Please click the button for Quran o Itrat Academy Whatsapp Channel.
Whatsapp Channel
Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+


Question & Answers << Go Back

Topic: Nazr/Qasam/Ahad (517 Questions)


Showing 350- 400 questions from 517 questions on this page.

Answers found for searched words
Id:
108196
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2020-08-15

Question: Father KO razi Karna Kalai os ka sir ke jhoti qasam kanha jaiz hai Ya nahi?

Answer: ye qasam shumaar nahi hogi q k qasam ki sharait mai sai hai k allah k liye qasam khaai jaaye albatta kisi ko raazi karne k liye jhooti qasam khaana gunahan e kabeera mai sai aik hai.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 2634).
[Updated on 15-Aug-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
108418
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2020-06-22

Question: Assalam o alaikum maine Allah or Rasool E Pak ki kasam khai thi ek chez se dar ke ke mai ye kam nhi karunga kabhi to agar wo kasam puri nhi krpae to kya hoga

Answer: wsalam. agar allah k liye qasam khai thi or deegar sharait bhi moujood thi or phr qasam poori nahi ki tou zaroori hai k 10 faqeeron ko pait bhar kar khaana khilaye ya unhe poshaak pehnaaye or agar ye na kar sakta ho tou zaroori hai k 3 din musalsal rozay rakhey.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 2633)
[Updated on 22-Jun-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id:
108574
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2020-06-26

Question: janab maine kisi wjh se apne bache ki juthi kasam kha li thi. kya use kuch ho jaega. mai iska kaffara kaise ada kru. please btae

Answer: is tareeqay ki qasam durust nahi hai lekin aap ne jhoot bola hai wo aik gunah e kabeera hai us ki taba aap par laazim hai.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 2633,2634).
[Updated on 26-Jun-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
108650
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Abul Qasim e Khoie Date: 2020-06-29

Question: mujhy sy zabardasti quran py hath rkhwa ky kasam uthiye gye ky mein ek insan hai us sy batt nhi krn gi lkn mein ny wo kasam toor di..kia yeh zabrdasti ki kasam mujh py haii!?

Answer: Jee nahi is tareeqay ki qasam durust nahi hai.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah khoie maslah no 2680)
[Updated on 29-Jun-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
108770
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2020-08-11

Question: Assalam o Alaikum.. Mene ghusy mein ksm othayi k main isi ki ksm othati hon k isy bat nai krongi ab.. Aur bad mein rha na jaa rha ho aur woh bhi takleef mein ho is fesly ki wja sy to kya Kiya jaye..?

Answer: wsalam. jo qasam ghussay mai yaaney ikhtiyaar mai na khai jaaye wo qasam durust nahi hai.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 2634)
[Updated on 11-Aug-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
108787
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2020-07-05

Question: Shohr say nraz ho kr quran pak pr hath rakh kr kaha ke mai aap k lye mar gai to iska ka kia hukum hoga

Answer: is tareeqay ki qasam ki koi sharai haisiat nahi hai.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 2634).
[Updated on 06-Jul-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
108802
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2020-07-06

Question: Hello sir mein nay aik larki se msg pe kaha k mein quran pe hlf deta hu k agr tm nay 10 mint mein mujhe hello ka msg na kiya toh bat nhi kru ga kabhi bhi zindagi mein munh nhi lgau ga tmhe kindly mujhe hal btain mein uss se bt krna chahta hu

Answer: Is tareeqay ki qasam durust nahi hai.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 2634).
[Updated on 07-Jul-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
108853
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2020-08-11

Question: Allah ki taraf hath main ab yeh kam nahi karo gi aur phir wo hi kam karn iss ka kaffora

Answer: Agar allah k liye qasam khai thi or deegar sharait bhi moujood thi or phr qasam poori nahi ki tou zaroori hai k 10 faqeeron ko pait bhar kar khaana khilaye ya unhe poshaak pehnaaye or agar ye na kar sakta ho tou zaroori hai k 3 din musalsal rozay rakhey.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 2633).
[Updated on 11-Aug-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
108854
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2020-08-11

Question: Apna maa baap ki kasam khana aur phir us ko thora dana iss ka koffor kya maa baap ki kasam khana ka bad thoran per maa baap per kuch asa pary ga un ko kuch ho ga tu nahi. maa baa ki jhoot kasam khana khan kasa hai

Answer: is tareeqay ki qasam durust nahi hai lehaza kaffara nahi hoga lekin jo aap ne jhoot bola hai is ki tauba aap par laazim hai.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 2634).
[Updated on 11-Aug-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
108867
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2020-08-11

Question: Maine apni ami se quran pr sedha hath rkh kr ksm khai thi k me ek lrke se bt nhi krogi na os se rabta rkhogi na ose pcs dogi lkn os lrke ne meri ksm ka kuffara dedia hy tou ksm maff hogai.. Aisy koi ksam mani jayegi?

Answer: 1) Is tarah ki qasam durust nahi hai lehaza aap par kaffara nahi hai lekin jo aap ne jhoot bola hai is ki tauba aap par laazim hai.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 2634).
2)Jins e mukhalif se dosti kerna (mohabbat) jaiz nahi koun ke gunah me mubtila hone ka khof majood he. ( kitab nigah aur libas ques # 106 , pg # 69).
[Updated on 11-Aug-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
108869
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2020-08-11

Question: Maine apni ami se ksm khai thi sedha hath quran pr rkh kr k me apne bf se bt nhi krogi koi rabta nhi rkhogi na pcs dogi ..or agr mjse ksm totgai ho tou kuffara kia hoga .. Or agr mjse ye ksm na nibhai jaye mjhe torni ho tou guna hoga ? Kuffara kia hoga ? Kia ye ksm jaiz khai hai mainne?

Answer: Is tareeqay ki qasam durust nahi hai lekin jo aap ne jhoot bola ye gunah e kabeera hai or is ki tauba aap par laazim hai.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 2634).
Jins e mukhalif se dosti kerna (mohabbat) jaiz nahi koun ke gunah me mubtila hone ka khof majood he. ( kitab nigah aur libas ques # 106 , pg # 69).
[Updated on 11-Aug-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
108986
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2020-07-14

Question: Mene jaldi mein aur pareshani aur jazbaat mein quran ki kasam utha li aur kaha ke azanein ho rhi agr mein jhot bol rhi to Allah behtar janta hai kia yeh kasam consider hgyi hai ? Agr han to mein kia kafara adda krn?

Answer: Is tareeqay ki qasam durust nahi hai lekin jo aap ne jhoot bola hai is ki tauba aap par laazim hai.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 2634).
[Updated on 14-Jul-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
109034
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2020-07-16

Question: Mene kisi shakhs sy apni or Allah ki qasam uthwai k Qasam uthao tumne yeh kam nai kia or na hi jhoot bola. Toh usne meri qasam utha kr or phr Allah ki Qasam utha kr kaha k mene esa nahi kia main jhoot nahi bol raha. Kia uski qasam hoi hai? Koi woh wakae sach bol raha hai?

Answer: Agar kisi sai zabardasti qasam uthwaai jaye tou ye qasam durust nahi hay.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 2634).
[Updated on 17-Jul-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
109527
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Abul Qasim e Khoie Date: 2020-08-07

Question: Mene apni fiance (Magater) se gusy me akar Quran ki Qasm kha li k aj k bad bat nahi karun ga or ek hafta bat nahi ki lekin wo mujhe msgs / sory or bhot cals krti rahi or mene use dukh na ho apni qasm tor li or bat start krdi to ab kaffara kya hoga plzz btaen plz..?

Answer: Is tareeqay ki qasam durust nahi hai.(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 41th edition, maslah #2634).
[Updated on 07-Aug-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
110200
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-08-04

Question: Maine gusse me aakar apne shohar se boli ki mai khuda ki kasam khati hu ki mai aap k nazdik nahi aaogi. Kya meri kasam consider hue? iska kufur?

Answer: Jee nahi is tareekay ki qasam durust nahi hai q k qasam ki kuch sharait hain un me se aik shart ye hai k qasam apne ikhtiyaar sai khaai jaye gusse me na khaai ho.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah # 2634)
[Updated on 04-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
110367
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-10-19

Question: quran py hath rkh k kha k me aisa kam nh krun ga or wo kam bad me kr liya to is k bary me kya ihkam hn.. kya koi kfara hai kindly guide kren jaye

Answer: Quran pe hath rakh kar qasam nahin khaayie jati lehaza Is tarah ki qasam durust nahi hai aur par koi kaffara bhi nahi hai.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 2634).
[Updated on 19-Oct-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
110488
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2020-09-18

Question: Assalam alikum maine rasool ki kasam khai jise pura na kar saka Kya iska kaffara hai ya ye kas jayaz nahi

Answer: wsalam. Is tarah ki qasam durust nahi hai lehaza kaffara nahi hoga (Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 2634).
[Updated on 18-Sep-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
110574
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-05-17

Question: Aslamu alikum sir mera sawal ye hai ke me bar bar naswar ke liye allaha ki qasam kha leta ho ke aj ke bad nai rakho ga lekin me phir rakh leta ho

Answer: Ye qasam baatil hai kyun k qasam apne ikhtiyaar sai allah k liye khaai jaati hai lehaza jo qasam jazbaat mai khaai jaaye wo durust nahi or is ka kaffara bhi nahi hoga lekin agar jhoot bola hai us ka gunah zaroor milay ga or is ki tauba laazim hai.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatollah seestani edition 39 maslah # 2634)
[Updated on 17-May-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
110597
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-07-05

Question: Slam sir Mera swaal ha Quran Pak per hath rakh kr kehna me halfan kehta hu k yeh cheez Meri ha or rakhi hoi cheez uthaa leta hu or cheez Meri nhi hoti or besti k dar say cheez utha leta hu darte darte but Dil me niyt hoti k jis ki cheez ha usy du ga or dar b ha Allah g ka k jhoth bol kr cheez uthie Quran Pak say halfan jis ki cheez hoti ha usy bula kr kehta hu yeh cheez tumari ha leh lo ya iska Kya krna ha or wo keh deh Meri nhi yeh cheez toh Kya yeh waqe me half ho jata ha agr hota ha jhotha half toh iska kufara Kya ha or jhotha half Quran Pak per hath rakh kr lete Howe Dil me ho k jis ki ha usy du ga or phr wo uski cheez b nhi hoti toh Kya kufara ha iska or yeh half hota ha Kya.?

Answer: Quran ki jhooti qasam khana haram hay. Is jhooti qasam per taubah karna wajib hay. or wo cheez jo aap ne li hay, os cheez ko os k malik ko wapas karna wajib hay.(Ref: Minhajus saliheen , jild#3, maslah#685).
[Updated on 05-Jul-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
110622
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-04-30

Question: Agar jhuthi kasam khane se koi rishta durust hota ha to kya jhuthi kasam jaeyz ha

Answer: Jhoot bolna haram aur gunah e kabeera hai. jhoot yani wo khabr dena jo haqeeqat mai na ho. Aur is mai koi faraq nhi k jhoot mazaq mai bola jae ya sanjeedgi mai. Laikin Momineen k darmiyan sulah karwane k liay jhoot boolna jaiz hay, aur ehtiyaat e wajib ye hay k pehly tauriyah kiya jaye, aur tauriyah nah kar saknay ki sorat main jhoot par iqtesaar kia jaye. (tauriyah yani alfaaz k zaheri mafhoom ko chor ker dosray matlab ki niyat karey maslan agar koi zalim kisi ko aziat dena chahe aur kisi dosray shakhs se pochey ke kia tum ne fullan shakhs ko dekha hai? Aur is ne us shakhs ko chand minute pehlay dakha ho to wo kahay k mein ne use nahi dekha aur qasad (yani irada) ye karay k us waqt sai 5 minute pehlay mai nai use nahi dekha).(Ref: Minhaj us salaheen Ayat ullah sistani d.b, part # 1, masla # 30). and (Ref: Minhaj us salaheen Ayat ullah sistani d.b, part # 2, masla # 38)
[Updated on 30-Apr-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
110721
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2020-09-30

Question: Mein ik larky sy bat krti thi fr mein ne Allah ki Qasm ohtaii Dr or taklif mein k mery b.f ko PTA na LG Jaye or mein us ka trust kyun tour rhi hun k mein iss sy ik Month bat nhi krun gi agr krun tu mein jis sy Pyar krti Hoon wo mjh sy door ho jaye

Answer: 1)Aik (namehram) khatoon se aise baatain ki jasakte hai jin ka nateja kise akhlaqi fasaad ki sorat me na nikal raha ho jab k kohe aise baat bhi na ki jarahe ho jis ka kise ajnaben khatoon k saath kiya jana munasib nahe hota. (Ref: Mujtahid se pochay gaey sawalaat, part # 4, sawaal # 127,pg # 66) (Ref:nigha aur libas pg: 31 eidition 1)
2)Aap ko ik Fiqhi Maslay ki taraf mutawajah kia jata hai: ye mohabbat jaiz nahi hai q k jins mukhalif se dosti(mohabbat) krne men gunah ka ahtamal mojud hai.(Ref: Nigah aur libas sawal # 106 pg # 69)
3)Is tareekay ki qasam durust nahi hai.(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 41th edition, maslah #2634).
[Updated on 30-Sep-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
110722
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2020-09-30

Question: : Mein ik larky sy bat krti thi fr mein ne Allah ki Qasm ohtaii Dr or taklif mein k mery b.f ko PTA na LG Jaye or mein us ka trust kyun tour rhi hun k mein iss sy ik Month bat nhi krun gi agr krun tu mein jis sy Pyar krti Hoon wo mjh sy door ho jaye ga

Answer: Aik (na mehram) khatoon se aisi baatain ki jasakti hain jin ka natija kisi akhlaqi fasaad ki sorat me na nikal raha ho jab k koi aisi baat bhi na ki jarahi ho jis ka kisi ajnabi khatoon k saath kiya jana munasib nahe hota. (Ref : Mujtahid se pochay gaey sawalaat, part # 4, sawaal # 127,pg # 66),(Ref:nigha aur libas pg: 31 eidition,1)
2)Aap ko aik Fiqhi Maslay ki taraf mutawajah kia jata hai: ye mohabbat jaiz nahi hai q k jins mukhalif se dosti(mohabbat) krne men gunah ka ahtamal mojud hai.(Ref : Nigah aur libas sawal # 106 pg # 69)
3)Is tareeqay ki qasam durust nahi hai.(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 41th edition, maslah #2634).
[Updated on 30-Sep-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
110726
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2020-09-29

Question: Maine apni girl friend se QURAN Shareef ki jhooti kasam khaa li ka mera fala ladki se koi rishta nahi hua hai or na kabhi usse shadi karunga jab ka sach ye tha ka mera us ladki se rishta ho gaya hai lekin shadi nahi hui hai or ye sab maine dar k kar diya or QURAN SHAREEF ki jhoot kasam khaali ab iska kaffara kya hoga or mai dobara aesa nahi karuga magar kaffara bata den aap???

Answer: is tarah ki qasam durust nahi hai lehaza kaffara nahi hoga lekin jo aap ne jhoot bola hai ye gunah e kabeera hai or is ki tauba aap par laazim hai.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 2633,2634).
[Updated on 29-Sep-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
110856
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ruhollah Khomeini Date: 2022-03-04

Question: Assalam o alaikum mene qasam uthai thi sir sajde main rakh kr k main kabi mushtzani nhi kru ga to kya ye qasam sahi hogi.

Answer: Jee nahi is tareekay ki qasam durust nahi hai q k qasam ki kuch sharait hain un me se kuch ye hain k qasam apne ikhtiyaar sai khaai jaye aur Allah ke liye khaai jaye or allah ke naamo me se kise naam ki qasam khahe jaay lekin sajde me sar rakh kar qasam nahin khaai jati.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah # 2634)
[Updated on 04-Mar-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
110903
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Abul Qasim e Khoie Date: 2022-02-27

Question: Meri gf ne mujhe meri ammi ki kasam di hai ki call or msg maat krna, mai kya kru? Kya mai kasam tod sakta hu? Kasam todne par koi kuffara ada karna padega kya? Plz help

Answer: Jee nahi is tareekay ki qasam durust nahi hai q k qasam ki kuch sharait hain un me se kuch ye hain k qasam apne ikhtiyaar sai khaai jaye aur Allah ke liye khaai jaye lekin maan ki qasam nahin khaai jati.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah # 2634)
Jins e mukhalif se dosti or muhabbat kerna jaiz nahi Q k ghunah me mubtila hone ka khof majood he. ( kitab nigah aur libas ques # 106 , pg # 69).
2) kisi na mehram se doosti karna Jaiz nahi he. (Mujthid se poushey gye sawalat part # 4, ques # 125, pg #65)
[Updated on 28-Feb-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
110908
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-02-26

Question: Biwi qasam kha le k apny sohar ki kami us par haram hai to?

Answer: Jo qasam ghussay ki haalat ya jazbaat mai aakar khayi jaaye aisi qasam durust nahi hai lehaza is ka kaffara nahi hoga.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41, maslah#2634).
[Updated on 26-Feb-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
110920
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-02-18

Question: ASSALAMOALEKUM WARAHMATULLAH WABARAKATUH........MY 11 MONTH DAUGHTER MET A SUDDEN SURGERY OF INTESTINE 2 WEEKS BACK. SHE WAS HOSPITALISED FOR 15 DAYS. THE DISEASE IS CALLED INTUSSUSCEPTION, UNDER WHICH THE INTESTINES OVERLAPS & GETS DAMAGED. THE DOCTORS CUT THE DAMAGED PART OF THE INTESTINE & MADE A TEMPORARY STOOL OUTLET ON THE BELLY (STOMACH). AND AFTER 3 MONTHS THEY WILL DO ANOTHER SURGERY TO JOIN THIS INTESTINE BACK. I DID A NIYAT THAT WHEN MY DAUGHTER RECOVERS, I WILL ARRANGE A QURBANI OF BAKRA IN SADAQAH FOR HER SPEEDY RECOVERY. BUT THE OPERATION WAS NOT COMPLETED IN A SINGLE PART (WHICH I DIDN'T KNOW EARLIER). SO I AM CONFUSED WHETHER I SHOULD COMPLETE MY NIYAT NOW OR AFTER SECOND SURGERY? KINDLY HELP ME WITH THE RIGHT PATH.......JAZAKALLAH

Answer: Ap ka ye amal nazar kehlayega lekin is men zaruri k zaban se nazar k alfaz kahen hon maslan is tarah k Agar mera mareez sehtiyab hogaya to men Allah ke khatir muje per ye lazim hay k baqra ki qurbani pesh karon ga, is surat men agar apka wo kam hojaye to qurbani karna aap per wajib hai, agr qurbani nahi karen ge to ap per wajib hai k kaffara ada kren, matlb 10 faqeeron ko pet bhar kar khana khilaen ya unhen libaas ata kren, or agr ye kam na kr saken to 3 din musalsal roze rakhen, lekin agr ye alfaz ada nahi kiye faqt niyat ki hai to ye nazar sahi nahi hai. lehaza koi kaffar nahi hoga.agar aik shaks koi amal baja lane ki nazar kare tu zarori hay ke wo amal ise tarah baja laae jis tarah nazar ki ho ise tarah agar koi shaks nazar kare ke jab is ka mareez sehatiyaab ho jaae tu wo sadaqa de ga tu mareez ke sehateyaab hone se phele sadaqa de de tu kafi nahe hay.lehaza phele mareez sehateyaab hone ke baad sadaq diya jaae ga. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2604-2633,2614).(Note: Qurbani bad me ki jaye gi.)
[Updated on 18-Feb-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
110935
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2020-10-12

Question: Agar koi quran ki qasam khaye k mein cigrate nahi kharidon ga aur phir kharid le to is kasam k torne ka gunah aur kaffara kya ho ga.

Answer: Ye qasam baatil hai Q k qasam apne ikhtiyaar sai allah k liye khaai jaati hai aur Quran ki qasam nahin khaai jaati, lehaza jo qasam jazbaat mai khaai jaaye wo durust nahi or is ka kaffara bhi nahi hoga lekin agar jhoot bola hai us ka gunah zaroor milay ga or is ki tauba laazim hai.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatollah seestani edition 39 maslah # 2634)
[Updated on 12-Oct-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
111058
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2020-10-19

Question: Mai nay mannat mani thi k agr mera admission medical college mai ho jaye to mai hifz karungi ... mai nay medical test say aik din pehlay jazbaat mai akar ro kr Allah sa ye mannat mangi thi.. mai nay zaban sa mannat k alfaz ada nahi kiay thay... ab mera admission hogaya hai or hifz nahi ho pa raha mjh say to kia mai kaffara ada kr k 10 maskeeno ko khana khila skti hun ya hr hal mai mannat poori krni hogi?

Answer: (Note: Aap ki mannat (nazar) saheeh nahih hai, Q ke aap ne jazbat me aakar beghair irade k mannat mani thi.)
Nazar (mannat) ki sharait yeh hain, 1: Nazar me seegha perhna zarore hai laikin seegha arbi me perhna zarore nahe balke kise bhi zabaan me parha jasakta hai maslan koi kehe k mera mareez seyatiyab ho gaya to allah k khatir mujh per lazim hai k me 10 rupee faqeer ko sadqa don to is ki nazar (mannat) sahi hai. agr nazar(mannat) sahi ho aur mukallaf jaan bojh kar is per amal na kare to gunahgar hai. ise chahiye k 10 faqeero ko pet bhar kar khana khilaye ya unhe libaas phenaay aur agar in amaal ko baja na lasakta ho to zarore hai 3 din musalsal roze rakhe.(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail edition 39th, maslah #2604,2633)
2: Zarori hai k nazar (mannat) karne wala baligh aur aaqil ho, apne irade aur ikhteyaar k sath mannat mane lehaza jo jazbaat me aakar beghair irade k mannat mane to sahe nahe hai.(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail edition 39th, maslah #2605)
3: Insaan kise aise kaam ki nazar (mannat) karsakta hai jise anjaam dena is k lye mumkin ho. lehaza jo shaks pedal karbala na jasakta ho agar wo nazar mane k waha tak pedal jaay gha to is ki nazar sahe nahi hai, agar nazar karte waqt qudrat rakhta tha aur baad me aajiz hojaay to is ka mannat mana batil hai. (jab mannat sahi na ho to us ko pura karna zarori nahi hai) (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail edition 39th, maslah # 2610)
[Updated on 19-Oct-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
111086
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2020-10-20

Question: Agr jazbat me kese chez par ap kalma par le ke ayse nhi hi our wo bat aye he ho tu es ka koi kafara hi?

Answer: aisi qasam durust nahi hai lehaaza kaffara nahi hoga lekin jo aap ne jhoot bola hai wo gunah e kabeera hai lehaza us ki tauba aap par laazim hogi.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 2634).
[Updated on 20-Oct-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
111116
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-12-05

Question: Aslam o alaikum Sir mera sawal ye hai K agr ALLAH SE Wada kiya ha K Mn ye kam nh krn ge or wada tout jye to iska asan kafara kia hoga?? Ku k meri itni istahat nh hai k m 60 faqqero ko khana khila sako...

Answer: Agar wada krne se aapki murad Allah se ahad krna hai or aapne Allah se Wada karte wqt zaban se is tarah ka jumla kaha tha k “Men Allah se Ahad karti hun” to is ahad per amal na krne ki surat men ap gunahgar hen or zaruri hai k kaffar den aur is ka kaffara 60 faqeero ko pait bhar k khana khilaen ya 2 mahine musalsal roze rakhna hai. Lekin Agr aapne zaban is tarah ka jumla ada nahi kiya to ap per shareeat ki janib se koi hukm nahi.(Ref: Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael, Edition# 39th, Mafhoom e Maslah #2631,2632).
[Updated on 06-Dec-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
111134
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-12-03

Question: Asslam O Alaikum, mene Allah ki kasam khai ke me kal se kisise bhi baat nahi karonga likn kal aane se phele mene Allah se toba astaghfar kia aur 2 rakt toba ki nafil bhi perhi. Kia kasam phir bhi rahe gi?

Answer: Wa alaikum salam, Is tareekay ki qasam durust nahi hai. Q keh agar Qasam khanay walay ke liye qasam khatay waqt amal krna mumkin ho aur baad mai is par amal krnay sai aajiz ho jae to jis waqt sai aajiz ho ga is waqt sai is ki qasam khatm ho jae gi. ya qasam par amal krnay sai itni mushaqat uthani pray jo is ki bardashat sai bahir ho to bhi is ki qasam khatm ho jae gi.(Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Tauzeehul masail, edition 41st, maslah #2634).
(Note: Aap ne jo qasam khaaie hai us men aisa ho hi nahin sakta ke insan kisi se baat kiye bager reh sakay (yani amal karna mumkin nahin hai. lihaza ye qasam durust nahin hai.)
[Updated on 03-Dec-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
111139
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-12-01

Question: mri mery husbnd c fone py lrai hui to unho ny kha k ab cal ya msg na ay to ma ny ksm kha li k ab msg ya cls ni kru ge ik date soch li ma ny k is date tk ab wo msgs ya calss kr b lein gy to b ma jwb ni du ge to agr wo ksm tut jye to is ka koi gunah ha kufara kia ha?plz ans me?

Answer: Is tareekay ki qasam durust nahi hai.(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 41th edition, maslah #2634).
[Updated on 02-Dec-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
111170
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-12-01

Question: Mainay gf kay saath quran pay kasam khaya hai aur woh kasam poora nahi kar paaya kya iska kafaara ho sakta hai

Answer: Quran ki khana qasam durust nahi hai Q k is mai qasam ki sharait moujood nahi lehaaza kaffara nahi hoga. lekin doosri jaanib na mehram sai muhabbat karnaa jaiz nahi hay.(Ref: Tauzihul masael, ayatullah sistani d.b, edition#41, maslah#2634) (Ref:book nigah aur libaas masla#106,pg#69).
[Updated on 02-Dec-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
111222
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2020-10-28

Question: Assalamo alaikum...Maine apni rishte Ko bachane k liye hone wale shohar ki jhuti Kasam khai h....kya iska koi kaffara h.....main bhut ghutan me hu unhe kuch hoga to Ni...

Answer: Is tarah ki qasam durust nahi hay. Jhooti qasam khana gunnah hay. aap per faqat taubah wajib hay.(Ref:Ayatullah sistani, Minhajus Saliheen,Part#3, Maslah#691, eidition 1439).
[Updated on 28-Oct-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
111294
Mujtahid:
Imam abu haneefa Date: 2021-12-01

Question: AOA. Mere walid ne apne sir par mera hath rkh kr qasam uthwai k btao akhri bar flaan lrke se kb bat ki thi or mene jhoot bol dia q k sch bolti to meri maa ko kch hojata.. Mene ab wo rasta chor dia hai aur schi tobah b krli hai.. Kaffara kia ada kroo? Q k mje ksi soorat skoon ni ata jhooti qasam pr

Answer: Nahi walid ki qasam jhooti khana durust nahi hai qasam ki kuch sharait hai jese qasam khaate waqt ye alfaaz adaa kiye jaaye ke (allah k liye). lekin jo jhoot bola hai tou wo gunah e kabeera hai us ki tauba karni hogi magar kaffara nahi hoga.(ef:Tauzeeh ul masial ayatullah seestani edition 41 maslah no 2633,2634)
[Updated on 01-Dec-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
111318
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-12-28

Question: Mein ny aik gunnah kia..Or dobara woh gunnah na ho to khud ko baz rakhny k liye Allah se ehad kia k agr m dobara esa kru tu 1 week ky rozy rakhu ga... M ny phr se gunnah kia woh... Tu kia ab mujhy rozy rakhny hu gy??? Yea rozy nafli hu gy ya kaffara???

Answer: jee, aap per is tarah ki mannat ki wajah se roze rakhna wajib hoon gay.(Ref: minhajus saliheen, part#3, maslah#709, pg#226).
[Updated on 28-Dec-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
111360
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2020-11-07

Question: Mein ny apny ammi se KAHA k abbu ki qasam esa kuch nhi Kya mn ny... magar mn ny voh kaam Kya hai to Meri maafi hoskyi hai?

Answer: Baap ki qasam khanay ki koi sharae hesiat nahi hai. aur is tareeqe ki qasam durust nahi q k is mai qasam ki sharait moujood nahi, lekin jo jhoot bola hai tou wo gunah e kabeera hai us ki tauba karni hogi magar kaffara nahi hoga.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 2633,2634)
[Updated on 07-Nov-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
111401
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-12-03

Question: Aoa, Ghussy m kiay gaey waday ki kya hasiyat h r agr gussy m kiay gya wada pura na kr sakty hn to? Wada insan sy kia gya h .

Answer: W/Salam, Is qism ka wada or ahad sahi nahi or is ki koe haisaiyat nahi. or is wade per amal kerna lazim nahi(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2630-31).
[Updated on 04-Dec-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
111513
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2020-11-28

Question: Mein ne bivi k saamne quran per half liya k mein ne jis se muttah kiya hai us se shadi nahi kero ga na aulad ho gi kya mujhe yeh nibahana pare ga ager nahi to kya kaffara hai?

Answer: Qasam ki sharait mai sai hai k kaha jaaye allah k liye ye kaam karoo ga ya nahi karoo ga is k ilawa quran par hath kar qasam nahin khaee jati. lehaza ye qasam durust nahin hai. aur Qasam sahi na hone ki waja se koi kaffar nahi hota hai. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2633,2634)
[Updated on 28-Nov-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
111698
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-11-30

Question: Ager koi larki quran ko saamne rakh ker keh de k uss ne muttah nahi kiya hua or baad mein pta chaly k kiya hua hai to kya iss ne gunaah kiya?

Answer: jhooti qasam khana jaiz nahi hay. (Ref: Al masaelul muntakhaba, masla#1264)
[Updated on 30-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
111732
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Abul Qasim e Khoie Date: 2021-12-19

Question: Mjy kisi bozorag nay wada liya hy k tum nay apni income kisi ko nhi batani apnay parents say beh nhi, to kia mein apny parent ko bata sakta hon k mein kitna kamta hon.

Answer: Kisi se kia gaya ahed ya wada toorhna gunah e kabira hay. (Ref: Minhajus saliheen, part#1, maslah#30).
[Updated on 20-Dec-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
111787
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-11-29

Question: Mene allah ki kasam khai k me cigarette ya gutkha nahi khauga. Or me har jaiz koshish kar rha hu us kasam ko pura karne ki but mujhse nahi ho pari.Me ek dam nahi chod pa raha hu cigrette or gutka. Mene khareed b liya h. Plz mjhe btai me kya karu. Agar me wahi nahi pita to mera dil galat rasto p or dusre galat kamo ki taraf mutawajjoh hota h. Bht mushkil me hu

Answer: Jab koi shakhs qasam khaye k falan kam anjam dega ya tark karay ga maslan qasam khaye k roza rakhe gay a tambakoo istemal nahi karay ga, Is Qasam ki sharaait: 1: Qasam khane wala balig or aaqil ho apna irade aur ikhtear se qasam khaye, 2: jis kam ki qasam khai jaye wo haram or makrooh na ho, 3: Qasam men Allah ka aysa naam le jo kisi or k liye istemal na hota ho, 4: qasam k alfaz zaban per laye, 5: us qasam per amal karna bhi mumkin ho.(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2633-2634).
(Note: Shart number 5 ko madde nazar rakhte howe aap ki qasam dururt nahin hai Q k is qasam par amal karna mumkin nahin hai)
[Updated on 29-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
111947
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2020-12-19

Question: Slam.. i am shia boy 0y 37 year old having a permanent wife with 1 kid.. i have a temporary marriage according to all required conditions with a 40 year old female..i want to recite seegha for permanent marriage but my ist wife is not allowing me and opposing me but she accepted temporary with some limitations...so i hv aggrement (..halaff)with my ist wife that 1..i will not go for permanent in future 2.will not go for baby 3.will give limited time to her حلف ham dono ne dia ha Rab Ka naam le kr..kia iss halff ki koe shree hasiyat ha?? Kia hamein iski pabandi krna pre ge..na krny ki sorat ma gunah ha? Aur iska kafara? Email pe kidly reply krein

Answer: Agar aap ne bivi se ehed kia ho tu phir app k liay is ehed ki mukhhaal jaaizzz nahi hay. (Re:Ayatllah Seestani(d.b), Tauzeeh ul masail, maslah # 2328)
[Updated on 19-Dec-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
111992
Mujtahid:
Sayyid Ali Hussaini Khamenei Date: 2020-12-18

Question: Salamun alaikum Qibla mera sawal ye he ki agar kisi ne quran pe haath rakh kar kasam khaye or ouske baad jaan bhujh ke kasam tood di to iska kya kaffarah he ....

Answer: Qasam ki sharait mai sai hai k kaha jaaye allah k liye ye kaam karoo ga ya nahi karoo ga is k ilawa quran par hath kar qasam nahin khaee jati. lehaza ye qasam durust nahin hai. aur Qasam sahi na hone ki waja se koi kaffar nahi hota hai. (Ref: Ayatullah Seestani(d.b), Tauzeeh ul masael, Edition# 35, Mafhoom e Maslah # 2633,2634)
[Updated on 18-Dec-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
112018
Mujtahid:
Imam Abu Hanifa ( Rahimahullah) Date: 2020-12-15

Question: Assalam O Alaikum . Sir Mai Ne kasam Uthayi Thy K Agar Mai Ne Monday tak Fullan Gunnah Kiya To Mai Musalman Nahe Honga. Jab K Wo Itwar Ki Raat Mujh Se Ho Gya . To Iss Sorat Mai Mera Kaffara Kya Hoga. Mujhe Bohat hi zyada Ajeeb Mehssoos Ho Raha Hai. Plz Rehnumai Farmaye...

Answer: Is tareeqe ki qasam durust nahi hai q k qasam ki aik shart ye hai k jazbaat mai aakar na khaai jaaye. lehaza ye qasam durust nahi or is ka koe kaffara nahi hoga. (Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition#41, maslah#2633).
[Updated on 15-Dec-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
112162
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-12-02

Question: A.o.a mae ney apny magthr KO yaqeen dhikny k liy quran py hath rhk k us k sawalon k jawab galt diye yhe bht bar ho chuka mujhy iss bat ka kafrra kasy krna chaiye? plz mujhy guide kry

Answer: Jhoot bolna gunah e kabeera hay or is ka koe kaffara nahi hay lekin Allah se sachay dil se tauba kerna zarori hay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Minhaajus Saliheen Part #1, Edition 1430 hij, Mafhoom e Maslah #30).
[Updated on 03-Dec-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
112186
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-11-28

Question: Asslam o Alikum. Bhai mery muh sy aj jaldi me jhoti kasan nikal gai k Allah ki ksam me ghar nhi hun...hla k me ghar he thi iska kfara bta den...or ik gunah chorny py b me Allah sy wada kia tha ksam khai thi phir kafi mahino baad mujh se toot gai uska kafra b bta den shukria...

Answer: 1: Jhooti qasam khana gunnah hay. aap per faqat taubah wajib hay.(Ref: Ayatullah sistani, Minhajus Saliheen Part#3, Maslah #691, Edition 1439).
2: Is tareeqe ki qasam durust nahi hai q k qasam ki aik shart ye hai k jazbaat mai aakar na khaai jaaye. lehaza ye qasam durust nahi or is ka koe kaffara nahi hoga. (Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition#41, maslah#2633).
[Updated on 29-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
112373
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-11-27

Question: Meri biwi ny ksm uthai k me ny ye km ni kia hai lkn us se huwa ta lkn usy pata ni chala ta meri biwi ny ksm uthai k agr asa kia ho to hamara nikah haram ho? Kia nikah haram huwa hai plz details de

Answer: is tarah ki qasam durust nahi hai.
or nikah haram nahi hoga.
Ref:(Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 2634).
[Updated on 27-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
112485
Mujtahid:
I am Sunni Date: 2021-01-12

Question: Me ne kisi k sar ki qasam khaayi thi k din me sirf 4 cigrette smoke karoonga, ab wo shakhs meri zindagi me nahin raha lekin wo ab bhi mjhe azeez hai lekin sochta hoon k us ki yaadon se peecha kaise churaun har cigrette k saath wo qasam wo shakhs yaad ata hai, mera sawal hai k us qasam kaa kaffara kyaa hoga jo me kaffara adaa kar k aagey barh sakoon or us ki yaadon se khud ko azaad karne ki na kaam see koshish kar loon.

Answer: Qasam ki sharait mai sai hai k ye kaha jaaye Allah k liye ye kaam karon ga ya nahi karon ga. Allah k alawa k liay nahi khaee jati. kese kisi ke sar ki qasam, quran, maan, baap ki qasam nahin khaee jati. lehaza ye qasam durust nahin hai. aur Qasam sahi na hone ki waja se koi kaffar nahin hota hai. (Ref: Ayatullah Seestani(d.b), Tauzeeh ul masael, Edition #35, Mafhoom e Maslah #2633,2634)
[Updated on 12-Jan-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print