Please click the button for Quran o Itrat Academy Whatsapp Channel.
Whatsapp Channel
Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+


Question & Answers << Go Back

Topic: General (497 Questions)


Showing 350- 400 questions from 497 questions on this page.

Answers found for searched words
Id:
44074
Mujtahid:
abu hanifa Date:

Question: turat k lafzi mani kia han

Answer: Turaat ka matlab hay taleem o terbiyat ya irshad o hidayat.(Ref : http://tahoor.com/fa/Article/View/24745 ). Update on dated 18-04-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
44480
Mujtahid:
Date:

Question: Assalam Alaikum, Kya surah Ahzab ko hath se hi likhna zaruri hai ya print bi karwakar dabbe me rakh sakte hai......

Answer: Is surah ko Photocopy, ya print bhi kar saktay hain. (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id:
44868
Mujtahid:
Date:

Question: aj muhjse ak galat km hogya marad ke hisab se or m us chez se kc parhez kron

Answer: Apna sawal wazeh karain. (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
45381
Mujtahid:
Ayatullah Sistani Date:

Question: KIA ISLAM ME QAMAR DAR AQRAB KA CONCEPT HY?AKSAR ORTAIN KEHTI HAEN KEH NEW LIBAS NA PEHNO YA IS MAIN SAFAR KARNA MANA HAI ...KOI NEW KAM NA KARO..PLZ REPLY I AM VERY CONFUSED,,

Answer: Qamar dar aqrab mai faqat nikah krna makrooh hai baqi koi kaam mana nahi hai(Ref : email received from sistani.org)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
45546
Mujtahid:
no Date:

Question: plz sir mujhy email parhny ni aty main boht paryshan ho mujh sy fon pr rabta kar lain

Answer: Aap fiqhi masail maloom karnay k lie Quran o Itrat Academy mai phone kar saktay hain phone # 021 – 32226948. (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
45931
Mujtahid:
non Date:

Question: agar koi urat mere bache ko dhoh pilae to os ko dhodh oter aega agar woh beuladho to

Answer: Is terah to doodh nahi aata hai albetta jab aurat ko khud ko aulad hoti hai to khuda ki qudrat sai os ko doodh aanay lagta hai aur wo bhi agar larka hai to os k mutabiq doodh aye ga aur agar larki hai to os k mutabiq doodh aye ga. (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
45998
Mujtahid:
yr kia hota he mjhe ni maloom Date:

Question: manasik-e-hajj sai aur tawaaf mai kia farq he?

Answer: Manasik urdu grammer k hisab sai jama ka lafz hai aur is ka matlab hota hai hajj k arkan, hajioo ki abadat k maqamaat aur tawaaf hajj k manasik mai sai aik mansak hai. Ref : Ferozul lugaat pg 1289) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
45999
Mujtahid:
yr kia hota he mjhe ni maloom Date:

Question: farishta aur jin mai kia farq he?

Answer: Farishta yani bejha hua, rasool, qasid, aur islami aqiday k mutabiq aik makhlooq hai jo noor sai bani hai. aur jin yani aik poshida makhlooq jo musalmanoo k aqiday k mutabiq aag sai paida ki gae hai. (Ref : Ferozul lugaat pg 472, 929)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
47492
Mujtahid:
Rawalpindi Date:

Question: Salawaat kia hy.

Answer: Salawaat Arabic grammer k mutabiq prural(jama) hai agar is ka tarjuma kia jae to is ka matlab namazain hai laikin ye Hazrat Muhammad s.a.w.w. aur un ki paak aal par durood k lie istemnal hota hai. (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
47718
Mujtahid:
Sunni ( Muslim Date:

Question: Sir main ap say puchna chahta hoon k kia aik muslmaan k marnay k bad us k lawahqeen us ka khatm dilwatay hain kia wo Islam main jaiz hai. sir kindly answer k sath Quran aur Hadees ka hawal lazmi bta dain. Thanks . Waiting for reply as soon as possible.

Answer: Esaal e sawab darhaqi’qat khuda ki baargaah me is baat ki aarzoo karna he k jo sawab k tayhait wo(allah) ata kar reha he osay us k badle kisi aur ko ata kar de. Is etibaar se ye bhi aam duaoon ki tarah aik dua he jo k jaiz he. Is ke lie kisi khaas naiki ki zarorat nahi he, balkeh pichlay amaal k hawalay say bhi esaal e sawab kia jasakta hay (Ref : Mujtahid se pochey gay sawalat , part # 1 , ques # 199 , pg # 94). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
48152
Mujtahid:
uu Date:

Question: Assalam o alikum main yai pochna chahti ho k ik saas apni baho ko maar sakti hy ya nahi or galiya kis type ki dy sakti hy kosay kis type k day sakti hy ilzam kis type k laga sakti hy

Answer: Saas na apni bahoo ko maar sakti hai aur na hi galian dai sakti hain q k ye sab kaam gunah e mai shumar hotay hain is k alawa saas ko ye haq nahi hai k wo apni bahoo ko ghar k kaam kaaj k lie majboor karay. (Ref : Minhaj us salaheen Ayat ullah sistani d.b. part # 1 masla # 29) (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 2378) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
48333
Mujtahid:
Date:

Question: lettuce seed kaha milti hai or iska hindi urdu mei kia name or isko khane ka tareeqa kya hai...

Answer: Lettuce seeds ko urdu mai Tukhm e kahoo kaha jata hai. (Ref : Kitab Makhzan e Amaliat pg # 60) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
48520
Mujtahid:
Sawal Date:

Question: Kabr par aurto ka jana mana hai kyo ki kabr ke murdo ko kabr par jane wale madar zaat dikhai dete hai jab ki kabrastaan me khuateen bhi tafkeen hai is lehaaz agar mard jate hai to khuateen ko bhi mard madar zaat dikhai dete honge mumkin hai iska jawab Quran ki rosni me de brae maherbani kyo hum kum ilm hai agar mera sawal galat hai to Allah mujhko maaf kare

Answer: Aurat ka qabaristan mai jana jaiz hai. (Ref : Mujtahid se pochay gaey sawalaat, part # 3, sawaal # 202, pg # 85)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
48653
Mujtahid:
Date:

Question: ASSALLAM.O.ALLIKU may yay jaanah chata ho k may bhar mulk souyh africa muzambique ja pao ga ya nhi meri age 22 hai date of birth 15 ouctbr 1992 hai mjhay is ka jawab jaldi chaiyay or detail may.

Answer: Musalman k lie gair muslim mumalik me safar karna aur qiyam karna jaiz hai laikin is k aur is k ghar waloo k sharie faraiz mai koi rukawat na ho. (Ref : Jadeed faqhi masail , ques # 3 , pg # 40) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
48931
Mujtahid:
Date:

Question: rozy kis sun hijre ma farz huy?

Answer: 2 shaban, 2 hijri, ko ramzan k roze wajib hoye. (Ref : islami tareekhe munasibate, pg # 151) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
49061
Mujtahid:
ayatullah sistani Date:

Question: jang-e-khandaq k asbab 0 nataij kya thy surah aihzab ki roshni mai btaye?

Answer: Surah e Ahzab quran majeed ka 33 no ka surah hai jis ki 9 sai 27 tak jang e ahzab ka tazkira hua hai aur isay jang e khandaq bhi kaha jata hai. Is jang ka khulasa ye hai k yahoodio nai mushrikeen ko tayyar kar k aik lashkar tayyar kar dia aur 15 hazar afrad nai mil kar madina par hamla kar dia idhar bani qarizah jin sai Rasool e Khuda s.a.w.w. ka mohidah tha k kisi bhi hamla awar sai muqabila karnay mai aap ka sath dain gay aur mushterka tor par difa karain gay. To unhoonay nai ahad tornay ka ailan kar dia aakhir kar madina ka mohasira ho gya. 27 din tk mohasira raha aur teer andazi ka silsila jari raha phir Rasool s.a.w.w. nai salman farsi k mashwaray sai khandaq khodnay ka hokum dia. Aur hazrat Ali a.s. nai Umar Bin Abdawad ka kam tamam kia aur lashkar e kufr nai farar ikhtiar kai aur musalmano ki izzat reh gae. (Ref : Anwar e Quran pg # 871)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
49414
Mujtahid:
NA Date:

Question: Lohay ka zikr quran ki kis surat ma hai?

Answer: Para# 27, surah hadeed (yani loha)# 57, me lohay ka tazkera hay. (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
49424
Mujtahid:
ihl e shea Date:

Question: 61 hijri me jb imam hussain ka qafla puhancha to us qaaflay me azan dene wala kon tha. name bataen.

Answer: Hazrat imam hussain (a.s) k moazzin ka naam hajjaaj bin masrooq tha. (Ref:ahsan ul maqaal,jil 1,pg 443) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
49478
Mujtahid:
sistani Date:

Question: rozadar jis jannat k darwazy sy dakhil hoga us ka naam kia hai???

Answer: Reyaan .(Ref:Tafseer Namona jild #1). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
49536
Mujtahid:
Syed Ali Sastani Date:

Question: black libas bary main ap k kia ihkan hain kia wo pehna jaiz hy k nai?

Answer: Black libaas pehana jaiz hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah #853 ) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
50216
Mujtahid:
Date:

Question: main bta dene k raat ko hum ghar ki safaikar sakty hai plz jaldi bt den

Answer: Jee han rat ko ghar mai jaroo wagira dai saktay hain. (Ref : email rec from sistani d.b.)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
50245
Mujtahid:
Date:

Question: Kisi dargah ya kabar ko chumna kaisa?

Answer: Is me koi masla nahi he. (Ref email rec from ayatullaha sistani d.b. dated : March 9, 2011) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
50744
Mujtahid:
Date:

Question: kia aurten qabristan ja skti han??? agar ni to kia waja??? plzzzz with hadees o quranic reference

Answer: Aurat ka qabaristan mai jana jaiz hai. (Ref : Mujtahid se pochay gaey sawalaat, part # 3, sawaal # 202, pg # 85)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
50748
Mujtahid:
sunni Date:

Question: Kia ye sunni website he ya or kisi maslak ki he

Answer: Is website per fiqha e jaffaria k mutabiq jawabaat diay jatay hain.

Print

Id:
50925
Mujtahid:
Aayatullah Seestani r.a Date:

Question: Qibla Aaj se taqreeban 800 saal pehle Hamare jadd ne Maslak e Jafari ikhtiyaar kiya aur asna ashari ho gaye to kya is aitybar se apny naam ke sath Jafari lagana Sahi hoga?

Answer: Jafferi k 2 matlab hain, 1 Imaam Jaffar sadiq (a.s) ki fiqh ke pero karoo ko jaffry kehte hain 2 her wo fard jo Imaam Jaffar o Sadiq (a.s)ki ulaad main se ho us ko jaffry khaha jata hai.(Ref ; superman in islaam , pg # 29).
Note ager ap un ki ulaad main se hain to ap apne ap ko dono mana main jaffry keh sakte hain, or ager ulaad main se nahi hain to pehle mana main jaffry keh sakte hain.( ALLAH TAALA tofiqaat main izafa farmaae).

Print

Id:
51844
Mujtahid:
Al stayed Ali Date:

Question: Can I download the wallpapers you have on the website? I already did, but if you disagree, I will delete them.

Answer: Yes, you can download wallpapers from this website.

Print

Id:
52649
Mujtahid:
sarfaraz Date:

Question: Sarfaraz name ke meaning kya hain

Answer: Sar-faraz ka matlab

Print

Id:
53932
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: salam sir jumy k din ya uks ilava ksi b din ladies qabarstaan mai jaskti hain ya nhi plz is ka ans zror dena

Answer: Gee haan oraton ka qabrstan jana jaiz hai, peer k din, junmerat k din khususan sham k wqt or hafte ko subah k wqt qabristan jane ki takeed warid hui hai.(Ref: Mujtahid se Puche gaye sawalat, Ayatul_Allah Sistani(d.b) Part#3,Pg#85,Ques#202).Khuda apki tofeeqat men izafa frmaye)

Print

Id:
54000
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: what is meant by ehtiyat e wajib

Answer: Ehtiyate wajib yane wo hukum jo ehtiyat k mutabiq ho aur mujtahid ne is k sath fatwa na diya ho ayse masail me taqleed karne wala us mujtahid ki taqleed kar sakta hai jo aalam (yane wo mujtahid jo apne zamane k digar mujtahideen ki nisbat ahkam ilahe ko samajne ki behtar salahiyat rakhta ho) k baad ilm me sab se barh kar ho.(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition,masla:2pg:#15, 486) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
54059
Mujtahid:
Date:

Question: Kya. Main apne bache ka naam Muhammad Ali rakh sakta hon

Answer: Bache ka naam Muhammad Ali rakhna mustahab hai. (Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus saliheen Part # 3,maslah # 387 , ALLAH tofiqaat main izafa farmaae).

Print

Id:
54510
Mujtahid:
Date:

Question: what is the mean quraan

Answer: (Quran ka asal matlb parhna or tilawet krna hai) or quran us kitab ko kehte hen jo ALLAH ka wo kalaam hai jo Janaab e Muhammad Rasool Allah (s.a.w) per nazil howa or wo masahif(yani safhon main) likha howa hai.(Ref :al-qaamoos al-waheed , ALLAH TAALA tofiqaat main izafa farmaae).

Print

Id:
54517
Mujtahid:
Date:

Question: kya hafiz e quran say bara makam kisi ka hay ???? or kya hifz krnay wala or nazra pharna waly ka makam brabar ho sktay han ????

Answer: ALLAH TAALA Quraan e Majeed main kud Apne nazdeek mukarram shaks ka meyaar bayaan farmaa raha hai ke eh logo! tum main Allah ke nazdeek ziyada mukarram insan wo hai jo ziyada muttaqi ho pas basa uqaat Hafiz e Quraan mutaqi hota hai to wo ALLAH TAALA ke nadeek dosre shaks se (chahe ye Hafiz e Quraan ho ya na ho)jo us se kam muttaqi hai ziyada mukarram hota hai, or basa oqaat ik geer Hafiz e Quraan Hafiz e Quraan se ziyaada mukarram hota hai kun ke wo muttaqi hai.(Ref : sura e al-hujraat # 49 , aayat # 13 , ALLAH TAALA tofiqaat main izafa farmaae).

Print

Id:
54554
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Iman Ka Zahoor kehna Wiladat ki Gagha Galat hai ya Sahe ? kia wiladat ki gagha Zahoor kehna Guhan hai?

Answer: Lafz e wiladat ki jaga lafz e zahoor ke istamaal ka natija MASOMEEN (a.s) ki mukhalifat hai kun ke AP (a.s) ne wiladat ki jaga wiladat ka or zahoor ki jaga zahoor ka lafz istamaal farmaaya, kun ke dono ke mane mukhtalif hain.(ALLAH TAALA tofiqaat main izafa farmaae).

Print

Id:
54562
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: salam mera sawal hay k ek non muslim jo k shia muslim ho chuki hy or Pakistan ah kar ek Pakistani shia muslim say shadi karnay ahti hay laykin passport or documents min name wohi hy non muslims wala to kia shadi ho sakti hy yani nikah mein us kay us nam ki way rokawat to nahi ho ge bad mein change karwaya ja sakta hy

Answer: wssalam o alykum, Gee han shanakhti card men likhe hue un namaon ka koi aytbar nahi hai nikah ho sakta hai bad men wo naam tabdeel krke ache naam diye ja sakte hen. (Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 1414 , maslah # 2335 , ALLAH tofiqaat main izafa farmaae).

Print

Id:
54584
Mujtahid:
Date:

Question: I want the meaning of this line Faqeer ka mara Kafir Huta hy Agr Chy Wo Khuda Ka Wali ho

Answer: ye ik muhaawra hai jis ke mana ye hain ke faqeer apne haalaat se majboor ho ke khalis niyat ke sath ALLAH ko pokaarta hai to is ki ye aawaaz ALLAH ki RABOOBIYAT ko mutajalli karti hai, pas ye aawaaz ager kisi ke haq main ho to ye tajalli us per REHMAT ki sorat main zahir hoti hai, or ager kisi ke kilaaf ho to ye tajalli us ke liye zehmat ban jati hai phir ye TAJALLI nahi deekhti ke ye wali hai ya koi or.

Note: ye faqat aik mahaawra hay is ko haqiqat ya shariyat ka koe masla nah samjha jay.

Print

Id:
55847
Mujtahid:
Date:

Question: 6 ramzan ko kon se nabi par konsi kitab nazil hui?

Answer: 6 ramzaan ko hazrat mosa (a.s) per towraat nazil hoi . ( ref: alqalamonline.com/index.../1271-452-sang-e-meel-ramazan-aur-quran) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
56749
Mujtahid:
Date:

Question: meaning of term zaroriat e deen and please give me atleast 2 examples of zaroriyat e deen?

Answer: Ager tamaam musalmaan kisi baat per mutafiq hon is ter ke in ke dermiyaan is baat main koi iktilaaf nahi hai to us baat ko Zaroriyaat e Deen main shumaar kiya jata hai jese kalimaa e toheed la ilaha il-lallah, or Muhammad Allah ke Rasool hai is ki gawahi dena, Namaaz, Roza ect. (Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 31 , maslah # 01 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).

Print

Id:
57794
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Yasin naam rakhna kyun mana hai?

Answer: Mana nahi hai rakh sakte hen, agarche mustahab hai ke Ap (s.a.w) or 12 Masomeen (a.s) ke naam per naam rakha jaae. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus saliheen Part # 3, Maslah # 387 , eidition # 4th , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).

Print

Id:
57979
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: dog k bary m kia hukam hy .syed zady pol sakty hn r dog kitna haram hn tafsil sy bataen

Answer: Dog najis hai, yahan tak ke is ke baal, haddiyaan, panje, nakun or ratobatain bhi najis hai,albatta in ko paalna jaiz hai. (Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 33 , maslah # 102) . (Ref : Mujtahid se pochay gaey sawalaat, part # 3 , sawaal # 169 , pg # 76 , ALLAH TAALA hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).

Print

Id:
58297
Mujtahid:
Date:

Question: Quran Majeed m kitni masjid ka zikr aaya hai ? Please

Answer: Quran main 3 Masjido ka naam le ker zikar aya hai: 1-Masjid-e-Zaraarr,2-Masjid-e-Aqsa, 3-Masjid-e-Haraam or 2 masjido ka isharatan zikr aya hay jin k naam ye hain: 1- masjid e quba or 2-masjid e nabavi. (Ref: Quran)(Khuda aap ki tawfiqaat mein Izafa farmaye).

Print

Id:
59583
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: salam, mera sawal ye hai k shareek e hayat k intikhab mai sab se ziada kis bat ka khayal rakha jaye .

Answer: Rasool allah ka irshaad hai : Ek musalmaan k liye islaam k baad aysi musalmaan biwi se afzal aur kohe cheese nahe jis ki taraf dakhe to is ka dil khush ho jaay shaor hokum kare to wo is ki itaat kare ,shoar ki ghair moujoodghe me is ka tahafuz kare
Mard jis khatoon se shadi karna chata hai us me in sifaat o khososiyat ko paishe nazar rakhe jo aik misali khatoon me hona chaiay jo pak daaman ho ,shareef ul asal ho , naik ho aur dunyawi aur aakherati muaamlaat me shoar ki madadghaar saabit ho mard k lie ye munaasib nahe hai k biwi k intekhaab k lie us ki nazar srif zahere husun o jamal aur maalo doulat ho. (Ref : aqa sistani,Jadeed faqhi masail , masla # 386 , pg # 231,232, eidition 5) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
59597
Mujtahid:
Date:

Question: aoa mera sawal hai me jab se paida hui hon mene koi khushi nai deikhi maa b fot ho gai koi kam start karti hon nai hota koi dua mangti hon nai hoti kabol dil me niyat bohat achi hain magar zilat bhari zindagi se bohat tang aa agai hon har pal jaisy mot lagta hai duaon se na umeedi si hogai hai sab samjaty hain me manhos hon kuch kety hain nam bhari hai kuch kehty hain jadoo hai 26 sal ki umer hogai hai magar bohat kismati dekh li hai mujy lagta hai mujy mar jna chaiye me Allah ki di hui zindagi se khush nahi hon syedzadi hote hue job kar kar wahabi sunion se imdad leni parhi itni duaen karti hon mujyMola as apne siwa muhtaj mat karna magar halat bohat zilat bharey jatay hain. mera name b bohat bhari hai.meri duaen pori q nai hoti hain or agar na hon to khud kushi wajib hai ya nai?please batayen.

Answer: Halat or zindagi chahe kis qadar hi mushkilata ka shikar hojaye lekin khud-kushi kisi bhi surat men jaiz nahi hai balke haram or gunah e kabeera hai(Ref:Ayat-ul-Allah Sistani (db) http://www.sistani.org/urdu/qa/01796/) Or isi Quraan ki roshni men Khuda ki rehmat se mayoos hona Kufr hai lehaza kese bhi halat ajaen har wqt Allah se umeed honi chaiye or mayoos nahi hona chahiye.(Suraah Yousuf , Ayat#87)

Print

Id:
59834
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: WILAYAT E FAQIH IS WAQT KN HAI.,..? OOR TAMAM MULKO KA AIK HI WILAYAT E FAQIH HAI YA ALAG ALAG HAI??

Answer: Wilayat e Faqih se mutalliq tamaam umoor (masalon) main Ayat Allah Sistani ke muqallid (chahe wo kahi bhi ho) ko in hi ki taraf ruju karna hoga. (Ref : Mujtahid se pochay gaey sawalaat, part # 2 , sawaal # 7 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).

Print

Id:
59835
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: salam mai ye janana chate hu ki aqeeq aur firoza me kaya afzal hai aur isko pahnne se apki kismat badal jati ye sochna shai hai ya galat aqeeq har kaoi par feroza har koi nhai pahne sakta hai

Answer: Wssalam o alykum, dono apni apni jaga fazilat rakhte hain, jesa ke marvi Hadees main hai ke Parwerdigaar e aalam irshad fermata hai ke jis hath main Aqeeq o Feroze ki anghoti ho or wo mere aage dua ke liye phelaya jayaen mujhe us se sharam aati hai or main use na-umeed nahi pherta. (Ref : tehzib ul islaam , baab # 2 , topic # 5 , pg # 39 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).

Print

Id:
60745
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: islam se kiya murad hia

Answer: Hazrat imam ali ( a.s) ne farmaaya : me islaam ki wo tareef kar raha hon jo muj se phele koe nahi kar saka hai. ( islaam tasleem hai ,aur tasleem yaqeen hai ,aur yaqeen tasdeeq hai aur tasdeeq iqraar hai aur iqraar adaa e farz hai aur adaa e farz amal hai. ( nejul balaagha.hakeemaana kalimaat no: 125) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
61338
Mujtahid:
Date:

Question: A.O.A HALAL OR HARAM JANWAR KA PATA KESY CHALTA HAI PLZ JALDI ANS DY SHUKRIYA

Answer: Wssalam o alykum, jaanwer ki 3 aqsam hain, 1 – pani k janwer jese machli waghera, 2 – urhne wale jese parinde, 3 – na-urne wala jese gaay, bakri waghera,
1 – Pani ka janwer : pani ke janwer main se chilke wali machli( ya jhenga machli) k ilawa koi halaal nahi hai, pas ager machli chilko wali ho or is ka Share tor per tazkiya kiya jaae to machli halaal hay.(Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus saliheen Part # 3, Maslah # 877 , eidition # 4th).
2 – Parinde : (i)Haram parinde, 1 – Har wo parinda jo cheerne phaarhne or panje wala ho haram hay. 2 –Kawwe ki tamaam aqsaam yahaan tak keh paharhi kawwe bhi ehtiyaat e wajib ki bina per haram hain., 3 –Har wo parinda jo urhte waqt paron ko maarta kam bay harkat ziyada rakhta hai or panje wala hai haram hota hay. 4 – ager parwaaz ki kefiyat se is k halaal ya haram hone ka taayyun karna momkin nah ho to ager wo parinda pota ya sangdana ya paaon ki pusht per kanta nah rakhta ho to haram hai, 5 – wo hewanaat jo baghair par k urhte hain maslan chimgadar, 6 – kirhay or makorhay. (Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 31 , maslah # 2587 , 2588).
(ii)Halaal parinde, 1 – Har wo parinda jo urhte waqt paro ko maarta ziyada or beharkat kam rakhta hai, wo halal hay. 2 – ager parwaaz ki kefiyat se is k halal ya haraam hone ka taayyun karna momkin nah ho to ager wo parinda pota, sangdana or paaon ki pusht per kanta rakhta ho to halal hai. (Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 31 , maslah # 2587 , 2588).
3 – Na-urhne wale : Darinda sifat wale jin k bare barhe nakoon o panje hote hain in ka kahna haraam hai, jese sheer, lomrhi waghera. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus saliheen Part # 3, Maslah # 881 to 882 , eidition # 4th , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
61700
Mujtahid:
Date:

Question: salam maira sawal hai k bacho ki birthday manani chahiye ya nahi ? agar ham dua parh kar shuro kar k birthday manay is ka kia hokom hai?

Answer: Wssalam o alykum, Ager ortain Shari parde ke sath hon, or mard haraam nazro se pharaiz karain or dosre haraam kaam bhi na ho jese gana bajana wagera ( khulastan k is taqreeb men agr koi haram kaam na ho to) jaiz hai.(Ref : nigaah o lebaas , baab # 4 , sawaal no # 93 , pg # 64 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).

Print

Id:
62415
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: aoa mera ya sawal hai ky koi shaks jo syed ho aur uske pas uska shajra na ho tu is ka kia hall hai ?????matlab wo kisi ko kaise yakein delae ky wo syed hai ?????islam ke roshani main jawab dy

Answer: kise ka syed hona sabit hota hai 2 aadil ghawaah us k syed hone ki tasdeeq karainne , ya us k apne sheher me us k syed hone ki mashoriyat ho aur insaan ko us k khilaaf baat ka yaqeen ya itmenaan na ho ya insaan ko kise bhi tareqe se yaqeen ya itmenaan ho jaay k wo syeed hai. . (Ref : Minhaj us salaheen Ayat ullah sistani d.b. part # 1 masla # 1262).(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 1810). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
62470
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Was there any other Adam or World before this world and Adam. If yes then will there be other Adam

Answer: Rasool allah ne farmaya : allah ne haZrat adam (a,s) se phele 100000 adam paida kie hai .
www.kazmis.com/Maqalat-4/42.htm (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
63206
Mujtahid:
Date:

Question: salam walekum mai ye janana chate hu ki agar mere pass do ring hai ek yakoot aur ek aqeeq ki par mai koi ek ring pahne chate hu toe kuan si ring jyada behter hai.

Answer: Mujtihideen ne namaz perhne wale k lie aqeeq ki anghuthi (ring) perhne ko mustahab qaraar dia hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #852). Update on dated 21-04-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Rasool allah(saww) ne Hazrat Ali(a.s) se farmaaya :Red aqeeq ki anghuthi( ring) pheno Q k is ne khuda ki wahdaaniyat(unity) aur meri nabuwat aur Hazrat Ali(a.s) aur un k aulaad ki imamat ka iqraar kiya. Allah ne farmaya jis haath me aqeeq ki anguthi (ring) hogi me aatish e jahanum me us haath ko azaab nah karo ga .
Imam Ali Raza ( a.s) ne farmaya yaqoot ki anghuthi( ring) phenne se pareshani zael hoti hay. (Ref: Tehzeebul Islam, Allama baaqir majlisi, pg#32,36,38,39). Update on dated 21-04-2015.
(Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print