Please click the button for Quran o Itrat Academy Whatsapp Channel.
Whatsapp Channel
Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions:


Question & Answers << Go Back

Topic: Quran (471 Questions)


Showing 0- 50 questions from 471 questions on this page.

Answers found for searched words
Id:
279
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date: 2018-05-29

Question: Molana Sahab kia aup hame yeh bata sakte ho keh Khums ka zikar Quran Sharif ke kis surah me bayan hua hai aur ayat Number kia hai, dusra sawal yeh hai keh ahle -Sunnat mai Zakat per bahot zor diya jata hai aur Khums ka Zikar hi nahi karte kia us fiqah me khums ka taswoor nahi tafsily jawab dijiye

Answer: Salam un alaikum,
Khums ka zikar Sora e Anfaal kee aayat no.41 mein aaya hai jo 10th paray kee pehli aayat hai.
Ahl e sunnat kee fiqh mein khums ka tasavvur hai laikin wo aam tor par faqat zakat hee ka tazkira kartay hein.

Sorry for the late responce.

Print

Id:
879
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: Quran Majeed mein jo sijda ki ayat aatin hain in per sajda karne ka foran hukm hai ya tilawat khatam karne ke baad bhi kar sakten hai, aur sajda karne ka tariqa bata dein.

Answer: Quran Majeed ki 4 soortoon main wo ayaat maujood hain jinkay sunnay aur parhnay par foran sajda

karna wajib hay yani Sura Sajda Ayat 15,Sura Fussilat Ayat 37,Sura WanNajm Ayat 62 aur Sura Alaq

Ayat 19.Jab insaan Quran Majeed ka Wajib Sajda karnay kay Iraday say Peshaani Zameen par rakh day

to khwah wo koi zikr na bhi parhay tab bhi kaafi hay aur zikr ka parhna behtar hay.aur mustahib

zikr kay liye Tauzeehul Masail A.Sistani Pg.174 Masala No.1086 ki taraf rujoo karain.Ref:

Tauzeehul Masail A.Sistani Pg.174 Masala No.1080,1086.

Print

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id:
1013
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: Asalam-u-Alikum, Agar koi quran arbi ki bajai urdu mein katam karay tho kia is ka quran katam mana jai qa or is ko itna sawab mille qa jitna arbi mein perne wale ko miltha hay.

Answer: Jee nahi.is ko Quran parhna shumaar nahi kiya jaey ga (lihaza agar is tarah Quran parha gaya to usay Quran Khatam karna nahi kaha jaey ga) Ref: Istiftaat A.Sistani.

Print

Id:
1062
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Khamnaie Date:

Question: kia sirf urdu tajuma parnahe ka sawab hai

Answer: Is tarah karnay say Quran parhnay ka sawab nahi milay ga.Ref:Istiftaat A.Khaminae 26083e.

Print

Id:
1105
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: Asalam-un-alikum, Agar koi shaks urdu mein quran ka tarjuma per ke quran katam kare thu kia use itna hi sawab mile ga jitna arabic mein quran perne wale ko milta hai, jab ke use arabic nahi athi is liay woh urdu mein per ra hai? plzzz jaldi reply dena pehle bi quiz dia tha koi reply hi nahi tha kuch tho kayal kare bhai aap, Thank you.

Answer: Jee nahi.is ko Quran parhna shumaar nahi kiya jaey ga (lihaza agar is tarah Quran parha gaya to usay Quran Khatam karna nahi kaha jaey ga) Ref: Istiftaat A.Sistani.

Print

Id:
1255
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: Quran majid ki theen (3) shia tafaseer aur aun kay mufasreen kay naam kia hain ?

Answer: 1:Tafseer-e-Namoona A.Nasir Makarim Shirazi kay under aik Ulema ki Team nay tehreer ki...2:Tafseer-e-Faslul Khitab Allama Syed Ali Naqi Naqavi...3:Tafseer-e-Anwaar-e-Najaf Allama Hussain Bakhsh Jara.

Print

Id:
1256
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: Quran ki wo konsi surah hai jis ki har aayat may lafz-e- ALLAH aaya hai ?

Answer: Sura-e-Mujadala,Sura No.58,Total No.of Ayats 22,Madani Sura.

Print

Id:
1257
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: Quran ki kis surh may ALLAH nay appnay eelawa kisi dosray kay lieay RAOOF aur RAHIM kay lafz used kiay hain aur kis histi kay lieay ?

Answer: Sura-e-Tauba,Sura No.9,Ayat No.128,Rasool-e-Akram SAWW kay liye istemaal kiya gaya hay.

Print

Id:
1968
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: boht say log khatay hain kay shia kay chalis paray hotay hai

Answer: b.t. shia or sunni sab ka quran ek hi tarah ke hai or ek para to kya ek harf ka bhi farq nahi he.

Print

Id:
2021
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: AOA. Can we turn off the tape recorder while any verse of Quaran is not completed? OR Is it necessary to wait till such time when verse will be completed.

Answer: b.t. aap apne sawal ke liye www.sistani.org par ruju karain.

Print

Id:
2332
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: Salam alikom Question:1- when a person reciting Quran and some person talking that time ,is that talking haram that time? plz reply as soon posible ?

Answer: w.s., munasib he ke ghuftgu na ki jaye aur tilawate quran ki tarf tawjooh di jaye (albatta guftgu karna harama nahin he) (ref: www.sistani.org/arabic/quranul karim/q12)

Print

Id:
3204
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: Assalamualikum, Moulana Ali Raza mehdavi saheb, mera sawal yeh hai ke ham jab surah tauba parhte hai is se pehle bismillah hirrehman ner rahim nahi parhte, lekin kia is sureh ki her rukuh se pehle bhi bismillah parhna chahiyeh ya nahi

Answer: Q k bismillaah quran ki ayat he, is liay quran perhne k qasd(intention) se isko perhnay main koe haraj nahi hay.(Ref: E-mail rcvd from A.sistani(d.b),dated: :Dec 25, 2011).

Note: Bismillah ko sorah e tauba ki ibteda or dermiyaan main is niyat se perhna jaiz hay k wo is sorah ka hissa tu nahi hay laikin quran ki aik ayat hay or isko har jaiz kaam ki ibtida main perha jasaka hay,balkeh mustahab hay.ye jo kaha jata he k sorah e tauba ki ibteda main bismillaah nah perhi jaay tu is muraad bhi yehi hoti hay k isko is niyat se nah perha jaay k ya is sorah k hissa hay.

Print

Id:
3359
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: salam alaykum i have been living in australia and i do go to islamic school and my teacher teaches me quran it is really hard for me to learn is they any way you could help me plz.

Answer: Please see these links and learn quran e kareem.
Ref:
http://quran.com/
http://www.quranexplorer.com/
http://www.quran.net/
(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
3537
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: kya ham aise ghar mein jahan ke bachcha delivery hua hai Quran sharif padh sakte hain.

Answer: There is no problem in that (translation:is kaam main ko maslah nahi,ye kaam bilkul sahi hay)(Ref:email rcvd from eanswrs@najaf.org on13.05.2010).

Print

Id:
3674
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: kia islam mien khatm sharif jaez hay

Answer: Note : Is website per fiqhae jaffaria k mutabiq jawabaat diay jatay hein. (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
3746
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: salam. aap ne pehle javab diya ha ke urdu mai qurrane sharif padne valo ko quraan khatm karne ka savab nahi milta, yeh to koi baat nahi hui, agar insaan ko arabi nahi aati aur agar arabic aati bhi hai lekin samaj nahi sakta to us ka padha hua kya matlab rakhta hai jab ke woh samaj hi nahi paya.to aap plz yeh bare mai achha aur sahi javab de

Answer: The proper reward is for the Arabic recitation. (Ref: E-mail Rcvd from A.Sistani, dated:15-07-11).
Translate: Munasib sawaab Abrabi tilawat k liay hi hay.

Note:Aap ko quran ki tilawat arabi main hi kerni hogi.aap ko urdu main quran perh ker samjhnay ka sawaab milay ga.laikin quran ki tilawat ka jo azeem sawaab hay wo sirif arabi qirat ker k hi milay ga.agar aap quran e kareem ki tilawat ka sawaab hasil kerna chahti hain tu arabi qirat ko sikhain. Aap quran perhnay k liay qurani cds say bhi madad lay sakti hain or web sites say bhi seekh sakti hain. Hum aap ko khuch website addess day rahay hain in k zerye qirat e qurani ko sheikh lain. (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
3934
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Khamnaie Date:

Question: Salaam, kia ham baghair wuzoo ke quraan pak ko choo ya parh saktay hain, or kia napaki ki halat main quran sun saktay hain?

Answer: W.Salam,jee haan baghair wuzu ke quran paak ki jild or haashiya(margin) ko choo or perh saktay hain, laikin baghair wuzu k quran paak ki tehreer (writing) ko choona haram hay or isi terah allah k naam or makhsoos sifaat(qulities) or ehtiyaat e wajib ki bina per ambiyaa(prophets) or imamo k namo ko baghair wuza k choona bhi haram hay.Mazeed ye k halat e janabat(napaki ki halat) main quran sun saktay hain.(Ayat Ullah Khamnaie(d.b),taleemul ehkaam,pg#58-61).

Print

Id:
4429
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: which verse proves that the holy quran has neither been tampered nor changed unlike other revealed books

Answer: 1) Sorah#15 Al-hijr, ayat#9 main Khuda ka wada or dawa hay k “Hum ne hi is Quran ko nazil kia hay or hum hi is ki hifazat kernay walay hain.”(Ref:anwaarul Quran tarjuma or tafseer Allama zeshan haider jawwadi, pg#557).

2) Sorah#41 Fussilat, ayat#41-42 main Khuda ka wada or dawa hay k “Be shak jin logo ne Quran k aanay k baad is ka inkaar ker diya onka anjaam bura hay or ye aik aali mertaba kitaab hay.jis k qareeb saamnay ya peechay kisi taraf se batil aa bhi nahi sakta hay k ye khuda e hakeem o hameed ki nazil ki hoe kitaab hay.”(Ref:anwaarul Quran tarjuma or tafseer Allama zeshan haider jawwadi, pg#995).

Result: in do ayaat k maujoodgi main tehreef ka aqida rakhna faqat gumrahi hay or khuch nahi.
(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
6680
Mujtahid:
engineering student Date:

Question: Nabi PAk Saww ko momin aurton se kin shariet per bait lanay k kaha gya tha ?

Answer: Khuda Quran paak main hamaray nabee (s.a.w.w) ko momin aurton se jin sharait k saath bai,at lainay ko kaha tha wo ye hain:
“ paighamber agar emaan lanay wali aurtain aap(s.a.w.w) k paas is amar per bai,at kernay k liay aain k wo kisi kko khuda ka shareek nahi banain geen or chori nahi karain gi.aulaad ko qatal nahi karain gi or apnay haath paon k saamnay se koe bohtaan(lerka) lay ker nahi aaain gi or kisi naiki main aap ki mukhaalfat nahi karaian gi tu aap(s.a.w.w) on se bai,at ka maamla ker lain or on k haq main istighfaar karain k khuda berha bakshnay wala meherbaan hay.(Ref:para#28, sorha#60 Mumtahinah, ayat #12) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
6692
Mujtahid:
Date:

Question: Assalm alikum Kya Quran sharif hindi mai padhna jayaz hai ya nehi? Inshallah muje ap jaldi se jawab bhej denge.Allah hafiz

Answer: The proper reward is for the Arabic recitation. (Ref: E-mail Rcvd from A.Sistani, dated:15-07-11). Translate: Munasib sawaab Abrabi tilawat k liay hi hay. Note:Aap ko quran ki tilawat arabi main hi kerni hogi.aap ko hindi main quran perh ker samjhnay ka sawaab milay ga.laikin quran ki tilawat ka jo azeem sawaab hay wo sirif arabi qirat ker k hi milay ga.agar aap quran e kareem ki tilawat ka sawaab hasil kerna chahti hain tu arabi qirat ko sikhain. Aap quran perhnay k liay qurani cds say bhi madad lay sakti hain or web sites say bhi seekh sakti hain. Hum aap ko khuch website addess day rahay hain in k zerye qirat e qurani ko sheikh lain. Please see these links and learn quran e kareem. Ref: http://quran.com/ http://www.quranexplorer.com/ http://www.quran.net/ (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
6728
Mujtahid:
imam sestani Date:

Question: Aafaq aur aanfas me kiya farak hai

Answer: Afaaq, ufoq ki jama hay or ufoq ka matlab aasman ka kinara jo zameen se laga hoa dikhae daita hay(i.e. Horizons) or anfos, nafs ki jama hay or nafs ka matlab rooh , khoon, badan jism o jaan hay.or ye dono alfaaz quran shareef main sorah#41(sorah Haa Meem Sajda) ki ayat #53 main zikr hoay hain.(Ref: al-munjid pg#1036). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
6793
Mujtahid:
Hujatul Islam Aali janab SISTANI Saheb Date:

Question: Can we read Qaran in the afternoon at12:00 p.m.

Answer: Yes, you can read Qaran in the afternoon @12:00 p.m. (Ref email rec from ayatullaha sistani d.b. dated : May 16, 2011)

Print

Id:
6804
Mujtahid:
Date:

Question: main quran-e-kareem ko tarjumain say parh chuka hoon lekin mujhy kahin bhee namaz kiss tarhan parhni chahye ALLAH nay tafseel hi nahee lekhi jab k namaz islam ka sub say ahem rukan hy bachpan say namaz k mutaliq itna parha aur bohat hi suna,qabar,akhrat,qayamat main pehla sawal namaz k mutaliq ho ga aur din main 5 dafa namaz parhna azan sunna musalman iss ko kaza kana gunah-e-kabira samajhtay hain.kia ALLAH nauouzebilla namaz ki tafseel apnay peyaray nabi ko batana bhool saktay hain.kia aap bata saktay hain namaz ki tafseel kiss paray main likhi hay. main aap ka ahsan mand rahoon ga.

Answer: Quran ko Allah ne aik mu’jizay k taur per nazil kia hay.Allah ne Quran ko aik deniyaat ki kitaab k taur per nazil nahi kia k is main tamaam islami ehlkamaat tafseel k saath maujood hoon, laikin ye bhi haqiqat hay k Allah ne quran ko aik mukammal kitaab qaraar diya hay, agar hum quran ki talimaat or is ki her her ayat per amal karain tu tamaam islami ehkaam per sahi terah amal ker saktay hain. Is liay ye nahi kaha jasakta k Allah ne namaz ya dosray ehkamaat ki tafseel nahi batae Q k quran main sorah e ahzaab(sorah#33) ki ayat #21 main Allah ka fermaan hay k “Tum main se os k liay Rasool(s.a.w.w) ki zindagi main behtareen namonah e amal hay jo shaks Allah or aakhirat se umidain wabasta kiay hoay hay or Allah ko bohot ziyada yaad kerta hay ” or surah e Hashr(sorah#59) ki ayat #7 main main Allah ka fermaan hay k “……… or jo khuch bhi Rasool(s.a.w.w) tumhain day day osay lay lo or jis se mana ker day os se ruk jao………….” Isi terah sorah nahl(sorah#16), Ayat#43 main Allah ka fermaan hay k “…….agar tum nahi jaantay ho tu jaannay waloon se deryaaft karo” (Ref: Tarjumay e quran, Allama zeeshan haider Jawaadi,pg#873,1125,577)


Note#1: Yon tu ye hokum aam hay k her shaks ka ferz hay k jis baat ko nahi jaanta hay os k jaannay walo se deryaaft karay or jahalat per arha nah rahay laikin riwayaat main ehl e zikr se ehl e bait e tahireen(A.s) ko muraad liya gaya hay k wo dunya k tamaam haqa,iq k jaannay walay hain or her nah jaannay walay ki ilmi tashnagi ko rafa kernay walay hain.(Ref: Tarjumay e quran, Allama zeeshan haider Jawaadi ka hashiya ,pg#577)


Note#2: Aap Namaz or dosray tamaam ehkamaat ki malomaat k baray main apnay mujtahid ki tauzeeh e ul masa,il ki taraf ruju karain or os per amal karain. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 1). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
6882
Mujtahid:
- Date:

Question: kay quran pak ko bagair wazoo kay choo saktay hay

Answer: Jo shakhs baa Wazoo na ho os k lie quran majeed k alfaz ko chona yani os k badan ka koe hissa quran majeed k alfaz se lagana haram he laikin agar quran majeed ka tarjuma kisi aur zaban me ho to koe haraj nahi he. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 316) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
7414
Mujtahid:
Ayat Ullah Seestani Date:

Question: Quran parhnay se pehlay wuzu krna zaroori hota hai. magar jab hum kisi ki quran khani par tayyar ho kar jate hai to kya tab quran parhnay se pehlay wuzu karna wajib hai?

Answer: 1)Baaz fuqahaa k nazdeeq quran majeed parhnay se pehlay wuzu karna mustahab he laikin ayat ullah sistani d.b. k nazdeeq wuzu ka mustahab hona saabit nahi he. Albattah agar koe shakhs mustahab honay k ethemaal k saath wuzu karay to os ka wuzu sahi he.
2)jo shakhs ba-wazoo na ho os k liay quran majeed k alfaz ko mas karna yani apnay badn ka koi hissa quran majeed k alfaz se lagana haram he.lakin agar quran majeed ka farsi ya urdu ya koi aur zaban me tarjuma kia gya ho to ose mas karnay me koi haraj nahi he.
(Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 321, 316) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
7495
Mujtahid:
Date:

Question: quran shareef kis mahine main nazil hui?

Answer: Quran majeed ramzan main shabay qadr main nazil hoa.(Ref: http://www.alhassanain.com/urdu/book/book/holy_prophet_and_ahlul_bayt_library/imam_al_mahdi/quraan_or_akhari_hujjat/017.html ). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
7595
Mujtahid:
Date:

Question: marne ke murde par quran pardh ke bhejne ka sawab murde par pohachta hai

Answer: Iesaal e sawab dar haqiqat khuda ki bargaah me is baat ki arzoo karna he k jo sawab, lutf o marhamat k tehet wo ata kar raha he osay os k badlay kisi aur ko ata ata kar day.Is aytebaar se ye bhi aam duaoon ki terah aik dua he jo k jaiz he. Is k lie kisi khaas nayki ki shart nahi balke pechlay amaal k hawalay se bhi iesaal e sawab kia ja sakhta he. (ref : Mujtahid se pouchey gay sawalat part # 1, ques # 199, pg # 94) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
7725
Mujtahid:
Date:

Question: Salam,me agar safar me hu aur mere mobile me majlis nauhe aur quran dwonld he,in pak chiz ko kia me paikhana me le ja sakta hu ,safar me akela hu aur kisi pe yakeen nahi k usko mobile de kar jau

Answer: Jis mobile main majlis ya quran ho, os ko baitul khala( toilet) main lay jana jaiz hay.(Ref: email rcvd dated:04-08-2011). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
8212
Mujtahid:
aqa-e-sistani Date:

Question: salam o alikum, plz tell me that can i recite Quran in urdu translation as i find difficiulty in reciting in Arabic because of the makarig and it also take tooo much time to complete the supara, plz answer me soon because i want to recite the whole quran in ramdan. Thanks & regards Nasreen

Answer: The proper reward is for the Arabic recitation. (Ref: E-mail Rcvd from A.Sistani, dated:15-07-11). Translate: Munasib sawaab Abrabi tilawat k liay hi hay. Note:Aap ko quran ki tilawat arabi main hi kerni hogi.aap ko urdu main quran perh ker samjhnay ka sawaab milay ga.laikin quran ki tilawat ka jo azeem sawaab hay wo sirif arabi qirat ker k hi milay ga.agar aap quran e kareem ki tilawat ka sawaab hasil kerna chahti hain tu arabi qirat ko sikhain. Aap quran perhnay k liay qurani cds say bhi madad lay sakti hain or web sites say bhi seekh sakti hain. Hum aap ko khuch website addess day rahay hain in k zerye qirat e qurani ko sheikh lain. Please see these links and learn quran e kareem. Ref: http://quran.com/ http://www.quranexplorer.com/ http://www.quran.net/ (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
9425
Mujtahid:
urdu in diffcult words Date:

Question: 14 sajdoun ki ayat nom our para ka nam

Answer: Quran pak men 15 ayaten aysi hen jin k parhne ya sunne k bad ALLAH ta`ala ki azmat k samne sajda karna chahiye , un men se 4 maqamat per sajda wajib hai or 11 maqamat pr sajda mustahab hai, Wajib sajde 4 ye hen,
1). Parah 21 soorah sajda ayat#15
2). Parah 24 soorah Haa-meem sajda ayat#37
3). Parah 27 soorah w-Al-najam last ayat#62
4). Parah 30 soorah Alaq last ayat #19
(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, fiqhi istalahat page#491)

Print

Id:
9767
Mujtahid:
Date:

Question: quran pak ki aakhri aayat konsi nazal hue thi woh aayt bta dijye plz

Answer: Sab se aakhir main naazil honay wali ayat Surat Al-Maidah ki ayat # 3 hay jo khilafat e Hazrat Ali(a.s) k baray man hay.(Ref:Qurani malomaat per mushtamil 1540 sawlaat k jawab, pg#78, sawaal# 426). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
10125
Mujtahid:
Date:

Question: kya late kar quran pak sun sakte hain

Answer: Sun sakte hain, lekin Quraan e Majeed ke hokum ke mutabiq halat e kamoshi main goor se sunna chahiye.(Ref : Quraan e Majeed , ayat # 204 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).

Print

Id:
11588
Mujtahid:
Date:

Question: quran pak ki wo kon si ayat hy jo sabsy akhir main nazil hoe

Answer: Sab se aakhir main naazil honay wali ayat Surat Al-Maidah ki ayat # 3 hay jo khilafat e Hazrat Ali(a.s) k baray man hay.(Ref:Qurani malomaat per mushtamil 1540 sawlaat k jawab, pg#78, sawaal# 426). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
13795
Mujtahid:
Date:

Question: Mera Swaal yeh hai k quran pak ki wo konsi ayat hai jis main insanu aur jinnu ko ALLAH PAK ne apni makhlooq kaha hai. please answer mje mere mail kar dijiye ga.

Answer: Surah zaariyaat surah no. 51 , ayat no .56 (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
13803
Mujtahid:
Date:

Question: A.A molbi shaib main bohat pareshan ho mene hifaz kia hai lekin ab main bol gya ho asa many k meny ek bar islam ki har cheez chod di thi lekin main ab sharmida ho aur itna time b nai k pir guran pak yad kar sako plz muje koi rasta batae warna ek aur gunah kar sakta ho khud koshi agar muje koi rasta nazar na aya to main is gunah se b peche nai hato ga

Answer: Khud koshi karna islam main haram hai or quran ko bhol jana haram nahi hay or dobara yaad kerna bhi wajib nahi hai. (Ref: A.Sistani(d.b),Mujathid se pochy gay sawalat part#2 maslah#198). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
13804
Mujtahid:
Date:

Question: A.A molbi shaib main bohat pareshan ho mene hifaz kia hai lekin ab main bol gya ho asa many k meny ek bar islam ki har cheez chod di thi lekin main ab sharmida ho aur itna time b nai k pir guran pak yad kar sako plz muje koi rasta batae warna ek aur gunah kar sakta ho khud koshi agar muje koi rasta nazar na aya to main is gunah se b peche nai hato ga

Answer: Quran ki yaad ki hoi ayat ko bhool jana haram nahi aur inhain dobara yaad karna bhi wajib nahi hai. (Ref : Mujtahid se pochay gaey sawalaat, part # 2, sawaal # 198,pg # 81-82) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
14056
Mujtahid:
Date:

Question: kya quran padhne k liye sar dhanpna zrori hai

Answer: Aurat ka quran parhnay k lie sar ko dhanpna zaroori nahi hai. (Ref : email rec from ayatollah sistani d.b. dated : July 12, 2012) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
14273
Mujtahid:
Date:

Question: haroof e mo’qat’te’aat likh kr bagain please

Answer: حروف مقطعات نو ہیں جو یہ ہیں:
الم { سورہ البقرہ} ، الم { سورہ الروم} ، الم { سورہ آل عمران} ، الم { سورہ لقمان}، المص { سورہ الاعراف}، الم{ سورہ السجدہ} ، الر { سورہ یونس}، یس{ سورہ يس}، الر{ سورہ ہود}، ص{ سورہ ص}، الر { سورہ یوسف} ، حم { سورہ غافر}، المر{ سورہ الرعد }، حم { سورہ فصلت}، الر{ سورہ ابراہیم}، حم عسق { سورہ الشوری}، الر{ سورہ حجر}، حم { سورہ الزخرف} ، كهيعص { سورہ مریم} ، حم { سورہ الدخان} ، طٰہٰ-{ سورہ طه}، حم{ سورہ الجاثیہ} ، طسم { سورہ الشعراء} ، حم{ سورہ الاحقاف} ، طس{ سورہ النمل} ، ق{ سورہ ق}، طسم{ سورہ القصص} ، ن{ سورہ القلم} ، الم { سورہ العنکبوت}۔

Quran e majeed k total 114 suray may 29 suray aisay alfaz say shoroo hotay hain jin k har harf ko alag alag kar k is k arabi huroof e tehejji k naam k sath parhna zarori hai isi liye in ko haroof e muqatiaat kehtay hain. Misaal k taur per: یس jo parha jae ga سین یا
Note : Quran kareem k haroof e muqatiaat mai takrrar(repeatition) ko chor kar kul 14 horoof istemal huay hain jinhain is jumlay mai jama kia gya hai (صراط علی حق نمسکہ ) yani hazrat Ali a.s. ka rasta huq hai hum isi par kaarband hain. (Ref : kitab nazra tilawat k qawaid pg # 11). (Khuda aap ki taufiqaat main izafa fermaay)

Print

Id:
14833
Mujtahid:
Date:

Question: lafze shia quran me kis surah me aya hai?

Answer: 1)Surah saaffaat surah no. 37 ayat no .83. 2)surah e qasas mai 2 martaba aya hai. surah no. 28 ayat no .15. (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
14901
Mujtahid:
sawal Date:

Question: Wo kon se paigamber thay jo allah k hokum se apni biwi aur bachay ko sehra mai chor gai the

Answer: Hazrat Ibrahim (a.s) (ref. surah Ibrahim no:14,ayat no :37, terjuma quran allama zeeshan haider , pg no: 552) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
15076
Mujtahid:
sunni Date:

Question: as salamu alaikum quraan me o konsi aayet hai jis me phe nahi hai

Answer: Arabi zaban k kul 28 haroof hain. Aur arabi zaban mai urdu k haroof mai sai 8 haroof kam hain jis mai sai aik "" hai. (Ref : Kitab nazra tilawat k qawaid pg # 9) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
15119
Mujtahid:
AYATULLAH SAYYED ALI SISTANI SB. Date:

Question: 786 MASJIDE ZARER KOUN SI MASJID HY ? AUR QURAN ME KIS SURA AUR AYAT ME ISKA ZIKR HY ?

Answer: 1)Masjid e zerar ka tazkira Surah tuba surah #9 para #11 ayat #107 mai hua hai.
2)Ya masjid zerar(musalmano ko nuqsan pouchne k lye) musjid quba k qareeb munafiqeen k qile k tore per temeer hoi thi aur loqo ne pegambar e islam (s.w.a) se is ka ifteta karana chaha tha to qudrat ne is k inhedam(barbad) karne ka hukam diya . wazeh rahay k masjid e zerar ka jala dena aur kura ghar bana dena masjid k ehtram k manafi nahi hai bal k is baat ka elan hai k ye emarat masjid nahi hai aur har masjid ki shakal ka nam masjid ho skhta hai. (ref.allama zeeshan haider jawadi k quran ka tarjuma pg# 440, Surah tuba #9 para #11 ayat #107 ) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
15334
Mujtahid:
Date:

Question: 1.wajab sajday in quran 2.musthab sajday in quran 3. wajab surah ka name 4. Ayat ka Name

Answer: Quran majeed mai 15 ayatain aisi hain jin k parhnay ya sunnay k baad khuda ki azmat k samnay sajdah karna chahaea in mai sai 4 maqamaat par sajdah wajib aur 11 maqamaat par sajdah mustahabb hai.
Quran majeed k wajib sajday:
(1)Surah sajdah surah # 32 para # 21 ayat # 15
(2)Surah fussilat(ha meem sajdah) surah # 41 para # 24 ayat # 37
(3)Surah Najam surah # 53 para # 27 ayat # 62(last ayat)
(4)Surah elaq surah # 96 para # 30 ayat # 19(last ayat)

Quran majeed k mustahabb sajday:
(1)Surah aaraf surah # 7 para # 9 ayat # 206(last ayat)
(2)Surah raed surah # 13 para # 13 ayat # 15
(3)Surah nahal surah # 16 para # 14 ayat # 50
(4)Surah ban e israieel surah # 17 para # 15 ayat # 109
(5)Surah marium surah # 19 para # 16 ayat # 58
(6)Surah haj surah # 23 para # 17 ayat # 18
(7)Surah haj surah # 23 para # 17 ayat # 77
(8)Surah furqan surah # 25 para # 19 ayat # 60
(9 Surah namal surah # 27 para # 19 ayat # 26
(10)Surah Suaad surah # 38 para # 23 ayat # 24
(11)Surah insheqaq surah # 84 para # 30 ayat # 21.
(Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) fiqhi istilahaat)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
15375
Mujtahid:
sunni Date:

Question: mazi k katray anay kay bad agar main wo katray saf kar don aur wo katray kapron pay na lage hon to kia un kapro main quran ki tilwat kar sakta hon. dosra swal yeah kay ager mazi kay katray kapro pay lag jaen to ki tilawat sa phelay kapray tabdeel karna lazim ha?

Answer: Note : Is website mai fiqh e jafaria k mutabiq jawabat diay jatay hain.
Ye mazi jo shawat ki waja se kharij hoti hai pak hai agar peshab us se mila hua na ho.aur is halat mai namaz aur doosri ibadaat kar saktay hain.(Ref : Tauzeeh ul Masail Ayatullah Sistani d.b. masla # 70)

Print

Id:
16149
Mujtahid:
Ayatullah Sistani Date:

Question: Ayat ul kursi 3 aayat par mustamil hai ya aik par?

Answer: Ayatul kursi perhtay waqt ehtiyat ye hai k ise “ ھم فیھا خالدون ” tak perha jae. (Ref : Mujtahid se pochay gaey sawalaat, part # 1, sawaal # 197, pg # 93) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
16251
Mujtahid:
Ayatullah Sistani Date:

Question: Quran Majeed ki jin aayat ko hifz kia Ja chuka ho kia inhain janboojh kr ya majboori k aalam mai bhula dena jaiz hai?

Answer: Jaiz hai. (Ref : Mujtahid se pouchey gay sawalat part # 3, ques # 197, pg # 83)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
16314
Mujtahid:
aqaii sistani Date:

Question: Salam plz tell me Wht da meaning of tahiyah?its Quranic word? My daughter name is tahiyah batool Urdu may.kis taraha likhay gay tahiyah ko

Answer: Tahiyah(ﺍﻠﺘﱠﺤﯿﱠﺔ ) quran majeed mai 3 maqamaat mai akila istemal hua hai aur 3 maqamat par zameer(hum jo k pronoun hai) k sath istemal hua hai. jin 3 jigha par akila istemal hua hai os mai sai aik surah nissa, surah no 4 ki ayat no 86 mai zikr hua hai is k alawa surah noor, surah no 24 ki ayat no 61 mai bhi istemal hua hai aur surah furqan, surah no 25 ki ayat no 75 mai istemal hua hai. aur jahan par zameer k sath istemal hua hai un mai sai aik surah younus, surah no 10 ki ayat no 10 mai istemal hua hai aur surah Ibrahim, surah no 14 ki ayat no 23 aur aakhri mai surah ahzaab, surah no 33 ki ayat no 44 mai hua hai.(Ref : al mojum pg # 286)
Aur tahiyat ka matlab salam aur salami hai aur is ki jama tahiyaat( ﺘﺤﯿﱠﺎﺖ ) hai jaisay ﺍﻠﺘﱠﺤﯿﱠﺔﺍﻠﻌﺴﻜﺮﻰ yani fouj ki salami.(Ref :al qamoos waheed pg no 401) . (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
16387
Mujtahid:
Date:

Question: salam main quran ko tarjume or atfseer k sath samjhna chati hun meri mali halat aisi nahi k main koi uni join kron to mujhe kya karna chaiye

Answer: Ap is k liye internet pr Misbahulqurantrust.com site per qurani malomat hasil karsakte.(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
16770
Mujtahid:
al- hadiat Date:

Question: aslam-o-alaikum.. mera sawal ye ha k kia coft copy main QURAN MAJID parhnay k lie wazoo ki zarorat ha ? yani computer main PDF ya WORLD kay format main QURAN MAJID parhnay k lie wazoo ki zaorarat ha ?

Answer: Baaz mujtahideen k nazdeeq quran majeed parhnay k lie wazoo krna mustahabb hai laikin ayatollah sistani d.b. k nazdeeq is ka mustahabb hona sabit nhi hai albetta agar koi shakhs mustahabb honay k ehtimal k sath wazoo karay to is ka wazoo sahi hai aur is wazoo k sath wo shakhs har wo kaam kar sakta hai jo ba-wazoo ho kar krna zaroori hai maslan is wazoo k sath namaz parh sakta hai. laikin mustahabb hai k agar insan ba-wazoo ho tab bhi har namaz k lie dobara wazoo karay.(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 321)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
17208
Mujtahid:
deo bandi Date:

Question: kia hum quran pak parh kar bakhsh saktay hain apnay piyaro ko ???or nahi bkhsh saktay to kio nahi bksh saktay????

Answer: Note : Is website mai fiqh e jafaria k mutabiq jawabat diay jatay hain.


Jee haan baksh sakaty hain Q k Esaal e sawaab dar haqi’qat khuda ki baargaah me is baat ki aarzoo karna he k jo sawaab k tayhait wo(allah) ata kar reha he osay us k badle kisi aur ko ata kar de. Is etibaar se ye bhi aam duaoon ki tarah aik dua he jo k jaiz he. Is k lie kisi khaas naiki ki zarorat nahi he,balkeh pichlay amaal k hawalay say bhi esaal e sawaab kia jasakta hay. ( Ref: mujtahid se pochey gay sawalat , part # 1 , ques # 199 , pg # 94). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print