Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+


Question & Answers << Go Back

Topic: Meras (210 Questions)


Showing 200- 210 questions from 210 questions on this page.

Answers found for searched words
Id:
122774
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-08-15

Question: Maa baap apni jaidad apni zandagi me beta beti ko half half hissa deskte hain?

Answer: Jee han, day sakte hain (or jo wo apni zindaghe me deghe wo tofa(gift) khelaega ), lekin khuda nakhuwasta maan, baap ke intiqaal ke baad, phir us pe meeras ke ahkaam jaari nahin hon gay.
Agar maan, baap apni zindagi me apne irade, marzi aur ikhtiyar se kisi ko koi cheez hiba(gift) kar day to wo cheez maan, baap ki milkiyat se nikal kar dusron ki milkiyat me chali jati hai. Ab agar ye hiba(gift) kisi rehmi reshtedaar (jaise ke aulad) ko kiya jaye to maan, baap wo cheez kisi bhi surat wapis lene ka haq nahin rakhen gay.

(Ref: Minhaj us Saliheen, Ayatullah Sistani(d.b), part #2, edition 1443 hij, maslah #1320).
[Updated on 16-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
122999
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-10-02

Question: Walad sb ke shop the sarkari rent pr un ke wafat k baad woh adda Sale kar diaa toh kya us mai bahan b hissa ly ge

Answer: Walid sahb ke intiqaal ke waqt jo bhi maal (property) us ki mliyat tha us me marhoom ki beti ka bhi hissa hota hai is tarah se ke marhoom ke beton ko jitna hissa milta hai, beti ko us ka aadha hissa milay ga.

(Ref: Tauzeeh ul masail, Aayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2691,2694,2695).
[Updated on 03-Oct-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id:
123248
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-11-09

Question: Mera sawal yeh hai k meri saas ka inteqal hochuki hai aur mery susar ny unka sara zewar apni dosri biwi ko yeh keh kr dy dia k yeh sub mainy dilaya tha tw us mai ab apni dosri biwi ko dy raha ho bacho ko us mai sy kuch bhi nhi dia. Tw kia unhony sahi kia ya bacho k sath na insafi ki

Answer: Agar wo zewar aap ke susar ne apni pehli biwi ke milkiyat me de diya tha to ye zewar pehli biwi ki milkiyat shumaar hoga aur pehli biwi ke intiqaal ke baad wo zewar meeras ke taur par wariseen me taqseem hoga.
Lekin agar aap ke susar ne wo zewar apni pehli biwi ke milkiyat me nahin diya tha balke sirf use istemaal ke liye diya tha to is soorat me ye zewar aap ke susar ki milkyat hi shumaar hoga aur phir us ki marzi hai ke wo jise chahe zewar day aur jise chahe nah day.

(Ref: Minhaj us Saliheen, Ayatullah Sistani(d.b), part #2, edition 1443 hij, maslah #1320,1321).
[Updated on 09-Nov-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
123421
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-12-18

Question: Aoa mofti sab mera ap sey question hea k agr 1 mein biwi hon and un ke koi oalad na hoa or biwi agar foat ho jati hea to is k husband ko is ke waeasat sey kitna hisa mila ka jab k biwi ka bap bhi zinda hea or is k bhi waghara bhi hean. And marhoma khoad government servent the kea is k gov k wajibat mein se bhi is k walid ko hisa milay ga ya ni jb k government k role k motabak is ka husband waras hea .

Answer: (Note: Is website par fiqh e jafferiya (shia mazhab) ke mutabiq jawabat diye jatay hain).

Fiqh e jafferiya (shia mazhab) ke mutabiq, Agar aurat ka inteqaal ho jaye aur us ki koi aulad na ho to marhooma ke inteqaal waqt jo jaidaad (property) marhooma ki milkiyat me thi us poori jaidaad ka aadha (1/2) hissa us ke shohar ko milay ga aur baaqi jo bachay ga wo marhooma ke baap ko milay ga. lekin bhaiyon ko kuch nahin milay ga Q ke bhai wirasat ke aitebaar se doosre tabqe me aate hain aur jab tak pehlay tabqe ke afraad me se koi aik fard bhi maujood ho to meeraas baad waale tabqe ke afraad ko nahin milti.

(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2695,2727).
[Updated on 19-Dec-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
123577
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2024-03-07

Question: 20 sal pehle mujhe warasat se aik lakh rupay milay thay me char bhenay hn pehle behno ne mujh se koi bat nahi ki ab ma un ko apne aik kakh k hissa se un ko un ka hissa dena chahta hun meharbani kar k mujhe bata dein ma fi kas behan ko kitna hissa dun.

Answer: Sab se pehle to yh ap pr wajib hai k ap Indallah bakshish k talab gaar rhein or phr Apni behno se iss hawale se mafi mangein..
Ap ko jb apne walid se wirasat mili agr uss waqt apki walda hayat nhi thi to uss tamam amount or jo jo hisse aya tha uss k 6 barabar k hisse honge 2 hisse ap ko milege aur baqi 1 1 hissa hr behn ko dia jaega..
(Reff: Touzih ul Masail Ayatul Sistani d.m, 39th Edition, Meeras k Ehkam, Page 423)
[Updated on 08-Mar-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
123606
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2024-01-21

Question: Mere walid abhi zinda but sense mai nahi mera bhai inke sab paiso par apna haq kahta hai jaise bhi use kare kiya yeh sahi hai Sab property mere walid ki hai Bhai ne kuch bhi nahi kaam kiya walid ke sath

Answer: Aap ke bhai ko is jaidad (property) me tasarruf karne ka koi haq nahin hai aur aap ke bhai ke liye jaiz nahin ke wo is jaidad (property) me tasarruf karay, balke agar aap ke dada hayat hain to wo aap ke walid ke maal me maslihat ki khaatir tasarruf kar sakte hain aur agar aap ke dada bhi hayat nahin to is soorat me haakim-e-shara yani mujtahid ki taraf ruju kiya jaye ga taake wo aap ke walid ke maal ke silsilay me koi sharari hal nikal sake.

(Ref: https://www.sistani.org/urdu/qa/02897/ ).
[Updated on 22-Jan-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
123664
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2024-03-04

Question: 3 bhai or 2 bhen han or maa bhi zinda hein, 120sq ka ghr ha, ek bhai nay 1st floor banvaya tha apnay paiso say 10 saal phelay or kheraha ha kay 50lac daydo phelay mujhy phir 1 crore divide kardo sab may to iska kia tareeqa ha qanoonan or islamic?

Answer: Ghr k jis hisse ko jis bhai ne apne paiso se bnaya tha vo hissa Wirasat me shumar nhi hoga yaani uss hisse ki jo Mrket value hai vo us bhai ka haq hai jis ne bnaya tha..
Jin hisso ko Walid(Marhoom) ne bnaya tha uss ko batoure wirasat ehkam k mutabiq taqseem kia jaega..
Bhai behan or maa raazi hn to apni riza k mutabiq taqseem kreinge vrna sharii masla yh hai k maal k 6 hisse kie jaege, 1 hissa maa ko dia jaega or baaqi 5 hisso ko yon taqseem kia jaega k hr bhai ko behn ki nisbat dugna hissa milega..
Meeras ki taqseem k liye marhoom k rishte daron k 3 Groups (tabqe) bante hen, or ye tarteeb-waar (number wise) hen, yani jab tak pehle tabqe k afrad mojud hoon chahe ek hi fard Q nah ho meeras dusre tabqe k afrad ko nahi milti. 1st Group: Maan, Baap or aulad hote hen. 2nd Group: Dada, dadi, nana, nani, behn or bhai hen. 3rd Group: chaha, phophi, mamu, khala. Or jab tak ek tabqe k afrad mojud hon chahe ek hi fard ho us waqt tak meeras us k baad wale tabqe ko nahi di jaeygi.
Chon k iss mamle me bete or betiyan mojood hai to wirasat ka maal aage kisi ko nhi milega
(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 39,Mafhoom e Maslah # 2691,2694).
[Updated on 05-Mar-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
123697
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2024-03-08

Question: Marhoom ki sirf 2 betiyan hai unki jayda ki taqseem kasy hogii? Kya marhoom k bhaiyo ko bhi us main sy hissa jayega or agr han to kitna jayega.

Answer: is sorat m k marhoom ki faqat 2 betian ho to Marhoom ki meeras un ki dono betioyn me barabar taqseem hogi.
Marhoom k bhai wagera ko miras se kuch nhi milega..
9Reff: Touzih ul Masail Agha Sistani d.m, 39th Edition, Masla No. 2691)
[Updated on 09-Mar-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
123743
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2024-03-15

Question: Assalam o Alaikum, kya makaan ko aik baitay k naam krnay sy makaan baitay ka hojata hy? Detail: Meray nana government job krtay thay, unkay 8 bachay thay (6 larkiyan aur 2 larkay) aur government job ki wajah sy us waqt apnay naam property lynay k bjaye aik baitay k naam plot ly lia aur phr jis makaan mai rihaish thee usay sale kr k plot ka Ground floor tameer krwaya. Esi asna mai baitay ki job saudia mai lag gai tu baitay ny bhi baap ko paisay bhejay takay mazeed tameerat hosakay phr 1st floor k lye loan lia gaya usay baap baitoo ny mil kr ada kia.. Baap ny 1995 mai 2 gawahoo ki mojoodgi mai wirasat k muttalliq aik wasiyat bhi likh di k ye makaan meray baad jb bhi sale hojaye tu tamam wariseen mai sharai taqseem krdia jaye. Lykn es wasiyat k baray mai apnay baitoo ko kuch na bataya jbkay apni 6 baitiyoo mai wirasat ki copies taqseem bhi krdi.. phr apnay dosray baitay ko bhi makaan mai hisay dar bna dia makaan k documents mai..phr 2005 mai inteqal kr gye.. Ab jb behno ny wirasat ka haq manga hy tu jis baitay k naam makaan hy unka kehna hy k ye makaan tu meray naam lia tha abba ny aur ye tu mjhy hiba hogaya tha aur abba ko koi haq nhi k mjhsy ye makaan wapas lyn aur unhy tu wasiyat ka bhi haq nhi tha..jbkay ksi document mai hiba ka word nhi hy aur na ksi baiti ko pta hy k abba ny makaan hiba kya ho... Jis baitay k naam ye makaan hy wo 3 behnoo k baad 4th number ki aulad hyn.. Baraye meherbani Ayat ullah Seestani k mutabiq es maslay ka hal ( solution) bataye. Shukria JazakALLAH..

Answer: Agr walid sahb ne jis waqt vo plot apne bete k naam likhvaya to unki niyyat yh thi k yh makan mere baite ka hi hai to uss sorat me ap k walid ne hiba krdia hai lekin bazahir aisa hai nhi q k un ki waseeyat bhi yhi bta rhi hai k hiba nhi kia tha faqt job me mushkil na ho isi lie baite k nam likhvaya tha..
Lekin agr naam krwate waqt yh kaha tha k faqt baite k nam horha hai milkiyat meri hi hai to wasiyat k mutabiq yaani sharii taseem hogi jis me agr bacho ki walida yani marhom ki zouja hayat nhi hai to maal k 10 hisse honge, baito ko 2 hisse die jaege or hr baiti ko 1 1 hissa milega lkn agr walida hayat thi to iss sorat me makan ki zameen k ilawa 1/8 hissa walida ko dia jaega baaqi maal zameen samait k 10 hisse hnge aur opar wali sorat k hisab se hi taqseem hoga.
(Reff: Touzih ul Masail Agha Sistani d.b, 39th Edition,Meeras k Ehkam, Masla No. 2691)

[Updated on 16-Mar-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
126008
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2024-03-14

Question: Please bta de k agr marhom ki do bewa Hu or aik bewa se 5 bache hu to kaise taqseem hogi

Answer: Insaan ki maut ke baad us ki biwi (chahe aik ho ya do, teen, car hon) ko ghar ki zameen men se koi hissa nahin milta aur nah hi us ki qeemat karwany ki soorat men koi hissa milta hai lekin ghar ki emaarat men wesy to us ka hissa nahin banta magar us ki qeemat karwayei jaye to us emaarat ki jo qeemat hogi us men hissa milta hai aur jo cash ya gold ho ya jo jaidaaid ho agar marhoom ki aulad ho to sab men biwi ko 1/8 (aathwan) hissa milta hai (aur ye aathwan hissa marhoom ki dono biwiyon me barabar taqseem kiya jaye ga) aur baqi jaidaad aulad men taqseem ho gi, is tarah se ke har beti ko aik or har betay ho dugna (double) hissa milta hai.

(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani (d.b), edition #42, maslah #2694,2727,2728).
[Updated on 15-Mar-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print