi ky sath sex ni kronga. Lekin mein es ehd ko poora ni kr ska aur gunah kr betha.. Es ka Kia solution h aur kafara h?

Answer: zina karna gunahan e kabeera mai sai aik hai lehaaza aap k laazim hai k aap tauba karein or tauba k ilawa choonke aap ne ehad bhi kia tha allah sai k aap yeh kaam nahi karein gay or aap ne mukhalifat ki tou ab aaap par laazim hai k aap kaffara bhi dein.
Kaffara:jo shaks ehad par amal na karein tou wo gunehgaar hai or us k liyeh zaroori hai k 60 faqeeron ko pait bhar kar khaana khilaye ya 2 mahinay musalsal roze rakhay ya aik ghulam azad karay.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 2632).
[Updated on 05-Mar-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
116447
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-11-04

Question: Assalam walekum. Agar koi mannat ki ho paise dene ki aur yaad na aye ki aisi koi mannat ki ho ya kitne paise ki mannat hai. Apki kahi se pata chalta hai k apki aisi koi mannat hai Aur jiske wajah se apne har kaam mei rukawat aye to uske sadke mei kya karna chahiye. Pls bataye

Answer: Agar aap ko is baat ka ilm nahin hai ya bhool gayei hain ke kinti raqam ki mannat/nazar maani thi, maslan aap ye na janti hon k (10 rupe) ki mannat maani thi, (15 rupe) ki maani thi ya (20 rupe) ki maani thi to agar aap chotay adad k hisab say mannat ki raqam ada kar dain to kafi hai. lakin behtar ye hai k itni raqam ada karen yaqeen ho jaye k sari raqam ada kar li hai maslan agar aap bhool gayein hain k kinti raqam ki mannat/nazar maani thi aur aap ko yaqeen hai ke (10 rupe) sai ziada nahin thi to ehtiyatan (10 rupe) ada kar dain. lakin behtar ye hai k (20 rupe) ada kar dain taake yaqeen ho jaye k sari raqam ada kar li hai.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, mafhoom e maslah #1364).
[Updated on 04-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
116493
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-10-30

Question: Asalam.o.Alaikum Mera sawal ye h k agar koi Quran pr hath rkh kr ye bol de k Maine ye kam nhi kiya or wo jhota h or Jo dosra osko bolta h k thk h tmny nh kiya to tmhra Iman tmhre sath h Quran pr hath rkh kr bolo or wo hath rkh kr bol deta h pr bad mein pta chal jata k wo jhot bol raha tha to is mein dono he gunah gar howe jis ny ye bola k Quran pak pr hath rkh kr bolo wo b?

Answer: Jhooti qasam khana gunah hay aur jis ne jhooti qasam khai hai faqat wo gunahgar hai aur use chahiye ke Allah se sache dil se tauba karay.(Ref: Tauzeeh ul Masail, Aayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Maslah #2638)
[Updated on 30-Oct-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
116546
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-09-24

Question: Main Quran pak pr hand rkh k kasam khai k apni behan sy bt ni kroo gi.. Ab kasam toot gye.. Mjy bht preshani hy. Iska Kia kafara ho ga?

Answer: is tareekay ki qasam durust nahi q k is mai qasam ki sharait moujood nahi lehaaza kaffara nahi hoga.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 2019 maslah no 2633,2634)
[Updated on 24-Sep-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
116557
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-11-09

Question: Mein nay qasam khai thi k mein ye gunah nai kroonga aur agar kia toh kalma padh kr bhi musalman nai aur wo kasam toot gye aur shaid khai bhi 2 baar thi us waqt meri umer bhi shaid 15 saal thi ab mujhay uska khayal ata hai mujhay bohot dar lagta hai mein nay Allah say maafi bhi maangi bohot bataye kia krna chahye

Answer: Aap ki ye qasam durust nahi hai lehaza aap par koi kaffara nahi hoga lekin jo gunah aap ne kia hai aap par oski tauba laazim hai.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 2634).
[Updated on 10-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
116635
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-10-13

Question: Main kuch bhi jara sa bhi kehta hun dua maangta hun aur namaz padhta hun ya quran padhta hun to mere dimag qasmein khane lag jaat hain aur mujhe aisa lagta hain ki khi maine bol to nhi diya isliye main saara din apna zubaan jorr se mand rakhta hun.to kya wo sab qasmein ho gyi ? Please mujhe waswaso se bhachayein aur jab main akele rehta hun to mujhe lagta hai ki khi maine qasm to nhi khaayi .

Answer: nahi aisi qasmoon ki shariat mai koi haisiyat nahi hai.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 2634).
Hazrat Imam Ali Raza a.s. sai marwi riwayat k mutabiq zawal k waqt 150 martaba “Ya Quddoos ” ka wird dil ko noorani kar deta hai aur osay shatani waswasoo sai aman mil jati hai. (Ref : Dunya Wa Akhirat ki 100 Pareshanion ka hal pg # 20)
[Updated on 13-Oct-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
120402
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-06-09

Question: سلام علیکم، میں نے غصہ میں جذبات میں بلا اختیار اپنی پھپو عزت بڑھانے کے لئے اپنی ساس امی کے دل سے اپنی پھپو کی نفرت کو ختم کرنے کے لئے مجبورا قرآن اٹھا کر قسم کھا لی ہے اس مسئلہ کا حل بتا دیں

Answer: Aap ki ye qasam durust nahin hai lehaza aap par koi zimmedari nahin hai.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah 2634).
[Updated on 10-Jun-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print