Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+


Question & Answers << Go Back

Topic: Khanay Peenay K Ahkam (177 Questions)


Showing 100- 150 questions from 177 questions on this page.

Answers found for searched words
Id:
77937
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Aslam ol Alykum, shutar muragh (osrtich)ka goshat haram hai ya halal kindly jaldi batana

Answer: Shutur murgh ka gosht halal hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #2587). Update on dated 07-04-17. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
78567
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Assalaam o alaekum, kya Talwar(sword) se Qurbaani kr skte h. ??

Answer: Agar talwaar lohay(Iron) ki hay tu os se zibah kerna jaiz hay or ehtiyaat e wajib ki bina per steel ki churi kafi nahi hay. Update on dated 26-04-17. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id:
82298
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Assalam o Alaikum.. khana khany k bad pani peena chaheye ya nahi..???

Answer: Jaiz hay koe maslah nahi hay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 39th edition, maslah #2600). Update on dated 27-03-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
85004
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Islam ma gaanja ka Kya hukum hai?

Answer: Sharab aur har wo cheeze jo mukammal ya juzwi tour per nasha aawar ho, solid ho ya liquid ye sab haram hai. (Ref : A.Sistani(d.b),Jadeed fiqhi masail, maslah # 164, pg #123). Update on dated 03-08-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
86204
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: salam hindustan me gae ka gosht khana kaisa h jab k goverment ne pabandi lagai hui h

Answer: Government laws ka koi masla nahi hai or agar koi aisa ilaqa hai jahan jaan ka khatra na ho to phir khana sahi hojaye ga lekin agar aise ilaqe mai jahan jaan ko khatra ho to phr khana jaiz nahi hoga chahe wahan govt ki pabandi nab hi ho.(Ref:www.sistani.org) Update on dated 14-08-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
87026
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Kiya jaiz ho jata hai 6 din faqe bhook ke bad koi Bhi aisi cheez khana na ho jis se zindagi bache kiya murdar ya khinjeer bhi kha sakta hai Jan bchane ke liye qoitrat \"

Answer: Is halat main haram khana jaiz hai lekin utna khana jaiz hay k jis say jaan bach jaey. (Ref:Minhaj us saliheen part 3 maslah no 943). Update on dated 15-09-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
87065
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: A.O.A mujhe puchna hai ki muslim ki dukan pr hindu mitha banata hai to hame use khana chahiye ya ni malik uska muslim hai

Answer: Agar wo is tarah banata hay k us ka jism us meethi cheez say nahi chota to korj nahi jesy k wo dastana pehen ker banae , laikin agar wo is tarah banae k us ka badan us meethi or gheeli cheez say cho jaey or us ki tari is qadar ziyada ho k khushk cheez ko tar ker dy to wo najis ho jaey gi or usy kha nahi sakty hen,lekin agar shak ho k us ka jism us meethi cheez say choa hay ya nahi to wo cheez kha saktay hain. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 39th edition, maslah #119 ). Update on dated 17-11-17. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
88940
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Sahtar murgh (ostrich) ka ghost or anday (egg) khana halal hai ya haram?

Answer: Halal hay. Ref: (https://www.sistani.org/urdu/qa/17544/ ). (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 39th edition, maslah #1433). Update on dated 17-07-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
88950
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Kia Mari hui murgi ka anda kha sakty hai ?

Answer: Jee haan kha sakty hen lekin us ko dhona zarori hay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 39th edition, maslah #907). Update on dated 23-06-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
88959
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Othni ka dodh pee sakty hai agr wo mar gaye ho?

Answer: Jee haan pee sakty hen jaiz hy. (Ref: Minhajus saliheen jild#3, maslah#907). Update on dated 16-07-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
92880
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2018-11-03

Question: Is squid fish and prawn halal or haram?

Answer: Agar squid fish chilke wali ho tu halal hay or prawn halal hay. (Ref:Aayat-ul-Allah Seestani (d.b), Tauzeehul masael,Edition# 39,Mafhoom e Maslah #2578 )
[Updated on 03-Nov-2018 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
93036
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2019-02-14

Question: Mera sawal ye mera Sath jo kaam karta ha Wo Hindu ha uska sath khana Peena jaiz ha Aur Koi wo Koi halal food Laya tu Kha sktay ha Unkay ki trf Koi festival ho Aur Wo Koi halal food lae tu Wo Kha sktay ha??? Pls ans

Answer: Hindu najis hein or uska geela hath ya jism ka koe bhi tar(geela) hissa khanay ko mas(touch) ho gaya ho to khana najis ho jaey ga or phir haram ho jaeyga, lekin agar in tamaam cheezoon ka apko yaqeen nah ho to khana jaiz hai. Albatta gosht or charbi waghera sirf musalman se hi leker kha sakte hen. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 41,Mafhoom e Maslah # 104).(Ref : Ayatullah Sistani, Jadeed faqhi masael , Mafhoom e maslah # 152-153, Pg # 120, Eidition# 5)
[Updated on 14-Feb-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
93527
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2018-12-29

Question: Kownse janwar khana haraam hai or kownse halaal

Answer: Haiwaan main do aqsam hain aik gharelo/paaltoo or dosri wehshi.
Paaltoo janwar main halaal janwar ye hain: Dumba,gae(cow) or ont(camel) ki tamaam aqsam, or ghorha,khachar or ghada makhrooh hain or paaltoo janwar main kutta or billi ki tamaam aqsam haram hain.
or jahan tak wehshi janwar ka tal,luq hay us main ye janwar halal hain: Aaho,Hiran,gae(cow), paharhi mendha,zebra or jangli ghada hai.
or darindo main haram janwar ye hain: shair, taindwa,cheetha, bherhiya,lomrhi,lakarh baga(hyena),geedarh, khargoosh,suar(pig),bandar,haathi or reech hay.(Ref:Minhajus saliheen maslah no 881).
[Updated on 28-Dec-2018 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
94376
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2019-03-01

Question: Kiya porcupine (Seh) khana halal hy ya haram?

Answer: Porcupine (Seh) Khaana haraam hai.(Ref: Minhajus saliheen, Part#3, Maslah#882)

[Updated on 01-Mar-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
101149
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2019-10-19

Question: Asslam-0-Allikum Sir, Kia Ray k illava kisi month main jayse (May, June, July & August) may Fish khana haram hai? Please confirm

Answer: Mahine ki koe qaid nahi hai agar fish chilkay wali hai tu haraam nahi hai or agar bagair chilkay(scales) wali hai tu haraam hai.(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus saliheen Part # 3, Maslah # 877)
[Updated on 19-Oct-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
101575
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2019-11-08

Question: Kai jis banday nay sharab pi ho wo jis chaiz ko b hath lagai ga kai najis ho jaiy gi

Answer: Jee nahi, Jab tak sharaab kisi doosri cheez par na lagay wo cheez najis nahi hoti albatta sharaab gunahan e kabeera mai sai aik hai riwayaat mai yahan tak moujood hai k 40 din tak sharaabi ki namaz qubool nahi hoti, khuda farishte ambiyaa or momineen us par laanat bhejte hain.(Ref:Tauzeeh ul masasil aayatullah seestani edition 41 maslah no 2596,119).
[Updated on 08-Nov-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
101776
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ruhollah Khomeini Date:

Question: Is locust or tiddi halal in islam?

Answer: yes, it is halal.(Ref: Ayatullah Khomeni(r.a),Tauzeehul masail, maslah #2618 ). Update on dated 13-11-19. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
102549
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-08-30

Question: Kia Muslim kise Christian sth beth k khana kha skta h???

Answer: jee han, un ke sath beth ke khana kha sakte hain. (Ref: Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani, Web Address: https://www.sistani.org/urdu/qa/01738/ ).
[Updated on 31-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
102831
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2020-01-04

Question: Machli ki tarred Kia ha or konsi machli Khana jaiz ha

Answer: Pani ke janwer main se chilke wali machli( ya jhenga machli) k ilawa koi halaal nahi hai, pas ager machli chilko wali ho or is ka Share tor per tazkiya kiya jaae to machli halaal hay.(Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus saliheen Part # 3, Maslah # 877 , eidition # 4th).
[Updated on 04-Jan-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
102832
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2020-01-04

Question: Konsi machli Khana jaiz ha

Answer: pani ke janwer main se chilke wali machli( ya jhenga machli) k ilawa koi halaal nahi hai, pas ager machli chilko wali ho or is ka Share tor per tazkiya kiya jaae to machli halaal hay.(Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus saliheen Part # 3, Maslah # 877 , eidition # 4th).
[Updated on 04-Jan-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
102834
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2020-01-04

Question: A.o.a Kya hadi sy gosht Danton sy kha sakty hain??

Answer: Khana khate waqt 11 batein mazmoom (Mazammat ki gaye hain), jis me ek yeh bhi hai keh haddi se chipkay huay gosht ko yun khana keh haddi par bilkul gosht baqi na rahe. ( Ref : Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani, Tauzheeh Ul Masail 42 edition, Maslah No 2600)
[Updated on 04-Jan-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
102972
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-08-22

Question: Kya Mard ger aurat ka jhoota khana ya paani pi sakte hai ?

Answer: najis chiz ka khana peena ya kisi dosray ko khilana pilana haram hai, albattah agar khana ya pani najis hai to na ap kha sakte dosray ko khila sakte hain na pila sakte hain.(Ref: Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani, Tauzeeh Ul Masail, Masla no 135).
[Updated on 22-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
103041
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2020-01-11

Question: Assalam-0-Alaikum Sir Maine suna hai k zayada nai khana chahiye mtlb bhook rakh k khana chahiye lekin kuch logun ko bhook b zayada lgti hai to zayada khana gunah ya makrooh to nai hai na

Answer: woh batein jo khana khate waqt mazmoom hai, (jinki mazammat ki gayi hai) un me se bhare pait khana, aur buhut ziada khana (riwayat mein hai keh khuda wand e alam pait bhare shaks se dosri har chiz se ziada nafrat karta hai) bhi shamil hai.
(Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani, Tauzeeh ul masail, Masla no #2600).
Note: ye amal haram nahi.
[Updated on 11-Jan-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
103105
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-08-18

Question: Kata kat halal hy ya nhi

Answer: agar katakat halal gosht janwar ka ho aur us me woh ajza jo halal gosht janwar ke khana haram hain shamil na ho to khana jaiz hai warna nahi. (Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani, Tauzeeh Ul Masail, Masala No # 2587,2589).
[Updated on 18-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
103457
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2020-01-30

Question: kya cigarette oinay say wazu toot jata hy ?

Answer: Jee nahi (Ref:Tauzeeh ul masail ayatollah seestani edition 2019 maslah#332).
[Updated on 31-Jan-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
104049
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Abul Qasim e Khoie Date: 2020-02-25

Question: Women doosri women ka doodh choos ya suck ker sakti hey

Answer: Insan k liay doosray insan ka doodh peena ehtiyaat e wajib ki bina haram hai. (Ref:Ayatullah sistani, Minhajus Saliheen,Part#3, Maslah#905,eidition 2009). (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), E-Mail from Answers@najaf .org),
[Updated on 26-Feb-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
107972
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2020-08-20

Question: Kounsi din machli khana haram hei

Answer: Mahine ya din ki koi qaid nahi hai, agar machli chilkay wali hai tu halal hai or agar bagair chilkay (scales) wali hai tu haraam hai.(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus saliheen Part # 3, Maslah # 877)
[Updated on 21-Aug-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
107973
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2020-08-20

Question: Machli khane se kounse din mana kiye the

Answer: Bini israel ko hafte k din machli ka shikaar karne se mana kia gaya tha. (Ref: https://ur.wikishia.net/view/%D8%A7%D8%B5%D8%AD%D8%A7%D8%A8_%D8%B3%D8%A8%D8%AA).
[Updated on 20-Aug-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
110633
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-04-30

Question: Bina haddi wala gosh khana cow ya bakre ka makruh hai ya nahi ?

Answer: Nahin makrooh nahin hai, Albatta Khana khate waqt 11 batein mazmoom hain (yani jin ki Mazammat ki gaye hai), jis me ek yeh bhi hai keh haddi se chipkay huay gosht ko yun khana keh haddi par bilkul gosht baqi na rahe. ( Ref : Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani, Tauzheeh Ul Masail 42 edition, Maslah No 2600)
[Updated on 30-Apr-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
110881
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-03-02

Question: Khanay k Dooran Bar Bar Darstakhawan pay Hath Saaf karna Teak hai Ya Ghalat.

Answer: Is men koi haraj nahin, Albatta khana khanay ke Aadab men chand chizen mustahab shumar ki gayi hain jis men se aik ye hai ke ungliyon chatay.(Ref: Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2599,2600).
[Updated on 03-Mar-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
111196
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2020-10-28

Question: Hindu k hatha ka bna hua soamsa kha skte hai lekin hmne mangwaye muslim k hath se to kya kha skte hai lekin hme yakeen hai banya hindu ne he hai plz answer ?

Answer: Hindu najis hai or uska geela hath ya jism ka koe bhi geela hissa khanay ko mas (touch) ho gaya ho to khana najis ho jaey ga or phir haram ho jaeyga, lekin agar in tamaam cheezoon ka apko yaqeen nah ho to khana jaiz hai.(Ref: Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 41, Mafhoom e Maslah # 104).(Ref : Ayatullah Sistani, Jadeed faqhi masael , Mafhoom e maslah # 152-153, Pg # 120, Eidition# 5)
[Updated on 28-Oct-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
111505
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-11-30

Question: Maine suna hai murghi ka anda khana makrooh hai. Kya aisa hai? Aur kon kon se anday khana halal hai aur konse makrooh ya haram?

Answer: Jee nahin makrooh nahin hai, (Ref: Ayatullah Seestani(d.b), Tauzeeh ul masael, Edition# 35, Mafhoom e Maslah # 2587,2594).
[Updated on 30-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
111806
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-11-28

Question: As Salamunalikum. Cow ki ojhri halal hay ya haram?

Answer: Halal hai. (Ref: Ayatullah Seestani(d.b), Tauzeehul masael, Edition# 35, Mafhoom e Maslah # 2589).
[Updated on 29-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
112780
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-01-28

Question: kya hum jo pig ka ghost khata hai uska jhuda kha sakte hai ya nhi

Answer: Pig (souar) ain e najis jaanwar hai is ka ghosht khana haraam hai. laikin os agar wo shaks kuch or jab wo koe or halal cheez khaa raha ho, tu wo cheez os k sath kha sakte hain, (Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 102).
[Updated on 28-Jan-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
113285
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-02-26

Question: Assalamualaikum rat ko chars k nashy ma mene Apni walida or Allah ki Qasam khai ek hafta nahi karuga abb or chorduga half lekin mene kal hi Qasam khai or kal hi li ha dawai to kia ma agly hafty karskta faka or nashy ki halat ma Qasam ya man at mani jaegi or doosri chez m chars nhi peeta isko means butter k sath garam karky kisi chez m khata to kia ye nuqsan de ha

Answer: Is Qasam ki koi ahmiyat nahi hai, or sharae lehaza se sahi nahin hai.(Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Tauzeeh ul masael, Edition #42, Mafhoom e Maslah # 2633,2634)
Har wo cheez jo mukammal ya juzvi taur per nasha aawer ho, chahe solid ho ya liquid ye sab haram hain. aur jo cheez haram ho us ka koi na koi nuqsan zaroor hota. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Jadeed fiqhi masael, Edition #5, Mafhoom e maslah #166).
[Updated on 26-Feb-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
114008
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-04-07

Question: Agar kisi K gar se khana aye aur narazgi ki wajha se na liya jaye is ka koi gunnah h kia

Answer: Musalmaan ka dusray muslmaan say 3 din say ziada naraz rehna ehtiyaat e wajib ki bina par haram hai.
(Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Masael e Muntakhaba, Mafhoom e Maslah #24).
[Updated on 07-Apr-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
114198
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-11-24

Question: Machli kin mahino me nahi khani chahiye

Answer: Machli(fish) ke halal ya haram hone men mahine ki koe qaid nahin hai ke kis mahine men halal hai aur kis mahine men haram hai, bas agar fish chilkay(scales) wali hai tu haraam nahin hai or agar bagair chilkay(scales) wali hai tu haraam hai. (Ref: Minhaajus saliheen, Ayatullah Sistani(d.b), Part #3, Maslah #877).
[Updated on 25-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
114982
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-08-25

Question: Private parts se nikalne wala pani yadi pi liya jaye to is se kon kon sa pap lagega

Answer: Mani ka peena jaiz nahin hai or gunah hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Istiftaat I-2,I-15).
[Updated on 25-Aug-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
115238
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-06-30

Question: اگر شراب نوشی کریں اور زرا بھی مدہوش نہ ہوں تو پھر بھی انسان نجس یا دائرہ اسلام سے باہر ہوجاتا ہے؟

Answer: Sharab najis hai aur is ka peena bhi haraam or gunahan e kabeera mai sai aik hai lekin is se insan islaam ke daaire se kharij nahin hota. (Ref: Tauzeeh ul masael, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Mafhoom e Maslah #80,103,108).
[Updated on 30-Jun-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
115292
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-07-14

Question: اسلام و علیکم میرا شوہر شراب پیتا ہے تو کیا شرابی کے ساتھ زندگی گزارنا جائز ہے؟

Answer: Jee han jaiz hai Albatta aap use is masale agah karen k Sharab peena haram hai or Baaz ahadees men ise gunah e kabeera bataya gaya hai. aur riwayaat mai yahan tak moujood hai k 40 din tak sharaabi ki namaz qubool nahin hoti, Albatta namaz parhna wajib hai. aur jo sharab ka aik ghont peeta hai khuda, farishte, ambiyaa, or momineen us par laanat bhejte hain.(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2596).
2: Wazifa:- Shohar ko najaiz harakaat o taaluqaat se baaz rakhne or buri adaat o fawahishaat se raah e raast par laanay k liay kisi bhi sherbat par sorah room(sorah #30) ki ayat #21 or sorah maidah(sorah #5) ki ayat #100 ko awwal o aakhir salawaat k saath 41 mertabah parh ker pilain tu wo badkarioon se kinara kash rahay ga. (Ref: Nawaay Saliheen, pg #351).
[Updated on 14-Jul-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
115638
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-07-28

Question: AOA Can we eat meal that is cooked by christian?

Answer: Ayatullah Sistani(d.b) k nazeed yahoodi, christen, majosi, pak hain. or in k haath ki bani hue halal cheezain ghosht or cherbi k alawa khana jaiz hai.(Ref: Jadeed Fiqhi Masail, Ayatullah Sistani(d.b), Masalah #152).
[Updated on 28-Jul-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
115797
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-08-09

Question: Kia biwi ka peshab peena jaiz hai?

Answer: Insan aur har haram gosht haiwan ke jis ka khoon jahenda hai (yani agar us ki rag kaati jaye to khoon uchal kar nikalta hai) peshab aur pakhana najis hai. aur in ka khana peena haram hai.(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #80,81)+Minhaj us Saleheen, part #3 maslah #910)
[Updated on 09-Aug-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
116152
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-02-08

Question: Aasalam o Alikum. Me aaj ik bar club gaya tha lakin wahan kisi dost ne sharat ki or mujhe ik juice mangwa ke pilya or kaha ye sirf juices ha mene kafi mana keya lakin jab mene piya to mujhe wo theek nai laga mene 2 ghoot pee liye lakin bad me pta chala is me sharab mix the. Maherbani kar ke mujhe bate keya karo kuch samjh nai aa raha

Answer: Agar pehle yaqeen ho ke ye sharab hai tu is ka peena haram hai or ghunhagar bhi honge lekin agar pehle yaqeen na ho aur baad men pata chale ke ye sharab thi to is surat men aap ghunahgar nahin honge.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2596).
[Updated on 09-Feb-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
116207
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-09-06

Question: Kia gadhay ka gosht halal hai

Answer: Gadhay ka gosht khana halal hay laikin makrooh hai. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2594).
[Updated on 06-Sep-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
116524
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-10-28

Question: AOA SAWAL YE HA K ISLAM ME KETNY WAQAT KHNAY KA HUKAM HA

Answer: Riwayat to is bare me aahi hain ke subah or sham ko khana khana chahiye, khaas taur par raat ka khaana khana to bilkul hi tark na kiya jaye chahe aik khane ka luqma ya aik ghoont paani hi q na ho.
(Ref: Wasail e shia urdu, jild #16, pg #349,350).
[Updated on 29-Oct-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
120478
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-06-26

Question: خصور م نے کس جگه پر بٹھ کر کھانے سے منع کی ہے

Answer: Jis dastar khuwan par sharaab pi ja rahi ho us par chuni huyei hoi cheez khaana haraam hai aur isi tarah us dastar khuwan par baithna jis par sharaab pi ja rahi ho ehtayaat-e-waajib ki bina par haraam hai.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2597)
[Updated on 27-Jun-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
120657
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-08-03

Question: Assalam o Alaikum.. makrooh aur haram kis surat men khana jais hai?

Answer: 1: Makrooh cheez ka khana ya peena to halat e ikhtiyari me bhi jaiz hai. ( or makrooh cheez se perhaiz karna zarore nahe hay yani agar perhaaiz na kia jaay tu koi guna nahe hoga laikin markooh se perhaiz karna behter hay )
Abatta Haram cheez ka khana ya peena halat e ikhtiyari me jaiz nahin hai ( yani haraam hay or insaan is ke karne per gunghaar hoga ). Lekin majboori ki surat me khana ya peena jaiz hai wo bhi zaroorat ki miqdar tak. Yani jitni miqdar ki majboori or lachari ho utni had tak khaya ya piya ja sakta hai, is se ziyada nahin.
Majboori or lachari ki chand surten hain:
1. Apni ya kisi aur musalman ki jan khatre me ho or us ka bachna haram khane ya peene par moqoof ho.
2. Insan aisi beemari me mubtela ho ke use ziyada bhook or piya lagti ho, jo aam taur par na qaabil e bardasht ho or haraj ka sabab banti ho.
3. Insan kisi beemari me mubtela ho jaye ga ya us ka maraz shadeed tar ho jaye ga jo aam taur par na qaabil e bardasht ho.
4. Aik shakhs beemar ho or use khadsha ho ke us ki beemari taweel ya ziyada shadeed ho jaye gi jis ko aam taur par bardasht nahin kiya jata.
5. Insan taqayye ke maqam me ho ke agar haram na khaye ya na piye to us ki jaan, maal, izzat o aabru ko nuqsan puhnchaya jaye ga.
In tamam surton me zaroorat ki miqdar tak Haram cheez ka khana ya peena jaiz hai.
2: Agar koi shakhs aisi shadeed beemari me mubtela ho umooman na qaabil e bardasht ho to sharab se us ka ilaj karna jaiz nahin hai, siwaye is surat ke k sharab se ilaj tark karne se us shakhs ya is jese afraad ki maut waqia ho jaye or ilaj ka wahid tareeqa sharab peena ho, agarche us shakhs ke liye doctors ya deeni doctors ke ittefaq se sabit ho.
Ba surat e deegar beemar ko beemari ki sakhtiyon or mushkelat par sabr karna chahiye, is umeed ke sath ke Allah taala mareez ke sabr ki wajah se us ko shifa or aafiyat ataa farmaye ga.
(Ref: Tauzeeh ul Masail Jaame, Ayatullah Sistani(d.b), part #2, edition #1443, Maslah #1420,1421).
[Updated on 04-Aug-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
120780
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-09-04

Question: بھنگ پینا حرام ہے یا حلال

Answer: Sharab (beer) aur Har wo cheez jo mukammal ya juzvi tor par nasha awar ho, solid ho ya liquid, ye sab haram hain.
(Ref: Jadeed Fiqhi Masail, Ayatullah Sistani(d.b), Maslah #164, pg #123).
[Updated on 05-Sep-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
120799
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-09-06

Question: kuch bartano k kony totay hoty hain jese k cups plates wegera kia un bartano me khana makrooh he please btaen

Answer: Sirf paani peena makrooh shumar kiya gaya hai, na ke khana khana, or wo bhi tooti hui jagah se, lekin jo jagah tooti hui nahin hai wahan se paani pee sakte hain or makrooh bhi nahin hai.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Maslah #2602. + Minhaj ul Saliheen, part #3, maslah #952).
[Updated on 07-Sep-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
120800
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-09-06

Question: kuch bartano k kony totay hoty hain jese k cups plates wegera kia un bartano me khana makrooh he please btaen

Answer: Is sawal ka jawab de diya gaya hai.
[Updated on 07-Sep-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print