Please click the button for Quran o Itrat Academy Whatsapp Channel.
Whatsapp Channel
Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+


Question & Answers << Go Back

Topic: Haiz (321 Questions)


Showing 300- 321 questions from 321 questions on this page.

Answers found for searched words
Id:
122749
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-08-10

Question: Salam. Kia ladki ka nikkah masjid mai ho sakta hai. Yaani ladki nikkah k ly masjid ja skti hai aur agr ja skti hai to kia sharait hain lazmi btaye. Mai chahti hu mra nikkah masjid mai ho kia aisa ho skta hai jaiz hai Islam mai.

Answer: Is website per fiqhe jaferia ke mutabiq jawabaat die jate hain , aytullah sistani sahab ke mutabiq
Masjid me nikah ho sakta hai, albatta taharat aur nijasat ka khayal rakhna zaroori hoga, isi tarah masjid ki intezamiya se bhi baat ki jaye.(or ladies masjid agar chaae tu un ka haiz se paak hona zarori hay kyu ke halat haiz me aurat ka masjid me baithna haram )
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #354,448,901).
[Updated on 11-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
122751
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-08-10

Question: Kya haiz ki halat mein balun mein tail lagana sahi hai?

Answer: Jee han, haiz ki halat me balon men laga sakti hain.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #354,448,467).
[Updated on 11-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id:
122855
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-09-05

Question: Salam, Mera masla ye ha ke Mujay ek mahiney se Jabh se mere periods khatam hoye hain brown discharge horaha ha. Is surat ma mere liye namaz or roza my ka kiya hukum ha

Answer: 1: Periods (haiz) ki muddat kam se kam 3 din aur ziyada se ziyada 10 din hai. aur haiz ke liye zaroori hai ke pehle teen din lagatar aaye, lehaza agar 10 din ke andar andar khoon aaye to ye sahi hai aur 10 tak aa sakta hai aur is surat me namaz aur rozay anjam nahin dene, lekin 10 din ke baad jo aaye ga wo haiz ka khoon nahin kehlaye ga balke istehaza ka khoon kehlaye ga aur is surat me istehaza waali aurat ke ahkaam pe amal kar ke namaz aur rozay anjam dene hain.
2: Agar koi aurat jaanti ho ke jo khoon use aa raha hai wo zakham ka khoun nahin hai, lekin us khoon ke istehaza, haiz ya nifaas hone ke bare mein shak kare agar sharan wo khoon haiz o nifaas ka hukum nah rakhta ho to zaroori hai k istehaza waale ahkaam ke mutabiq amal kare balke agar use shak ho ke ye khoon istehaza hai ya koi dosra aur wo dosre khoon ki alaamaat bhi nah rakhta ho to ehtiayat-e-wajib ki bina par istehaza ke afaal anjam daina zaroori hain.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #44, maslah #431،438,439).
[Updated on 05-Sep-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
122872
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-09-11

Question: Fibroids ki waja se me 11 din pe ghusl kar pati hon agar uske baad bi light pink ya yellow discharge ho to namaz roze aur ghusl ke liye kya hukm hai?

Answer: Periods (haiz) ki muddat kam se kam 3 din aur ziyada se ziyada 10 din hai. aur haiz ke liye zaroori hai ke pehle teen din lagatar aaye, lehaza agar 10 din ke andar andar khoon aaye to ye sahi hai aur 10 tak aa sakta hai aur is surat me namaz aur rozay anjam nahin dene, lekin 10 din ke baad jo aaye ga wo haiz ka khoon nahin kehlaye ga balke istehaza ka khoon kehlaye ga aur is surat me istehaza waali aurat ke ahkaam pe amal kar ke namaz aur rozay anjam dene hain.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #44, maslah #438,439).
[Updated on 12-Sep-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
122881
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-09-11

Question: Agr delivery k bad bleeding ki jagah lochia (white yellowish discharge)ho Jo 40 din k bad b a Raha ho to kia namaz parh skty hain ??? Is halat main aurat Pak hogi ya napak

Answer: Leukorrhea (white, yellow color ki ratubat) mani ya haiz nahin hai. Ye paak hai or is ke aanay se ghusl bhi wajib nahin hota. Aur is halat men aurat pak hogi, isi tarah namaz aur doosri ibadaat bhi anjam deni hongi.
(Ref: Ayatullah Sistani(d.b), email rcvd). + link; sistani.org/urdu/qa/01791/#17660 ).
[Updated on 12-Sep-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
123068
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-12-15

Question: Agr rat humbistri ki ho or roza rkh lya ho or pani 1 bjy tk b na a rha ho tu kyaa gunnah ho ga

Answer: 1: Maah e ramazan main azaan subah se pehle ghusl e janabat karna zaroori hai ya agar ghusl karna mumkin nah ho to phir tayammum kar ke roza rakhna zaroori hai isi tarah tayammum kar ke namaz parhna bhi zaroori hai warna dono soorton main insaan ghuhagar hoga.

2: Maah e ramazan main azaan subah tak janabat ki halat main raha jaye aur ghusl nah kiya jaye to ye roze ko baatil kar deta hai, lihaza zaroori hai ke azan subah se pehlay ghusl kiya jaye ya agar ghusl karna mumkin nah ho to phir tayammum kar ke roza rakha jaye. Lekin agar jaan bojh kar azan subh tak ghusl nah kiya jaye to zaroori hai ke us din ka roza poora kiya jaye aur phir ramzan ke baad aik din aur roza rakha jaye aur pehla roza maa-fiz-zimma ki niyat se rakhna hai aur ramzan ke baad bhi jis din roza rakha jaye aur us main qaza ki niyat nah ki jaye. Is ke alawa kaffara bhi wajib hoga.

(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #1591,1625,1630).
[Updated on 16-Dec-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
123086
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-10-18

Question: Salam mera sawal ye hy k mere haiz ki muddat 8/9 din ki hy lekn is beech 5/6 day ko khoon ana ruk jata hy or phr jab gusul leti hun to dubara ajata hy to kya mera is trha beech me gusul krna sahi hy?

Answer: 1: Agar maslan teen din mutawatir khoon aata rahe phir aurat paak ho jaye. Chunacheh agar wo dobara khoon dekhe to jin dino main wo khoon dekhe aur jin dino me wo paak ho in tamaam dino ko mila kar agar das(10) din se ziyada nah hon to jin dino main wo khoon dekhe wo haiz ke din hain lekin ehtiyaat e lazim ki bina par paaki ke dino main wo un tamaam umoor ko jo paak aurat par wajib hain anjam day aur jo haaiz par Haram hain, unhain tark kar day.

2: Jab tak haiz ka khoon mukammal khatam nahin ho jaata tab tak ghusl nahin kiya jaa sakta, Agar kisi aurat ka khoon 10 din guzarne se pehle band ho jaye aur is baat ka ehtimaal ho ke us ke baatin mein khoon-e-haiz hai to zaroori hai ke ya ehtiyat karte hue ibadaaton ko anjam day ya Istibra kare aur Istibra kiye bagher ibadaat ko tark karna jaiz nahin hai. Istibra ye hai ke apni sharamgah mein kuch dair royi(cotton) rakh kar intizar kare. Haan! Agar iski aadat aisi hai ke Haiz ke dauran bhi us ka khoon kuch dair ke liye ruk jaata hai, jesa k baaz aurton ke bare mein aisa kaha jaata hai to zaroori hai ke us miqdar se ziyada dair tak intizar kare us ke baad nikaal lay. Pas agar khoon khatam ho gaya ho to ghusl kare aur ibadaat baja laaye aur agar khoon band nah howa ho ya thaurha sa zard pani laga ho. Ps agar wo Heyz ki mo’eyin ‘adat nah rakhti ho ya uski aadat 10 din ki ho ya abhi uski aadat ke din tamam nah houe hon to use chahiye ke intizar kare aur agar 10 din se pehle khoon khatam ho jaye to ghusl kare aur agar 10 din ke khatme par khoon aana band ho ya 10 din ke baad bhi khoon aata rahe to daswen(10) din ke ikhtitaam par ghusl kare aur agar uski aadat 10 dino se kam ho aur wo jaanti ho ke 10 din khatam hone se pehle ya 10 din ke khaatme par khoon band ho jaye ga to wo ghusl nahin kar sakti.

(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #442,496).
[Updated on 19-Oct-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
123308
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-11-22

Question: Aoa janab merry periods irregular Hain age 46 Hy Dr krhty Hain 50 tak khatam hon gy masla yeh Hy k namaz bhi irregular ho Jate Hy Kia her dafa ghussa kerns lame ho jata Hy ya sirf wazoo KR Lia kron aur shuhar k Pas jany ki ky masial pr roshne dalen

Answer: 1: Haiz wali aurat ki 6 qismien hain aur konsi qisim kese maloom ho sakti hai, is ke liye aap ne do mahino me se har mahine check karte rehna hai ke kis tareekh ko aur kis waqt haiz ka khoon aa raha hai. Jab aap do mahine check karti rahen gi to aap ko maloom ho jaye ga ke un 6 aqsaam me se aap ki konsi qisim banti hai aur phir usi hisaab se aap ne ghusl, ibadat anjam dene hain aur isi tarah shohar ke pass jaane ka maslah bhi waazeh ho jaye ga.

Note: in 6 aqsaam ki tafseelaat janne ke liye Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), ka maslah #468 aur is ke baad ke masaail mulahiza farmayen, zail me aap ko Tauzeeh ul Masail ka link provide kiya jaa raha hai.

Mukhtasaran ye ke Haiz wali aurat ki 6 qismien hain:
(1) Waqt aur adad ki aadat rakhne wali aurat: Ye wo aurat hai jise yakay baad deegray 2 mahino mein aik muayin waqt par haiz aaye aur us ke haiz ke dino ki taadad bhi 2 mahino mein aik jaisi ho. maslan use yakay baad deegray 2 mahino mein mahine ki pehli tareekhh se saatween tareekh tak khoon aaye.
(2) Waqt ki adat rakhne wali aurat: Ye wo aurat hai jise yakay baad deegray 2 mahino mein muayin waqt par haiz aaye lekin us ke haiz ke dino ki taadad dono mahino mein aik jaisi nah ho. maslan yakay baad deegray 2 mahino mein use mahine ki pehli tareekh se khoon aana shuru ho lekin wo pehle mahine mein saatwen din aur doosre mahine mein aathwen din khoon se paak ho.
(3) Adad ki adat rakhne wali aurat: Ye wo aurat hai jis ke haiz ke dino ki taadad yakay baad deegray 2 mahino mein aik jaisi ho lekin har mahine khoon aane ka waqt yaksaan nah ho. maslan pehle mahine mein use paanchween se dasween tareekh tak aur dosre mahine mein barween se satrween tareekh tak khoon aaye.
(4) Muztaribah: Ye wo aurat hai jise chand mahine khoon aaya ho lekin us ki aadat muayin nah huei ho ya us ki sabiqa adat bighar gayei ho aur nayei aadat nah bani ho.
(5) Mubtadeah: Ye wo aurat hai jise pehli dafa khoon aaya ho.
(6) Naasiyah: Ye wo aurat hai jo apni aadat bhool chuki ho.
In mein se har qism ki aurat ke liye alaihada alaihada Ahkam bayan kiye gaye hain jo diye gaye link mein maujood hain.

2: Haiz ki halat main Jima(Intercourse) karna shohar aur biwi dono ke liye haram hai aur dono ghunahgar hon gay. aur un dino men bhi jima karna haram hai jin men aurat ka haiz yaqeeni na ho lekin sharan is ke liye zaroori hai ke apne aap ko haaiz qarar day. lekin Haiz ki halat men Jima(Intercourse) ke alawa baqi tamam lazzat maslan bos-o-kinar(kissing wagera) karna jaiz hai.

(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #448,449,451,468. + (Link: https://www.sistani.org/urdu/book/61/3632/ ).
[Updated on 23-Nov-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
123309
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-11-20

Question: Aoa janab merry periods irregular Hain age 46 Hy Dr krhty Hain 50 tak khatam hon gy masla yeh Hy k namaz bhi irregular ho Jate Hy Kia her dafa ghussa kerns lame ho jata Hy ya sirf wazoo KR Lia kron aur shuhar k Pas jany ki ky masial pr roshne dalen

Answer: 1: Haiz wali aurat ki 6 qismien hain aur konsi qisim kese maloom ho sakti hai, is ke liye aap ne do mahino me se har mahine check karte rehna hai ke kis tareekh ko aur kis waqt haiz ka khoon aa raha hai. Jab aap do mahine check karti rahen gi to aap ko maloom ho jaye ga ke un 6 aqsaam me se aap ki konsi qisim banti hai aur phir usi hisaab se aap ne ghusl, ibadat anjam dene hain aur isi tarah shohar ke pass jaane ka maslah bhi waazeh ho jaye ga.

Note: in 6 aqsaam ki tafseelaat janne ke liye Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), ka maslah #468 aur is ke baad ke masaail mulahiza farmayen, zail me aap ko Tauzeeh ul Masail ka link provide kiya jaa raha hai.

Mukhtasaran ye ke Haiz wali aurat ki 6 qismien hain:
(1) Waqt aur adad ki aadat rakhne wali aurat: Ye wo aurat hai jise yakay baad deegray 2 mahino mein aik muayin waqt par haiz aaye aur us ke haiz ke dino ki taadad bhi 2 mahino mein aik jaisi ho. maslan use yakay baad deegray 2 mahino mein mahine ki pehli tareekhh se saatween tareekh tak khoon aaye.
(2) Waqt ki adat rakhne wali aurat: Ye wo aurat hai jise yakay baad deegray 2 mahino mein muayin waqt par haiz aaye lekin us ke haiz ke dino ki taadad dono mahino mein aik jaisi nah ho. maslan yakay baad deegray 2 mahino mein use mahine ki pehli tareekh se khoon aana shuru ho lekin wo pehle mahine mein saatwen din aur doosre mahine mein aathwen din khoon se paak ho.
(3) Adad ki adat rakhne wali aurat: Ye wo aurat hai jis ke haiz ke dino ki taadad yakay baad deegray 2 mahino mein aik jaisi ho lekin har mahine khoon aane ka waqt yaksaan nah ho. maslan pehle mahine mein use paanchween se dasween tareekh tak aur dosre mahine mein barween se satrween tareekh tak khoon aaye.
(4) Muztaribah: Ye wo aurat hai jise chand mahine khoon aaya ho lekin us ki aadat muayin nah huei ho ya us ki sabiqa adat bighar gayei ho aur nayei aadat nah bani ho.
(5) Mubtadeah: Ye wo aurat hai jise pehli dafa khoon aaya ho.
(6) Naasiyah: Ye wo aurat hai jo apni aadat bhool chuki ho.
In mein se har qism ki aurat ke liye alaihada alaihada Ahkam bayan kiye gaye hain jo diye gaye link mein maujood hain.

2: Haiz ki halat main Jima(Intercourse) karna shohar aur biwi dono ke liye haram hai aur dono ghunahgar hon gay. aur un dino men bhi jima karna haram hai jin men aurat ka haiz yaqeeni na ho lekin sharan is ke liye zaroori hai ke apne aap ko haaiz qarar day. lekin Haiz ki halat men Jima(Intercourse) ke alawa baqi tamam lazzat maslan bos-o-kinar(kissing wagera) karna jaiz hai.

(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #448,449,451,468. + (Link: https://www.sistani.org/urdu/book/61/3632/ ).
[Updated on 21-Nov-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
123343
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-12-15

Question: AOA Mere 1 roza pichle Saal ka reh gaya hai jise me ne periods ki waja se khaya tha magar ab dusra roza a gaya hai or wo pichlay Wala Abi tak nahi rakha to ab Khali wo roza rakhna Kafi hoga ya phir kafara hoga

Answer: Haiz (periods) ki halat me rozay nahin rakhne hote lekin ramzan ke baad aur agle ramzan se pehlay ehtiyat-e-mustahab (yani behtar) hai ke us ki qaza ki jaye warna fidiya-e-takheer zimme aa jata hai. Ab us rozay ki qaza bhi karn zarori hai aur fidiya-e-takheer bhi dena zaroori hai.

Fidiya-e-takheer yani har din ke liye aik mud (yani 750 giram) taam faqeer ko day.

(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #1612,1676,1677).
[Updated on 16-Dec-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
123358
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-12-15

Question: Assalam O Alaikum.mera sawal ye hy.ka jab haiz band ho jay.bleeding na ho rahi ho.aise surat may gushal kea baghir roza rakh sakta hy kia.agar namaz zahur sa pahla naha lea jay.to kia roza ho jay ga.reply me. 2nd question ye hy.ka mera husband muj sa month may serf 1 ya 2 dafa humbistri karta hy.waisa bhi mera pas nah ata hy.na hi muja touch karta hy.aise surat may muja bitiye.ka may kia karo.jab ka muja olad ki buth khawish hy.reply me soon.

Answer: Agar yaqeen ho jaye ke paak ho gayei thein to Roza rakhne ke hawale se sharaei maslah ye hai Azaan e subh se pehle Ghusl kiye bager Roza nahin rakh saktein. Balke Ramazan ke rozon mein Aurat agar subh ki azaan se pehle Haiz ya Nifaas se paak ho jaaye Aur jaan bhooj kar ghusl na kare ya us ka fareeza tayyamum karna ho aur wo tayyamum na kare to zaroori hai ke us din ke roze ko poora kare aur uski qaza bhi kare.
2: Aap ko bacha chahiye to shohar se request kar sakti hain lekin use majboor nahin kar saktien aur shohar agar aik mahine me 1 ya 2 dafa biwi se hambistri karta hai ye sahi hai Q ke waise bhi shohar apni jawaan biwi se chaar mahine se ziyada muddat ke liye hambistari tark nahin kar sakta (yani chaar mahinon me aik baar hambistri karna wajib hai agar nahin kare ga to wo gunahgar hoga).

(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #1608,2376,2382).
[Updated on 16-Dec-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
123404
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-12-13

Question: Agar haiz k doran bleeding stop ho jay yani 3rd ya 4th day to Kia namaz prhi ja skti hai??

Answer: Jab aurat haiz se pak ho jaaye (yani haiz ka khoon aana band ho jaye aur sharmghah me bilkul khoon na rahe) to us par namaz ya is tarah ki deegar ibadaten anjam dene ke liye ghusl karna wajib hota hai aur is ke baad namaz parhni hogi.

(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Maslah #456).
[Updated on 14-Dec-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
123407
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-12-13

Question: Asalamu alaikum mera sawal ye hai k kia halat-e-haiz mai wudu kr k jate namaz(prayer mat)pr beth kr tasbihat prh sakty hain ?

Answer: Jee han, balke Haiz wali aurat ke liye Mustahab hai ke namaz ke waqt apne aap ko khoon se paak kare aur roei (cotton) aur kapre ka tukraa badle aur wuzu kare aur agar wuzu na kar sake to tayammum kare aur namaz ki jagah par ruba qibla baith kar zikr, dua aur salwaat mein mashghool ho jaaye.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #466).
[Updated on 14-Dec-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
123427
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-12-27

Question: Ramzan main bv ko hez ajy or or hez k 5 din shohr hmbstri krle roze rkh k tw kia bv ko kafara krna prega

Answer: 1: Agar biwi 5 din bhi haiz ki halat me thi yani ke us ka haiz ka khoon aana band nahin hua tha to biwi par koi kaffara nahin lekin shohar ne jo rozay ki halat me biwi se hambistri hai to shohar ka roza baatil ho jaye ga aur ramzan ke baad us rozay ki qaza karna zaroori hogi aur is ke sath sath shohar kaffara bhi day ga. albatta ye baat waazih rahe ke haiz ki halat me biwi se hambistri karna Haram hai aur zaroori hai tauba ki jaye.

2: Roze ki halat me jima (intercourse) karne se roza baatil ho jata hai. Agar koi shakhs ramzan ke roze ko jaan bojh kar jima ki wajah se baatil kare jab ke jabar (zabardisti) aur naachaari ki bina par nahin balke jaan boojh kar aur ikhtiyaar se aisa kiya ho to ramazan ke baad rozay ki qaza(repeat) karna zaroori hai aur is ke alawa kaffarah bhi wajib ho ga.

3: Kaffara dene me zaroori hai ke insaan kotaahi na kare lekin fauri taur par dena zaroori nahin. Albatta agle ramazan se pehle pehle ada kar liya jaye warna fidiya e takheer bhi dena hoga.

4: Kaffara ye hai ke in 2 men se koi aik kam anjam day: ya to 2 maheenay is tarah Rozay rakhay ke aik poora maheena aur is se agle maheene ke aik din tak musalsal roze rakhay aur isi tarah baaqi maheene ke rozay bhi ehtiyaat e wajib ki bina par zaroori hai ke lagataar rakhay lekin agar rukawat paish aa jaaye ke jise urfan wajah shumaar kiya jaaye to is din ka roza na rakhe aur uzr ke door hone ke baad dobara shuru kare ya phir 60 sharaei faqeeron ko pait bar kar khana khilaye ya har faqeer ko 750 gram gandum, roti wagera day.

(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #448,1565,1630,1632,1633,1655,1676,1677).
[Updated on 28-Dec-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
123450
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2024-01-13

Question: Agar pehly din Thora SA blood Aya or phr nai aya to Naha k roza Rakh sakty hai.

Answer: Periods (haiz) ki muddat kam se kam 3 din aur ziyada se ziyada 10 din hai. aur haiz ke liye zaroori hai ke pehle teen din lagatar aaye, lehaza agar 3 din se kam yani 1, 2 din ke liye khoon aaye to ye haiz ka khoon nahin kehlaye ga balke istehaza ka khoon kehlaye ga aur is surat me istehaza waali aurat ke ahkaam pe amal kar ke namaz aur rozay anjam dene hain.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #44, maslah #438,439).
[Updated on 13-Jan-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
123496
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2024-01-07

Question: کیا جنابت کی حالت میں مختصر پاک ہونے کے بعد بال کلر کیں جا سکتے ہیں اور کیا حیض میں کر سکتے ہے بال کلر

Answer: Hanabat ya haiz ki halat me balon me khisaab kar sakte hain.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #354,348).
[Updated on 08-Jan-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
123514
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2024-01-08

Question: Haiz ki halat me ager bleach kerlen to ghusul hojata he ??mtlb bleach kerne k 1din baad ager ghusl kerna ho to hojata he?

Answer: Haiz ki halat me bleach kar sakti hain, lekin wuzu ya ghusl karne ki soorat me agar wuzu aur ghusl ke liye wo pleach rukawat bane to use hatana zaroori hai, warna wuzu ya ghusl sahi nahin hon gay.

(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #289,376).
[Updated on 09-Jan-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
123626
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2024-01-21

Question: Husband wife date ka 5din bad humbistri kar sakty ha

Answer: Agar yaqeen ho ke aurat haiz ke khoon se paak ho chuki hai to humbistari karna jaiz hai, lekin ehtiyaat e lazim ye hai ke hambistri sharamgah dhone ke baad ki jaye, aur ehtiyaat e mustahab (behter )ye hai ke ghusl karne se pehle mard is se hambistari nah kare. lekin jin dino me aurat ke periods yaqeeni na hon lekin sharan us ke liye zaroori hai ke apne aap periods wali aurat qaraar de to in dino me bhi humbistari karna Haram hai.

(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #449,457,496).
[Updated on 22-Jan-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
123666
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2024-02-11

Question: Aslam o alaikum. Mera sawal h k JB pehli br sex Karein to aurat KO Kitna khoon ata h .. means khoon ziada hota h ya kum hota h

Answer: Pardaye bakarat ke phatnay se khoon ka aana zaroori nahin, kabhi kabhi to khoon ka aik qatra bhi nahin aata aur kabhi itna shadeed khoon ka bahao hota hai ke lady doctor ki zaroorat paish aa jati hai. larki ki umer jitni ziyada hoti hai, khoon raizi ka imkaan bhi kam rehta hai. baaz larkiyon mein to khoon raizi ka naam o nishaan nahin hota.

(Ref: https://ur.wikipedia.org/wiki/%D8%A2%D8%AF%D8%A7%D8%A8_%D8%B4%D8%A8_%D8%B2%D9%81%D8%A7%D9%81 ).
[Updated on 12-Feb-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
125766
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2024-02-29

Question: Periods khatam ho jayen or gusal krna 5..6 din late ho jy tooo koi masla too nhi

Answer: Jab aurat haiz se pak ho jaaye (yani haiz ka khoon aana band ho jaye aur sharamghah me bilkul khoon na rahe) to us par namaz ya is tarah ki deegar ibadaten anjam dene ke liye ghusl karna wajib hota hai aur is ke baad namaz ke auqaat me namaz ada karna wajib hai warna ghunahgar hongi.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #456).
[Updated on 01-Mar-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
126022
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2024-03-10

Question: Kya periods ky doran daroody ibrahimi parh skhty hain ?

Answer: (Note: Is website par fiqh e jafferiya {shia mazhab} ke mutabiq jawabat diye jatay hain).

Jee, parh sakti hain Q ke Haiz (periods) ki halat men darj zel chand cheezien Haram hain:
1. Namaz aur is jaisi ibadaten jinhen wuzu, ghusl ya tayyamum ke sath ada karna zaroori hai (Jese roza) lekin un ibadaton ko ada karne men koi haraj nahin jin men wuzu, ghusl ya tayyamum karna zaroori nahin hai jaise ke namaz e mayyit ada karna, ya koi zikr, dua ya wazifa parhna jis me wajib sajde wali aayat maujood na hon.
2. Quran ke alfaz ya Allah taala ke naam ko choona chahe wo kisi bhi zaban men ho.
3. Wajib sajde wali aayat parhna.
4. Masjid e haram aur masjid e nabvi men jana.
5. Masjid e haram aur masjid e nabvi ke elawa dosere kise masjid men theherna or ehteyaat wajib ki Bina per imamo ke (asli) Haram me theherna.
6. Masjid men koi cheez uthane ke liye dakhil hona.
7. Jima(Intercourse) karna jo ke shohar or biwi dono k liye Haram hai.

(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #354,355,448).
[Updated on 11-Mar-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print