Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+


Question & Answers << Go Back

Topic: Haiz (321 Questions)


Showing 100- 150 questions from 321 questions on this page.

Answers found for searched words
Id:
47970
Mujtahid:
sunni Date:

Question: Periods mai konsi ibadat ki ja sakti hai;???

Answer: Note : Is website per fiqha e jaffaria k mutabiq jawabaat diay jatay hain.
Periods mai un ibadaton k ada karnay mai koi haraj nahi jin k lie wazoo, ghusl ya tayammum karna zaroori nahi jaisay namaz e mayyat wagira. Is k alawa Haaiz k lie mustahab hai k namaz k waqt apnay aap ko khoon sai pak karay aur cotton aur kapra change karay aur wazoo karay aur agar wazoo na kar sakay to tayammum karay aur namaz ki jigha par qibla rukh ho kar zikr, dua aur salawat mai mashgool ho jae. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 448-66)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
48142
Mujtahid:
Ayyatullah sistani Date:

Question: Asllam.o.alikum mera sawal ye hy ke aurat ko jb mahene ke ayam 7din ayen tou wo bina hath lgae quran pak ko darood pak aur aytulkursi parh sakti hy plz jwab lazmi dain

Answer: 1)Haaiz(wo aurat jo periods mai ho) k lye quran majeed parhna baaz fuqha k nazdeeq makrooh hai. magar ayatollah sistani d.b. k mutabiq makrooh nhi hai.
2)Haaiz aurat par quran ki surah sajda ayat # 15, surah ha-meem sajda ki ayat # 37, surah najam ki ayat # 62, surah alaq ki ayat #19 ka perhna haram hai.

3)Haaiz k lie mustahab hai k namaz k waqt apnay aap ko khoon sai pak karay aur cotton aur kapra change karay aur wazoo karay aur agar wazoo na kar sakay to tayammum karay aur namaz ki jigha par qibla rukh ho kar zikr, dua aur salawat mai mashgool ho jae. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah # 448, 354, 466-67). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id:
48309
Mujtahid:
sunni Date:

Question: Agar periods ki waja say 41 din ka wazefa pura na kr sakain to sons amal kaise pura kr sakte ha, plz reply

Answer: Period k dino me wazifa karna jaiz hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 448,354) (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 467)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
48498
Mujtahid:
Date:

Question: AoA. Q1. Muje yeh jana hai .agar ham koye wazifa paday ge jo 40 din har nimaz k baad padna hoga aur 40 k doran periods hojaye to ham ksay pad sakte hai kuinki wo har nimaz k baad padna hai jabk ham un dinu nimaz nai pad sakte to wazifa kse pura kar sakte hai plz explan.Q2. Agr koye wazifa 5 nimazu mai padna hai aur ham gar se bahar ya job ki wajah se nimaz zohar aur nimaz asar nai pad sakte to ham un nimazo k wazifa kse pura kar sakte hai.? Kya nimaz eisha k baad kazah nimaz pad k wazifa pad sakte hai meherbani kar k jaldi jawab dai.

Answer: 1)Periods k dinoo mai aurat un abadatoo ko anjam dai sakti hai jin k lie wazoo, ghusl ya tayammum krna zaroori nhi hai. yani aap in dinoo mai asma e ilahi ka wird kar sakti hain. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 448) note : Periods k doran wazifay par amal kia ja sakta hai.
2)Aisi mulazimat ko ikhtiar karna jis sai namaz mai khalal hota ho to musalman ko chaheay k wo khuda sai daray aur aisi mulazimat ko ikhtiar na karay jis ki khatir deen ka wo ahm farz tark karna parayjo deen ka satoon shumar hota hai aur Allah k is farman Mubarak ko hamesha zehan mai rakhay. Aur jo khuda sai daray ga is k lie nijat ki surat nikal dai ga aur osay wahan sai rizq dai ga jahan sai waham bhi na ho ga. (Ref : Jaded Faqhi Masayl Ayat ullaha Sistani d.b. Masla # 87 pg # 76-7)Is k alawa wazifay ka waqt hota hai wo bohat ahm hota hai osay osi waqt mai anjam dena hota hai jis waqt kaha gya ho warna o ski ifadiat khatam ho jati hai. (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
49027
Mujtahid:
gusal e haiz k liye hair remove krna zaruri ha Date:

Question: salam main yeh janana chahti hun k haiz k ghusal ky sath body k hair remove krna zaruri ha or agar gusal haiz kr lakin hair remove nai kiye or namaz parh li jae or roza rakh liya hae to jaiz ha .? plz ans me asap ...

Answer: Ghusl e haiz karna rozay aur namaz k lie wajib hai jab k body hair remove karna mustahab hai is lie agar ghusl kar lia ho to roza sahi ho ga roza rakhnay sai body hair ka koi taluq nahi hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 456)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
50754
Mujtahid:
Date:

Question: Mera sawal yeh hai k auraton k khas din jo hain un k beqaidge k bare main yeh tu mujh ko maloom hai k agar 10 din se zada khoon aata hai tu hum wodhu kar k namaz or roza rakh sakte hainmere problem yeh hain k mujh ko jab bleeding start hoti hai tu dark brown sa blood aata hai or thore din bilkol her roz halka halka drops hote hain us k baad 6 se 7 din baad fresh blood aata hai or woh phir 10 se 12 din rehta hain main is bare main confuse hoon k mujh ko jab thora blood aata hai tu namaz parhni chahiaa b k nai plz must answer n help me

Answer: ager ap ke haiz ki date or limits fix hain (yani pichle 2 mahine 1st se 7th tak koon e haiz aaya ho to ager is mahine ap ko is terhan koon aae ke wo 10 din se ziyada ho jayae to ap ka fareza hai ke apni haiz ki limits ke mutabiq din ko haiz (masalan 7 din) or baqi dino ko istihaza ke din qaraar dain.

ager ap ki haiz ki date fix hai (masalan 1st) or date main khoon aaye ya date or limit (khoon ke aane ke din ki tadaad) dono fix nahi hai (jese kabhi 1st ko or kabhi 5th ko aata hai or is hi terhan kabhi 5 din or kabhi 7 din aata hai) to jis khoon main haiz ki alaamaat hon or ye (alamaat wala koon) 3 din se ziyada or 10 din se kam ho to is alamaat wale khoon ko haiz or dosre ko istihaza qaraar dain.

Or ager ap ke koon aane ke din ki limits hain (jese pichle 2 mahine 7 din koon aaya ho) to ager ap ko is mahine khoon aaye or 10 din se ziyada ho jaae or baaz din haiz ki alamaat ke sath aae or dosre dinoo main is alamaat ke bageer to ager alamaat wale khoon ke dinoo ki limits (tadaad) pichle do mahinoo ki limits ke baraber hai to is alamat wale khoon ko haiz or baqi ko istihaza qaraar dain.Or ager is mahine alamat wale khoon ke dino ki limits pehle do mahinoo ke koon ki limits se ziyada ya kam ho to pehle dino ki limit ke barabar dino ko haiz ke din or baqi ko istihaza ke din qaraar dain.

(Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 1414 , maslah # 476 , 479 , 483 , 485).
Note jin dino main koon ko haiz qaraar dain un main haiz ke ehkaam per amal karain or istihaza ke dino main is ke ehkaam per amal karain.
Hosake to kisi qaribi Alim ko apna masala sahi tor per bayaan kar ke jawaab hasil karain. (ALLAH TAALA tofiqaat main izafa farmaae).

Print

Id:
50760
Mujtahid:
Sunni Date:

Question: Can I wax my hand and go for eye brow and fascial during periods days kindly reply me JazakAllah

Answer: There is no problem in that. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 448-67)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
50793
Mujtahid:
sistani Date:

Question: agar koi wajib ghusal m confuse ho k utaro ya nhi ya phir wajib ki neyat se utaro ya nhi to agar wo zaban se keh day me ghusal e haiz utrta hon wajib kurbatan illal allah lekin wo shaq me h k dobara ai ga ya nhi to zaban se kehna kafi ho ga q k dil ki neyat m shaq ki halat m h ?????????????????? plzz tell me

Answer: ager yaqeen ho ke sharam gaah main koon e haiz nahi hai to gusal kar ke apni ibaadaat ko anjaam dain chahe ap ko gumaan ho ke 10 din pure hone se pehle dubara koon aa gaae ga, or ager ap ko yaqeen ho ke 10 din pure hone se pehle dubara koon e haiz aa gaae ga to ehtiyaat e wajib ki bina per gusal e haiz karain or apni ibaadaat ko anjaam dain or wo cheezain jo haiz per haraam hain un ko tark bhi karain. (Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 1414 , maslah # 495 , ALLAH TAALA tofiqaat main izafa farmaae).

Print

Id:
50805
Mujtahid:
sistani Date:

Question: agar haiz ki halat se pa honay ka yaqeen na ho means shaq ho aur ye bhi na pata ho k dobara ai ga y nhi .....to kya ghusal ada kiya jiiye roza rkhnay k liye?????????/plzzzz replyyyy fst

Answer: ager 10 din se pehle koon e haiz ruk jaae or yaqeen ho ke koon e haiz sharam gaah main mojood nahi hai to gusal kar ke apni ibaadaat ko anjaam dain chahe ap ko gumaan ho ke 10 din pure hone se pehle dubara koon ajaye ga, or ager ap ko yaqeen ho ke 10 din pure hone se pehle dubara koon e haiz ajayega to ehtiyaat e wajib ki bina per gusal e haiz karain or apni ibaadaat ko anjaam dain or wo cheezain jo haiz per haraam hain un ko tark bhi karain. Or ager 10 din se pehle koon e haiz ruk jayae or imkan ho ke sharam gaah main koon e haiz mojood hai ya to ehtiyaat karain (yani gusal e haiz kar ke apni ibadatoo ko anjaam dain or un cheezoo se jo haaizah per haraam hain un ko tark karain) ya istabraah karain (yani apni sharam gaah main kuch din rooi rakh kar intizaar karain) pas ager koon khatam ho gaaya ho to gusal kar ke ibadatoo ko(or is sorat main ager ap ko 10 din se pehle is ke aane ka gumaan ho ya yaqeen ho to bataae gaae hokum per amal karain) or ager khatam na howa ho to ye haiz hai or is ke ehkaam per amal karain. (Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 1414 , maslah # 495 , 496 , ALLAH TAALA tofiqaat main izafa farmaae).

Print

Id:
52431
Mujtahid:
Date:

Question: assalamoalekum, Kia farmate hain ulma e deen is masle men ke aurat haiz k e ayyam pure karne ke baad jo ghusal karti hai woh tak dino men kare maslan 7 -9-11 agar woh 8-10-barhawen din ghusal karegi to paak na hogi

Answer: Wssalam o alykum, jab orat ka koon 3 din se uper chala jaae or phir 10 din se pehle us ki sharam gaah main koon mojood na rehe to wo paak hai or namaaz or is jesi ibadaat ke liye Gusal e haiz wajib hai (chahe wo din 7 ho ya 9 ya 10 albatta 11 or 12 din ka khoon khoon e haiz nahi hai.(Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 31 , maslah # 438 , 440 , 457 , ALLAH tofiqaat main izafa farmaae).

Print

Id:
52798
Mujtahid:
sestani Date:

Question: doran e haiz aurat quran pak ki kitni ayyaat parh skti hay? aur is doraan manajat parh saktay hain k nahi ziarat.e. ashra wagera?

Answer: Sura e Sajda ki ayat no 15, Sura e Haa-Meem ki ayat no 37, Sura e Mubaraka e Wan-najam ki ayat no 62, Sura e Alaq ki ayat 19, in aayatoo ke ilawa pura Quraan o Dua phar sakti hai, garche in ke ilawa 7 se ziyada Quraan e Majeed ki ayaat pharna makrooh hai. (Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 31 , maslah # 354 , 355 , ALLAH tofiqaat main izafa farmaae).

Print

Id:
52811
Mujtahid:
allam seestani sahab Date:

Question: Ager bivi ki mahwari ko 10 din se ziada arsa ho jae yani 10 din guzarne k bawajood bleeding ho tab b hambistri haram hai. Plz jaldi Jaza ka Allah

Answer: G nahi ham bistry haram nahi h, kun ke ye koon e haiz nahi hai balke 10 din k bad ka khoon istahaza kehlata hai.(Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 31 , maslah # 426 , 438 , ALLAH tofiqaat main izafa farmaae).

Print

Id:
53701
Mujtahid:
Date:

Question: Kya aurat ke haiz aane par wo roja nahi rakh sakti

Answer: Aurat k lye halat haiz me namaz perhna aur roza rakhna haram hai.(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 448)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
53850
Mujtahid:
Date:

Question: As slam o Alaikum mera sawal ye ha k maine by mistake haiz k din mn apne husband se humbistri kar li thi. by mistake yani k muje laga haiz khatm hogaye ha aur maine gussal bi kar liya aur humbistari karli. lakin mere husband discharge nai hoe mn janti hn ye boht bara gunah ha mera zameer us din se muje malamat kar raha ha muje samjh nai aa rai k kiya karon muje kuch esa btaye k ALLAH muje mauf kar de aur mera zameer satisfied hojaye. mn yehi souchti rahti hn k is galti ki esi saza na mile jo boht takleef de ho. pata nai muje is gunah ki maufi milti bi ha k nai......

Answer: Haiz k dino men jima kran mard or orat dono k liye haram hai.
(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, 31th Eddition, maslah # 448)
lehaza agr ye dono jante bhujte(matlb haiz ka ilm ho) is jima k kam ko anjam den un dono k liye zaruri hai k istighfar kren or kaffara dena wajib nahi lekin behtr hai k kaffara den.
(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, 31th Eddition, maslah # 450)
lekin agr jan boojh kr na kren (matlb aysa lge k haiz nahi hai) balke bhule se ya is masle sse na waqifiat ki bina pr ho to is surat men un dono pr koi zimedari nahi(na gunah hai or na hi kaffar)
(Ref: Ayatullah_Sistani(d.b), Sharh-e-Urwat-ul-wusqa,Part#1,Page#83,Masla#748/5)
Orat k haiz se pak hojane k bad agrchhe usne ghusl na kiya ho uska shohar us se jima kr sakta hai lekin Ehtiyat_e_lazim ye hai sharmgah dhone k bad jima kiya jaye, or Ehtiyat_e_mutahab ye hai us orat k gh8usl krne se pehle uska shohar se jima na kre.
(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, 31th Edition maslah # 487)

Print

Id:
54669
Mujtahid:
Date:

Question: A.o.a sir mujhy mensis ka problm hai din uper ho jaty hain plz koi dua btain k mensis time pa ain

Answer: wssalam o alykum, orat ki haiz ke lehaaz se 6 qismain hain, un main se 2 ye hai ke 1

Print

Id:
56278
Mujtahid:
Date:

Question: Mera sawal ye hy k Rozsy ko halat ma kb tk haiz ho tu Roza ni tootta ma ne suna hy k din ko 12 k baad agr haiz start ho tu Roza ho jata hy thanxs

Answer: G nahi aysa nahi hai balke Ager Azaan e Magrib se 1 minute pehle bhi haiz ka koon aa jaae to roza batil ho jata hai.(Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 31 , maslah #1612 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).

Print

Id:
56705
Mujtahid:
Date:

Question: my married hu.mere 2 bachhe hi.my ne suna hi periods ke 5 me din me owrat ko gusul chadega.kya ye such hi/

Answer: jab periods katam hojaain to namaaz or is jesi ibadatoo ke liye gusal e haiz wajib hai. (Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 31 , maslah # 456 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).

Print

Id:
56726
Mujtahid:
Date:

Question: Hum periods k doran shab e qadar ki rat ko kon kon si ibadat kr sakty hain?

Answer: Quraan e Majeed ki un ayato ke ilawa jin main sajda wajib hai baqi Quraan or tamaam duaao or ziyaraat ko hath lagaae bageer phar sakte hai, lekin Quraan e Majeed ki 7 se ziyada ayato ko parhna makrooh hai. (Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 31 , maslah # 354 , 448 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai)

Print

Id:
57603
Mujtahid:
Date:

Question: aurat ka haiz k dinon me darbar ya qabrstan jana thek hai k ni.????plz zror reply kryn..shukyia

Answer: jaiz hai, lekin 12 Imamo (a.s) ke Haram main therna – ehtiyaat e wajib ke etibaar se – jaiz nahi hai. (Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 31 , maslah #354 , 448 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).

Print

Id:
57903
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: can women eat niyaz,rectie darood pak and sit in the gathering of hadis e kisa in days of haiz?plz must ans me.

Answer: yes, she can. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus saliheen Part # 1 , Maslah # 84 , eidition # 1 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).

Print

Id:
58750
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: haiz ka khoon bnd hone k baad agr ganda pani ata rhe or 10 din baad mukamal bnd ho jay to tb nahana chahye ya khoon bnd hone k baad naha lena chahye?

Answer: Agar kise aurat ko 3 din se ziyada aur 10 din se kam khoon aahe aur ise ye ilm na ho ye khoon phore ya zakam ka hai ya haiz ka hai to zarori hai k is khoon ko haiz na samage (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah #443 )
Agar kise aurat ko aisa khoon aahe jis k baare me ise ilm na ho k zakam kan khoonn hai ya haiz ka to zarori hai k apne ibaadaat (namaaz, roza waghaira ) baja laate rahe laikin agar is ki sabeka halat haiz ki rahe ho to is surat me ise haiz qaraar de (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah #444 )
Agar kise aurat ko khoon aahe au rise shak ho k ye khoon haiz hai ya istehaaza to zarori hai k haiz ki alaamaat moujood hone ki surat me ise haiz qaraar de (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah #445 )
Agar kise aurat ko khoon aahe au rise ye maloom na ho k ye haiz hai ya bukaarat ka khoon hai to zarori hai k apne baare me tehqeeq kare yaani khuch rohe sharamgha me rakhe aur thori dair intezaar kare phir roi bahar nikale paas agar khoon roi k atraaf me lagha ho to khoon bakaarat hai aur agar saare ki saari roi khoon me tar ho jaay to haiz hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah #446 )
Agar kise aurat ka khoon 10 din ghuzarne se phele ban ho jaay aur is baat ka ehtemaal ho k is k batin me khoon haiz hai to zarori hai k ya ehteyaat karte hoay ibaadato ko anjaam de ya istebra kare aur istebra kiye baghair ibaadat ko tarak karna zarori nahe . istebra ye hai k apne sharamgha me roi rak kar khuch dair intezaar kare . hah agar is ki aadat aise hai k haiz k dourain bhi is ka khoon khuch dair k lie rok jaata hai jise k baaz aurato k baare me aisa kaha jaata hai to zarori hai k is miqdaar se ziyada dair tak intezaar kare is k baad nikaale pas agar khoon agar khoon khatam hoghaya ho to ghusal kare aur ibaadaat baja laahe aur agar khoon ban na hoya ho ya thora sa yellow paani lagha ho .pas agar wo hai ki moaiyan aadaat na rakhte ho ya is ki aadat 10 din ki ho ya abhi is ki aadat k din tamaam na hoe ho to zarori hai k intezaar kare aur agar 10 din se phele khoon khatam ho jaay to ghusal kare aur agar daswe din k khateme per khoon aana ban ho ya khoon 10 din k baad bhi aata rehe to daswe din k endding per ghusal kare aur agar is ki aadat 10 dino se kam ho aur wo jaanti ho k 10 din khatam hone se phele daaswe din k khatame per khoon ban ho jaay gha to wo ghusal nahe kar sakte . (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 496)
Haiz ka khoon umoman ghara aur kharam hota hai aur is ka rank siya ya suruk hota hai wo these se aur thore se jalan k saat kharij hota hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah #432 )
Haiz ki mudad 3 din se kam aur 10 din se ziyada nahe hote aur agar khoon aane ki mudad 3 din se zara bhe kam ho to haiznahe hoga. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 438) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
58963
Mujtahid:
Date:

Question: AOA mujh koo menses 2 din kay baad hotay hay woh bhi 2 ya 3 hour tak phir nahin hotay iss main meri ikk namaz nikil jatii hay tu mujh koo bataye kay jab mujh koo aisa hoo tu main ghusal kar kay namaz parhoo mujh koo yeh problem meri delivery kay bad howa hay or meri delivery koo 7 weeks howa hay please mujh koo jaldii reply karay warna meri namaz choott jati hay

Answer: Haiz ka khoon umoman ghara aur garam hota hai aur is ka rang siyah ya surukh hota hai wo these se aur thore se jalan k saat kharij hota hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah #432 )
Haiz ki mudad 3 din se kam aur 10 din se ziyada nahe hote aur agar khoon aane ki mudad 3 din se zara bhe kam ho to haiz nahe hoga. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 438). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Haiz k lie zarori hai k phele 3 din lgataar aahe lehaza agar misaal k tour per kise aurat ko 2 din khoon aahe phir 1 din na aahe aur phir 1 din aajaahe to wo haiz nahe hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 439)
Haiz ki ibteda me khoon ka bahar aana zarori hai laikin ye zarori nahe k pure 3 din khoon nikalta rahe balke agar sharam gha me khoon moujood ho to kafi hai aur agar 3 dino me thore se waqt k lye kohi aurat pak ho bhi jaay jisa k tamaam ya baaz aurato k darmiyaan mutaarif ha tab bhi wo haiz hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 448,1612,440)
Agar ki aurat ka khoon 10 din se phele rok jaay au rise yaqeen ho k is k baatin( andoruni hisse) me khoon haiz nahe hai to zarori hai k apni ibaadaat k lie ghusl kare agarche ghumaan rakhte ho k 10 din pure hone se phele dobaara khoon aajaegha . Laikin agar ise yaqeen ho k 10 din pure hone se phele ise dobaara khoon aajaegha to ehtiyaatan ghusal kare aur apni ibaadat baja laay aur jo chease haiz wale aurat per haraam hai inhe tarak kare. (Ref: Ayatullah sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah #495 )

Print

Id:
59405
Mujtahid:
Date:

Question: AOA, Mera question ye hy k agr kisi larhki ne apne liye koi wazeefa shuru Kia hua hy jiski mudat kuch mahino ki hy aur lagatar subha sham parhna hoto wo haiz k dino me kya kre? Wazeefa is tarha se hy k durood e pak parh k ayat parhni hy aur pani pe dam kr k peena hy, to kya ise un dino b jari rakh sakte hen ya ayaam k bad phir shuru krna hoga aur kya waqfe ki waja se koi farq to nae parhega wazeefe k asar pr?

Answer: Wssalam o alykum, Ager ayat un ayaat main se na ho jin ki waja se sajda wajib hojata hai to is amal ko haiz ke ayaam main bhi kar sakte hain.(Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 31 , maslah # 448 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).

Print

Id:
61031
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Abul Qasim e Khoie Date:

Question: Kya gusul E haiz kiyai bagair hambistari kar sakhtai hai?

Answer: Haiz ki haalat me humbistri karna haraam hai . laikin jab aurat khoon haiz se paak ho jaay to agarche us ne ghusl haiz nah kiya ho us aurat se us ka shohar humbistri karsakta hai. Laikin ehteyat e mustahab hai k ghussa haiz karne se phele humbistri nah kare. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 456,473) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
63271
Mujtahid:
Date:

Question: Asalamoalekum.main boht pareshan hu plz mere help karein r jald ans dein main apni wife k sath galti se us k periods mein milap ker betha hu per condam pehna howa ta r wo pata ni chala r phat gaya aub 2 month guzar chuky hain r wo pregnet ho gaie hai usi doran aub kia kerna chaheae plz ans jaldi dein

Answer: 1)Haiz ki halat main aurat ki agli sharamgha me jima (humbistari) karna mard aur aurat dono k lie haram hai. (chahay humbistari condom k sath ki jaay ya beghair condom k).
2)Agar mard apne biwi se haiz ki halat me jima kare to zarore hai k tauba kare laikin kaffara dena wajib nahi hai. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #448,450). Update on dated 30-04-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
65895
Mujtahid:
Date:

Question: Ramadan main ladies napaki ki halat mein quran parh sakti hain

Answer: Halat e nijasat main quran ki wo 4 ayaat perhna jis k perhne se sajda wajib ho jata hay, jaiz nahi hay baqi quran ki ayaat perhna jaiz hay. Laikin quran alfaaz ko chona jaiz nahi hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #354). Update on dated 27-06-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
66038
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Abul Qasim e Khoie Date:

Question: Kia haiz ki halat m oorat (women) namaz waghra parh sakti hn ya nahi plz ans me quick

Answer: Haiz ki halat main namaz perha jaiz nahi hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #448). Update on dated 29-06-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
66056
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Abul Qasim e Khoie Date:

Question: Plz mjy btaye k kia periods k dinu ma aurat electric quran ko parh r choo skti ha k ni.mery mobile ma pura quran majeed ha ma kuck dinu parha ha periods ki halat ma.agr gunnah ha tu quffara b bta day.shukria

Answer: Jaiz hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #). Update on dated 29-06-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
66594
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Is Quran reading allowed during periods for woman?

Answer: It is Haraam in periods to recite those verses of the holy Qur'an on the recitation of which performance of Sajdah becomes obligatory. These verses occur in four surahs of the holyQur'an:
Surah Alif Lam Mim as-Sajdah, 32:15
Surah Ha Mim Sajdah, 41:38
Surah an-Najm, 53:62
Surah al 'Alaq, 96:19 Update on dated 02-10-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
66618
Mujtahid:
Date:

Question: ager orat ko rozey mn date aa jaye tu kia uss ka roza toot jaye ga ya wo roza pura karey.plz tell

Answer: Haiz anay se roza tut jata hay or ramzan k baad is roze ki qaza kerna zarori hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #). Update on dated 17-07-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
68231
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: aorat ko doran hess namaz ki qaza nahi our raza ki qaza hy is ki wazahat farma din thx,

Answer: Imam jaffer sadiq a.s se riwayat hay k aap ne fermaya k sunnat main qiyaas ki koe gunjaish nahi hay,kia tum nahi daikhte k haaiz roze ki tu qaza kerti hay magar namaz ki qaza nahi kerti.(ref: wasailush shia,baab#41,part#2, hadees #1). Update on dated 21-10-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
70240
Mujtahid:
Date:

Question: kia periods k duran hone wali namazon ki qaza ada karne k bary mein islam mein kia hukam hai?

Answer: jo namazain aurat nay haiz ki halat main nah perhi hoon on ki qaza nahi. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #459). Update on dated 03-03-16.(Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
73025
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Haiz khatm ho gya ho pr ghusle haiZ na kiya ho to kya shouhr ke sath sex kr skte h ?

Answer: Aurat k haiz se paak ho janay k baad agarchah os ne ghusl nah kia ho tu os ka shohar os se jima ker sakta hay laikin ehtiyaat e lazim ye hay k jima sharamgaah dhone k baad kia jaey. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #457). Update on dated 23-08-16. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
74023
Mujtahid:
Date:

Question: After oberstion my 7 days is complete and bleeding also stop. So i can pray namaz or quran it is zayaz or not..

Answer: Menses comes out 3 to 10 days. When bleeding will be stop, you shuld perform ghuls e haiz(menses) and perform prayers. (Ref: Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #456). Up to date: 11-11-16. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey)

Print

Id:
74115
Mujtahid:
Date:

Question: How to do ghusl haiz ?

Answer: Tertibi ghusl me ehtiyaat e lazim ki bina per ghusl ki niyat( yaani ghusl janabat karta hoon qurbatan ilallaah ) k baad pehle pura sar o gardan aur baad me badan dhona zarori hai. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #360,357). Update on dated 17-11-2016. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
74512
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Haiz ki najasat me balon or hathon me mehndi lagana jayez hai ya nhi??

Answer: Halat e haiz main mehendi lagana jaiz hay. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus saliheen Part # 3, Maslah # 467). Update on dated 13-12-2016. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
77358
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: کیا عورتیں حیض میں قران اور نماذ پڑھ سکتی ھیں؟

Answer: Halat e haiz main namaz or os jaisi digar ibadatain jinhain wuzu, ghusl ya tayammum k sath ada kerna zarori hay, agar is niyat se anjam day k sahi amal anjam day rahi hoon, jaiz nahi hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #456).
Halat e haiz main wajib sajday wali 4 ayaat perhna jaiz nahi hay. Haiz k liay quran majeed ka perhna or osay apne sath rakhna or apne badan ka koe hissa os k sath alfaz k dermiyani hissay se mas kerna neez mehendi ya os jaisi kisi or cheez se khizab kerna grooh e fuqaha k qaul k mutabiq makhrooh hay. Update on dated 21-03-17. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #354,448,467)

Print

Id:
77932
Mujtahid:
Date:

Question: Assalamwaleku mujhe he puchna hai aurat napaki halat mein daragah ja Sakti hai kya

Answer: Jaiz hay, laikin agar dargaah main masjid ho tu os masjid main teherna haram hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhajus Saliheen, part#3,Mafhoom e Maslah #5). Update on dated 07-04-17. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
78894
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: keya halat haiz main orat Quran sun skti hy .please english main btayn

Answer: Jee haan, jaiz hay. (Yes, it is). (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #). Update on dated 09-05-17. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
80671
Mujtahid:
Date:

Question: aoa. i want to ask that if periods are gone more then 10 days then a female can do prayers, fasting and recitation of Quran-e-Pak?

Answer: Yes, in this situation, you must perform prayers and fasting after 10 days. But berfor prayers and fasting you must do ghusl e haiz. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #476). Update on dated 10-06-17. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
82167
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: kya mensturation k 5 day ko gussul haez laekar bhi thoda sa laal dekhe toh is par hum apne shauhar k sath jama kar sakte hai qoitrat

Answer: EhtIyaat e lazim ki bina per aap wo tamaam umoor anjaam den jo paak aurat per wajib hen. Or wo tamam kaam tark ker den jo haaiz aurat per haram hoty hen. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 39th edition, maslah #442). Update on dated 16-03-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
86323
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Kia ghusal e haiz krtay wqt jism pr kuch pur sktay hain jaisay Darod pak? ya purnay mai gunah ho ga?

Answer: Fuqahah k qoul k mutabiq haaiz ka quraan majeed ko parhna makrooh hai,lekin ayatollah seestani k nazdeek makrooh nahi hai,or haaiz k liye mustahab hai k namaaz k waqt apney aap ko khoon sai paak karey or roi ya kaprey ka tukra badlay or wuzu karey or agar wuzu mumkin na ho tou tayamum karey or namaaz ki jagah par beth kar rub a qibla beth ka zikr dua or salwaat mai mashgool hojaye.(Ref:Tauzeeh ul masaail ayatollah seestani edition 39 maslah#466,467). Update on dated 13-09-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
86723
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Periods khatam ho Jane ky baad brown lecoria aye to kiya dubara ghusal krna pary ga?

Answer: Agar aurat haiz main waqt or adad ki adat rakhti ho, or adat k ayaam mukammal hone k baad or das din se pehlay khoon ka qatra(spooting) ya zard rang ka khoonh aay tu is ki 2 soratain hain:
1-Ye khoon musalsal aa raha ho or khatam nah ho tu agar ye khoon 10 din se pehlay khatam ho jaey tu haiz shumaar hoga or agar 10 rooz k baad khatam ho tu jo khoon 10 rooz k baad aay wo istehaza hoga.
2- Khoon ka qatra(spooting) ya zard rang ka khoon mustaqil nah ho, maslan aik autat apni adat k mutabiq mahine ki 1 se 7 tareekh tak khoon e haiz daikhay or paak ho jaay or os ne ghusl e haiz anjam bhi day liya phir do din k baad zard khoon aya or os k baad khatam ho gaya tu ye bhi haiz shumaar ho ga, or aurat ko dobara ghusl e haiz karna hoga,or do paaki k darmiyaan ehtiyaat e wajib ki bina per on tamaam kaamo se parhaiz kerna hoga jo haaiz per haram hain or or wo tamaam kaam anjaam daine hoongay jo ghair e haaiz per wajib hain, or agar is aurat ko phir 11 tareekh ko khoon ka qatra(spooting) ya zard khoon aay tu ye istehaza shumaar ho ga.(Ref: tauzihul masael jaame part#1, maslah#569). Update on dated 03-09-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
89107
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ruhollah Khomeini Date:

Question: Assalam u alaikum... Humbstri krne k bd pta chla k haiz shuru ho chuka tha, leukoriya smjh k bv ne check ni kya k haiz h ya leukoriya... Is bare ma islam kya khta h

Answer: Q k ilm nahi tha, is liay gunahgaar nahi hain, aurat paak hone k baad haiz or janabat k liay aik ghusl kare gi. (Ref: Ayatullah khumeni(r.a),Tauzeehul masail, maslah #451). Update on dated 27-04-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
89196
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Aoa sir kindly tell me after periods can we take bath on Friday?

Answer: Jee haan jaiz hay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 39th edition, maslah #387). Update on dated 16-10-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
93245
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2018-11-24

Question: Aoa mra swal ya hy k mny rat ko hambistari ki lakin bad ma blood nzar aya to pta chla k menses shuru ho chuky thy or anjany ma sb kuch during sex hogya iska kia kaffara hy plz rehnumsi fermyn

Answer: Agar pata nahi tha keh haiz shuru ho chuka hay to koe kaffara nahi hay.(Ref:Aayat-ul-Allah Seestani (d.b), Tauzeehul masael,Edition# 39,Mafhoom e Maslah # 448/49)
[Updated on 24-Nov-2018 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
93368
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2019-02-08

Question: AOA! mairay abu buht sakht hain. Koi kaam ni karnay daitay maslan khailnay ni daitay, bahir jao kuon gay pocha kuon ni, bike bnd kar di mairi bahir jana allow ni main nay aik do gusay main keh dia keh mairay say itni sakhti bardasht ni hoti. Aur mairi Job ni lag rhi pehlay to aik job say reject hoa main buht tens tha to unhon nay kaha koi baat ni main hun tum araam say job dhondo ghar bhaitho koi masla ni aur ab haftay baad he roz dantay hain keh kuch karo teaching karo ya kuch bh karo kamao khud ab.?? Ab btain main kia karon mairay say yeh taanay tanz ni sunay jatay Ab bearing abiltiy khatam ho rhi hai ab....

Answer: Hamila or doodh pilanay wali aurat ko bhi haiz aana mumkin hay. (Ref:Aayat-ul-Allah Seestani (d.b), Tauzeehul masael,Edition# 41, Mafhoom e Maslah # 435).

[Updated on 07-Feb-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
93372
Mujtahid:
Date: 2019-02-07

Question: اسلام و علیکم مجھے پوچھنا یہ ہے کہ کیا حمل کے دوران بھی ماہواری ہو سکتی ہے

Answer: Hamila or doodh pilanay wali aurat ko bhi haiz aana mumkin hay. (Ref:Aayat-ul-Allah Seestani (d.b), Tauzeehul masael,Edition# 41, Mafhoom e Maslah # 435).

[Updated on 07-Feb-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
93422
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2019-01-17

Question: Nijasat ki halat mai sex karsakhty hn jb k periods band hochuky ho but ghussal na hwa ho???

Answer: Aurat k Haiz se paak ho jaane ke baad agarche osne ghusl nah kiya ho shauhar os se jima bhi kar saktaa hai. Laikin Ehtiyaat-e-laazim ki bina par jima sharamgaah dhone ke baad kiya jaey aur ehtiyaat-e-mustahab yeh hai keh os k ghusl karne se pahle mard os se jimaa nah kare. (Ref:Aayat-ul-Allah Seestani (d.b), Tauzeehul masael,Edition# 39,Mafhoom e Maslah # 457)
[Updated on 17-Jan-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
93488
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2019-01-04

Question: Kia periods main istimal Kia gya kambl razai or jrsi Naha k paak hony k bad istimal ki jaa skti hai ?

Answer: Haaiz ki halat main aane wala pasina pak hota hai.Haaiz k badan or libas ka faqat wo hissa najis hota hay jis per khoon e haiz laga ho or baaqi tamam libas or badan paak rehta hay.
(Ref: Ayatullah sistani d b tauzeehul masail maslah no: 114/119).
[Updated on 03-Jan-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print