Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+


Question & Answers << Go Back

Topic: Haiz (321 Questions)


Showing 50- 100 questions from 321 questions on this page.

Answers found for searched words
Id:
9751
Mujtahid:
sistani Date:

Question: tell me the proper steps of ghusal e haiz

Answer: 1)The rules for Haiz Ghusl are the same as for the Ghusl of Janabat.
2)There are two methods of performing Ghusls, both Wajib and Mustahab. 1)Tartibi (Sequential) 2)Irtimasi (By submerging the whole body). In Tartibi (Sequential) method, a person should first make a niyyat for Ghusl. Thereafter one should first wash ones head and neck as a obligatory precaution, and thereafter the remaining parts of ones body. It is better that one washes the right part of the body first and then the left part. And if a person, while standing under the water, jerks each of these parts on ones body with an intention of performing Tartibi Ghusl, it will not be sufficient and the precaution is that one should not content oneself with it. And if a person washes the body intentionally before washing the head, his Ghusl is void. In Irtimasi (By submerging the whole body) method either carried out instantly or gradually. If the Ghusl of Irtimasi is to be done at one instance, then water must reach all parts of the body at one time. However, it is not necessary that the whole body be submerged in water from the very beginning of Ghusl. If a part of the body is outside, and is later submerged with the niyyat of Ghusl, it will be deemed in order. If one wishes to perform Irtimasi Ghusl gradually, then it is necessary that the whole body is out of water before Ghusl commences. Then one would submerge ones body gradually in water with the intention of Ghusl. (Ref:Ayatullah Sistani(d.b), Tauzihul masayl, Maslah# 456, 359-60,366-67 ). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
9926
Mujtahid:
Date:

Question: haiz main humbistar haram hay ya hallal

Answer: Haraam hai. (Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 31 , maslah # 448 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).

Print

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id:
9927
Mujtahid:
Date:

Question: Assalamualaikum aulad hone ke liye mai aur mere shohar kya wazifa kare

Answer: Wssalam o alykum, ap dono Darj Zail Asma e Husna ko talab e aulad ki niyat sai 40 roz tk har namaz k baad bila-nagah 40 martba pharain, ﯿﺎﺍﻭﻞ ﯿﺎﺑﺎﺮﺉ ﯿﺎﻤﺻﻮﺮ ﯿﺎﺨﺎﻟﻕ ﯿﺎﻤﺑﺪﺉ (Ref : Naway e Salaheen pg # 401 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).

Print

Id:
10647
Mujtahid:
Al Haj Syed Ali Sistani Date:

Question: Kiya Doraney HAAZ mei naha sakti hon jism ki safai k liye, kyon ke kafi log kehtey hain k es doran nahana Science or Sharaie lihaz se ghalat or na munasib hai lihaza baraye meharbani jawab den or doraney HAAZ hathoon pe Mehandi laga sakty hain ya nahi plz mei ne kai dafa sawal pocha magar app ne jawab nahi diya i will be waiting for the answer.

Answer: Ge haan halat e haiz main nahana aur mehndi lagana donu kaam jaiz hain. (Ref:Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 33th edition,maslah #448). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
11352
Mujtahid:
Date:

Question: kya haiz ke dinno me balo me mahndi lagana jayez hai

Answer: Haiz ki halat main mehendi se khizaab kerna jaiz hay. or baaz fuqaha haiz ki halat main mehendi lagay ko makhroh qaraar daitay hain.(Ref:Ayatullah Sistani(d.b), Tauzihul masa,il, Maslah#467 ). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
11440
Mujtahid:
Imam s.b. Date:

Question: Haiz ki halat me aurat quran,durud zubani pdh sakti h. . ? Ans fst nw. . .

Answer: Haiz ki halat me aurat zaban se durood aur quran perh sakte hai siwaae Quran Majeed ki wo Ayaat Jin k Perhnay sai sajda karna wajib ho jata hai un ayaat ko halat haiz main parhna haram hay. wo Ayaat Sora Sajda Ayat No.15,Sora Fussilat Ayat No.37,Sora Wan-najam Ayat No.62,Sora Alaq Ayat No.19 hain. Iskay Alawa Quran ko parhna, Saath rakhna,Iskay hashiay ko Choona aur tehreer k darmiyani hisso ko chona baaz mujtahid k qaul k mutabiq makhrooh hay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 467) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
12412
Mujtahid:
haiz Date:

Question: assalamo alaikum kiya haiz ki halat me jo napaki ki wazah se namaz chut jata hai to keya halate haiz se farig hoker uski kazah padni pade gee mughe jald mail karen allah hafiz

Answer: 1- jo namazain aurat ne haiz ya nifaas ki halat main nah perhi hoon onki qaza wajib nahi chahay wo rozana ki wajib namazain hoon ya koe or hoon or isi terah jab aurat haiz ya nifaas ki halat main ho or soraj ya chand ko girhan lag jaay ya zalzala aajay tu os par namaz e ayaat wajib nahi hay or nah hi oski qaza hay.(Ref:A.Sistani(d.b),Tauzee hul masa,il, maslah# 1356)
2- jo rozay aurat ne haiz ya nifaas ki halat main nah rakain hoon tu ramzan k baad paaki ki halat main onki qaza kerna wajib hay.(Ref: A.Sistani(d.b),Minhaajus saliheen, part#1, maslah#1045 ). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
12739
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: Asalam o Alekum I am very gratified if you please let me know whatever can I intercourse my wife using condom during her menses period. wasalam

Answer: It is haraam for a woman who is in the state of Hayz Having sexual intercourse; it is Haraam for man as well as for woman even if only the penis glans may penetrate, and even if semen may not be discharged. In fact, the obligatory precaution is that the male should refrain from insertion even to an extent lesser than the point of circumcision. Nither with cover(Condom) nor with cover. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 448)

Print

Id:
14239
Mujtahid:
Date:

Question: Assalam alaikum , ji hume yah kehna hain ki ladies ko jo mahina (bleeding) aata hain toh is napaki se paak hone ke liye kyonsi quaranic niyat padhni chahiye? taki napaki se paak ho sake? koi toh aisi arbi main likhi means kuch toh hoga? please please humare sawal ka jawab dijiye.koi khata hui ho toh maf kariyega.

Answer: 1: Allah ne aurtoon ki takhleeq khuch is terah se ki hay k mukhtalif auqaat main on k badan se nuqsaandah khoon kharij hojata hay. Jab haiz , nifaas or istehaza k khoon aanay band hojain tu ghusl e haiz , nifaas or istehaza wajib ho jatay hain.is k tafsili ehkaam kitaab ‘tauzeehul masail” main derj hain. (Ref : Ehkaam e Islam, part#2, Ayat Ullaha Sistani (d.b.) pg # 47).
2: Ghusl kernay k 3 tareeqay hain. i) Tertibi(sequence) ii) Irtimasi tadrijee(gradual immersion bath). iii)daf’ee(Immediat immersion bath).Ghusl e tertibi ka tariqah ye hay:-- sab say pehlay ghusl ki niyat say sar(Head) or gardan(Neck) ko mukammal dhoya jaay,or is k baad poray badan ko aik saath dhoya jaay.or behtar ye hay k badan ko do hisso main dhoya jaay pehlay badan ka seedah hissa or baad main ulta hissa.. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 360-70). (Khuda aap ki taufiqaat main izafa fermaay)

Print

Id:
14783
Mujtahid:
Date:

Question: kya main napaki ke halat me laptop par quran padh sakti hu. Q ki mujhe transtlate quran padhna arabi to hindi.

Answer: Haaiz(wo aurat jo periods mai ho) k lye quran majeed parhna baaz fuqha k nazdeeq makrooh hai. magar ayatollah sistani d.b. k mutabiq makrooh nhi hai (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 467) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
14805
Mujtahid:
Date:

Question: kiya aurat ka haiz k dino me QURAN majeed perhna jaiz hai agar wo quran majeed ko kapray ya digital quran k zareye perrhay to es k baray me kiya hukam hai?

Answer: Quran Majeed ki wo Ayaat Jin k Perhnay say sajda karna wajib ho jata hay on Ayaat ka halat e janabat or halat haiz main parhna haraam hay.wo Ayaat Sora Sajda Ayat No.15,Sora Fassulat Ayat No.37,Sora Wannajm Ayat No.62,Sora Alaq Ayat No.19 hain.Iskay Alawa Quran ko parhna, Saath rakhna,Iskay hashiay ko Choona aur tehreer k darmiyani hisso ko chona baaz mujtahid k qaul k mutabiq makhrooh hay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 448, 467) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
14808
Mujtahid:
Date:

Question: haiz ki halat mein quran majeed ki tilawat jaiz hai ya nehi???

Answer: 1)Quran Majeed ki wo Ayaat Jin k Perhnay say sajda karna wajib ho jata hay on Ayaat ka halat e janabat or halat haiz main parhna haraam hay.wo Ayaat Sora Sajda Ayat No.15,Sora Fassulat Ayat No.37,Sora Wannajm Ayat No.62,Sora Alaq Ayat No.19 hain.Iskay Alawa Quran ko parhna, Saath rakhna,Iskay hashiay ko Choona aur tehreer k darmiyani hisso ko chona baaz mujtahid k qaul k mutabiq makhrooh hay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 448, 467) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
14884
Mujtahid:
hanfia Date:

Question: kia dorany rozy agr mensis ho jay or roza kholny main taim bhi kam hoo to kia roza tot jay ga

Answer: Din me (roze ki halat me ) haiz (menses) ka khoon ajaay to agarche ye khoon maghrib k kareeb q na aye is ka roza batil hai. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 1612)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
14954
Mujtahid:
Date:

Question: kiya agar kise larki ko menses ho tu woh roza rakh sakti ha ya nahe detail ma batae

Answer: 1)Din me (roze ki halat me ) haiz (menses) ka khoon ajaay to agarche ye khoon maghrib k kareeb hi q na aaye is ka roza batil hai.
2)Is halat me wo roza nahe rakh sakte hai.
3)Ramzan k wo rozay jo kisi aurat nai haiz ki wajah sai na rakhay hoon zaroori hai k un ki qaza karay . (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla #1612, 448, 459 ) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
15140
Mujtahid:
heez Date:

Question: plz tell me heez k dino mai kya namaz padh skty hain quran ka kya hukum hy

Answer: 1)namaz aur is jaisi doosri abadatain jinhain wozoo, ghusl ya tayummum k sath anjam dena zaroori hai agar is niyat sai anjam dain k sahi amal anjam dai rahi hoon, jaiz nahi hai.
2)Quran Majeed ki wo Ayaat Jin k Perhnay say sajda karna wajib ho jata hay on Ayaat ka halat haiz main parhna haraam hay.wo Ayaat Sora Sajda Ayat No.15,Sora Fus’si’lat Ayat No.37,Sora Wan najm Ayat No.62,Sora Alaq Ayat No.19 hain.Iskay Alawa Quran ko parhna, Saath rakhna,Iskay hashiay ko Choona aur tehreer k darmiyani hisso ko chona baaz mujtahid k qaul k mutabiq makhrooh hay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 448, 467) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
15341
Mujtahid:
sunni Date:

Question: agar haiz a jay raozay main to kiakha p saktay hain ya rozay ki halatmay hi rahin

Answer: Note : Is website per fiqhae jaffaria k mutabiq jawabaat diay jatay hein.
Roze ki halat me Haiz aane se roza batil hojata hai.(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah # 1612) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
15597
Mujtahid:
Date:

Question: A.O.A!! Haiz aor istehaza mein kiya farak hai? Plzz answer..

Answer: Hiaz ka khoon :- Haiz wo khoon hay jo aam taur per her mahinay chand dino k liay aurtoon k rehem se kharij hota hay or aurat ko jab haiz ka khoon aay tu osay haaiz kehtay hain.
Haiz ka khoon aam taur per garha or garam hota ha or oska rung kala ya laal hota hay.wo taizi se or thorhi si jalan k saath kharij hota hay.
Istehaza ka khoon:- Autoon ko jo khoon aatay rehtay hain on main se aik khoon istehaza hay or aurat ko khoon istehaza aanay k waqt mutehaza kehtay hain.
Khoon e istehaza ziyada ter zerd rung ka thanda hota hay or fishar or jalan k baghair kharij hota hay or garha bhi nahi hota laikin mumkin hay k kabhi kala ya laal or germ or garha ho or jalan k saath kharij ho.(Ref: A.sistani d.b, tauzehul masail, maslah#390, 432). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
16207
Mujtahid:
sunni Date:

Question: Nifas ka ghusl nahane me deri jayz hai kya? Matlab Acutal date is 16.9.2012. Can i take bath on 23.9.2012.

Answer: Jab aurat khoon e nifas sai pak ho jae to zaroori hai k namaz aur is jaisai doosri ibadaat k lie ghusl bja laye. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 498-510)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
16419
Mujtahid:
agha sistani Date:

Question: ye jo ap aulad k lea # rozay rkhne aur asma e khuda ka 40 roz wird krne ka btate hain ye husband ko krna h ya wife bhe kr skti h?aur agr wife asma e khuda ka wird kre to jin dinon mn nmaz ni prhni hoti un ka kia kre?

Answer: Periods k dinoo mai aurat un abadatoo ko anjam dai sakti hai jin k lie wazoo, ghusl ya tayammum krna zaroori nhi hai. yani aap in dinoo mai asma e ilahi ka wird kar sakti hain. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 448) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
16767
Mujtahid:
Date:

Question: salam mera ques ye hy k periods hatm hone par ghusal karne k bad 2 rakat nafal parhna farz hy??? explain

Answer: Ghusl krnay k baad koi namaz wajib nhi hoti hai aur jo namazain aurat nai haiz ki halat main nah parhi hon un ki qaza wajib nahi. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 459)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
16804
Mujtahid:
Date:

Question: haiz ki halat main kia biwi kay pass jana bi haram hay kia ya phir kiss waqera ya sex kay aza ko chosa ja sakta hay

Answer: 1)Haiz k ayyaam (days) main aurat (women) ki farj mein jima karna mard aur aurat dono k liay haram hai, chahay dukhool sirf supari(paishab ki nali ka shuru ka chikna hissa) ki had tak hi ho aur mani bhi kharij na ho, balkah ehtiyaat-e-wajib yeh hai k supari se kam miqdar main bhi dukhool na kia jae. Albetta ye hokum aurat sai dubr mai jima k lie nhi hai laikin dubr mai jima, aurat k razi na honay ki surat mai ehtiyat e wajib ki bina par jaiz nhi hai chahae wo haa’iz ho ya na ho.
2)Wo aurat jo haiz ki halat mai ho os sai jima k alawa doosri lutf-andozio maslan bas o kinar ki mumaneat nhi hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 448-451)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
17138
Mujtahid:
Agha Sistani Date:

Question: Salams. Is it okay if i have sexual intercourse with my wife on the last day of her periods where the flow of blood has stopped completely and she has not taken Ghusl. Is it haram to do so?

Answer: After a woman has become Pak from Haiz, and before having done Ghusl her husband can have sexual intercourse with her. Though it is better to have sexual intercourse after the woman has washed herself. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 457)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
17220
Mujtahid:
Seestani Date:

Question: agr aurat ne ghusal janabt nhi kya ar haiz shuro hojata h fr haiz m giusal janabt hosakta h

Answer: Ghusl e janabat wajib namaz aur is jaisi doosri ibadatoo ko anjam denay k lie wajib ho jata hai. lehaza agar mujnib honay k baad koi bhi wajib ibadat ka waqt phounch gya ho to ghusl krna wajib ho jae ga laikin agar janabat k foran baad haiz aa jae tab bhi ghusl janabat alag wajib ho ga aur ghusl e haiz alag wajib ho ga albetta haiz sai pak honay k baad in donoo ghusloo ko aik hi ghusl mai bhi kia ja sakta hai yani donoo ki niyat karain aur aik ghusl anjam dain. Aur haiz sai pak honay sai pehlay bhi ghusl e janabat kia ja sakta hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 356-456)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
17575
Mujtahid:
Date:

Question: aoa.mujy btaien k periods k baad nahany ka tareeka kya pehly wuzo zarori hai aur kya pak hony k liye kuch parhna hota hai? aur aurton ka un ki sharmgah aur underarms sy bal otarna zarori hota kya pak honay k liye

Answer: 1)Aurat k haiz se paak ho janay k baad is per wajib he k namaz aur is jaisi doosri ibadaat jinhain wuzu , ghusl , ya tayammum k saath ada kerna zarori hay ghusl haiz karay . is ghusl ka tareeqa ghusl e janabat ki tarah hai. Ghusl e haiz wazoo ki jigha kafi hai albetta behtr ye hai k ghusl sai pehlay wazoo bhi kray. 2) Ghusl kernay k 3 tareeqay hain. i) Tertibi(sequence) ii) Irtimasi tadrijee(gradual immersion bath). iii)daf’ee(Immediat immersion bath).Ghusl e tertibi ka tariqah ye hay: sab say pehlay ghusl ki niyat say sar(Head) or gardan(Neck) ko mukammal dhoya jaay,or is k baad poray badan ko aik saath dhoya jaay.or behtar ye hay k badan ko do hisso main dhoya jaay pehlay badan ka seedah hissa or baad main ulta hissa. ghusl main naak or moonh main paani daalna wajib nahi hay.ghusl main jism k tamaam hisso tak paani pohan chaana wajib hay. 3) (Aur gusl ki niyat) Ye zurari nehi ke gusl k waqt ye niyat karay ka wajib gusl kar rhi hon bal k faqat qurbatan illaha yani bargah e ellahi me farotni or aajzy ke ireda se gusl karay to kafi ha. (Ref : Tauzeeh e ul masayl ayat ullaha sistani (d.b.) masla # 456 , 360-365) 4) Haiz k ghusl k lie koi dua nahi. (Ref : E-mail rec from ayatollah sistani d.b. dated : March 1, 2011)5)Riwayat k mutabiq puray badan par noora(Badan k baal katna) lagana mustahabb hai. 6)Riwayat mai takeed hai k mard 40 din tk aur aurat 20 din tk noora karey (Ref : http://sistani.org/index.php?p=827020&id=928&page=3&perpage=10 ques # 23)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
18088
Mujtahid:
Muamilaat Date:

Question: Assalamoalaikum.. Sir mera question ye hai kya ladki log period(mense) jitna din chalega utna din Quran pak k ayat padh sakta hai? Pls pls give my ans. As soon as possible

Answer: 1)Quran Majeed ki wo Ayaat Jin k Perhnay sai sajda karna wajib ho jata hai un Ayaat ko halat haiz main parhna haram hay. wo Ayaat Sora Sajda Ayat No.15,Sora Fussilat Ayat No.37,Sora Wan-najam Ayat No.62,Sora Alaq Ayat No.19 hain. Iskay Alawa Quran ko parhna, Saath rakhna,Iskay hashiay ko Choona aur tehreer k darmiyani hisso ko chona baaz mujtahid k qaul k mutabiq makhrooh hay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 467)
2)haa’iz k lie mustahabb hai k namaz k waqt apnay aap ko khoon sai paak kray aur wazoo kray aur agar wazoo na kar sakay to tayammum kray aur namaz ki jigha par qibla rukh ho kar zikr, dua aur salwaat mai mashgool ho jae. (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
18422
Mujtahid:
Period Date:

Question: Assalam o alaikum sis ye question hum 2bar kar raha pls pls jawab de djea sis question ye hai kya ladki log period k waqt QURAN PAK K AYAT padh sakte hai? Ya phir apni zuban se dua mang sakte hai kya? Pls answer me sis hum majbur hai.. Jazakallah

Answer: 1)Haaiz(wo aurat jo periods mai ho) k lye quran majeed parhna baaz fuqha k nazdeeq makrooh hai. magar ayatollah sistani d.b. k mutabiq makrooh nhi hai.
2)Haaiz aurat par quran ki surah sajda ayat # 15, surah ha-meem sajda ki ayat # 37, surah najam ki ayat # 62, surah alaq ki ayat #19 ka perhna haram hai.

3)Haaiz k lie mustahab hai k namaz k waqt apnay aap ko khoon sai pak karay aur cotton aur kapra change karay aur wazoo karay aur agar wazoo na kar sakay to tayammum karay aur namaz ki jigha par qibla rukh ho kar zikr, dua aur salawat mai mashgool ho jae. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah # 448, 354, 466-67). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
22400
Mujtahid:
sistani Date:

Question: asalamun alaikum can i enter in imam reza sehan not in roza in iran if i m in periods

Answer: It is haram for haa’iz (the lady who is in periods) on the basis of obligatory precaution, to stay in the shrines of the holy Imams. But there is no problem in staying in the hall which is near to the shrine. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 448, 354) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
23206
Mujtahid:
assalamo alaykum Date:

Question: assalamo alaykum janab mera sawal ye he k jab biwi ko period lagtta he to uske sath humbistari kar sakte jawab jaldi dijiyega asap khuda hafeeez

Answer: Haiz k ayyaam (days) main aurat (women) ki farj mein jima karna mard aur aurat dono k liay haram hai, chahay dukhool sirf supari ki had tak hi ho aur mani bhi kharij na ho, balkah ehtiyat-e-wajib ye hai k supari se kam miqdar main bhi dokhool na kia jae. Albetta ye hokum aurat sai dubr(peche wali sharam gah) mai jima k lie nhi hai laikin dubr(peche wali sharam gha) mai jima, aurat k razi na honay ki surat mai ehtiyat e wajib ki bina par jaiz nhi hai chahae wo haaiz ho ya na ho. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 448)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
25258
Mujtahid:
Date:

Question: aoa sir swal yeh hai k bivi k sath minsis k deno main pechay say kam kernay ka kia gunah hai

Answer: Haiz k ayam(days) main aurat (women) k dubr(pechay wali sharam gah) mai jima, aurat k razi na honay ki surat mai ehtiyat e wajib ki bina par jaiz nahi hai chahae wo haa’iz ho ya na ho.(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 448)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
32699
Mujtahid:
Date:

Question: asalamalikum...mujhe apse pochna hai k jasey hum koi wazifa karte hein 40 days ka toh woh har namaz k baad 4 example humein ya rahimo ki tasbi karni hai 40 days tak toh kya hum periods k din mein yei wazifa nai phar sakte kya yei din hum baad mein purey karein ya hum periods mein b phar sakti hein plz reply .........

Answer: Periods k dinoo mai aurat un abadatoo ko anjam dai sakti hai jin k lie wazoo, ghusl ya tayammum krna zaroori nhi hai. yani aap in dinoo mai asma e ilahi ka wird kar sakti hain. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 448) note : Periods k doran wazifay par amal kia ja sakta hai.(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
33066
Mujtahid:
ghusal Date:

Question: salam ,mulana sahib ma na juma ki namaz sa pehli ghusal ki pir ma na namaz pari juma ki salatu tsbih pi pari mulana sahib pir jub ma bathroom used kar rahi thi tu ma na tu toilat paper sa jub khud ko pak kar rahi thi ma tora khoon deeka mere dil ma shaq par gaya ka dobara ghusal karoongi, kaya dobara ghusal ki zaroorat ha its happened to me many times before, kaya mere ebadaat sahi thi juma ki namaz, pir na aur namaz nahi pari socha ghsal ki bad parongi, khoon mere kapro per nahilagtha i clean my self after seven days after period,

Answer: Haiz ka ghusl osi waqt sahi ho ga jab haiz ka khoon ana band ho jae ga. aur agar ghusl karnay k bad khoon dekhay to dubara ghusl karna ho ga. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 432-497)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
33077
Mujtahid:
AYATULLAH SISTANI Date:

Question: salam my question is dua ahad ko 40 days tak perhna chaiye subah kay waqt. ladies kay ayam heiz mein aurat ke kiya zemadari hein aya woh subah fajr kay waqt dua perhe ya din kay kisse bhee waqt mein woh dua perh sakte hein.?

Answer: Aurat k leye halat haiz me quran majeed bhi parhna jaiz hai aur Haaiz k lie mustahab hai k namaz k waqt apnay aap ko khoon sai pak karay aur cotton aur kapra change karay aur wazoo karay aur agar wazoo na kar sakay to tayammum karay aur namaz ki jigha par qibla rukh ho kar zikr, dua aur salawat mai mashgool ho jae. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 466-7)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
38162
Mujtahid:
Date:

Question: Assalamo alaikum, main yeh janna chahta hoon ke agar shia maslaq me ladki ka haiz chal raha hai aur uska nikah hona hai to kya nikah ho sakta hai

Answer: Periods(haiz) ki halat mai nikah to ho sakta hai magar wo donoo intercourse nahi kar saktay hain. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 2335,448) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
39346
Mujtahid:
sistani Date:

Question: Sir kia koi talib e Ilam haiz k dinon men Quran E pak Nazra parh sakti he ??? or Quran e pak ko Kisis pak kapry k madad sy pakar sakti he ??????

Answer: Jo aurat haiz ki halat mai ho os k lie quran ko parhna, Saath rakhna, Iskay hashiay ko Choona aur tehreer k darmiyani hisso ko chona baaz mujtahid k qaul k mutabiq makhrooh hay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 448, 467) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
40033
Mujtahid:
Date:

Question: Agar kisi aurat ko28 k bajai 20 ya 22 din k bad hi achanak menses aana shuru hoon ge tou kia ye bemari hai

Answer: Agar kisi aurat ko umoman month main 1 baar menses aatay hoon laikin kisi mahinay main 2 martabah khoon ajaae tu agar darmiyaan k jin days main usay khoon nahi aaya on dino ki tadaad 10 say kam nah ho tu usay chahiay k dono khoono ko haiz(menses) samjhay chahay on main say kisi 1main haiz ki alamaat mojood nah hoon.(Ref:Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31th edition,maslah #493) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
40561
Mujtahid:
Date:

Question: Assalamu alihum. Kya haiz k paanch din baad aurate namaaz pad sakti hai

Answer: Aurat ka haiz sai pak ho janay k baad namaz parhna wajib ho jati hai. Aur jo namazain is nai haiz ki halat mai na parhi hon in ki qaza nahi hoti hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 456-59)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
41050
Mujtahid:
Ayat Ullah Sistani Date:

Question: Kia Halat-e-Haiz or Nifas mai , Niaz Nazar ya koi aisi cheez khana jis per kisi Imam Ya Muhammad(Pbuh) ka naam ka khana jaiz hai.

Answer: Ge haan jaiz hai.(Ref:Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31th edition,maslah #448). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
42711
Mujtahid:
Date:

Question: aurthon k liye ghusal e haiz krne ki dua kya hai ?

Answer: Haiz k ghusl k lie koi dua nahi. (Ref : E-mail rec from ayatollah sistani d.b. dated : March 1, 2011) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
45123
Mujtahid:
wife k mahwari k day Date:

Question: sir ma pouchna chahta ho k jb wife ko mahwari k day ho tu aen day ma wife k katny kreeb ja skty hai ?kia kar sakty hain kia nahe kar sakty? plz mera Question ka answear asan urdu words ma dana thankyou sir mujay app k answear ka wate rahay ga

Answer: 1)Haiz k ayyaam (days) main aurat (women) ki farj mein jima karna mard aur aurat dono k liay haram hai, chahay dukhool sirf supari(paishab ki nali ka shuru ka chikna hissa) ki had tak hi ho aur mani bhi kharij na ho, balkah ehtiyaat-e-wajib yeh hai k supari se kam miqdar main bhi dukhool na kia jae. Albetta ye hokum aurat sai dubr mai jima k lie nhi hai laikin dubr mai jima, aurat k razi na honay ki surat mai ehtiyat e wajib ki bina par jaiz nhi hai chahae wo haa’iz ho ya na ho.
2)Wo aurat jo haiz ki halat mai ho os sai jima k alawa doosri lutf-andozio maslan bas o kinar ki mumaneat nhi hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 448-451)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
45302
Mujtahid:
about having sex during periods Date:

Question: Asalamualikum, i wanted to ask that I met my husband after many days and when we met unfortunately i was having my periods. we tried to control a lot but just got carried away with the emotion and had sexual intercourse. I know its not allowed in Islam and we both regret doing it. I wana know what is the kafara for it and is it allowed having sexual intercourse during periods under ANY CIRCUMSTANCES? Thanks waiting to get reply from you soon...........

Answer: If a man has sexual intercourse with his wife when she is a Haaez, he should seek Divine forgiveness(toba) and there is no Kaffara for it, Although it is better to give kaffara. Kaffara for sexual intercourse with a Haaez is gold coins weighing 3.457 grams if carried out in the early days, 1.729 grams for the middle days and 0.865 grams for the final days of the period of Hayz. For example, if Hayz lasts for 6 days and her husband has sexual intercourse with her during the 1st and 2nd days or nights, he should pay gold weighing 3.457 grams, and during the 3rd and 4th days and nights he should pay gold weighing 1.729 grams and for the 5th and 6th days and nights he should pay gold weighing 0.865 grams. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 450)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
45436
Mujtahid:
Date:

Question: kia periods k doran aurat mehinde laga skte hai k nhe? nails kat sagte hai k nhe ?

Answer: Ayatullah Sistani k nazdeek periods ki halat mai mehandi lagana makrooh hona sabit nahi hai. aur periods k doran nails kaat saktay hain. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 467)Periods k doran nails kaat saktay hain. (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
45527
Mujtahid:
Question to be cleared Date:

Question: Assalao Alikum, Ap se guzarish h k mere sawal ka jawab batane ki zahmat kare, main apka tahe dil se shukar guzar rahunga. Sawal: Kya ladkiyo k period k duran roza rakhana farz h agar nahi to kya us dauran ka roza qaza me ada karna faraz banta h ya nahi?

Answer: Namaz, roza aur is jaisi doosri ibadatain jo wazoo, ghusl ya tayammum k sath ada karna zaroori hai wow o haiza aurat jo periods mai ho os par haram ho jati hai laikin jo rozay haiz ki halat mai nahi rakhay gay hain un ki qaza zaroori hai. laikin namaz ki qaza nahi hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 448-459) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
45565
Mujtahid:
Haiz Date:

Question: Haiz ki halat me namaz kitney dino tak muaaf he?

Answer: Jab sai haiz ka khoon aye os waqt sai jitnay din tak khoon aye, namaz aur is jaisi doosri ibadatain jo wazoo, ghusl ya tayammum k sath anjam di jati hain wo os aurat par haram ho jati hain. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 448)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
46239
Mujtahid:
Date:

Question: assalamu alaikum periods ki gusul ki dua kya hai? aur husband aur wife saat rehate hai to naane ki dua kya hai

Answer: Ghusl e haiz k liay koe dua perhna wajib nahi hay. ( Ref: Ayatullah Sistani(d.b),minhajus saliheen,part#, maslah #231). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
46401
Mujtahid:
Date:

Question: doran e khaiz ager aurat ki death ho jaey to kya usay ghusal diya jaey ga?islam main is bary main kaya kaha gya ha?

Answer: Jo aurat haiz ki halat mai mar jaey usay ghusle haiz dainay ki zarort nahi hai balkay sirf ghusl e mayyat daina kafi hai. (Ref:Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31th edition,maslah #555). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
46486
Mujtahid:
seestani Date:

Question: haalat.e.haiz may quran paak ki tilawat ki ja skti hay?? aur maximum kitni aayyat parhi ja skti hain?? ahle sunnet k mutabiq is doran quran pak ko hath lagana b haram hay.. hamaray firqay may is ka kia hukam hay

Answer: Halat e haiz main pura quran parhna jaiz hai siwaey un 4 ayaat k jin ko parhnay say sajda wajib ho jata hai unko parhna haram hai.aur quran k alfaaz ko hath lagana haram hai laikin uski jild aur pages ki khali ki jaga par hath lagna haram nahi hay.(Ref:Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31th edition,maslah #448). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
46778
Mujtahid:
Date:

Question: mera sawal ye hai k periods k bad aurat k ghusal krne ka koi asaan tarika bta den. or kia ghusal aurat ko 7 din k bad krna hota hy or neeyat krna zroori hai ye nhi..

Answer: Aurat ko jab haiz ka khoon ruk jae tab namaz aur is jaisi ibadat k lie os par ghusl e haiz wajib ho jata hai chahae 3 din bad rukay ya 7 din bad. Aur ghusl e haiz ka tareeqa ghusl e janabat ki terah hai.
Ghusl e haiz ka tareeqa : Ghusl me ehtiyat e lazim ki bina per ghusal ki niyat k baad phele pura sar o gardan aur baad me badan dhona zarori hai. aur behtr ye hai k badn ko pehlay right side sai dhoya jae aur os k baad left side sai dhoya jae. ghusl e haiz ki niyat k waqt niyat krain k wajib ghusl kar rahi hon bal k faqat “ ﻘﺮﺒﻪﺍﻠﻰﺍﷲ ” k iraday sai ghusl krain to kafi hai. yani niyat kray k “ghusl e haiz krti hon ﻘﺮﺒﻪﺍﻠﻰﺍﷲ”. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 456, 360)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
47027
Mujtahid:
Date:

Question: Kin kin halaat main nimaz nhi hoti..........? aourat aour mard donun k bary main............

Answer: Aurat par haiz ki halat mai namaz aur is jaisi doosri ibadatain jinhain wazoo ya ghusl ta tayammum sai anjam dia jata hai haram ho jati hai. albetta mard k lie aisi koi halat nahi hoti hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 448)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
47556
Mujtahid:
Ayotullah Sistani Date:

Question: ASA,can a lady enter in Masjid ul Haraam during Haaiz after doing Wuzu???

Answer: Entering Masjidul Haraam or Masjidun Nabi, even though it may be only passing from one gate and going out of another is Haraam for a woman who is in the state of Haiz. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 448)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
47597
Mujtahid:
answer Date:

Question: Haiz ke dino me darood sharif ya koi aur koi v dua pdh skte h ya nhi .

Answer: Aurat k leye halat haiz me quran majeed bhi parhna jaiz hai aur Haaiz k lie mustahab hai k namaz k waqt apnay aap ko khoon sai pak karay aur cotton aur kapra change karay aur wazoo karay aur agar wazoo na kar sakay to tayammum karay aur namaz ki jigha par qibla rukh ho kar zikr, dua aur salawat mai mashgool ho jae. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 466-7)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print