Please click the button for Quran o Itrat Academy Whatsapp Channel.
Whatsapp Channel
Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+


Question & Answers << Go Back

Topic: Wuzu Ke Ahkam (271 Questions)


Showing 150- 200 questions from 271 questions on this page.

Answers found for searched words
Id:
94572
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Sar or paon Ka masa Krna Wajib hai yan mustahab

Answer: Sar o paon ka masah karna wajib hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah# 235) Update on dated 07-03-19. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
97337
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2019-07-25

Question: Assalamo alykum. Agr hairs may ya body par kaheen oil ya koi b chiknahat lagi ho or is ko proper soup se remove koy bina gusal-e-janabat kiya jay to kia sirf pani k bahany se gusal ho jay ga?

Answer: Sirif chiknahat say koe faraq nahi parhay ga lekin baqaeda tour par itna oil laga huwa hay kay paani k puhanchnay men rukawat hai to usay hatana zarori hoga. (Ref: Mujtahid say pochay gaey sawalaat part 04, pg#26).
[Updated on 25-Jul-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id:
97738
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2019-07-15

Question: Agar hathon me mehandi lgi ho to kea ghusle haiz ho sakta ha?

Answer: Agar mehandi ki wajah se wuzu, ghusl k aaza tak paani pouchne me koe rukawat nah ho to wuzu sahi hai. (Ref: ayatullah sistani d b tauzeehul masael 41st edition before maslah#289).
[Updated on 15-Jul-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
97834
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2019-06-24

Question: kya uzw e tanasal ko bina kapray k hath laganay se wuzu toot jata hay????

Answer: Jee nahi, ye mubtilaat e wuzu mai sai nahi hai lehaaza is sai wuzu baatil nahi hota.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition#41, maslah#322)
[Updated on 24-Jun-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
100029
Mujtahid:
Date:

Question: Wuzu kin kamo ke liye zaruri hai?

Answer: 6 cheezo k liay wuzu zarori hay:
1)namaz e mayyit k alawa wajib namazo k liay. Mustahab namazo k liay wuzu sahrt e sehat hay.
2) bhole hoay sajde or tashahud ko anjam daine k liay jabkeh on k or namaz k darmiyan koe hadas is se sarzad hoa ho hoa ho maslan os ne peshab kia ho magar sajdah e sahv k liay wuzu karna wajib nahi.
3)Khana e kaaba k wajib tawaf k liay jo hajj or umra ka juz hota hay.
4) wuzu karne ki nazar ki ho ya ehed kia ho ya qasam khae ho.
5) jab kisi ne manat maani ho keh maslan quran majeed ka bosa lay ga.
6) Najis shuda Quran majeed ko dhoone k liay ya baitul khalaa waghaira se nikaalne k liay jabkeh mutaalliqa shaks majbor ho keh is maqsad k liay apna hath ya badan ka koe or hissa Quran majeed k alfaz se mask are laikin. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 41th edition, maslah #315). Update on dated 07-09-19. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
102524
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-08-30

Question: In winter is it comulsery to wash feet in each wazu or can we do away with washing feet?

Answer: According to Fiqh e Jaffaria , You do not have to wash feet while performing wazu, but you have to do massah of feet. (Ref:Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani, Masla no # 235 ).
[Updated on 31-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
102619
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-08-28

Question: Agr kapry py napaki lagi ho tu tajmam ho jata hy

Answer: Wazu ,tayamum aur karne ke liay kapron ka paak hona shart nahi hai.(275-278).
[Updated on 28-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
102655
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Abul Qasim e Khoie Date: 2023-08-26

Question: Aoa. Kya mard ka penis napak hota h ? Matlb usy hath lagany sy hath napak hojata h ya srf us mae sy niklny wala liquid napak hota h ?

Answer: Mard ki sharam-gaah se peshaab o mani ke ilawa 3 esi ratobatain nikalti hain jo nah hi pishaab hota hai or na hi mani, lekin in main se baaz mani jesi or baaz peshaab jesi hoti hain, or wo ye hain, 1 – wadi, 2 – mazi, 3 – wazi, or ye teno paak hain, na in se wazo totta hai, or na hi gusal wajib hota hai. (Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 31 , maslah # 70).
[Updated on 26-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
102752
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-08-23

Question: السلام و علیکم وضو میں منہ کا ایک بار دھونا واجب دوسری بار دھونا مستحب اور تیسری بار دھونا حرام ھے؟ کیا یہ بات درست ھے؟ آغا محمد رضا کراچی پاکستان

Answer: wazu men chehre aur hathon ka ek dafaa dhona wajib, dosri dafa dhona mustahab, aur teesri dafa ya usse ziada baar dhona haram hai. aik dafa dhona us waqt mukammal hoga jab wazu ki niyyat se itna pani chehre ya hath par dale keh woh pani poray chehray ya hath par puhanch jaye aur ahtiyat ke liay koi gunjaish baqi na rahe lihaza agar pehli dafa dhone ki niyyat se das baar bhi chehre par pani dale take pani tamam maqamat tak puhanch jaye to usme koi haraj nahi hai aur jab tak wazu karne ya chehray dhone ki niyyat na kare pehli baar dhona shumar nahi hoga , lihaza agar chahe to chand baar chehre ko dho le aur akhri baar chehre dhote waqt wazu ki niyyat kar le lekin dosri dafa dhone mein niyyat ka moutabar hona ishkal se khali nahi hai aur ahtiyat e lazim yeh hai keh aik martaba chehre ya hathon ko dho lene ke baad dosri baar dhone ke liay aik baar se ziada na dhoye agar cheh wazu ki niyyat se na bhi ho. (ref : Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani, tauzeeh ul masail, edition 41, masla no 247 ).
[Updated on 24-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
102767
Mujtahid:
Sunni Date: 2023-08-22

Question: Namz k Duran nak mao khun aje tu wazu tOt jata h starting se namz phrna h phir?

Answer: jee nahi is se wazu nahi toot ta hai aur namaz sahi hogi.(Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani, Tauzeeh ul masail, Masla no 322 Mafhoom e masla).
[Updated on 22-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
102785
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2020-01-02

Question: Kya m namaz beemari ki halat m prh skta hn? mjy peshab ka msla h uski wjha sy nlki lgi hwi h?

Answer: Agar paishaab k qatre aanay ki bimaari ho tu agar osay ye yaqeen ho k namaz k awwal waqt say lay ker aakiri waqt tak osay itna waqfa(time) mil jaay ga keh wuzu ker k namaz perh sakay tu zarori hay k is waqfay k doraan namaz perh lay or agar ossay sirif itni muhlat milay jo namaz k waajibaat ada kernay k liay kaafi ho tu is doraan sirif namaz k waajibaat injaam day or zarori hay k mustahab kaam maslan azaan,iqamat or qunoot ko chorh day. laikin zarori hay k namaz say pehlay apnay kaprhay, badan ko paak ker lay.(Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah#306).jis ko ya bimari ho to namaz kay doran lazim nahi hay ky pishab hony ki waja say dobara wazu karay.(Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah#307)
[Updated on 03-Jan-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
102845
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-08-22

Question: Assalaamun Alaikum, Meherbani farma ker ye bata dain ke kia mozay/juraabain pehen ker wuzu ho sakhta hai, kia mozon ke saath pairoon ka masa ho sakhta hai? Wussalaam.

Answer: Mozay or jootay par masah karna sahi nahi hai, haan aisi sardi ho k mozay utarna mumkin nah ho to phir ehtiyaat e wajib hai k mozay par masah karay or saath main tayammum bhi karay.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 39 maslah no 258).
[Updated on 22-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
103011
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-08-18

Question: Salam, Sir Mera Sawal Yea Hai, Agar #Bemari Ki Halat Mei Ghusal Wajib Ho Jai Aur Bemari Be Is Tarhan Ki Ho Kay Pani Say Mazeed Pheti Ho Aur Doctors Nay Nahanay Say Sakht Mana Kiya Ho Kay, Agar Nahao Gy To Bemari K Barhny Ka 100% Chance Hai, To Sir Aab Is Condition Mei Pak Hony K Liye Kya Kiya Jana Chahiye... Sir Request Hai Reply Jaldi Kijiye Ga, Shukriya.

Answer: 1.jis shaks ko khauf ho keh wazu karne se beemar ho jayega ya us pani se wazu kare ga to piyasa reh jayega to is ka fareeza wazu nahi hai aur agar ise ilm na ho keh pani is ke liay muzir hai aur woh wazu kar le jabke wazu karna us ke liay waqiatan nuqsandeh tha to us ka wazu batil hai.
2.woh tamam sharait jo wazu ke sahih hone ke liay batayi ja chuki hain wahi sharait ghusal ke sahih hone ke liay bhi hain.
3.zaroori nahi keh kisi shaks ko yaqeen ho keh pani us ke liay muzir hai balkeh agar zarar ka ehtimal ho aur yeh ehtimal aam logon ki nazron men maaqool ho to tayamum karna zaroori hai.
(Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani, Tauzeeh ul masail, masla no 287,379,660).
[Updated on 19-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
103056
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-08-18

Question: Mujhe sardi se allergy hai .Or kai dafa me namaz nahi padh pata hu iski vajah se to kya me bina vuzoo ke bhi namaj padh sakta hu kya bistar me baith kar hadis ki roshni me mujhe please samjhaye.

Answer: agar pani ka istemal kisi shaks ke liye jaan lewa ho ya us ke badan mein kisi aib ya marz ke paida hone ya maujoodah marz ke toolani ya shadeed ho jane ya ilaj mualijah mein dushwari paida hone ka sabab ho to us ke liay zaroori hai keh tayammum kare. lekin agar pani ke zarar ko kisi tariqay se door kiya ja sakta ho masaln yeh keh pani ko garam karne se zarar door ho sakta ho to pani garam kar ke wazu kare. (Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani, Tauzeeh Ul Masail, Masla no # 659)
[Updated on 19-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
103072
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-08-18

Question: Hair par agar colour material mujod hu to kia esky sarh nimaz ada hu sakte hai

Answer: jee han , kyun ke yeh namazi ki sharait me se nahi hai. (Laikin ye color wuzu ya gusal me pani pouchne me rukawat na ho .(Mafhoom e Masla) (Ref : Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani, Tauzeeh Ul Masail, Masla no # 787).
[Updated on 19-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
103080
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-08-20

Question: Agr wazo krny ky bad moo pr jo dany hoty hn un sy thora sa khoon nikal aye to wazo toot jye ga

Answer: jee nahi apka wazu sahi hai , kyun ke yeh mubtilat e wazu me se nahi hain. (Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani, Tauzeeh Ul Masail, Maslah No 322 ).
[Updated on 21-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
103173
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2020-01-16

Question: Nafl parhne k liye wazu krna zarori hai???

Answer: Mustahab namaaz k liye wuzu shart e sehat hai.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 315).
[Updated on 16-Jan-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
103175
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2020-01-16

Question: Aoa sir nikah ki rat nafal parhne k liye wazu krna zarori hai???

Answer: Mustahab namaaz k liye wuzu shart e sehat hai.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 315).
[Updated on 16-Jan-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
103272
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2020-01-25

Question: Aslm u alykm main ny pochna tha k agar hum wazu kerny k bad nailpolish laga lyn...usk bad dusri namzon k wazu k liye nailpolish utar k wazu krna hga yan aisy wazu hojay ga nailpolish m?

Answer: Agar aap ka wuzu baqi hai dusri namaz k liay to wuzu ki zaroorat nahi hai, warna phir aap ko wuzu karna parhega aur us k liay Q keh nail polish rukawat banti hai is liay nail polish ko hatana hoga , Q keh yeh wuzu ki sharait me se hai ke wuzu k aaza tak pani puhanchne me koi rukawat na ho.(Ref: Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani, Tauzeeh ul masail, Masla no # 289).
[Updated on 25-Jan-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
103490
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2020-02-20

Question: Aoa myra sawaal ya ha k hum jahan basin per wazu karty hain agar chooty bachy ko wahan peshab ya pampers k liy wash kiya jay tu wahan wazu hu jy ga?

Answer: 1) Wuzu ho jaey ga, wuzu k liay basin ka paak hona zaruri nahi hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #264-297,322).
2) Jo cheez aisay sheerkhaar lerkay ya lerki k paishab se najis ho jay jis ne dhoodh k alawa koe ghiza khana shuru nahi ki ho, agar os per aik dafa pani, agarchah kam ho, is terah dala jay k tamaam najis maqamaat per pohanch jay tu wo paak ho jay gi laikin ehtiyaat e mustahab ye hay k mazeed 1 baar os per paani dala jay. Libaas, qaleen or dari waghaira ko nichoorhna bhi zarori nahi hay.
( Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 155,162)
[Updated on 20-Feb-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
103526
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2020-02-17

Question: mery sath kuch aesi kefiyat he k main peshab kr k ajat hon phir jab koi zor wala kam krta hon to kuch qatry phir se kharij ho jaty hen to aesy me namaz ki pabandi kesy mumkin he?

Answer: Agar paishaab k qatre aanay ki bimaari ho tu agar osay ye yaqeen ho k namaz k awwal waqt say lay ker aakiri waqt tak osay itna waqfa(time) mil jaay ga keh wuzu ker k namaz perh sakay tu zarori hay k is waqfay k doraan namaz perh lay or agar ossay sirif itni muhlat milay jo namaz k waajibaat ada kernay k liay kaafi ho tu is doraan sirif namaz k waajibaat injaam day or zarori hay k mustahab kaam maslan azaan,iqamat or qunoot ko chorh day.laikin zarori hay k namaz say pehlay apnay kaprhay, badan ko paak ker lay.(Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah#306).jis ko ya bimari ho to namaz kay doran lazim nahi hay ky pishab hony ki waja say dobara wazu karay.(Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah#307).
[Updated on 17-Feb-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
103537
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2020-02-15

Question: doran e namaz ya wazoo krne ke bad zra brabar bhi gass kharij ho jae ya andesha ho ke gass kharij hone wala hai to kya wazoo toot jaega?

Answer: 7 chezain wuzu ko batil karti hain. agar in 7 main sa koe bhi cheez ho jaay tu wuzu batil ho jata ha. 1)peshab 2) pakhana 3)riyaah(gas)(yani mayday or aanto ki wo hawa jo maq,ad se kharij hoti hay) kharij hone se wuzu batil hojata hay 4) Wo neend jis ki wajah se aakhain nah daikh sakain or nah kaan sun sakain tu aisi neend se wuzu batil hojata hay. Laikin agar aankhain nah daikh rahi hoon magar kaan sun rahay hoon tu wuzu batil nahi hota. 5)aisi halat jis se aqal zaa,il ho jaay 6)aurat ka istehaza 7)janabat. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 322).
[Updated on 15-Feb-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
103621
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2020-02-10

Question: salam dear may jab peshab karta ho pir khob kosish kar ky k koi qatra na rih jy pir wozoo kar ky pir jab nimaz k liy kara hota hon to sijdy my ya rokogh my pir ik qatra nikal jata hay to kiya karo mara nimaz ho jata hay ki nahi sir mera rehnomai kary

Answer: Agar koi aise marz me mubtela ho k ise peshaab k qatre ghairte rehte ho to Agar use ko Yaqeen ho kay Namaz kay Awwal e Waqt say lay kar Akhir e Waqt tak us ko itna waqfa mil jaey ga kay wuzu kar kay Namaz parh sakain to zaroori hay kay waqfay kay doraan namaz parh lain aur agar us ko sirf itni muhlat milay jo namaz kay wajibaat ada karnay kay liye kaafi ho to is doraan sirf namaz kay wajibaat anjaam day aur zaroori hay kay Mustahib Afaal masalan AZAN, IQAMAT aur QUNOOT ko tark kar day. Agar us ko Wuzu kar kay Namaz ka kuch hissa parhnay ki muhlat milti ho aur Namaz kay dooran aik martaba ya chand martaba Peshab kharij hoti ho to Aihtiyat e Lazim ye hay is muhlat kay dooraan wuzu kar kay Namaz parhay laikin Namaz kay doraan Lazim nahi hay kay Peshab kharij honay ki wajah say dobara wuzu karay. jis shakhs ko peshab qatra qatra aata rehta ho to os k lie zaroori hai k namaz k lie aisi thali istemal karay jis mai rui(cotton) ya koi aur cheez rakhi ho jo peshab ko doosri jighoo tk pouchnay sai rokay aur ehtiyat e wajib ye hai k har namaz sai pehlay najis shuda maqam ko dho lay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 306-311)
[Updated on 10-Feb-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
103972
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2020-02-24

Question: Aoa.... Kya kitchen m wazoo kiya jaa sakta hai..... ?

Answer: Jaiz hay.(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail, edition#42, maslah#854-879).
[Updated on 24-Feb-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
103991
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-08-17

Question: Question: Agar admi k jisam k Koch hesy k leye pane acha na ho yene pane jazab karty ho our is sorat adme apne beve sa humbestare Kary to ghosal kasy? Reply me quick sir G

Answer: Agar pani ka istemal kisi shaks ke liye jaan lewa ho ya us ke badan mein kisi aib ya marz ke paida hone ya maujoodah marz ke toolani ya shadeed ho jane ya ilaj mualijah mein dushwari paida hone ka sabab ho to us ke liay zaroori hai keh tayammum kare. lekin agar pani ke zarar ko kisi tariqay se door kiya ja sakta ho masaln yeh keh pani ko garam karne se zarar door ho sakta ho to pani garam kar ke wazu kare. (Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani, Tauzeeh Ul Masail, Masla no # 659)
[Updated on 17-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
103992
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-08-17

Question: Question: Agar admi k jisam k Koch hesy k leye pane acha na ho yene pane jazab karty ho our is sorat adme apne beve sa humbestare Kary to ghosal kasy? Reply me quick mujtahid sir G

Answer: agar pani ka istemal kisi shaks ke liye jaan lewa ho ya us ke badan mein kisi aib ya marz ke paida hone ya maujoodah marz ke toolani ya shadeed ho jane ya ilaj mualijah mein dushwari paida hone ka sabab ho to us ke liay zaroori hai keh tayammum kare. lekin agar pani ke zarar ko kisi tariqay se door kiya ja sakta ho masaln yeh keh pani ko garam karne se zarar door ho sakta ho to pani garam kar ke wazu kare. (Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani, Tauzeeh Ul Masail, Masla no # 659)
[Updated on 17-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
103993
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ruhollah Khomeini Date: 2023-08-17

Question: Question: Question: Agar admi k jisam k Koch hesy k leye pane acha na ho yene pane jazab karty ho our is sorat adme apne beve sa humbestare Kary to ghosal kasy? Reply me quick sir G

Answer: agar pani ka istemal kisi shaks ke liye jaan lewa ho ya us ke badan mein kisi aib ya marz ke paida hone ya maujoodah marz ke toolani ya shadeed ho jane ya ilaj mualijah mein dushwari paida hone ka sabab ho to us ke liay zaroori hai keh tayammum kare. lekin agar pani ke zarar ko kisi tariqay se door kiya ja sakta ho masaln yeh keh pani ko garam karne se zarar door ho sakta ho to pani garam kar ke wazu ya gusl kare. (Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani, Tauzeeh Ul Masail, Masla no # 659)
[Updated on 17-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
104013
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-08-16

Question: Question: Agar admi k jisam k Koch hesy k leye pane acha na ho yene pane jazab karty ho.yene hat tota ho our plastar ho our is sorat adme apne beve sa humbestare Kary to ghosal kasy Kary? Reply me quick sirG.

Answer: Agar haddi toti ho zakham nah ho tu ghusl kia jaey or jabira k oper geela hath phiara jaey. Jabira per plastic bhi bandhi ja sakti. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael jaame, Mafhoom e Maslah #391).
[Updated on 16-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
104074
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2020-02-27

Question: Ky bina wazu k yaseen pad sakte hain jo dusre kitaab me english me likhi gayi ho?

Answer: 1) Jo shakhs ba-wazoo na ho Us k lie Quran majeed k alfaz ko mas karna haram hai. laikin agar Quarn majeed ka farsi zaban ya kisi aur zaban me tarjuma kiya gaya ho us ko mas kar sakte hain. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 316)
2) Baz faqha kehtay hein k Quran parhnay k lie wazu karna mustahib he. Lakin ye wazu mustahib hona sabit nahi he. Albetta agar koi shakhs mustahib honay k ethimal honay k sath wazu karay to os ka wazu sahi he. Aur is wazu k sath har wok am kar sakhta he job a wazu ho kar karna zurari he maslan is wazu k sath namaz parh sakhta he. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 321).
(Note: Jee han Aap parh sakti hain.)

[Updated on 27-Feb-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
104102
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ruhollah Khomeini Date: 2020-02-29

Question: Mera sawal ye hy ke kya Paon ka masah krnay ke baad paon dho skatay hain?

Answer: Jaiz hay.(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail, edition#42, maslah#275).
[Updated on 29-Feb-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
104231
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2020-03-03

Question: Aoa, aksar wuzu ki halat mein, mein social media use kr raha hota hn, to us pa aksar kuch nazaiba pictures a jati hain, ya ad's a jaty hain kuch na munsib, kya un pa nazar parhnay sy wuzu toot jata ha?

Answer: Jee nahin is se wuzu batil nahin hota, 7 chezain wuzu ko batil karti hain. agar in 7 main sa koe bhi cheez ho jaay tu wuzu batil ho jata ha. 1) peshab 2) pakhana 3) riyaah (gas) (yani mayday or aanto ki wo hawa jo maq,ad se kharij hoti hay) kharij hone se wuzu batil hojata hay 4) Wo neend jis ki wajah se aakhain nah daikh sakain or nah kaan sun sakain tu aisi neend se wuzu batil hojata hay. Laikin agar aankhain nah daikh rahi hoon magar kaan sun rahay hoon tu wuzu batil nahi hota. 5) aisi halat jis se aqal zaa,il ho jaay 6) aurat ka istehaza 7) janabat. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 322)
[Updated on 03-Mar-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
104297
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-08-05

Question: ghusal khana mein wazoo karna chahiye kya nahi chahiye

Answer: Jee han Gusl khane mai wazoo kia ja sakta hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 235-343)
[Updated on 05-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
104347
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Abul Qasim e Khoie Date: 2023-08-05

Question: Salam mera sawal yea hai ke husband apni wife ki sharam ghah ko chat sakta hai agar chat sakta hai to kise book se sabit hai

Answer: W/Salam, Mard ki mani najis hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 84)
2) Shohar or biwi aik dosray ki sharamgaah ko monh (mouth) laga saktay hain, magar ye k sharamgaah say nikalnay wali ratoobat Halaq mian nah jaay. q k khud sharamgah najis nahi hai balkeh us sai niklnay wali ratubat najis hai. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Istiftaat I-2,I-15).
[Updated on 05-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
104352
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-08-04

Question: AoA, Ajkl jo bathroom me besan lgay hotay han jin me wuzu b kr lete han waha chotay bchay ki poti dhotay han aksar khawateen. To kya esay besan me wuzu jaiz ha jis me poti b dhoi jati ho bchay ki.

Answer: Jaiz hai. (Ref: Mafhoom e Email rcvd from Ayatullah Sistani d.b).
[Updated on 05-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
104454
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2020-03-12

Question: Sir mera sawal ye hai ki WASHROOM k andar washbasin hai to agar us washbasin me main agr wuzuh karu to mera wuzuh hoga ya nahi?

Answer: Jee han, washroon me wuzu Jaiz hai. (Ref: Mafhoom e Email rcvd from Ayatullah Sistani d.b).
[Updated on 13-Mar-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
104560
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2020-03-18

Question: Agr makeup se pehle wazu kiya ho aur wazu na rahe to tayammum kr k namaz parhi ja skti hai???

Answer: Jee nahin, dobara wuzu kar k namaz perhna ho gi. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 322)
[Updated on 18-Mar-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
104584
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2020-03-18

Question: Sir muje lekoria problem ha.gela pan sa feel hta ha.her namaz k sath shalwar bdalna kia lazmi ha????

Answer: Note: Likoria (safeed yellow color ki ratubat) mani nahi hay. Ye paak hay or is k aanay se ghusl bhi wajib nahi hota.or aap inhi kaprho main namaz perh sakti hai. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), email rcvd)
[Updated on 18-Mar-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
104596
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2020-03-19

Question: Salam.. Main apse pochna chahta hu k agr hath pay ball point ki ink lagi ho maslan lakeerain hu tou kya wo mitaye bagair ghusal ho sakta? Matlab agr pata na chalay k ink lagi hay aur ghusal karlia jaye tou kya ghusal hoga?

Answer: Agar lakeerain itni ziyada hon ke ghusl k aaza tak paani pouchne me rukawat dalain to gusl sahi nahin hai laikin agar rukaawat na dalain to gusl sahih hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, before maslah # 289,373,377)
[Updated on 19-Mar-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
104602
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2020-03-19

Question: Askm... Meri bohot hi azeeb sawal hi... Mai peshab ke baad safayi ke sath waju karti hu magar thodi der baad bina control ke ya beech namaz me 2 Or 5 drops of urine nikal jata hi kyu kiya mai over weight hu.doctors is prblm ke liye wazan kam karo bole magar uske liye 1 saal lagega... Aise me waju baar baar karne se our baar baar tahrat dhone se din me 4 6 times paijama badal rahi hu... Iska sulajh kyahi kya waju jayas hai

Answer: Agar koi aise marz me mubtela ho k ise peshaab k qatre ghairte rehte ho to Agar use ko Yaqeen ho kay Namaz kay Awwal e Waqt say lay kar Akhir e Waqt tak us ko itna waqfa mil jaey ga kay wuzu kar kay Namaz parh sakain to zaroori hay kay waqfay kay doraan namaz parh lain aur agar us ko sirf itni muhlat milay jo namaz kay wajibaat ada karnay kay liye kaafi ho to is doraan sirf namaz kay wajibaat anjaam day aur zaroori hay kay Mustahib Afaal masalan AZAN, IQAMAT aur QUNOOT ko tark kar day. Agar us ko Wuzu kar kay Namaz ka kuch hissa parhnay ki muhlat milti ho aur Namaz kay dooran aik martaba ya chand martaba Peshab kharij hoti ho to Aihtiyat e Lazim ye hay is muhlat kay dooraan wuzu kar kay Namaz parhay laikin Namaz kay doraan Lazim nahi hay kay Peshab kharij honay ki wajah say dobara wuzu karay. jis ko peshab qatra qatra aata rehta ho to os k lie zaroori hai k namaz k lie aisi thali istemal karay jis mai rui(cotton) ya koi aur cheez rakhi ho jo peshab ko doosri jighoo tk pouchnay sai rokay aur ehtiyat e wajib ye hai k har namaz sai pehlay najis shuda maqam ko dho lay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 306-311)
[Updated on 20-Mar-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
107569
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2024-03-22

Question: Assalam o alaikum,kya wazu karte waqt sar per rubatta hona zaroori hai

Answer: ye zaruri nahin hai, han agar jahan aap wuzu kar rahi hain wahan koi na-mehram bhi mojod hai to un se parda karna zaruri hai.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatollah seestani edition 39 maslah #322,2397).
[Updated on 23-Mar-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
107836
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Abul Qasim e Khoie Date: 2023-08-04

Question: Can we recite drood without wozu

Answer: G han wuzu ke bager drood parh sakte hain, Jab bhi Insan Hazrat Rasool e Akram s.a.w.w. ka ism e Mubarak maslan Muhammad s.a.w.w. , Ahmed s.a.w.w. ya laqab aur quniyat maslan Mustafa s.a.w.w. , aur Abul Qasim s.a.w.w. zaban say ada karay ya sunay to chahay wo namaz may hi q na ho mustahabb hay k dorood bhejay. (Ref:A.Sistani(d.b),Tauzee hul masa,il, maslah# 1111).
[Updated on 04-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
108234
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2020-06-30

Question: Kya pair ke ghutne khule ho to waju ho jayegi

Answer: Jee jee wuzu ho jaey ga is mai koi haraj nahi ye cheez wuzu k batil hone ka sabab nahi hai,(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 322)
[Updated on 30-Jun-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
108408
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2020-06-19

Question: Bhol k bina wazo namaz adda ker li to wo namaz ho jay ge ya phr sy wazo kr k prhni chy

Answer: Dobara wuzu kar k namaz ada karni hogi.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 315).
[Updated on 19-Jun-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
108775
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2020-08-11

Question: 1 dafa wozu karne se poora din nemaz ada kar sakte Han.

Answer: agar wuzu barqaraar hai yaaney poora din mubtilaate roza mai sai koi kaam anjaam nahi dia hai jese peshaab ,pakhana, aise sona k aankh dekh na sakay or kaan sun na sakay wagaira.....tou phr usi wuzu sai namaz anjaam di jaa sakti hai.Ref:(tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 315,322).
[Updated on 11-Aug-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
108891
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2020-07-10

Question: Kya nailpaint lgi hone pr gusl jaiz hai

Answer: Agar wo paani k pohanchne mai rukaawat hai tou pehle usay hatana zaroori hai. (Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 376).
[Updated on 10-Jul-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
108898
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2020-07-11

Question: Assalamualaikum kya mobile use krny sy wazu sy wazu toota hai or kya mobile py scroll krty kch dikh jaye lkn intension sy nhi bs nazar sy guzar jaye ghlt pic ya kch bhi ksi ki tu kya wazu toot jata hai?

Answer: wsalam. Jee nahi ye mubtilaate wuzu mai sai nahi hai.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 322).
[Updated on 11-Jul-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
109225
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2020-07-23

Question: Nikah k lia wozu ka kana zarori ha k nai?

Answer: zaroori nahi hai.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 2335).
[Updated on 24-Jul-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
110166
Mujtahid:
ahmed bin hambal Date: 2023-08-04

Question: mera sawal hai k mere wash room me meri biwi bachy ko aksar taharat krwati hai r nehalaati hai. kya us basin me wazu ho skta hai. agar wash basin saaf hai koi nishaan nahin hai ghalazat ka taharat r ghalazat waly kpre wash krne k baad to kya wazu ho skta hai.

Answer: Jee han, us basin me wuzu kia jasakta hai.(Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Touzih ul Masail, Edition 39th, Masala #155)
[Updated on 04-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
110288
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-10-21

Question: As salaam waliakum Maine Apne hath pe beta ka Ma'am we tattoo banaya hai. Wo MERI nadani thi ab mai kya Karu.

Answer: 1)Tattoo banana jaiz hai magar: 1)wuzu ya ghusl k liye pani pouchnay mai rokuwat na ho. 2)gunah mai parhnay ka khof na ho. 3)tattoo sai galat aqaid ki tarweej na ho. 4)Allah ka nam ya quran ki koi ayat na ho. 5)aurat k lie agar zeenat shumar ho to na mehram sai chupana wajib hai.(Ref : email rec from ayatollah sistani d.b.)
2)Agar (wuzu ya ghusl me) pani phochne me rukawat ho to use hatana zaroori he. (ref: mujthid se puchhe gaye sawala part 2 page no 27 Aytullah Seestani (d.b.)
[Updated on 21-Oct-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
110457
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-09-30

Question: Assalam O Alaikum . Janaab mjhe bar bar peshab k katre aanay ka waswasa hota hai aur katre aate bhi hain aur kapdon per katre dirham se kam miqdar main lagte hain to isko dhonay ka kya hukum hai ya srf paani ki cheeton se paak kren . ?

Answer: Agar koi aise marz me mubtela ho k ise peshaab k qatre ghirte rehte hon to Agar use ko Yaqeen ho kay Namaz kay Awwal e Waqt say lay kar Akhir e Waqt tak us ko itna waqfa mil jaey ga kay wuzu kar kay Namaz parh sakain to zaroori hay kay waqfay kay doraan namaz parh lain aur agar us ko sirf itni muhlat milay jo namaz kay wajibaat ada karnay kay liye kaafi ho to is doraan sirf namaz kay wajibaat anjaam day aur zaroori hay kay Mustahib Afaal masalan AZAN, IQAMAT aur QUNOOT ko tark kar day. Agar us ko Wuzu kar kay Namaz ka kuch hissa parhnay ki muhlat milti ho aur Namaz kay dooran aik martaba ya chand martaba Peshab kharij hoti ho to Aihtiyat e Lazim ye hay is muhlat kay dooraan wuzu kar kay Namaz parhay laikin Namaz kay doraan Lazim nahi hay kay Peshab kharij honay ki wajah say dobara wuzu karay. jis shakhs ko peshab qatra qatra aata rehta ho to os k lie zaroori hai k namaz k lie aisi thali istemal karay jis mai rui(cotton) ya koi aur cheez rakhi ho jo peshab ko doosri jighoo tk pouchnay sai rokay aur ehtiyat e wajib ye hai k har namaz sai pehlay najis shuda maqam ko dho lay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 306-311) .
[Updated on 30-Sep-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print