Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+


Question & Answers << Go Back

Topic: Ghusl K Ahkam (736 Questions)


Showing 350- 400 questions from 736 questions on this page.

Answers found for searched words
Id:
93264
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ruhollah Khomeini Date: 2018-11-23

Question: Assalam o alaikum Q1.hambistri aur ehtalam Waly ghusal me aur usky tareeqa me Kia farq hai? Q2.ghusal me Poory jism pe 1 baar Lani bahana chahiey ya 3 baar? Please details se bataen Q3.hambistri K baad ghusal me koi takheer ki gunjaesh hai ya Nai? Yani Raat ko hambistri ki ho to subha ghusal kea ja skta hai? Hum deobandi girls se taaluq rakhty hain.

Answer: yahan fiqah jaffriaa kay mutabiq jawabat diay jaty hen.
[Updated on 23-Nov-2018 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
93274
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2018-11-24

Question: Kindly let me know face ki shave Karne send ghusul wajab ho jata he ?

Answer: Nahi is say ghusl e wajib nahi hota lekin ehtiyaat e wajib ki bina thorhi(chin) ki darhi k baal moondna(shave) jaiz nahi hay. (Ref:Ayat Ullah Khoe(r.a), al-masel ush shariyah,Mafhoom e Question #14).
[Updated on 24-Nov-2018 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id:
93293
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2018-11-27

Question: Salam o Alikum Mainy apsay pehlay bhe sawal poocha tha lakin apka koi jawab nahi aya. Plz reply ker dain Mera ap say ye sawal tha k baz aukat mard apni biwi k sath mohabbat ki batain kerha hota hai or us per shehwat bhe tari hoty hai lakin uska humbistari kerny ka koi irada nahi ho to asi soorat main jo qatry mard k ala e tanasul say nikalty hain us k lia ghusul e janabat kerna chaiye or kapron ko dho k pak kerna chaye ya serf jis jagha qatry giry hon us hissay ko dho k pak kerlena chaiye. Please tafseel say jawab dain.

Answer: Wo rutoobat jo kabhi kabhi shehwat ubharne par mard k aalah-e-tanasul se kharij hoti hai ose mazi kahte hain, wo paak hai chahay jitni miqdar ho. alawah azeen wo rutoobat jo kabhi kabhi mani k bad kharij hoti hai, jise wazi kaha jata hai ya wo rutoobat jo baaz auqaat peshaab ke bad nikalti hai aur jise wadi kaha jata hai, agar peshaab is se nah mila ho to paak hai. Ref: (Aayat-ul-Allah Seestani (d.b), Tauzeehul masael,Edition# 39,Mafhoom e Maslah #70)
[Updated on 27-Nov-2018 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
93329
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2018-11-26

Question: Assalam o Alaikum... Ager fohash film dekhty huay jo liquid nikalta Hai lekin wo pure white Nahi Hai. Agr us ki smell mani se na milti ho or agr milti ho to Kia ghusal farz Hai?

Answer: Agar aap ko yaqeen hia keh yeh ratoobat mani hia to chahe wo uchal kar na bhi nikle ya shehwat key sath na bhi nikle wo mani hi kehlaigi aur najis hogi aur us per gusl wajib hoga. Agar aap key badan se koi ratoobat kharij ho aur aap yeh na jante ho key yeh mani hia ya peshaab ya koi aur cheez to phir in alamaton ko madde nazar rakha jaiga yani aghr wo ratoobat 3 sharton k sath ho to mani ka hukm rakhti hai, 1- shehwat ke sath nikli ho, 2-uchal kar nikli ho, 3- nikalne ke bad badan sust ho gaya ho, lekin ager in 3 alamaton men se sari ki ari ya kuch mojud na hon to wo mani ka hukm nahi rakti.( Ref : Tauzeeh-ul-Masail Agha sistani Prob no 345/351/352)
[Updated on 26-Nov-2018 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
93369
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2018-11-27

Question: Asalamoalaikum mera sawal yeh hai pehle maai wese hi ghusal karta hun achi tarah phir niyath karke jab mai ghusal jannbat karta hun tou bad mai mere dil ma shak jesa hota hai ke mere ghusal howa ya nahi iske bare mai agr batain shukria...

Answer: Ji haan aap ka ghusul sahi hai. ghusl ka tareeqa : Ghusl kernay k 3 tareeqay hain. i) Tertibi(sequence) ii) Irtimasi tadrijee(gradual immersion bath). iii)daf’ee(Immediat immersion bath).Ghusl e tertibi ka tariqah ye hay:-- sab say pehlay ghusl ki niyat say sar(Head) or gardan(Neck) ko mukammal dhoya jaay,or is k baad poray badan ko aik saath dhoya jaay.or behtar ye hay k badan ko do hisso main dhoya jaay pehlay badan ka seedah hissa or baad main ulta hissa.ghusl main naak or moonh main paani daalna wajib nahi hay.ghusl main jism k tamaam hisso tak paani pohanchaana wajib hay ,or agar ghusl k baad yaqeen ho k sar ya garden ka koe hissa khushk hay tu sar ya garden ki sirif osi jagah ko ghusl ki niyat say dhoo ker badan k dono hisso ko dobara say dhoo dain. or agar badan ka koe hissa khushk hay tu ghusl ki niyat say sirif osi hissay ko dhoo lain.(ref: Ayat Ullah sistani(d.b), tauzee hul masail,maslah#360-365). (Aur gusl ki niyat) Ye zurari nehai ke gusl ke waqt ye niyat karay ka wajib gusl kar reha he bulka faqat qurbatan illaha yani bargah e ellahi me farotni or aajzy ke ireda se gusl karay to kafi ha. (ref : tauzeeh e ul masayl ayat ullaha sistani (d.b.) masla # 357)
[Updated on 27-Nov-2018 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
93385
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2019-02-07

Question: Sex aur period ka saath me gusul kya padkar kare plz baathaye

Answer: Aap in dono ghusl k ko aik sath niyat ker k aik ghusl kar sakti hain.(Ref:Aayat-ul-Allah Seestani (d.b), Tauzeehul masael,Edition# 41,Mafhoom e Maslah # 387)
[Updated on 07-Feb-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
93469
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2018-12-14

Question: Assalamu alaikum mera question ye he ki kabhi kabhi mera spurm drop barabr bund barabar bahr aa jata he or vo underwear me lag jata he kya use wash kerke namaj ada kre ya underwear change kerke namaj ada kare ya gusal kerna farz ho gya gusal kerke namaj ada kren ya usko saf kerke or jaha na paki lagi ho use saf kerke namaj ada ker skte he plz help me isse meri kayi namaj kaza ho rhi he

Answer: Agar mani kharij ho tu ghusl e janabat karna hoga or libaas k jis hissay par bhi mani lagi hai us ko paak kar k us main namaz parhi ja sakti hai.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 39 maslah no 344)
[Updated on 14-Dec-2018 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
93490
Mujtahid:
Date: 2019-01-04

Question: Assalam o Alaikum, mera sawal ye ha k ager pishab k sath mazi ya wadi nikly to kia ghusul wajib ha or agr mani nikly to kia us pe b ghusul wajib hai?

Answer: agar paishab k sath mazi ya wadi nikle tu ghusl wajib nahi hoga. Haan agar mani nikle tu ghusl wajib hoga. (Ref ayat ullah sistani d b tauzee hul masail edition 36th maslah 344 update on dated 13 02 17
[Updated on 03-Jan-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
93516
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2018-12-12

Question: Asslam o Alaikum kya peshab ya pakhane k baad mani jesa maada nikle lekin na shehwat ho na uchal kar nikle na us mein badbo ho aur peshab k sath hi aksar mila hua ho to uske nikalne k baad sharamgah ko saaf kar k mard ko Namaz k liey wazoo karna chahiey ya ghusal? JAZAKALLAH

Answer: W.Salam
Agar aap ko yaqeen hia keh yeh rotoobat mani hay to chahay wo uchal kar na bhi nikle ya shehwat k sath na bhi nikle wo mani hi kehlaigi aur najis hogi aur us per ghusl wajib hoga agar aap k badan se koi rotoobat kharij ho aur aap yeh na jante ho key yeh mani hia ya peshaab ya koi aur cheez to phir in alamaton ko madde nazar rakha jaiga yani aghr wo ratoobat 3 sharton k sath ho to mani ka hukm rakhti hai 1 shehwat ke sath nikli ho 2 uchal kar nikli ho 3 nikalne ke bad badan sust ho gaya ho lekin ager in 3 alamaton men se sari ki ari ya kuch mojud na hon to wo mani ka hukm nahi rakti.
Ref: tauzeeh ul masail agha sistani prob no 345 351 352 updated on 26 nov 2018 khuda aap ko uloom e aal e muhammad s a w w sekhne ka ajar ata farmaey.
[Updated on 12-Dec-2018 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
93530
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2018-12-12

Question: Asalamalikum kia srf sex kay baray may soch kar kuch drops aajatay hai jis may lust hota hai wo najis hai aur pata nai chal pata wo mani hai ya nai aur is par gusal e janabat wajib ho jata hai aur agar wo drop pak hai aur wo kapro par lag gay to kia hukum hai? gusal e janabat shawar say kar sakhtay hai ya balti say?

Answer: Agar kisi shakhs kay badan say koi ratoobat kharij ho aur wo ye na janta ho kay mani hay ya peshab ya koi aur cheez,agar wo ratoobat shehwat keh saath aur uchal kar nikli ho aur us kay nikalnay kay baad badan sust hogaya ho to wo rutoobat mani ka hukum rakhti hay laikin agar in teen alamaat main say saari ki saari ya kuch maujood nah hoon to wo mani ka hukum nahi rakhti, Laikin agar insan beemar ho to zaroori nahi hay keh wo rotoobat uchal kar nikli ho aur us kay nikalnay kay waqt badan sust bhi ho jaey balkay sirf shehwat kay niklay to wo bhi mani ka hukum rakhay gee.Wo ratoobat jo khabi kabar shewat ubhrnay par mard ki sharamgah sai kharij hoti hai osi mazi kehtay hain aur wo paak hai. Aur wazoo ko bhi batil nahi karti (namaz parh saktay hain.)aur wo ratubat jo kabhi kabhi mani k baad kharij hote hai jise wazi kaha jaata hai.ya Wo ratoobat jo baz awqat peshab k bad niklti hai osay wida kehtay hain agar is sai peshab mila hua na ho to pak hai is k alawa is sai ghusl wajib nahi hota hai mazeed ye k jab kise shaks ne pheshaab k baad astabra kiya ho aur is k baad istabra kiya ho aur is k baad ratubat kharij ho jis k bare me shak ho k wo peshaab hai ya maskora baala 3 ratoobato me se kohe aik to wo paak hai. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #70,345).
[Updated on 12-Dec-2018 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
93531
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2018-12-08

Question: Kya kisi napak insan ko hath lgany se wo insaan bhe napak ho jata hai jis ne hath lgaya ho

Answer: Agar napaak insan se murad ye hay k jis par ghusl e janabat wajib hay tu os insan ko chone se koe insan najis nahi hota. (Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 39 maslah no 119)
[Updated on 08-Dec-2018 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
93596
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2019-02-05

Question: Agr sex chat karo ya gandi video dekho tw mazi niklti hai usky gusal wajib hai ya woh jagah pak kar ky namaz ada kar li jaye

Answer: 1-Jinsi film (sexy video) ya (sexy) tasaveer ko shewat k sath nazar karna haraam hai balke Ehteyat wajib ki bina per fahash filmoo aur tasweeron ka beghair shewat k dekhna bhi haram hai. (Ref : Mujtahid se pochay gaey sawalaat, roza, sawaal # 166,pg:82).
2-Mazi paak hai osi haalat mai namaz parhi jaa sakti hai.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 70).
[Updated on 05-Feb-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
93636
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2019-01-24

Question: مزی کے نکلنے سے آدمی ناپاک ہوجاتاہےکیا

Answer: Agar paishab k sath nah aay tu mazi paak hai or is sai ghusl wajib nahi hota.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 39 maslah no 70).
[Updated on 24-Jan-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
93742
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2019-02-04

Question: sir jb call pe larki sy bat krty howy nafs sy pani nikal ay to kia wo pak hota ha aor kia is trah k kapron sy namaz parh sakty hen

Answer: Na-mehram sai call pai is tarah ki baat cheet karna jaaiz nahi hai. (Ref : Kitab Nigah aur libas pg # 58)
Jis rutoobat mai ye 3 nishaaniyan ho wo mani kehlaye gi.
1)Uchal kar niklay. 2).shehwat k saath niklay 3).badan sust hojaye.
jis rutoobat mai ye 3 ya baaz alamatein na ho tu wo mani nahi hai misaal k taur par agar sirf shehwat k saath nikle or baqi 2 almatein na ho tu wo mani nahi mazi kehlaye gi or mazi paak hai or is sai ghusal wajib nahi hota or usi kaprhon mai namaz bhi ada ki jaa sakti hai.
(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 345 and 156).
[Updated on 04-Feb-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
93884
Mujtahid:
Date: 2019-02-04

Question: Assalam alaikum sir Kya raat ko sote waqt ehtelam hone se gusal toot jata h aur kapda napak ho jata h

Answer: Ehtilam hone se ghusl e janabat wajib ho jata hai or chunke mani najis hai lehaaza ye mani jahan jahan lagay gi wo wo jagah najis hojaaye gi or usay share tareeqay sai paak karna hoga.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 344,345)
[Updated on 04-Feb-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
94293
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2019-03-05

Question: Assalam o aliekum...Moulana agar khwab main bury khayalt ki waja se kuch ikhraj ho tu kya wazu kr laina kafi h ya ghusal krna hoga?

Answer: Agar wo rutoobat mani hai tou ghusal karna wajib hai.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 344).
[Updated on 05-Mar-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
94294
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Agr shuk ho k ikharaj leukoria h ya mini tu kya kiye jaye?

Answer: Wo ratubat jo aurat say shehwat k saath Khaarij hoti hay Agar is Hadd tak ho kay usay Inzaal Kaha ja sakay aur libaas ko aalooda kar day , jo aam tor par us waqt nikalti hay jab aurat jinsi shehwat ki Intihaa tak pohunch jaey to ye Najis bhi hay aur is aurat ko Mujnib shumaar kiya jaey ga aur us par ghusl e janabat bhi wajib hoga.ise tara ehteyaat e waajib ki bina per agar hijaan e shewat ki inteha tak nah bhi pouche magar paani itna ziyaada ho jitna puri razamandi k mouqe per kharij hota hai to ye Najis bhi hay aur is aurat ko Mujnib shumaar kiya jaey ga aur us par ghusl e janabat bhi wajib hoga. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 345)۔
Note: Likoria (safeed yellow color ki ratubat) mani nahi hay. Ye paak hay or is k aanay se ghusl bhi wajib nahi hota.or aap inhi kaprho main namaz perh sakti hain.

Print

Id:
94517
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2019-03-05

Question: Masturbutatin ka bat gusul e janabat kr k bina wazoo k namaz padha skta ha

Answer: jis shaks ne ghusl e janabat kia ho zaroori hai k namaz k liye wuzu nah karay.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 389).
[Updated on 05-Mar-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
94542
Mujtahid:
Date: 2019-03-07

Question: Kya mard ka pani agr aurat ko thoda sa b lag jae to ghusal wajib hojaega?

Answer: Agar humbistri mai dukhool kia hai tu chahay koi rutoobat kharij ho ya na ho ghusl wajib hoga. Lekin dukhool nah hoa ho tu agar wo rutoobat najis hai tu phir faqat us ko paak kia jaaye ga.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 344).
[Updated on 07-Mar-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
94818
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2019-03-23

Question: Mujhay constipation ki wajah say stool paas hotay waqat mani kharij ho jaati hai, kia is wajah say mujh par ghusal wajib hai?

Answer: Mani k khaarij honay sai ghusal wajib hojaata hai.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 344).
[Updated on 23-Mar-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
94890
Mujtahid:
Date: 2019-03-23

Question: Sir gusal ka sahheh tariqa bataain

Answer: Ghusl e tertibi ka tariqah ye hay:-- sab say pehlay ghusl ki niyat say sar(Head) or gardan(Neck) ko mukammal dhoya jaay,or is k baad poray badan ko aik saath dhoya jaay.or behtar ye hay k badan ko do hisso main dhoya jaay pehlay badan ka seedah hissa or baad main ulta hissa.ghusl main naak or moonh main paani daalna wajib nahi hay.ghusl main jism k tamaam hisso tak paani pohanchaana wajib hay ,or agar ghusl k baad yaqeen ho k sar ya garden ka koe hissa khushk hay tu sar ya garden ki sirif osi jagah ko ghusl ki niyat say dhoo ker badan k dono hisso ko dobara say dhoo dain. or agar badan ka koe hissa khushk hay tu ghusl ki niyat say sirif osi hissay ko dhoo lain.(ref: Ayat Ullah sistani(d.b), tauzee hul masail,maslah#360-365).
[Updated on 23-Mar-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
94999
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2019-03-27

Question: Salam! Raat ko agar sotay waqt aik do qatary muni kay nikal jayn to kia is soorat mayn ghusal karna zaruri hai ya is ka koi or hal b hai?kindly meri rahnumai fermayen shukria

Answer: w.salam. Mani k kharij honay sai ghusl wajib ho jaata hai chahay kam niklay ya ziada niklay.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani eiditon#41, maslah no 344).
[Updated on 27-Mar-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
95219
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2019-04-06

Question: Kya rozay ki halath mai ya normal din baal katakar bina gusal ke namaz pad saktay hai??

Answer: Jee baal katane k baad ghusl wajib nahi hota lehaza namaz parhi jasakti hai roza bhi rakha ja sakta hai.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani ediiton 41 maslah no 344).
[Updated on 06-Apr-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
95397
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2019-04-15

Question: Biwi se sohbat ke waqt pehne hue kapde gusul ke bad pehanna Pak hoga ya napaki

Answer: Agar un kaprhon par nijaasat nahi lagi tu pehnne mai koi haraj nahi lekin agar wo najis hogaye hain tu un ko shariyat k bataye howe tareeqe k mutabiq paak kar k pehna jaa sakta hai.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition#41, maslah#154).
[Updated on 15-Apr-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
96425
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2019-05-15

Question: Agr orat ko hambisti k doran mani na lagi ho to us par gusal wajib hai?

Answer: agar dukhhool hoa hai tu chahay mani kharij hoi ho ya na hoi ho ghusal wajib hojaaye ga.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah#348)
[Updated on 15-May-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
96580
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2019-07-26

Question: Asalam o Aleakum Ager urine krty huway shewat ho to urine mai Mani ki mojudgi hoti hai mean urine mai mani asagti hai? Or kesy pechany gay k Jo rutubat kharij huwi wo mazi hai ya mani?

Answer: Agar kisi shakhs kay badan say koi ratoobat kharij ho aur wo ye na janta ho kay mani hay ya peshab ya koi aur cheez agar wo ratoobat shehwat kay saath aur uchal kar nikli ho aur us kay nikalnay kay baad badan sust hogaya ho to wo rutoobat mani ka hukum rakhti hay laikin agar in teen alamaat main say sari ki sari ya kuch maujood na hoon to wo mani ka hukum nahi rakhti laikin agar insaan beemar ho to zaroori nahi hay kay wo ratoobat uchal kar nikli ho aur us kay nikalnay kay waqt badan sust bhi ho jaey balkay sirf shehwat kay niklay to wo bhi mani ka hukum rakhay gee mazkoora soorat kay ilawa agar wo ratoobat mazi ho to paak hay (Ref: Tauzeehul masail a sistani pg#62 masalah#345, pg#25 masalah#70).
[Updated on 26-Jul-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
96640
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2019-07-26

Question: 1-Mujhay ye puchna tha k Ahtilam hone k baad konsa Ghusal wajib hota ha or is se Roza tote ga ya nahi? 2- Ghusal sirf pani se kare ya Sabun (Soap) se karne zarori ha

Answer: 1-Ehtilam k baad insaan per namaz perhne k liay ghusl e janabat wajib hojata hay. (Ref: Ayat ullah seestani d b tauzee hul masael, edition#35 mafhoom e maslah#344).
Din k waqt ehtilam sai roza batil nahi hota hai aur jisay ehtilam ho is ka farz hai k wo namaz k lie ghusl janabat karay rozay sai is ka koi taluq nahi hai. or ghusl faqat paani se kaafi hay. (Ref: Ayatullah sistani d b jaded fiqhi masail maslah#100 pg 88).
[Updated on 26-Jul-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
96732
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2019-05-27

Question: Mera sawal ye he kya shehwat ki halat ho or qatre girte hy wo mani ki tarah uchal k ya lazat k sath ya sust kar k na ayi ho to ghusl farz he ya nahi?

Answer: Agar us rutubat men yeh 3 alamatain hen to wo mani kay hukum men hogi or ghusl bhi karna hoga warna wo mani nahi hogi or sirf wuzu kerna kafi hay 1-shehwat k sath nikly 2-uchal ker nikalay 3-uskay nikalnay k bad badan sust hojaey lekin beemar insan k liay yeh kukum nahi hay us say sirif shehwat k sath nikalay tab bhi mani shumar hogi (Ref: Minhajus saliheen, part#1, maslah#169).
[Updated on 28-May-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
96744
Mujtahid:
Date: 2019-05-26

Question: Assalamualaikum sir Mera ques he agar Meri aankh khuly mjy pata bhe na ho KE mjy ehtlaam hwa h or jb sokar uth Kar namaz bhe parhlon namz prhny KE bd mjy kapry p hath pherny sy kapra karak lagy Jo ke ehtlam hony ki waja sy hota he is sorat me mjy namaz dohrana hgi? Or gusul farz hoga? Sunni Firqy ki roshni me arz kryega JazakAllah

Answer: Note:Is web par fiqhe e jafferiya k mutabiq jawab diay jaatey hain.
[Updated on 26-May-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
96958
Mujtahid:
Date: 2019-05-27

Question: Salm agar haat fractured ho or hast par Patti ho tu gusal e janabat kasa ada kiya haya

Answer: Ghusl e mayyit k ilawa tamam qisim k ghuslo mein jabira ghusl jabira wuzu ki tarah hai lekin ehtiyat e lazim ki bina par ye zarori hay keh ghusl ko tartibi tariqe se anjam diya jaey aur agar badan par zakham ya phorha ho to mukallaf ko ghusl ya tayyammum ka ikhtiyar hai agar wo ghusl ko ikhtiyar karta hai aur zakham ya phorhe par jabira nah ho to ehtiyat e mustahab ye hai keh zakham ya phorhe par paak kaprha rakhe aur is kaprhe k opar masah kare agar badan ka koe hissa tota hua ho to zarori hai keh ghusl kare aur ehtiyatan jabira k opar bhi masah kare aur agar jabira par masah karna mumkin nah ho ya jo jaga toti hue hai wo khuli ho to tayyam mum karna zarori hai (Ref: Ayatullah seestani d b tauzee hul masael edition#41, mafhoom e maslah#338).
[Updated on 28-May-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
97737
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2019-07-15

Question: Salam sir ! agar ghusal karnay k baad napak kapray( sperms lagay huaye hoon) ko dho jaye tu kya dobara ghusal karna hoga ?

Answer: Ghusl 2 cheezoo sai wajib hota hai 1 jima krnay sai 2 mani k niklnay sai is k alawa ghusl e janabat wajib nahi hota hai. (Ref: Ayatullah sistani d b tauzeehul masail 41st edition, maslah#344).
[Updated on 15-Jul-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
97794
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2019-07-13

Question: Assalam o alaikum bhai mere pao ki finger tothi huwi aur aek finger ka nail tu uthar gaya hain zakham hai aur palaster bhi huwa ab ghusal kese karon.. I am married

Answer: Jabira ghusl jabira wuzu ki tarah hai lekin ehtiyat e lazim ki bina par ye zarori hai keh ghusl ko tartibi tariqe se anjam diya jaay aur agar badan par zakham ya phorha ho to mukallaf ko ghusl ya tayyammum ka ikhtiyaar hai agar wo ghusl ko ikhtiyar karta hai aur zakham ya phorhe par jabira nah ho to ehtiyat e mustahab ye hai keh zakham ya phorhe par paak kaprha rakhe aur is kaprhe k opar masah kare agar badan ka koe hissa tota hua ho to zarori hai keh ghusl kare aur ehtiyatan jabira k opar bhi masah kare aur agar jabira par masah karna mumkin nah ho ya jo jaga toti hue hai wo khuli ho to tayyam mum karna zarori hai. (Ref: ayat ullah seestani d b tauzee hul masael edition#41, mafhoom e maslah#338).
[Updated on 13-Jul-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
98507
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2019-07-13

Question: Agar janabat ky baad bkay baad gushal kanay ky baad phir pani ay tu gusal dosri bar phir karma ho ga please give my question answer or kAy namaz bi par Saktay hy

Answer: Agar wo mani kharij hoi hai tou dobara ghusal karna hoga warna agar koi or rutoobat hai tou dobara ghusal nahi karna.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 344,345).
[Updated on 13-Jul-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
99298
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Agr bv shohar k penis touch kre or wo discharge ho jaye or bv bhi to kya ghusal jaiz hai

Answer: Aisi sorat main bivi per ghusl wajib nahi hay.Update on dated 08-08-19. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
99342
Mujtahid:
Date: 2019-08-10

Question: Agr intercourse k doran money nA nikle to ghussal wajib hota ya nahi ??

Answer: Intercourse karne per gusl wajib ho jaata hai chahay mani kharij ho ya nah ho.(Ref:Tauzeeh ul masail aaytullah seestani editon#41, maslah#348).
[Updated on 10-Aug-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
99738
Mujtahid:
Date: 2019-08-29

Question: intercourse k baghair sirf uzw tanasul jism ya bivi k kisi bhe hisse ko touch krne sa farz ya wajib hota ha

Answer: Is surat main agar mani kharij ho jaey to gusul wajib hay or agar mani na niklay to faqat touch karnay say gusul wajib nahi hota. (Ref : Tozi ul masahil Ayat ullaha Sistani d.b. Masla # 344)
[Updated on 30-Aug-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
99761
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2019-08-31

Question: bv ka hath penis se touch hojaye..tu es se ghusal faraz hota hia k nahi

Answer: Is amal se ghusl wajib nahi hoga. 2 cheezo say insan mujnib hota hay aik jima say our dusra mani kharij honay say faqat hath touch honay say ghusal wajib nahi hota. (Ref: tozi ul masahil aga sistani masla # 344 edition # 2019)
[Updated on 31-Aug-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
99817
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Ihtlam k bad peshab kr k ghusal kry ya bagair peshab kiye b gusal kr skty hy

Answer: Mani kharij hone k baad insan k liay peshab karna mustahab hay or agar peshab nah kare or ghusl k baad os k makhraj e peshab se rutubat kharij ho jis k baray main wo nah jaanta ho keh mani hay ya koe or rutubat tu wo rutubat mani ka hokum rakhti hay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 41th edition, maslah #347). Update on dated 31-08-19. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
99845
Mujtahid:
Date: 2019-09-03

Question: I am 18 year old and I am not married.agar h koi film dekhte h Magar agar koi galat cheez film me batati h wo nahi dekhte or koi liquid sharmgah se Nikal aaye to kya hum Napak h.or game hamesha ayaa lag h ke hum Napak h to aise me kya kare

Answer: Wo ratubat jo aurat say shehwat k saath Khaarij hoti hay Agar is Hadd tak ho kay usay Inzaal Kaha ja sakay aur libaas ko aalooda kar day , jo aam tor par us waqt nikalti hay jab aurat jinsi shehwat ki Intihaa tak pohunch jaey to ye Najis bhi hay aur is aurat ko Mujnib shumaar kiya jaey ga aur us par ghusl e janabat bhi wajib hoga.ise tara ehteyaat e waajib ki bina per agar hijaan e shewat ki inteha tak nah bhi pouche magar paani itna ziyaada ho jitna puri razamandi k mouqe per kharij hota hai to ye Najis bhi hay aur is aurat ko Mujnib shumaar kiya jaey ga aur us par ghusl e janabat bhi wajib hoga. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 345) Update on dated 03-09-19. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
100747
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2019-10-01

Question: اسلام علیکم میرا سوال یہ ہے کہ میرے ناخن پر تھوڑی سی ایلفی لگی ہوئی تھی یہ مجھے غسل ع جنابت کے بعد معلوم ہوا کیا مجھے دوبارہ غسل کرنا پڑے گا ؟

Answer: wsalam.jee zaroori hai k us rukaawat ko hata kar dobara ghusal kar liya jaaye.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 373,376)
[Updated on 01-Oct-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
100748
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2019-10-01

Question: Kam krte waqt mere nails pe thori si \\\"elfi\\\" lagi reh gae thi .phir mjhe ghusal ki hajat hoi. Lekin mjhe baad Mai pta chala k mere nails pe elfi lagi reh gae thi .Kia Mera ghusal theek Raha ya mjhe dobara krna hoga?

Answer: jee rukaawat ko hataa kar dobara ghusal karna hoga.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 373,376)
[Updated on 01-Oct-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
101310
Mujtahid:
Sunni Date:

Question: Agr sunnat k tariqe say ghusal krte waqt koi step ghalat ho jaye to sirf ghusl k farz ada kr liye jaye to ghusal ho jata hai

Answer: Is website per fiqh e jafferiya k mutabiq jawabaat diay jaate hain.

Print

Id:
101497
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ruhollah Khomeini Date:

Question: Salam, kia gandy khiyal or fehesh dekhny se mazi nikal jaye to ghusal wajib hota hai.?

Answer: Wo rutoobat jo kabhi kabhi shehwat ubharne par mard k aalah-e-tanasul se kharij hoti hai ose “Mazi” kahte hain, wo paak hai chahay jitni miqdar ho. Ilawah azeen wo rutoobat jo kabhi kabhi mani k bad kharij hoti hai, jise “Wazi” kaha jata hai ya wo rutoobat jo baaz auqaat peshaab ke bad nikalti hai aur jise “Wadi” kaha jata hai, agar peshaab is se nah mila ho to paak hai.Ref(touzeeh ul masail masala no 70). Update on dated 01-11-19. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey)

Print

Id:
101809
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2019-11-17

Question: Agar raat ko ehtilam ho jaye lekin ehtilaam yad na ho to ghusal farz hota hai?

Answer: Agar ehtilam ho jaey tu namaz or is jaisi ibadaat k liay ghusl wajib hojaey ga. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 41th edition, maslah #356).
[Updated on 18-Nov-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
102483
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-09-03

Question: Aoa, mera sawal ye ha k agr mjy veham ho k sotay wqt mani kharij hui ha, jb k subha uth k dekha jy to kapron pa us k koi nishaan na hon to kya ghusal wajib ho jata?

Answer: agar mani nikli hai to ghusal wajib hoga aur agar sirf veham hai to ghusal wajib nai hoga. (Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani, Tauzeehul masail, Masala no 344 ).
[Updated on 04-Sep-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
102487
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-09-01

Question: GHUSAL KE 3 FARZ KYA HEIN

Answer: Ghusl e Janabat 2 tareeqo sai anjam dia ja sakta hai. 1)tartebi 2)irtemasi. 1)Tertibi ghusal me ehtiyate lazim ki bi per ghusal ki niyat k baad phele pura sar o gardan aur baad me badan dhona zarori hai. 2) Agar koi shakhs badan ko sar se phele dho le to is k lye ghusl ka ieada (repeat) karna zarori nahe hai balke agar badan ko dobarah dho le to is ka ghusal sahe hai . (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 360) 2)Irtemasi ghusl 2 tareeqo sai anjam dia ja sakta hai 1)dafei 2)tadregi. 1)Ghusl e irtemasi dafei mai zaroori hai k aik lamhay k lie pura badan pani mai ghar jae laikin ghusl krnay sai pehlay aik shakhs ka pani sai bahir hona zaroori nhi hai bal k agar badan ka kuch hissa pani sai bahir ho aur ghusl ki niyat sai pani mai gota lagae to kafi hai. 2)Ghusl e irtemasi tadregi mai zaroori hai k ghusl ki niyat sai urfi eitebar sai aik hi dafa mai badan ko pani mai dbo dai aur is ghusl mai zaroori hai badn ka pura hissa ghusl krnay sai pehlay pani sai bahir ho. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 59-370)
[Updated on 01-Sep-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
102510
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2019-12-17

Question: Agr Jism sa pani kharij ho jaye MAGaR WO jism py ya kapro py kahi na lgy to Gusal faraz ho ga kiya?

Answer: Mani k kharij honey sai ghusl wajib ho jaata hai.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 344).
[Updated on 17-Dec-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
102520
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-08-30

Question: Ager periods k bd baa utarty wqt Kuch Baal rh Jain bd main pta chly to gusal hogya k ni?

Answer: ghusal me agar baal barabar badan bhi undhula reh jaye to ghusal batil hai, lekin kaan, naak ke androni hisson ko aur har us chiz ka dhona jo batin shumar ho wajib nahin hoti. (Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani, Tauzeehul masail, masla 373).
[Updated on 31-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
102550
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-08-30

Question: Sir ma jb fancy sy video call py bat krta hun tou pani type mani nikalta hain mtlb ma apny sharam gah ko hath b nhi lagta na koi maze wale batain hum krty hain just normal batain hoti hain laken jaise he ma bat strt krta hun us tym he mry sharam gah sy pani type nikalta hain laken wo 2 3 qatry sir es tym gusal farz hain ya nhi ????

Answer: Jis rutoobat mai ye 3 nishaaniyan ho wo mani kehlaye gi. 1)Uchal kar niklay. 2).shehwat k saath niklay 3).badan sust hojaye. jis libaas par mani lag jaaye tou qaleel pani sai aik dafa dhoney k baad agar nichor liye jaaye tou libaas paak hojaaata hai.or mani k nikalne sai ghusal bhi wajib hojaata hai. jis rutoobat mai ye 3 ya baaz alamatein na ho tou wo mani nahi hai misaal k tor par agar sirf shewat k saath nikle or baki 2 almatein na ho tou wo mani nahi mazi kehlaye gi or mazi paak hai or is sai ghusal wajib nahi hota or usi kapron mai namaaz bhi ada ki jaa sakti hai.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 39 maslah no 345 and 156).
[Updated on 31-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
102572
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-08-31

Question: Ghussal haiz ki neyat kiss tarah karna chahie

Answer: Ghusl e haiz ki niyat k waqt niyat karain k wajib ghusl kar rahi hon bal k faqat “ ﻘﺮﺒﻪﺍﻠﻰﺍﷲ ” k iraday sai ghusl kray to kafi hai. yani niyat kray k “ghusl e haiz krti hon ﻘﺮﺒﻪﺍﻠﻰﺍﷲ”. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 356-57).
[Updated on 31-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print