Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+


Question & Answers << Go Back

Topic: General (496 Questions)


Showing 400- 450 questions from 496 questions on this page.

Answers found for searched words
Id:
63272
Mujtahid:
Date:

Question: Assalam u alaikum. Mera sawal ye hai k kya periods ki halat mein aurat Allah k naam ka locket pahen sakti hai? . Agar pehle se pehna ho aur gold ka ho to kya bathroom jate hue ya periods me utaar dena chahie ya pahen sakte hain

Answer: Agar Allah k naam k locket ki likhae(writting)aurat k badan k kisi hisse se diret mass (touch ) nah ho rahi ho to wo pahen sakti hai . (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #448,354 ,131). Update on dated 30-04-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
63282
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: wali yani kia hai me ne ye sawal bht dhoonda pr nai mila

Answer: Wali yani sarparast maslan (1)baap , (2)dada, (3)shohar, ya (4)Hakim e shara(mujtahid). Kanwari lerki, nabaligh lerkay or pagal k wali on k baap ya dada hote hain, bivi ka wali os ka shohar hota hay or jis pagal or nabaligh bache ka k baap or dada nah hoon tu os ka wali Hakim e shara(mujtahid) hota hay. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 3, Mafhoom e Maslah #57,67 , Eidition 1427 hij). Update on dated. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id:
65683
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Imame zamana kay 4 naibun kay naam

Answer: Imam e zamana k 4 naebeen k naam: 1-Usman bin saeed amri, 2-Muhammad bin usman bin saeed,3- Husain bin rauh,4- Ali bin Muhammad bin sumari. (Ref:Mafhoom e http://porseman.org/q/show.aspx?id=95395 ). Update on dated 20-06-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
65775
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: kia qalmay me aliyanwaliullah parrhna lazmi hai ya la illaha illallaho muhammadurosoolallah kehna bhi thik hai??

Answer: Imam jaffer sadiq a.s se riwayat hay k “ jab tum main se koe laa ilaaha illal laah, muhammadur rasoolul laah, tu os chaiay fauran k kahay: aliyun ameerul momineen. (Ref: http://www.aqaed.com/faq/614/ ).

Print

Id:
65840
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ruhollah Khomeini Date:

Question: Mera sawaal ya hai ki agar koi insaan jamaat-e-namaaz ki toheen karta hai to us insaan ko kese samjhaya jaye ki wo galat kar raha hai..agar jamaat se mutaaliq imamo ka yaa rasool (s.a.w.w) kea koi bhi qaul hai ya hadees hai to please bata dijiye?

Answer: Imam zainul abideen ne paish imam k jo huqooq bayaan kiay hain on ka khulasa ye hay k paish imam k bare main jaan lain k wo aap or Allah k dermiyaan safeer hay, wo aap ki janib se (namaz main) Allah se baat kerta hay jab k aap oski janib se kalaam nahi kerte, wo aap k liay(namaz main) dua kerta hay jab k aap os k liay dua nahi kerte, wo aap k liay dua maangta hay jab k aap os k liay dua nahi maangte . Lehaza jo khidmat os ne aap k liay anjam di os k liay aap os k shukar guzaar reho.(Ref: Risala e huqooq hazrat imam e sajjad, Mafhoom e huqooq#29). Update on dated 25-06-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
66234
Mujtahid:
Date:

Question: Assalam-o-Alikum kya camera sa pictures bnana jaiz ha...answer plz

Answer: Jaiz hay. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 2, Mafhoom e Maslah #18 , Eidition 1427 hij). Update on dated 05-07-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
66321
Mujtahid:
Date:

Question: Asalamualaikum hazrat edrees AS ki kis umar me wafaat hui?plz reply

Answer: Hazrat Idress a.s hayaat hain. (Ref: Mafhoom e http://tahaffuz.com/2460/#.VZ2EQl-qpHw ). Update on dated 12-07-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
70323
Mujtahid:
Date:

Question: woak kaya ha jis ka dosra nhi wo do kaya ha jis ka tisra nhi wo teen kaya ha is ka chotha nhi wo char kaya ha jis ka panchwa nhi

Answer: Allah aik hai us ka dosera koi nahe hai,din aur raat do hain un ka thesera koi nahe hai, loh,qalam ,kursi theen hai un ka chota koi nahe hai,turait,zaboor, injeel,quraan chaar hain un ka panchwa nahe hain,5 namaaze hain un ki chethe koi nahe . (ref:KotNajiBullaH - یہودیوں کا ایک بڑا مجمع اور ان میں یہودیوں... | ...https://www.facebook.com/permalink.php?id=362252290491378...) . Update on dated 23-08-16. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
95826
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2019-05-03

Question: Zameen ke hisab se Khana Kaba kahan hai

Answer: Khana e kaba shehr e makkah main masjidul haram k darmiyaan maujod hay.(Ref: https://ur.wikipedia.org/wiki/%D8%AE%D8%A7%D9%86%DB%81_%DA%A9%D8%B9%D8%A8%DB%81 )
[Updated on 03-May-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
102931
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-08-21

Question: uloom e ale mohammad sikha rahy hein aap ?

Answer: Yahan fiqhi sawalat ke jawabat diye jate hai.
[Updated on 22-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
104090
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Abul Qasim e Khoie Date: 2023-08-16

Question: Asslam o Alikum Meny 2 saal pehly apni psnd sy ghr walo ko br br keh k apni phopho ki beti sy mangni ki Pher meny 6 month k bd wo mangni toor di jis ki waja sy family mean boht lrrai ho or wo (ahl e hadis) thy or hum Sunni Ab mean apny Chacho ki beti sy shaddi krna chahta ho Or ye bhi Sunni hain Islam mujy kia hukm deta hai mean shahdi kr sakta ho Jb k mery abu or Bhai nahi maan rahy Meri Ammi or Meri sister or half family maanti hai

Answer: Is website per fiqh e jafferiya k mutabiq jawabaat diay jatay hain.
[Updated on 16-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
104122
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-08-11

Question: Ahle sunnat k mutabiq magrib ke namaz jamat se rakat rah jai to kese parhne ha

Answer: Note : Is website per fiqha e jaffaria k mutabiq jawabaat diay jatay hain.
[Updated on 12-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
104123
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Abul Qasim e Khoie Date: 2023-08-11

Question: Ahlay sunnat k mutabiq magrib ke namaz jamat se rakat rah jai to kese parhne ha

Answer: Note : Is website per fiqha e jaffaria k mutabiq jawabaat diay jatay hain.
[Updated on 12-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
104420
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-08-04

Question: Qabar pe charag jalana aur agar bati waghaira jalan jaiz ha, aur kiya quran m ya sunat m charag jalany ka koi hukam ha.

Answer: agar agarbati, lobaan, chirag waghaira ka istemaal maal ka israaf na samja jaraha ho to ye jaiz hai. ( ref: deenk ahkaam,aqasistani,356)
[Updated on 04-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
107871
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Abul Qasim e Khoie Date: 2024-03-20

Question: Asslam alaikum, Mere nam ak isme azam kya hai

Answer: Aap ka sawal wazeh nahin hai.
[Updated on 20-Mar-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
108096
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2020-06-05

Question: salam. can you please tell the right pronunciation of name ZAHRA( daughter of prophet Muhammad saw)? is it zahra or zehra? in Arabic? residing in Pakistan. thanks in advance

Answer: it is zahra in arabic pronunciation.(Ref:Al-Qamoos ul waheed page no 722)
[Updated on 05-Jun-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
108268
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2020-06-29

Question: Din aur raat main kitnay pahr hotay hain

Answer: Din or raat main kul 8 peher hote hain, 4 peher din main or 4 peher raat main hote hain. (Ref: https://ur.wikipedia.org/wiki/%D9%BE%DB%81%D8%B1)
[Updated on 29-Jun-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
110637
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-04-27

Question: Agar 7 week ka hamal zaya hojae khud he to islam mein uska kia hukum hai ya farman hai

Answer: Agar 4 month mukkamal ho chukay hoon to usay ghusl diya jaey hunoot kia jaey or kafan dia jaey laikin namaz nah perhi jaey laikin agar is se kam umar ka ho tu ehtiyaat e wajib ki bina par is ko aik kaprhay main lapait ker dafan kia jaey laikin agar is ki khilqat mukammal ho tu is sorat main ehtiyaat e wajib ki bina per is per 4 month wale ahkaam jaari hoon gay. (Ref: Minhajus sliheen, jild#1, maslah#330).Qaraar e nutfa(mani k rehem main thehernay) k baad isqaat e hamal jaiz nahi he.magar ye khoof ho k hamal ka baaqi rakhna aurat ki zindagi k liay nuqsan dah hay tu hamal main agar jaan nah perhi ho tu isqaat jaiz hay,laikin hamal main jaan perhnay k baad bachay ka zaya kerna jaiz nahi hay. Agar maa khud bachay ko zaya kray to is ki diyat maa par wajib hai aur zaroori hai k wo diyat bachay k baap ya doosray worsa ko dai aur agar baap hamal ko zaya kray to is ki diyat is par wajib hai aur zaroori hai k wo maa ko ada kray. (Ref : tauzeeh e ul masayl ayat ullaha sistani (d.b.) jaded masayl ,masla # 73).
[Updated on 27-Apr-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
110743
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-03-23

Question: kia tuesday ko darhi banwa sakty hain

Answer: Jee han. laikin darhi mounwaana ehteyaate wajib ki bina per jaiz nahe hay.(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 39th edition, maslah #2042).
[Updated on 24-Mar-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
111082
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-12-01

Question: assalm alaikum... sir mera sawal yeh hai ke mard HAIR REMOVING CREAMS se apney gair zaroori baal saaf ker sakta hai???

Answer: Wa alaikum salam, Jee haan jaiz hay. (Ref: Email rcvd by ayatullah sistani).
[Updated on 02-Dec-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
111104
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-12-01

Question: Sir hum 2 boys friends hain jub b milty hain kiss karty hain 1dusry ko kya dosti main kiss krny sy gunnah hota h? hum ksi kism k gunnah ka irada nhi rkhty hain.

Answer: Mard ka mard ko jinsi lazzat ki niyat sai bosa dena haram hai. lekin jinsi lazzat ki niyat ke elawa jaiz hai.(Ref : Jaded Faqhi Masayl, Ayatullah Sistani d.b. Maslah # 500, pg # 261)
[Updated on 02-Dec-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
111301
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-12-03

Question: Aslam o alikum, Islma ma gazlain parhna jaiz hain? (Hamara school ma perhai jati hain in 9th class in pakistan lahore) Jazak Allah

Answer: Agar ye wo qalam ho jise aisi lae ya sur k saath gaya jaay jo lahu wa laeb ki mehfil se makhsoos ho to haram he aur us ka sunna bhi haram he. (ref : tauzeeh e ul masayl ayat ullaha sistani (d.b.) masla # 2043).
[Updated on 04-Dec-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
111512
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-12-23

Question: Salam . I was reading somewhere that some of our scholars prohibits us to read the ideology or books written by the great Iranian Revolutionist Dr Ali Shariati . Kindly let me know in the regard .

Answer: Gumraah karne wali kitabo ki hifazat karna, inko chapna, inko baichna or khareedna jabkeh khud ya kisi k gumraah hone ka ihtimaal ho haram hay. agar kisi shaks ko itminaan ho keh wo gumraah nahi hoga tu jaiz hay. isi tarah agar koe ehem maslihat maujood ho tu bhi jaiz hay. gumraah kun kutub se muraad aisi kutub hain jo bbatk aqaed or aaraa per mushtamil hoon chahay deen islam k khillaf ho mazhab e shia k khilaf.(Ref: Minhajus saliheen, jild#2, maslah#36).
Note: DR. Ali shariati ki kutub gumrah kun kutub main shumaar hoti hain.
[Updated on 23-Dec-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
111706
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-11-30

Question: Kya Biwi ko salam kar sakte hai

Answer: Jee han, Biwi ko salam kar saktay hain. Aur Salaam karna mustahab hai aur is amar (kaam) ki bohot taaqeed ki gaye hai k sawaar pedal ko aur khara huwa shaks bethay huwe ko aur chota, baray ko salaam karay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail,33rd Edition,maslah #1135)
[Updated on 01-Dec-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
111856
Mujtahid:
What is mujtahid Date: 2021-11-29

Question: Hmary gar guest aye huwy that miny unka shampoo bgyr ijazat k istmal keya ye b gunah or chori hay?

Answer: Dosre ki cheez ko bager Ijazat istimal karna jaiz nahin hai. (Ref: Ayatullah sistani, mujtahid se poche gae sawalaat, jild # 4, mafhoom e masala #147)
[Updated on 30-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
111860
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ruhollah Khomeini Date: 2021-11-29

Question: Sir kia Gana gaa denay sa ya sun lenay sa wuzu toot jata ha?

Answer: 1: Jee nahi, ye wuzu ko batil(torne) wali cheezon mai sai nahi hai.
2: Ghina(song) haram hai, Is sai murad wo batil kalam (alfaaz) hain jisay aisi lai (taraz) k sath gaya jay jo lohv o laeb(faajir o fasiqo) ki mehfiloo sai maqsoos ho. aur gina ka sunna bhi haraam hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Tauzeeh ul masail, Edition 39th, maslah #322,2043), (Ref: alfiqh lilmugterebeen ,aqa sistani, pg: 62).
[Updated on 30-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
111910
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-11-28

Question: Assalaam O Alaikum. Muhtaram mera sawal ye hai ke, koi shakhs agr Syed nahi hai magr phir bhi apney naam per syed ya Rizvi, Zaidi, Naqvi etc... Lagaey to us ke liye Sharah me kia hukm hai ? Rahnumai kijiye.. Wassalaam

Answer: Jo shaks bhi janab e hashim se mansoob hone ka dawa kare tu os k dawe ko qobool nahi kia jaey ga magar ye keh 2 adil mard ki gawahi ho. Haan, agar kaseer tadaad main loog is k syed honay ki gawahi dain ya is shaks k asli shehr main syed hona mashhoor ho ya kisi uqlae bunyaad ki wajah se os ki baat per itminaan ho tu os ko syed tasleem kia jaey ga. Lekin agar wo jhoot bol raha hai to phir Jhoot bolna gunah e kabeera hay chahay is jhoot se kisi ko nuqsan pohnche ya nah pohnche. (Ref: Ayatullah sistani, Minhajus Saliheen Part#1, Maslah # 30 & 1262, Edition 1439).
[Updated on 29-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
113175
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-02-20

Question: chatano ki ten bree aqsam hi

Answer: Chattanon ko in ke asal ke mutabiq teen(3) bari jamaaton taqseem liya jata hai. 1. Aateshi(Igneous) chattan, 2. Tehdar(Sedimentary) chattan, 3. Munqlab(Metamorphic) chattan. (Ref: https://ur.wikipedia.org/wiki/%D8%AA%DB%81_%D8%AF%D8%A7%D8%B1_%DA%86%D9%B9%D8%A7%D9%86%DB%8C%DA%BA ).
[Updated on 20-Feb-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
114520
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-11-09

Question: KIA GAND K BAAL KATN AJAIZ HAN

Answer: Baaz riwayaat main takeed(mustahab) aae hay k mard zair e naaf baal ko 40 din se ziyada katne ko terk nah kare, Or rahi baat baghal k baal ki tu riwayaat e kaseera main in baalo ko kaatne k liay baghair mudaat e muayyana ki qaid k hokum diya gaya hay.(Re: http://www.sistani.org/arabic/qa/0504/page/7/).
(Note: zair e naaf baal or baghal k baalo k kaatne ki takeed e mustahab aae hay laikin dubur(anus) k baal ki takeed e mustahab nahi aae aur riwayat men is se mana bhi nahin kiya gaya lehaza maqam e pakhana ke balon ka katna jaiz hai ).
[Updated on 09-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
115637
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-07-28

Question: Kia main apni adopted buchi ko Jis kay waldain namaloom hain r main nay usay one hour ki age main adopt kia... Main usay apna name as father day sakta hoon

Answer: Adoption(Goud lene) men koi haraj nahin hai albatta agar bachay ki adoption ki jaay to is baat ka khayaal rakha jay k bachay ka os k sagay waaldain se rishta mehfoooz rahay.or is bache ko apna baita khelana jaiz nahe hai .is ko wirasat bhi nahe mile ghe or ya bachha adoption karne wali aurat or is ki betiyo ka namehram hoga or ise haqiqat se aagha kare albatta is tarah se ke is per zehni dabaao na perhe or is ka naam apne farzan ke tour per aai card sabt na kare . chunache kise nuqsaan ya mushaqqat ki waja se aisa karna mumkin na ho tu khai sabt kare or gawaa banaae(Ref :Mafhoom e E-mail Recv from A.Sistani(d.b), 24-12-2010)(sistani.org, urdu ,topic: goud lena, sawaal no.1,egnlish, topic :adoption,que:1)
[Updated on 28-Jul-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
115773
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-08-07

Question: Pehla bacha BhT chota ho Aur 2bra bivi ko haml ho Jaye To ese khtm KR skte Hain ?

Answer: Qaraar e nutfa yani mani k rehem (uterus,vagina) main thehernay k baad isqaat e hamal(geraana ) jaiz nahin hai. magar ye khoof ho k hamal ka baaqi rakhna aurat ki zindagi k liay nuqsan dah hay tu hamal main agar jaan nah parhi ho tu isqaat jaiz hay. laikin hamal main jaan perhnay k baad bachay ka zaya kerna jaiz nahin hai. Agar maan khud bachay ko zaya kar day to is ki diyat maan par wajib hai aur zaroori hai k wo diyat bachay k baap ya doosray worsa ko day aur agar baap hamal ko zaya kray to is ki diyat is par wajib hai aur zaroori hai k wo maan ko ada karay. (Ref: Tauzeeh ul Masail, Ayatullah Sistani(d.b), Jadeed Masail, Edition #44, Maslah #73).
[Updated on 07-Aug-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
115809
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-03-22

Question: Daat se nakhun katne se ghr me pareshani ati h ya barkat chli jati h?

Answer: Nakhunon ko danton se katne ke bare men Imam Musa Kazim(a.s) farmate hain: k Chaar cheezen waswas e shaitani hain: 1-Matti khana, 2-Khaali bethe hue matti ya tinke tore jana, 3-Nakhunon ko daant se katna, 4-Darhi chabana.
aik aur hadees men hai k Rasool e Khuda(s.a.w.w) ne daton se Nakhun katne ko mana farmaya hai.
(Ref: Tehzeeb e Aale Muhammad, Allama Baqir majlisi, pg #158,159).
[Updated on 23-Mar-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
115948
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-02-23

Question: Haftay k din nail kat sakty hain?

Answer: Jee han, Kat sakte hain is men koi mumaniat nahin hai Albatta riwayaat men jumerat aur jume ke din nakhun (nails) katne ki fazeelat warid hoi hai.
(Ref: Tehzeeb e Aale Muhammad, Allama Baqir majlisi, pg #159,160).
[Updated on 24-Feb-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
116051
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-01-24

Question: Kia kardi marna jayiz hain

Answer: ye kardi marna kiya hota hai .aap apne sawaal ki wazahat kare.
[Updated on 25-Jan-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
116112
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-01-07

Question: A O.A plzzz reply fast.Sir agr pony 2 maheny ki pregnancy ho or Bacha Ultrasound me naan nzr ae...just thaili nzr ae.doctr ne dwai di ha bola ha 2 hafty wait kro.or doctr ko chekup krany k bad dosre din ab dil bht zada ghat rha ha.bht bhuk lg ri.Kamar or pait me halka halka dard b ha.ye khtry ki alamat ha ya achi bt ha??

Answer: Aap apne doctor ki taraf ruju karen.
[Updated on 08-Jan-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
116148
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-08-30

Question: Salam agha sahb ap ny meray do sawalon ka jawab ni diya 115876 or 115912 ka Waiting for your reply JazakAllah

Answer: 115876 aap apne sawalaat meharbani kar ke dobara sent kar de
[Updated on 31-Aug-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
116302
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-12-05

Question: Aoa Mei na kahi prha thaa ka Money agr pani ka uper hi reha tw usme sperms 0% hota hain or agr voo pani ka andr doob jaye tw voo garhi hoti ha or sperms b 70% sa zayada hota hain Iska bara mei kch malomat deyian please

Answer: is tarah ki batain khe ghe hain or sunne me aae hain laikin is silsele me aap docter se ruju kare.
[Updated on 06-Dec-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
116519
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-11-05

Question: Agar huma aisa lage ki humne kisi kaam ko suru karne se pehle allah ke jagah kisi aur ka name le lia tha tho huma Kia karna chahiya ? Kia ya srikh hain ? Us kaam ka Kia hoga , Kia wo bhi haraam ho jayagah ??

Answer: rasool akram se mansoob hadees hai :har wo aham kaam jise allah ke naam se shuru na ki jaay wo abtar hay (yani apne matloob anjaam tak nahe pouchta ) chuke is kaanaat me allah he sab ka matloob or maqsood hai or allah ke begair har kaam adhura or abter rehta hai lehaza husool maqsad ke lie allah ke naam se ibteda karna zarori hai:( ref: alkusar,allama shiekh mohsin najafi ,surah alham ki ayat no:1 ki tafseer ) note ;( agar kise ko allah ke sath shareeq nahe karraha hay tu ye srikh nahe hoga or behter ye he hay ke har ache kaam ki ibteda allah ke naam se ki jaay)
[Updated on 05-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
116612
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-10-22

Question: Sunni maslk me chahallum me aqeeqa kana kaysa hai

Answer: (Note: Is website par fiqh e jafferiya (shia mazhab) ke mutabiq jawabat diye jatay hain).
[Updated on 23-Oct-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
116641
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-10-21

Question: Salamun allaikum Kia zaid sadaat barah ka shajra kahin available hy

Answer: google per aap ye likh kar seach karsakte hai :shajra sadat bara zaidi pdf
[Updated on 22-Oct-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
120368
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-06-07

Question: Week me sab se zyda koun sa din afzal hai?

Answer: Riwayaat men Jumme ke din ko tamam dino se afzal qarar diya hai.
(Ref: https://mafatih.net/?p=1918).
[Updated on 07-Jun-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
120514
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-07-04

Question: Assalam O Alaikum Mera baita 2 saal ka ho gya jab say peda hua bohat zorr lga kr motion krta chahy loos motion b karay. Or Motion me aksar blood b aatta hai kindly ilaj btaye

Answer: Doctor se masloom karen.
[Updated on 05-Jul-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
120560
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-07-21

Question: Jb sy mera beta paida hua us k bad sy meri tabiat th nh h. Or mjhy apny pait me ajeeb sa kuch feel hota h jesy gilti type kuch h jisko dbany sy halka sa pain feel hota h or jaha sy dabao waha sy ht jati h esa q hota hy mere sth

Answer: Is silsile men doctor se ruju karen.
[Updated on 21-Jul-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
120893
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-10-04

Question: Assalam o Alaikum Agr kisi ki zaberdasti shadi ho or wo shadi k bad kisi or larkay se zina hojaye kisi wajah se uski apny shohor se talaq hogai ab us larki ne us larky se nikah kar lia nikah k 6 maheeny bad pata chala k wo larki us larkay k liye haram hai please is bare m batayen larki sunni hai or sunni mazhab m ye rishta jaiz h agr sachi taubah krli jaye or larka shia hai, koi rasta bata den k ye rishta jaiz ho jaye Allah tala tou bary se bara gunah muaf kr deta hai agr dill se sachi taubah ki jaye tou..

Answer: Is sawal ka jawab de diya gaya hai.
[Updated on 04-Oct-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
120912
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-09-30

Question: Kiya imam mavia b Shaheed huwa tha

Answer: (Note: Is website par fiqh e jafferiya (shia mazhab) ke mutabiq jawabat diye jatay hain).
[Updated on 30-Sep-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
120913
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-11-04

Question: Mujha road sa billi mili jo dari hoi thi mujha nahi pata wo kisi ki ha ya nahi lakin ma usa ghar la aya tha Tou kya ya chiz chori krna ma ati ha?

Answer: 1: Jee nahin chori karne me nahin aati, lekin agar us par maalik ki taraf se koi nishaani ya koi alamat wagera nah ho to aap apne liye apne pass rakh sakte hain. aur agar us par maalik ki taraf se koi nishaani ya alamat wagera ho to maalik tak punhchani hogi ke jis wazahat zail me bayan ki jaa rahi hai.
2: Agar koi shakhs aik aisi cheez paaye jis par koi aisi nishaani ho jis ke zariye us ke maalik ka pata chalaya ja sake to agarche use maloom ho keh us ka maalik aik aisa kaafir hai jis ka maal mohtaram hai to us surat mein keh us cheez ki qeemat aik dirham tak pohunch jaaye to zaroori hai keh jis din woh cheez mili ho us se aik saal tak logon ke majme (baithakon ya majlison) mein us ka ailaan kare. Aur agar us ki qimat aik dirham se kam ho to ehtayaat-e-waajib yeh hai keh use us ke maalik ki taraf se sadqa kar de aur jab bhi us ka maalik nikal aaye aur woh sadqa karne par raazi na ho to use us ka aiwaz deday.
3: Agar aik saal tak ailaan karne ke baad bhi maal ka maalik na mile to wo use us ke maalik ke liye apne paas rakh sakta hai takeh jab bhi wo mile use dede aur us muddat mein us ki hifaazat ke sath sath us se istifaada karne mein koi ishkaal nahin. Aur yeh bhi kar sakta hai keh us maal ko us ke maalik ki taraf se faqeeron ko sadqa kar de aur ehtayaat-e-waajib yeh hai keh wo khud na lay.

(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Maslah #2528,2529,2531).
[Updated on 05-Nov-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
120918
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-09-30

Question: Quran majeed mai hazrat usman ka zikar ki surah mai aya h

Answer: (Note: Is website par fiqh e jafferiya (shia mazhab) ke mutabiq jawabat diye jatay hain).
[Updated on 30-Sep-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
121207
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-11-09

Question: Assalamualaikum

Answer: Wa alaikum-us-salam
[Updated on 09-Nov-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
121208
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-11-09

Question: Assalamualaikum

Answer: Wa alaikum-us-salam ,jee farmaye,Kya sawaal hay aap ka
[Updated on 09-Nov-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
121296
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-12-01

Question: Assalamualaikum Actually mjhe 1 ques puchna tha... Ky ladke ka esi jgh job karna jayez hai jhn ladkiyn chote chote kapde pehnti ho or sharam aam ho... Jse Events wgra jo hte h whn ldkyon k lie chote kapde pehnna aam b normal smjha jata hai ese kapde ke hmri ankhn nichi aa jaen or sharab pani ki trh pee jti h ap plzz mjhe iska ans zrur dijiaga k y job jayez h ya nii iska ans mri lyf k lie bhtt important h....

Answer: Is sawal ka jawab de diya gaya hai.
[Updated on 02-Dec-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print