Showing 50- 100 questions from 471 questions on this page.
Question: Agah Sahab mera aik sawal hai, mai confuse un aik Maslay mai jo k Ashaab-e-Kaif k baray mai hai.. Main ye jana chahta hun k Ashab e Kaif Zinda hai ya Mar chukay hain? aur kia wo Imam k Zahoor k baad wapis ayege? Please mjhe is baray mai jawab dijye. W.salam
Answer: Ashab e kahaf ki dastan har dor mai mashoor rahi hai aur rasool (s.a.w.w.) k zamanay mai is ajeeb o gareeb qism ki batoo ka izafa ho gya tha is lie khuda nai haq o sadaqat k sath is waqea ka tazkira kar dia ta k galat fehmi ka izala ho jae. Is waqea ka khulasa ye hai k chand afrad khuda ki makhsoos taufeeq aur apni fitrat e saleem ki bina par tauheed parast ho gae thay. Dakya noos badshah nai inhain is qadar sataya k haq ka nam lai kar uth kharay huway aur aakhir mai gar mai ja kar panah lai li. Rab e kareem nai inhain sula dia aur phir barsoo k baad uthaya. Jab wo bazar mai sikka lai kar gae to maloom hua k ye dor e qadeem k log hain. (Ref : Anwar e Quran pg # 621)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: sawal ye hai k Computer par PDF format mian Quran Pak parhny k lian Wazu zarori hai wese to Wazu hona lazmi hai kya hum bina wazu k computer par pdf format main quran pak parh sakty hain
Answer: Quran parnay k lie wazoo karna wajib nahi hai chahae computer mai parhain ya quran majeed ko hath mai lai kar parhain. Han jo shakhs ba wazoo na ho is k lie quran majeed k alfaz ko mas karna yani apnay badn ka koi hissa quran majeed k alfaz sai mas karna haram hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 321, 316) (ref.Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah #321,315) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: namaz ko qaim karny ka matlab tafseel sy btadain
Answer: ﻴﻗﻴﻤﻮﻦﺍﻠﺼﻼﺓ ye tamam arkan aur shariat aur mukammal pabandi k sath ada karnay ka ishara hai warna namaz ka tazkira to ﻴﺼﻠﻮﻦ sai bhi ho sakta hai. (Ref : Anwarul Quran, Allama Zeeshan Haider Jawadi, pg 37) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: Jab haath ko kohni(elbow) tak dhoney ka likha ha tu hum kohni(elbow) say nechey haath tak kyun dhootey hain
Answer: Surah maida surah # 5 ki ayat # 6 mai wazoo k lie lafz e marafiq (kohni) sai pehlay (ﺍﻠﻰ) ka lafz aya hai, is lafz sai murad hath ki had bandi hai dhonay ki hadbandi nahi hai isi lie is mai (ﻤﻦ) ka zikr nahi hai. (Ref : Anwarul Quran, Allama Zeeshan Haider Jawadi, pg 248) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: mera sawal hai ki quran me shia ka zikr hai ki nahi agar hai to sura aur ayat no, bataye
Answer: 1)Surah saaffaat surah no. 37 ayat no .83. 2)surah e qasas mai 2 martaba aya hai. surah no. 28 ayat no .15. (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: asalamu alekum; mera sawal ye hai k Quran mai kitny sajda sahwa hai our kon kon se para main sajda sahwa hai
Answer:
Sajda e sahw alag cheez hai aur quran k sajday alag cheez hai.
1)Sajda e Sahw 2 cheezon k lie kia jata hai i: namaz k tashahud ka bhool jana. ii:char rakati namaz mai doosray sajday k doran shak karna.
2)Quran majeed mai 15 ayatain aisi hain jin k parhnay ya sunnay k baad khuda ki azmat k samnay sajdah karna chahaea in mai sai 4 maqamaat par sajdah wajib aur 11 maqamaat par sajdah mustahabb hai. Quran majeed k wajib sajday: (1)Surah sajdah surah # 32 para # 21 ayat # 15 (2)Surah fussilat(ha meem sajdah) surah # 41 para # 24 ayat # 37 (3)Surah Najam surah # 53 para # 27 ayat # 62(last ayat) (4)Surah elaq surah # 96 para # 30 ayat # 19(last ayat) Quran majeed k mustahabb sajday: (1)Surah aaraf surah # 7 para # 9 ayat # 206(last ayat) (2)Surah raed surah # 13 para # 13 ayat # 15 (3)Surah nahal surah # 16 para # 14 ayat # 50 (4)Surah ban e israieel surah # 17 para # 15 ayat # 109 (5)Surah marium surah # 19 para # 16 ayat # 58 (6)Surah haj surah # 23 para # 17 ayat # 18 (7)Surah haj surah # 23 para # 17 ayat # 77 (8)Surah furqan surah # 25 para # 19 ayat # 60 (9 Surah namal surah # 27 para # 19 ayat # 26 (10)Surah Suaad surah # 38 para # 23 ayat # 24 (11)Surah insheqaq surah # 84 para # 30 ayat # 21. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) fiqhi istilahaat)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: kya naha ne k bad direct quran ne pak ki tilawat kar sakte he ya fir vuju ka k hi tilawat karni chahiye
Answer: Baaz mujtahideen k nazdeeq quran majeed parhnay k lie wazoo krna mustahab hai laikin ayatullah sistani d.b. k nazdeeq is ka mustahab hona sabit nhi hai albetta agar koi shakhs mustahab honay k ehtimal k sath wazoo karay to is ka wazoo sahi hai aur is wazoo k sath wo shakhs har wo kaam kar sakta hai jo ba-wazoo ho kar krna zaroori hai maslan is wazoo k sath namaz parh sakta hai. laikin mustahab hai k agar insan ba-wazoo ho tab bhi har namaz k lie dobara wazoo karay.(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 321)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: Quran majid ki akhri che ayat kon si hain
Answer: Tarteeb k hisab sai quran majeed ka aakhri surah surah e naas hai jo 6 aayaat per mushtamil hai. (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: mai surah jin ka amal karna chaheti ho par bich me hamara haze ajayega to kya ham ye amal haze ke din me b continu rakhe ya phir haze ke bad is ko pura karle.kya isa hoga ke ham 40 din ka amal 21 din me karle .kya mujhe is par kamyabe mile gi .mujhe pls amal ke bare me batai .mai ye amal kuch din me karne wali ho.aap mujhe jaldi hi iska upay batiye . aap ka bahut meharbani hoga.
Answer: Aurat k leye halat haiz me quran majeed bhi parhna jaiz hai aur Haaiz k lie mustahab hai k namaz k waqt apnay aap ko khoon sai pak karay aur cotton aur kapra change karay aur wazoo karay aur agar wazoo na kar sakay to tayammum karay aur namaz ki jigha par qibla rukh ho kar zikr, dua aur salawat mai mashgool ho jae. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 466-7)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: ASA, 99. Surah zalzalla ki fajilat baya kijiye.
Answer: Hazrat Muhammad s.a.w.w. nai farmaya : Jis nai 4 dafa surah zilzal surah # 99 perhay wo os ki terah hai jis nai katam e quran kiya ho. (Mafatiyul jinah pg# 13) Note : Is k alawa aur bohat sai fazilatain hain jo aap mukhtalif tafseer e quran mai parh saktay hain. (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: wo kausi surah ki ayat thi ,.aur wo kounsi ayat thi jisme hazarath ayesha r.a ki pakdamani ka zikar kiya hai,,,,bahoot se moulana ni iska tafser mai ye kaha kai pakdaman ladkon ko pakdaman ladkiyan milangi kiya ye sahin hai aur app plz maiko ye sureh ka naam with refernce to ayat bataye.n kiya pir jo pakdaman nahi hai unko pakdaman nahi milangay????????????????????
Answer: Baz mufassireen nai is waqea ko zikr kia hai Rasool s.a.w.w. nai jihad mai jatay waqt hazrat Aisha ko sath lia, is k bad jab maidan fateh kr k wapis aye to rastay mai aik jagha qayam kia aur hazrat Aisha raf’e hajat k lie gae to is doran qafla rawana ho gya aur wo wahi reh gae, thori dair bad safwan bin motel aya aur is nai hazrat Aisha ko akila dekha to apnai sawari par bitha lia aur khud paidal chlnay laga, laikin abdulah bin abi jaisay munafiqeen nai ye propaganda shuru kr dia k safwan nai hazrat Aisha k sath taluqaat qaim kiay hai aur in ka kirdar maskook ho gya is wajah sai khuda nai surah e noor surah # 24 ki ayat # 11,12 aur 13 mai in ki safai di. (Ref : Anwar e Quran Allama Zeeshan Haider Jawadi pg # 735)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: salam 1) mera 1st question yeh hein that ayam heez(periods) mein QURAN ko khool ker 7 aysts say zyda perhna makrooh hein ager ham log for example sura yasin youtube per play karee to kiya kare Quran kay saath ham log sura yasin perh sakte hein? 2) ager koi sura alaq(para 30) yaad kerna chahe uske last ayat mein wajib sajda hein.aab ager koi 10 bar ayat sajda ko perhe yaad kerne kay liye to kiya us ko 10 times sajda kerna hoga plz mere 2 qs ka jaldi reply karen.meine is say pehle bhee eak qs kiya tha plz uska bhee reply karen
Answer:
1)Halat e haiz mai quran majeed parhna aur sunna donoo makrooh nahi hai makrooh nahi hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 467)
2)jee han jitni bar parhain gay utni bar sajda wajib ho ga. (Ref : Mujtahid se pochay gaey sawalaat, part # 4, sawaal # 211,pg # 95)http://www.qoitrat.org/Books/book4/fahrist4.asp?myid=95 (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: Kaya neend ki halat main jism se rooh nikal jati he yeh kis soorah main he
Answer: Jee haan. Is baat ka zikr Surah e zumar surah#39, ki , ayat#42 main aya hay.( ref: tarjuma quran , moulan zeeshan haider jawadi,pg:987) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: KURAN e kon surai 2 bar bismillah ase
Answer: Surah-e-Naml (QURAN). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: Quran e pak me jo sajde ate hain un ko ada krne ka tareka bta den jazakAllah
Answer: Ethiat e wajib ye he k quran majeed k wajib sajday me insan apni peshani aisi jigha rakhay jis per sajdah karna sahi ho aur ethiat e mustahab ki bina per badan k doosray aazah zameen par is terha rakhay jis terha namaz k silsilay me bataya gya he. Aur koi zikr nab hi parhay to bhi kafi hai laikin kisi zikr ka parhna mustahab hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 174)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: kis ketaab ko quran ka bhai kaha jata hai?
Answer:
Ager bhai se muraad Quraan e Majeed ka ham-palla hona hai to Kalaam e Khaliq (Quraan e Majeed) ke ham-pala koi kitaab nahi hai. (Ref : Nehj ul Balaga , Kuttbah # 176 , Allah).
Or ager is se muraad ye hai ke koi esa kalaam (kitaab) jo Allah ke kalam se kam-darja, or baqi dosre kalamoo se Aali o buland ho to wo Kalam e Ali bin Abi-Talib hai yani Kitaab e Nehj ul Balaga hai. (Ref : Nehj ul Balaga , mutarajjim # Syed Zeshaan Haider jawadi , topic # khulasa e kalaam , pg # 18 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).
Question: kis ketaab ko quran ka dil kaha jata hai?
Answer: Ahadees main Sura e Yaseen (sura no 36) ko Quraan ka dil farmaya gaya hai. (Ref : Tafseer e Namoona , jild # 10 , Topic # Fazilat e sura e Yaseen , pg # 289 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).
Question: ansaar ul Allah kisay kahtay han
Answer: Ansaar ul Allah ka Lazfi tarjuma Allah ki madad krnay walay log. Aur quran majeed mai 3 maqamaat par ye lafz istemal hua hai (1)surah Aal e Imran surah # 3 ki ayat # 52, (2,3)Surah Saff surah # 61 ki ayat # 14 mai 2 martaba istemal hua hai. aur in sab mai aik hi mafhoom hai k hazrat eissa a.s nai jab anay hawario sai poucha k Allah ki rah maim era madad gar kon hai to hawarion nai kaha k ham Allah k nasir hain yani madad krnay walay hain. (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: Assalamo Alaikum, mujhe ye pta karna h ki shia ka zikr Quran main kis jagah hua h. ?
Answer: 1)Surah saaffaat surah no. 37 ayat no .83. 2)surah e qasas mai 2 martaba aya hai. surah no. 28 ayat no .15. (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: ASA, janab Quran main konsi ayat h ki Hazrat Ali(a.s) khane kaabe main paeda hue
Answer: Zahiran to aisi koi ayat nahi hai quran majeed mai jo mola ali a.s ki wiladat ki khana e kaba mai khabr dai. (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: sibgat ul allah kisay kahtay hain
Answer: Quran e Majeed ki surah e baqra aurah # 2 ki ayat # 138 mai ye lafz istemal hua hai. is ka matlab hai “Allah ka rang(color)”. Ayat ka tarjuma ye hai. “Rang to sirf Allah ka rang hai aur is sai behtr kis ka rang ho sakta hai aur ham sab isi k abadat guzar hain”. Is ki tafseer ye hai k mukhtalif aqwam mai deen o mazhab rang sai pechana jata tha, is lie islam nai wazeh kar dia k lal, pilay, haray mai kuch nahi rakha hai. islam o iman khud aik rang hai jis mai har musalman ko doob jana chaheay aur is rang ka izhar ibadat e ilahi sai hota hai jis k bagair islam ka dawa be-rang hai. (Ref : Anwar e Quran Allama Zeeshan haider Jawadi pg # 75)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: as,salam-o-alaikum. Agar Quran Pak hath say, galti say gir jai tou, iska koi kaffara hai, aur kis hisab say?
Answer: Aap per koe kaffara nahi.(Email rcvd from a.Sistani, dated: 6-5-13). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: I want to ask 3 related questions! If i have recorded Talawat-e-Quran Majeed in my mobile or any other device 1) Should i be concerned about respecting the device? 2) Can i listen to Talawat-e-Quran while walking or driving? 3) Can i listen to it without wudu?
Answer: 1
Question: QURAAN-E- MAJEED KIS LAFZ SE SHURU HUA HAI AUR KIS LAFZ PAR KHATM HUA HAI, ISS ME KITNI AAYETEIN HAIN? 2:- sawaal: Nafs ki kitni qisme hoti hain? Tarjume ke sath bataye plz.
Answer:
Quraan e Majeed ki peli sura Sura e Al-Hamd o aakri sura Sura e Al-Naas hai pas is ke etibaar se ye bis mis allah al-rahmaan al-raheem ki ayat se shuru howa or min al-jinnati wa al-naas ki ayat per katam howa hai.
2
Question: sallam-0-Alikum, mein yeh jana chata hun k QURAN mein Namaz ka zikar to hai kafi jaga per Namaz ki Rakato ka zikar bhi kahi hai ..???? means K is time mein itni rakat pharni chahi yeh muj k0 QURAN sy hawala dy.....
Answer: Quran e majeed ki surah e bani Israel surah # 17 ki ayat # 78 mai namaz k 3 awqaat bayan huay hain 2 namazoo ko zawal sai wabista kia hai aur 2 rat sai aur 1 ko fajar sai. (Ref : Anwar e Quran pg # 613)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: As-Salao Alaikum Hazarat Mera Sawal ya hi Ki mere Tab aur computer me Quaran Pak saved hai agar mai bagair Wazu Ya napaki ke halat me use opan kar screen tuch kar sakta hun aur kya apne beg me rakh saktahun jo jo ki mere peetha parrakh ke leke jatahun.
Answer: Jo shakhs ba-wazoo na ho os k lie quran majeed k alfaz ko mas krna haram hai. laikin computer ki screen par hath laga saktay hain. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 316)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: assalamualaikum me janna chata hu ki ye ayat kon sa sura se hai"In nasu utthaku rabbakum in na jal jalathas sa hati sahiun azim........hamlim hamlama otaran nasa sukara oma hum be sukara ola kinna azab allahi sadid
Answer: Surah e Hajj surah # 22 ayat # 1 hai. ﻴﺎﻴﻬﺎﺍﻟﻧﺎﺲ ۔۔۔۔۔ ﺷﻲﻋﻈﻴﻢ (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: quran kai kis pare mein ayatal kursi hai
Answer: Ayatul Kursi quran majeed k teesray paray ki Surah e Baqra surah # 2 ki ayat # 255-257 mai hai. (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: Assalamualikum. I have two questions No.1. When we hear the recitation of Quran in Mobile phohe but natural we hear he verse of Prostration(sajda) so is it must to do sajda. And No.2. Is it allowed to enter bathroom or toilet or urinal with phone which have total Arabic Quran application in it. Please reply only in English. Thank you.
Answer:
1-Sujud is required as long as that is live broadcasting.
2-yes. (Ref: Mafhoom e email rcvd from ayatollah sistani d.b, dated: 17-04-15). Update on dated 18-04-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: quran main namaz ki kitni rakat ka zikr aya ha???
Answer: Quran e kareem mai mamaz ki rakatoo ka zikar nahi aya hain bal k hadeeso mai aya hai. (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: Wo kaunsi surat hai jismen sab se pahle sajda ki aayat nazil hui
Answer: Nazool k hisab sai sab sai pehli surah, surah alaq hai aur is surah ki last ayatoo mai sajdah wajib ho jata hai. (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: sajda e quran ka sahi treeqa detail se bta den.
Answer: Ehtiyat e wajib ye hai k quran majeed k wajib sajday mai insan apni peshani sijdagah ye kisi aisi cheez par rakhay jis par sajda karna sahi ho aur ehtiyat e mustahab ki bina par badan k doosray hissay zameen par isi terah rakhay jis terah namaz mai bataya gya hai. koi zikr na parhay tab bhi kafi hai aur zikr ka parhna mustahab hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 1085)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: apny aulad k liay jo surah e ra ead btai hy wo kis pary me hy or surah no kya hy.plz mujhy btaeay.
Answer: Surah al raad quran majeed ki surah # 13 hai aur 13 paray mai hai. (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: kya Quran Shreef kay tarjumay ko Quran kaha jaiga ? or Nahi to kya Kaha jata hai ?
Answer: Quran majeed k arabic k alawa kisi bhi zaban mai tarjumay ko quran to kaha jae ga albetta os k alfaz ko mas karna yani apnay badn ka koi hissa os quran k alfaz sai lagana haram nahi ho ga. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 316)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: Assalamu Alai Qum, Sir Maine apne mobile me Quran Shareef Urdu Translation me Download Kiya hua hai to Quran ko main tanhaai ki haalat me, train me ya kahin sunne lagta huin. Us waqt main Pak to hota huin magar Wujooh se nahin hota huin to kaya Quran listen kerna sahi hai. Aur agar Quran sunte waqt Sazda aa jaye to Us Sazde ko baad me pura ker sakte hain. Hindi ya Urdu (Translated) me Sazde ki aayat ko parh lein to Kaya Sazda Wazib ho jata hai. Reply me must..........
Answer:
1)Quran majeed ko sunnay k lie wazoo ka hona zaroori nahi hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 321)
2)Agar insan quran k wajib sajday wali ayat tape record me ya recording sunay to os per sajdah wajib nahi he. Isi terah agar urdu mai ya kisi aur zaban mai tarjuma sunain to bhi sajdah wajib nahi ho ga. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 1083 ) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: kia quran pak parhaty wakt paon ko hath lagana thik hai ya nai?
Answer: Is main koi harj nahi hai. (Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 1414 , maslah # 322 , ALLAH TAALA tofiqaat mian izafa farmaae).
Question: Quran me wo konsi surat hai jis me 2 bar bismillah parhi jati hai
Answer: Quran majeed k 19 paray ki surah naml surah # 27 ki ayat # 30 mai Bismillah aye hai. (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: kia hum nabi s.a.w.w. sai mang nahi saktay hai
Answer: Nabi(s.a.w.w) aur imam(a.s.) ko wasila bana kar dua karnay se dua qabool honay k qareeb ho jati he . (ref : website http://sistani.org/local.php?modules=nav&nid=5&cid=1346). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: ayat k akhir main ya darmyan main TWAA ki alamat ajye tb wakfa krty hain uya nai
Answer: “ﻄ” waqf e mutlaq ki alamat hai, yaha kalam ko rok kar baad sai ibteda ki ja sakti hai. (Ref : Anwar e quran Allama Zeeshan Haider Jawadi pg # 26-7)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: Respect Sir Q: Humari ibadat humhe apne gunaon se kyn ni rok ti? plz full Explian kren.......
Answer: Namaz ka kaam burai sai rokna hai aur ye is k afaal aur wajibat sai saaf wazeh hai ab is k baad insan rukay ya na rukay wo is ka apna amal hai jis terah k nabi, imam aur quran ka kaam hidayat karna hai is k baad koi hidayat hasil kar leta hai aur koi gumrah reh jata hai. (Ref : Anwar e Quram Allama Zeeshan Haider Jawadi pg # 835)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: kn c surah ma mola ali ki waliyat ko haq ul yajeen keh kr wajib qrar dya ayat num bhbtay?
Answer: Surah nissa Surah # 4 ayat # 59 aur Surah maida Surah # 5 ayat # 55. (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: quran may kis sura may likha hai kay aurat jab old hojay tu head na cover karay tu koi gunnah nahe.plz reply.thanks
Answer: Quran Majeed ki surah noor surah # 24 ki ayat # 60 mai zaeef auratoo k parday ka zikr hai. Zaeef aurat jab ghar sai niklay to na mehram k samnay apnay zahiri libas ko utar sakti hain laikin shart ye hai k is ka maqsad zeenat ki numaish na ho is lie k in auraton k zaeef honay k ba-wajood bhi dunya mai bad-nafs aur holnak insano ki kami nahi hai. (Ref : Anwar e Quran Allama Zeeshan Haider Jawadi pg # 749)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: aoa. may yeh puchna chahti hu k humein wazahat se bataein k lafz kalla quran majeed k pehle 15 paron mein q mitaya gaya?
Answer: Wssalam o alykum, Muhaqqeqeen or Ulama e imamiya ( jese Imaam komeni , Syed khoi, Faiz e kashani , Shaikh Toosi, Syed Murtaza, Shaik Saddooq
Question: quran ki ktni suratain alif s shuru hoti hain?
Answer: Quran Majeed ki takreeban 40 surtain alif sai shru hoti hain. (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: quran e pak kitne ambiya k zikar aya ha?
Answer: Quran e Kareem mai 25 ambia aur rasool ka zikr aya hai. (Ref : Sawalaat wa Jawabaat sawal # 12)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: Asslamu Alaikum, Quraan ke Kin Kin ayato, Siparo Me Sajda ka kiya jana paya jata h.
Answer: Quran majeed mai 15 ayatain aisi hain jin k parhnay ya sunnay k baad khuda ki azmat k samnay sajdah karna chahaea in mai sai 4 maqamaat par sajdah wajib aur 11 maqamaat par sajdah mustahabb hai. Quran majeed k wajib sajday: (1)Surah sajdah surah # 32 para # 21 ayat # 15 (2)Surah fussilat(ha meem sajdah) surah # 41 para # 24 ayat # 37 (3)Surah Najam surah # 53 para # 27 ayat # 62(last ayat) (4)Surah elaq surah # 96 para # 30 ayat # 19(last ayat) Quran majeed k mustahabb sajday: (1)Surah aaraf surah # 7 para # 9 ayat # 206(last ayat) (2)Surah raed surah # 13 para # 13 ayat # 15 (3)Surah nahal surah # 16 para # 14 ayat # 50 (4)Surah ban e israieel surah # 17 para # 15 ayat # 109 (5)Surah marium surah # 19 para # 16 ayat # 58 (6)Surah haj surah # 23 para # 17 ayat # 18 (7)Surah haj surah # 23 para # 17 ayat # 77 (8)Surah furqan surah # 25 para # 19 ayat # 60 (9 Surah namal surah # 27 para # 19 ayat # 26 (10)Surah Suaad surah # 38 para # 23 ayat # 24 (11)Surah insheqaq surah # 84 para # 30 ayat # 21. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) fiqhi istilahaat)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: Salamunalikum! Sir 12 imamon ka zekr quran m h???
Answer: Quran majeed mai nam lai kar kisi imam ka tazkera nahi kia gya hai laikin bohat si aayaat hain jin mai imamon ka tazkira kia gya hai. jaisay surah e aal e imran surah # 3 ki ayat # 7 mai ﺮﺍﺴﺨﻭﻦﻔﻰﺍﻠﻌﻠﻢ aya hai jis sai murad Hazrat Muhammad s.a.w.w. 12 imam a.s. hain. Is k alawa aur bhi bohat sai aisay maqamaat hain. (Ref : Tafseer e Namoona pg # 255)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: I need reference of the ayaat that says , " be with the person who gives sadqa in ruko" Kindly reply fast. Thanks
Answer: Surah maida surah # 5 ki ayat # 55. (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: quran majeed me lafaz e quran ketni bar aya hy.
Answer: Quran e majeed mai lafz e Quran taqreeban 70 martaba aya hai. (Ref : Mojam pg # 685-6)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: Assalam alaykum mai ya jana chati hu k kya ham bina wazu kiya quran pad sakte hai.
Answer: Bagair wazoo k quran ko parha ja sakta hai laikin quran k alfas ko mas na kiya jaay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 315,316)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).