Please click the button for Quran o Itrat Academy Whatsapp Channel.
Whatsapp Channel
Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+


Question & Answers << Go Back

Topic: Haiz (323 Questions)


Showing 250- 300 questions from 323 questions on this page.

Answers found for searched words
Id:
115931
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-08-21

Question: Assalamualaikum,,agar 11 din ke baad bhi khoon nazar aaye to kya namaz padna jaayaz hai?

Answer: khoon e haiz 3 din se kam aur 10 din se ziada nahin aata, or aik khoon e haiz ka silsila khatam hone k baad doosra haiz ane main kam az kam 10 din ka waqfa lazmi hay, lehaza giyarwen (11) din aur is ke bad wale dino ko aane wala khoon haiz nahin, balkeh istehaza shumaar hoga. Aur istehaza ke ahkam ke mutabiq amal kar ke namaz aur is tarah ki ibadtain anjam den zaroori hai.
Agar khoon 10 din se ziada aye to phir dekhna parega keh aya woh khoon zakham ka hai ya istehaza hai ya koi aur. agar istehaza ho to phir yeh dekhna hoga keh istehaza qaleela hai, mutawassita hai ya phir kaseera hai. istehaza ka khoon ziada tar zard rang ka aur thanda hota hai aur fishar aur jalan ke beghair kharij hota hai aur garha bhi nahi hota lekin mumkin hai keh kabhi siyah ya surkh aur garha ho aur fishar aur jalan ke sath kharij ho, istehaza Qaleela ki pehchan yeh hai keh khoon sirf us royi ke upar wale hissay ko alooda kare jo aurat apni sharamgah par rakhe aur us royi ke andar tak sirayat na kare, istehaza mutawassita yeh hai keh khoon royi ke andar tak chala jaye , agar cheh is ke aik kone tak hi ho lekin royi se us kapre tak na puhanche jo aurten amooman khoon rokne ke liay bandhti hain, istehaza kaseera yeh hai keh khoon royi se tajawuz kar ke kapre tak puhanch jaye, istehaza qaleela men har namaz ke liay alehda wazu karna zaroori hai aur ahtiyat e mustahab ki bina par royi ko dhole ya usay tabdeel kar de aur zaroori hai keh sharamgah ke zahiry hissay par khoon laga hone ki surat me usay bhi dho le, istehaza mutawassita mein ahtiyat e lazim ki bina par zaroori hai keh aurat apni namazon ke liay rozana aik ghusal kare , yeh bhi zaroori hai keh istehaza qaleela ke woh afaal anjaam de jo sabiqa masaley men bayan ho chukay hain, istehaza kaseera mein ahtiyat e wajib ki bina par zaroori hai keh aurat har namaz ke liay royi aur kapray ka tukra tabdeel kare ya usay dhoye aur aik ghusal fajar ki namaz ke liay aur aik ghusal zuhar wa asar ki aur aik ghusal maghrib wa isha ki namaz ke liay zaroori hai. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #438,390,391,392,393,394).
[Updated on 21-Aug-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
115987
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-02-11

Question: kya wazeefa periods k days me b jari rkh skty h ehly tashi k mutabik

Answer: Haiz ki halat men wazifa karna jaiz hai. aur agar wazifa quran ki ayaat par mushtamil ho to quran ki ayaat ke alfaaz ko choowe bager haiz ki halat main parhna bhi jaiz hai agarche quran ki 7 se ziyada ayaat ka pharna makrooh hai.or pure quraan me se jin aayaat ke perhne se sajda wajib ho jaata hay un ko halate haiz me perhna jaaiz nahe hay or wo aayaat ye hay (1) surah sajda ayat no:15,(2) surah fuselat ( hah meem sajda) ayat no:37,surah najam, ayat no:62,(4) surah alaq 19) (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #448,354,467).
[Updated on 12-Feb-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id:
116013
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-02-08

Question: Leukorrhea k barey mae namaz k kia ehkam hai?

Answer: Leukorrhea (safeed, yellow color ki ratubat) mani nahi hay. Ye paak hay or is k aanay se ghusl bhi wajib nahin hota. Aur is halat men namaz aur doosri ibadaat bhi anjam deni hongi.
(Ref: sistani.org/urdu/qa/01791/#17660).
[Updated on 09-Feb-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
116063
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-01-23

Question: Assalam o alaikum...m halat e haiz m hun or aza khany m chli gae or beth gae wahan to jinky ghr ki mjlis h unho n mjhy Kaha k ye jaiz nh h tmny gunah kiya h jb k m n prha bh h or alima s suna bh h k jaiz h Jana bh choona bh Nazar khana bh pakana bh ...ab ap btayen kya ye jaiz h ya nh

Answer: Jee han, Ye jaiz hai.(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Mafhoom e maslah #354,448. + https://www.sistani.org/urdu/book/26352/4253/ ).

[Updated on 24-Jan-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
116129
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-01-02

Question: Agar haiz ko huwe 1 month se ziada hojae or na horha ho dubara tw ye achi bt h nuqsan da h

Answer: Aap is hawale se doctor ki taraf ruju karen.
[Updated on 03-Jan-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
116169
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-02-09

Question: Mujhy periods ho chuky hai lekin phr b mai pak nai ho pa rahi yani brown discharge a rha hai hlka hlka aur kabhi white ho jata mai na chand mah phly jimma kiya tha pregnancy test b nai kra skti q k mai nai chahti k ghr pta lgy kisi ko kch na hi kabhi aesa mehsos huwa kai pregnant ho skti hu is halat mai mujhy kya krna chahiya kya mia namaz prh skti roei pr hlka sa brown discharge lg rha plz koi mashwra dy da

Answer: Jab tak haiz ka khoon mukammal khatam nahii ho jaata tab tak ghusl e hazi nahi kia jaa sakta, or haiz k akhtetam per khoon ka brown rang ka aana bhi durust hay. agar aurat ko shak ho keh wo khoon e haiz se paak ho gae hay tu wo istibra kare yabi sharam gaah main roe(cotton) dakhil kare or agar roe saaf baghair khoon k aay tu khud ko paak samajh kar ghsul kare. (Ref: tauzihul masael, sistanidb, maslah#496)
[Updated on 09-Feb-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
116193
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-12-12

Question: Ap ny kaha k haiz k doran jism k baki aza pak hn to hum phir quran ko allah k names ko hath kiu ni lga skty

Answer: 1: Is liye ke Allah taala ke names ya Quran ke alfaaz ke choone ke liye wuzu ya ghusl ka hona shart hai aur aurat haiz ki halat men, wuzu ya ghusl ke sath nahin hoti lehaaza haiz ki halat men Allah taala ke names ya Quran ke alfaaz ko chhona jaiz nahin hai.(insaan ke lie aik zahere taharat hote hay or aik batene taharat hote hay ,zahere taharat insaan ke zahere badan ke pak hone se talluq rakhte hay or batene taharat insaan ko wuzu,gusul,tayyamum se hasail hote hay)
2: Haiz ki halat men chand chizen haram hain jaise:-
1. Namaz aur is jaisi ibadaten jinhen wuzu, ghusl ya tayyamum ke sath ada karna zaroori hai lekin un ibadaton ko ada karne men koi haraj nahin jin men wuzu, ghusl ya tayyamum karna zaroori nahin hai jaise namaz e mayyit ada karna.
2. Quran ke alfaz ya allah taala ke naam ko choona chahe wo kisi bhi zaban men ho.
3. Wajib sajde wali aayat ka parhna.
4. Masjid e haram aur masjid e nabvi men dakhil hona.
5. Masjid e haram aur masjid e nabvi ke elawa kisi masjid men theherna.
6. Masjid men koi cheez uthane ke liye dakhil hona.
7. Jima(Intercourse) karna shohar or biwi dono k liye.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #44, maslah #354,448).
[Updated on 13-Dec-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
116221
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-12-07

Question: Sharmgah pr bal na ho aur Periods ruk jane k bad aurat pak kesy hoti h?

Answer: Aurat ko jab periods (haiz) aana band ho jayen to agar aurat us maqam ko pani se pak kar ke ghusl e haiz anjam dede to aurat pak ho jati hai, is men koi farq nahin hai ke sharmghah pe baal hain ya nahin.
(Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Tauzeeh ul masail, edition #42, maslah #438).
[Updated on 08-Dec-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
116230
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-12-15

Question: agar haiz k ghusal k bad halka sa dot ajaye tu kya phr sa ghusal wajib hojata h?

Answer: Agar kisi aurat ko teen din mutawatir khoon aata rahe phir wo paak ho jaey. Chunacheh agar wo dobara khoon dekhe tu jin dino main wo khoon dekhe or jin dino main wo paak ho in tamaam dino ko mila kar agar das(10) din se ziyada nah hon to jin dino main wo khoon dekhe wo haiz k din hain laikin ehtiyaat e lazim ki bina par paaki k dino main wo in tamaam umoor ko jo paak aurat par wajib hain anjam day or jo haaiz par haram hain, onhain tark kar day.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #442).
[Updated on 16-Dec-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
116235
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-12-02

Question: Agar kisi larki ki age 13 years ho aur usko manses na aye aur woh moti ho to uska ilaaj kia hy?

Answer: Is silsile men doctor ki taraf rujoo kiya haye.
[Updated on 03-Dec-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
116336
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-09-09

Question: Kiya ayaame haiz ki halat me 313 dafa ayatulkursi ka wazifa kar sakte han kiya

Answer: Haiz ki halat men wazifa karna jaiz hai. aur agar wazifa quran ki ayaat par mushtamil ho jese Ayatulkursi to quran ki ayaat ke alfaaz ko choowe bager haiz ki halat main pharna bhi jaiz hai or un aayat ki pharna jin mai wajib sajda ho tu un aayat ki tilaawat karna haraam hai.(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #448,354,467).
[Updated on 10-Sep-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
116636
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-10-13

Question: halat e haiz me ziyarat parhna jaiz hy? jese ziyarat ashura, ziyarat warisa, ziyarat arbaeen wagera...

Answer: jee bilkul ziarat parhi jaa sakti hai.
(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 448).
[Updated on 13-Oct-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
120756
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-08-30

Question: Agar 3 din haiz ka khoon aye or iske bad brown discharge ho to kya 4 day ko hambistri kar sakty hain

Answer: Jab tak haiz ka khoon mukammal khatam nahi ho jaata tab tak is se parhez kia jaaye, Q ke In dino men bhi jimma karana haram hai jin men aurat ka haiz yaqeeni na ho lekin sharan is ke liye zaroori hai ke apne aap ko haaiz qarar day. or haiz k ikhtitam par khoon ka brown rang ka aana bhi durust hay. agar aurat ko shak ho keh wo khoon e haiz se paak ho gae hay ya nahin tu wo istibra kare yabi sharam gaah main roe(cotton) dakhil kare or agar roe saaf baghair khoon k aay tu khud ko paak samajh kar ghsul kare.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), editon #42, maslah #449,496).
[Updated on 30-Aug-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
120785
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-09-05

Question: Haiz k din mukamal honay k bad bina ghusal k sex kar saltay hain ?

Answer: Haiz se pak hone k baad hambistari karna jaiz hay, lekin ehtiyaat e lazim ye hay ke hambistari sharamgah dhone ki baad ki jaye, or ehtiyaat e mustahab ye hay ke is ke ghusl karne se pehle mard is se hambistari nah kare.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, maslah #457).
[Updated on 06-Sep-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
120834
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-09-10

Question: Haiz k khon pe kisi ki nzr prna kaisa h?

Answer: Haiz ka khoon bhi aam khoon ki tarah hai agar aam khoon par nazar parne se koi gunah ya kaffara nahin hota to khoon e haiz par bhi agar kisi aur ki nazar par jaye to koi gunah ya kaffara nahin hoga.or book (tehzeebul Islam,Urdu,allama Muhammad baqir majlise,PG no:188) me Rasool Allah se manqool hay ke khoon haiz ko dafan karadena chaaie.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, mafhoom e maslah #80,93 & pg #74).
[Updated on 10-Sep-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
120984
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-10-03

Question: Agr b.v haiz sy frg o g hai lkin abhi ghusal ni kiya mtlb napak e hai abi r agr isi halat mae miya b.v humbistri kr ly tu kya krna krna chaiye ...??

Answer: Haiz se pak hone ke baad or ghusl karne se pehle hambistari karna jaiz hay, lekin ehtiyaat e lazim ye hay ke hambistari sharamgah dhone ke baad ki jaye, or ehtiyaat e mustahab ye hay ke ghusl karne se pehle mard is se hambistari nah kare.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, maslah #457).
[Updated on 03-Oct-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
121002
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-10-07

Question: Menses me 4th day bleeding stop hone ke bad esha and fajar tak intezar kr ke 5th day gusl kar ke Zohar asar magrib namaz ada hone ke bad peshab me spot nazar aa gaya uske bad humbistari jayaz hai ya nahi?

Answer: Agar yaqeen ho ke jo qatra nazar aya hai wo periods ka nahin to humbistari karna jaiz hai. lekin jin dino me aurat ke periods yaqeeni na hon lekin sharan us ke liye zaroori hai ke apne aap periods wali aurat qaraar de to in dino me bhi humbistari karna Haram hai.
Note:haiz ke tafseele malomaat ke lie aap tuiziulmasail ke taraf ruju kare .
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), editon #42, maslah #449,496).
[Updated on 07-Oct-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
121008
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-10-06

Question: A.s...haiz k doran aurat mimbar pe beth sakti hai zakiri k liye???

Answer: Haiz ki halat men chand chizen haram hain jaise 1. Namaz aur is jaisi ibadaten jinhen wuzu, ghusl ya tayyamum ke sath ada karna zaroori hai ( Jise roza )lekin un ibadaton ko ada karne men koi haraj nahin jin men wuzu, ghusl ya tayyamum karna zaroori nahin hai jaise namaz e mayyit ada karna, 2. Quran ke alfaz ya Allah taala ke naam ko choona chahe wo kisi bhi zaban men ho, 3. Wajib sajde wali aayat parhna, 4. Masjid e haram aur masjid e nabvi men jana, 5. Masjid e haram aur masjid e nabvi ke elawa dosere kise masjid men theherna or ehteyaat wajib ki Bina per imamo ke (asli) Haram me theherna 6. Masjid men koi cheez uthane ke liye dakhil hona, 7. Jima(Intercourse) karna shohar or biwi dono k liye. Albatta haiz ki halat me Aurat mimbar par beth kar zakiri kar sakti hai, majlis ke farshe aza par ja sakti hai or isi tarah taboot ki ziyarat kar sakti hai.laikin agar ye cheeze kise masjid me ho ya imamo kise Haram me ho ya majlis masjid ya imamo ke kise Haram me horahe ho tu haiz wale Aurat Waha nahe thehre ghe .
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #354,355,448).
[Updated on 07-Oct-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
121054
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-10-16

Question: Kya haiz ki halat mein balun mein tail lagana sahi hai?

Answer: Jee han, sahi hai balon men laga sakti hain.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #354,355,448,467).
[Updated on 17-Oct-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
121068
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-10-18

Question: Jb period khtm ho gya ho or paak ho gye nmz or Qur'an pdh lete hy or baad me pata chal ta hy ap napak the tab kia kare

Answer: Periods ki halat me jaan bhooj kar namaz ka ada karna Haram hai, lekin jo surat aap ne bayan farmayei hai is surat men aap gunahgar nahin hongi, Q ke aap ne jaan bhooj aisa nahin kiya. Albatta wajib sajde wali aayat ke alawa baaqi quran Periods ki halat me bhi parha jaa sakta hai.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #354,448,467).
[Updated on 19-Oct-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
121204
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-11-09

Question: Periods k doran jism k baal saaf krny chaheye ya nhe?

Answer: Baal saaf karna ya na karna to aurat ki marzi pe mauqood hai, lekin sharaei maslah ye hai ke periods ki halat me baal saaf kiye jaa sakte hain. (Yani koi mana nahin).
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #354,355,448).
[Updated on 09-Nov-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
121227
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-11-12

Question: Haiz ke baad nakhun kaatna zaruri hai

Answer: Nakhun kaatna ya na kaatna, aurat ki marzi pe munhasir (dependent) hai, aur Haiz ke baad nakhun kaatna zaroori nahin hai.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #354,355,448).
[Updated on 12-Nov-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
121269
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-11-23

Question: Kya haiz ki halat me dalail ul khairat sharif pdh skte h

Answer: (Note: Is website par fiqh e jafferiya {shia mazhab} ke mutabiq jawabat diye jatay hain).

Haiz ki halat men chand cheezien Haram hain:
1. Namaz aur is jaisi ibadaten jinhen wuzu, ghusl ya tayyamum ke sath ada karna zaroori hai (Jese roza) lekin un ibadaton ko ada karne men koi haraj nahin jin men wuzu, ghusl ya tayyamum karna zaroori nahin hai jaise ke namaz e mayyit ada karna, ya koi dua ya wazifa parhna jis me wajib sajde wali aayat maujood na hon.
2. Quran ke alfaz ya Allah taala ke naam ko choona chahe wo kisi bhi zaban men ho.
3. Wajib sajde wali aayat parhna.
4. Masjid e haram aur masjid e nabvi men jana.
5. Masjid e haram aur masjid e nabvi ke elawa dosere kise masjid men theherna or ehteyaat wajib ki Bina per imamo ke (asli) Haram me theherna.
6. Masjid men koi cheez uthane ke liye dakhil hona.
7. Jima(Intercourse) karna jo ke shohar or biwi dono k liye Haram hai.


(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #354,355,448).
[Updated on 24-Nov-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
121270
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-11-23

Question: Kya haiz ki halat me dalail ul khairat sharif pdh skte h

Answer: Is sawal ka jawab de diya gaya hai.
[Updated on 24-Nov-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
121304
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-12-02

Question: Kia halat e haiz me majlis ja sakte? Kindly hawala bhi de diyega

Answer: Haiz ki halat men chand chizien Haram hain:
1. Namaz aur is jaisi ibadaten jinhen wuzu, ghusl ya tayyamum ke sath ada karna zaroori hai (Jaise roza) lekin un ibadaton ko ada karne men koi haraj nahin jin men wuzu, ghusl ya tayyamum karna zaroori nahin hai jaise namaz e mayyit ada karna.
2. Quran ke alfaz ya Allah taala ke naam ko choona chahe wo kisi bhi zaban men ho.
3. Wajib sajde wali aayat parhna.
4. Masjid e haram aur masjid e nabvi men jana.
5. Masjid e haram aur masjid e nabvi ke elawa dosere kise masjid men theherna or ehteyaat wajib ki Bina per imamo ke (asli) Haram me theherna.
6. Masjid men koi cheez uthane ke liye dakhil hona.
7. Jima(Intercourse) karna jo ke shohar or biwi dono ke liye Haram hai.
Albatta, Haiz ki halat me Aurat majlis ke farshe aza par ja sakti hai or isi tarah taboot ki ziyarat kar sakti hai. laikin agar yahi cheezien kisi masjid ya Imamon(a.s) me se kisi Imam(a.s) ke (asal) Haram me ho rahi hon to Haiz waali Aurat waha nahin theher sakti.

(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #354,355,448).
[Updated on 03-Dec-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
121372
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-12-15

Question: Haiz ke waqt thodasa bhi haiz na ho to kia gusul kar namaz padh sakte hai

Answer: 1: Agar kisi aurat ka khoon 10 din se pehle ruk jaye aur use yaqeen ho ke us ke baatin mein khoon-e-Haiz nahin hai to use chahiye ( zarori hay)ke apni ibadaat ke liye ghusl kare (aur ibadaat baja laye) agarcheh gumaan rakhti ho ke 10 din poore hone se pehle dobara khoon aa jaye ga. Laikin agar use yaqeen ho ke 10 din poore hone se pehle use dobara khoon aa jaye ga to jaise bayaan ho chuka hai use chahiye ke ahtiyaatan ghusl kare aur apni ibadaat baja laaye aur jo chezein haaiz par Haram hain unhein tark kare.
2: Agar kisi aurat ka khoon 10 din guzarne se pehle band ho jaye aur is baat ka ehtimaal ho ke us k baatin mein khoon-e-Haiz hai to zaroori hai ke ya ahtiyaat karte houe ibadaatun ko anjam day ya Istibra kare aur Istibra kiye bager ibadaat ko tark karna jaiz nahin hai. Istibra ye hai ke apni sharamgah mein kuch dair royei rakh kar intizar kare. Haan! Agar iski aadat aisi hai ke Haiz ke dauran bhi us ka khoon kuch dair ke liye ruk jaata hai, jesa ke baaz auraton ke bare mein aisa kaha jaata hai to zaroori hai ke us miqdar se ziyada dair tak intizar kare us ke baad nikal lay. Pas agar khoon khatam ho gaya ho to ghusl kare aur ibadaat baja laaye aur agar khoon band nah howa ho ya thaurha sa zard pani laga ho. Pas agar wo Haiz ki muayin aadat nah rakhti ho ya uski aadat 10 din ki ho ya abhi us ki aadat ke din tamam nah hue hon to use chahiye ke intizar kare aur agar 10 din se pehle khoon khatam ho jaye to ghusl kare aur agar daswen din ke khatme par khoon aana band ho ya 10 din ke baad bhi khoon aata rahe to daswen din ke ikhtitaam par ghusl kare aur agar uski aadat 10 dino se kam ho aur wo jaanti ho ke 10 din khatam hone se pehle ya daswen din ke khaatme par khoon band ho jaye ga to wo ghusl nahin kar sakhti.

(Ref: Tauzeeh ul Masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, maslah #495,496).
[Updated on 16-Dec-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
121469
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-01-01

Question: Haiz may adat ka kesay pta chalta hay?

Answer: Haaiz ki chhe 6 qismien hain aur haaiz ki konsi qism kese maloom ho sakti hai ye pata karne ke liye ke hai aap ko do mahino me se har mahine check karte rehna hai ke kis tareekh ko aur kis waqt haiz ka khoon aa raha hai. jab aap do mahine check karti rahengi to aap ko maloom ho jaye ga ke un chhe (6) aqsaam me se konsi qism banti hai.
Mazeed tafseelaat ke liye Tauzeeh ul Masail, Ayatullah Sistani(d.b), ka maslah #468 aur is ke baad ke masaail mulahiza farmayen, zail me aap ko Tauzeeh ul Masail ka link provide kiya jaa raha hai.

Haaiz ki 6 qismien hain:
(1) Waqt aur adad ki aadat rakhne wali aurat: Ye wo aurat hai jise yakey baad digarey 2 mahino mein aik muayin waqt par haiz aaye aur us ke haiz ke dino ki taadad bhi 2 mahino mein aik jaisi ho. maslan use yakey baad digarey 2 mahino mein mahine ki pehli tareekhh se 7 tareekhh tak khoon aaye.
(2) Waqt ki adat rakhne wali aurat: Ye wo aurat hai jise yakey baad digarey 2 mahino mein muayin waqt par haiz aaye laikin us ke haiz ke dino ki taadad dono mahino mein aik jaisi nah ho. maslan yakey baad digarey 2 mahino mein use mahine ki pehli tareekhh se khoon aana shuru ho laikin wo pehle mahine mein 7 din aur dosre mahine mein 8 din khoon se pak ho.
(3) Adad ki adat rakhne wali aurat: Ye wo aurat hai jis ke haiz ke dino ki taadad yakey baad digarey 2 mahino mein aik jaisi ho laikin har mahine khoon aane ka waqt yaksaan nah ho. maslan pehle mahine mein use 5 se 10 tareekh tak aur dosre mahine mein 12 se 17 tareekh tak khoon aaye.
(4) Muztaribah: Ye wo aurat hai jise chand mahine khoon aaya ho laikin us ki aadat muayin nah hui ho ya us ki sabiqa adat bighar gayei ho aur nayei aadat nah bani ho.
(5) Mubtadiah: Ye wo aurat hai jise pehli dafa khoon aaya ho.
(6) Naasiyah: Ye wo aurat hai jo apni aadat bhool chuki ho.
In mein se har qism ki aurat ke liye alaihada alaihada Ahkam hain jin ka zikr aaindah masaail mein kiya jaye ga.
(Ref: Tauzeeh ul Masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Maslah #468. + (Link: https://www.sistani.org/urdu/book/61/3632/ ).
[Updated on 02-Jan-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
121473
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-01-03

Question: Haiz khe khalat main sex karna jaiz hain ager biwi razi hoo to jaize hain

Answer: Jee nahin, biwi raazi ho ya na ho haiz ki halat me jima karna Jaiz nahin hai. Q ke Haiz ki halat men chand chizien Haram ho jaati hain: in me se aik Jima(Intercourse) karna hai jo ke shohar or biwi dono ke liye Haram hai. Agar mard apni biwi se haiz ki halat me jima kare to is ke liye zaroori hai ke Istigfar kare, lekin kaffara dena wajib nahin hai. Albatta, Jima(Intercourse) ke alawa baqi lazzatien maslan lams (touching) or bos-o-kinar (kissing) wagera karna jaiz hai. Is men koi haraj nahin hai shohar aur biwi aisa kar sakte hain.

(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #448,450,451).
[Updated on 03-Jan-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
121553
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-01-17

Question: Asalama Alikum kia haiz agr 6 din mein khtam ho jae 6 din ghusal le sakte hein ya taq dino mein he ghusal karna chiye

Answer: Jab bhi aurat haiz se pak ho jaaye to us waqt ghusl kar sakti hai, is me taaq dino ka koi farq nahin, balke baaz auqaat to ghusl karna wajib ho jata hai namaz ya is tarah ki deegar ibadaten anjam dene ke liye wajib hota hai.

(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Maslah #438,456,507).
[Updated on 18-Jan-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
121676
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-02-15

Question: Kia periods mein balun mein tail lagana thk hai?

Answer: Jee han, sahi hai balon men laga sakti hain.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #354,355,448,467).
[Updated on 16-Feb-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
121806
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-03-24

Question: Maine Allah se wada kiya ki meri mahwari aaye me unsay tb tk bat nahi karungi jb tk wo khud se na kare nge mujhse bat

Answer: Jawab de diya gaya hai.
[Updated on 25-Mar-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
121855
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-03-19

Question: Jab aurat ki meanses ruk Jai or ghusal na Kya ho tou Kya ye jaiz he...??

Answer: Jab bhi aurat haiz or nifaas se pak ho jaaye to us par direct ghusl karna wajib nahin hota balke us ke liye takheer (yani der se ghusl) karna jaiz hai, Albatta baaz auqaat ghusl karna wajib ho jata hai jaise ke namaz ya is tarah ki deegar ibadaten anjam deni hon to is surat me ghusl karna wajib hota hai.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Maslah #456,507).
[Updated on 20-Mar-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
121856
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-03-18

Question: Meanses ruk Jai or ghusa?? l na Kya ho tou hambistri krna jaiz he ya nh

Answer: Haiz se pak hone ke baad aur ghusl karne se pehle hambistari karna jaiz hay, lekin ehtiyaat e lazim ye hai ke hambistari, sharamgah dhone ke baad ki jaye, aur ehtiyaat e mustahab ye hai ke ghusl karne se pehle mard is se hambistari nah kare.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, maslah #457).
[Updated on 18-Mar-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
121865
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-03-17

Question: Can I have sex with my husband before taking gusal e haiz if bleeding stops after 5 days

Answer: Haiz se pak hone ke baad aur ghusl karne se pehle hambistari karna jaiz hai, lekin ehtiyaat e lazim ye hay ke hambistari, sharamgah dhone ke baad ki jaye, aur ehtiyaat e mustahab (behtar) ye hay ke ghusl karne se pehle mard is se hambistari nah kare.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, maslah #457).
[Updated on 18-Mar-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
121878
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-03-24

Question: 6 weeks ki pregnancy me blood arha h spotting horhi h. Spotting b hr waqt ni hoti din me 4 5 dafa horhi h ab is silsalay me namaz ko kese ada krey?

Answer: Agar is khoon me haiz ki sharaait maujood hain to haiz ke ahkam par amal kiya jaye, Q keh hamila aurat ko bhi haiz aana mumkin hai.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #435).
[Updated on 25-Mar-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
121964
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-04-11

Question: kiya aurat halatai haiz mai namazai shab perh sakti hai? agr nhi perh sakti tou agr wo 40 din wala namazai shab ka amal kri ho tou wo kesai continue hoga phr.

Answer: Halat e haiz me Namaz chahe wajib ho ya mustahab, parhna Haram hai lihaza agar amal se mutaalliq cheezain, haaiz auart par haraam cheezon main se na hon to 40 din wala amal kar sakti hai, lekin agar amal se mutaalliq cheezain, haaiz aurat par haraam cheezon main se hon to 40 din wala amal nahin kar sakti, matlab ke agar amal aisa hai jis men wo kaam anjam dene parte hain jo ke haiz ke dino men jaiz nahin hain to phir amal anjam nahin de sakti. jaise ke agar amal me namaz par mushtamil hai to chonke namaz haiz ke dino men jaiz nahin hai is liye amal bhi jaiz nahin haga.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #354,355,448).
[Updated on 11-Apr-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
121968
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-04-11

Question: kya periods ma surah inaam k aamal kar saktay ha??

Answer: Haiz ki halat men amal karna jaiz hai. aur agar amal quran ki ayaat ya kisi surah par mushtamil ho jaise ke surah anaam to quran ki ayaat ke alfaaz ko choowe bager haiz ki halat main pharna bhi jaiz hai, Albatta un aayat ka pharna jin me wajib sajda ho to un aayat ki tilaawat karna haraam hai.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #354,448,467).
[Updated on 11-Apr-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
122104
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-05-16

Question: Agar periods ka blood ana band hoaje to kya hum jnabat kar sakte he os se koi gunnah to ni or bad main jnabat or heiz ka ghusal ik sath karle

Answer: 1: Haiz se paak hone ke baad aur ghusl karne se pehle hambistari karna jaiz hai, lekin ehtiyaat e lazim ye hai ke sharamgah dhone ke baad, hambistari ki jaye, aur ehtiyaat e mustahab (behtar) ye hay ke ghusl karne se pehle mard is se hambistari nah kare.

2: Jis kisi par chand ghusl wajib hon wo in sab ki niyat kar ke aik ghusl kar sakta hai aur zaahir ye hai ke agar in main se kisi aik makhsoos ghusl ki niyat karay to wo baaqi ghuslon ke liye kaafi hai.
(Note: is fatwe se 2 baatain waazeh ho rahi hain:
1. Aurat haiz se pak hone ke baad ghusl e haiz aur ghusl e janabat dono ki niyat kar ke aik hi ghusl kar sakti hai.
2. Aurat ki marzi hai ke ghusl e haiz ki niyat kar ke ghusl e haiz anjam day aur phir ghusl janabat ki niyat kar ke ghusl e janabat anjam day).
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, maslah #387,457).
[Updated on 17-May-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
122130
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-05-19

Question: Kia spoting se namaz hti h?mje periods se 2.3 din pahle aik bar halka se blood ata h phr 2 .3 din kuch ni hta bad me periods shuru hte hen aksar esa hta h.kia namaz hti h pahle 2 din me?

Answer: 1: Periods (haiz) ki muddat kam se kam 3 din aur ziyada se ziyada 10 din hai. Lihaza agar aurat Periods (haiz) ki muddat se pehle khoon dekhe to us ke liye zaroori hai ke istihaza wali aurat ke ahkaam par amal kare, Q ke Periods (haiz) ki muddat se pehle wala khoon, khoon e haiz(periods) nahin hai balke koon e istihaza hai. - aur kitab wasail u shia main hai, jis ka mafhoom ye hai ke agar aurat khoon e istihaza se nijaat chahti hai to us ko istihaza ke ahkaam par amal karna chahiye -

2: Khoon e istihaza ke ehkaam:
Sab se pehle aurat tehqeeq kare ke wo qaleelah hai ya mutawassitah ya kaseerah hai. Pas agar khoon sirf roi (cotton ke jis ko aurat apni sharamghah par rakhti hai) ke uper wale hisse ko aaloda kare aur andar saraiyat na kare to ye khoon istihaaza e qalela hai or aurat ke liye wajib hai ke har namaaz ke liye alehda wuzu kare, aur namaaz se pehle sharamghah ke zahiri hisse par khoon laga ho to us ko paak karna wajib hai. Aur agar roi ke andar tak saraiyat kar jaye lekin us kapre (jo aurat khoon ko rokne ke liye roi ke upar rakhti hai) tak na ponhche to ye khoon e istihaza e mutawassita hai, aur ehtiyaat e lazim ki bin par zaroori hai ke har din namazon ke liye 1 ghusl kare aur har namaaz ke liye wuzu bhi kare aur namaaz se pehle jism par khoon lage hone ki surat main us ko paak bhi kare. Aur agar khoon roi se tajawuz kar ke us kapre tak ponhach jaye to ye koon istihazaa e kaseera kehlata hai, aur ehtiyaat e wajib ki bina par zaroori hai ke har namaaz ke liye roi aur kapra dhoye ya tabdeel kare aur agar zuhar o asar, aur magrib o isha ko aik sath parh rahi ho to fajar ke liye aik ghusl, aur zuhar o asar ke liye aik gusal, aur magrib o isha ke liye aik ghusl kare, aur agar alag alag namaz parh rahi ho to paanchhon (5) namazon me se har aik ke liye alag alag ghusl kare, aur ghusl ke baad namaaz ke liye wuzu ki zaroorat nahin hai.

(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #390 to 394,438).
[Updated on 19-May-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
122217
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-05-30

Question: Kia orat periods k dino Mai qabtistan jaker Fateha parh sakty hyn? Reply by Agha Khamnai plz

Answer: (Note: agar aap ko apne mujtahid ke mutabiq is masale ka hukum maloom karna hai to un ki website per visit karen.
Albatta is website par Ayatullah Sistani(d.b), ke fatawa ke mutabiq jawab diye jatay hain).

Is silsile me Ayatullah Sistani(d.b), ke mutabiq sharaei hukum ye hai ke Aurat ka haiz ki halat men qabristan jana jaiz hai, lekin 12 Imamon(a.s) ke Haram main thehrna - ehtiyaat e wajib ki bina par - jaiz nahin hai.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #354,448).
[Updated on 31-May-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
122304
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-06-08

Question: kia haalat e haiz me larki ka nikkah hoskta hai ?

Answer: Haalat e haiz (periods) me nikah ho sakta hai lekin nikah ho jane ke bad Haalat e haiz me hambistri (intercourse) nahin kar sakte Q ke Haalat e haiz me hambistri karna larka aur larki dono ke liye Haram hai.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #448,2335).
[Updated on 09-Jun-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
122343
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-06-12

Question: Main wazifa parh rhi thi ek wo 11 din ka hai aj 8 din poore hogaye hain ab mjhe haiz agaya tw ab main bad main shuru se ( pehle din se ) continue krun ya 9way din se shuru krun haiz k bad

Answer: (Note: Is website par fiqh e jafferiya {shia mazhab} ke mutabiq jawabat diye jatay hain).

Haiz ki halat men chand cheezien Haram hain:
1. Namaz aur is jaisi ibadaten jinhen wuzu, ghusl ya tayyamum ke sath ada karna zaroori hai (Jese roza) lekin un ibadaton ko ada karne men koi haraj nahin jin men wuzu, ghusl ya tayyamum karna zaroori nahin hai jaise ke namaz e mayyit ada karna, ya koi dua ya wazifa parhna jis me wajib sajde wali aayat maujood na hon.
2. Quran ke alfaz ya Allah taala ke naam ko choona chahe wo kisi bhi zaban men ho.
3. Wajib sajde wali aayat parhna.
4. Masjid e haram aur masjid e nabvi men jana.
5. Masjid e haram aur masjid e nabvi ke elawa dosere kise masjid men theherna or ehteyaat wajib ki Bina per imamo ke (asli) Haram me theherna.
6. Masjid men koi cheez uthane ke liye dakhil hona.
7. Jima(Intercourse) karna jo ke shohar or biwi dono k liye Haram hai.


(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #354,355,448,467).
[Updated on 13-Jun-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
122357
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-06-22

Question: Haiz or Nifaas k dino m jo kpry aurat pehnti hai unko kapro ko pak kr k un m namaz parhna jaiz h

Answer: Jee han, pak kar ke unheen kapron me namaz parh sakte hai.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #156,787).
[Updated on 22-Jun-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
122380
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-06-15

Question: AoA. Mri bewi ko 12 din upar ho gy h lekin test negative aya h es halat ma bewi sa mil skty h ya ni

Answer: Agar aap ka sawal periods (haiz) ke hawale se hai to is ke liye sharaei maslah ye hai ke Periods (haiz) ki muddat kam se kam 3 din aur ziyada se ziyada 10 din hai. lehaza agar aurat ko 10 din baad khoon aaye to wo periods (haiz) ka khoon nahin hoga aur is surat me miyan, biwi mil sakte hain.
Aur 10 din baad aurat haiz se paak hoti hai aur paak hone ke baad aur ghusl karne se pehle jima karna jaiz hai, lekin ehtiyaat e lazim ye hai ke sharamghah dhone ke baad jima kiya jaye, aur ehtiyaat e mustahab (behtar) ye hai ke ghusl karne se pehle mard is se jima nah karay.

(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #438,457).
[Updated on 16-Jun-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
122393
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-06-16

Question: Assalamualaikum mujhe ye puchna ha k agr 3 month tak hamein periods na hoon or phir 3 month bad hon or wo bhi 1 din ho phir na ho phir sy ho asy ruk ruk kr hon or ziada na ho to is that normal or 7 days sy upr hon

Answer: 1: Aam taur par khawateen aisi hoti hain ke jin ko har mahine me aik dafa periods aa jate hain lekin kuch khawateen aisi hoti hain ke jin ko do, do teen, teen mahine ke baad periods aate hain.

2: Periods (haiz) ki muddat kam se kam 3 din aur ziyada se ziyada 10 din hai. aur haiz ke liye zaroori hai ke pehle teen din lagatar aaye, lehaza agar 10 din ke andar andar khoon aaye to ye sahi hai aur 10 tak aa sakta hai lekin 10 din ke baad haiz ka khoon nahin kehlaye ga balke istehaza ka khoon kehlaye ga.

(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #438,439).
[Updated on 17-Jun-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
122397
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-06-16

Question: Har teen din me hambistari krke mini biwi ke andar chhorh dena jaiz h?

Answer: Jin halaton me biwi se hambistari (intercourse) karna Haram hai jaise ke Haiz, Nifaas, Ehraam ya Rozay wagera.... ki halat me biwi se jima karna Haram hai lekin in halaton ke awala shohar aur biwi ki marzi hai ke jab chahen hambistari kar sakte hain aur mani bhi biwi ki sharamghah me chhorh sakten ya maslan biwi agar hamila ho jaye to doctor ki hidayat ke mutabiq hambistari kar sakte hain. Han jin surton me doctor mana kare to wahan ehtiyat karni chahiye.

(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #448,504,2376).
[Updated on 17-Jun-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
122684
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-07-23

Question: Assalamualaikum Mera sawal ye hai ki maine apne 7ve din gusl e haiz krliyaa aur mujhe duphair tak yakeen tha ke mai paak hogyi hu lekin phir mere white discharge ke saath zra sa blood aya uske baad phir white discharge aya aur phir kuch ghnto baad phir se discharge ke saath blood aya toh kyaa mujhe phir se gusl krna padega aur mai namaz padhh sakti hu ya nai iss condition mein ???

Answer: 1: Agar kisi aurat ka khoon 10 din se pehle ruk jaye aur use yaqeen ho ke us ke baatin mein khoon e haiz nahin hai to use chahiye (yani zaroori hai) ke apni ibadaat ke liye ghusl kare (aur ibadaat baja laye) agarche ghumaan rakhti ho ke 10 din poore hone se pehle dobara khoon aa jaye ga.
Lekin agar use yaqeen ho ke 10 din poore hone se pehle use dobara khoon aa jaye ga to jaise bayaan ho chuka hai use chahiye ke ehtiyaatan ghusl kare aur apni ibadaat baja laaye aur jo chezein haaiz par Haram hain unhein tark kare.

2: Agar kisi aurat ka khoon 10 din guzarne se pehle band ho jaye aur is baat ka ehtimaal ho ke us ke baatin mein khoon e haiz hai to zaroori hai ke ya ehtiyaat karte hue ibadaaton ko anjam day ya Istibra kare aur Istibra kiye bager ibadaat ko tark karna jaiz nahin hai. Istibra ye hai ke apni sharamghah mein kuch dair royei rakh kar intizar kare. Haan! Agar iski aadat aisi hai ke Haiz ke dauran bhi us ka khoon kuch dair ke liye ruk jaata hai, jesa ke baaz auraton ke bare mein aisa kaha jaata hai to zaroori hai ke us miqdar se ziyada dair tak intizar kare us ke baad nikal lay. Pas agar khoon khatam ho gaya ho to ghusl kare aur ibadaat baja laaye aur agar khoon band nah howa ho ya thorha sa zard pani laga ho. Pas agar wo Haiz ki muayin aadat nah rakhti ho ya uski aadat 10 din ki ho ya abhi us ki aadat ke din tamam nah hue hon to use chahiye ke intizar kare aur agar 10 din se pehle khoon khatam ho jaye to ghusl kare aur agar daswen din ke khatme par khoon aana band ho ya 10 din ke baad bhi khoon aata rahe to daswen din ke ikhtitaam par ghusl kare aur agar uski aadat 10 dino se kam ho aur wo jaanti ho ke 10 din khatam hone se pehle ya daswen din ke khaatme par khoon band ho jaye ga to wo ghusl nahin kar sakhti.

(Ref: Tauzeeh ul Masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, maslah #495,496).
[Updated on 24-Jul-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
122721
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-08-06

Question: Search Questions Question & Answers << Go Back کیا حیض روک جائے اور 5 یا 6 دن جے بعد براونش خون نکل جائے اور اپ غسل کر چکی ہو تو تو کیا دوبارہ غسل کرنا چاہئے اور کیا اسی دن عورت روزہ میں ہو تو کیا روزہ ٹوٹ نائیگا۔ Topic: Haiz (271 Questions) 1 2 6 Showing 0- 50 questions from 271 questions on this page. کیا حیض روک جائے اور 5 یا 6 دن جے بعد براونش خون نکل جائے اور اپ غسل کر چکی ہو تو تو کیا دوبارہ غسل کرنا چاہئے اور کیا اسی دن عورت روزہ میں ہو تو کیا روزہ ٹوٹ جائیگا۔"

Answer: 1: Do haiz ke darmiyan hamesha kam az kam das din ka faasla ho ke jo do haiz ke darmiyan pak honay ki kam az kam muddat hai, is bina par jo khoon pehlay haiz ke das din guzarnay se pehlay kam az kam paaki ke zamane mein dekha jaye to woh haiz nahin hai. maslan jo aurat das din khoon dekhe aur chhay din paak ho jaye aur dobarah chaar din khoon dekhe to dosray khoon ko haiz qarar nahin day sakti, agarchay haiz ki nishanain maujood hon.

2: Jaisa ke zikar kya gaya ke "haiz ke darmiyan kam az kam paaki das din hai" lekin ziyada se ziyada paaki ki koi miqdaar nahin hai aur yahan par do haiz ke darmiyan pak honay se muraad khoon haiz se pak hona hai nah ke har tarah ke khoon se pak hona hai, is bina par mumkin hai ke do haiz ke darmiyan das din khoon e istihaza aur is ke manind khoon ke zariye faasla ho jaye aur isi tarah jo zikar hua do haiz ke darmiyan pak honay se marboot hai aur agar aik haiz ke darmiyan pak ho (ke jis ka zikar baad mein hoga) to ehteyat e wajib ki bina par zaroori hai ke jo kaam haiz wali aurat par Haram hain un ko tark kare aur jo paak aurat par wajib hai us ko anjaam day.

3: Agar teen din pay dar pay khoon dekhe aur pak ho jaye phir dobarah khoon dekhe to jin dinon mein khoon dekha hai aur darmiyan mein jo pak hui thi un ki muddat das din se ziyada nah ho to tamam dinon ka khoon haiz hoga lekin ehteyat e lazim yeh hai ke darmiyan mein paak honay walay dinon mein ke jis ko khoon ke darmiyan paaki ka naam dete hain jo kaam paak aurat par wajib hain un ko anjaam day yani ehtiyatan ghusal haiz kare aur apni ibadat ko baja laaye aur jo kaam haiz wali aurat par Haram hain maslan Quran ke khat ko mas(touch) karna aur masjid mein theharna to is ko tark kare.

(Ref: Tauzeeh ul masail Jaame, Ayatullah Sistani(d.b), part #1, edition #1443, maslah #502,504,506).
[Updated on 07-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
122729
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-08-07

Question: Halat e haiz mn agar mian bivi ny akhri din jab nahana tha jama kr lia tou kia wo gunnah k zumry mn aye ga.... Aur agr aye ga tou uska kafara kia aur ktna hoga.... Lazmi btaiye ga

Answer: Agar aurat haiz se paak ho jaye to paak hone ke baad aur ghusl karne se pehle jima karna jaiz hai, lekin ehtiyaat e lazim ye hai ke sharamghah dhone ke baad jima kiya jaye.
lihaza agar haiz se paak ho jane ke bad aur ghusl karne se pehle, sharamghah ko dho kar jima kiya tha to ghunahgar nahin hon gay.

(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #457).
[Updated on 08-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
122737
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-08-08

Question: Assalamualaikum , mujhe period m 1st day spotting hoti h fir 3 ya 4 fmday s period start hota h or agle 5 din tk phta h isliye kuch 9 din LG jate h to kya vo shuru ke din se haiz mana jayga ? Qki 1st day spotting hoke 3 din kuch ni hota or hmesha aise hi hote h mujhe periods orkya shuru k 4 din hsbnd se relation Bana sakte hai?

Answer: Haiz ki muddat 3 din se kam aur 10 din se ziyada nahin hoti, lihaza agar khoon aane ki muddat 3 din se zara bhi kam ho to wo haiz nahin hoga. isi tarah agar aurat ko 3 din se kam muddat tak khoon aaye aur phir band ho jaye aur phir 3 din tak khoon aaye to dusra khoon Haiz hai aur pehla khoon chahe wo us ki aadat ke dino hi mein aaya ho Haiz nahin hai. Aur jab tak haiz baqaida taur par shuru na ho, us se pehlay wale dino me husband se relation bana sakti hain.

(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #438,447,449).
[Updated on 09-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print