Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+


Question & Answers << Go Back

Topic: Job (50 Questions)


Showing 0- 50 questions from 50 questions on this page.

Answers found for searched words
Id:
1768
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: assalamo alaikum janaab mera sawaal yeh hai ke me ek restaurant me kaam kerta hoon jaha per sharab aur pork ka gosht bikta hai mera masla bataiyay ke kia yeh theek hai yah nahi aur ager nahi hai to mujhe kia kerna chahiay.shukria

Answer: Sharab pesh karna to Yaqeeni taur per haram hai or suar (pork) ka gosht pesh karna ahtiyaat e wajib ki bina par jaiz nahi hai.(Ref : Mujthid se puchhe gaye sawalat Ayat-ul-All Seestani (d.b) part # 4, page #76, Mafhoom e Ques # 164). Update on dated 11-05-2015.(Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
2373
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: main net caffe per kam karta ho tu ye kam mere liye halal hai ya haram plz tell me thanks

Answer: Jaiz hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Nigha or libas,Mafhoom e Maslah #71). Update on dated 11-05-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id:
3429
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: In what conditions IS it allowed to work at a place where pork is served !! My job is to make food and serve that involves pork!

Answer: Ehtiyaat e wajib ki bina per zaruri hai k pork (so’ar ka ghost) serve nah kia jaey.(Ref : mujtahid sepouchey gye sawalat part # 4 , Mafhoom e pg # 76). Update on dated 11-05-2015.(Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
3782
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: Can i work in the shopping centres as a cleaner where they have different things and Vine

Answer: Agar sharaab k bartan dhonay,sharaab khoro or sharab paish karnay ka muqadma ya us kaam me zarya shumaar hoto ye amala share tor per haram hai. (Ref : Ayatullah Sistani, Jadeed faqhi masael , Mafhoom e maslah #283 , Pg #175 , Eidition# 5). Update on dated 11-05-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
5262
Mujtahid:
Date:

Question: assalamalikum, maen london maen student hoon mecdonalds maen kam karta hoon mecdonalds maen pork, aur haram meet hota hai ap plz mujhe bataen mecdonalds maen kam karna haram hai. q k hum ussay touch bhi karte hain.

Answer: Ehtiyaat e wajib ki bina per zaruri hai k pork (so’ar ka ghost) serve nah kia jaey.(Ref : mujtahid sepouchey gye sawalat part # 4 , Mafhoom e pg # 76). Update on dated 11-05-2015.(Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
5434
Mujtahid:
ayatullah sistani Date:

Question: kia ashoor k din job pe jasakte hai?agr nai gae tou job jasakti hai?plzz mje batae?aesa krna majbori k tehet haram hai k makroh??

Answer: Ashoor k din kam karna makrooh he, haram nahi hai. (ref : Mafhoom e http://www.sistani.org/local.php?modules=nav&nid=5&cid=959 ques # 5). Update on dated 11-05-2015.(Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
10609
Mujtahid:
Date:

Question: kya islam main aurat ka job karna sahi hai?

Answer: Ager mukammal share parda karen or gunah men parhne ka khof nah ho to jaiz hai. (Ref: Book : Nigaah o lebaas , baab # 4 , sawaal no # 97 , pg # 65). Update on dated 11-05-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
12263
Mujtahid:
Sistani shab Date:

Question: Is there any problem to open a beautyparlor means it is true or Haraam.

Answer: It is lawful. (Ref: Ayat-ul-Allah Sistani db) Book # Mujtahid se pochay gaay sawalaat, part#3, Mafhoom e pg#67). Update on dated 11-05-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
25067
Mujtahid:
Date:

Question: Kia Aurat mard k bgair Bhar Nikal Skti hai? Aurat k liay Jobs kerna Jaiz hai? Job mai apni female collegues sy baat kerna jismay lazzat maqsood na ho Jaiz hai?

Answer: 1) Aam halat men shohar ki ijazat k baghair ghar se nikalna haram hai. 2) Shohar ki ijazat le kar job ker sakti hai lekin haram kam main mubtla hony ka khof na ho, or sharee parde ka bhi khayal rakhna mumkin ho. 3) agr burai mai mubtila na ho aur sharai hudood ka khayal rakha jae tu koi haraj nahi hai.(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2376) (Ref : Kitab Nigah aur libaas, Sawal # 97, Pg # 65).Update on dated 11-05-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
32197
Mujtahid:
Date:

Question: sallam sir kia larki ka job krna jaeiz ha???? agr jaeiz ha to kis condation m jaeiz ha???

Answer: Agar share parde ka khayal rakha jay or lazzat ka irada ya gunah main mubtila hony ka khoof nah ho to koi haraj nahi hai or share parde k alawa chehray ka makeup karnay se bhi perhaiz karna chahiay. (Ref : Kitab Nigah aur libaas, Sawal # 97, Pg # 65). Update on dated 11-05-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
40494
Mujtahid:
Aqa e sistani Date:

Question: salam, I would like to ask if a shia girl wants to do a bank job what precaution should be followed by that girl while doing the job? I would like to know the detail about this matter (i.e interaction with na mehran, halal/haram and such other issues ) please help and guide

Answer: 1)Bank k tamam shobon(departments) k baray mein aik hi masla hai, woh ye hai k woh tamaam department jin mein soodi mamilaat ki transaction hoti ho, maslan recording, dealing wagira ki jati ho, un deparment main kaam kerna jaiz nahi hai (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Jaded masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #29).
2)Khawateen ka offices men kaam kerna agar share parde ka khayal rakha jaey aur lazzat ka irada ya gunah main mubtila hone ka khoof nah ho to koe haraj nahi hay.
Note: Agar khawateen is qism ki jaghoo par kaam kerna chahain to inhain share parday ka lihaz k alawa apnay chahray ka make up kernay sai bhi parhaiz krna chaheay.(Ref : Kitab Nigah aur libaas, Sawal # 97, Mafhoom e Pg # 65). Update on dated 11-05-2015.(Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey)

Print

Id:
42597
Mujtahid:
Yes Date:

Question: Kya aurton ka ghar se bahar jaa kar kaam karna jaaiz hai....aur kya gair muslim ka jhutaa khaana yaa unhke haath se khaana khaana theek hai yaa gunaah hai....

Answer: 1-Agar sharee parde ka khayal rakha jaey aur lazzat ka irada ya gunah mai mubtila hone ka khoaf nah ho to khawateen ka kaam kernay main koi haraj nahi hai.(Ref : Kitab Nigah aur libaas, Sawal # 97, Mafhoom e Pg # 65).
2-Kafir Agar Ahle kitab (Yahoodi, Eesae or Majoosi) hain to wo paak hain or us k hath ka khana khane men koe masla nahi lekin agar Ahle kitab k alawa koi or kafir hai to musalman ko jab tak is baat ka yaqeen ya itminan nah ho jaey k us kafir ne us khane men apna geela hath lagaya hai ya koi aysi cheez us khane men shamil ki hai jiska khana haram hai, tab tak us khane ko aap k liay jaiz hai , Albatta jese hi aap ko elm ho jaey k kaifr ne apna geela hath lagaya hay ya khane men kisi haram cheez ko milaya hai to is surat men musalman k liay wo khana khana jaiz nahi hai. (Ref : Ayat ul Allah Sistani (db) Book : Jadeed Fiqhi Masaail, Mafhoom e Masla # 151, Pg # 126). Update on dated 11-05-2015.(Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
51913
Mujtahid:
namaz Date:

Question: Agar insan aisi naukri kar raha ho Jis mein wo Namaz na ada kr skay 5 waqt ki wo jayz hai

Answer: Jaiz nahi hay. (Ref : Aqai Sistani (db), Jadeed faqhi masail , masala # 64 , pg # 75 , eidition #5). Update on dated 11-05-2015.(Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
53369
Mujtahid:
Date:

Question: AsSalam-O-Alikum... Main ya jana chata hoon kah shariat k mutabiq kiya ek Musalman ek ghair muslim k saath business karsata hy agar karsakta hy too kiya uska kamaya howa paysa halal howa ya haram? Kiya 5 star hotels ki job halal hy ya haram halanky hotel sy aaya howa paysa jis sy humko salary milti hy wo sharab sy or larki bazi ka bhi hota hy... Waiting for you reply please.

Answer: 1) Musalmano ke liye maseehiyo aur yahodiyo k sath mil kar aisi tijarat karna jaiz hai jo shariat-e-islaam me halaal ho.
2) Agar sharaab k bartan dhonay,sharaab paish karnay ya us kaam me zarya shumaar hoto ye amalan shar1)Musalmano k liay maseehiyo aur yahodiyo k sath mil kar aisi tijarat karna jaiz hai jo shariyat-e-islam me halaal ho. (Ref : Ayatullah Sistani, Jadeed faqhi masael , Mafhoom e maslah #243 , Pg #165 , Eidition# 5).
Agar sharaab k bartan dhonay,sharaab khoro or sharab paish karnay ka muqadma ya us kaam me zariya or wasila shumaar ho to ye amal share taur per haram hai. (Ref : Ayatullah Sistani, Jadeed faqhi masael , Mafhoom e maslah #283 , Pg #175 , Eidition# 5). Update on dated 11-05-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
54653
Mujtahid:
Date:

Question: salam ..! mja yeah pochna hai k mn itly hn kam k kea pak sa aya hon lkn idr itly mn job k halat bt mushkil hn lkn mn dsra molak mn ja k kam kro to mra pasa jayaz hon ga k nae

Answer: wssalam o alykum, ager musalmaan qanoni tareqe se aik mulk se doosre mulk jaraha hai or wahan qanoni tareqe se job kar raha hai to ye pese us ke liye jaiz hain. (Ref : Ayatullah Sistani, Jadeed faqhi masael , Mafhoom e maslah # , Pg #322 , Eidition# 5).Update on dated 11-05-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
59820
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Beauty parlour main kam kar na ya beauty parlour ka bussnis karna jaiz hy

Answer: Jee haan jaiz hai.(Mafhoom e Masla, Ref : http://www.sistani.org/urdu/qa/01874/1). Update on dated 11-05-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
60528
Mujtahid:
Date:

Question: A.O.A KYA AHLEBAIT (a.s) ke dushman ke yahan job karna jayez hai. maslan saudi jaise mulk me jo ke ahlebait (a.s) ka khula dushman hai.

Answer: Wssalam o alykum, ager job main kiya jane wala kaam Shariyat e Muqaddasa k nazdeek jaiz hai to job kar sakte hain.(Ref : Aqa Sistani,Jadeed faqhi masail , masala # 243 , pg # 165). Update on dated 11-05-2015.(Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
61693
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Asalamualakum mara name Syed Muhammad Ali hai. Ap ka bohet bohet shukria agay bhe ap k jawab se mari bohet rehnomai howi hai.mara ek sawal hai.mara ya sawal ghor se pher ker mujay jawab dain. Ek company hai china ki (Tiens) direct sales markeeting ka kam kerti hai medicine or food supplment or devices ka company ki requirment hain k ap company se 300 points ka saman khareedain to wo ap ko 3*(star) bana dati hai.3* rank hai .3* agar koi cheaz khareeday to company us ko 20% us saman ka dati hai rupay ki surat main.company kehti hai k ap 300 points ka saman use kerain ju k 30000 se 40000 hazar ka banta hai ju k sayhet k hawalay se hai or company ki product bohet Quality ki hain. ap ko faida ho dosron ko batain or logon ko is company k baray main batain. ab main ek 3* agar 3 logon ko is company main le ker ata hon ju k yahan se saman khereedna chahatain hai main un ko apnay card per company main registered kerwa data hon wo 3 log 3*star ho jain gy to mujay un 3 logon k saman ka 20% faida a jay ga. company kehti hai ju ju ap k card per company main registered hon gy ap ko un ka saman khareed per 20% faida ho ga isi terha wo 3 log jab 3* ho jain gain to wo ager kuch khareedain ya koi un k card per registered ho ker khareeday to 20% faida un ko bhe ho ga. jb 3 log 3*star mari team main a gay to mujay company 4* bana dati hai Q k mari waja se wo 3 ya 4 log saman khareedatain hain.ab 4* per mujay 24% faida hota hai. agar main kuch khareedon ya logon ko bataon or wo khareedain maray card per ya mari team main a ker company main registered ho ker. atna to samaj main ata hai ab company kehti hai k ju 3 ya 5 log ap ly ker ay thay wo agay 3 ya 4 log le ker atay hain to to wo 4* hon gain or ager mari team main 3 log 4* hotay hain to mujay 5* bana dia jay ga is per mujay 26% faida ho ga is terha ju ju log main is company main le ker aon ga wo saman khareedain gy to mujay b faida ho ga or un ko b.sawal ya hai ju log main direct le ker ata hon un ka faida mujay hota hai. sath sath mari team main ju ju 3* ya 4* hain wo agay logon ko is system main le ker atay hain to un logon k saman khareednay per company mujay 4% dati hain or maray neachay 3* ko 20% q k wo direct le ker ata hai or main indireck hota hon kya ya indirect faida ju mujay hota hai lena jaiz hai ya ni. is terha mari team main ju ju log ain gy wo agay logon ko lain gy wo or main khud b ya madicine istamal kreain gy or logon ko b le ker dain gy to humaray star b bhartay rehain gy jb koi 8* ho jata hai to company us ko ek car gift kerti hai. or jb koi HD ban jata hai to company us ko apna patnar bana lati hai.company apni product ka 60% khud rekhti hai or 40% persent 3* se 8* main takseem ker dati hai.sawal ya hai k mari team ju main khud banaon ga wo agay log le ker ain gy or wo agay wo ju kuch khareedain gy company k rule k mutabik sb ko faida ho ga un k rank per main un sb ko Guide keron ga or un ko new new product ka bataon ga. kya in sab ka comision khana jaiz hai.company 500 k saman per 50% hum main bant dati hai or 50% khud rekh lati hai. ya sb ghor se pher ker mujay jawab dain kya ju ju log main le ker aon ga or wo or log le ker ain gay un k saman khareednay per humain ju indirect comision ay ga ju b faida ho ga wo lena jaiz hai ya ni.company ki product sayhet k hawalay se hai or kehti hai humara maksad sayhet or rozgar hai. 190 mulkon main registered b hai

Answer: Jaiz hai. (Ref : Mafhoom e E-mail rcvd from Ayat ul Allah Sistani , dated # 16 April , 2012). Update on dated 11-05-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
63721
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: slam.meri 1 dost hai wo jahan kaam krti hon wahan 1 insan usko bht like krta hai.she is married or apne husband se boht piar krti hai.w whan kaam krne k lie boht majboor hai. wo boht gareeb hain.wo mard usko bht hirasaan krta hai.us larki ko wahan kaam jari rkhna chahiye ya chor dena chahiye.kia meri dost ko us aadmi ko naseehat krni chahiye ya us k haq mn bad dua krni chahiye ap ko IMAM E ZAMANA ajf ka wasta ap issswal ka jawab dn wo bht tense hai kahin khud kushi na kr le

Answer: Wssalam o alykum, os aurat ko jab apni izzat ka khatra hay tu os ko wo job chorh deni chahiay or koi dosri achi job dekhni chahiay.(Ref : Nigaah o lebaas , baab # 4 , sawaal # 97 ,Mafhoom e pg # 65).
Hazrat Imaam Jaffar o Sadiq (a.s) se marvi riwayat ke mutabiq, wo orat Sura e yosuf (sura no 12) ko likh kar 3 din apne ghar main rakhe or phir use wahan se utha kar ghar ki bahar wali dewaar main chupa de ke koi is se muttale na ho. (Ref : Dunya Wa Akhirat ki 100 Pareshanion ka hal , pareshani no # 30 , Mafhoom e pg # 27). Update on dated 02-05-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
88425
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: kaya dosar ka baita ban kr dosry mulk mai ja kr aus country ke nationality lain jaiz hai ?(mai aqa sistani ke taqleed krta hu)

Answer: Nahi, ye kaam jaaiz nahi hai q k ye jhoot hai or mafaad haasil karne k liay aap un ko ghalat maaloomaat faraham nahi kar saktay. (Ref:Jadeed fiqhi masail ayatollah seestani maslah no 238). Update on dated 09-04-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
95583
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2019-04-23

Question: business ya naukri tarjeeh kisai di jai

Answer: Mazhab main tijarat ko ziayada tarjeeh haasil hai or rasool e khuda ki hadees bhi hai jis ka mafhoom ye hai k Allah ne rizq k 10 hissay rakhay hai jis mai sai 9 tijarat k or aik mulazimat ka hai.(Ref: wasaesh shia, jild#12,1st baab).
[Updated on 23-Apr-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
109741
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2020-08-15

Question: I m living in london i want start a beauty parlour is it ok to do this business

Answer: Yes it is ok to do this business.(Mafhoom e Masla, Ref : http://www.sistani.org/urdu/qa/01874/1).
[Updated on 15-Aug-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
110684
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-06-27

Question: Wo company jo network marketing ki ho aur pyramid scheme na ho, kia us se aanay wali aamdani jaaiz hai?

Answer: Ayatullah sistani is slsilay main khamoosh hay or is slilay main fal alam mujtahid ki janib ruju karain. (Ref: Tauzihul masael jaame, jild,3, maslah#649)[Updated on 27-Jun-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
111019
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ruhollah Khomeini Date: 2021-12-05

Question: Kya aurat sohar ki izazat se job kar sakti h

Answer: Agar Aurat mukammal sharae parda kare or gunah men parhne ka khof nah ho to jaiz hai. (Ref: Book : Nigaah o lebaas , baab # 4 , sawaal no # 97 , pg # 65)
Aurat par pardah karna wajib hai. Aurat ko chahye k sar k baal aur apna badan na-mehram mard se chupaey lekin na-mehram mard k samnay chehra aur kalaiyo tak hath khulay rakh sakti hai leikin is surat mai haram mai mubtila honay ka khoaf ho ya kisi mard ko hath or chehra dekhana haram mai mubtila karnay k iraday sai ho to in donoo suratoo mai in ko chupana wajib hai. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 41,Mafhoom e Maslah #2399).
[Updated on 06-Dec-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
111167
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-12-01

Question: Sr Meri govt job thi phly m n ksi majbori ki waja sa khud rezine Kiya tha ab m chahti Hun phr sa govt job ho jay plz help m

Answer: 1. Job milnay k liay sadqa dain. Sadqe ki wajah se rizq naazil kiya jata he.(Ayat Ullah Seestani(d.b), minhaajus saliheen,Part#2,albaabus saani-fis sadqa, page no.425).
2. Husool e rizq or taraqqi e rizq k liay 141 mertabah ye zikr perha jaay. yaa razzaaqo urzuqnee .(Ref: naaemul aamaal,pg#315).
3. Dua e tawassul ko her waqt perh saktay hain,laikin kisi khaas maqsad k liay is dua ko musalsal 14 dino tak rozana namaz e fajar k baad aik 2 rakat namaz e hajaat ada kernay k baad perh ker dua maangain. insha allah jald rishta hojaay ga. .(Ref: Naeem ul aamaal pg# 40-41).
[Updated on 02-Dec-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
111315
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-12-28

Question: Mery husband engineer un k office ka time 7 am to 5 pm hain lakin wo morning office jake login kary ghar ate hain or breakfast kary ghar main soty hain or 5 pm ko office jake logout karty. Hain muhje yea pata karma hain k in ki salary halal yea haram office time pea office pea na hona or ghar main rehna galat hain hain

Answer: Jee, on k liay ye kaam karna haram hay or in k liay is tarah ki salary lena bhi haram hay.
[Updated on 28-Dec-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
111484
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2020-11-15

Question: Salam. Kya islam me network marketing jaiz hai?

Answer: Ayatullah sistani d.b is tarah k maamle ki ijazat nahi dete. (His Eminence, Grand Ayatollah Sistani (d.b) does not allow or rectify such transactions. (https://www.sistani.org/english/qa/search/37428/).
[Updated on 16-Nov-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
111485
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2020-11-14

Question: Salam. Kya islam me network marketing jaiz hai?

Answer: Ayatullah sistani k mutabiq is ki ijazat nahi hay. (His Eminence, Grand Ayatollah Sistani (d.b) does not allow or rectify such transactions). (Ref: https://www.sistani.org/english/qa/search/37428/)
[Updated on 14-Nov-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
111539
Mujtahid:
آیت اللہ khamnei Date: 2020-11-27

Question: Ma aj nurse hn or پاکستان ma amomi طور py nurses ka jo hijab hota ہے اس میں sharee pardy ka khayal ni رکھا جا سکتا mtlb ye k us میں sy بال nzr aaty ہیں kya mery liay aesi jga py job krna ٹھیک ہے??

Answer: Aurat par pardah karna wajib hai. Aurat ko chahye k sar k baal aur apna badan na-mehram mard se chupaey lekin na-mehram mard k samnay chehra aur kalaiyo tak hath khulay rakh sakti hai leikin is surat mai haram mai mubtila honay ka khoaf ho ya kisi mard ko hath or chehra dekhana haram mai mubtila karnay k iraday sai ho to in donoo suratoo mai in ko chupana wajib hai. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 41,Mafhoom e Maslah #2399).
Agar Aurat mukammal sharae parda kare or gunah men parhne ka khof nah ho to jaiz hai, warna jaiz nahin. (Ref: Book : Nigaah o lebaas , baab # 4 , sawaal no # 97 , pg # 65)
[Updated on 27-Nov-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
111723
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2020-11-28

Question: Kia islam me larkio ka shopping mall me kam karna jaiz ha ya kisi aise jagha jaha na mehrim mard or larkia ati ho

Answer: Agar Aurat mukammal sharae parda kare or gunah men parhne ka khof nah ho to jaiz hai, warna jaiz nahin. (Ref: Book : Nigaah o lebaas , baab # 4 , sawaal no # 97 , pg # 65)
Aurat par pardah karna wajib hai. Aurat ko chahye k sar k baal aur apna badan na-mehram mard se chupaey lekin na-mehram mard k samnay chehra aur kalaiyo tak hath khulay rakh sakti hai leikin is surat mai haram mai mubtila honay ka khoaf ho ya kisi mard ko hath or chehra dekhana haram mai mubtila karnay k iraday sai ho to in donoo suratoo mai in ko chupana wajib hai. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 41,Mafhoom e Maslah #2399).
[Updated on 28-Nov-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
111808
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-11-28

Question: Insan jb job pai jata hai to different log miltay hai different mind status kay kuch log parday ka khayal nhe rakhty agar hm apnay parday ka mukalmal khayal rakahin aur gloves bhe pehn Kar jaen to kiya job karana kasay kay galti sai hath lag Jana namehram ko is khof sai agar gloves pehnay to Job pai jana jaiz hoga Agar gloves na pehnay ho aur galti sai hath lg jae bki parday ka mukalmal khyal rakha ho to kiya wahan job karana jaiz hai Is ka bhe btain kay agar job ka agreement asa ho Kay thori training Kay bd ghr sai kam karrna ho to kiya is tarhan Kay mamlay ko nazr mein rakhty huway jana jaiz hojae ga agar insan mutmaen ho Kay yeh job safe hai Agar koi na mehram cousin shari parday ka khayal na rkhta ho aur smjhata ho k cousin mehram hotay hain halqaay samjhanay par itraf bhe kartay ho Kay na mehram hotay hain to kiya hmaray shari parda k khayal rakhanay ka bwajood agar koi galti hojae kasay kuch chez satay waqt hath touch hojaen to kiya hm bhe gunnah mein barabar kay sharikh hogay Hath Kay parday kay hawalay sai rehnumai farma dain har jagha to gloves pehnay ka khayal nhe rakha jaskta agar sambhal Kay chalain aur the bhe galti hojae to kiya gunnah milta hai

Answer: Agar Aurat mukammal sharae parda kare or gunah men parhne ka khof nah ho to job karna jaiz hai, warna jaiz nahin. (Ref: Book : Nigaah o lebaas , baab # 4 , sawaal no # 97 , pg # 65) Aurat par pardah karna wajib hai. Aurat ko chahye k sar k baal aur apna badan na-mehram mard se chupaey lekin na-mehram mard k samnay chehra aur kalaiyo tak hath khulay rakh sakti hai leikin is surat mai haram mai mubtila honay ka khoaf ho ya kisi mard ko hath or chehra dekhana haram mai mubtila karnay k iraday sai ho to in donoo suratoo mai in ko chupana wajib hai. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 41,Mafhoom e Maslah #2399).
[Updated on 29-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
112122
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2020-12-22

Question: Ky islam me ldkiyo k job krna sahi hai

Answer: Agar Aurat mukammal sharae parda kare or gunah men parhne ka khof nah ho to jaiz hai, warna jaiz nahin. (Ref: Book : Nigaah o lebaas , baab # 4 , sawaal no # 97 , pg # 65) Aurat par pardah karna wajib hai. Aurat ko chahye k sar k baal aur apna badan na-mehram mard se chupaey lekin na-mehram mard k samnay chehra aur kalaiyo tak hath khulay rakh sakti hai leikin is surat mai haram mai mubtila honay ka khoaf ho ya kisi mard ko hath or chehra dekhana haram mai mubtila karnay k iraday sai ho to in donoo suratoo mai in ko chupana wajib hai. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 41,Mafhoom e Maslah #2399).
[Updated on 22-Dec-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
112221
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Abul Qasim e Khoie Date: 2021-11-28

Question: Asalam o Alikum Ma chtii hon MERI passand ki jagah nikah ho jya jldii sy jadl koi wazifa bta dyn or larky ko job krny or karoob krny ma rukawat arhii ha isky bary ma bhe bta dyn koi wazifa

Answer: 1: Surah e ahzaab ko hath say likh kar aik dabbay (box) mai band kar k apnay ghar may hifazat say rakh dain aur is surah ko har rooz aik bar parh kar dua mangain to hisb e manshah rishta distiab ho ga. (Ref : Naway e salaheen pg # 352)
2: Husool e rizq or taraqqi e rizq k liay 141 mertabah ye zikr perha jaay. “yaa raz’zaaqo urzuq’nee”یا رزاق ارزقنی.(Ref: naaemul aamaal,pg#315).
3: Riwayat main hai k jo shakhs subah k waqt kisi sai baat karnay sai pehlay 3 baar surah e maeda ayat# 114 ki tilawat karay osay waha sai rozi milay gi jahan sai osay wahm o ghuman bhi na ho ga. (Ref : Kitab payam e shifa Pg # 232) ayat (rab,ban,a anzil alina . . . . . . khairur razaqeen ) (Ref : Kitab payam e shifa Pg pg # 240-41).

[Updated on 29-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
112308
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-11-28

Question: AsSalam walekum Bhai Meri ek madad KR dijiye aise koi doa btayiye jisse Meri Amma ki job salamat rhen hmesha Bahut meharbani hogi

Answer: (Note : Is website per fiqhae jaffaria k mutabiq jawabaat diay jatay hein).
Ans: Talab e hajat k lie 686 martaba (Bismil,laah,hir Rahmaanir Raheem) parhein aur isi terha 676 martaba dorood(Allaa,humma sal,li ala muhammed wa aali muhammed) parh kar dua ki jay to INSHALLAH dua or khahish pori hogi. (Ref: Naeem ul aamaal page #314)
[Updated on 29-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
112435
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ruhollah Khomeini Date: 2021-01-11

Question: Assalamualikum My question is, Can a muslim girl go for UPSC exams(civil services job) like IAS, IPS,IRS etc.

Answer: Agar sharee parde ka khayal rakha jaey aur lazzat ka irada ya gunah mai mubtila hone ka khoaf nah ho to khawateen ka kaam kernay main koi haraj nahi hai.(Ref : Kitab Nigah aur libaas, Sawal # 97, Mafhoom e Pg # 65).[Updated on 11-Jan-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
113249
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-02-27

Question: Govenment job kiya halaal ha ?

Answer: Agar asal kaam halal ho or muslimeen or momineen ki maslihat k liay ho tu phir job karne main koe haraj nahi hay. (Ref:Ayatullah sistani, Minhajus Saliheen,Part#2, Maslah#39, eidition 1439).
[Updated on 27-Feb-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
113426
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-12-02

Question: Asalam o alikum. Qibla mera sawal yr hai k me france me uber eats k lie food home delivery krta hu is me aksar alcohol hoti hai kya wo jaiz hai ya haram hai

Answer: Agar aap ko delivery main sharab pohchna hoti hay tu phir jaiz nahi hay.(Ref: Jadeed fiqhi masael, maslah#162, 164, 241 )
(Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Jadeed fiqhi masael, maslah #37)
[Updated on 02-Dec-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
114067
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-11-22

Question: Assalamoalikum!main preshn hun kun k k rozgar nhi ha..koi job nahe mil rahi.. Plz mujy b koi wazeefa bta dain.

Answer: 1: Job milnay k liye sadqa dain. Sadqe ki wajah se rizq naazil kiya jata hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Minhaajus saliheen Part #2, albaabus saani-fis sadqa, page #425).
2: Husool e rizq or taraqqi e rizq k liay 141 mertabah ye zikr perha jaay. yaa razzaaqo urzuq nee. (Ref: naaemul aamaal, pg #315). Riwayat main hai k jo shakhs subah k waqt kisi sai baat karnay sai pehlay 3 baar surah e maeda ayat #114 ki tilawat karay osay wahan sai rozi milay gi jahan sai osay wahm o ghuman bhi na ho ga. (Ref: Kitab payam e shifa Pg #232) ayat (rabbana anzil alina . . . . . . khairur razaqeen ).(Ref: Kitab payam e shifa, pg #240,241).
3: Pareshani k liye wazifa: Surah e Ahqaaf 3 bar parhein. Musibat tal jaay gi. Har qism ki perashani k liya surah e Mubarak e Anaam ki ayat #17,18 (in yamsask . . . . . . .al khabir) ko fajr say pehlay likh kar apnay paas rakhain. Inshallaha faida ho ga. (Ref: kitab payam e shifa, pg #217,221).
[Updated on 23-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
115319
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-07-09

Question: AoA sir, mere chacho gambling krte hain means haram kamatay hain, me un k haram khanay pilnay se kfi dur hun, mgr wo force krte hain k dawat h meri trf meri trf se khao pio agr is sorat mai unka haram kha liya tu kia hoga, kia me is gunnah mai shamil hun ga k un k kehne pe unki haram kamayi se kuch kkha ln, mere parents b khty hain agly ka dil rkhne k liye kha lena chahiye, kindly guide kr de is baray mai

Answer: on k ghar khana jaiz hay.(Ref: email rcvd from sistani.org Dated:12-07-2018).
[Updated on 09-Jul-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
115812
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-03-16

Question: Job karne ki majburi me Parda chor diya to gunah hota hai kyaa

Answer: Jee han, gunah hoga Q ke parda karna wajib hai, albatta aurat agar mukammal sharaei parda karen or lazzat ka irada ya gunah men parne ka khof nah ho to us ke lie job karna jaiz hai, Lekin agar gunah men parne ka khauf ho jese ke aap ne farmaya hay ke parda chor diya hai to is soorat men wahan job karna hi jaiz nahin hai.
(Ref: Nigaah o libaas, sawaal #97, pg #65).
[Updated on 17-Mar-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
116643
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-10-13

Question: A.o.A Mai js job k lye apply krta hu ya to test m fail hojata hu ya phr interview m Halat har roz bigartay ja rahay h ab mjhy kuch smjh nh araha m kia kro Har waqt ab ajeeb khayal atay h mai bht pareshan or baizar hu Thanks

Answer: Surah e Zariyaat(surah #51) aur surah e alam nashrah(surah # 94) k parhnay walay k lie Khair o barkat mai izafa aur rizq mai ziadti hoti hai aur is k ahl o ayal ki rozi wasee(ziada) hoti hai ye amal tajrba shuda hai. (Ref : Kitab payam e shifa, Mafhoom e Pg # 236).
[Updated on 13-Oct-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
120538
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-09-26

Question: Salamun Alaikum, Agar ham ek company k purchasing manager sy deal krain k apki company hamay agar 10,000 me cheez bechy to me apko us me commission doon ga lekin wo purchasing manager company ko na batay is surat me manager k leye to commission jaiz nhi hai, lekin kia mery leye wo 10,000 ki purchasing kamay (earning) halal ho gi ya nhi?

Answer: Jee nahi malik ko baghair batae is tarah ka amal jaiz nahi hay Q k aap us admi ki taraf se wakeel hen or wakeel per wajib hay k jo kuch us k hath me ho wo malik k supurd kare. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 2, Mafhoom e Maslah # 1302, Eidition 1417 hij).
[Updated on 26-Sep-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
121295
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-12-02

Question: Assalamualaikum Actually mjhe 1 ques puchna tha... Ky ladke ka esi jgh job karna jayez hai jhn ladkiyn chote chote kapde pehnti ho or sharam aam ho... Jse Events wgra jo hte h whn ldkyon k lie chote kapde pehnna aam b normal smjha jata hai ese kapde ke hmri ankhn nichi aa jaen or sharab pani ki trh pee jti h ap plzz mjhe iska ans zrur dijiaga k y job jayez h ya nii iska ans mri lyf k lie bhtt important h....

Answer: Agar buraaie me mubtela hone ka imkaan na ho tu mard or Aurat ka aise jagha per aekhtha ( Jama hokar) kaam ( job) karna ,jis (jagha ) ka darwaza waqtan fa waqtan khulta rehta ha(Yani us jagha or bhe louq aate jaate ho,ya or bhe louq Waha moujood ho),jaiz hay.
(Ref: Nigah aur libas, sawal #101, pg #66).
[Updated on 02-Dec-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
121403
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-12-23

Question: Ajkal jobs kay liye degree kay sath us field mein experience bhi mangty hen kia experience na honay ki surat mein fake experience certificate banwa kay job hasil krna sahi hai ?

Answer: Fake certificate banana aur is ko original certificate ke taur par paish karna, har soorat mein jaaiz nahin hai.

(Ref: Tauzeeh ul Masail Jaame (farsi), Ayatullah Sistani(d.b), part #2, Edition #1443, Maslah #476,478).
[Updated on 23-Dec-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
121404
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-12-23

Question: Ajkal jobs kay liye degree kay sath us field mein experience bhi mangty hen kia experience na honay ki surat mein fake experience certificate banwa kay job hasil krna sahi hai ?

Answer: Fake certificate ka banana aur is ko original certificate ke taur par paish karna, har soorat mein jaaiz nahin hai.

(Ref: Tauzeeh ul Masail Jaame (farsi), Ayatullah Sistani(d.b), part #2, Edition #1443, Maslah #476,478).
[Updated on 23-Dec-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
121506
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-01-06

Question: I am working on a private job but for seeking the job I have placed in fake information, the requirement for the job was graduation I have submitted a fake graduation degree. Although I am working with honesty and am praised by management, they also like my work, but now I am depressed and this thing is leaving a burden on my heart, Should I leave this job or inform to Organization's management about my actual qualification? Please guide me, I am a follower of Ayat Ullah Sistani

Answer: 1: Fake certificate banwana aur is ko original certificate ke taur par paish karna, aur is tareeqay se kamayei karna ye tamam kaam jaaiz nahin hain.
2: Zaroori hai ya to job chor den ya management ko asal haqeeqat se aghah karen. Ab jab aap management ko itelaa den to agar management aap ko jab pe baqi rehne ki ijazat de de to aap ke liye job karna jaiz hai.

(Ref: Tauzeeh ul Masail Jaame (farsi), Ayatullah Sistani(d.b), part #2, Edition #1443, Maslah #476,478).
[Updated on 07-Jan-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
121669
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-02-13

Question: Aasalam walekum, mera yeah sawal hai apse k mai jaha kaam karti hu waha formal pant and formal full shirt pehnti hu or iss darmiyan mujko kuch khali samaye milta hai toh mai kya uss waqt internat mai quran sharif padh skti hu or kya yeah baqshyes mai qabool hoga.

Answer: 1: Aurat ke liye pants, shirts pehan kar bazaaron (markets) aur sarhakon (roads) par nikalne (ya daftaron {office} me kaam karne) se agar aurat ke badan ke hassas hisse mujassam ho kar zaahir hote hon ya dekhne walon ke jinsi ehsasaat ubharte hon to us ka pants, shirts pehanna jaiz nahin hay.
2: Isi tarah agar libaas tang ho aur shehwat ka sabab bane (jese ke is libaas se aurat ke ubhare hoye hisse zahir hon) to is tarah ka libas pehenna jaiz nahin hai, aur in ko chadar ya munasib aur khule howe coat ke zariye chhupana zaroori hai.
3: Internet ke zariye quran ki tilawat karne me koi harj nahin hai, lekin office me jo aap ka time hai (misal ke taur par subah 8 se sham 6 tak) agar is office time ke darmiyan me office walon ne aap ko ye kaha hua hai ke office time me aap apna koi zaati kaam nahin karen gi to phir is surat me aap ke liye quran ki tilawat karna jaiz nahin hoga.
(Ref: Jadeed fiqhi masail, Ayatullah Sistani(d.b), maslah #541. + Nigah aur Libaas, pg #90. + email rcvd from A.sistani d.b).
[Updated on 14-Feb-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
122352
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-06-13

Question: Kya main apnay office k free time main dosri online job office main rehtay hoay kar Sakta ho. Kya office timing main dosra kam Karna jaiz ha

Answer: Office me jo aap ka time hai (misal ke taur par subah 8 se sham 6 tak) agar is time ke darmiyan me office walon ne aap ko ye kaha hua hai ke office time me aap apna koi zaati kaam nahin karen gay (jo ke aam taur aisa hi hota hai) to phir is surat me koi aur apna zaati kaam nahin kar sakte.

(Ref: Minhaj us Saliheen, Ayatullah Sistani(d.b), Part #2, edition #1443, mafhoom e maslah #377,378.
[Updated on 14-Jun-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
122697
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-08-02

Question: Salam Sir mujhe ye pochna tha Mai ek company mai job krta hn Accountant hun meri company account mai saving ki har month amount ati mai usy record krta hn ur company k main account mai wo amount jama krwa dyta hun . Tu kia ye job mere lye haram hy majburi mai job krha hn ur dusri job milna bhi mushkil hy tu kia kia jye please guide kren

Answer: Jaiz hai, wo job kar sakte hain.
(Ref: Mujtahid se puche gaye sawalat, part #4 pg #76).
[Updated on 03-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
122895
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-09-13

Question: office time me agar kam na ho to quran prhskte ?

Answer: Office me jo aap ka time hai (misal ke taur par subah 8 se sham 6 tak) agar is time ke darmiyan me office walon ne aap ko ye kaha hua hai ke office time me aap apna koi zaati kaam nahin karen gay (jo ke aam taur aisa hi hota hai) to phir is surat me koi aur apna zaati kaam nahin kar sakte.

(Ref: Minhaj us Saliheen, Ayatullah Sistani(d.b), Part #2, edition #1443, mafhoom e maslah #377,378).
[Updated on 14-Sep-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print