Please click the button for Quran o Itrat Academy Whatsapp Channel.
Whatsapp Channel
Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+


Question & Answers << Go Back

Topic: Nazr/Qasam/Ahad (515 Questions)


Showing 300- 350 questions from 515 questions on this page.

Answers found for searched words
Id:
99270
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2019-08-08

Question: Sir mene apni behan ki jhooti qasam khai ke me ne mazi me galat kam nhi kia lekn mene kia tha mene apne rishte ko bachane keliye qasam khai thi iska kia kaffara hoga?

Answer: Nahi behen ki qasam jhooti khana durust nahi hai qasam ki kuch sharait hai jese qasam khaate waqt ye alfaaz adaa kiye jaaye "allah k liye...." lekin agar jhoot bola hai tou wo gunah e kabeera hai us ki tauba karni hogi magar kaffara nahi hoga.(ef:Tauzeeh ul masial ayatullah seestani edition 41 maslah no 2633,2634)
[Updated on 08-Aug-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
99680
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2019-08-27

Question: Mere jhgro ki wajh se me apni biwi se dur hogya aur dosri larki se pyar ker betha jab merr gher yeh sab pata chala to meri bv ne mujhse qasam khilwai quran per hath rakh k me us larki se na bat keru ga na milo ga lakin jis se mohbat kerta ho usko b ayse chor nahi skta kia meri qasam hogai

Answer: is tareekay ki qasam durust nahi hai Q k qasam ki aik shart ye hai k apne ikhtiyaar sai khaai jaaye lekin doosri jaanib na mehram sai muhabbat karnaa bhi jaiz nahi hay.(Ref: Tauzihul masael, ayatullah sistani d.b, edition#41, maslah#2634)
(Ref:book nigah aur libaas masla#106,pg#69).
[Updated on 27-Aug-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id:
100222
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: mery shohr ny gussy main kaha k agr main tumry pass aon to in bachon ka baap na hon is ka koi kfara plz bta den

Answer: Is tarah ki baihodah qasam ki koe ehmiyat nahi hay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 41th edition, maslah #2634). Update on dated 13-09-19. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
100235
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2019-09-17

Question: Assalam o alaikum. Sir mainy ghusy mai qasam kha k apni dost sy kaha k ainda mai tm sy bat nai kronga but mai ny phr b us sy bat ki. Allah ki ksm khai thi. Ab mje kia krna chahye

Answer: Agar aap ne jazbat men aakr bila-irada ya be-ikhtiyar qasam khai thi to ye qasam sahi shumar nahi hogi. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 39,Mafhoom e Maslah # 2634).
[Updated on 17-Sep-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
100837
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2019-10-05

Question: Assalamualaikum Maine apni ma ki Kasam khai ki Mai apna bhai Ko marunga .. Mai apni ma ka taraf se majboor ho ab use nahi marsaktha,to ab mujhe kya kaffar Dena padega is Kasam Ko todh na ka Liya.

Answer: is tareekay ki qasam durust nahi hai kyun k qasam allah k liye khaai jaati hai lehaaza is ka kaffara nahi hoga or doosri baat kisi ko marna jaaiz hai .(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 2633,2634)
[Updated on 05-Oct-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
101134
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2019-10-17

Question: Main jazbat m a k ALLAh ki kasam uth par phr pore nu kr sage tu kia mje kaffara dena huga

Answer: ye qasam baatil hai kyun k qasam apne ikhtiyaar sai allah k liye khaai jaati hai lehaza jo qasam jazbaat mai khaai jaaye wo durust nahi or is ka kaffara bhi nahi hoga lekin agar jhoot bola hai us ka gunah zaroor milay ga or is tauba laazim hai.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatollah seestani edition 39 maslah no 2634)
[Updated on 17-Oct-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
101306
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2019-10-25

Question: Asalamalikum. Ma nay Quran par hath rakh k qasam uthi thy k m us sa Shadi k 3 saal wait krlon g.. Ab m wo qasam ni nibah raha uska kafara kya hoga???

Answer: is tareekay ki qasam durust nahi q k is mai qasam ki sharait moujood nahi lehaaza kaffara nahi hoga.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 2633,2634)
[Updated on 25-Oct-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
101801
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2019-11-16

Question: Many Ami sy narz ho KY Allah k qasam khae KY man apsy BT nae kron g .. jbky man janti thi yah Galt Hy B's gusa man bole gae.. iska Kya kufara ho ga

Answer: Is tareekay ki qasam durust nahi hai.(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 41th edition, maslah #2634).
[Updated on 16-Nov-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
102467
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2019-12-16

Question: Mjse kise friend nay Quran pr hath rakhwa k qasam uthwae thi k agr tm jhot bolo tu tmhy koe ulaad na hu tu ma nay thora jhot r thora bol k qasam utha le kise majbori ki wja se . Ub iska qafara kia hu ga iski kia maufi ha

Answer: Is tarah ki qasam ki koe ehmiyat nahi hay, aisi qasam batil hay.jhoot bolna gunah e kabira hay. (Ref: Tauzihul masael, ayatullah sistani d.b, edition#41, maslah#2634++ Ayatullah sistani d.b, Minhajus saliheen, part#1, maslah#30)
[Updated on 16-Dec-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
102468
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2019-12-16

Question: Question: Mjse kise friend nay Quran pr hath rakhwa k qasam uthwae thi k agr tm jhot bolo tu tmhy koe ulaad na hu tu ma nay thora jhot r thora such bol k qasam utha le kise majbori ki wja se . Qasam uthanay se pehlay mjy ye nhe tha pta k swal mjse kia pucha jaey ga lekin baad may mjy hath rakh k thora jhot bolna pta.. Agr mjy swal ka pta huta tu ma pehlay he qasam na uthati.. Ub iska qafara kia hu ga iski kia maufi ha

Answer: Is tarah ki qasam ki koe ehmiyat nahi hay, aisi qasam batil hay. jhoot bolna gunah e kabira hay. (Ref: Tauzihul masael, ayatullah sistani d.b, edition#41, maslah#2634+ Ayatullah sistani d.b, Minhajus saliheen, part#1, maslah#30)
[Updated on 16-Dec-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
102579
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-08-30

Question: Mere father ne muje qasam di thi apni ke ciggerate na peena pr me ciggerate peeta hu to qasam ka kafara kese ada kru?? Mene ALLAH se mafi bhi mangi hai or kuch paisaay bhi die hai begger ko please help me.ke mere father ki qasam torne se unko kuch hoga to nhi?

Answer: Is tareekay ki qasam durust nahi hai.
(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 41th edition, maslah #2634).
[Updated on 31-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
102594
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-08-30

Question: Salam.. Mere dost se kisi mamuli c baat pe behas ho gai thi meri.. to mane gussa ma a k bol dia ab ALLAH ki qasam baat nahe karugi mur k nahe dekhugi.. to iska ab koi solution hy ? Cox wo bohat gussy ma a k mane kaha tha .. or ab mein baat karna chahti hoon but kar nahe pa rahe hoon just cox ov mera dill is baat ki ijazat nahe deta q k mane ALLAH pak ki qasam uthai thi.. please tell me ?

Answer: jo shaks qasam khaye zaroori hai keh baligh aur aaqil ho neez apne iraday aur ikhtiar se qasam khaye ,lihaza bache , dinwany , be hawas , aur is shaks ka qasam khana jise majboor kia gaya ho durust nahi hai aur agar koi shaks jazbaat mein aakar bila irada ya be ikhtiar qasam khaye to us ke liay bhi yehi hukum hai. ( Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani, Tauzeeh ul masail ,Masla #2634).
[Updated on 31-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
102622
Mujtahid:
Sunni Mujtahid Date: 2023-08-27

Question: AoA. Mera aik sawal he k Maine aik larki k kehne pe Quran pe hath rakh k Kaha k main apko nhn choronga. Apk sath sincere rahonga but Shadi nhn kr sakta. Jab k us Ne bhi qasam khae k hum Shadi k begair sath raheinge main bhi apke sath sincere rahongi. Kiaa isko continue rakhna chahiye ya nhn kiun. Guidance please

Answer: 1)Agar Quran par hath rakh kar is tarah ki qasam tab bhi yeh sahi nahi hai. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2634).
2)Jins e mukhalif sai is had tak dosti karna k mohabbat ki had tak pounch jay, ye jaiz nahi hai q k ghunnah mai mubtila honay ka khof mojoud hay.
3)Na-mehram sai baat krna agar lazzat aur haram mai mubtila honay k khof k bagair ho to koi haraj nahi. (Ref : Nigah aur libas sawal # 106,84 pg # 69,59).
[Updated on 28-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
102652
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-08-28

Question: Kisi ne mujh se poocha ki tu usse baat krta h kya.Maine kaha ki m usse baat ni krta aur qasam kha li message likh ke.jbki m usse baat krta hu.maine zabaan se ni khayi qasam lekin message se khayi.kya mujhe kuffara dena hoga ?

Answer: is tareekay ki qasam durust nahi q k is mai qasam ki sharait moujood nahi lehaaza kaffara nahi hoga.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 2633,2634).
[Updated on 28-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
102703
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-08-26

Question: Mai ne qasam khai thi k mai Ab bura Kam nhi karoo ga agar mai tur dyta hoo tu is ka Kiya kufara hoga plz

Answer: Qasam agar sharae sharton per mushtamil ho to uski pabandi karna zarori hai. Or mukhalifat ki surat men ap gunahgar hojayenge or ap per kaffara wajib hojaye ga. Or Qasam ka kaffara ye hay kay aik ghulam ko azad karen ya das (10) faqeeroon ko pait bhar kar khana khilaye ya inhen poshak pehnaye, Agr in aamaal ko anjam na de sake to zaroori hay kay teen (3) din musalsal rozay rakhe. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 263-34).
[Updated on 26-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
102732
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-08-26

Question: Ma na allah ki jhoothi kasam kha li ha....ab mujhe kia krna chahiye

Answer: jab koi shaks qasam khaye ke falan kaam anjam de ga ya tark kare ga masalan, qasam khaye ke roza rakhega ya tambako istemal nahi karega to agar baad me jaan bojh kar is qasam ke khilaf amal kare to woh gunehgar hai aur zaroori hai keh kaffara de yaani aik ghulam azad kare ya das faqeeron ko pait bhar khana khilaye ya unhe poshak pehnaye (kapre de) aur agar in amaal ko baja na la sakta ho to zaroori hai keh teen din tk rozay rakhe. ( Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani, Tauzeeh ul Masail, Masla no 2633).
[Updated on 26-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
102836
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-08-21

Question: Maine apni ma kk qasm khayi k agr tm shadi me gyi to me nambr bnd kr dungaa rhsta nahi krungaa or bhi boht kuch kaha or ab me rishta rakhna chata hn kiaa iska koi kafara ha

Answer: Is tareekay ki qasam durust nahi hai.(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 41th edition, maslah #2634).
[Updated on 22-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
102844
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-08-22

Question: Mene mere bete Ki kasam khae k me mere shohar k saath hambistari (sex)nahi kraugi..Lekin abb vo mujhse zabrdasti karr rahe hai to Iska Kya kaffara hai.

Answer: Is tareekay ki qasam durust nahi hai.(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 41th edition, maslah #2634).
[Updated on 22-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
102984
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2020-01-09

Question: Assalamualekum Meri Ammy be mujhe kasam Di thi ki mujhe apne lover se bat nahi krni Hai ab, pr mene usse bat karli kuki uski zindagi Ka sawal th, Ab kya kyaa ja skta hai btaye.??

Answer: Qasam agar sharae sharton per mushtamil ho to uski pabandi karna zarori hai. Or mukhalifat ki surat men ap gunahgar hojayenge or ap per kaffara wajib hojaye ga. Or Qasam ka kaffara ye hay kay aik ghulam ko azad karen ya das (10) faqeeroon ko pait bhar kar khana khilaye ya inhen poshak pehnaye, Agr in aamaal ko anjam na de sake to zaroori hay kay teen (3) din musalsal rozay rakhe. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 263-34).
Note: ye qasam qasam ki sharaet k mutabiq nahi hay is liay is qasam ki koe ehmiyat nahi.
[Updated on 09-Jan-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
103052
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2020-01-11

Question: Main ney apny dost Kay kehny per qasam kahi Kay mujhy Meri class ka ik larka acha nahi lgata. But wo jhooti qasam thi. Lekin text per kahi this qasam. What should I do?

Answer: is tareekay ki qasam durust nahi hai albatta jo jhoot bola hai us ka gunah milay ga.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 2634).
[Updated on 11-Jan-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
103297
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2020-01-24

Question: Main ne dukh aur gusse main ek kasam khayi Quran e Pak pe hath rakh k aur Allah ki kasam kha k main ye ab kaam nh kroongi aur agar aisa kia tou meri zindagi barbad hojae. Lekin ab wo kaam main krna chahti hoon. Aisi soorat main kya kia jae? Please help.

Answer: Qasam agar sharae sharton per mushtamil ho to uski pabandi karna zarori hai. Or mukhalifat ki surat men ap gunahgar hojayenge or ap per kaffara wajib hojaye ga. Or Qasam ka kaffara ye hay kay aik ghulam ko azad karen ya das (10) faqeeroon ko pait bhar kar khana khilaye ya inhen poshak pehnaye, Agr in aamaal ko anjam na de sake to zaroori hay kay teen (3) din musalsal rozay rakhe. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 263-34).
[Updated on 24-Jan-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
103367
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2020-01-25

Question: Assalamualaikum... AGR ma kisi ko majbor kro k wo mujy apni qsm da or khy k tum ya kaam kbhi nhi kro ga..but ma us ki qsm tor data ho or wo kaam kr lata ho jub k Mara irada qam torny ka nhi hota...kaya is par koi qifara bnta ha...?

Answer: Allah ky nam kay alawa kisi or ki Qasam kahna motabar nahi hay..(Ref: Ayatullah Sistani d b tauzeehul masail 2019 edition maslah 2634)
[Updated on 25-Jan-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
103448
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2020-01-31

Question: maine jhoti qasam khae apni maa ki aur jhoot bola aud samne wale ne bola k agr qasam jhooti to teri maa mar jae.. please koi kaffara btain i love my mom

Answer: is tareeqe ki qasam durust nahi q k is mai qasam ki sharait moujood nahi lehaaza kaffara nahi hoga.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 2633,2634)
[Updated on 31-Jan-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
103451
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2020-01-31

Question: Mene ksi kehne pr kalima ki qasam khai ke mere pas wo picture nai hy jab ke thi or Mene moka milte hi wo picture apne pas se khatam bhi krdi ta ke jhoota na bano, ab mujhe kia karna chahye q ke is bande ke kehne par qasam khate wakt mere pas thi lekin mene os se bat khatam krte hi sab phenk dya ta ke jhoota na bano, kia koi kaffarah hy?

Answer: Jhoti qasam khana gunah hay. Aap allah se sache dil se tauba karain. .(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2638).
[Updated on 31-Jan-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
103476
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-08-17

Question: Assalam o alaikum... Mjse kise nay aek bat pr qasam le thi Quran pak pr hath rakhwa k such r jhot k baray jannay k leay r sath may ye b qasam d k agr jhot bolo tu tm ulaad k leay tras jao tmhay ulaad na hu r ma nay qasam utha b le pr qasam uthanay se pehlay mjy ye nhe tha pta k ks bat k baray qasam leni.. Tu qasam uthatay huay thora sa jhot bol dea Quran pr hath rakh kr r ma apni qasam k baray dil se boht shirminda hun r khof ha dil may k kahin aesa hu na jaey jhoti qasam ki wja se... Is qasam k leay kia kfara hu ga... Ma us qasam ki wja se skoon nay nhe hun... But us time jhot bolna mri majbori thi..

Answer: Jhooti qasam khai hai to ye ek haram amal hai , or iska kaffara istighfaar hai.(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2638)
[Updated on 17-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
103513
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2020-02-18

Question: 7 Nafli rozon ka kaffara kiya hain? Mai may 7 nafli rozayn manay thay but rukh nahi sakhi abhi tak.

Answer: Agar roza rakhna namumkin ho tu phir ehtiyaat e wajib ye ke har din ke roze ke badle 750 giram giza faqeer ko sadqa den. ya 50 kilo giram giza us shakhs ko den jo is ke badle roza rakjhe. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 41th edition, maslah #2610 )
[Updated on 18-Feb-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
103544
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2020-02-15

Question: mainy aik mushkil mae 10 rozay ki manat mangi thi jismy sy 3 rakh liye hain, baki mai nai rakh paa rahi, un 7 rozo ka mjhy koi hadiya bata dyn.

Answer: On mawaqe main jahan roza rakhne ki nazar ki ho or roza nah rakh sakhe tu ehtiyaat e wajib ye hay keh har din k roze k badle 750 gm ghiza faqeer ko sadqa day ya 1.50 km ghiza os admi ko day jo os k badle roza rakhe. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail, edition#42, maslah#2610).
[Updated on 15-Feb-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
103570
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2020-02-03

Question: May nay Ami Ami ki kasam khai this my dosri Shaadi nai kro ga lakin mayri Ami k intekal ko 2 sal ho gy hai or my dosri Shaadi krna chata ho to my KR sakta ho ya nai?

Answer: Is tariqe ki qasam durust nahi hai kyun k qasam Allah k liye khaai jaati hai .(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 2019 maslah no 2633,2634)
[Updated on 03-Feb-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
103581
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ruhollah Khomeini Date: 2020-02-12

Question: mera sawal ye hai ki maine gusse me kasam khai ki main jis khuda ki ibadat krti hoon uski kasam ki main kisi se baat nhi karugi lekin isse pura nhi kr pati to iska kaffara kya hai plz batatye.. aur dusri baat main jis baat ki toba baar baar krti hoon aur vo galti phir ho jati hai to kya kare.. aur 3 mera most question ye hai ki meri shadi me bhot dikkat ho rahi hai maine bhot wazaif aur amal kiya ab kuch samj nhi a raha k kya kare plzz main kya karu ki meri jald se jald shadi ho jaye..

Answer: 1- Is tareeqay ki qasam durust nahi hai.(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 41th edition, maslah #2634).
2- Toba karein Parwar digar ne quran me wadah kia he k wo toba karney walon ki toba ko qabool karte he aur aisa hirgis nahi ho sakhta he k wo apne wadeh per amal na karey. Aur ghuna se bachney k lie mazboot irada chahiea. (Ref : sistani.org ques # 1 , toba)
3- Rasool(saww) nay famaya: Ay Ali a.s surae yaseen ki tilawat kia kro,is mai 10 brkatain hain(in mai sy aik ye hai k)gair shadi shuda,shadi shuda hojaega.(Ref:book dunya-o-akhirat ki 100 pareshanio ka hal pg#18) Misbaah kafhami main hay k agar kisi lerki k liay kaheen se rishta nah aa raha ho tu sorah Taha ki ayat #131-132 ko kaghaz per likh ker bataur e taweez lerki k bazo per bandh dain .. insah Allah in ayaat k tofail oski jald shadi hogi. (Ref: Naeemul abraar, pg#328-330).
[Updated on 12-Feb-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
103586
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2020-02-11

Question: Eksaal phle mere aur mere chhanewale k pich kuchissue huyethe family meine khuda se kasam khayi ki agar me jisse chhtihu use meri wapas baat hui agar WO merelyfme wapas aaya tho mei use phlejaise karebnhi rahkugi dur rahugi usse n aab mujhse nhihora ye mei kaise wapas lu kasam apni n kyakaffra laazimhai hai tho kyahai

Answer: jee nahi is qasam pr koi kaffar nahi hai q k ye qasam hi sahi nahi hai.(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2633-34)
[Updated on 11-Feb-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
103587
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Abul Qasim e Khoie Date: 2020-02-11

Question: Eksaal phle mere aur mere chhanewale k pich kuchissue huyethe family meine khuda se kasam khayi ki agar me jisse chhtihu use meri wapas baat hui agar WO merelyfme wapas aaya tho mei use phlejaise karebnhi rahkugi dur rahugi usse n aab mujhse nhihora ye mei kaise wapas lu kasam apni n kyakaffra laazimhai hai tho kyahai

Answer: Jee nahi is qasam pr koi kaffar nahi hai q k ye qasam hi sahi nahi hai.(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2633-34)
[Updated on 11-Feb-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
103599
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2020-02-11

Question: Maine apne aap se allah ki kasam khayi k ab mai ye kaam nahi karoonga aaj lekin maine wo kasam tordi or wo kaam kardiya to kya ab kaffara lazim hai?

Answer: Agar aap ne qasam ki saari islami sharton ka khayal rakhte huay qasam khai thi to baad men jaan boojh kar us qasam k khilaf amal kiya to gunahgaar hoonge or kaffara bhi dena zaruri hoga or qasam ko torne ka kaffara ye hai k 10 faqeeron ko pait bhar kar khana khilaen ya phir unko libaas pehnaen or agar ye kaam nah kar saken to 3 din musalsal roze rakhen (Ref: Ayat ullah seestani d b tauzee hul masael edition# 41, mafhoom e maslah 2633 34).
[Updated on 11-Feb-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
103623
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2020-02-10

Question: Agr hum Kisi ki qsm khatay hen phr so torty hen Abu ki ya Ami ki to Kia unko nuqsan hoga koi mtlb jiski qsm khae hy usko?

Answer: Is tariqe ki qasam durust nahi hai kyun k qasam Allah k liye khaai jaati hai .(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 2019 maslah no 2633,2634)
[Updated on 10-Feb-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
103753
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2020-02-12

Question: Mera naam shazia hai....mai aur mere shouhar ek bete ki dua kiye the kaabetullah ke upar haath rakhkar ke agar beta hoga to hum uska naam hassain rakhenge karke.Allah ki rehmath se hame beta huwa lekin hamare saas ne devar ne hamare bete ka naam saad rakh diya. Bacha ko baar baar bukhar aati rehti hai aur kuch na kuch masla rehta hai.Mujhe yeh socha jaata hai ki hum ne hassain naam na rakhke bache ko takleef di hai. Mera yeh sawaal hai agar humne jo maanat ki thi woh naam agar na rakha to bache ko taklif hogi? Aur mere bete ki umr 1 saal 3 mahine hai?

Answer: Ye nazar (Mannat) sahi nahi Q k nazar kerne men ye baat lazmi hai k allah ka nam samil ho. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #2604).
[Updated on 12-Feb-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
103805
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2020-02-13

Question: Gusse(anger) main kis ko di hui qasam chahe woh quran ki ho ya kisi insan ki (without intension).. Kya yeh qasam mai consider hoga k nahi. Please answer my question

Answer: Is tariqe ki qasam durust nahi hai Q keh qasam Allah k liay khaai jaati hai. (Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 2019 maslah no 2633,2634)
[Updated on 13-Feb-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
104089
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Abul Qasim e Khoie Date: 2023-08-16

Question: Main nai Aik banday say mele ty or phir mujh say zabardasty quran par hath rakhwaya hai Ke tum mele ho ya nahe main nai quran pak par hath rakha Ke nahe main nahe mere jhut bhula abb eska Kya kafara hai

Answer: ye qasam baatil hai kyun k qasam apne ikhtiyaar sai allah k liye khaai jaati hai lehaza jo qasam zabardasti khaai jaaye wo durust nahi or is ka kaffara bhi nahi hoga lekin agar jhoot bola hai us ka gunah zaroor milay ga or is tauba laazim hai.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatollah seestani edition 39 maslah # 2634)
[Updated on 16-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
104171
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-08-11

Question: Mera question h k agr apne koi manat mani hui k mera ye kam ho jaiy to mi 1 mnth k rozay rakhn gi but apka kam ho jaiy or ap rozay na rakh pa rhe ho 1 2 bar strt kr k continue na kr sako to kya krna chaiy?

Answer: Ap ka ye amal nazar kehlayega lekin is men zaruri k zaban se nazar k alfaz kahen hon is tarah k Agr mera fulan kam hogaya to men Allah k liye khud per ye lazim krta hun k roze rahunga, is surat men agr apka wo kam hojaye to roze rakhna ap per wajib hai, agr nahi rakhenge to ap per wajib hai k kaffara ada kren, matlb 10 faqeeron ko pet bhar kr khana khilaen ya unhen libaas ata kren, or agr ye kam na kr saken to 3 din musalsal roze rakhen, lekin agr ye alfaz ada nahi kiye faqt niyat ki hai to ye nazar sahi nahi hai.lehaza koi kaffar nahi hoga. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2604-2633).
[Updated on 12-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
104232
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2020-03-03

Question: Mene apne shohar k samne Quran utha k khai k me ab wps nh aungi ghr agr is ghr se nikli tou lekin ammi ne Meri patchup krwdya aur mjhe wps ana para ghr me bht parishan hoon Allah se dartin Hoon ab me iska kaffara kese adah kron mjhe Ayatollah sistani ki rehnumai chahye hai pls guide

Answer: Jee nahi is tariqe ki qasam durust nahi hai Q keh qasam Allah k liay khaai jaati hai. is qasam pr koi kaffar nahi hai q k ye qasam hi sahi nahi hai. (Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 2019 maslah no 2633,2634)
[Updated on 03-Mar-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
104245
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2020-03-04

Question: Assalamalikum.Maine kuran Shareef ki jhuti kasam khaya uska kufara kya hai.maine pheli baar kasam khai hai.bohut bada gunaah Kar Diya Meri madad kiyai

Answer: Is tareeqay ki qasam durust nahi q k is mai qasam ki shareit moujood nahi lehaaza kaffara nahi hoga.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah # 2633,2634)
Agr qasam kha kr kaha hai to goya jhooti qasam khai hai or ye haram hai or kabhi kabhar to gunah e kabeera ban jata hai, or is ka kaffara Allah se toba w istighfar hai. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2638).
[Updated on 04-Mar-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
104285
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2020-03-06

Question: Maine apne aap se Allah ki kasam khayi ab mere se wo poori nahi hori to kya mai waapis lesakta?

Answer: Qasam ki pabandi karna zarori hai. Or mukhalifat ki surat men ap gunahgar hojaeyen gi or aap per kaffar wajib hojaey ga. Or Qasam ka kaffara ye hay kay aik ghulam ko azad karen ya das (10) faqeeroon ko pait bhar kar khana khilaye ya inhen poshak pehnaye, Agr in aamaal ko anjam na de sake to zaroori hay kay teen (3) din musalsal rozay rakhe. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 263-34).
[Updated on 06-Mar-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
104286
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2020-03-06

Question: Maine apne aap se Allah ki qasam khayi lekin ab wo qasam poori ni hori to kya mai waapis lesakta?

Answer: Qasam ki pabandi karna zarori hai. Or mukhalifat ki surat men ap gunahgar hojaeyen gi or aap per kaffar wajib hojaey ga. Or Qasam ka kaffara ye hay kay aik ghulam ko azad karen ya das (10) faqeeroon ko pait bhar kar khana khilaye ya inhen poshak pehnaye, Agr in aamaal ko anjam na de sake to zaroori hay kay teen (3) din musalsal rozay rakhe. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 263-34).
[Updated on 06-Mar-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
104299
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2020-03-06

Question: What is kaffara for not fulfilling mannat.

Answer: 1 ghulam ko aazaad karay ya10 faqeeron ko pait bhar kar khaana khilaaye ya unhe poshak pinhaaye or agar ye aamaal bajaa na laa sakta ho to 3 din musalsal rozay rakhay.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 2633).
[Updated on 06-Mar-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
104476
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2020-04-27

Question: Mene kasam khai k allah ki ksam jo bhi bola sach bola or agar jhut bola ho to tum barbad ho jao esa mjhse bulaaya gaya me bolna nhi chahti thi kyuki jo bte mne boli unme se kuch bate jhut thi to iska azab samne wale par aega or iska kaffara kya hoga

Answer: Ye qasam baatil hai kyun k qasam apne ikhtiyaar sai allah k liye khaai jaati hai lehaza jo qasam majboori mai khaai jaaye wo durust nahi or is ka kaffara bhi nahi hoga lekin agar jhoot bola hai us ka gunah zaroor milay ga or is per tauba laazim hai.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatollah seestani edition 39 maslah no 2634)
[Updated on 28-Apr-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
104611
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2020-03-19

Question: Mujy kisi ne qasam dii ki mere sath baat nahi karnaa phir ussi insaan ne qasam wapis bhi lii bola ki mainay qasam wapis lii ab aap mere sath baat kar saktay hou kya mai us insaan k sath baat kar sakta hu?

Answer: Is tareeqki qasam durust nahi hai.(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 41th edition, maslah #2634).
[Updated on 19-Mar-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
107864
Mujtahid:
Quran o Hadith Date: 2023-08-04

Question: Main unmarreid hoon Maine quran pe haath rakh kr kasam khai ki main masturbate nhi karunga lakin mistake se ho gayi ,maine kaffara de diya hai pr kya kasam dobara se mujh pr lazimi rahega ya khatam ho gaya.

Answer: 1) Jee nahi is tariqe ki qasam durust nahi hai Q keh qasam Allah k liay khaai jaati hai quran pe hath rakhne se qasam nahin khai jaati. is qasam pr koi kaffar nahi hai q k ye qasam hi sahi nahi hai. (Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 2019 maslah no 2633,2634)
2) Istimna (hand practice/ masturbation) karna gunah e azeem hay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Minhajus saliheen, part#1, maslah #30 , edition 2009).
[Updated on 04-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
107907
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2020-08-27

Question: Maine qasam khaaye thi kisi insaan ki k mai yeh kaam nhi kruunga pr mai woh qasam bhool gya aur mujhe abh yaad aya hai iss soorat mai mujhe kya krna chahiye?

Answer: is tarah ki qasam durust nahi hai.(Ref:Tauzeeh ul masail aaytullah seestani edition 41 maslah no 2634).
[Updated on 27-Aug-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
107926
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2020-08-26

Question: ma na kisi larki ko Allah ki qasam di thi k ma tm sa dubara baat nhi krun ga lakin ma kasam tor di or dubara baat krli ma bht sharminda hun apni harkat par plz muja bta dein is ka kafara banta ha or kitna banta ha junaid

Answer: Agr apki qasm sharaee lihaz se sahi hai to ap par kaffar wajib hai yani 10 faqero ko pait bhar kar khana khilain ya in ko kapre pehnaen(matlb libas ata kren), or agr ye kam nahi kr sakte to 3 din musalsal roze rakhen.(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2633).
[Updated on 27-Aug-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
107974
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2020-08-19

Question: mn ny ager cigerate na peeny ki kasam khai hai or wh bhi surah yasin ki kasam to kya mjhy gunnah hoga ?

Answer: Jee nahin, is tariqe ki qasam durust nahi hai Q keh qasam Allah k liay khaai jaati hai quran pe hath rakhne se ya surah yasin ki qasam nahin khai jaati. is qasam pr koi gunah ya kaffara nahi hai q k ye qasam hi sahi nahi hai. (Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 2019 maslah no 2633,2634)
[Updated on 19-Aug-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
108001
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2020-08-18

Question: Asalamu alikum Sir Agr Koi Insan Quran Pak Pe Hath Rakhe Or Us Insan Ki Niyat Naa Kasam Khane Kii Quran Pak Pe Hath Rakhne Kii Majbori M usko Esa Karna Perhe Jab Ke Uska Dil Na Ho Niyat Hi Naa Ho Toh Kya Wo Kasam Hojati Hai

Answer: Jee nahi aisi qasam durust nahi hai.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 2634).
[Updated on 18-Aug-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
108097
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2020-06-05

Question: Kia baap ki kasam khana jaiz hi? ya kisi insan ki? or iski pabandi hi?

Answer: jee nahi is tareekay ki qasam durust nahi maani jaaye gi.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 2634 point 3).
[Updated on 05-Jun-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print