Please click the button for Quran o Itrat Academy Whatsapp Channel.
Whatsapp Channel
Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+


Question & Answers << Go Back

Topic: Rozay Ke Ahkam (312 Questions)


Showing 200- 250 questions from 312 questions on this page.

Answers found for searched words
Id:
72382
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: agar koi shaks bemari ki halat main ya phir kisi or waja se Ramazan kareem ka roza to rakhy lekin usy ye khadsha ho k shayad uski bardasht uska sath na de or usko roza torna paray,, to kya mumkin hai k wo bagher niyat k roza rakhy? or agar ye mumkin hai to usy kitny waqt k andar niyat karleni chahiye? please help me as soon as possible. jazakAllah

Answer: Agar koi jaanta ho k roza rakhna us k lie aisa muzir (nuqsaande) nahe hai k jis ki perwa ki jaay agarche tabeeb kehe k muzir (nuqsaande) hai us k lie zarori hai k roza rakhe aur agar koi shaks yaqeen ya ghumaan rakhta ho k roza us k lie muzir (nuqsaande) hai agarche tabeeb kehe k muzir nahe hai (nuqsaande) to is per wajib nahe hai k roza rakhe.
Agar kise shaks ko yaqeen ya itmenaan ho k rozo rakhna is k lie qaable tawaju zarar (nuqsaan) ka baais hai ya is baat ka ahtemaal ho aur is ahtemaal ki bina per (is k dil me ) khouf paida ho jaay to agar is ka ahtemaal louqo ki nazar me sahe ho to is k lie roza rakhna wajib nahe balke agar wo nuqsaan insaani jaan ki halaqat ya kise hisse k naaqis hone ka sabab ban raha ho to roza haraam . is k ilawa surat me agar baqasde raja roza rakh le aur baad me maloom ho k roza is k lie qaable tawaju nuqsaan ka sabab na tha to is ka roza sahe hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 1713,1714).Update on dated 22-08-16. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
78689
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Rozay me tooth paste krne se kya roza toot jata ha ?

Answer: Roze ki halat me tooth burush karna jaiz hai haan agar rozedaar toot burush mou se nikaale aur dobara mou me le jaay aur is ki tari nigal le to roza batil hai sewaey is surat k is ki tari luaab dehan me gol mil kar is tara khatam ho jaay k ise behroni tari na kaha jaay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #1553,1554). Update on dated 02-05-17. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id:
90149
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: السلام عليكم Mera ik hont phatta hua hai rozy ki haalat me uss per kuch laga sakta hun agar haan to kya soty huwy agar wo halaq me utar jaye to uss se roza to nhi tooty ga ya toot jaye ga ya makru ho jaye ga plzz tell me. شکریہ

Answer: Jee, hont per cream laga sakte hain or agar sootay main cream halaq main chali jaey tu roza batil nahi hoga. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 39th edition, maslah #1553,1554,1629). Update on dated 20-05-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
90150
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Sir mera sawal hai agar roza sehri krne se kuch der pehle nind me ahtlam hojae aur sheri me time bht kum bacha ho kiya ghusal krna lazmi he yan sheri ke bd insan ghusal kr skta hai?

Answer: Agar ghusl ka waqt nah ho tu farj k waqt se pehle tayammum ker roza main dakhil hona zarori hay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 39th edition, maslah #1591). Update on dated 20-05-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
90158
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Kya nightfall hone se napak ho jaye h or gusul krna wajib ho jata h or kya kapde Pak rhte h ya vo bhi napak ho hate h

Answer: Jee, ehtilam se ghusl e janabat wajib ho jata hay or libas per jis jagah mani lagi ho faqat wo jagha napaak hoti hay, baqi paak rehti hay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 39th edition, maslah #119,356). Update on dated 20-05-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
90295
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Assalam allaikum ..Mets sawaal ye h ki agar jaan bujh k roza qaseer kre to roza tooty ga kya.. Jan bujh k qaseer krne jaye to..

Answer: Ramzan main safar kerne main koe haraj nahi laikin roze se bacne k liay safar kerna makhrooh hay. Yehi hukum har safar ka hay siwaey os safar k jo hajj, umrah ya kisi zarori kaam k liay ho. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 39th edition, maslah #1686). Update on dated 23-05-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
90298
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Agar azan ke thori der bad jag lage toh roza kese raku

Answer: Agar ramzan main fajr ka waqt ho jaey tu phir khuch kha pee nahi sakte or isi baghair sehri k roza rakha jaey. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 39th edition, maslah #1531). Update on dated 23-05-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
90342
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: roza kis waqt kholna chaheya ak to hamri nazdeek ki masjid sa awaz ati ha to kholta ha to kuch tv ki awaz sa khol lata ha jab pas wali masjid pa to abi roza khona ki awaz he ni ai to kiya ye theak ha k ham tv ma roza ki awaz aye to khol sakta ha

Answer: Roza maghrib ki namaz k waqt per kholna jaiz hay. Masjid ki azan ya t.v ki azan meyaar nahi hay. Jab tak aap ko maghrib ki namaz k waqt k aane ka yaqeen nah hojey tab tak aap roza nahi khol sakte. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 39th edition, maslah #1531,1664). Update on dated 24-05-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
90652
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Asslam o Alikum Hazrat mera question ye hai k mein ne sehri nhi ki oor sehri se 2 ghante late utha howN agr rozy ki niyat kr li jay to kya roza ho jata hai jawab ka muntazir howN please ans me

Answer: Agar aap is niyat k sath soay thay k kal roza rakhoon ga tu yehi aap ki niyat hogi or aap ka roza sahi hoga. Sehri kerna lazim nahi hay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 39th edition, maslah #1531). Update on dated 02-06-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
93597
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2019-02-05

Question: kia rozay ki halat main namehram se bt krne se roza tot jata h

Answer: Nahi, Na-mehram sai baat karne sai roza nahi toot ta.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 1553).
[Updated on 05-Feb-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
96190
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: kya nihar peyt roza rakh sakte Han

Answer: Roze main sehri karna wajib nahi hay. Azan e subah se maghrib tak qurbatan ilallaah roze ko batil karne wali cheezo se parhaiz karne ka naam roza hay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 41th edition, maslah #1531). Update on dated 11-05-19. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
96237
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2019-05-12

Question: Kya him bina sehri k Rosa rakh salty gain Jo uth na saka ho sehri time lekin raat ko niyat ho rose ki

Answer: jee raat ko niyat ki jaasakti hai aap ka baghair sehri k roza rakh sakte hain or wo durust hoga.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 1532)
[Updated on 12-May-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
96238
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2019-05-12

Question: Kya him bina sehri k Rosa rakh salty gain Jo uth na saka ho sehri time lekin raat ko niyat ho rose ki

Answer: Jee raat ko niyyat ki jaa sakti hai or baghair sehri k roza durust hoga aap ka.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 1532).
[Updated on 12-May-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
96315
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2019-05-13

Question: A.o.A sir roza rakh k so jao phir ehtlam ho jaey to roza toot jaey ga

Answer: wsalam.Nahi, is sai roza baatil nahi hoga lekin namaz sai pehle ghusal karna hoga.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41, maslah#1570).
[Updated on 13-May-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
96317
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2019-05-13

Question: A.o.A sir roza rakh k so jao phir ehtlam ho jaey to roza toot jaey ga

Answer: wsalam. Roza baatil nahi goa lekin aainda namazo k liay ghusl karna hoga.(Ref:Tauzeeh ul masial ayatullah seestani edition 41 maslah# 1570).
[Updated on 13-May-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
96741
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2019-05-26

Question: AoA.kya ramzan k hur rozay mein roz ramzan ki date ko date bolte huay niyat krni lazmi hai ya bus fajr ki namaz se pehle ya baad mein niyat krlen k “me ramzan ka roza rakhti hun....”? Kyu k beech mein rozay miss bhi huay tou rozay kese count hongey?

Answer: Nahi, date wise niyyat karna zaroori nahi balke agar faqat fajar se pehle ramzan k rozay ka irada kar liya jaaye tou bhi kaafil hai.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition41 maslah#1531)
[Updated on 26-May-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
96787
Mujtahid:
Date: 2019-05-25

Question: Aslam o alaikum mera question hai me sehri k time khtm hny k 4 min bad utha us waqt azan hrhi thi me ne thri si sehri ki(2-minutes) kia mera roza hgya? Ar sehri k time kab tak hta hai?

Answer: Agar azan fajar k waqt ho rahi thi tu aap ka roza sahi nahi hoga or agar azan fajar k waqt se 10 minut pehle sehri band karne k liay di gae thi tu phir aap ka roza sahi ho jaey ga. (Ref: Mujtahid se pochae gaey sawalaat sawal). updated on 25-05.19.
[Updated on 26-May-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
97049
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2019-05-30

Question: ایک دودھ پیتے چھوٹے بچے کی ماں پہ روزہ واجب ہے یا بعد میں رکھ سکتی ہے

Answer: jo aurat bachay ko doodh pilati ho aur os ka doodh kam ho agar os ka roza rakhna khud is k ya doodh pinay walay bachay k liay muzr ho to os aurat per roza rakhna wajib nahi hai aur zaroori hay k har din k badlay aik mudd ta aam food faqeer ko day aur in rozoo ki qaza kerna zarori hai lakin ehtiyaat e wajib ki bina per ye hokum sirf is surat mai hai jab k doodh pilanay ka inhesaar isi aurat par ho lakin agar bachay ko doodh pilanay ka koi aur tareeqa ho maslan kuch auratain mil kar bachay ko doodh pilaein ya isi doodh pilanay mai feeder feeding bottle ki madad bhi lain to aisi surat mai is hokum k sabit honay mai ishkaal hai (Ref: Ayatullah sistani d b tauzee hul masail, maslah#1700)
[Updated on 30-May-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
97051
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2019-06-01

Question: agar mahinr may 2 bar mc arhi h toh kya roza rakh skte h

Answer: aik mahine main do baar haiz aana mumkin hai laikin shart ye hay k doosra haiz kaz az kam 10 din k faasle se aay.Roze k sahi hone ki shart ye hay k aurat haiz o nifas se paak ho.(Ref: ayatullah sistani d.b, tauzihul masael jaame,Maslah#486,1913). [Updated on 02-Jun-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
103319
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2020-01-24

Question: Aoa Molana sahb Mjy yh poochna hai k qaza rozay rakhny ki kia niyyat hoti h ya kaise krni chahin, shukria

Answer: insan ke liay rozay ki niyyat dil se guzarna ya masalan yeh kehna ke "me kal roza rakhonga" zaroori nahi balkeh is ka irada karna kafi hai keh woh bargah e ilahi me apni zillat ke izhar ke liay azan subah se maghrib tak koi aisa kaam nahi karega jis se roza batil ho aur yeh yaqeen hasil karne ke liay is tamam waqt men woh rozay se raha hai zaroori hai keh kuch der azan e subah se pehle aur kuch der maghrib ke baad bhi aise kaam karne se parhaiz kare jin se roza batil ho jata hai. (Ref:Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani, Tauzeeh ul masail, masla no 1531 ).
[Updated on 24-Jan-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
107124
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-08-04

Question: Assalamualaikum Ji Mera swal ye hy k agr koi insan mnat mangy yni irada kry k Mera ye Kam ho jye to me itny rozy rkho ga ya itna masjid me chnda do ga or Agr Kam hojye or insan Jo ye Kam krny ki mnt mangta hy ye na pori kr sky to is Bry me Kia hukm hy Or is ka koi kfara hy.

Answer: Ap ka ye amal nazar kehlayega lekin is men zaruri k zaban se nazar k alfaz kahen hon is tarah k Agr mera fulan kam hogaya to men Allah k liye khud per ye lazim krta hun k roze rahunga, is surat men agr apka wo kam hojaye to roze rakhna ap per wajib hai, agr nahi rakhenge to ap per wajib hai k kaffara ada kren, matlb 10 faqeeron ko pet bhar kr khana khilaen ya unhen libaas ata kren, or agr ye kam na kr saken to 3 din musalsal roze rakhen, lekin agr ye alfaz ada nahi kiye faqt niyat ki hai to ye nazar sahi nahi hai.lehaza koi kaffar nahi hoga. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2604-2633).
[Updated on 04-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
107346
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-08-04

Question: rozay m kaan chedwa sakta hn ?

Answer: Nahin is se roza batil nahin hota lekin Rozaydar k lie har aisa kaam krna jo kamzoori ka sabab ho makrooh hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 1629,1553)
[Updated on 04-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
107794
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-08-04

Question: Assalamualaikum Iftar Se ek ghanta pehle kulli karte waqt Thoda pani galti se andar Chala gaya to kya roza tuth jaata hai aur agar tuth jaye to kya karna chahiye

Answer: Nahi , aap ka roza sahi hy. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah #1556).
[Updated on 04-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
107810
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-08-04

Question: Kia namaz k baghair roza sahi hay

Answer: Namaz perhe baghair bhi roza durust hay. (Ref: Tauzeehul masail ,Ayatullah Khoi, Maslah#1569)
(Note: Wazeh rahay ke wajib namaz tark kerne ka gunah mile ga or roze ka kaseer sawaab bhi nahi mile ga.)
[Updated on 04-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
111039
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-12-17

Question: Assalam o Alaikum mera sawal yeh hy k jo log sugar yeh kamzoori ki wajh sy roza na rkh shky... Kya un ki jaga pa un ki ulaad rozy rkh ly? Jasy marny k baad ksii k rozy rkhy jaty hyn k swab usy hi mily. Asy hi us ki hayat main rkh shkty hyn

Answer: Wa alaikum salam, jab tak koi insaan zinda hay us ki taraf se koi dosera us ka roza ya us roze ki qaza nahe rakhsakta chai roza rakhne wala us ki apne aulaad he kyu na ho . Jo shaks burhapay ki wajah se roza nah rakhsakta ho ya roza rakhna os k liay shaded takleef ka sabab ho tu os per roze wajib nahi hain laikin shadeed takleef ki sorat main har roze k badle aik mud kahana yani aata ya roti ya in se milti julti koe cheez 12 imami shia faqeer ko day. (Ref:sistani.org ,arabi, topic qaza suam,sawaal no: 24, Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #1683,1696).
[Updated on 17-Dec-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
111302
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Abul Qasim e Khoie Date: 2021-12-01

Question: Mera sawal yeh hai ky roza rakhny sy pehly hand practice krli ho aur phr ghusal kye bghair roza rkh lia jai aur phr usky bad ghusal krlia jai to kia roza qabool hga?

Answer: Istimna (hand practice/masturbation) karna gunah e kabira hay. aur is ke liye tauba karna lazim hai.(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Minhajus saliheen, part#1, maslah #30 , edition 2009).
Ramzan main azaan subh tak janabat ki halat main rehna rozey ko batil kardeta hai zarori hai k azan subh se phely ghusl karey or agar jaan bojh kar azan subh tak ghusl nah karey to zarori hai k is din ka roza pora karey or phir ek din or roza rakhey or pehla roza maa fiz zimma ki niyat se rakhey or ramzan k baad bhi jis din roza rakhey or os main qaza ki niyat nah karey is k alawa is per roze ka kaffara bhi wajib hoga (Ref: Ayatullah sistani d b tauzeehul masael 41th, edition maslah#1591,1630).
[Updated on 01-Dec-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
111403
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Abul Qasim e Khoie Date: 2021-12-01

Question: Salam. Mera aj nafli roza hai. Lkn sehri ky liye ankh nahi khuli to ky mera roza ho jaye ga mein nahar mun nafli roza rakh skti hun?

Answer: Jee han, Roze main sehri karna wajib nahi hay. Azan e subah se maghrib tak qurbatan ilallaah roze ko batil karne wali cheezo se parhaiz karne ka naam roza hay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 41th edition, maslah #1531).
[Updated on 01-Dec-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
111766
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-11-29

Question: Assalamo alaikum. mery walid kafi saal sy SUGAR k mareez thy or intaqal kar gai hen. jo rozy nahi rakhy gai un ki Qaza dena he ya is badly kisi ghareeb ko khana khila den un rozo k hissab sy.

Answer: Baap k mernay k baad baray baitay k liay ehtiyaat e lazim ki bina per zarori hay k baap k rozo ki qaza isi terah baja laay jaisay k namaz k silsilay main {tauzeehul masail main} maslah # 1371 main tafseel say bataya gaya hay. wo ye bhi ker sakta hay k her din k badlay 750 gram khana kisi faqeer ko day day. chahay warisoo k razi honay ki sorat main mayyit k maal hi say day. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 1683).
Note : agar baap ne apnay kuch rozay na rakhain hon aur un k qaza karnay par qadir ho to agar us ne khuda k hokum ki na-farmani kartay huay in ko tark na kia ho to ehtiyaat e wajib ki bina par wajib hai k baap k marnay k baad os k qaza rozay rakhain. 2) Agar kisi ne miyyat ka qaza roza rakha ho to behtr ye hai k zohar k baad roza na toray. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 1672 )
Insan k marnay k baad un ki namazoon, rozon aur doosri abadatoon k lie jo wo zandigi me nah baja laya ho kisi doosray shakhs ko ajeer banaya ja sakta he. Yani wo namazain rozay kisi ko ujrut de kar anjam diye ja sakhte hen Aur agar koi shakhs bagair ujrut lie un namazoon, rozon aur doosri ibadatoon ko baja laye tab bhi sahi he. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 1371, 1514).
[Updated on 29-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
112513
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-11-27

Question: Mujhe nafli roza rakhna h par kis din ka rakhon jaise moula a s rakhty thy m bhi us din ka rakhna chata ho

Answer: 1: Saal ke chand dinon ke rozay rakhna haram hain jese, 1. Eid ul fitr aur eid e qurban ke din roza rakhna haram hai. 2. jis din k baray me insan ko ye ilm na ho k shabaan ki aakhri tareekh he ya ramzan ki pehli to agar wo is din pehli ramzaan ki niyat se roza rakhay to haram hai. 3. Agar aurat ke mustahab rozay rakhnay se shohar ki haq talfi hoti ho to aurat ka roza rakhna haram hai. 4. Agar aulad ka mustahab roza maan , baap k liay aziyat ka sabab ho to aulad k liay mustahab roza rakhna haram hai. 5. Agar koi jaanta ho k roza rakhna us k liye aisa muzir(nuqsaande) nahin hai k jis ki parwa ki jaay agarche tabeeb kahe k muzir hai to us k liye zarori hai k roza rakhe aur agar koi shaks yaqeen ya ghumaan rakhta ho k roza us k liye muzir(nuqsaande) hai agarche tabeeb kahe k muzir nahin hai to is per wajib nahin hai k roza rakhay. 6: Agar kise shaks ko yaqeen ya itmenaan ho k rozo rakhna is k lie qaable tawaju zarar (nuqsaan) ka baais hai ya is baat ka ahtemaal ho aur is ahtemaal ki bina per (is k dil me ) khouf paida ho jaay to agar is ka ahtemaal loqon ki nazar me sahi ho to is k liye roza rakhna wajib nahe balke agar wo nuqsaan insaani jaan ki halaqat ya kise hisse k naaqis hone ka sabab ban raha ho to roza haraam . is k ilawa surat me agar baqasde rija roza rakh le aur baad me maloom ho k roza is k liye qaable tawaju nuqsaan ka sabab na tha to is ka roza sahe hai.
2: Saal ke chand dinon ke rozay rakhna makroh hain jese, 1. aashoor k din roza rakhna makhroh hai. 2. us din ka roza bhi makhroh hay jis k baray main shak ho ke arfa(9) zil haj ka din hay ya eid e qubaan ka din hai. 3. arfa(9) zil haj ke din ka roza agar kamzori ka sabab ho k dua na parh sake to makrooh hai.
(Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Tauzeeh ul Masael, Maslah #1709-to-1717).
3: Upar bataye gaye Haram or makrooh rozon ke alawa saal ke tamaam dinon ke rozay rakhna mustahab hai.
(Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Tauzeeh ul Masael, Maslah #1708).
[Updated on 27-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
113378
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-11-23

Question: Salam Mera sawal qaza rozon kai mutaliq hai...Mujhai nahi maloom mere rozai kitnai qaza hain...Rozon ki calculation ka koi tareeqa bata dain....dosra yeh kai qaza rozon ka kafara jahan rehtai hain us kai mutabiq qeemat daini ho gi? Mai Ayatullah sistani ki muqalid hon...plz rehnumai farmai

Answer: 1: Agar kisi ke rozay qaza ho gai hon or wo ye na janta ho ya bhool gaya ho k un qaza rozon ki tadad kiya hai to agar wo chhote adad k hisab se rozay rakh lay to kafi hai lekin behtr ye hai k itne rozay rakhay k use yaqeen hojaye k saare qaza rozay rakh liye hen, misal agar wo bhool jaye k uske kitne rozay qaza hoe the or use yaqeen ho k 10 se ziyada nahin the to ehtiyatan 10 rozay rakh lay. Or yahi hukum namazon ke bare men bhi hai.
(Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Tauzeeh ul Masail, Edition #42, Maslah #1364,1668).
2: Rozay ke kaffaare me khana hi dena zaroori hai maslan ghehon, aata, kazoor waghaira aur qimat ka ada karna kaafi nahin hai. Han kisi aise shakhs (ya idaare) ko qimat ada karna jaiz hai jo qaable ahtemaad ho aur ise wakeel banaya jaye k wo khana khareed kar faqeer ko de de.
(Ref: Mujtahid se pochay gaey sawalaat, roza, sawaal #112, 113 pg #59).
[Updated on 23-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
113716
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-11-22

Question: kya shaban keh maheenay mn aik roza rakh skty hain??

Answer: Saal main chand din ke rozay rakhna Haram or Makrooh hain jin main se chand ye hain.
1: Haram rozay: 1-Eid ul fitr aur eid e qurban ke din roza rakhna haram hai. 2-Jis din ke baray men insan ko ye ilm na ho ke shaban ki aakhri tareekh hai ya ramzan ki pehli to agar wo is din pehli ramzaan ki niyat se roza rakhay to ye haram hai. 3-Agar aurat ke mustahab rozay rakhnay se shohar ki haq talfi hoti ho to aurat ka roza rakhna haram hai. 4-Agar aulad ka mustahab roza maan baap ke liay aziyat ka maujib(sabab) ho to aulad ke liay mustahab roza rakhna haram hai is ke ilawa aur bhi haram rozay hain.
2: Makrooh rozay: Ashoor ke din roza rakhna makrooh hai or us din ka roza bhi makrooh hai jis k baray main shak ho keh arfa (9 zil haj) ka din hay ya eid e qubaan ka din hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Tauzeeh ul masail, edition #42, maslah #1709,1710,1711,1717)
(Note: Jee han, rakh saktay hain. Aur upar bayan kiye gaye Haram aur Makrooh rozon ke alawa saal ke tamam dinon ke rozay mustahab hain ).
[Updated on 23-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
114069
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-11-22

Question: Qaza roze agar ramzan Tak na rakhe ho to?

Answer: Agar aglay ramzan se pehlay qaza nahin baja lae gae tu har rozay k badlay ¾ kg khana fidya e takheeri k taur per daina wajib hoga. (Ref: Minhajus Salaheen, Ayatullah Sistani(d.b), Part #1, Maslah #1047).
[Updated on 23-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
114199
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-11-24

Question: Kya raza kholne k bad tv ya mobile use kr skte hn?

Answer: Is tarah ki cheezon ke istemal se roza batil nahin hota. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Maslah #1553).
(Note: Chahe rozay ki halat men hon ya rozay ki halat men nah hon dono sooraton men istemal kar sakte hain ).
[Updated on 25-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
114200
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-11-24

Question: Roze ki halat mein galti se Pani Peene se Roza Toot Jata Hai Ki Nahin

Answer: Ghalati sai pani peene sai roza baatil nahin hota. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Maslah #1556).
[Updated on 25-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
114263
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-11-24

Question: Ramzan ma hambistari ka bad aurat ko khoon din ma bhee ata ho to wo roza rakh sakty hai.

Answer: Roze ki halat main jima or istimna karne se roza batil ho jata hay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 41th edition, maslah #1554).1) Faqat Haiz or Nifas ke khoon jo ke auraton ke sath makhsoos hen un se roza tut jata he agarche iftar se kuch der pehle hi kion na aye.
2) iske ilawa koi bhi khoon aana roze ko batil nahin karta.
[Updated on 25-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
114266
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-04-19

Question: AOA sir .. agar hum mughrabain ki namaz parh k means 20 ya 25 mint bad roza aftar karty hain to ya sahee ya makroo hy ????

Answer: Jee nahin, Makrooh nahin hai. Balke Rozedaar ke liay mustahab hay ke roza iftaar karne se pehlay maghrib or isha ki namaz parhay.
(Ref: Tauzeeh ul Masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition 42, maslah #1720).
(Note: Rozay ko dair se iftaar karna makhrooh nahin hay, balke jab maghrib ki azan ka waqt aa jata hay tab hi roza mukammal ho jata hay. Aisa nahi hay k kisi shaks ka roza 15 ghante ka shumaar hoga or jo shaks aik ghante dair se roza iftaar kare tu os ka roza 16 ghante ka shumaar hoga ).
[Updated on 19-Apr-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
114302
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-11-24

Question: 40din k bd phr se periods hona mtlb 40 k bd 5 din ka farq ho aur phr se periods hojayen kyaa hm roza rakh skhty hain k nhi

Answer: Haiz ki halat main roza nahi rakha jasakta.
(Ref: Tauzih-ul-Masael-Jami Agha Sistani D.B: Masla # 1913)1) jo namazain aurat nay haiz ki halat main nah perhi hoon on ki qaza nahi. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #459).
2) Haiz men roza nhin rakh sakte or ramzan k baad in rozon ki qaza kerna zarori hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #).
3) Roze men haiz (menses) ka khoon ajaay to agarche maghrib se ek lamhe (second) pehle hi aye, roza batil ho jata hai. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 1612)
[Updated on 25-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
114513
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-11-09

Question: Assalam o Alaikum! Agar insan raat ko roza rkhny ki niyat kr k soey lkn suba us ki ankh Azan e Fajar k bad khuly to kia wo roza rkh skta ha? Agr rkh skta ha to kis time tk suba rkh skta ha uth k?

Answer: Agar is niyat k sath soay thay k kal roza rakhoon ga tu yehi aap ki niyat hogi or aap ka roza sahi hoga. Sehri kerna lazim nahi hay. (Ref: Tauzeehul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #1531).
[Updated on 09-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
114682
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-09-30

Question: Sehri kiye bgher roza hotta he

Answer: Jee han, Sehri kiye baghair roza rakha ja sakta hai. sehri karna wajib nahin hai balke mustahab hai. (Ref: Tauzeeh ul Masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #1531)
[Updated on 30-Sep-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
114703
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-09-25

Question: Salam sair mera sawal hai k main apne ghar se 175 km door job karta hu or week main ek baar thursday ko zohar ke baad ghar jaata hu to kya mera roza jaaiz hai ya nahi?

Answer: Agar aap zohar k baad safar karte hen to zaroori he k ahteyat ki bina par apna roza pura karen 2) agar aap zohar se pahle apne watan puhunch jayen aur koi aysa kam na kiya ho jo roze ko batil karta ho to zaroori he ke us din ka roza rakhen. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #1730,1731).
[Updated on 25-Sep-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
115817
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-03-17

Question: Roza ke sahi hone ki kitni sharte hi

Answer: Roze ke sahi hone ki chand sharte hain:
1. Musalman ho, lehaza kafir agar roza rakhe to us ka roza sahi nahin hoga.
2. Aaqil ho or Behosh na ho, lehaza agar koi Majnoon(paagal) ho jaye ya koi behosh ho jaye is se tarah ke jo niyat roze men zaroori hai wo hasil na ho, or din men majnoon, aaqil ho jaye or behosh ko hosh aajaye us din ka roza sahi nahin hoga laikin Agar koi shaks azaan subha (namaz fajar ke waqt ) se pehle roze ki niyat karne ke baad behoosh ho jaey or phir ise din main kisi waqt hoosh aa jaey tu ehtiyaat e wajib ki bina per zarori hay ke is din ka roza tamaam kare or agar tamaam nah kare tu is ki qaza baja laey.
3. Aurat Haiz o Nifaas se pak ho, Pas Haiz o Nifaas wali aurat agar roza rakhe to roza sahi nahin hoga, chahe Haiz o Nifaas din ke kisi juz men hi Q na ho.
4. Ramzan ya Ramzan ke qaza roze men Azan e subah tak Janabat, Haiz or Nifaas ki halat par baqi na ho.
5. Aisa musafir na ho ke jis ki namaz safar ki halat men qasar hoti ho, Q aise musafir ke liye roza rakhna jaiz nahin hai.
(Ref: Minhaj us Saleheen, Ayatullah Sistani(d.b), part #1, maslah #1026,Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #1539).
[Updated on 18-Mar-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
116021
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-02-07

Question: Faqa on ashor during periods??

Answer: Jee han, faqa kiya jasakta hai, faqay men rozay ki tamam sharait zaroori nahin hain siwaye khane peene ke.
(Ref: https://www.sistani.org/arabic/qa/0569/ ).
[Updated on 08-Feb-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
116219
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-12-07

Question: AoA What is ruling regarding old people who can't fast due to old age? Regards

Answer: 1: Boorha mard aur Boorhi aurat jin ke liye buzrgi ki wajah se roza rakhna haraj aur aadat se balatar sakhti ka baais ho to laazim nahin hai ke roza rakhain aur un ki qaza bhi waijb nahin hai, lekin zaroori hai ke har din ke liye aik mud taam (gandum ya jao ya roti ya in se milt julti cheez) faqeer ko day aur agar roza un ke liye sire se mumkin hi na ho to fidya dena bhi laazim nahin hai.( or agar buzrgi ki wajah se un ke lie roza rakhna mumkin he na ho tu phir un per na roza rakhna wajib or na fidiya dena, or na qaza karna yani khuch bhi wajib nahe hay)
2: Jo shakhs burhape ki wajah se maah e ramzan ke rozay na rakhe agar wo maah e ramzan ke baad rozay rakhne ke qaabil ho jaye to Ehtiyat e mustahab (behtar) ye hai ke jo rozay na rakhe hon un ki qaza baja laye laikin ye wajib nahe hay.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #1695,1696).
[Updated on 08-Dec-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
121458
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-12-31

Question: Roze ki halat me na maharm ko kiss krne se mani nikalne pr kya hukm h

Answer: 1: Mard ka kisi na mehram aurat ke jism ke kisi hissay ko dekhna, choona ya bosa dena(kiss karna) chahe lazzat or shehwat ke iraday ke sath ho ya is ke baghair ye tamam kaam bhi Haram or gunah e kabira me se hain. Aur is gunah se bachne or jinsi taskeen ka sharaei or halaal rasta shadi karna hai Q ke Jo koi bhi chahe mard ho aurat agar shadi na hone ki wajah se Haram kaam me mubtila hote hon to is par wajib hai ke wo shadi kar lay.
2: Agar kisi se ghunah sarzad ho jaye to agar wo sharmidagi ke sath sachay dil se tauba kare lay to yaqeenan Allah taala ki zaat Gafoor o Raheem aur bakhshne wali hai aur use bhi yaqeenan bakhsh degi.
3: Agar mani nikalne ke irade se is tarah ka kam kiya tha aur mani bhi nikal gayei to roza batil hoga. lekin agar mani nikalne ke irade se is tarah ka kam kiya tha lekin mani na nikle to agar dobara roze ki niyat na ki ho to bhi roza batil hai aur agar dobara roze ki niyat kar li ho tab bhi Ehtiyat e wajib ki bina par zaroori hai ke us roze ko poora kare aur is ke bad is ki qaza bhi kare.
4: Agar rozedar mani nikalnay ke irade ke bager ye kaam kare aur use itminaan ho ke mani kharij nahin ho gi to agarchah mani kharij ho jaye, is ka roza sahi hai. Albatta agar use etminaan na ho to is surat me jab mani kharij ho gi to is ka roza batil ho jaye ga.

(Ref: Kitab nigah aur libas, sawal #109, pg #70. + Tauzeeh ul Masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Maslah #1575,1576,2397,2399,2407. + Minhaj us Saliheen, Part #1, Edition #1443 hij, maslah #30. + (E-mail rcvd from A.Sistani(d.b), dated: Sep 27, 2010).
[Updated on 31-Dec-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
122126
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-05-19

Question: Can we keep fast on Tuesday

Answer: Wajib rozay (jo ke rakhna wajib hain) isi tarah haram aur makrooh rozon ke alawa saal ke tamam dino ke rozay mustahab hain chahe mangal (Tuesday) ka din ho ya koi din ho.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), editon #42, Maslah #1717,1718).
[Updated on 19-May-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
122151
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-05-21

Question: Assalam o alykum ! kia nafil rozon main farz qaza rozon ki niyat kr skty hen?

Answer: (Note: Is website par fiqh e jafferiya {shia mazhab} ke mutabiq jawabat diye jatay hain).

Chahe mard ho ya aurat Jab tak us ke zimmay ramzan ke qaza rozay hon wo nafil (mustahab) roza nahin rakh sakte, lehaza agar nafil (mustahab) roza rakhna chahay to ramzan ke qaza rozay ki niyat karni hogi hah agar saath me ye bhi iraada karein ke agar qaza rozay na hote to me ye nafil (mustahab) rozay bhi anjaam deti to inshallah parwardigaar aap ko nafil (mustahab) rozay ka sawab bhi ata karay ga.

(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, maslah #1544).
[Updated on 22-May-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
122569
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-07-11

Question: 4 mustahib rozay 17,25,27,18 most fazilat walay hn inki riwayat kis imam a.s se milti hy

Answer: Aap ka sawal waazeh nahin hain apna sawal waazeh karen ke 17,25,27,18 kis mahine ke rozon ki baat kar rahi hain kya har mahine ke 17,25,27,18 rozay ya 17 rabiul awal, 18 zilhajj, 25 ziqada, 27 rajab ke rozay ki baat kar rahi hain.
Albattta ye baat waazeh rahe ke wajib, haram aur makrooh rozon ke alawa saal ke tamama dino ke rozay rakhna mustahab hai.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, maslah #1718).
[Updated on 12-Jul-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
122635
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-07-18

Question: Agar koi ghalti se aik ghont sharab pe le tu is ka Kay hukum hay aur Kay is ki namaz wa roza hoga ya nahi

Answer: Agar pehle ilm o yaqeen ho ke ye sharab hai aur jante bhoojhte pee li ho to is ka peena Haram hai or ghunhagar bhi hon gay lekin agar pehle ilm o yaqeen nah ho aur baad men pata chale ke ye sharab thi ya galati se pee li ho to is surat me aap ghunahgar nahin hon gay, aur namaz or rozay bhi sahi hon gay.

(Ref: Tauzeeh ul masael, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Mafhoom e Maslah #2596. + Minhaaj us Saliheen, part #3, maslah #30).
[Updated on 19-Jul-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
122867
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-09-08

Question: salam ager bnda safar ki waja se roza na rakny ki neyat kry aur sehri kha le aur per kisi waja se safar par na ja saky,,tu kia din k waqat wu dobara rozy ka erada kar sakta hai

Answer: Agar aap ka sawal Ramazan ke rozay ke hawalay se hai, to agar koi aisa kaam anjaam nah diya ho ke jo roza ko baatil karta ho to zaroori hai ke dubara rozay ki niyat ki jaye.
Lekin agar koi aisa kaam anjaam diya ho ke jo roza ko baatil karta ho to ehtiyat e wajib ye hai baqiya din rozay ko baatil karne wali cheezon se parhen kiya jaye aur ramazan ke baad is rozay ki qaza baja lana bhi wajib hai.

(Ref: Tauzeeh ul Masail Jaame(farsi), Ayatullah Sistani(d.b), part #2, maslah #223).
[Updated on 09-Sep-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
122882
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-09-11

Question: Aoa, kya rozay mai mian biwi aik sath lait sktay hain? Jbkay unka irada na h jama karnay ka hai na h qurbat ka hai or na h cher khuwani ka hai. Tu kya elthay sona or laitna jaiz hai?

Answer: Jaiz hai.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #44, maslah #1564,1575,1628).
[Updated on 12-Sep-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print