Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+


Question & Answers << Go Back

Topic: Haiz (321 Questions)


Showing 0- 50 questions from 321 questions on this page.

Answers found for searched words
Id:
109
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Khoie Date: 2018-05-19

Question: Kiya najasat e haiz ki halat main shohar kisi bhi qism ka rabta rakhna sahih hay?

Answer: Najasat e Haiz ki haalat main Aurat say Jima(Sexual Intercourse) kay Ilawa har qism ka rabta rakh saktey hain.
Ref:Masala No.459 Pg.No.102.(Urdu Tauzeeh-ul-Masail)

Print

Id:
134
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Khoie Date: 2018-05-22

Question: if a lady is in state of istehada qaleela according to her duty she have to do wudhu for each namaz but if bleeding stops or there is no blood during two namaz e.g between zuhar and asar so is that wudu which was done fr Zuhr is valid fr asr namaz or again wudh should be done for next namaz?

Answer: Wuzu should be done for Namaz-e-Asr again.

Print

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id:
281
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Khoie Date: 2018-05-29

Question: if a woman gets tahir after midnight (blood of haizz stops after midnight) is it wajib for her to perform ghusl and pray magrib /ishaa or only namaz e fajr is wajib on her ? 2.how will be midnight calculated according to ayatullah khoir.a?

Answer: 1:Kisi uzr ki wajah say maghrib ya isha ki namaz aadhi raat tak na parhay to aihtiyaat-e-wajib ki bina par usay chahiye kay subah ki azan say pehlay pehlay ada aur qaza ki niyyat kay baghair namaz parhay (lihaza aap ghusl kar kay (aur behtar ye hay kay ghusl say pehlay wuzu karay) namaz-e-maghrib o isha baghair ada aur qaza kay anjaam dain)...2:Adhi raat ka hisaab awwal-e-ghuroob-e-aaftab say ibtida-e-tuloo-e-aaftab tak karna chahiye.(is bina par maghrib o isha ki namaz ka aakhiri waqt zohar-e-sharee kay 12 ghantay baad tak hay)masalan agar zohar ka waqt 12:30 bajay din main hota hay to maghrib o isha ka waqt raat 12:30 tak rahay ga.Ref:Tauzeehul Masail Masala No.472,748.Minhaajus Saaliheen Masala No.134.

Print

Id:
918
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Khamnaie Date:

Question: halat_e_haiz main nazer dili chize kahasakti hai

Answer: Jee haan JAIZ hay.Ref: Isftiftaat A.Khaminae K-34.

Print

Id:
980
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date: 2018-06-07

Question: How can a woman pray during menses, if she wants to at the time of azan / namzaz?

Answer: In makhsoos ayam main Namaz aur is jaisi deegar Ibadatain jinhain Wuzu,Ghusl ya Tayammum kay saath ada karna zaroori hay agar is niyyat say anjaam day kay sahih amal anjaam day rahi hoon,JAIZ NAHI hay.laikin in ibadatoon kay ada karnay main koi haraj nahi hay jin kay liye wuzu,ghusl ya tayammum karna zaroori nahi hay jaisay Namaz-e-Mayyat waghaira.Haaiza kay liye mustahib hay kay Namaz kay waqt apnay aap ko khoon say paak karay aur Rooi(Cotton) ka tukra badlay aur wuzu karay aur agar wuzu na kar sakay to tayammum karay aur Namaz ki jaga par ro-baqibla ho kar itni dair tak baithay jitni dair usay Namaz parhnay main lagti hay.Ref:Tauzeehul Masail Pg.No.76,78,Masala No.448,466.and I-21.

Print

Id:
1037
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: jab periods ke din hote hain ladies ke to kia woh Quran parh sakti hai ya jo surah zabani yaad ho un ko parhna sahi hai like Ayatul Kursi wagaira aur agar Quran khol kar surah parhti hai yeh ehtiyat ke sath ke huroof per hath na lagay to kia sahi hai plus shab e kadar ki ratein hain so agar is halat main Joshn e kabeer ke amal kiyeh jaye to sahi hoga ?

Answer: Quran Majeed ki wo Ayatain Jin kay Parhnay say sajda karna wajib ho jata hay un Ayaat ka is Haalat main parhna Haraam hay.Jaisay Sora Sajda Ayat No.15,Sora Fussilat Ayat No.37,Sora Wannajm Ayat No.62,Sora Alaq Ayat No.19.Iskay Ilawaa Quran ko Saath rakhna,Iskay Hashiye ko Choona aur Ibaarat kay Darmiyani Hissay ko Mass karna Makrooh hay.Dua e Joshan e Kabir Parnay main koi Haraj nahi hay Sirf Khuda aur uski Makhsoos Sifaat ko choona Haraam Hay.Ref:Minhaaj us Saliheen(A.Sistani) Masala No.235.

Print

Id:
1155
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: mujay 10 days periods hothay hain (10 kay baad blood nahi ata) but 3 din k baad bleeding stop ho jaati hai phir kisi kis din hoti hai but 9th day ko phir say hoti hai.mujay yeh poochna hai k ager may ghusl(bath) ker loo jub bleeding stop ho jay 4th ya 5th day aur sex ker loo husband say tho kia yeh sahi hai?

Answer: A.Sistani kay nazdeek :

Agar aap ko waqt means Date kay aitibaar say bhi same days main bleeding hoti hay to aisi soorat main Aihtiyat e Wajib ki bina par zaroori hay kay wo jin dinoo main blood nahi aya hay un kaamoo say parheez karay jo Haiza par Haram hay.aur Mustahaza kay Aamal ko anjaam day.

(Note: aap kay Haiz ki Aadat Days kay aitibar say wohi din shumaar hongay jis main aap ko bleeding hoti hay means agar start main 3 days aur phir 3days gap aur baad main 3 days to total 6 days ki aadat shumar hogee na kay 9 days ki.)
Ref: Tauzeehul Masail A.Sistani Masala No.469 Part-2. Pg.79.

Agar aap ko waqt kay aitibaar say different days main bleeding hoti hay to aap ki zimmerdari hay kay aap jin days main blood nahi aata hay un main Aihtiyat karain yani Paak aurat par jo cheezain wajib hain (masalan NAMAZ) unhain anjaam dain aur jo cheezain Haiza aurat par Haram hain(masalan JIMA) un say parheez karain.
Ref: Tauzeehul Masail A.Sistani Masala No.482 Part-2 Pg.85


Masala ki Wazahat:

Waqt(Date) aur Adad (Days) ki adat rakhnay wali aurat usay kehtay hain jisay yekey baad deegare 2 months main same date par aur same days main blood aaey masalan dono months main 7 days blood aaey aur date 1-7 hi ho both months main.

Waqt ki aadat rakhnay wali aurat usay kehtay hain jisay yekey baad deegare same date par blood aaey laikin days different hon masalan 1st day to 7th day blood aaey 1st month main aur 2nd month main 1st to 8th day tak aaey.

Adad ki aadat rakhnay wali aurat usay kehtay hain jisay 2 months main barabar days blood aaey laikin date different ho.masala 1st month main 1st say 5th tak blood aaey aur 2nd month main 25th say 30th tak aaey to uski aadat 5 days ki hogee.
Ref: Tauzeehul Masail A.Sistani Masala No.468 Pg.78 Topic-HAAIZ KI QISMAIN.

Print

Id:
1557
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: salam moulana shab mera sawal ya ha ka larkio ka jab haiz ka din chal reha hota haan to kia 4 din ka baad sa us ka sath humbastari kar sakta haan plz jaldi jawab di jia ga kyu ka kuch moulana khata haan ka agar baccha nahi hota ho to ap larki ka sath halat haoz ma jab larki ka 4 ya 5 din chal reha ho ap us ka sath kaam kar sakta ho plz bhataya ya thik ha ya nahi is bata ma aayat-ul-allah seestani ka fatwa ha plz reply me as soon as possible

Answer: ji haan. haiz kay ayyam (days) mein aurat (women) ki farj mein jima karna mard aur aurat dono kay liyay haram hai. khuwa dukhool sirf supari ki had tak hi ho aur mani bhi kharij na ho, balkay ehtiyaat-e-wajib yeh hai ke supari se kam miqdar mein bhi dukhool na kia jai.
albatta yeh hukum aurat se dubur (maqaam-e-pakhana) mein jima kay liyay nahi hai. lekin dubur mein jima, aurat ki razamandi kay bagair ho to ehtiyaat-e-wajib ki bina par jaiz nahi hai (chahey woh haiza ho ya na ho). REF: A.Sistani, Tauzeeh-ul-masail, masla no. 448+435.

Print

Id:
1739
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: I would like the have the answer to Q ID#134 under Seestani rulings.

Answer: bismehi taala, Wuzu should be done for Namaz-e-Asr again (ref: tawzihul masail Aytullah Seestani (d.b.) masaala no.392-293)

Print

Id:
1797
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Khumeni Date:

Question: kya haiz ki halat mein aurat se humbistari jaiz hai?

Answer: bismehi taala, sharmgah me jemaa jaiz nahi (ref: tawzihul masail Aytullah Khumeni (r.a.) masaala no.450)

Print

Id:
1859
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: after periods ghusal kerna zaroori hae or us ka tariqa kia hae...plz reply soon

Answer: bismehi taala, gusale haiz wajib he, tatibi gusal me ahteyate lazim ki bina par gusal ki niyyat se pahle pura sar or gardan or bad me badan dhona zaroori he or bahetar he k badan ko pahle daeen tarf se or bad me baeen tarf se dhoya jae. (tawzihul masail Aytullah Seestani (d.b.) masaala no. 367)

Print

Id:
2119
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: A.A thanks k apnay mujay wazifa bataya karnay ko manay usay magrib ki namaz k bad suroo kiya ha parna or ma usay daily parhoo gi usi time p par mujay ye pochna tha k ma usay kitnay din parhoo agar napaki k din ayee jab ma 7 din na par sakoo to usay kuch hoga to nai na or sura muzammil ma par lo lakin wo 41 days parna ha or pir napaki k din may chot jayee gi usk liye kaya karna.or ma chahti ho k is amal k sath ap mujay koi wazifa batayee jisko parnay say meray ghar walay khudi is rishtay k liyee man jayyeee or haan kar dain.or manay quran say faul nikalnay ka pocha tha us jawab ko ma kis topic may parhoo plz bata dain reply me jaldi.

Answer: w.s. 1) haiz ki muddat k darmiyan amal ko chod dene se inshaAllah koi nuqsan nahi hoga. 2) haiz ki halat me sajde wali char surto k alawa qurane majeed ki tilawat karana makrooh he (yaani sawab kam milega, yaani aap sure muzammil ki tilawat ko haiz ki halt me bhi jari rakh sakate hain albatta yeh khayal karna hoga k hath qurane majeed k alfaz par na lage) (ref: tawzihul masail Aytullah Seestani (d.b.) masaala no. 483,456) 3)quran se istekahara kiya ja sakta he, aur is k liye kitab mafatihul jenan me tariqe likhe huve hain, shadi k mutalliq yeh istekhara kiya ja sakta he k phulan jagah par rishta karna kaisa he ?

Print

Id:
2142
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: ek aurat yan larki ko haiz ki halat main namaz ki ejazat hay?

Answer: bismehi taala, In makhsoos ayam main Namaz aur is jaisi deegar Ibadatain jinhain Wuzu,Ghusl ya Tayammum kay saath ada karna zaroori hay agar is niyyat say anjaam day kay sahih amal anjaam day rahi hoon,JAIZ NAHI hay.laikin in ibadatoon kay ada karnay main koi haraj nahi hay jin kay liye wuzu,ghusl ya tayammum karna zaroori nahi hay jaisay Namaz-e-Mayyat waghaira.Haaiza kay liye mustahib hay kay Namaz kay waqt apnay aap ko khoon say paak karay aur Rooi(Cotton) ka tukra badlay aur wuzu karay aur agar wuzu na kar sakay to tayammum karay aur Namaz ki jaga par ro-baqibla ho kar itni dair tak baithay jitni dair usay Namaz parhnay main lagti hay.Ref:Tauzeehul Masail Pg.No.76,78,Masala No.448,466.and I-21.

Print

Id:
2173
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: mulana sahab mera ye sawal ha k jab haiz ki halat may hamary rozay choot jatay ha to jab ramzan k baad ham nay aglay ramzan tak un rozo ko pura karna ho to kiya unko pura karnay k liye eid k dosray din roza rakna lazim ha or agar kisi nay eid k dosray din roza na rakna ho wo na pak ho to wo apnay rozay kaisay poray karay.

Answer: bismehi taala, haiz ki wajeh se chode huye rozo ki qaza mahe ramzan ke fawran baad karna zaroori nahin hain albatta agla mahe ramzan aane se pehle qaza kar leni chahiye (ref: tawzihul masail Aytullah Seestani (d.b.) masaal no.475)

Print

Id:
2550
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Khamnaie Date:

Question: salamun alaikum,mera sawal yeh hai kay maiany apnay ghar aik amal kurnay ka ahtamam kiya hai jis main hum aurtain milkay salawat ki tasbeeh parhaingay and hadees e kisa or dua e tawassul parhaingay,laikin mujhay periods aagaye hain,to kya main haiz ki halat main yeh tasbeeh parh sakty hoon,plz reply me soon,JAZAKALLAH,ALLAHHAFIZ.

Answer: jee haan aap haiz ki halat main ye sab kaam kersakti hain or iska sawab bhi hay. Kawateen per periods main khuch kaam kernay haram hain
1)apnay jism ka koe hissa Quran ki huroof say or isi terah ambiya (a.s) or 14 masoomo k namo ko chona. 2)masji dul haraam or mamji dun nabawi(s.a.w.w) main dahkil hona. 3)baqi tamaam masajid main rukna.is terah ehtiyaat e wajib hay k imamo k haram main rukna.
4)masjid main koe cheez rakna chahay masjd k bahar say rakhay. 5)on 4 ayaat ki tilawat kerna jin k perhnay say sijdah wajib hojata
hay. 6)jin ibadaat k liay paaki(taharat) zarori hay(maslan namaz,roza) ka baja lana.
7)hambistari / jima (intercourse). (ref: Aayat-ul-Allah Khamnaie (D.B),Talee mul ehkaam,page #100,101)
tawzee hul masail,sawal #228,229.

Print

Id:
3068
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: is there any kind of ristriction in offering namaaz when agirl\women having periods

Answer: Acts which are Haraam for a woman who is in the state of Hayz:
• Prayers and other similar acts of worship for which Wudhu or tayammum or Ghusl is necessary. However, there is no harm in her performing those acts of worship for which Wudhu, tayammum or Ghusl are not obligatory (e.g. Namaz-e-Mayyit).
• All those acts which are forbidden to a junub (see rule no. 361).
Having sexual intercourse; it is Haraam for man as well as for woman even if only the penis glans may penetrate, and even if semen may not be discharged. In fact, the obligatory precaution is that the male should refrain from insertion even to an extent lesser than the point of circumcision. (Ref : website of Ayatullah sistani(d.b)
http://sistani.org/local.php?modules=nav&nid=2&bid=59&pid=2903 ) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
3093
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: Asalam-o-elikum mujh yai pouchna hai k HAIZ ki halat main mard bv ko sahramgaa say chow sakta hai k nai or kya mard bv ki safai ker sakta hai haiz ki halat main sharamga ki

Answer: Haa’iz(jo aurat haiz ki halat main ho) say jima k alawa dosri lutf andoziyoon maslan boos o kinaar (kissing) ki mumani’at(rukawat) nahi.(Ref: Ayatullah Sistani(d.b), tauzeehul masa’il,maslah#451). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
3799
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: i want to know about haiz ki duwa

Answer: Ghusl haiz main koe dua wajib nahi hay.(urwatul wusqa part#1, sistani(d.b), pg#228,229).(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
3808
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: kiya women monthly period bleeding time who quran sun sakti ye quran sunna lazim hai

Answer: Haiz ki halat main (periods) Quran Majeed ki wo 4 Ayaat Jin k Perhnay say sajda karna wajib ho jata hay un Ayaat ka parhna Haraam hay.wo ayaat ye hain:
Sora Sajda Ayat No.15, Sora Fussilat(haa meem sajda) Ayat No.37, Sora Wannajm Ayat No.62, Sora Alaq Ayat No.19.
lakin sunna jaiz he aur quran k wajib sajdoo k lie ghusl e janabat ya ghusl e haiz karna zurari nahi he.Is k Ilawaa Quran ko perhna isay apnay Saath rakhna,apnay badan ka koe hissa Iskay alfaaz k damiyaani hissay say Choona Makrooh khuch fuqaha k qaul k mutabiq makroh hay. ( Ayat ulllah Seestani (d.b),Tauzee hul masail, maslah # 448, 467).
(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
4005
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: Assalamualikum, maulana saheb main yeh janna chahti hu k mujhe 72 hr se kam hoti hai bleeding or 4-5 ghante baad halka sa hota hai fir 3din tak nahi hota hai ya kabhi kabhi halka halka roz hota hai ya 3 din baad aathwe ya nave din ya duswe thodi c bleeding hoti hai aese mein mujhe samajh nahi aata k main kab se start karu namaz or ye haiz hai k nahi.......please jaldi bataiyega

Answer: 1) haiz ki muddat 3 din se kam aur 10 din se ziada nahi hoti he aur agar khoon anay ki muddat 3 din se zara bhi kam ho to wo haiz nahi he.
2) Haiz k lie zurari he k pehlay 3 din lagatar aye lehaza agar missal k toor per kisi aurat ko 2 din khoon aye phir aik din na aye aur phir aik din aa jay to wo haiz nahi he.
3) Haiz ki ibtida me khoon ka bahir ana zurari he lakin ye zurari nahi he k puray 3 din khoon nikalta rehay balke agar sharam gah me khoon majood ho to kafi he aur agar 3 dinoo mein thoray se waqt k lie koi aurat pak ho bhi jay jaisa k tamam ya baaz auratoon k darmian mutarif he tab bhi wo haiz he.
4) Agar kisi aurat ko 3 din mutaawatir khoon aata rehay phir wo pak ho jay . phir wo dubara khoon dekhay to jin dinoo me wo khoon dekhay aur jin dinoo me wo pak ho in tamaam dinoo ko mila kar agar 10 din se ziada na ho to jin dinoo me wo khoon dekhay wo haiz k din hein lakin ethiat e lazim ki bina per paki k dinoo me wo in tamaam umoor ko jo pak aurat per wajib hein anjam de aur jo umoor haiza per haram hein inhain tark kar dein. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 438-442) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
4012
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: napaki k halat ma shabe kadar ma kia parhe ?qurani suraten parh sakty hen

Answer: Quran Majeed ki wo Ayaat Jin k Perhnay say sajda karna wajib ho jata hay un Ayaat ka halat e jabat or halat haiz or nifaas main parhna haraam hay.Jaisay Sora Sajda Ayat No.15,Sora Fussilat Ayat No.37,Sora Wannajm Ayat No.62,Sora Alaq Ayat No.19.Iskay Alawa Quran ko Saath rakhna,Iskay hashiye ko Choona aur tehreer k darmiyani hisso ko chona makhrooh hay. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 467 & Minhaaj us Saliheen(A.Sistani) Masala No.235.) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
4353
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: kya main haiz ki halat me roza rakh sakti hun? aur kya haiz ki halat me mera roza rakhna sahi hoga,aur agar roza rakhna sahi nahi hoga to kyu?

Answer: 1) Namaz , Roza aur is jaisi deegar Ibadatain jinhain Wuzu,Ghusl ya Tayammum k saath ada karna zarori hay agar is niyyat say anjaam day kay sahih amal anjaam day rahi hoon,jaiz nahi hay.laikin in ibadatoon k ada karnay main koe haraj nahi hay jin k liay wuzu,ghusl ya tayammum karna zarori nahi hay jaisay Namaz-e-Mayyat waghaira.
2)rozay k sahi honay ki 5 shara,it hain: 1)islam(laihaza kafir ka roza sahi nahi maana jay ga) 2) aqal ho or bay hoosh nah ho. 3) haiz or nifaas se paak ho(layhaza haiz or nifaas wali aurat ka raza sahi nahi hoga agarcha haiz or nifaas din kisi hisay main hi Q nah aajay). 4)junub ya haiz ya nifaas per fajr tak baqi nah rehna. 5) Aisa musafir nah ho jis per qasar namaz perhna wajib ho.
3)Ramzan k wo rozay jo haiz ki halat me na rakhe hoon zarori he k os ki qaza ki jaay. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 448 , 459, (Ref:Ayatullah Sistani(d.b), Minhajus Saliheen,Part#, Maslah#1026 ka muqaddima ) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
4817
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: mei ne suna hai ke periods / haiz ke doraan agar husband / shoher sex karne ke leye back side demand kare tu aisi situation mei wife kya kare islam mei ye maqroo hai ya haraam ?

Answer: Biwi k peechay k maqam(maqam e pakhana) main hambistari kerna bivi k raazi nahei honay ki sorat main haram hay, agar bivi raazi ho tu jaiz hay laikin shadeed makrooh hay. (ref: Ayatullah Seestani(D.B) Al-masail e mutakhaba, maslah # 67).

Print

Id:
4849
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: aoa.agar haiz ki halat main apnay sohar k sth intercouse kr liya jae wo b johar ki khuwahish sy tu kiya yeh sahi hai?agar haram amal hai tu kiya krna ho ga?plz reply

Answer: Haiz ki halat main jima(intercourse) kerna shohar or b.v dono k liay haram hay.Agar mard apni biwi se haiz ki halat me jima karay to is ke lie zurari he ke estigfar karay aur kaffara dena wajib nahei he. Agarcha behtar he ke kaffara bhi de. (ref :Ayat ullaha sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah#450)

Print

Id:
4855
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Khoie Date:

Question: can we read quran in periods

Answer: Haiz ki halat main (periods) Quran Majeed ki wo Ayatain Jin kay Parhnay say sajda karna wajib ho jata hay un Ayaat ka parhna Haraam hay.Jaisay Sora Sajda Ayat No.15,Sora Fussilat Ayat No.37,Sora Wannajm Ayat No.62,Sora Alaq Ayat No.19.Iskay Ilawaa Quran ko perhna isay apnay Saath rakhna,apnay badan ka koe hissa Iskay alfaaz k damiyaani hissay say Choona Makrooh hay. ( Ayat ulllah khoei (d.b),Tauzee hul masail, maslah#483 )

Print

Id:
4921
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: Assalam o Alaikum.mera swal ye hai k muje sirf 2 din ya us se b kum haiz hota hai.to kia me jab haiz khatam ho jae to ghusal kar k namaz parh sakti hoon .kuch log kehte hain k muje 7 din rukna chahiye.please reply me soon.Allah hafiz

Answer: haiz ki mudat 3 din se kum aur 10 din se ziada nahei hoti ayr agar blood aane ki mudat 3 din se zera bhi kum ho yo vo haiz nahei he.( (ref: tauzeeh ul masail ayat ullaha sistani (d.b.) masla #438)(is lie aap ka blood isteaza he aur is me shariet ke saat ibadat kerni hoti he.)

Print

Id:
5077
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: Salam, hamare shadi se din main hyas mein thi kya hamre shadi jayas hai.i am very scad pls answer my question

Answer: Haaiz aurat per chand cheezein haram hain. 1) Namaz aur is jaisi deegar Ibadatain jinhain Wuzu,Ghusl ya Tayammum kay saath ada karna zaroori hay agar is niyyat say anjaam day kay sahih amal anjaam day rahi hoon,JAIZ NAHI hay.laikin in ibadatoon kay ada karnay main koi haraj nahi hay jin kay liye wuzu,ghusl ya tayammum karna zaroori nahi hay jaisay Namaz-e-Mayyat.
2) wo tamam cheazein jo mujnib per haram hein aur jin ka zakr janabat ke akham me kia gia he.
3) haiz kay ayyam (days) mein aurat (women) ki farj(sharamgaah) mein jima karna mard aur aurat dono kay liay haram hai. chahay dukhool sirif supari ki had tak hi ho aur mani bhi kharij na ho, balkeh ehtiyaat-e-wajib yeh hai k supari se kam miqdaar mein bhi dukhool na kia jaay. albattah yeh hukum aurat se dubur (maqaam-e-pakhana) mein jima kay liay nahi hai. lekin dubur mein jima, aurat ki razamandi k baghair ho to ehtiyaat-e-wajib ki bina par jaiz nahi hai (chahey woh haiza ho ya na ho). (ref : tauzeeh e ul masayl ayat ullaha sistani (d.b.) masla # 448).

Print

Id:
5094
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: askm,agar biwi k bahut mana karne per bhi shoher back side sex karne per majbor kare to kya is wajhe se boiwi ko bhi gunah hoga?

Answer: Biwi k peechay k maqam(maqam e pakhana) main hambistari kerna bivi k raazi nah honay ki sorat main haram hay, agar bivi raazi ho tu jaiz hay laikin shadeed makrooh hay. (ref: Ayatullah Seestani(D.B) Al-masail e mutakhaba, maslah # 70).

Print

Id:
5177
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: qhusl haiz ki kitni duayan hain mujhe bataiye maherbani shukriya

Answer: Ghusl haiz main koe dua wajib nahi hay.(urwatul wusqa part#1, sistani(d.b), pg#228,229).

Print

Id:
5547
Mujtahid:
Date:

Question: kya aurat periods ke tesre din husband ke saat hum bistari kar sakti hai

Answer: Jee nahi jab tak periods khatan nah ho jay hambistari kerna jaiz nahi hay.Haiz kay ayyam (days) mein aurat (women) ki farj mein jima karna mard aur aurat dono kay liyay haram hai. chahe dukhool sirf supari ki had tak hi ho aur mani bhi kharij na ho, balkay ehtiyaat-e-wajib yeh hai ke supari se kam miqdar mein bhi dukhool na kia jai. albatta yeh hukum aurat se dubur (maqaam-e-pakhana) mein jima kay liyay nahi hai. lekin dubur mein jima, aurat ki razamandi kay bagair ho to ehtiyaat-e-wajib ki bina par jaiz nahi hai (chahey woh haiza ho ya na ho). (ref : tauzeeh e ul masayl ayat ullaha sistani (d.b.) masla # 448) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
6159
Mujtahid:
dua Date:

Question: Assalamualaium aap hame haiz ghusl ki Dua mail kijeye. Thank you

Answer: Haiz k ghusl k liay koe dua nahi. (ref : e mail rec from ayatollah sistani d.b. dated : March 1, 2011) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
6269
Mujtahid:
Date:

Question: salam 2 u sir mere 2 sawal hi apse...? 1)kia aurat period k dermian quran shareef parh sakte hi 2)agr mian,bivi ik dosry ki sharmgaho ko seek ker sakty hi to sochne waly bat toye hi k jis zaban se inssan Allah ka naam laty hi to os se kis taha ye kam kia ja sakta hi kindly explian me about that i m waiting......

Answer: 1) Quran Majeed ki wo Ayaat Jin k Perhnay say sajda karna wajib ho jata hay un Ayaat ka halat e janabat or halat haiz or nifaas main parhna haraam hay.Jaisay Sora Sajda Ayat No.15,Sora Fussilat Ayat No.37,Sora Wannajm Ayat No.62,Sora Alaq Ayat No.19.Iskay Alawa Quran ko Saath rakhna,Iskay hashiye ko Choona aur tehreer k darmiyani hisso ko chona makhrooh baaz fuqaha k qaul k mutabiq makroh hay. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 467 & Minhaaj us Saliheen(A.Sistani) Masala No.235.) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
2)jo shaks mujtahid nah ho tu os k liay har sorat main fatwa daina haram hay.jo hazraat nah tu mujtahid hoon or nah hi ehtiyaat per amal ker sakain tu on k liay wajib hay k wo kisi mujathid ki taqleed karain(yani os k fatwa per maal karain). . (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 1 & Minhaaj us Saliheen(A.Sistani) Masala No.21.)

Print

Id:
6433
Mujtahid:
none Date:

Question: salam g mera sawal ye hai k kia aurat periods ki halat me allah k naam ka wird kar sakti hai ya nahi aur astighfar,aur pehla kalma parh sakti hai ya nahi zara tafseel se bataye ga shukria

Answer: Aurat periods ki halat me Allaha ka wird kar sakhti he magar Allaha k (Ref: Naeem ul aamaal pg# ) ko hath ya jism ka koi hissa mus karna haram he. Quran Majeed ki wo Ayaat Jin k Perhnay say sajda karna wajib ho jata hay un Ayaat ka halat e janabat or halat haiz or nifaas main parhna haraam hay.Jaisay Sora Sajda Ayat No.15,Sora Fussilat Ayat No.37,Sora Wannajm Ayat No.62,Sora Alaq Ayat No.19.Iskay Alawa Quran ko Saath rakhna,Iskay hashiye ko Choona aur tehreer k darmiyani hisso ko chona makhrooh baaz fuqaha k qaul k mutabiq makroh hay. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 467 & Minhaaj us Saliheen(A.Sistani) Masala No.235.) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
6542
Mujtahid:
Date:

Question: agar napaki mein ghalti se quran ko cho lia jai,sirf bahir se tou kia kerna chaye

Answer: Quran ko Saath rakhna, iskai jild ko chuna, Iskay hashiye ko Choona aur tehreer k darmiyani hisso ko chona baaz fuqaha k qaul k mutabiq makroh hay. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 467) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
6570
Mujtahid:
sistani sahab Date:

Question: which surah should not be recited by females during menses?

Answer: Aurat periods ki halat me Quran Majeed ki wo Ayaat Jin k Perhnay say sajda karna wajib ho jata hay un Ayaat ka halat e janabat or halat haiz or nifaas main parhna haraam hay.Jaisay Sora Sajda Ayat No.15,Sora Fussilat Ayat No.37,Sora Wannajm Ayat No.62,Sora Alaq Ayat No.19.Iskay Alawa Quran ko Saath rakhna,Iskay hashiye ko Choona aur tehreer k darmiyani hisso ko chona makhrooh baaz fuqaha k qaul k mutabiq makroh hay. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 467 & Minhaaj us Saliheen(A.Sistani) Masala No.235.) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
6634
Mujtahid:
Date:

Question: haiz k dino may hatho may mehndi lagana jaiz hay ya nahi?

Answer: Mehandi ya is jaisi doosri cheezoon se khizab karna baaz fukha k qoul k mutabiq makrooh he. Jab ke ayatullaha sistani d.b. k mutabiq makrooh nahi he. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 78) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
6729
Mujtahid:
Assalamualikum Date:

Question: Assalamualikum mulana sahab my ap se ek sawal karna chare keya hum na pake halat me sar ko mahendi laga sakte ghar k bade buzrg to bolte hai k jab tak gusul nai otarta ab plz ap boley na shokreya Alla Hafiz

Answer: Haaiz aurat k liay mehandi ya is jaisi kisi aur cheez se khisab karna baaz fuqha k qoul k mutabiq makrooh he. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 467). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
6777
Mujtahid:
hanfi Date:

Question: kia aurat napaki(haiz & nifaas) mein zubaani qiraat-e-quran kar sakti he ?

Answer: Note is web site me fiqha e jaffaria k mutabiq jawabaat diay jatay hein.

Quran Majeed ki wo Ayaat Jin k Perhnay say sajda karna wajib ho jata hay un Ayaat ka halat e janabat or halat haiz or nifaas main parhna haraam hay.Jaisay Sora Sajda Ayat No.15,Sora Fussilat Ayat No.37,Sora Wannajm Ayat No.62,Sora Alaq Ayat No.19.Iskay Alawa Quran ko Saath rakhna,Iskay hashiye ko Choona aur tehreer k darmiyani hisso ko chona makhrooh baaz fuqaha k qaul k mutabiq makroh hay. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 467 & Minhaaj us Saliheen(A.Sistani) Masala No.235.) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
6836
Mujtahid:
Date:

Question: kya menses ki halat hain aurat ko roza rakhna jaiz hain

Answer: Namaz, Roza aur is jaisi deegar Ibadatain jinhain Wuzu,Ghusl ya Tayammum kay saath ada karna zaroori hay agar is niyyat say anjaam day kay sahih amal anjaam day rahi hoon, JAIZ NAHI hay. Laikin in ibadatoon kay ada karnay main koi haraj nahi hay jin kay liye wuzu, ghusl ya tayammum karna zaroori nahi hay jaisay Namaz-e-Mayyat. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 448) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
6911
Mujtahid:
? Date:

Question: Asalam o aleykum Q.: Kya Mensis ke Dooran aurat Gloves pehnkar Quran parsakti hai??? Usko Aisse haat laga sakti hai & read karsakti hai...

Answer: Quran Majeed ki wo Ayaat Jin k Perhnay say sajda karna wajib ho jata hay on Ayaat ka halat e janabat or halat haiz or nifaas main parhna haraam hay.wo Ayaat Sora Sajda Ayat No.15,Sora Fassulat Ayat No.37,Sora Wannajm Ayat No.62,Sora Alaq Ayat No.19 hain.Iskay Alawa Quran ko Saath rakhna,Iskay hashiay ko Choona aur tehreer k darmiyani hisso ko chona baaz mujtahid k qaul k mutabiq makhrooh hay. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 448 , 467) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
6930
Mujtahid:
Date:

Question: assalam o alaikum. mera sawal ye hai k mera rishta ane me pata nahi kia rukawat he jo rishta nahi ata plz koi dua kijiye k sari rukawaten khatam hojain Aur mi ne dekha hi ki achey ristey k liye 11 times durud aur phir 101 times Ya Allaho Ya Rahmano Ya Rahimo Ya Kareemo Ya Hayyo Ya Qayyum padhe (ref:naeemul aamal page no.314) 2) agar sura-e-muzammil ko rozana aik aik dafa 41 days tak parh kar dua ki jai to (inshallah) yaqeenan rishta tay ho jaiga. Lekin hum ladkiyon ko mahineme ek bar rukavat athi hi na continution se 40 din tak nahi pad sakte hey na kya kare?

Answer: Haiz ki halat main (periods) Quran Majeed ki wo Aayaat Jin k Parhnay say sajda karna wajib ho jata hay on Ayaat ka parhna Haraam hay.Jaisay Sora Sajda Ayat No.15,Sora Fussilat Ayat No.37,Sora Wannajm Ayat No.62,Sora Alaq Ayat No.19.Iskay alawaa Quran ko perhna osay apnay Saath rakhna,apnay badan ka koe hissa Iskay alfaaz k damiyaani hissay say Choona Makrooh hay.Is k alawa wazifay karna jaiz he. ( Ayat ulllah khoei (d.b),Tauzee hul masail, maslah#483 ) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
7405
Mujtahid:
Date:

Question: After wife mences how many days should wait for meet. after 7 days or 3 days.

Answer: Haiz k ayyaam (days) main aurat (women) ki farj mein jima karna mard aur aurat dono kay liay haram hai, balkeh kaha gaya hay k ye gunah-haan e kabeera main say hay. chahay dukhool sirf supari(paishab ki nail ka shuru ka chikna hissa) ki had tak hi ho aur mani bhi kharij na ho, balkay ehtiyaat-e-wajib yeh hai k supari se kam miqdar main bhi dukhool na kia jaay. albattah yeh hukum aurat se dubur (maqaam-e-pakhana) mein jima k liay nahi hai. lekin dubur mein jima, aurat ki razamandi k bagair ho to ehtiyaat-e-wajib ki bina par jaiz nahi hai (chahey woh haiza ho ya na ho).aur haiz se pak honay k bad nambistri kar sakhta he. (ref : tauzeeh e ul masayl ayat ullaha sistani (d.b.) masla # 448 & Minhaajus saliheen, part#1,maslah#228).

Print

Id:
7482
Mujtahid:
Ayatullah Hussain Ali sistani Date:

Question: can nikah be done if the bride is in her menstruation or menstraul cycle?

Answer: Your marriage is right because there is no condition in marriage that woman will not be in periods. During periods to having sexual intercourse is Haraam for man as well as for woman even if only the penis glens may penetrate, and even if semen may not be discharged. In fact, the obligatory precaution is that the male should refrain from insertion even to an extent lesser than the point of circumcision. Anal intercourse with the wife is forbidden as a obligatory precaution if she is not agree whether she is in periods or not. And if she is agree then anal sex is Acute abominable.(Ref:Ayatullah Sistani(d.b), Tauzihul masail, Maslah# 448, 2335) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
7706
Mujtahid:
aqa sistani Date:

Question: salam, my question is that jo girls k reham mein se nikalta wo kya h?nd kya wo napak hota h?

Answer: Har mahinay chand dino k lie aurat k rehem se jo khoon nikalta he ose haiz kehtay hein aur aurat ko jab haiz ka khoon aye to ose haiza kehtay hein aur ye najis(napaak) hota he aur jis cheez ko lagay ga os ko bhi najis kar day ga. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 432, 93) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
7771
Mujtahid:
Date:

Question: asak jo wazeefa 40 ya 41 din ke hote hain woh hum ladkiyan kese padh sakti hain matlab periods ki wajha se hum naakpaki ki doraan kese padhe...ya jub paak hojaye to usko continue kar sakte hain?

Answer: Aurat periods ki halat me Quran Majeed ki wo Ayaat Jin k Perhnay say sajda karna wajib ho jata hay un Ayaat ka halat e janabat or halat haiz or nifaas main parhna haraam hay.Jaisay Sora Sajda Ayat No.15,Sora Fussilat Ayat No.37,Sora Wannajm Ayat No.62,Sora Alaq Ayat No.19.Iskay Alawa Quran ko Saath rakhna,Iskay hashiye ko Choona aur tehreer k darmiyani hisso ko chona makhrooh baaz fuqaha k qaul k mutabiq makroh hay. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 467 & Minhaaj us Saliheen(A.Sistani) Masala No.235.) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
7961
Mujtahid:
aqae sistani Date:

Question: salam...i want to ask k agar kisi aurat kay days fixed na ho to woh kaisay decide kare k ab mujhe ghusl krna hai aur namaz parhni hai?kiun k aksar aise mai namaz ya to qaza hojati hai ya phir periods mai parh lee jati hai...

Answer: Wo aurat jisay 2 mah khoon aye lakin waqt aur adad donoo k laihaz se is ki aadat fix na hue ho agar ose 10 din se ziyada khoon aay aur sara khoon aik jaisa ho maslan tamaam khoon ya haiz ki nishanion k saath ya istehaza ki nishanion k saath aya ho to is ka hokum waqt ki aadat rakhnay wali aurat k hokum he keh jisay apni adapt k ilawa waqt main khoon aay or alamaat k zarye haiz ko istehaza se tameez nah day. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 484) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
7967
Mujtahid:
ok Date:

Question: haiz ke kitne dino bad hambitari karna sahi hai

Answer: Aurat k haiz se paak ho janay k baad agar chah is ne ghusl na kia ho is ka sohar is se jima kar sakhta he. Lakin ethiat e lazim ye he k jima , sharamgah dhonay k baad kia jay. Aur ethiat e mustahib ye he k is k ghusl karnay se pehlay mard bivi se jima na karay. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 457) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
8328
Mujtahid:
Date:

Question: Kya auroto ko haiz m roza rakhna haram h???...

Answer: Namaz, Roza aur is jaisi deegar Ibadatain jinhain Wuzu,Ghusl ya Tayammum kay saath ada karna zaroori hay agar is niyyat say anjaam day kay sahih amal anjaam day rahi hoon, JAIZ NAHI hay. Laikin in ibadatoon kay ada karnay main koi haraj nahi hay jin kay liye wuzu, ghusl ya tayammum karna zaroori nahi hay jaisay Namaz-e-Mayyat. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 448) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
9227
Mujtahid:
Date:

Question: salam ager haiz ma mubashrat kr li jay to is ka kia kafarah ho ga

Answer: Agar haiz ki halat me mubashrat karay to us k liye zarori hai k istighfaar karay aur kaffara dena wajib nahi hai agarchay behtar hai ke kaffara day is ka kaffara aik misqaal sikkay daar sona aur darmiyane hisssay me adha misqaal aur is k akhri hissay me chothae misqaal hai aur misqaal shari`at me 18 chanay hai. (Ref:Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail,33rd Edition,maslah #448-451)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
9228
Mujtahid:
Date:

Question: i want to ask that i have a mensis period of 7 days my question is that can i have a sexual intercourse before i take bath on 7th day

Answer: Aurat k haiz sai pak ho janay k baad agar chahe is nai ghusl na kia ho is ka sohar is sai jima bhi kar sakta hai laikin ehtiyat e lazim hai k jima sharmgah dhonay k baad kia jae aur ehtiyat e mustahabb ye hai k is k ghusl krnay sai pehlay mard is sai jima na karay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 457)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print