Showing 100- 150 questions from 471 questions on this page.
Question: kya ham bina wazu k quran computer par padh sakte hai
Answer: Quran majeed parhnay k lie wazoo karna mustahab nahi hai aur bagair wazoo k quran ko parh saktay hain laikin bagair wazoo k quran majeed k alfaz ko mas karna haram hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 316-20)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: quran mai woh kaun si surah hai jis mai ek ayat 31 times aye hai...
Answer: Surah-e-rehman Surah # 55 para # 27 mai 31 times ye ayat aye hai. ﻔﺒﺎﻯﺍﻻﺀﺮﺒﻜﻤﺎﺘﻜﺬﺒﻦ .(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: quran pak ki wo kaun si surat hai jis ka nam shehed ki makkhi k nam per rakha gaya hai
Answer: Nahl yani shad ki makhi aur ye auran ki Surah nahl Surah # 16 hai. (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: wo konce namaz thi jo sub se pehle khana e kaba ki taraf rukh kr k parhi gai?
Answer: Islam ki ibteda mai musalman BAIT UL MUQADDAS ki taraf rukh kar k namaz parha kartay thay jo roz e awal sai yahoodio ka qibla tha aur yahoodi in par tanz kartay thay k inhain koi qibla bhi naseeb nahi hua hai laikin maslehat e ILAHI ye hi thi k mushrikeen k muqabilay mai yahoodio ko khush rakha jae. Is k baad jab rasool e akram s.a.w.w. nai hijrat ki aur madina mai islam mustekhm ho gya to aik din NAMAZ E ZOHAR ki 2 rakat k baad hokum e ilahi nazil hua k baqi namaz KHANA KABA ki taraf rukh kar k mukammal ki jae aur is masjid ko MASJIDUL QIBLATAIN kaha jata hai. Qiblay ki tabdeeli ka hokum quran majeed ki surah Baqra surah # 2 ki ayat # 142 mai hua hai. (Ref :Anwarul Quran pg # 77)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: Assalam Alaykum kya bina wazu kiya quran pad sakte hai. plz ans de...........
Answer: Bagair wazoo k quran ko perha ja sakta hai lakin quran k alfaz ko mas nahe kar sakte. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 315 ) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: آل se murad kon h nabi s.a.w ke bete ya betiya ya dono??? Plzz mujhe is sawal ka jawab zrur de bdi meherbani hogi...... plzz dont agnore
Answer: Surah e ahzab surah # 32 ayat # 33 sai mutaliq riwayat : hazrat ayisha sai riwayat hai k ye ayat is waqt nazil hui jab rasool e khuda s.a.w.w. nai chadar k nichay hazrat Ali a.s Hazrat Fatima s.a. aur Hasnain e kareemain ko jama jama kar lia tha. Note : is ka matlab aal sai murad Panjatan a.s. hain. (ref : anwar e najaz pg # 877)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: quran pak k 14 sajdah denay ka tareeqa kya hay
Answer:
1)Quran majeed k wajib sajday karnay ka tareeqa: Ehtiyat e wajib ye hai k quran majeed k wajib sajday mai insan apni peshani sijdagah ye kisi aisi cheez par rakhay jis par sajda karna sahi ho aur ehtiyat e mustahab ki bina par badan k doosray hissay zameen par isi terah rakhay jis terah namaz mai bataya gya hai. koi zikr na parhay tab bhi kafi hai aur zikr ka parhna mustahab hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 1085)
2)Quran majeed mai 15 ayatain aisi hain jin k parhnay ya sunnay k baad khuda ki azmat k samnay sajdah karna chahaea in mai sai 4 maqamaat par sajdah wajib aur 11 maqamaat par sajdah mustahabb hai.(Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) fiqhi istilahaat)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: jo log QURAN na parha ho wo pora din kya parhe
Answer: Ramzan rehmat aur barkat wala mahina hai jis mai gunah maaf hotay hain aur ye mahina khuda k nazdeek saray mahino sai behr aur afzal hai. is mahinay mai tamam momineen o mominat khuda k mehman hotay hai is mahinay mai sans lena tasbeeh aur sona ibadat ka sawab rakhta hai. is mahinay mai hamain Allah sai oski ibadat karnay ki taufeeq talab karni chaheay quran parhna chaheay aur agar parhna na aata ho to is ko dekhna bhi ibadat ka daarja rakkta hai. aur is ka tarjuma oarhna chaheay. (Ref : mafatihul jian pg # 341)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: Tamam asmani kitabain kis islami mahinay mai nazil hui hain?
Answer: Tamam asmani kitabain Ramzan k mahinay mai nazil hui hai. (Ref : kitab khutba e shabania)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: fateha k mani?
Answer: Fateha ka lafzi meaning “start karnay wali” hai aur surah alhamd ko fateha isi lie kehtay hai q k is surah sai quran majeed start hua hai. (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: mai ek office me kaam karta hu kya mai bina wazu aur chappal pahen k quran ya fir surah yaseen padhsakta hu.
Answer: Bagair wazoo k quran parha ja sakta hai laikin quran k alfaz ko bagair wazoo k hath lagana haram hai. ( Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 316)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: hazrat yaqoob ka nam kitni sorto may nam aya hai
Answer: Hazrat yaqoob a.s. ka nam 10 suratoon mai aya hai aur 16 martaba aya hai. (Ref : Mojam pg # 939)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: Aasmani kitabein kis pe nazil hui
Answer: Asmani kitabain 4 hain 1:towrat hazrat musa a.s. par 2:Injeel hazrat Esa a.s. par 3:Zaboor Hazrat Dawood a.s. par 4:Quran Majeed Hazrat Muhammad Mustafa s.a.w.w. par nazil hui. (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: Quran pak mai jo 14 Sajdah atay hain wo 14 ayat kon kon c hain.?
Answer:
Note:is website par fiqahe jafria k mutabiq jawabat diye jatay hain.
Quran mai 14 sajdy hain jin mai sy 4 maqamat par sajda kerna wajib hai baqi 11 maqamat par sajda kerna mustahab hai,
4 wajib sajday walay maqamat ye hain:
Surah e sajda ayat## 15
Surah e ha-meem sajda ayat## 37
Surah e wa-najam last ayat
Surah e alaq last ayat
11 Mustahab sajday walay maqamat ye hain:
Surah e araf last ayat
Surah e raad ayat# 15
Surah e nahal ayat# 50
Surah e bni israeel ayt 109
Surah e maryam ayt 57
Surah e hajj ayat# 18
Surah e hajj ayat# 77
Surah e furqan ayat# 60
Surah e namal ayat# 26
Surah e suaad ayat# 24
Surah e inshiqaaq ayat# 21
(Ref:Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31th edition,fiqhi istelahaat,pg#491). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: assalamualaikum mera sawal ye hai ke agar koi hafez e quran hai aur wo bad me quran bhool jae to uska kaffara kya hoga.
Answer: Jee nahi koi gunah aur kaffara nhai ho ga. (Ref : Mujtahid se pochay gaey sawalaat, part # 3, sawaal # 197, pg # 83)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: quranpak ki akri ayat kis moqay per nazil hoi
Answer: kuffaar o mushrekeen or khusosan yahodi AP(s.a.w.w) ke jani dushman the hi or AP (s.a.w.w) ko mukhtalif treen se aziyatain pohchane ki koshish karte rehte the, or in tareqoo main se ik jadoo hai garche AP(s.a.w)per is ka asar nahi hota tha lekin phir bhi ALLAH TAALA ne un ki makkariyoon se mehfooz rakhne or AP(s.a.w) ki tashaffi ke liye sura e falaq o sura e naas nazil farmaae.(Ref : al-Quraan e al-Hakeem , tarjuma # molana farmaan ali) , (Ref : taseer e jawaame ul jaame , jild # 3 , pg # 881 , ALLAH TAALA tofiqaat main izafa farmaae).
Question: HAZrat musa alyeh salam ka zikr quran mein kitni baar aya hai ??
Answer: Hazrat musa ( a.s) ka qauran 129 ayat me 131 dafa tazkira moujood hai.( ref: Noor software Named By Jam e Ahadees3.5 version)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: Assalam-o-alaikum kia shadi k bd rukhsate ky wkt jo bhai apne sister means dulhan ky sir par quran pak rakh kar lejaty hy wo karna jaiz hy k nh
Answer: Jaiz hai agar ehtiraam say rakha jaye. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail,33rd Edition,maslah #129-34) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: quran k baaz alfaaz double zer zabar paish rkhty han agar un alfaz k end py daira a jai to us haalt me kis trha un alfaaz ki adaigi hog.maslan Sora yaseen me mubeen k neechy double zair han.kya hm ak zair prhen gy ya dono e saqit ho jain gi circle any py? plz plz jld answer bta den.shukriya
Answer: jab kisi lafz ke aakir main 2 paish ya zeer hon or wahan qari waqf (rukna) karna chahe to 2 girjate hain or lafz ke akir ko sakoon ki halat main phara jata hai, jese Sura e Yaseen ke mubeenin ko mubeeen phare ge.(Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).
Question: kya quran e pak ka wo nuskha jo tehreef se pak ho mil skta hy? ya koi notes about quran jo k revealing order mn hon?
Answer: Mojooda Quraan e Majeed wo hi Quraan hai jo Ap (s.a.w) Allah Taala ki janib se laaye the bageer tahreef ke or hamare ulma k nazdeek is men koi ikhtalaf nahi hai.(Ref : Mujtahid se pochay gaey sawalaat, part # 3 , sawaal # 232, pg # 65 , ALLAH TAALA tofiqaat main izafa farmaae).(Ayat_ul_Allah Syed Abul Qasim Khoi d.b, page#197 to 226)
Question: assalamualaikum mera sawal ye hai ke ladkiya hefaz kar sakti hai
Answer: Gee han bilkul kr sakti hen. (Ref : Mujtahid se pochay gaey sawalaat, part # 2 , sawaal # 198 , pg # 82 , ALLAH TAALA tofiqaat main izafa farmaae).
Question: Kabhi napaki ki halat main mobile par quraan shareef pad sakte hain
Answer: Mard or aurat ka halaat e janabat main Quraan ke wajib sajde wali aayaat ki tilawat karna haraam hai, or is hi terhan orat ka halat e nifaas o haiz main Quraan k wajib sajde wali ayaat ki tilawat karna haraam hai, bayaan karda aayaat k ilawa orat or mard k liye quran ki tilawat main koi harj nahi hai. (Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 1414 , maslah # 503 , 448 , 354 , (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: quran shareef ki kitabat ka aagaz kis islami mahine me hua?
Answer: Quarn Ramzan shareef main.(Ref: sorah e qadr, ayat#1)
Question: Lafz rihan quran majid me kitni baar aaya he...
Answer: Lafz e rayhaan Quraan e Majeed main 2 baar aaya hai.(Ref : al mujam , pg 414 , ALLAH TAALA tofiqaat main izafa farmaae).
Question: In quran which is the bigest surat and the meaing of this surat
Answer: Sura e Baqra sura No#2.(Baqra means cow)(Allah Taala apki tofiqaat main izafa farmaae).
Question: Assalam Allaykum quran ki aisi kaun si ayat hai jise bina bismillah pade suru karte hai
Answer: Wssalam o alykum, Sura e Toba.(Allah Taala tofiqaat main izafa farmaae).
Question: Quran sharif me kis chiz ka zikar nahi h
Answer: Quraan Shareef main tamaam chezoo ka zikar hai ager is ko Masoomeen (a.s) ke kalaam ke sath mila kar phara jaae, jesa ke Rasool e Akram (s.a.w) ne farmaaya hai ke main tumare dermiyaan do cheezain choor ke jaa raha hon, ik allah ki kitaab hai or dosre meri itrat o ehl e bait, or ye dono mere paas hooz per pohanchne se pehle hargiz juda nahi hon ge, pas tum loog apne aap ko in dono se aage baraane ki koshish na karna warna halaak ho jaao ge, or na hi in ko peche chorne ki koshish na karna warna halaak ho jaao ge, or in ko seekhane ki koshish na karna kun ke ye tum se aalam hain.(Ref : tozeeh ul masaail , aayat ul allah abo al qasim al moosavi al khooi , cap # imaamat , pg # 36 , ALLAH TAALA tofiqaat main izafa farmaae).
Question: Asalam alekum.. Man Quran pak ko meaning kay sath parh rahy hun to kuch khas meaning ko marker kay sath headline karsakty hun quran par.?
Answer: Quraan e Majeed ke eham matalib ko mark karne main koi harj nahi hai, lekin ager in ko najis ink se mark kiya jaae jis se ye najis ho jaae ya is ko mark karna be hurmati shumaar hota ho to ye mark karna jaiz nahi hai. (Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 1414 , maslah # 129 to 132 , ALLAH TAALA tofiqaat main izafa farmaae).
Question: Quran me kon paigambar ka naam sab se ziyada aaya hai???
Answer: Quran men Hazarat musa (a.s) ka naam sb se ziyada istamal hua hai.(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: Salam...man Quran pak ko meaning kay sath parh rahy hun..to Quran majeed man kisi tashreh ya line ko marker say under line kar skty hun???
Answer: agar quran me marking aur under line karne se quran ki be hurmati na hoti ho to jaiz hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 129,130,132,133) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: AT THE TIME OF MUHAMMAD SAW (VILAADATH) NUMBER OF HUFFAZ E QURAN SHARIIF IN THE WORLD
Answer:
Ager apki muraad aap (s.a.w.w) ki wiladat ka waqt hai to is waqt Quraan e Majeed nazil hi nahi howa tha to is k hafizo ki baat ka ana bhi mumkin nahi hai.
Or ager apki muraad aap (s.a.w.w) k Intiqaal se pehle hai to pure Quraan e Majeed ke nazil hone se pehle kis terhan koi is pure ka hafiz ho sakta hai.
Or ager apki muraad bad e Intiqaal e Rasool e Aazam (s.a.w.w) hai to Jaam e Quraan k mutaalliq warid shuda or degar mutaallaqa riwayaat se to esa maloom hota hai k sahaba e mazkooren (jo hazrat e abo bakar se usmaan ke zamane tak jaam e Quraan ke unwaan se manzar e aam per aae) main se siwaae Ali ibn e Abi Talib ke aik bhi hafiz e Quraan nah tha. (Ref : Tafseer e anwaar ul najaf , jild # 1 , topic # Hazrat Ali pehle hafiz e Quraan the , pg # 130 to 135 , Allah Taala tofiqaat main izafa farmaae).
Question: surah baqrah ka naam surah baqra q rkha gaya?
Answer: Q k is sorah main aik Baqrah (yani cow) ka waqia hai. Isi liay is ka naam sorah e baqrah rakha gaya.(Ref : Tafseer e Namoona , jild # 1 , pg # 75 , Allah Taala tofiqaat main izafa farmaae).
Question: Salam!! Zinda insaan k naam pe Quran parh sakte hain?
Answer: Insane mustahab kaam anjaam de kar( maslan quran perh kar ) is ka sawab murda ya zinda loago ko hadiya karsakta hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah #1515 ) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: Mera sawaal ye hai k surah email tauba k shurru main BismiAllah kyun nahi hai? Is surah ka shaan email nazool bayaan krain or wajah email fazeelat bhi. Jazak Allah Khair. Mehrish Nadeem
Answer:
1) Baaz ahadees me hai k chuke bismillah me aman o rehmat hai aur is surah me kufaar per gazab o lanat ki aayat hain is wajah se is me bismillah nahe hay. ( ref: terjuma quran moulana farmaan ali , pg: 298) 2) shane nazool : mufasireen aur muhadiseen ka is baat per ittefaaq hai k rasool (s.a.w.w) ne ehle makka ko hukume khuda ( surah tuba ko ) sunane k lie phele abu bakar ko moqarar kiya phir abu bakar ko hata kar hukume khuda k tehet hazrat ali ( a.s) ko moqarar farmaya. ( ref: tefseer anwaarul najaf, allama hussain bashjaara, surah tuba, jild no: 7,pg: 8)
3) surah tuba k khawaaz me se hai k jo shaks is surah ki tilawat kare ga wo qayamat k din munafiqat se paak utegha. ( ref: tefseer anwaarul najaf, allama hussain bashjaara, surah tuba, jild no: 7,pg: 5)
(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: Surah tauba me bismillah kyon nahin hain
Answer: T afaseer Majama-ul- Byaan men Hazrat Ali a.s se iski waja manqool hai k surah baraat k shuru men Bismillah nahi utri Q k Bismillah Aman or Rehmat k liye or surah Baraat Aman ko khatam krne k liye hai..(Ref : Tafseer e anwaar ul najaf , jild # 7, pg # 06 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).
Question: Quran e Pak ki konsi surat without Bismillah k parhi jati a?
Answer: Sura e Toba. (Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai)
Question: Quran pak ki esi kon c surah hai jis m bismillah 2 times ai hai?
Answer: Sura e Al-Namal (sura no 27).(Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).
Question: agar quran jhotaya uthya jeyen to hum kya karai
Answer: Hazrat Rasool Allah se marvi hadees ke mutabiq Sura e Tahreem (sura no 66) ki tilawat karte howe Allah Taala ki baarga main toba kijye.(Ref : Dunya Wa Akhirat ki 100 Pareshanion ka hal pg # 37 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).
Question: AOL mera sawal ye hai k koi jan boojh kar ghusay main quran-e-pak ki behurmati kar day tu is ki kia maffi aur kuffara hai please khuda k liye is sawal ka jawab zaroor dain allah app ko is ki jaza day ameen
Answer: Wssalam o alykum, Quraan e Majeed ki behumarti karna haraam hai is le Allah Taala se toba o istigfaar ki jayae, jesa ke Imaam Jaffer o Sadiq (a.s) se marvi riwayat ke mutabiq ager is kaam ko karne wala is kaam ki waja se Allah Taala ke huzoor is terhan nadim o pashemaan ho ke wo is nadamat o pashemani ki waja se phir khabhi Allah Taala ki na-farmani na kar sake to Allah Gafoor o Raheem bhi us ko muaaf farmaa deta hai. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus saliheen Part # 1 , Maslah # 442 , eidition # 1st) , (Ref : usool e kafi , jild # , kitaab e emaan o kuffur , baab # 188 , riwayat # 4 , ALLAH TAALA hi tofiqaat mian izafa farmaane wala hai).
Question: Quran Pak KI KNsi Ayat Hai Jis K shuRu May Na bismillah LEkhi jati Hai Or NA hi Pari Jati Hai
Answer: Surah Toubaah.(Quraan Majeed) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: QURAN KAB AUR KAHA NAZIL HUWE AUE KYU AUR KITNO KI MAYHANAT HAI QURAN KO AK [1] KITAAB KI SHAKAL DEYNAY MEY AUE KITNAY SAAL LAGAY AUR KYU
Answer: Quran k 2 nuzool hai 1 he martaba me saara quran shab e qadr me naazil hogaya 2) 23 saal arse me thorha thorha naazil hota raha. Quran rasool(s.a.w.w) k dil per naazil hoa , quran ki khuch suratain makki hai aur khuch madani hain, qurani ayaat aur surato ki terteeb wahi e ilaahi k tehet rasool(s.a.w.w) ki hayaat me he jama ho chuka tha. ( ref: www.islamshia-w.com) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: Quran Shareef Ki us surat Ka naam natein jis mein bismila phara or likha nahi jata?
Answer: Surah toba (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: Quarn-e-pak mei "ALLAH" name sb sy pehle knsi ayat mei aya hy
Answer: Sura e Al-Hamd ki 1st ayat main.(Bismillah men)(Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).
Question: mera sawal ya ha k shehad ki makhi par wahi kio nazal hui aur ya wahi ki konsi qisam ha
Answer: Wahi ke muktalif meaning hain, yahan per wahi ka mana us ki khilqat ke taqaze (fitrat) hain (jo us k ander wadiyat ki gai hoti hai). (Ref : Tafseer e anwaar ul najaf , jild # 8 , sura e Nehal , ayat # 68 , pg # 226 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).
Question: Biwi k peechay k maqam(maqam e pakhana) main hambistari kerna biwi k raazi nah honay ki sorat main ethiyaat e wajib ki bina per haram hay, agar biwi raazi ho tu jaiz hay laikin shadeed makrooh hay ye QURAN PAK me kaha likha hai plz muihe batae mujhe kisi ko batana hai
Answer: Allah Taala Quraan e Majeed main fermata hai ke ager tum nahi jaante to ehl e zikar (jaanne wale) se pocho,(Ref : Sura e Al-Nehal (sura no 16) , Ayat # 43). Or jab jaanne walo main sab se ziyada jaanne wale Rasool Allah (s.a.) ki zaat Paak hai to Ap (s.a.w) ne apni zindagi e Mubarak ke baad Jaanne walo ko muayyan farmaya jesa ke Hadees e Saqlain or is ke ilawa Marvi Ahadees ka mazmoon hai.(Ref : Noor e Imaan , Topic # Hadees e Saqlain , Pg # 175), or Un Muayyan karda Janne walo main se hamare zamane ke Imam Mehdi (a.s) hain jin ka irshaad hai ke Geebat e Kubra ke zamane main peesh aane wale halaat ke silsile main hamari hadesoo ko bayaan karne wale Raviyoon (aaj ke dor main in Hadeso ko bayaan karne wala Mujtahedeen ke ilawa koi bhi nahi hai) ki taraf ruju karo, kun ke wo hamari taraf se tum per us hi terhan hujjat hai jis terhan ham Allah ki taraf se hujjat hain, manderja bala ke madd e nazar muqallid ke liye us ke Mujtahid ka hokum us ke haq main Allah Taala ka hokum hai. (Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 33 , maslah # before fehrist , 01 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).
Question: kya fone par bger wuduke quran parna jaiz hai
Answer: Beghair wuzu k quraan per sakte hai laikin beghair wuzu k quraan k alfaaz ko haath laghaana haraam hai.(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah #315 ) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: kya ma inna aya tuna kal kusar ko imma aya tuna kal kusarunn phar sakta hon yah yeh ghalat ha
Answer: G nahi jesa Ebarat quran men likha mojud hai usi tarah parhi jayegi (Elm e tajweed k qawaaid ka khaya rakhna behtar hai).(Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 31 , maslah # 987 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).
Question: woh kon si surah hai jisme 2 baar bismillah aata hai
Answer: Sura e NamaL (sura no 27).(Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).
Question: What is the Date of Last Ayat of Quran? Hijri and English Calendar!!!
Answer: Sura e Toba jo 9 hijri main nazi hoi hai baaz rivayaat ke lehaaz se Quraan e Majeed ki aakhri sorat hai jo ik sath nazil hoi hai.(Ref : Tafseer e anwaar ul najaf , [jild # 1 , pg # 136] , [jild # 7 , pg # 5] , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).
Question: quran ka zeema kis nay lia ha
Answer: Surah hijar no 15, me quraan ki hifaazat ka zimma khud khuda ne liya hai.(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)