Please click the button for Quran o Itrat Academy Whatsapp Channel.
Whatsapp Channel
Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+


Question & Answers << Go Back

Topic: Khanay Peenay K Ahkam (177 Questions)


Showing 150- 177 questions from 177 questions on this page.

Answers found for searched words
Id:
120982
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-10-03

Question: Salam alekum..kya india m gaaye (cow) ka gosht khana halal h...

Answer: Jee han, sharaei taur par gaaye (cow) ka gosht khana Halaal hai. Q ke Halaal gosht haiwaan jungli ho ya paaltoo us ko agar sharaei tariqe ke mutabiq zibah kiya jaaye to us ki jaan nikal jaane ke baad us ka gosht halaal aur badan paak hai.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Maslah #2546).
[Updated on 03-Oct-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
121169
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-11-02

Question: Kya hm isayo k Sath Khana kha skte hai

Answer: Jee han, Khaa sakte hain Q ke ahl e kitab yani esai(christen), yahoodi aur majoosi pak hain aur in ke sath khana khana jaiz hai.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #44, maslah #103).
[Updated on 03-Nov-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id:
121170
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-11-02

Question: Kya hm isayo k Sath Khana kha skte hai

Answer: Is sawal ka jawab de diya gaya hai.
[Updated on 03-Nov-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
121172
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-11-02

Question: Kya hm isayo k Sath Khana kha skte hai

Answer: Is sawal ka jawab de diya gaya hai.
[Updated on 03-Nov-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
121173
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-11-03

Question: Kya hm isayo k Sath Khana kha skte hai

Answer: Is sawal ka jawab de diya gaya hai.
[Updated on 03-Nov-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
121212
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-11-09

Question: Haiz ki halat me nyaz fateha ka khana bna skte hai

Answer: Jee han, jaiz hai, bana sakte hain.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #354,355,448).
[Updated on 10-Nov-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
121390
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-01-14

Question: Agar Haram paisa se niyaz Diya he Kya os ka Khana sahi he

Answer: Agar is baat ka ehtimaal ho ke jis raqam se niyaz banai gayi hai us me Halal raqam bhi shamil hain to khana jaiz hai.

(Ref: Minhaj us Saliheen, Ayatullah Sistani(d.b), Part #1, Mafhoom e Maslah #30, Edition #1443 hij).
[Updated on 14-Jan-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
121414
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-12-20

Question: Salam ya Ali a.s madad... Machli kin mahino me khana jaiz h???

Answer: Machli (fish) ke Halal ya Haram hone men mahine ki koi qaid nahin hai ke kis mahine men Halal hai aur kis mahine men Haram hai, bas agar machli chilkay(scales) wali hai to Halal hai or agar bagair chilkay(scales) wali hai to Haram hai.

(Ref: Minhaaj us Saliheen, Ayatullah Sistani(d.b), Part #3, Maslah #877).
[Updated on 21-Dec-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
121637
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-02-06

Question: eating pigeon is halal or haram?

Answer: Jee han Kabooter khana jaiz hai.
(Ref: Tauzeeh ul Masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Maslah #2587).
[Updated on 07-Feb-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
121888
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-03-21

Question: AOA. kia Bed yani bistar per beth kar Khana khana jaiz hay?

Answer: Jaiz hai.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2599).
[Updated on 21-Mar-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
121958
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-04-03

Question: Kia sharab (brandy) as a medicine pena jaiz h??

Answer: Aisi shadeed beemari jo aam taur par bardasht nah ki jati ho, us ka ilaaj un dawaon ke khane ya peene ke zariye karna jaiz hai ke jin ka khana ya peena halat e ikhtiyari me Haram hai, chahe sharab, ya koi nasah awar cheez ho ya koi aur haram cheez ho, albatta shart ye hai us beemari ka ilaaj sirf usi haram cheez ke istemal par munhsir ho is tarah se ke doctor ne sirf isi cheez ka kaha ho. lekin agar halal cheez ke zariye ilaaj karna mumkin ho to phir halal cheez vke zariye hi ilaaj karna zaroori hoga.

(Ref: Minhaj us Saliheen, Ayatullah Sistani(d.b), part #3, Edition #1443, Maslah #948).
[Updated on 04-Apr-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
121959
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-04-03

Question: Kia sharab (brandy) as a medicine pena jaiz h??

Answer: Aisi shadeed beemari jo aam taur par bardasht nah ki jati ho, us ka ilaaj un dawaon ke khane ya peene ke zariye karna jaiz hai ke jin ka khana ya peena halat e ikhtiyari me Haram hai, chahe sharab, ya koi nasah awar cheez ho ya koi aur haram cheez ho, albatta shart ye hai us beemari ka ilaaj sirf usi haram cheez ke istemal par munhsir ho is tarah se ke doctor ne sirf isi cheez ka kaha ho. lekin agar halal cheez ke zariye ilaaj karna mumkin ho to phir halal cheez vke zariye hi ilaaj karna zaroori hoga.

(Ref: Minhaj us Saliheen, Ayatullah Sistani(d.b), part #3, Edition #1443, Maslah #948).
[Updated on 04-Apr-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
122060
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-05-01

Question: Kiya salan ko roti per dal Kar khana gunnah hai

Answer: Jee nahin, is me koi ghunah nahin hai.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Maslah #2599,2600).
[Updated on 02-May-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
122609
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-07-15

Question: Kya Muslim gayr Muslim ka deya hwa Khana kha sakta ha?

Answer: Musalman ke liye ye jaiz hai ke wo ahl e kitab ke alawa dusre kafiroon ke haath se bana hua khana khaa lay, is shart ke sath ke musalman ko is baat ka yaqeen aur itminaan na ho ke kaafir ne use geele haath lagaye hain. Aur is baat ka bhi yaqeen aur itminaan nah ho ke is khaane me aisi koi cheez shaamil hain jis ka khana haram hai, Lekin Ahle kitab paak hain or un ke hath ka khana chahe geela hath hi Q nah lag jaye halaal hai, siwaye ye ke wo is men aisi cheez dakhil kare jis ka khana haram ho, Albatta ghosht, charbi aur in se bani huei cheez na ho.
(Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Jadeed fiqhi masail, Mafhoom e maslah #154,155, pg #120, Edition #5).
[Updated on 15-Jul-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
122622
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-07-17

Question: Assalamualaikum Kya hum hindu ke ghar ka plate mei unhi ka khana kha skte hai jiss plate mei unhone kabhi haram ki sabji khaya jo ,ya uss ghr ka khana khana jayaj hai jiss ghr ke bartan mei kabhi haram bna ho

Answer: Musalman ke liye ye jaiz hai ke wo ahl e kitab ke alawa dusre kafiroon ke haath se bana hua khana khaa lay, is shart ke sath ke musalman ko is baat ka yaqeen aur itminaan na ho ke kaafir ne use geele haath lagaye hain (yahi hukum bartan aur plate ka bhi hoga). Aur is baat ka bhi yaqeen aur itminaan nah ho ke is khaane me aisi koi cheez shaamil hain jis ka khana haram hai, Lekin Ahle kitab paak hain or un ke hath ka khana chahe geela hath hi Q nah lag jaye halaal hai, siwaye ye ke wo is men aisi cheez dakhil kare jis ka khana haram ho, Albatta ghosht, charbi aur in se bani huei cheez na ho.

(Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Jadeed fiqhi masail, Mafhoom e maslah #154,155, pg #120, Edition #5).
[Updated on 18-Jul-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
122851
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-09-04

Question: Khaak e shifa khana kaisa hai?

Answer: Bagher kisi majboori ke khana ehtiyat e lazim ki bina par Haram hai. Albatta Husool e Shifa ki gharz se syed-us-shuhada Imam Hussain(a.s) ke mazaar mubarak ki matti (yani khaak e Shifa) ki thori si miqdaar aik chuney ke barabar khana jaiz hai. agar is khaak e Shifa ko mazaar mubarak ya atraaf se khud nah uthaya ho to agarchay is par khaak e Shifa kehna saadiq aaye to ehtiyat e wajib ki bina par zaroori hai ke is ki kuch miqdaar paani mein ya is jaisi kisi cheez mein hal kar li jaye taakay woh (hal ho kar) khatam ho jaye aur baad mein is pani ko pee liya jaye. isi tarah ehtiyat ki bina par aisi matti ke baray mein bhi yahi riayat rakhi jaye jis ke baray mein yaqeen nah ho ke usay turbat e aqdas se uthaya gaya hai aur is par koi gawah bhi nah ho.
(Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Tauzeeh ul masail, edition #44, maslah #2590).
[Updated on 04-Sep-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
122980
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-09-27

Question: Nutfa ko peena jaiz hy ? Islam main kia hawala hy is bary main ?

Answer: Insaan ki Mani najis hai aur nijasaat khana, peena jaiz nahin hai.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #81,84).
[Updated on 28-Sep-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
123094
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-10-19

Question: assalam walaikum mera sawal yeh hai k ghat mei tootay hue sheeshe k istemal se ghar mei be barkati nahusat ati haai kia ?

Answer: Aisa nahin hai. Han! albata tootay hue bartan ke istemaal (is mein paani waghera peena) Makrooh( acha nahe ) shumaar kiya gaya hai.laikin jaiz hay.

Not: Sirf paani peena makrooh shumar kiya gaya hai, aur wo bhi tooti huei jagah se, lekin jo jagah tooti huei nahin hai wahan se paani pee sakte hain aur makrooh bhi nahin hai.

(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2602. + Minhaj ul Saliheen, part #3, maslah #952).
[Updated on 20-Oct-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
123161
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-10-29

Question: Kya mentrual cup ka istemal jaiz hai

Answer: Jee Jaiz hai. (Ref: Istiftaat).
[Updated on 30-Oct-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
123356
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-12-18

Question: Bhi ma mera dost beer ly kr aya tha ma phly b 4 sy 5 dfa pee chuka hon or is br jb wo ly kr aya to mery zehn km nhi kiya or aik ghont lgany ky bd yd aya yr is ma to alcohol hoti ha or sth ma ramzan chl rha ha roza kaisy rakho ga or namaz kaisy parhon ga. Ma roza nhi chorna chahta lekin ma ny aik ghont ky bd ya zehn ma aya ky ab pee to le ha isleya phr pee le thi ma ny sari bry mehrbani rahnumyi frma dein

Answer: 1: Sharab aur har wo cheez jo mukammal ya juzwi tour par nasha aawar ho, solid ho ya liquid ye sab Haram hain. Jabke namaz aur roza ka anjam dena wajib hai lehaza is ghunah ko anjam dene ki wajah se zaroori hai ke tauba karen, aur namaz aur roza ko jaise anjam dena chahiye waise anjam dena hoga.

2: Agar kisi se koi Gunah sarzad ho jaye to agar wo sharmidagi ke sath sachay dil se Allah taala ki bargah me tauba kare lay to yaqeenan Allah taala ki zaat Gafoor o Raheem aur bakhshne wali hai aur use bhi yaqeenan bakhsh degi.

(Ref: Minhaaj us Saliheen, Ayatullah Sistani(d.b), part #3, maslah #30. + Jadeed fiqhi masail, maslah #164, pg #123. + (E-mail rcvd from A.Sistani(d.b), dated: Sep 27, 2010).
[Updated on 19-Dec-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
123412
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-12-13

Question: Mealworms hilal hain ya haram?

Answer: Har qisim ke keerhe makorhe khana Haram hain.

(Ref: Tauzeeh ul masail Jaame[farsi], Ayatullah Sistani(d.b), part #2, edition #1443, maslah #1359,1360,1361).
[Updated on 14-Dec-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
123599
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2024-01-18

Question: Asalam o Alikum to Members, I hope you all are going great, Mera ye sawal ha " Kiya cigarette pi sakty hain or ager koi apny gher walon say chup kar piye to kiya pi sakty hain or wo chorna na parha ho is addat ko" ?

Answer: Aisay shakhs ke liye cigrette peena jis ne cigrette peenay ki ibteda ki ho agar ahem aur qabil e tawajah zarrar aur nuqsaan ka baais ho jaisay kisi uzoo ka naaqis hona agarchay aindah ho to haraam hai khuwa woh zarar maloom aur yakeeni ho ya zarar ka gumaan rakhta ho ya zarar ka ehtimal is had tak paaya jata ho ke Aaqil afraad is ki salamti se khauf zada hon, lekin agar mutmaen hon ke aisa zarar paish nahin aaye ga agarchay ye is jehet se ho ke kam cigrette piye to haraam nahin hai. lekin jis shakhs ne cigrette peenay ki aadat daali hai agar musalsal peetay rehna is ke liye ahem zarar rakhta ho to lazim hai ke tark kre magar yeh ke tark karna is se ziyada zarar aur nuqsaan ka baais ho ya ye ke cigrette ka chorna is ke liye bohat ziyada sakht ho jo mamolan qabil e bardasht nahin hai.

(Ref: Tauzeeh ul Masail Jaame, Ayatullah Sistani(d.b), part #2, maslah #506,507).
[Updated on 18-Jan-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
123701
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2024-02-02

Question: Assalam walekum jii mera sawal kya hukkah islam me haram hai??

Answer: Aisay shakhs ke liye cigarette, hukkah, pipe peena jis ne use peenay ki ibteda ki ho agar ahem aur qabil e tawajah zaraar aur nuqsaan ka baais ho jaisay kisi uzoo ka naaqis hona agarchay aindah ho to Haraam hai khuwa woh zarar maloom aur yakeeni ho ya zarar ka gumaan rakhta ho ya zarar ka ehtimal is had tak paaya jata ho ke Aaqil afraad is ki salamti se khauf zada hon, lekin agar mutmaen hon ke aisa zarar paish nahin aaye ga agarchay ye is jehet se ho ke kam cigrette piye to Haraam nahin hai. lekin jis shakhs ne cigarette, hukkah, pipe peenay ki aadat daali hai agar musalsal peetay rehna is ke liye ahem zarar rakhta ho to lazim hai ke tark kare magar yeh ke tark karna is se ziyada zarar aur nuqsaan ka baais ho ya ye ke cigarette, hukkah, pipe chorna is ke liye bohat ziyada sakht ho jo mamolan qabil e bardasht nahin hai.

(Ref: Tauzeeh ul Masail Jaame, Ayatullah Sistani(d.b), part #2, maslah #506,507).
[Updated on 03-Feb-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
123862
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2024-04-22

Question: Agar kisi ne hindu ke hath ka bana hua khana kah lia hai ar usko pata h usko ye jo khana banaya h isme gile hath lage hai ar usne kah lia toh uske lie kia huqum hai?

Answer: Kisi bhi kafir k hath ka bna hua khana khana jab k yaqeen hai k uss me gele hath bh laazmi lage hoon gay, jaiz nahi hai .
(Ref: Mujtahid Sey Pochay Gaye Sawalat (Part 1) Question No. 16)
[Updated on 22-Apr-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
125909
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2024-02-15

Question: Kia Christian k hath ka banna howa Khanna kha saktay hain

Answer: (aytullah sistani ke mutabiq christan (isaai) pak hain,koosht ke ilawa ) un ke hath ka bana hua khana kha sakte hain.
(Ref: Ayatullah Sistani{d.b}, web Address: https://www.sistani.org/urdu/qa/01738/ ).
[Updated on 16-Feb-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
126341
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2024-04-18

Question: Khare ho ker kuch khana or Pina kaise hai? Sahi hai ya nahi?

Answer: Jaiz hai, lekin khana khane ke aadaab ke khilaf hai. Albatta paani pine ki aadaab me se hai ke din me khare ho har paani piya jaye jabke raat me khare ho kar paani pina mazmoom shumar kiya gaya hai.

(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Maslah #2599 to 2602).
[Updated on 19-Apr-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
126363
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2024-04-22

Question: Assalamualaikum Mera ek sawal hai main ek yareem hu Ammi papa ka Inteqal ho gaya hai or meri Bhai Bhabi se banti nahi hai qk wo Comments ziyada karti hai meri ek friend hai but wo Hindu hai or wo meri muh boli Maa hai or wo bhi mujhe Apne Beto jaisa hi maanti hai wo mujhe khana deti hai to esme kya koi dikkat to nahi germuslim k haath ka khana khane se

Answer: Hindu, ehtiyat e wajib ki bina par najis hein or uska geela hath ya jism ka koe bhi tar(geela) hissa khanay ko mas(touch) ho gaya ho to khana, ehtiyat e wajib ki bina par najis ho jaye ga or phir haram ho jaye ga. Albatta gosht or charbi waghera har soorat me sirf musalman se hi leker khaa sakte hain.

(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #104. + Jadeed fiqhi masail, edition #5, maslah #152,153, pg #120).
[Updated on 23-Apr-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print