Please click the button for Quran o Itrat Academy Whatsapp Channel.
Whatsapp Channel
Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Question & Answers << Go Back

Topic: Ghusl K Ahkam (738 Questions)

Showing 400- 450 questions from 738 questions on this page.

Answers found for searched words
Id:
102595
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-08-30

Question: Ager admi majboori ki wajah se gusal na kr ske to namaz parhi ja skti ha ghusal ke bagair Mera bazoo frecture ha

Answer: to is surat me apko ghusal e jabira karna hoga.
Jabira ghusl jabira wuzu ki tarah hai lekin ehtiyat e lazim ki bina par ye zarori hai keh ghusl ko tartibi tariqe se anjam diya jaay aur agar badan par zakham ya phorha ho to mukallaf ko ghusl ya tayyammum ka ikhtiyaar hai agar wo ghusl ko ikhtiyar karta hai aur zakham ya phorhe par jabira nah ho to ehtiyat e mustahab ye hai keh zakham ya phorhe par paak kaprha rakhe aur is kaprhe k opar masah kare agar badan ka koe hissa tota hua ho to zarori hai keh ghusl kare aur ehtiyatan jabira k opar bhi masah kare aur agar jabira par masah karna mumkin nah ho ya jo jaga toti hue hai wo khuli ho to tayyam mum karna zarori hai.
(Ref: ayat ullah seestani d b tauzee hul masael edition#41,mafhoom e maslah#338).
[Updated on 31-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
102605
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-08-29

Question: Salam. Sawal ye hai k agr aurat ko feel ho k wo sotay huay climax p pohnchi h khwab mai tw gusul krna lazmi hai?

Answer: Wo ratubat jo aurat say shehwat k saath Khaarij hoti hay Agar is Hadd tak ho kay usay Inzaal Kaha ja sakay aur libaas ko aalooda kar day , jo aam tor par us waqt nikalti hay jab aurat jinsi shehwat ki Intihaa tak pohunch jaey to ye Najis bhi hay aur is aurat ko Mujnib shumaar kiya jaey ga aur us par ghusl e janabat bhi wajib hoga.ise tara ehteyaat e waajib ki bina per agar hijaan e shewat ki inteha tak nah bhi pouche magar paani itna ziyaada ho jitna puri razamandi k mouqe per kharij hota hai to ye Najis bhi hay aur is aurat ko Mujnib shumaar kiya jaey ga aur us par ghusl e janabat bhi wajib hoga. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 345)
[Updated on 29-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id:
102608
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-08-29

Question: Assalamualaikum mera sawal ye hai k main jab meri gf se baat karta hoon toh Pani nikalta hai kya wo Pak hai

Answer: Wo rutoobat jo kabhi kabhi shehwat ubharne par mard k aalah-e-tanasul se kharij hoti hai ose “Mazi” kahte hain, wo paak hai chahay jitni miqdar ho. Ilawah azeen wo rutoobat jo kabhi kabhi mani k bad kharij hoti hai, jise “Wazi” kaha jata hai ya wo rutoobat jo baaz auqaat peshaab ke bad nikalti hai aur jise “Wadi” kaha jata hai, agar peshaab is se nah mila ho to paak hai.Ref(touzeeh ul masail masala no 70).
NOTE: na-mehram se phone per is tarah ki guftugu kerna haram hai Q k is surat men gunah men mubtala hone ka khoaf mojud hai, chahe ap apas men shadi ka irada hi Q nah rakhte hon, (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Bk # Nigah or Libaas, Ed # 01,Mafhoom e Sawal # 84, Pg # 60)
[Updated on 29-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
102614
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-08-28

Question: Ahtlam k bad kb tk gussal kr lyna chahy

Answer: Ghusl e janabat namaz aur is jaisi doosri ibadaton k lie wajib ho jata hai warna wajib nahi hota hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 356-8)
[Updated on 28-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
102616
Mujtahid:
Molana tariq jameel sb Date: 2023-08-28

Question: Agr bevi k sat romance krta hoi pani nekal aya tu kia ghusal wajib ha

Answer: Wo rutoobat jo kabhi kabhi shehwat ubharne par mard k aalah-e-tanasul se kharij hoti hai ose “Mazi” kahte hain, wo paak hai chahay jitni miqdar ho. Ilawah azeen wo rutoobat jo kabhi kabhi mani k bad kharij hoti hai, jise “Wazi” kaha jata hai ya wo rutoobat jo baaz auqaat peshaab ke bad nikalti hai aur jise “Wadi” kaha jata hai, agar peshaab is se nah mila ho to paak hai.Ref(touzeeh ul masail masala no 70).
[Updated on 28-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
102649
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-08-27

Question: Agar gande khayalat ya kisi ladki (female) ke khayal ki wajah se kisi mard (male)ki sharmagah se pani ke ek do boond nikle to aisi halat me wo kapda jis par sharmgah se pani ke boond gire or wo mard paak he ?

Answer: Agar aap ko yaqeen hia keh yeh ratoobat mani hia to chahe wo uchal kar na bhi nikle ya shehwat key sath na bhi nikle wo mani hi kehlaigi aur najis hogi aur us per gusl wajib hoga. Agar aap key badan se koi ratoobat kharij ho aur aap yeh na jante ho key yeh mani hia ya peshaab ya koi aur cheez to phir in alamaton ko madde nazar rakha jaiga yani aghr wo ratoobat 3 sharton k sath ho to mani ka hukm rakhti hai, 1- shehwat ke sath nikli ho, 2-uchal kar nikli ho, 3- nikalne ke bad badan sust ho gaya ho, lekin ager in 3 alamaton men se sari ki ari ya kuch mojud na hon to wo mani ka hukm nahi rakti.( Ref : Tauzeeh-ul-Masail Agha sistani Prob no 345/351/352)
[Updated on 28-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
102651
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-08-28

Question: Agar gande khayalat ya kisi ladki (female) ke khayal ki wajah se kisi mard (male)ki sharmagah se pani ke ek do boond nikle to aisi halat me wo kapda jis par sharmgah se pani ke boond gire or wo mard paak he ?

Answer: Mard ki sharam gaah se peshaab o mani ke ilawa 3 esi ratobatain nikalti hain jo nah hi pishaab hoti hain or nah hi mani wo ye hain 1-wadi, 2-mazi, 3-wazi or ye teno paak hain na in se wazo totta hai or na hi ghusl wajib hota hai (Ref: Ayatullah sistani d b tauzeehul masail edition 41 maslah#70).
Agar aap ko yaqeen hia keh yeh ratoobat mani hia to chahe wo uchal kar na bhi nikle ya shehwat key sath na bhi nikle wo mani hi kehlaigi aur najis hogi aur us per gusl wajib hoga. Agar aap key badan se koi ratoobat kharij ho aur aap yeh na jante ho key yeh mani hia ya peshaab ya koi aur cheez to phir in alamaton ko madde nazar rakha jaiga yani aghr wo ratoobat 3 sharton k sath ho to mani ka hukm rakhti hai, 1- shehwat ke sath nikli ho, 2-uchal kar nikli ho, 3- nikalne ke bad badan sust ho gaya ho, lekin ager in 3 alamaton men se sari ki ari ya kuch mojud na hon to wo mani ka hukm nahi rakti.( Ref : Tauzeeh-ul-Masail Agha sistani Prob no 345/351/352)
[Updated on 28-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
102689
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Abul Qasim e Khoie Date: 2023-08-26

Question: Assalamualekum mera suwal h ke agar shardi jayeda ho or gushl ka mann na kre to aadhi kamar dhokar namaz ke liye ja sakte hain kya ?

Answer: Ghusl e janabat namaz aur is jaisi doosri ibadaton k lie wajib ho jata hai warna wajib nahi hota hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 356-8)
[Updated on 26-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
102700
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-08-27

Question: Agr ik larki larky se bt kry or mani ajai or bt b koi aesi nah ki hoto kiya wou napak hogy gy? Gusal wajib hoga?

Answer: Wo ratubat jo aurat say shehwat k saath Khaarij hoti hay Agar is Hadd tak ho kay usay Inzaal Kaha ja sakay aur libaas ko aalooda kar day , jo aam tor par us waqt nikalti hay jab aurat jinsi shehwat ki Intihaa tak pohunch jaey to ye Najis bhi hay aur is aurat ko Mujnib shumaar kiya jaey ga aur us par ghusl e janabat bhi wajib hoga.ise tara ehteyaat e waajib ki bina per agar hijaan e shewat ki inteha tak nah bhi pouche magar paani itna ziyaada ho jitna puri razamandi k mouqe per kharij hota hai to ye Najis bhi hay aur is aurat ko Mujnib shumaar kiya jaey ga aur us par ghusl e janabat bhi wajib hoga. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 345)
[Updated on 28-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
102731
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Abul Qasim e Khoie Date: 2023-08-26

Question: agr insan sy nafas ma na Ak qatra nilky or kapro k sath lga jayee tooo kya Gusal wajab hoo jata hai or kapre na pak hoon gy

Answer: Agar aap ko kisee tarah bhee yeh yaqeen ho jaye keh yeh ratoobat mani hay to phir yeh mani hee samjhee jaye gee or ghusul wajib hojaey ga or us jagah ka dhona kafi hy is tarh kay nijasat hatany kay bad aik martaba qalil paani dala jaey or fr usy nichora jaey. Aur agar maloom na ho raha ho kay wo liquid mani hai ya koi or chiz to phir 3 alaamatein daikhee jayengee. 1) Shewat key saath niklay 2) Uchal ka nikley 3) Nikalney key baad badan sust ho jaye. Laikin bemar honey kee sorat mein dosri aur tisri alaamat zaroori nahi hay.( Ref: Tawzeeh ul Masail Aqai Sistani Probe No. 153/351/ 352 )
[Updated on 26-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
102740
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-08-26

Question: Hazrat ek masla btaye ki agar sotey hue ekdum se ehtlaam hone ka jaisa zor ho aur ekdum aankh khul jaye aur us dawaab ko rok liya jaye aur sharamgah se kuch na nikle to kya gusl farz hai ya nahi magar ehtlaam ka zor poora hua usey rok liya zor lagaake nikla kuch nhi sharmgaah se jaldi reply kare plzz

Answer: Jee nahi is surat me ap par ghusal wajib nahi hoga, kyun keh Ghusul e janabat 2 cheezoo sai wajib hota hai.
1-jima krnay sai.
2-mani k niklnay sai is k alawa ghusl e janabat wajib nahi hota hai.
(Ref: Ayatullah sistani d.b tauzeehul masail 41st edition, maslah#344).
[Updated on 26-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
102747
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-08-23

Question: Agar mayyat Kay gusal Ka Pani kaproon ko lag Jaya to Kiya Karna Chahiye

Answer: jab tak ghusal mukammal na jaye jo pani mayyat se lag kar ayega woh najis shumar hoga. (Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani, Tauzeeh ul Masail, mafhoom e masla #119).
[Updated on 24-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
102748
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-08-23

Question: Agar mayyat Kay gusal Ka Pani kaproon ko lag Jaya to Kiya dobbara dho Kar phan layna Chahiye

102749

102754
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-08-23

Question: Aurat kitni dair tak halat-e-janabat mein reh sakti ha matlab k hambistri k foran baad gusal karna chahye ya 1,2 din baad bhe kiya ja sakta ha

Answer: w.salam Ghusl e janabat wajib namaz parhney k lie aur is jaisi dosri ibadaat k lie wajib hota he lakin namaz e mayyit, sajdah e sahv, sijda e sukhr aur quran majeed k wajib sajdo k liay ghusl e janabat zarori nahi hay (Ref Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani d.b, tauzeeh ul masail, maslah 344,356).
[Updated on 24-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
102759
Mujtahid:
Molana Ilyas attari qadri Date: 2023-08-23

Question: Kia miaan bivi jamaa k bad ikathe ghusal kr sakte Hain?

Answer: Jee Jaiz Hai, Mian biwi ek dosre ke liay pori tarah mehram hain. (Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani,
Web Address: https://www.sistani.org/urdu/qa/01884/ ).
[Updated on 24-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
102788
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2019-12-31

Question: Ghusal janabat or ghusal haiz dono sy pehly wazoo krna hota hai? Ya kisi 1 ghusal me? Or agr wazoo krna hai tu kia sar or pao ka masah bhi krna hai? Kis ghusal k bad namaz k liy wazo zarori nahi?

Answer: Ghusl sai pehle wuzu karna zarori nah hay or ghusl k haiz k baad wuzu krna zarori nahi hay or ghusl e janabat k baad laazm hai k wuzu nah karay. (Ref:Tauzeeh ul masail aaytullah seestani edition 41 maslah no 389).
[Updated on 31-Dec-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
102789
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ruhollah Khomeini Date: 2020-01-02

Question: Ghusal janabat or ghusal haiz dono sy pehly wazoo krna hota hai? Ya kisi 1 ghusal me? Or agr wazoo krna hai tu kia sar or pao ka masah bhi krna hai? Kis ghusal k bad namaz k liy wazo zarori nahi?

Answer: jis shaks ne ghusal e janabat kia ho use namaz ke liye wozo nai karna chaiye lekin agar koi aur ghusl kiya ho to sirf us ke sath namaz nai parhi ja sakti balkeh wuzu bhi karna parhe ga.
(Ref: Ayatullah Sayyid Ruhollah Khomeini(R.A),Tauzeehul masail maslah #391 ).
[Updated on 03-Jan-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
102839
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2020-01-04

Question: A. O. A Sir mera question yeah h k jub koi banda intercrouse karna start karta h lekn wo start main hi kisi waja say chor daita h.. Or donu hi hisband wife discharge nahi hoty to kia donu par gussal wajib h

Answer: Do cheezo say insaan mujnib hojata hay. 1) jima say (intercourse) or 2) mani(semen) k kharij(nikalnay say) honay say,chahay mani(semen) neend ki halat main niklay ya jaagtay main,kam ho ya ziyadah,shehwat(lazzat) k saath niklay ya baghair shehwat(lazzat) k or iska nikalna ikhtiyaar main ho ya nahi. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 39th edition, maslah #344 ).
[Updated on 04-Jan-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
102842
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-08-21

Question: Kia aurat par musht zani (fingering)ke bad ghusal frz hojata h ya nhi?

Answer: Wo ratubat jo aurat say shehwat k saath Khaarij hoti hay Agar is Hadd tak ho kay usay Inzaal Kaha ja sakay aur libaas ko aalooda kar day , jo aam tor par us waqt nikalti hay jab aurat jinsi shehwat ki Intihaa tak pohunch jaey to ye Najis bhi hay aur is aurat ko Mujnib shumaar kiya jaey ga aur us par ghusl e janabat bhi wajib hoga.ise tara ehteyaat e waajib ki bina per agar hijaan e shewat ki inteha tak nah bhi pouche magar paani itna ziyaada ho jitna puri razamandi k mouqe per kharij hota hai to ye Najis bhi hay aur is aurat ko Mujnib shumaar kiya jaey ga aur us par ghusl e janabat bhi wajib hoga. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 345)Û”
[Updated on 22-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
102853
Mujtahid:
Imam abu hinfaa Date: 2020-01-06

Question: کیا خاوند اپنی بیوی کو غسل دے سکتا ہے

Answer: Shohar apni bivi ka or bivi apne shohar ka us ki maut ke baad chehra deekh saktain hai, or dono aik dosre ko ghusl bhi de sakte hain. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 548)
[Updated on 06-Jan-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
102861
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2020-01-04

Question: Assalam walikum Neend me ganda khawab dekh kar (sperm) nilkal jata hai usse gusul farz hota hai... Aur usse bistar dhona padta hai ?

Answer: 1. Do cheezo say insaan mujnib hojata hay. 1) jima say (intercourse) or 2) mani(semen) k kharij(nikalnay say) honay say,chahay mani(semen) neend ki halat main niklay ya jaagtay main,kam ho ya ziyadah,shehwat(lazzat) k saath niklay ya baghair shehwat(lazzat) k or iska nikalna ikhtiyaar main ho ya nahi.
2. Mard aur khoon e jahinda rakhne wale har nar haraam gosh janwar ki mani najis hai or jis pak cheez se ye lage gi tu wo bhi najis ho jaey gi . (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 39th edition, maslah #344,84 ).
[Updated on 04-Jan-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
102892
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-08-22

Question: kisi ki Sharmagha dekhne se kya gusal tut jata he

Answer: jee nahi is se ghusal wajib nahi hota. ( Mafhoom e Masla )
( Ref: Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani, Tauzeeh Ul Masail 42nd edition, Ghusal ke Ahkam, Masla No # 343 ).
[Updated on 22-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
102894
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-08-21

Question: اگر عورت شوھر کے ساتھ رومانس کرے دخول نہ ہو اور عورت کو مزہ حاصل ہو تو کیا عورت پے غسل واجب ہوتا ہے

Answer: Wo ratubat jo aurat say shehwat k saath Khaarij hoti hay Agar is Hadd tak ho kay usay Inzaal Kaha ja sakay aur libaas ko aalooda kar day , jo aam tor par us waqt nikalti hay jab aurat jinsi shehwat ki Intihaa tak pohunch jaey to ye Najis bhi hay aur is aurat ko Mujnib shumaar kiya jaey ga aur us par ghusl e janabat bhi wajib hoga.ise tara ehteyaat e waajib ki bina per agar hijaan e shewat ki inteha tak nah bhi pouche magar paani itna ziyaada ho jitna puri razamandi k mouqe per kharij hota hai to ye Najis bhi hay aur is aurat ko Mujnib shumaar kiya jaey ga aur us par ghusl e janabat bhi wajib hoga. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 345)
[Updated on 22-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
102895
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2020-01-06

Question: Agar gusal ka doran hawa kaharj ho jaye ya shak ho ka hawa kaharj hwi ha ya nai to kia hukam ha gussal dbbra krna hoga ya nai

Answer: Agar ghusl k doran kisi shaks se hadas e asghar sarzad ho jaey masalan pehsab kar de to us ghusl ko tark kar k naye siray se ghusal karna zaroori nahi hai balkeh woh us ghusl ko mukammal kar sakta hai us surat men (ehtiyaat e lazim ki bina par) wuzu karna bhi zaroori hai lekin agar woh shaks ghusl tarteebi se ghusal irtimasi ki taraf ya ghusl irtimasi se ghusl tarteebi ki taraf palat jaey to wuzu karna zaroori nahi hai. (Ref : Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani, Tauzeeh ul masail, maslah #384,edition 41, https://www.sistani.org/urdu/book/61/3631/).
[Updated on 06-Jan-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
102909
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-08-21

Question: Agr khwab men ahtlam hony lagy or control hojy or chand qatry beh jaen to kia gusal krna parta hy

Answer: Do cheezon se insan mujnib hota hai
i)Jima (Intercourse)
ii)Mani ka kharij hone khuwah woh neend ki halat me nikle ya jagte mein, kam ho ya ziada ho , shehwat ke sath nikle ya beghair shehwat ke, aur is ka nikalna mutalliqa shaks ke ikhtiar me ho ya na ho.
(Ref: Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani, Tauzeeh ul masail 42nd edition, Maslah No 344).
[Updated on 22-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
102928
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-08-22

Question: A. O. A Sir mera questin yeah h k jub koi admi apni ourat k sath milta h... Us ourat ko us k foran bad hi periods ho jaty h... To kia us ourat par janabat ka gusal foran wajib h ya periods k bad wo haiz k gusal k sath hi gusale janabat kar sakti h??

Answer: Ap chahen to foran janabat ka ghusal kar len warna ap haiz ke ghusal ke sath bhi kar sakti hain.
1.jis shaks par kayi ghusal wajib hon woh un sab ki niyyat kar ke aik ghusal kar sakta hai aur zahir yeh hai keh agar un me se kisi aik makhsoos ghusal ka qasd kare to woh baqi ghusalon ke liay bhi kafi hai. (Ref : Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani, Tauzeeh ul masail, Edition 42, masla no 387).
[Updated on 22-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
102930
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-08-21

Question: Agr sardi zyada ho aur ghusal karna mushkil ho to kya tayammum kiya jasakta hai? Aur ghusal ke badle tayammum karna kafi he ya wazu b zaruri he

Answer: ghusal e janabat wajib namaz parhne ke liay aur aisi dosri ibadat ke liay wajib ho jata hai lekin namaz e mayyat , sajdah e sahaw, sajdah e shukar aur quran majeed ke wajib sajdon ke liay ghusal e janabat zaroori nahi hai. (Ref : Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani, Tauzeeh ul Masail ,Masla #356).
[Updated on 22-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
102945
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-08-21

Question: Agar koi 11 din himbistre maray aulad k hasool k liye toh uskay liye gusal ka tariqa bta dain please qk agar main roz gusal karun gee toh meray baal jhar jain gay yan sardi lag jati hay please bta dain

Answer: jub jub intercouse hoga ghusal karna hoga or ghusal ka wohi tareeqa hai jaise doosre ghusal anjaam diye jaate hai.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 348).
[Updated on 21-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
102946
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2020-01-08

Question: Ehtalam k bad sirf salwar hi dhoni chahiya ya jism pr pehny hoy sab kapry dhoy jain gy?

Answer: Jahan jahan mani lagi hogi un un maqamaat ko paak karna hoga tamaam kapray or jism dhona zaroori nahi albatta namz or is jaisi ibadaat k liay ghusl e janabat karna wajib hoga.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 115).
[Updated on 09-Jan-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
102947
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2020-01-08

Question: Kya mard ki sharamgah or urat ki sharamgah ko apas main touch krnay say bi gusal wajib ho jata hai?

Answer: Agar dukhool (intercourse) hoa hai tou chahay mani kharij ho yaa na ho mard aur aurat dono par ghusal wajib hojaaye ga lekin agar dukhool nahi hoa or mani bhi kharij nahi hoi tou ghusal wajib nahi hoga.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 348).
[Updated on 09-Jan-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
102953
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2020-01-08

Question: Kia ghusl ke baad wuzoo karna zaroori hai

Answer: Jis shakhs ne ghusl e janabat kia ho zarooori he k namaz k lie wazoo na karay. Balkeh ghusl e istehaza motawasita k siwa tamam wajib ghusloon aur masla no 634 me bayan karda tamam mustahabb ghusloon k baad bhi namaz parh sakhta he agarchah ethiat e mustahabb ye he k wazoo bhi karay. (ref : tauzeeh e ul masayl ayat ullaha sistani (d.b.) masla # 389).
[Updated on 08-Jan-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
102959
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-08-22

Question: Agar peshab ke raaste se Kuch safed nikla ya Nahi shak ho tohnkya main paak rahunga ya napaak ho jaaunga

Answer: Agar aap ko yaqeen hia keh yeh ratoobat mani hia to chahe wo uchal kar na bhi nikle ya shehwat key sath na bhi nikle wo mani hi kehlaigi aur najis hogi aur us per gusl wajib hoga. Agar aap key badan se koi ratoobat kharij ho aur aap yeh na jante ho key yeh mani hia ya peshaab ya koi aur cheez to phir in alamaton ko madde nazar rakha jaiga yani aghr wo ratoobat 3 sharton k sath ho to mani ka hukm rakhti hai, 1- shehwat ke sath nikli ho, 2-uchal kar nikli ho, 3- nikalne ke bad badan sust ho gaya ho, lekin ager in 3 alamaton men se sari ki ari ya kuch mojud na hon to wo mani ka hukm nahi rakti.( Ref : Tauzeeh-ul-Masail Agha sistani Prob no 345/351/352)
[Updated on 22-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
102978
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-08-20

Question: Kya aurat se salwar ke uper se mubasirat kerne per gusal farz hoga

Answer: jima (intercourse) karne se ghusal wajib ho jata hai. (Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani, Tauzeeh Ul masail, Maslaa no 344).
[Updated on 21-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
102979
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2020-01-09

Question: AOA, mia or biwi nanga laity or un k sex parts b aik doosry ko touch krain, pr intercourse na ho or na hi mani nikaly to kya un py gusl farz ho ga?

Answer: Is sorat main ghusl wajib nahi hoga. (Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 344,348).
[Updated on 09-Jan-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
102980
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2020-01-09

Question: Agr husband apni wife k andar release huwa ho aur wife release na huwe ho. Tou kya aurat par bhi nahana wajib hai. Wife wet huwe ho. Par release na huwe ho.

Answer: Faqat dukhool sai ghusl wajib hojaata hai mani ka kharij hona laazmi nahi hai.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 344,348).
[Updated on 09-Jan-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
102989
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-08-18

Question: Bivi k saat thoda sa intercourse karke hat jaye aur na wo discharge hu aur na hi mai Toh kya gusul karna padega

Answer: Ghusul e janabat 2 cheezoo sai wajib hota hai.
1-jima(intercourse) krnay sai.
2-mani ke nikalne se.
(Ref: Ayatullah sistani d.b tauzeehul masail 41st edition, maslah#344).
[Updated on 19-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
103003
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2020-01-09

Question: Salam, Mujhay ye confirm karna tha k agar mani kapro ko na lagy jaisy hi nikly taharat kar li jae to phir ham Pak go jaegy ya phr bhi ghusal karna hoga

Answer: Agar mani kharij hoi ho tu namaz or is jaisi degar ibadaat k liay ghusl karna wajib hoga.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 344).
[Updated on 10-Jan-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
103012
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-08-18

Question: Mujy sawal ya hy k agr husband wife oral sex kry to is sy ghusal farz ho ga kya

Answer: Jee nahi is surat me ap par ghusal wajib nahi hoga, kyun keh Ghusul e janabat 2 cheezoo sai wajib hota hai. 1-jima krnay sai. 2-mani k niklnay sai is k alawa ghusl e janabat wajib nahi hota hai. (Ref: Ayatullah sistani d.b tauzeehul masail 41st edition, maslah#344).
Wo ratubat jo aurat say shehwat k saath Khaarij hoti hay Agar is Hadd tak ho kay usay Inzaal Kaha ja sakay aur libaas ko aalooda kar day , jo aam tor par us waqt nikalti hay jab aurat jinsi shehwat ki Intihaa tak pohunch jaey to ye Najis bhi hay aur is aurat ko Mujnib shumaar kiya jaey ga aur us par ghusl e janabat bhi wajib hoga.ise tara ehteyaat e waajib ki bina per agar hijaan e shewat ki inteha tak nah bhi pouche magar paani itna ziyaada ho jitna puri razamandi k mouqe per kharij hota hai to ye Najis bhi hay aur is aurat ko Mujnib shumaar kiya jaey ga aur us par ghusl e janabat bhi wajib hoga. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 345)
[Updated on 19-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
103029
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2020-01-13

Question: AGR RAAT MA NEEND MA GHUSAL WAAJIB HO JAYE AUR AP KAPRHY BADAL DAIN AUR SOU JYN BLANKET MA PIR SUBHA NAHA LAIN TU KIA RAZAI NA PAAK HY KAPRHON KY STH ? YA SIRF KAPRHY NA PAAK HAIN? AUR AGR GHUSAL KRNY SY PEHLY KUCH KHAANA YA PEENA CHAHAIN TB KOI MASLA TU NAI HY AGR HY TU PLZ BTYN? AUR SIR GHUSAL KA COMPLETE TAREEQA MJY BTYN MJY MAIL KR DAIN PLZ MEINY BUHT JGHA SY CONFIRM KIA HY LEKIN KUCH LOG KEHTYN HAIN KY GHUSAL SY PEHLY NIYAT PARHY OR KUCH KEHTY KY NAI PARHYN TU MASLA NAI PLZ SIR HELP ME OUT I'LL BE GRATEFUL GOD BLESS U SIR

Answer: Agar mani bistar or razai per nahi lagi ho tu ye dono chezain paak hain or agar aap ne nisjis kaprhe utaar kar badan k on hisso ko dhoo liya tha jahan mani lagi thi or os k baad paak kaprhe pehen kar soay thay tu aap k kaprhe or bistar or razai waghairah sab paak rahain gaey. halat janabat main khana peena makhrooh hay, laikin agar hath, moonh dhoole or kulli kar lay tu makhrooh nahi hay or agar sirif hath dhole tu bhi karahiyat kam ho jaey gi.(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail, edition#42, maslah#119,355). Update on dated 06-01-2020.)
Tarteebi ghusl karne ka tareeqa yeh hai keh ehtiyat e lazim ki bina par niyyat ke (zaban se bolna zaroori nahi dil mein niyat ka hona kafi hai) sath pehle sar aur gardan ko dhoin aur phir baad mein pora badan dhona zaroori hai aur behtar yeh hai keh badan ko pehle dayen taraf aur baad mein bayen taraf se dhoye. ( Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani, Tauzeeh Ul Masail, Masla No # (Mafhoom e Masla) 119,355,360).
[Updated on 13-Jan-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
103039
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2020-01-11

Question: Agar need me aurat ko feelings huwi lekin koi discharge na huwa to kya tab bhi gusul wajib hai

Answer: Jee nahi is surat me ap par ghusal wajib nahi hoga, kyun keh Wo ratubat jo aurat say shehwat k saath Khaarij hoti hay Agar is Hadd tak ho kay usay Inzaal Kaha ja sakay aur libaas ko aalooda kar day , jo aam tor par us waqt nikalti hay jab aurat jinsi shehwat ki Intihaa tak pohunch jaey to ye Najis bhi hay aur is aurat ko Mujnib shumaar kiya jaey ga aur us par ghusl e janabat bhi wajib hoga.ise tara ehteyaat e waajib ki bina per agar hijaan e shewat ki inteha tak nah bhi pouche magar paani itna ziyaada ho jitna puri razamandi k mouqe per kharij hota hai to ye Najis bhi hay aur is aurat ko Mujnib shumaar kiya jaey ga aur us par ghusl e janabat bhi wajib hoga. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 345)
[Updated on 11-Jan-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
103068
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-08-20

Question: salam Mukhe pochna tha ke agar aik sath do gusal wajib hu aur aik ki hi niat kare tu kiya dosra gusal utarna parega. ghalte se aik ki niyat kare. ayatullah sistani

Answer: jis shaks par kayi ghusal wajib hon woh un sab ki niyat kar ke aik ghusal kar sakta hai, aur zahir yeh hai keh agar un me se kisi aik makhsoos ghusal ka qasd kare to woh baqi ghusalon ke liay bhi kafi hai. (Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani, Tauzeeh Ul Masail, Masla No# 387).
[Updated on 21-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
103129
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2020-01-14

Question: Aoa Allama sb mera sawal ye ha k gusul k bad namaz parhny kaliy wazu krna zruri ha ya nai ?? Sistani sb k fatway k mutabiky

Answer: 1.Agar ghusl e janabat hai tou zaroori hai k wuzu na karay.
2.Ghusl e istihaaza mutawasitaa mai ghusal k baad wuzu karna laazimi hai.(For females).
3.Baaki tamaam wajib or sabit shudda mustahab ghusl k baad namaz parh sakte hain wuzu karna zaroori nahi hai agar chey ehtiyaat e mustahab hai k wuzu bhi karay.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 389).
[Updated on 14-Jan-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
103132
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-08-18

Question: Assalam alaikum . Nahana ka baad ghusl kaar sakta ha jaab pura badan gela ha us ka upar ghusl thik ha

Answer: jee han, nahane ke baad ghusal kia ja sakta hai is shart ke sath keh ghusal me baal barabar badan bhi undhula na reh jaye, matlab ghusal ka pani pori tarah (Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani D.B, Tauzeeh Ul masail, Masla no # 373).
[Updated on 18-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
103180
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-08-18

Question: Biwi se boso ki are krne se ager qatre nickel Jain Lakn us me mqsed kuch aur na ho saath me kamzoori bhi ho to kia gusel wajib hota hai

Answer: 1 agar aap ko yaqeen hojaey keh wo mani hay to ghusl wajib hojaey ga lekin ik tandrust insan k badan se jab koi ratoobat kharij ho or wo ye na jaanta ho keh pishab hai keh mani ya koi or ratoobat to wo ratoobat 3 sharton k sath mani ka hukm rakhti hai 3 sharait hon ye hen 1 shehwat k sath nikli ho 2 uchal kar nikli ho 3 nikalne k bad badan sust ho gaya ho lekin ager in 3 alamaton men se sari ki sari ya kuch mojood nah hon to wo mani ka hukm nahi rakti yani use mani nahi kahenge, lekin agar insan beemar ho to phir zaroori nahi keh woh ratoobat uchal kar nikli ho aur uske nikalne ke waqt badan sust hojaye balkeh agar sirf shehwat ke sath niklay to woh ratoobat mani ke hukum mein hogi. (Ref: Ayatullah sistani d b tauzeehul masail 41, edition maslah 345). wo ratoobat jo kabhi kabhi shehwat sex ubharne pr mard k aalaa e tanasul se kharij hoti hai use mazzi kehte hen or wo paak hai or wo ratoobat jo kabhi kabhi mani k kharij hone k bad niklti hai use wazzi kehte hen ya phir wo ratoobat jo baz oqat peshab k bad nakalti hai use wadi kehte hen agr in bad wali 2 ratoobaton se peshab mila hua na ho to pak hai (Ref: ayatullah sistani d b tauzeehul masail 41 edition maslah 70 s no 6499).
[Updated on 18-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
103182
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2020-01-16

Question: Assalam O Alaikum..! mene poochna tha k biwi k agay daal kar rakhna or kuch jhatkay maar kar or taskeen hasil kar k bina faarigh hue e nikaal lene se ghussal karna parta hai??

Answer: Dukhool k baad chahay mani kharij ho ya na ho namaz ya is jaisi degar ibadaat k liay dono ko ghusl karna laazim hoga.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 348).
[Updated on 16-Jan-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
103189
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-08-18

Question: Kya ehtalam honay ki wajah say ghusal krny k bad saray kapray bdalna zarori hai yan sirf WOhi kapra bdal lain jin par Mani lagi hui hai

Answer: ghusal karne ke baad kapre badalna ghusal karne ki sharait me se nahi hai.(Ref: Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani, Tauzeeh Ul Masail, Masla no 356-389 )
Note : namaz ya in jaise dosri ibaadaat jin ke liay jism ka aur libas ka paak hona shart hai unke liay woh kapray jo najis hain badalne parenge.
[Updated on 18-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
103201
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-08-17

Question: Hambastry sa pehla muja qatra ata Hain.us k bad shawat hunbis

Answer: Wo rutoobat jo kabhi kabhi shehwat ubharne par mard k aalah-e-tanasul se kharij hoti hai ose “Mazi” kahte hain, wo paak hai chahay jitni miqdar ho. Ilawah azeen wo rutoobat jo kabhi kabhi mani k bad kharij hoti hai, jise “Wazi” kaha jata hai ya wo rutoobat jo baaz auqaat peshaab ke bad nikalti hai aur jise “Wadi” kaha jata hai, agar peshaab is se nah mila ho to paak hai.Ref(touzeeh ul masail masala no 70).
[Updated on 18-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
103214
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2020-01-20

Question: AOA agar biwi ko hat say discharge Kiya jaye to aurat par ghusal Wajib ho jata hy?

Answer: Jee han , is se aap ki biwi par ghusl wajib ho jaye ga. Wo ratubat jo aurat say shehwat k saath Khaarij hoti hay Agar is Hadd tak ho kay usay Inzaal Kaha ja sakay aur libaas ko aalooda kar day , jo aam tor par us waqt nikalti hay jab aurat jinsi shehwat ki Intihaa tak pohunch jaey to ye Najis bhi hay aur is aurat ko Mujnib shumaar kiya jaey ga aur us par ghusl e janabat bhi wajib hoga.ise tara ehteyaat e waajib ki bina per agar hijaan e shewat ki inteha tak nah bhi pouche magar paani itna ziyaada ho jitna puri razamandi k mouqe per kharij hota hai to ye Najis bhi hay aur is aurat ko Mujnib shumaar kiya jaey ga aur us par ghusl e janabat bhi wajib hoga. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 345).
[Updated on 20-Jan-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
103215
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2020-01-20

Question: Kya shohar k sath hambistari k bad bina sir dhoye pak ho sakte h ..? Kyunki mera bachcha or me bimar h thand se or meri thand usko lgegi kyunki me feed krwati hu

Answer: Agar ghusl karne se bemaar hone ka khatra ho tu paani ko garam kar k ghusl kia jaey or agar ye mumkin nah ho tu ghusl k badle tayammum kia jaey, or agar agali namaz tak ghsul karna mumkin ho jaey tu phir gghusl e janabat kia jaey ga.(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail, edition#42, maslah#659).
[Updated on 20-Jan-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print