Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+


Question & Answers << Go Back

Topic: Wuzu Ke Ahkam (272 Questions)


Showing 200- 250 questions from 272 questions on this page.

Answers found for searched words
Id:
110720
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2020-09-30

Question: ap na pishab k qatro k bataya ha k agar kisi ko pishab k qatro k masla ho or istabrah k bad agar a wo qatra nikal jay to namaz ho jati ha lakin is bat ko wazaya kr day k us k kapro k kaya ho ga kaya us k libbas pak rahay ga or wo har namaz k liya naya wuzu karay or usi libas ma namaz parhta rahay

Answer: Jee nahin, asal maslah ye hay keh istibra k baad agar koe mashkook rutubat aay tu wo paak shumaar hoi. Jis shakhs ko yaqini taurr per qatra qatra peshab aata rehta ho to os k lie zaroori hai k namaz k lie aisi thali istemal karay jis mai rui(cotton) ya koi aur cheez rakhi ho jo peshab ko doosri jighoo tk pouchnay sai rokay aur ehtiyat e wajib ye hai k har namaz sai pehlay najis shuda maqam ko dho lay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 306-311) .
[Updated on 30-Sep-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
110858
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Abul Qasim e Khoie Date: 2022-03-14

Question: Agar sohar apni biwi ko balo me high light karvana kahe to kya biwi karva sakti h. Usse namaz hoti h

Answer: Balo ko high light karwane se balo main koe rukawat nahi hoti is liay wuzu or ghusl main koe maslah paish nahi aata, is liay namaz ho jaati hat. (Ref; tauzihul masael, maslah#289, 379)
[Updated on 14-Mar-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id:
110949
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Abul Qasim e Khoie Date: 2021-12-17

Question: Kia bina wazoo k numaz ho jati hai? Agr jism pak ho koi galazat na ho aur wazo bhi na ho? Maine aek molvie se suna to unhon ne kah wazo k bina bhi nimaz ho jati hai per sawab kam milta hai isi trhan kia nimaz e jinaza aur quran parhna bhi ho jata hai?

Answer: 1)Baghair wuzu k namaz nahi perhi jaa sakti, Albatta namaz e janaza Baghair wuzu aur gusl ke parhi ja sakti hai lekin namaz e janaza ke liye bhi wuzu aur gusl karn amusthab hai.
2)wuzu ke beghair Quraan ki tilawat kar saktay hai lekin baghair wuzu k quran ke alfaaz ko mass nahi kar skatay, Jo shakhs ba-wazoo na ho Us k lie Quran majeed k alfaz ko mas karna haram hai. laikin agar Quarn majeed ka farsi zaban ya kisi aur zaban me tarjuma kiya gaya ho us ko mas kar sakte hain.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition#41 maslah#315,601,316)
[Updated on 18-Dec-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
111232
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-12-01

Question: Assalamualaikum ... Kya hum bina wazu ke Noorani Qaida yaa Deeniyaat ki kitabe padh sakte hai chahe ho Arabic yaa English language mein .. aur kya yahi chizze ladkiya periods ke dauran padh sakti hai

Answer: 1: Jee parh saktay hai lekin wuzu k baghair us Qaiday me mojud Suron ke alfaz ko mass (yani chhoo) nahi saktay.(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah seestani (d.b), edition 41st, maslah#316).
2: Periods ki halat main quran ki wo ayaat perhna jis me sajda wajib ho haram hai. Quran majeed k wajib sajday: (1)Surah sajdah surah # 32 para # 21 ayat # 15 (2)Surah fusselat (ha meem sajdah) surah # 41 para # 24 ayat # 37 (3)Surah Najm surah # 53 para # 27 ayat # 62(last ayat) (4)Surah alaq surah # 96 para # 30 ayat # 19(last ayat). In ke elawa baqi quran ki ayaat ka perhna jaiz hay. Laikin quran ke alfaaz ko chona jaiz nahi hay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Tauzeehul masail, edition 39th, maslah #354,448)
(Note: Khawateen Periods ke dauran quran ki in 4 ayaat ke elawa poora quran parh sakti hain. Lekin Qaiday me mojud Suron ke alfaz ko mass (yani chhoo) nahi sakti hain)
[Updated on 02-Dec-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
111441
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2020-11-10

Question: Assalam o alaikum! Mje yeh janana ha k during pregnancy r sardi ki waja sy bhi bar bar choty peshab k liye jany ki hajat hoti h zada dair wazu qaim nhi rehta to is surat ma aurat bina wazu k Quran Pak parh skti ha?

Answer: wsalam.
Baghair wuzu k quraan parhaa jaasakta hai lekin us k huroof ko haath lagaan jaaiz nahi hai.((Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 316).
[Updated on 10-Nov-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
111480
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2020-11-15

Question: Kya tail lagy balon ka masah Kiya ja sakty hai ya pehly bal dhona zarori hen??? Tail pory balon Mai laga ho tu ? Jazak Allah

Answer: Sirf chiknahat say koe faraq nahi parhay ga lekin baqaeda tour par itna oil laga huwa hay kay paani k puhanchnay men rukawat hai to usay hatana parhay ga. (Ref: Mujtahid say pochay gaey sawalaat, part # 04, pg # 26)
[Updated on 16-Nov-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
111500
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-11-30

Question: Kia pair ko chair p rkh kr pair ka masah kar sakte hain?? Is trhan masah hojaega?

Answer: Jee han, kar saktay hain lekin is tarah masah kiya jaye ke paon hil na rahe hon. balke paon aik jagh sakin hon.(Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Tauzeehul masail, 41th edition, maslah #254).
[Updated on 01-Dec-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
111552
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2020-11-19

Question: اگر ہاتھوں پہ سیاہی لگ جائے تو وضو صحیح ہوگا یا نہیں؟

Answer: agar paani k pohanchne mai rukaawat hai tou usay pehle hatana zaroori hai or agar paani k pohanchne ka yaqeen hai tou phr wuzu sahi hojaye ga.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 289).
[Updated on 20-Nov-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
111718
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2020-11-28

Question: Aslamualikum Ager rat ko paon dho kr tail laga kay socks pehn k Soo jayen tu subah fajar time socks kay oper say masah krsakty hen? Or ladies hijab/ chader kay oper say balon ka masah krsakty hen k Nhi?

Answer: Sar ka masah chadar par karna batil hai. wo baal jo sar k agle hisse main ugte hain or sar k agle hisse main hi rehte hain tu on baal per masah kia jaa sakta hay or agar wo baal lambe hon tu on k os hisse per masah karna jaiz hay jo jo sar k agle hisse main rehtay hon. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah # 249,250).
Mozay or jutay per masah karna batil (Ghalat) hai. (wazu nahi ho sakta).(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 251,258)
[Updated on 28-Nov-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
111832
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2020-12-04

Question: Salam mera sawal yeh hay k agr ring pehn kr yeh challa phen kr wazu kia jae to wazu jaiz hoga k nhi.?

Answer: wsalam. Mayaar paani pohnchana hai agar ring pehen kar paani pohanchne ka aap ko yaqeen hai tou wuzu durust hojaaye ga.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 289).
[Updated on 04-Dec-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
111960
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2020-12-11

Question: Assalam o alaikum.. Agar sar ka massa karne se pehle wuzu ka paani khushk hojae to aurat k liyein kiaa ahkamm honge

Answer: Dobaara wuzu karay gi.(Ref:Tauzeeh ul masail jaame, part#1, ayatullah seestani,mafhoom e maslah#278).
[Updated on 11-Dec-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
112006
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2020-12-17

Question: neend se ut kar wazoo karne se pehly istinja karna hy ya nhi

Answer: Wuzu karne se pehly istinja karna zarori nahi hay. (Ref: Aayatullah Seestani(d.b), Tauzeehul masael, Edition# 39, Mafhoom e Maslah # 322 ).
[Updated on 17-Dec-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
112113
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-11-29

Question: Kya work place jesy office waghera mein namehram sy hath milany (Hand shake) sy unki janib dekhny sy ya guftugo karny sy Wazu batil ho jata hy or adaigi namaz k liye dobara wazu krna zaroori hay?

Answer: Jee nahi is se apka wazu batil nahi hota, kyun keh yeh mubtilat e wazu me se nahi hai. (Ref: Aayatullah Seestani, Tauzeeh Ul Masail, Masla no # 322 ).
[Updated on 29-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
112123
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2020-12-22

Question: AOA. Agr apko bht arsy bd maloom ho k ap jahan wazu krty rhy hen bessn wgyra men, or us bessn men koi pagal peshab krta rha hai to kya wo besan napak hai or us jgah wazu krna kesa hai? wo peshab krk pani baha deta tha phir wo jgah pak hui ya napak??

Answer: 1: Wuzu ho jaey ga, wuzu k liay basin ka paak hona zaruri nahi hay. (Ref: Ayatullah Seestani(d.b), Tauzeeh ul masael, Edition# 35, Mafhoom e Maslah #264-297,322).
2: Agar koi cheez peshab se najis ho jay tu os per qaleel ya kur pani 2 dafa bahana zurari he. albatta jaari paani(maslan chashma{ spring/fount}) main aik baar dhona kaafi hay. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 154).
[Updated on 22-Dec-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
112983
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-02-09

Question: Agr hath me plaster ho to gusal ki jaga tayamum kse krna hoga

Answer: Agar haddi toti hoi ho aur zakham nah ho tu ghusl kia jaey ga or jabira k oper masah kia jaey ga (yani geela hath phaira jaey) . Jabira per plastic bhi bandhi ja sakti. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Tauzeeh ul masael jaame, Mafhoom e Maslah #391)
[Updated on 09-Feb-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
113215
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-02-20

Question: وضو کرنے کے بعد اگر عضاۓ وضو پر پیشاب یا پاخانہ لگجاۓ تو کیا وضو باقی رہےگا

Answer: is sai wuzu baatil nahi hota albatta namaz k liye paak karna hoga.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 322).
[Updated on 20-Feb-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
113302
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-02-27

Question: Meri ammi ko gas ki bohot problem hai. Namaz paehty hue bhi unki gas nikal. Jati or us k ilawa aam halat m bhi control nhi rehta. Kya unko wazu bananaa zaruri hai? Agr zaroori hai toh unko baar baar wazu banana pary ga.. namaz quran parhty bar bar?

Answer: Agar kisi ko riyah(gas) baar baar youn aata ho k osay wuzu ker k namaz ka khuch hissa perhne ki bhi muhlat nah milti ho tu os ka aik wuzu chand namazon k liay bhi kaafi hay. siwaay is k koe or aisi cheez paish ajaay jis se wuzu batil hota hay. Maslan wo so jay ya os ka paishab o pakhana tabiee andaaz se mamool k mutabiq kharij ho. Albattah behter ye hay k har namaz k liay aik baar wuzu karay Laikin qaza sajday, qaza tashahud or namaz e ehtiyaat k liay dosra wuzu zarori nahi hay. ( Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 308,314)
(Note: 1: Aap ko mashwara hay k aap walida ka kisi achay doctor se ilaaj kerwain. Or is beemari se nijaat hasil karaen. 2: Namaz parhne se pehlay peshab o pakhana se farigh honay ki koshish kia kare, Q k baaz auqaat paishab or pakhana rokne se bhi riyah(gas) ki beemari hojati hay. 3: Khana khoob chaba ker khaya kare. Takeh khana sahi tariqay se hazam ho or gas ka maslah nah ho ).
[Updated on 27-Feb-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
113430
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-03-06

Question: Sirf hawa kharij hone se hi wuzu toot jata hai ya badboo ya awaz ana zaroori hai wuzu tootnay k liye? Kindly Answer me

Answer: Riyaah(hawa) kharij honay say wuzu toot jata hay chahe awaz ho ya na ho, chahe boo(Smell) ho ya na ho. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Tauzeeh ul masael, Edition #42, Maslah #322).
[Updated on 06-Mar-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
114081
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-11-22

Question: Agr wazu kya huva ho or hath pe pishab lag jaye to kya wazu dobara karna hai ya sirf hath pak kar lena kafi hai ?

Answer: Wuzu dobara nahin karna hai balke sirf hath ko pak karna kafi hai. (Ref: Ayatullah Sistani(de.b), Tauzeeh ul masail, edition #42, maslah #154).
[Updated on 22-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
114485
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-11-03

Question: Aurat ka Wazu k bd loudspeaker mai bolne se kiya wazu toot jata hai ya makru hojata hai

Answer: Aurat ka Wazu buland loudspeaker mai bolne se sai wuzu baatil nahin hota. ( or na he is se wuzu makroh hota hay) (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #322).
[Updated on 03-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
114727
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-09-25

Question: Agar ek finger pe bandage laggi ho to wadu kese karen. Kya us finger ko wash kiye bina wadu ho jaega

Answer: Jee nahin, balke Agar pati ko utar kar pani dalna nuqsandeh na ho to zaroori hai ke usi tarah wuzu karen jese aam taur par kiya jata hai, aur agar pani dalna nuqsandeh ho to zakham ke aas paas ke hisse ko is tarah upar se niche ki taraf dhoen jese wuzu men kiya jata hai. aur behtar ye hai ke agar zakham par geela hath khenchna nuqsandeh na ho to geela hath us par khenchen aur is ke bad pak kapra zakham par dal den aur geela hath us kapre par khenchen.
(Ref: Tauzeeh ul masael, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Maslah #323,324).
(Note: Wo cheez jis se zakham ya tooti hoi hadi bandhi jati hai aur wo dawa jo zakham ya aisi hi kisi cheez par lagaei jati hai wo jabira kehlati hai aur aisi cheez par jabira wuzu kiya jata hai ).
[Updated on 25-Sep-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
115474
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-07-17

Question: Kya khana khane se wuzu makrooh ya toot jata h ? Plz tell the answer immediately.

Answer: khana khane se na wazu tootta hai or na he makrooh hota .(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #322).
[Updated on 17-Jul-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
115805
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-03-29

Question: Jis shaks ke hatho mein Mom aur tel laga ho, tou kya us shaks ka Wudhu ho jayega?

Answer: Agar baqaeda tour par itna oil ya mom laga huwa ho ke paani ke puhanchnay men rukawat bane to wuzu se pehlay use hatana zaroori hoga. lekin agar sirf chiknahat hai to is se koe faraq nahin parhay ga.(Ref: Mujtahid say pochay gaey sawalaat, part #4, pg #26).
[Updated on 30-Mar-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
116071
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-02-22

Question: kiya wuzu sy pehly istanja krna wajib hai

Answer: agar aazaae wuzu ke sewa badan ka koi hissa najis ho tu wuzu sahe hay ( yani aise halat me wuzu karsakte hay) laikn agar pakhane ya peshaab ke maqaam ko paak na kia ho tu phir ehteyaate mustahab (behter hay laikin zarore nahe hay) ye hay ke pehle inhe paaak kare or phir wuzu kare.(Ref:A.Sistani(d.b),Tauzee hul masa,il, maslah# 276)
[Updated on 23-Feb-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
116318
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-11-22

Question: Agar wuzoo na ho to kia Qabaristan me sooratoun ki tilawat ki ja skti h?

Answer: Jee han, Poore Quran ya chand suron ki tilawat ki ja sakti hai lekin baghair wuzu ke mass nahi kiya ja sakta.(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #316).
[Updated on 23-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
116501
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-11-05

Question: Kya wazu k pani ko jo ap k chehry py mojood hota hai wazu krny k baad kisi saaf kapry se khushkk krna makroh hai?. Meine abi recently aik kitaab prhi jis mein likha tha k makroh hota hai.

Answer: wuzu karne ke baad wuzu ke pani ko rumaal,ya tuliyah wagaira puochna ko Ulama ne makrooh shumar kiya hai .
(Ref: https://www.facebook.com/M.AlMustefa.Women/posts/437519859693378/ ). (ref: urwaturwusqa, aqasistani,jild :1 ,pg:149)
[Updated on 05-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
116600
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-10-26

Question: Esha Ki namaz shuru ki aik rakat parhi aur aisa lgaa wuzu nahin kia toh kyaa karein

Answer: Agar namaz ke dauran shak ho ke wuzu kiya tha ya nahin to ehtiyat e wajib ki bina par us namaz ko kafi na samjhe balke zaroori hai ke wuzu kar ke dobara namaz parhay.(Ref: Tauzeeh ul masail jame, Ayatullah Sistani(d.b), maslah #332)
[Updated on 26-Oct-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
120371
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-06-07

Question: Asalamoalaikum warehmatullah e wabarrakat main ne pochna the. K kadu ( maaroo) chilte or latte wKt us ka chipchipa se pani hath k sath lga reh gaya wazu krte wakt dehan nae raha wo chikna pan khtm nae hua kia us e se wU naw ho ga? Ap smjh skte hon ge k kadu k pani se kaise hath ho jate hai wo ek br mei. Soap or pani se nae jata

Answer: Sirf chiknahat say koe faraq nahi parhay ga lekin baqaeda tour par itna oil laga huwa hay kay paani k puhanchnay men rukawat hai to usay hatana zarori hoga.
(Ref: Mujtahid say pochay gaey sawalaat, part #4, pg #26).
[Updated on 07-Jun-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
120469
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-06-24

Question: wazu ke bad ungali uthanakia ha

Answer: (Note: Is website par fiqh e jafferiya (shia mazhab) ke mutabiq jawabat diye jatay hain).
Aur fiqh e jafferiya ke mutabiq ya kaam anjam dena na wuzu ko sahi karta hai or na hi wuzu ko batil karta hai.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #235 to 259).
[Updated on 25-Jun-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
120479
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-06-24

Question: Vaginal gas pass hone se wuzu tootjata hai?

Answer: 7 chezain wuzu ko batil karti hain. in men aik Riyaah (gas) (yani mayday or aanto ki wo hawa jo maqad {back} se kharij hoti hay) kharij hone se wuzu batil ho jata hai. Albatta jis ka zikr aap ne kiya hai us se wuzu batil nahin hota.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #322).
[Updated on 25-Jun-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
120569
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-07-22

Question: Kia humbistri k baad ghusal lie bagair bache ko doodh pila sakte hain? Ya wazu karna bhi zaroori hai??

Answer: Jee han, bager wuzu ke pila sakti hain, or wuzu karna zaroori nahin hai.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #354,355).
[Updated on 22-Jul-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
120599
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-07-27

Question: Chota peshap aty hoye namaz par skty hai ?

Answer: Jee nahin, nahin parh sakte Q ke peshab se wuzu toot jata hai. or agar koi aisi ibadat karni ho jis k liye wazu zaroori hai to peshab k bad wazu karna hoga.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #322).
[Updated on 28-Jul-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
120752
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-08-26

Question: Kya aurat ka sir khul jaye to wodhu tut jata he?

Answer: Jee nahin, Is se wuzu baatil nahin hota. Q ke wuzu ko baatil karne wali cheezen saat (7) hain un me se sir khul jana nahin hai:
1) Peshaab or jo masshkook ratoobat peshaab ke bad aur istebraa se pehle insaan se khaarij hoti hai woh bhi peshaab ka hukum rakhti hai.
2) Pakhana.
3) Riyah yani made aur aanton ki hawaa jo maqad (peeche ki sharamghah) se khaarij hoti hai.
4) Neend jiski wajah se naa ankhein dekh saken aur na kaam sun saken, lekin agar ankhein naa dekh rahi hon magar kan sun rahe hon to wuzu baatil nahin hota.
5) Aisi halat jin mein aqal zaail ho jaati ho maslan diwaangi, massti ya behoshi.
6) Auraton ka Istehaaza.
7) Janaabat balkeh Ehtiyaat-e-mustahab ki bina par har woh ka jis ke liye ghusl karna zaroori hai.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #322).
[Updated on 27-Aug-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
120753
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-08-26

Question: Kya aurat ka sir khul jaye to wodhu tut jata he?

Answer: Jee nahin, Is se wuzu baatil nahin hota. Q ke wuzu ko baatil karne wali cheezen saat (7) hain un me se sir khul jana nahin hai:
1) Peshaab or jo masshkook ratoobat peshaab ke bad aur istebraa se pehle insaan se khaarij hoti hai woh bhi peshaab ka hukum rakhti hai.
2) Pakhana.
3) Riyah yani made aur aanton ki hawaa jo maqad (peeche ki sharamghah) se khaarij hoti hai.
4) Neend jiski wajah se naa ankhein dekh saken aur na kaam sun saken, lekin agar ankhein naa dekh rahi hon magar kan sun rahe hon to wuzu baatil nahin hota.
5) Aisi halat jin mein aqal zaail ho jaati ho maslan diwaangi, massti ya behoshi.
6) Auraton ka Istehaaza.
7) Janaabat balkeh Ehtiyaat-e-mustahab ki bina par har woh ka jis ke liye ghusl karna zaroori hai.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #322).
[Updated on 27-Aug-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
121288
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-12-23

Question: Kya cosmetic permanent lip color krwa skte hain

Answer: 1: Wuzu aur ghusl ke sahi hone ki chand sharait hain: in me se aik ye wuzu aur ghusl ke aaza tak paani puhanchne me koi cheez rukawat nah bane. lihaaza cosmetic permanent lip colour karwana to jaiz hai lekin cosmetic permanent lip colour karwaen to ye cheez wuzu ya ghusl ke aaza tak paani puhnchne me maane (rukawat) bane to zaroori hai ke ya to is cheez ko hata
dien ya paani is ke niche tak puhnchaayen.
2: Aur dusre baat ye ke aisa kaam karna jis ki wajah se taweel arsay tak tayamum karna parre, (aisa kaam karna) ehtihyat e wajib ki bana par jaaiz nahin hai.
3: Agar maloom ho ke wuzu ke aaza par koi cheez lagi huei hai lekin is bare mein ise shak ho ke aaya wo cheez paani ke un aaza tak puhnchne me maane (rukawat) hai ya nahin to zaroori hai ke ya to is cheez ko hata
diya jaye ya paani us ke niche tak puhnchaya jaye.

(Ref: Tauzeeh ul Masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, maslah #289,376,377. pg #51 to 54 Link: https://www.sistani.org/persian/qa/13370/ ).
[Updated on 23-Dec-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
121325
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-12-06

Question: Assalam o alaikum , please tell me kiya urine ki jaga sy agar hawa kharij ho to wazu tuut jata h ??? Pakhany ki jaga sy hawa kharij hony py to tuut jata h but urine ki jaga sy agar hawa kharij ho to ussy bhii wazu tut jata h kiya??? please guide me

Answer: Jee nahin, Q ke saat (7) chezain wuzu ko batil karti hain. in men aik Riyaah (gas) (yani mayday or aanto ki wo hawa jo maqad {back} se kharij hoti hay) kharij hone se wuzu batil ho jata hai. Albatta jis ka zikr aap ne kiya hai ke (vagina urine wali jagah se gas kharij hona) is se wuzu batil nahin hota.

(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #322).
[Updated on 07-Dec-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
121507
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-01-06

Question: Baaz afraad yeh kehte hain Kay agar tamam nakhunoun me se ek nakhun chorh kar baqqi sub nakhunoun par nail polish lagali jay tau wudhu hojata hay,Kiya ye sahi hay? ,or Kiya tamam nakhunoun par se wudhu Ka paani guzarna zarori hay?

Answer: Agar nail polish haath ki ungliyoon par lagi ho to wuzu nahin ho sakta, Q ke nail polish rukawat hay. aur wuzu ki sharaait me se aik ye hai ke wuzu ke aazaa (parts) par koi aisi rukawat nah ho jo pani jo jism tak puhanchnay nah day. lekin agar nail polish pair (foot) ki ungliyoon par lagi ho or dono pairon ki aik aik ungli par nah lagi ho, to pairon ka masah us aik ungli say (jis par nail polish nahin hay) lay kar pair ke jorh (joint) tak masah kiya jaa sakta hay. Q ke pair ke masah main pair ki aik ungli say lay kar jorh tak masah karna wajib hay.

(Note: Wo maslah paon ke masah ke baare me hai, misal ke taur par agar chehre aur hathon ko dhone ke baad jab paon ka masah karna ho to agar paon ki ungliyon me se kisi aik ungli ke nakhun par nail polish na lagi ho to us par masah kiya jaa sakta hai. lekin Hathon ke baare me ye maslah nahin hai balke hathon me to zaroori hai ke rukawat ko hata liya jaye).

(Ref: Tauzeeh ul Masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, maslah #251,289 to 297, pg #49,54).
[Updated on 07-Jan-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
121565
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-01-19

Question: Kia geele balon me masa hota hai? Khawateen aur mardo k liye dono ka btae

Answer: Wuzu men sar aur paon ka masah karte waqt sar or paon ka khushk hona zaroori hai, lihaza agar sar aur paon is qadar tar (gheele) hon ke hatheli ki tari us par asar na kare to wuzu baatil hoga. lekin agar us par nami ho ya tari itni kam ho ke wo hatheli ki tari se khatam ho jaye to phir koi haraj nahin.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.), edition #42, maslah #255).
[Updated on 19-Jan-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
121656
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-02-10

Question: agar wazu karny sy pehly chehra tar ho lakin sir r paon khushk hoon to kya aic surat ma wazu karna sahe a

Answer: Jee han, wuzu sahi hoga.(wazu me srif sar ke mase ki jagha or paou ke mase ki gha kusak ho Yani is qadar tar na ho ke in per mase ka asar zaahir na ho )
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, mafhoom e maslah #255).
[Updated on 10-Feb-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
121668
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-02-13

Question: Wuzu me lulli Krna or naak me pani dalna jayez nhi uski Surat kya hai?

Answer: Kulli karna wuzu me Jaiz hai, bakle wuzu shuru karne se pehle Teen martaba kulli karne aur is ke bad Teen martaba naak me paani dalne ko mustahab shumaar kiya gaya hai.

(Ref: Tauzeeh ul Masail Jaame (farsi), Ayatullah Sistani(d.b), part #1, Edition #1443, Maslah #347).
[Updated on 14-Feb-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
121780
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-03-03

Question: AOA, tasali se ghusl karne k baad yeh wehm hota hai k koi jga khushq reh gai hai is ka kia ilaj hai?

Answer: Ghusl me baal barabar badan bhi agar dholne se reh jaaye to ghusl batil (yani galat) hay. lekin agar ghusl ke baad shak kare ke ghusl sahi kiya hay ya nahin to dobara ghusl karna zaroori nahin. Aur agar ghusl ke baad maloom ho ke badan ka khuch hissa dhulne se re gaya tha or wo hissa badan me se ho to ghusl ke baad sirf usi miqdaar ka dho lena kafi hai is tarah se ghusl sahi ho jaaye ga.or agar sar or gardan dholne se regahe ho tu ehteyaate wajib ki Bina per zarori hay ke itne miqdaar dhone ke baad DOBARA badan ko dhoe.or wuzu me (shatani waswase ko pechaanne ke lie zaabta ye hay ke jab koi aam tuor per paish aane wale shuqooq se bar kar shak karne laghe tu wo waswaase hoa karta hay or is surat me faqat aazaae wuzu per Pani daal kar is maqaam per mutaaarif miqdaar me hath phiar Lena kafi hay chaae ise tamaam hisso Tak hisso Tak Pani pouchne ka yaqeen bhe na horaha ho.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #373,383,364). (Mujtahid se pouche ghe sawalaat ,hissa 2,PG no.25)
[Updated on 03-Mar-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
121809
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-03-10

Question: گیلے بالوں میں مسح ہو سکتا ہے یا نہیں

Answer: Wuzu men sar aur paon ka masah karte waqt sar aur paon ka khushk hona zaroori hai, lihaza agar sar aur paon is qadar tar (gheele) hon ke hatheli ki tari us par asar na kare to wuzu baatil hoga. lekin agar us par nami ho ya tari itni kam ho ke wo hatheli ki tari se khatam ho jaye to phir koi haraj nahin.

(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.), edition #42, maslah #255).
[Updated on 11-Mar-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
121910
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-03-23

Question: As Salam O Alaikum 18:02 Agr Jism Ke Kisi Hisse Par Chot Lagi Ho Jisko Pani Se Mehfooz Rakhna Lazim H, Or is Halat Me Mani Kharij Hojae Galti Se Ya Jaan Boojh k To Gusl E Jinabat Kese Kyaa Ja Sakta h??

Answer: 1: Agar kisi ke badan par zakham ya phorha ho to mukallaf ko ghusl ya tayyammum ka ikhtiyaar hai agar wo ghusl ko ikhtiyar karta hai aur zakham ya phorhe par jabira nah ho to ehtiyat e mustahab (behter) ye hai ke zakham ya phorhe par paak kaprha rakhe aur is kaprhe ke upar masah kare agar badan ka koi hissa toota hua ho to zaroori hai ke ghusl kare aur ehtiyatan jabira ke upar bhi masah kare aur agar jabira par masah karna mumkin nah ho ya jo jaga tooti hui hai wo khuli ho to tayyammum karna zaroori hai.
2: Agar pani ka istemal kisi ke liye jaan lewa ho ya is ke badan me kisi aib ya marz ke paida hone ya mojooda marz ke toolani ya shadeed ho jane ya elaaj me dushwari paida hone ka sabab ho to is ke liye zaroori hai ke tayammum kar ke namaz parhay. lakin agar pani ke istemal ke zarar ko kisi tareeqe se door kiya jaa sakta ho maslan ye ke pani ko garam karne se zarar door ho sakta ho to pani garam kar ke ghusl kare. Aur jab majboori khatam ho jaye gi to tayammum bhi batil ho jaye ga, aur phir ghusl e janabat anjaam daina zaroori hoga.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #338,356,659,709).
[Updated on 24-Mar-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
122097
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-05-14

Question: Agar Isha ki namaz ma Shaq ai k magribain k lye wuzu kia tha ya nhi toh namazon ka kia hukm h?

Answer: Magharib ki namaz jo parh chuke hain wo sahi hai, lekin ehtiyat e wajib ki bina par wuzu kar ke isha ki namaz dobara parhain.
(Ref: Tauzeeh ul Masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Maslah #303,304).
[Updated on 15-May-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
122152
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-05-26

Question: Aoa! Mera ya sawal Hy k agr ak aurat NY nail polish lagai Howe Hy r usny ghusal b kr Lia namaz b parh li lkin nail polish nae utri wesy hi lagai Hy to is Ka orat k honey waly bachy py Kia asar ho ga r us aurat k liay Kia azab Hy kindly inform me

Answer: Bazat e khud nail polish lagane me koi ghunah nahin ke jis ke asraat bache par muntaqil hon gay.
Han albatta nail polish ki ki wajah se wuzu aur ghusl nahin ho sakta, Q ke nail polish rukawat hay. aur wuzu, ghusl ki sharaait me se aik ye hai ke wuzu, ghusl ke aazaa (parts) par koi aisi rukawat nah ho jo pani ko jism tak puhanchnay nah day. Khawateen ke lie nail polish Lagane ke baad Apne nukhunu ko na-mehram se chupana . Zarori hay .

(Ref: Minhaj us Saliheen, Ayatullah Sistani(d.b), Part #1, Edition #1443 hij, maslah #30. + Tauzeeh ul Masail, Edition #42, maslah #289 to 297,376,377,jadeed masail ,aqa sistani ,jild no.4,pg:17).
[Updated on 26-May-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
122324
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-06-09

Question: Kia face or hath pao per teel laga k wazu ker sakty hain Matlab hath pao per koi bhi oil laga ho to usy Saban sy dohoe Bina wazu kia ja Sakta he?

Answer: Agar baqaaida taur par itna oil lagaya jaye ke paani ke puhunchnay men rukawat bane to wuzu nahin ho sakta, balke wuzu se pehlay use hatana wajib hoga, lekin agar sirf chiknahat hai to is se koi faraq nahin parhay ga Q ke wuzu ke sahi hone ki sharait me se aik shart ye hai ke wuzu ke aaza tak paani puhanchne me koi cheez rukawat nah bane.

(Ref: Mujtahid se poochay gaye sawalaat, Ayatullah Sistani(d.b), part #4, sawal #9, pg #26. + Tauzeeh ul Masail, Edition #42, maslah #289, pg #54, shart #11).
[Updated on 10-Jun-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
122331
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-06-11

Question: Asalam halat e namaz ma agar gas arahe ho our usee ane se rokhe to ky wazu sahi hai

Answer: Riyah (gas) ke kharij hone se wuzu baatil ho jata hai. lekin agar gas ko rok ke rakhen aur kharij nah ho to wuzu sahi hai.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition, #42, maslah #322).
[Updated on 12-Jun-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
122496
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-07-04

Question: Asslaam o alaikum, Kia Oong(neend ka jhatka) Ane se bhi Wuzu Tot jati he ?

Answer: Wuzu ko baatil karne (torne) wali cheezen saat (7) hain in me se aik Neend hai. aur is se muraad aisi neend jis ki wajah se nah ankhein dekh saken aur nah kaan sun saken, lekin agar ankhein nah dekh rahi hon magar kaan sun rahe hon to wuzu baatil nahin hota.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #322)
[Updated on 05-Jul-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
122547
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-07-09

Question: Gusal kia ho or wazoo bhe krlia ho lekin lipstick lagi rehgae ho to kia gusal dubara krna parta h

Answer: 1: Jo cheez badan tak paani puhunchne main rukawat ho to zaroori hai ke insan use hata day aur agar us ke hat jaane ka yaqeen karne se pehlay gusl kare to us ka gusl batil (yani sahi nahin) hai aur dobara ghusl karna hoga.
2: Agar shaq ho ke koi cheez jild tak paani puhunchne main rukawat hai ya nahin to zaroori hai us cheez ko hata day aur pani nichay tak puhunchaye.

(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #289,376,378).
[Updated on 10-Jul-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
122589
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-07-13

Question: Agar ap na mehndi laga li ho or bad ma pata chala ka wo wazoo ma rukawat kar rahi ha or atar bi ni rahi ho to kia huq a shara ho ga . As bar ka liya

Answer: Mehdi ke hawale se sharaei maslah janne ke liye darj zel do link par cilck karen.
link: https://youtu.be/Pvt_avO_nK0
link: https://youtu.be/L9wy47TcLME
[Updated on 14-Jul-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print