Please click the button for Quran o Itrat Academy Whatsapp Channel.
Whatsapp Channel
Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+


Question & Answers << Go Back

Topic: Wuzu Ke Ahkam (271 Questions)


Showing 250- 271 questions from 271 questions on this page.

Answers found for searched words
Id:
122595
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-07-21

Question: Mere dono bazoo pe zakhm hai. Mein 3 dafa kulli aur 3 dafa naak mein Pani daal k tayammum krta hun. Kya yeh Amal theek hai ghusl e janabat ka

Answer: 1: Agar kisi ke badan par zakham ya phorha ho to mukallaf ko ghusl ya tayyammum ka ikhtiyaar hai agar wo ghusl ko ikhtiyar karta hai aur zakham ya phorhe par jabira nah ho to ehtiyat e mustahab (behter) ye hai ke zakham ya phorhe par paak kaprha rakhe aur is kaprhe ke upar masah kare agar badan ka koi hissa toota hua ho to zaroori hai ke ghusl kare aur ehtiyatan jabira ke upar bhi masah kare aur agar jabira par masah karna mumkin nah ho ya jo jaga tooti hui hai wo khuli ho to tayyammum karna zaroori hai.
2: Agar pani ka istemal kisi ke liye jaan lewa ho ya is ke badan me kisi aib ya marz ke paida hone ya mojooda marz ke toolani ya shadeed ho jane ya elaaj me dushwari paida hone ka sabab ho to is ke liye zaroori hai ke tayammum kar ke namaz parhay. lekin agar pani ke istemal ke zarar ko kisi tareeqe se door kiya jaa sakta ho maslan ye ke pani ko garam karne se zarar door ho sakta ho to pani garam kar ke ghusl kare. Aur jab majboori khatam ho jaye gi to tayammum bhi baatil ho jaye ga, aur phir ghusl e janabat anjaam daina zaroori hoga.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #338,659,709).
[Updated on 22-Jul-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
122668
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-07-20

Question: I'm a student and usually my hands are covered with pen ink with small spots here and there kia hathon pr pen chale hone k bavajud wuzu hojata h ?

Answer: Agar siyahi(ink) aise jirm aur maade par mushtamil nah ho ke jo jild aur paani ke darmiyan rukawat ho to us ke upar wuzu aur ghusl sahi hon gay aur agar rukawat hona mashkook ho to saaf karna aur hatana zaroori hai.

(Ref: Jadeed fiqhi masail, Ayatullah Sistani(d.b), maslah #79).
[Updated on 21-Jul-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id:
122876
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-09-11

Question: Asalam o Alaekum.Mera sawal ye hai ke mere baal bre hain or sar ka mash krte waqt baalo ki jild tk pani phnchna lazim ha ya nh?

Answer: Lazim nahin hai ke sar ka masah sar ki jild par karen, balke sar ke aglay hisse ke balon par bhi sahi hai;
Lekin agar sar ke aglay hisse ke baal itne barray hon ke agar maslan kanghi kare to is ke chehray par aa jate hon ya sar ke kisi dosray hisse tak puhnch jate hon to zaroori hai ke balon ke is hisse par masah karen jo kanghi karne ke baad sar ke aglay hisse ki had se kharij nah hotay hon, isi tarah maang nikaal kar baal ki khaal ya sar ki jarr par bhi masah kar sakte hain;
Lekin agar woh baal ke jo chehray par aa jate hon ya sar ke kisi doosri jagah puhnch jatay hon, use sar ke aglay hisse par jama karen aur is par masah karen, ya sar ke kisi doosri jagah ke balon par jo sar ke samnay walay hisse par aaye hue hon, us masah karen, to aisa masah baatil hai.

(Ref: Tauzeeh ul Masail Jaame(farsi), Ayatullah Sistani(d.b), part #1, maslah #276).
[Updated on 12-Sep-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
122896
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-09-13

Question: agr aurtoun ki qameez k bazu tang ho to kesy masah kry bazu ka

Answer: (Note: Is website par fiqh e jafferiya (shia mazhab) ke mutabiq jawabat diye jatay hain).

Aap apne kisi maulana se is silsilay me rabta karen shayad aap ka maslah hal ho sake, Albatta fiqh e jafferiya ke mutabiq bazu ka masah nahin kiya jata balke sar ke aglay hisse aur paaon ke saamne wale hisse ka masah kiya jata hai.

(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #235).
[Updated on 14-Sep-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
122922
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-09-21

Question: Agr koi insan ghusl janabat kre or wo wuzu bhi karle to kya..hukm h..jabki wo is baat ko janta naho..or koi namaz k waqt se pehle ghusl kre masln 10 ...11 baje morning me..or koi aisa kam naho jisse wuzu toote to us ghusl se namaz hojayegi Or hm tahart hasil karne k liye ya koi mustahab namz padne k liye wuzu kre to usse wajib namz bhi pad sakte h....allah ki qurabt k liye..plz jawab den..hm pad lete h

Answer: 1: Ghusl e janabat ke baad agar koi mubtilaat wuzu me se koi cheez paish na aahe ho to wuzu ke bagaire namaz perh sakta aur namaz bhi sahi ho jayegi or wo tamaam kaam anjaam desakta hay ke jin ke lie wuzu karna zarori ho or gusal janabat ke baad wese to wuzu kar sakta hai lekin Ghusl e janabat ke baad zarori hay ke namaz ke liye wuzu na kare
2: wuzu jab bhe kia jaae,chae namaz ka waqt aane se khuch dair phele ,kafi dair phele ya namaz ka waqt aajane ke baad ,agar qurbatan ilallah ki niyat se kia jaae tu wuzu sahe hay or ye zarori nahe hay ke wajib ya mustahab hone ki niyat ki jaae or
usi wuzu se wajib namaz parh sakte hain.
(Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Tauzeeh ul masail, edition #42, maslah #320,321,357,358,389).
[Updated on 22-Sep-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
122926
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-09-22

Question: When should we make wuzu for fazar ? After sehri or before sehri ?

Answer: Wuzu sehri se pehlay bhi kar sakte hain aur baad bhi kar sakte hain, Q ke wuzu jab bhi kiya jaaye, chaahe namaz ka waqt aane se kuch pehlay, kaafi dair pehlay ya namaz ka waqt aa jaane ke baad, agar “Qurbatan Illallah” ki niyyat se kiya jaaye to sahi hai. yeh zaroori nahin hai keh waajib ya mustahab hone ki niyyat ki jaaye balkeh agar galati se wajib hone ki niyyat kar lay aur baad mein maloom ho ke abhi wuzu waajib nahin hua thaa to bhi wuzu sahi hai.
Isi taraf agar yaqeen ho ke namaaz ka waqt daakhil ho chuka hai aur waajib wuzu ki niyyat kare Lekin wuzu karne ke baad pataa chale ke abhi waqt daakhil nahin hua tha to wuzu sahi hai.
(Ref: Tauzeeh ul Masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #319,320).
[Updated on 23-Sep-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
123013
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-10-05

Question: Salam Mera swal yay hai ky mujhy bar bar wazu totny ka wehem hota hai or yay kafi time sy horaha hai or ab itna ziada wehem hony laga hai ky lgta hai waqai my wuzu toot gaya hai or mujhy smhj ni ata ky wuzu baki hai ya khtm ho chuka hai kiuky mujhy lgta hai jaisy meri body sy wuzu totny ka amal hua hai or mai bar har wuzu krti hu aisi condition my kya hukum hai

Answer: Jab tak wuzu ke baatil (tootne) hone ka yaqeen na ho, wuzu baatil nahin hota.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #322).
[Updated on 05-Oct-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
123017
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-10-05

Question: Agr wuzu Sirf namaz ki niyat se kya tha to us wuzu se Quran pak padhe sakte he?

Answer: Jee han, Parh sakte hain.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #315,320,321).
[Updated on 05-Oct-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
123110
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-10-23

Question: Asslam o alikum sir mera wazu br br tot jta h wazu krny k kbhe foran bd bhe aur nmaz ma bhe wazu kr k ao to phr tot jta h is ka koi solution bta dyn plz

Answer: 1: Agar koi aise marz me mubtela ho ke ise peshaab ke qatre ghairte rehte ho, ya pakhana ya Riyaah(gas) rokne par qaadir na ho, to Agar use ko Yaqeen ho ke Namaz ke Awwal e Waqt say lay kar Akhir e Waqt tak us ko itna waqfa mil jaye ga ke wuzu kar ke Namaz parh sake to zaroori hai ke is waqfay ke dauraan namaz parh lay aur agar us ko sirf itni muhlat milay jo namaz ke wajibaat ada karnay ke liye kaafi ho to is dauraan sirf namaz ke wajibaat anjaam day aur zaroori hai ke Mustahab Afaal masalan AZAN, IQAMAT aur QUNOOT ko tark kar day.
2: Agar us ko wuzu kar ke Namaz ka kuch hissa parhne ki muhlat milti ho aur Namaz ke dauraan aik martaba ya chand martaba Peshab kharij hota ho to ehtiyat e Lazim ye hai is muhlat ke dauraan wuzu kar ke Namaz parhe lekin Namaz ke doraan Lazim nahin hai ke Peshab kharij hone ki wajah se dobara wuzu karay.
3: Jis shakhs ko peshab qatra qatra aata rehta ho to os k lie zaroori hai ke namaz ke liye aisi theli istemaal kare jis me ruei (cotton) ya koi aur cheez rakhi ho jo peshab ko doosri jaghon tak puhnchne se roke aur ehtiyat e wajib ye hai ke har namaz se pehle najis shuda maqam ko dho lay.
4: Akhrot ka har roz khana peshab ke qatray qatray aanay wali beemari k lie faiday mand hai.

(Note: 1. Aap ko mashwara hai ke aap kisi achay doctor se ilaaj karwain. Or is beemari se nijaat hasil karen. 2. Namaz parhne se pehlay peshab o pakhana se farigh hone ki koshish kia karen, Q ke baaz auqaat paishab or pakhana rokne se bhi riyah(gas) ki beemari ho jati hai. 3. Khana khoob chaba kar khaya karen. Takeh khana sahi tareeqe se hazam ho or riyah(gas) ka maslah nah ho).
Aap Masood homeopathy company ki mother tincture HR-35 ko istemaal karain, Inshallah aap is beemari se nijat paa jain gay.(https://masoodstore.com.pk/product/hr-35-gastronex/)

(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #299,306,307,311,314. + Kitab Makhzan e Amaliat, pg #79)
[Updated on 24-Oct-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
123252
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-11-09

Question: Without wudu can we touch Quran

Answer: Agar wuzu se nahin hain to Quran ke alfaaz ko mass (touch) nahin kar saktien yani apne badan ka koi hissa Quran ke alfaaz (tehreer) se lagana Haram hai lekin agar Quran ka farsi, urdu ya kisi aur zabaan mein tarjemah kiya gaya ho to us mass (touch) karne mein koi haraj nahin.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #315).
[Updated on 10-Nov-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
123253
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-11-09

Question: Without wudu can we touch Quran

Answer: Agar wuzu se nahin hain to Quran ke alfaaz ko mass (touch) nahin kar saktien yani apne badan ka koi hissa Quran ke alfaaz (tehreer) se lagana Haram hai lekin agar Quran ka farsi, urdu ya kisi aur zabaan mein tarjemah kiya gaya ho to us mass (touch) karne mein koi haraj nahin.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #315).
[Updated on 10-Nov-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
123260
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-11-12

Question: Sar ka masa necha sa uper ki tarf krna jaiz ha kia?

Answer: Jee han, jaiz hai. lekin ehteyat-e-mustahab (yani behtar) ye hai ke masah upar se neche ki taraf kiya jaye.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #248).
[Updated on 13-Nov-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
123482
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2024-02-29

Question: ASALAM O ALAIKUM! Jab mein wuzu mein hota hoon toh aksar hawa kharij hote hote khud hi ruk jati hai toh kya is halat mein mera wuzu toot jata hai ya nahi? Rehnumi kijiye ga!

Answer: W.slm
7 cheezon se wazo batil hojata hai, un me se 1 Riyah yaani maide or aanto ki hawa jo makam e pakhana se kharij hoti hai, bhi shamil hai.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b),44th edition, maslah #322).
[Updated on 01-Mar-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
123808
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2024-04-16

Question: salam jis pani sy wazu ya ghusl janabat kia jaye woh pani kaisa hona chaiye pani mai agr badbo maujood ho to kia ussy kiya wa ghusl e janabat ya wazu sahi hoga.

Answer: Jis pani se wazo ya ghusal kia jae zarori hai k vo pani mutlaq ho yaani aisa pani ho k jise daikh k urf e aam pani keh skte hon, Chahe uss pani me smell hi q na arhi ho..
Muzaf pani yani Aisa pani jis ko pani na kaha jae uss se wazo ya ghusal batil hai..
(Ref: Touzih ul Masail Agha Sistani d.b, 39th Edition, Masla No. 264)
[Updated on 16-Apr-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
125748
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2024-01-25

Question: کیا کھانا کھا نے سے وضو ٹوٹ جاتا ہے

Answer: Jee nahin, khana khane se wuzu baatil nahin hota.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #322).
[Updated on 25-Jan-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
125782
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2024-01-26

Question: Kiya koi kholi na dekhne sa wazu tut jata hai?

Answer: Agar aap ka sawal neend ke hawalay se hai to wuzu us soorat me baatil hoga jab neend aisi ho ke jis ki wajh se nah aankhen dekh saken aur nah kaan sun saken lekin agar aakhen nah dekh rahi hon magar kaan sun rahe hon to wuzu baatil nahin hota.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #322).
[Updated on 27-Jan-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
125876
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2024-02-16

Question: کیا خواب میں مشت زنی کرنے سے وضو فرض ہو جاتا ہے؟ لذت ہو لیکن پانی خارج نہ ہو

Answer: Agar koi Khuwab me mushtzani karte hue dekhe to is wajah se wuzu ya ghusl wajib nahin hota, Isi tarah agar neend se bedaar ho aur dekhe ke mani kharij nahin huei (yani ihtelam nahin hua) tab bhi ghusl wajib nahin hota. Han! Agar neend se bedaar ho aur dekhe ke mani kharij huei (yani ihtelam hua) hai to phir ghusl karna hoga. Q ke Insan Do cheezon se mujnib hota hai aik jima (sex) aur dosra mani ke kharij hone se chahe woh neend ki halat me niklay ya jagtay me, kam ho ya ziyada, shehwat ke sath niklay ya bagher shehwat ke, aur uska nikalna ikhtiyar me ho ya na ho.

(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #344).
[Updated on 17-Feb-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
125999
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2024-03-07

Question: Mehndi kay ahkam

Answer: Agar mehandi ki wajah se wuzu ya ghusl k aaza tak paani pouchne me koe rukawat nah ho to wuzu ya gusl kiya jasakta hai. Aur agar rukawat ho to phir us rukawat ko hatana zaroori hai.

(Ref: Tauzeeh ul masael, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, before maslah #289).

Mazeed janne ke liye darj zel do link par cilck karen.
link: https://youtu.be/Pvt_avO_nK0
link: https://youtu.be/L9wy47TcLME
[Updated on 08-Mar-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
126059
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2024-03-15

Question: Mera sawal hai ky hum wazu karnay sy phelay paon dhotay hain ousky bd wazu kartay hain lekin kya hum wazu karnay ky bd paon dho lain toh kya yai sahi hai ya nhi?

Answer: 1: Agar wuzu shuru karne se pehlay paon dhaoye jayen to masah karte waqt paon ka khushk karna hoga warna masah sahi nahin hoga. Q ke wuzu men sar aur paon ka masah karte waqt sar aur paon ka khushk hona zaroori hai, lihaaza agar sar aur paon is qadar tar (gheele) hon ke hatheli ki tari us par asar na kare to wuzu baatil hoga. lekin agar us par nami ho ya tari itni kam ho ke wo hatheli ki tari se khatam ho jaye to phir koi haraj nahin.

2: Wuzu shuru karne baad, jab wuzu mukammal ho jaye (yani chehra, dono hath dhone ke baad sar aur paon ka masah bhi kar liya jaye) to phir paon dho sakte hain.

(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.), edition #42, maslah #255).
[Updated on 16-Mar-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
126073
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2024-03-20

Question: واجب نماز کے لیے وضو کیا ہو تو کیااسی وضو کے ساتھ قرآن کے الفاظ کوچھو سکتے ہیں یا الگ سے وضو کرنا پڑےگا

Answer: Jee han, usi wuzu ke sath Quran ke alfaaz ko chho sakte hain. Alag se wuzu karna zaroori nahin hai.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #315,316).
[Updated on 21-Mar-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
126221
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2024-04-23

Question: Mujhe yehi smjh nahi aata k ball pen ki ink khal tk Pani ko rokne main rukawat Hy ya nhi ??

Answer: Agar siyahi (ink) aise jirm aur maade par mushtamil nah ho ke jo jild aur paani ke darmiyan rukawat ho to us ke upar wuzu aur ghusl sahi hon gay aur agar rukawat hona mashkook ho to saaf karna aur hatana zaroori hai.

(Ref: Jadeed fiqhi masail, Ayatullah Sistani(d.b), maslah #79).
[Updated on 24-Apr-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print