Showing 50- 52 questions from 52 questions on this page.
Question: Assalamualaikum w.wb. allah aapke ilm me or izafa de Mera sawal hai ki main ek casino me kaam karta hun mera kaam hai checking karna ki jo ladke customer ko game play karwa rahe wo cheating to nahi kar rahe ya fir agar koi customer jeet jata hai to usko paisa kam to nahi de rahe ya fir kisi customer ko gali ya fir ghalat andaaz me to nahi bol rahe mera kaam jayaz hai ya najayaj
Answer:
Jua khana (casino) ki kamai Haram hai aur Haram ki kamai khana bhi Haram aur ghunah e kabira hai. Yani aap ke liye wahan kaam karna jaiz nahin hai.
(Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Minhajus Saliheen Part #1, Edition #1443, Maslah #30. + Jadeed Fiqhi Masail, maslah #488, pg #259).
[Updated on 09-Aug-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kya raat ki job krna jaiz h islam m?
Answer:
G han aisi job krna halal hai jo Kisi wajib ko tark krne ya haram ko anjam dene se talluq na rkhti ho, Yani halal kaam ki job krne me koi harj nh hai..
(Ref : Aqai Sistani (db), Jadeed faqhi masail , mafhom e masala # 64 , pg # 75 , eidition #5).
[Updated on 30-Aug-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]