Please click the button for Quran o Itrat Academy Whatsapp Channel.
Whatsapp Channel
Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions:


Question & Answers << Go Back

Topic: General (496 Questions)


Showing 300- 350 questions from 496 questions on this page.

Answers found for searched words
Id:
15462
Mujtahid:
nothing Date:

Question: sahadat k waqte hazrat ali ky alfaz kia thy

Answer: فزت و رب الکعبه (Ref : Chardah sitaray pg # 174)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
15478
Mujtahid:
muslim Date:

Question: woh kon se nabi thay jinki wife ne islam qabool nahi kya tha

Answer: Note : Is website mai fiqh e jafaria k mutabiq jawabat diay jatay hain.

Quran e majeed k mutabiq Hzrat Nooh a.s or Hazrat Loot a.s kibiyaan emaan nah lain or Allah k azaab ka shikaar hoe or jahannum ki mustahiq baneen.(Ref: Quran e majeed, sorah tehreem(Sorah#66), ayat#10). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id:
16090
Mujtahid:
AAGHA SISTANI Date:

Question: WHICH AYAT IS KNOWN AS AYAT E WILAYAT

Answer: Sorah e maa,idah(Surah#5) ki ayat#55 ko ayat e wilayat kaha jata hay.(Ref: sorah e maa,idah). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
16253
Mujtahid:
Ayatullah Sistani Date:

Question: Ham kia karain k jis sai ham mai ilm hasil krnay ka shoq paida ho?

Answer: Ilm hasil krnay aur apni marfat k meiar ko blund krnay k lie musalsal jado jahad karay chahae is k lie apnay aap ko zehmat mai dalna paray ta k ilm ki ahmiet aur is k azeem faiday ko mehsoos kar sakay aur natejay ye ho k insan apnay araday aur apni chahat sai mutalea karay. (Ref : Mujtahid se pouchey gay sawalat part # 3, ques # 220, pg # 90)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
16505
Mujtahid:
Date:

Question: sir aap jo masly bataty he wo ap fiqqa hanfi ya fiqa jafria se bataty he?

Answer: Note : Is website per fiqha-e-jaffaria kay mutabiq jawabaat diay jatay hain.

Print

Id:
16901
Mujtahid:
Date:

Question: a.s. Kya namehram ko slaam karna chahiye hadis ki roshni me btaye...

Answer: Agar lazzat k iraday aur haram mai mubtilla honay k khof k bagair ho to salam krnay mai koi haraj nhi hai. note: agar jins e mukhalif jawan larki ho to behtr hai osay salam na kia jae ta k gunah mai mubtilla honay sai bacha rahay. (Ref : Kitab Nigah aur libas pg # 61 masla # 88) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
17017
Mujtahid:
sistani shaib Date:

Question: imam sajjad ky nana ka nam batai shukria my name is mujtaba rawjani i am student of class six

Answer: Imam Zain ul Abideen a.s. yasd’jard “ ﻴﺰﺪﺠﺮﺪ ” k nawasay hain. Yani in k nana ka nam yasd’jard hai. (Ref: 14 sitaray pg # 273)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
17112
Mujtahid:
Ayatollah sistani Date:

Question: I want to is this website of ayotollah sistani. And are we getting answers from him.

Answer: Quran-o-Itrat Academy website is all about Istifta , Books Of Mujtahid ( Maraja-e-Uzzam ) with the online question and answer system for commonly asked questions according to the fatawa of mujtahideen including ayatollah sistani d.b. but this is not the official website of ayatollah sistani d.b. (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
17146
Mujtahid:
Date:

Question: kya main apni do betion ke shadi aik din do alag alag larko se ker sakta hoon

Answer: Jee han shadi kar saktay hain. Q k shadi un mustahabbat mai sai hai jin ki islam nai bohat ziada takeed ki hai , Rasool e Khuda s.a.w.w. ka farman hai k : jo shakhs shadi kar leta hai wo apna adha deen bacha leta hai.
Is k alawa shadi k silsilay mai logo k lie koshish krna, un k lie wasila ban’na aur tarfain ko rishtay k lie aamada krna mustahabb hai. (Ref : Jaded Faqhi Masayl Ayat ullaha Sistani d.b. Masla # 385-89 pg # 231-33)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
17803
Mujtahid:
Ayat ullah Sistani Date:

Question: Assalam-O-alaikum, Mera ye sawal hai k Imam AS ki wiladat hoti hai ya zahoor. Plz reply me with details. Thanks

Answer: Zahiri tour par dunya mai imam ki wiladat hoti hai. (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
18248
Mujtahid:
male Date:

Question: I am a shemale i have boobs naturally my voice is like lady. doctor advise me to go to sex change operation. what should i do ?? people hate me because i am like lady type person .. if i go with sex change than i can get my life partner too. people laugh at me because i am like lady..i tried to be like gents but all vain..nothing worked....plz give me some solution and call me on 08000968806 or 09173567388

Answer: Agar waqen insane k lie apni jins tabdeel karwana mumkin ho to bazat e khud ye haram nahi albetta doosri jehat sai jise chonay aur dekhnay k aitebar sai haram ho ga siway ye k ye amal zaroori ho jay. Aur is farz par k jins tabdeel ho jay to saray ahkam new jins ki bina par jari hon gay na k purani jins k mutabiq (maslan agar aurat ban jay to perda karna parega) laikin sirf zaheri tour par tabdeeli k aa jane ka matlab ye nahi hota hai k jins tabdeel ho jay hai. (Ref : Mujtahid se pochay gaey sawalaat, part # 3, sawaal # 164). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
24149
Mujtahid:
all Date:

Question: Deen k lafzi mani kya he

Answer: Deen k lafzi meaning bohat saray hain takreeban 19 meaning hain jis mai sai 1: Mazhab, Aqida har wo tareeqa jis k zarie khuda ki abadat ki jae. 2:millat 3: islam 4: teen batoo ka majmoa hai 1)dil sai aetiqad 2)zaban sai iqrar 3)arkan par apnay aza o jawarah sai amal. Is majmoae ka nam deen hai. (Ref : Qamoos ul waheed pg # 561)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
24623
Mujtahid:
Date:

Question: Kya aurat ko Qabaristan pe jana jaiz h ? agr ni tou q jaiz nh h ?

Answer: Auratoo k lie qabristan jana jaiz hai. (Ref : Mujtahid se pochay gaey sawalaat, part # 3, sawaal # 202,pg # 85)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
26145
Mujtahid:
quran Date:

Question: Assalam walakum, Kya hum dua karte waqt aisn khe sakte hain ke 1month main dua puri hojaye?

Answer: Dua ki qabooliat mai agar takheer ho jae to Allah ki rehmat sai mayoos nahi hona chaheay q k karim k dar par pukarnay wala khabi nakam nahi rehta, aik na aik din is ki suni jae gi aur murad hasil ho gi. Lehaza qabooliat aur adm e qabooliat ko Allah par chor kar os sai hajat mangtay rehain aur apna dukh dard osay sonatay rehay. (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
30865
Mujtahid:
fika jafria Date:

Question: Kehte hain hazrat khadija hmare Nabi se phele b 2 jaga shadi kr chuki thn. Phele khawand ka naam hala aur 2sre ka naam atiq tha jb k hazoor Nabi pak 3sre khawand thy. Kia ye theek hai. Plz reply

Answer: Hazrat khadija (a.s) ka hazrat muhumad (s.w.a) se pehla nikah tha.(Ref : Chardah Sitare, Allama zeeshan haider jawadi, pg # 47) ( Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
31994
Mujtahid:
Date:

Question: islam mei hath utha k dua krnajaiz hai ya nai

Answer: Islam main hath utha ker dua kerna jaiz hay hay or balkeh ahsees main aisa kerna behter biyaan kia gaya hay, riwayat hay k hazrat ali a.s ne fermaya k jab tum main se koe shaks farigh ho tu dua k liay apnay dono hath aasam ki taraf buland karay, tu mulk e saba k aik rehnay walay ne pocha ya ammeral momineen kia Allah har jagah maujood nahi hay? Fermaya haa, os ne kaha phir aasman ki taraf hath Q uthaya jay? Aap a.s ne fermaya kia tum ne Quran ki ye ayat nahi perhi “or tumhari rozi jiska tum se wada kia gaya hay wo aasman main hay{sorah e zariyaat ayat#22} tu jahan rizq hay waheen se tu rizq talab kia jay ga or Allah ne aasman se hi dainay ka wada kia hay.(Ref: sheikh sadooq ki kitaab Ilalul sharaae, part#2, baab#50). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
32239
Mujtahid:
abc Date:

Question: what is shaheed. explain?

Answer: Jo shaks Imama a.s ya un k naa,ib-e-khaas k sath jang mai mara jaey ya aisi jang mai mara jaey jo islam k difa k liay larhi jaey or os main mara jay tu wo shaks shaheed kehlaata hay.(Ref : Minhajus Salaheen Ayatullah Sistani d.b. Part #1 , masla #282). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
32440
Mujtahid:
Date:

Question: zaboor e ale muhammad kis kitaab ko kaha jata hai

Answer: Chatti sadi hijri k nisf awal mai sahifa e kamila ko zaboor e aal e muhammad aur injeel e ahl e bait k namoo sai yad kia jata tha. (Ref : Sahifa e Kamila tarjuma Hazrat Allama Mufti Jaffar Hussain pg # 21)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
32616
Mujtahid:
Aya tullah Sistani Date:

Question: Salam un alaikum...plz mujhe bata den k kia nails barhana jaiz hy??

Answer: Baaz riwayat me aya hai k nakhoon barhana aurato k lye munasib hai.(Ref : Mujtahid se pochay gaey sawalaat, part # 1, sawaal # 186,pg # 90)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
32694
Mujtahid:
S Date:

Question: ZABOOR KIS ZABAN MEIN NAJIL HUI?

Answer: zaboor ibrani zabaan me nazil hoi. Aur hazrat daood (a.s)per nazil hoi .(Ref: w.w.w islamieducation .com , que : 2, w.w.w urdu .co,pg:3 ) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
32712
Mujtahid:
Allama Seestani shb Date:

Question: kia mery chirstmas kehna kisi esai ko jaez hy ?

Answer: yahudiyon aur esaiyo aur digar ahle kitab, ise tara ahle kitab k ilawa dosere kafiro ko Mubarak baad dena jaiz hai jin ka wo jashan manate hai. jese chrismis aur ester ka tehwaar.(Ref : aqa sistani,Jadeed faqhi masail ,masla #310 , pg # 185, eidition 5) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
32751
Mujtahid:
Date:

Question: assalamualaikum main ek joint family me rahti hoon mere gher me saas susre rahte hai par susre ki nazer kharaab hai bahut badgumani karte hai mere sath mere shohar ko bhi hai is baat ka ilm hai par unke maa baap hai bolke wo kuch nahi karsakre kiya gher alag leke rahna chahiye islam me iski kiya hukum hai pls bataye

Answer: Alag ghar to lai saktay hai magar baitay par faqeer waldain ka nan-o-nafqa wajib hai. (Ref : Jaded Faqhi Masayl Ayat ullaha Sistani d.b. Masla # 584 pg # 289)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
32813
Mujtahid:
student Date:

Question: mra sawal ye hy k. Ye jo ham dunia ke taleem prhty hn. Jsy k chemstry,phys, math wgra kea ye be us ilam myn shamil hy js k hasil krny ka huqum r sawab h.

Answer: Jis Ilm ka hasil krne ka hukm diya gaya hai ya jis ilm k hasil krne ka sawab ka kaha gaya wo ilm-e-deen hai yani aysa ilm k jis k na seekhne ki waja se insane kisi gunah men mubtala horaha ho sharae masaail men b yehi btaya jata hai k mukallaf ( wo shakhs jis per shari zimedariya wajib hote hai ) k liye wo tamam masail (ilm) seekna lazim hai jin k bare me ahtemaal(use andesha)hai k na seekne ki waja se khuda ki maseyat(ghuna) me mubtela ho sakta hai , yani kise wajib ko tarak karne ya kise haram ko anjaam dene k murtakib ho sakta hai.(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 9)
Note: Han Albatta wo dunyavi uloom jinka ane zikr kiya agr ap inko khuda ki khushnudi or insaniyat ki falah-o-bahbood ki khatir hasil kren to is men sawab hai (jese doctor ka ilm-e-tib b seekhna take is k zariye se insaniyat ki khidmat kr sake)

Print

Id:
32826
Mujtahid:
Aya tullah Sistani Date:

Question: Aoa....plz plz bata den nails barhana maqroo hen ya haram?? agr wuzu karte waqt nails me b pani dal lia jae to wuzu sahi hoga??

Answer: 1)Baz riwayat mai is baray mai moujood hai k nakhun barhana auratoo k lie munasib hai. (Ref : Mujtahid se pochay gaey sawalaat, part # 1, sawaal # 186,pg # 90)
2)Agar nakhun mamool sai ziada barhay huay hon to jitna hissa mamool sai ziada barha hua hai is k nichay sai mail nikalna zaroori hai ta k pani khal tak pohnch jae. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 290)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
32887
Mujtahid:
aasdfg Date:

Question: koi aesi surah ya koi aesa wird jis ko party rehne se admi kahi bhi budha na ho saky or na hi baal white ho

Answer: Burha hona insan k lawazim mai sai hai albetta ye dua mangi ja sakti hai k khabi beemari na aye ya kisi ka mohtaj nahon. Aur baal safaid na honay k lie ashraf ka DEMÃGH AFROZ C.T. oil ietemal karain is sai baal safai dnahi hon gay. (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
32926
Mujtahid:
Date:

Question: yaum e juma ka mustahib amal kaya hai.

Answer: Juma k din k aamal bohat ziada hain jin mai sai kuch ye hain. 1: roz e juma subah ki namaz ki pehli rakat mai surah juma aur doosri rakat mai surah e tauheed parhna. 2:namaz e fajar aur zohar k bad 100 martaba durood parhna. 3: namaz e fajar k bad 100 martaba surah e tauheed parhna. 4:surah e ahkaf surah # 46 aur surah mominoon surah # 23 parhna. 5:ghusl karna 6: sadqa dena 7:apnay waldain aur deegar mominoo ki qabr par jana. 8: dua e nudba parhna 9: 20 rakat nafla 2 2 kar k. (Ref : mafatihul jinan pg # 86-91)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
33036
Mujtahid:
Ayatullah Sistani Date:

Question: Asalamoalikum! i am feeling sorry to tell that i have not much knowledge about our relegion and now very much interested to get good knowledge so that i may get involved in and follow true path kindly suggest me some books to start reading ..... i dont have time to attend madrasa as i am doing mba on sundays Regards

Answer: Read nuqoosh-e-ismat of allama zeshan haider jawadi for knowledge about prophet b.b.u.h and his ahl e bait a.s and tauzeh-ul-masail of aqae sistani d.b. for daily masail. (will be available at any islamic bookstall)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
33047
Mujtahid:
Waseela Date:

Question: Asalamualikum Kya Waseela jayiz hain aur konse type ka waseela jayiz hai . . . Quran n hadith (bukhari ya muslim) ki roshni main jawaab dena plz. . .

Answer: 1)Nabi(s.a.w.w) aur imam(a.s.) ka wasila bana kar dua karnay se dua qabool honay k qareeb ho jati hai. (ref : website http://sistani.org/local.php?modules=nav&nid=5&cid=1346).
2)Wasila ka zikr quran mai bhi surah e maida surah # 5 ki ayat # 35 mai hua hai. (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
33325
Mujtahid:
Date:

Question: AOA,kisi ne mjhy bht ziada hurt kia n dil se bdua nikla gyee,,maine dil se bdau nh ki thii us shks k lyee but usne mjh bht zida tklf di tou,,,,...uska koi kam khrab hua ab wo kehta miane aisia socha badu adii ..mjhy bht tklf hti us k ye remarkzs sun k maine kabi dil se bura nhi chhaa uska..ap mjh batyan main kia vird kruu us k lyee n mry lyee bht behtr hoo,koi kafara,,plzzzz

Answer: Kisi momin k lie aisi bad dua karna jaiz hai k khuda is ko is k zulm aur hadd sai barhnay ki wahi saza dai jis ka wo mustahaq hai. (Ref : Mujtahid se pochay gaey sawalaat, part # 2, sawaal # 208, pg # 84)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
34290
Mujtahid:
Date:

Question: asalam o alaikum ap mujhe ye bta dijye k kia fatiha krna jaiz hay. jesy khanay ko samnay rakh kr fatiha kia jata hay or kia milaad krna hmare deen may hay

Answer: Fatiha parhna jaiz hai. Fatiha parhnay k lie aik dafa surah e al hamd parhain aur teen martaba surah e ikhlaas parhain. Os k baad ye kahain “in suratoo ko parhnay ka sawab aaima a.s. ki khidmat mai hadya ho kar jo un sai sawab milay wo hamaray marhoom ki rooh ko phonchay, aameen ” (Ref : takeebat e namaz) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye). http://www.qoitrat.org/Fateha/Default.asp

Print

Id:
34825
Mujtahid:
i don`t wich ????? Date:

Question: Assal alekum mujhe ye janna hai ke ,,, aisi hadii ka naam batayeee jis me sirf zina ke bare me poori detail ho ,,,,,,,,,,,,,,,,,

Answer: Aisi bohat si kitabain hain jis mai zina ka tazkira kia gya hai os mai jo sab sai mashoor kitab hai wo ayatollah abdul hussain dastagaib shirazi ki kitab ghunah kabira hai aur ye kitab aap ko kisi bhi Islamic store par mil jae gi. (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
34993
Mujtahid:
Date:

Question: AOA! Respected sir, 1. Shewat se kia murad hy ???

Answer: Shehwat sai murad Khwahish, chahat, nafsani khwahish (nafsani quwat jo har qabil e ragbat cheez ki taraf ma,il krti hai) Quran e kareem mai surah aal e imran surah # 3 aur ayat # 14 mai ye lafz zikr hua hai. (Ref : Qamoosul waheed)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
37458
Mujtahid:
ayat ullah khomani Date:

Question: wo nabi kon sahy jis ka baap bhi nabi bhai bhi nabi beta bhi nabi????

Answer: Hazrat Ismail a.s wo nabi hain jin k walid, bhai aur beta nabi thay. (Ref : qasasul ambia pg # 172-3)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
37526
Mujtahid:
deyobandi Date:

Question: kia aap kay saray jawab Quran wa sunaat kay hisab say hotay hain ya Mufti sahabaan kay fatwa bhi shamil hotay hian ?

Answer: Note : Is website per fiqha e jaffaria k mutabiq jawabaat diay jatay hain.

Print

Id:
37962
Mujtahid:
Sunni Date:

Question: Kia kawateen ka qabarsitan men jana jayez hy

Answer: Note : Is website per fiqha e jaffaria k mutabiq jawabaat diay jatay hain.
Aurat ka qabaristan mai jana jaiz hai. (Ref : Mujtahid se pochay gaey sawalaat, part # 3, sawaal # 202,pg # 85)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
39812
Mujtahid:
Date:

Question: Kia shadi ya birthday par mubarakbad dai saktay?

Answer: Yes, you can. (Ref: E-mail Rcvd from A.Sistani(d.b), dated: 30-10-12) Traslation: jee haan, aap ye sub kaam kar saktay hain. (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
39987
Mujtahid:
Date:

Question: Kia insan ko apne moat ke dua mangne chayeh?

Answer: The Holy Quran mentions “.... do not despair of receiving comfort from God; only the unbelievers despair of receiving comfort from Him. (12:87)"
Tranlation: Rehmat e khuda se mayoos nah hona k oski rehmat se kafir qaum k alawa koe mayoos nahi hota hay.(Sorah e yousuf {Sorah#12}, Ayat#87). (Ref: E-Mail rcvd from Ayatullah Sistani d.b, dated: 29-03-13) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
40026
Mujtahid:
imam abuhanifa Date:

Question: quran me lafz e al jaheliyah ketne martoba aya he

Answer: Note : Is website mai fiqh e jafaria k mutabiq jawabat diay jatay hain.

Quarn main 4 maqamaat per lafz e al jahiliyah aya hay. Sorah e aal e imran(sorah#3) ki ayat#154 main, sorah e ma,ida (sorah#5) ki ayat#50 main, sorah e ahzaab(sorah#33) ki ayat#33 main or sorah fath(sorah#48) ki ayat#26 main.

Print

Id:
40186
Mujtahid:
shiya Date:

Question: kia shaam k baad jharoo dena manna hai.es baat ki kaha tak haqeeqat hai. kia daman or asteen se moun saaf kerny se tangi aati hai.plz answer about it.

Answer: In dono kamo ka makhrooh hona sabit nahi hay.(Ref: Email rcvd from sistani.org, Dated: 23-03-13) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
40218
Mujtahid:
seestani Date:

Question: Mera sawal yeh ha kia khana kaba ki tarf jan boojh k paon ya tangain kr k sona jaiz ha ya nai. Ahle sunat ma to na jaiz ha. Plz answer me with refrence and logic

Answer: It is mustahab. (Ref: E-mail rcvd from A.sistani, dated:05-04-13)

Translation: ye mustahab hay.(yani khana e kaba ki taraf paon ker k sona mustahab hay). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
40231
Mujtahid:
sistani Date:

Question: kafan ghar me rakna hai aur isko dekte rehna hai magr har koi is baat se raazi nahi hai kya aap in detail iska jawab degey me in tho yehi bhi suna hai ke issi ko gift karna bhi bohat sawab hai

Answer: Insan k lie apni zandigi mai kafan ka tayar rakhna mustahab hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 573)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
40704
Mujtahid:
Ayatullah Seestani Date: 2018-09-08

Question: ASA, janab gusse ko control karne ka sbsa achcha tareeqa kya h ??

Answer: 1)Gussay ka ilaj chand cheezo par moqoof hai jis mai sai kuch aap ki khidmat mai tehreer krtay hain. 1: un hadeeso ko parhain k jo gussay ki muzammat mai warid hui hain. 2: un hadeeso ko parhain jo gussa na krnay k sawab mai warid hui hain. Jaisa k hazrat paigambar s.a.w.w. sai marvi hadees hai k jo shakhs kisi par gussa na karay khuda roz e qayamat is par azab na karay ga. 3: jis shakhs par insan gussa krta hai to osay gor(ﻏﻮﺭ) krna chaheay (ﭽﺎﮩﻴﮱ) k os kamzor par jo qudrat osay hasil hui hai, os sai bohat ziada khuda gussa krnay wala hai pas halat e gussa mai itna khayal krna chaheay k khuda kahin isi terah apna gazab aap par jari na karay. 4: ye tas’sa’wur(ﺘﺼﻮﺭ) karain k gussay k waqt aap ki kis qism ki buri surat aur aap k ﺍﻋﺿﺎﺀ(body parts) kis terah mutaharik aur aap k afaal(ﺍﻔﻌﺎﻞ) kis qadar ﺒﮯڈﻫﻨﮕﮯ aur aap ki guftugoo kis qadar ﺒﮯﺠﺎ ho jati hai.
2)Gussay k waqt shaitan sai panah leni chaheay aur “ ﺍﻋﻮﺫﺒﺎﷲﻤﻦﺍﻠﺷﻴﻂﺎﻦﺍﻠﺮﺟﻴﻢ ” parhni chaheay, agar kharay hon to beth jana chaheay, agar bethay hon to so jana chaheay, thanday pani sai wazoo krna chaheay aur ghusl krna gussay ki halat mai mufeed hai is sai gussa khatam ho jata hai aur hadees mai aya hai k agar kisi aisay shakhs par gussa aye jis sai khooni rishta rakhta ho to is k badan par hath rakhnay sai gussa khatam ho jata hai. (Ref : Urooj us Sadaat pg # 348-52)
Gussay ko door karnay k lie surah e aal e imran ki ayat no 134 ko chini(sugar) per 101 martaba musalsal 21 din tak parhain aur pe lain inshallaha faida ho ga. (Ref: Naeem ul aamaal pg# 369) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
40900
Mujtahid:
Date:

Question: HOMOSCOPE DEKHNE KA KYA GUNAH HE..

Answer: Horoscope(yani stars ko daikh ker kuch batana),islam mai in kamo ki koe haisiyat nahi hai aur baghair yaqeen k kisi cheez ki khabar daina bhi haram hai ,laikin aisay afraad k paas sirf janay ki had tak koe haraj nahi hai.(Ref:mujtahid sy pochay gaey sawalaat,masla#145,pg#69)

Print

Id:
41201
Mujtahid:
agha sisitani Date:

Question: SLAM.mein ap sy pochna chata hon kia apni mother ka hukam deen ky mamaly men obey karna faraz hy? mera masla yeh hy ky mein sunni sy shia mahzab pe convert hua hon magar meri ami kehti hain ky tum sunni wali nimaz parho gay agar asa na kieya tu men tumen kabi maaf ni karon gi..ab is maslay men mery liay kia hukam hy?

Answer: Kisi makhlooq ki ita,at ker k allah ki nafermani nahi ki jasakti. Or is dhamki ka koe asr nahi hoga. albatta baitay k liay zarori hay k wo apna kalam oe amal k zerye maan ki bay adabi(( Ref: Ayatullah Sistani(d.b),jadeed fiqhi masail, maslah #346 ).

Note: wajibaat or muharramaat main walidain ki baat nahi mani jati or ibdaat ko khuda k biyaan kiay tariqay k mutabiq bja laaia jain gay. (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
42910
Mujtahid:
from which group do u belong Date:

Question: assalamu alaikum app jo ye site chala rahe hai ye kaun se group ki hai sunni,shia,salafi ya wahabi etc...

Answer: Is website per fiqha e jaffaria k mutabiq jawabaat diay jatay hain.

Print

Id:
43408
Mujtahid:
Date:

Question: Mai Shafi Hoon,aur jyada tar mai shafi masaajid me namaz ko jata hoon, Jahan tak mai ne suna kya yeh sach hai ? 1) Shafi shakhs (Aadmi) musjid ka muh ponchne k liye rumal istamaal nahi kar sakta, topi use nahi kar sakta. to phir shafi musjid me rumaal aur topi kyu rahi jaati hai ?

Answer: Note : Is website per fiqha e jaffaria k mutabiq jawabaat diay jatay hain.

Print

Id:
43501
Mujtahid:
hanfi Date:

Question: Mazar e wali par chaddar chhadana kaisa ?

Answer: Note : Is website per fiqha e jaffaria k mutabiq jawabaat diay jatay hain.
Is me koi masla nahi he. (Ref email rec from ayatullaha sistani d.b. dated : March 9, 2011) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
43830
Mujtahid:
imam khumaini Date:

Question: apni biwi ko ghalti say bahn kah denay say kya nikah haram ho jata hai?

Answer: Agar biwi ko maa k alawa apni kisi nasabi rishtaydar jaisay behan sai tashbee dena aur kamar ka zikr karay maslan ye kahay k “tum mujh par meri behan ki kamar jaisi ho” to aqwa ye hai k zihar waqae ho jae aur agar kamar ka zikr na ho to zihar nahi ho ga. laikin is ki shrait hai k 2 aadil mardoo ki moujoodgi mai kaha ho is k alawa doosri shrait hain jin ka pura hona zaroori hai warna zihar nahi ho ga. (Ref : Tehreerul wasila imam khomaini pg # 233-5)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
43959
Mujtahid:
Ayatullah Sistani Date:

Question: Cricket Match per Betting kerna jaiz hay?

Answer: Agar shart lagae jae to jaiz nahi hai. (Ref : Website sistani d.b. Topic : Shart bandi)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
44074
Mujtahid:
abu hanifa Date:

Question: turat k lafzi mani kia han

Answer: Turaat ka matlab hay taleem o terbiyat ya irshad o hidayat.(Ref : http://tahoor.com/fa/Article/View/24745 ). Update on dated 18-04-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print