Showing 350- 351 questions from 351 questions on this page.
Question: Agar koi banda peshab (urine) kare to saf karne yani apni sharamgah dholay or uthte bethte us k 2 3 peshab k qataray(drops) gir k jism pe lag jain. or har dafa aisa hi ho yani jab b peshan aye or har dafa yehi halat ho to kia karna chahye?
Answer:
wo qatray najis shumaar honge lehaaza jahan jahan qatre lagay hai wo jagah paak karni hogi is ka tu bus yahi ilaaj hai k jab bhi peshaab karay tu us k baad istibraa kar lay, (istibraa aik mustahab amal hai jo merd hazrat peshab k bad is wajah say anjam daite hain takeh ye itminaan ho jae k peshab ki naali may peshab baki nahi raha. Is ka tareeqa ye hay k peshab say farigh honay k baad ultay haath(left hand) ki darmiyaani ungli (middle finger) ha us ko pakhanay k maqam say peshab ki naali ki jerh tak soontain(wipe) aur is k baad angothay ko peshaab ki naali k oper or aur angutay k saath wali ungli ko peshaab ki naali k neechay rakhain or daba kar khatna k maqam tak le aaen phir 3 dafa jatkein).or agar istibraa karnay k baad koi rutoobat kharij hoti hai jis k baaray mai shak karay k peshaab hai ya nahi tu wo rutoobat paak hogi or us sai wuzu bhi baatil nahi hoga.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 39 maslah#69 and 70).
[Updated on 22-Nov-2018 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]