Showing 450- 472 questions from 472 questions on this page.
Question: Wo konsi surah hay jismay duain hain
Answer:
Mukhtalif suron me duain zikr huei hain. tafseel ke liye diye gaye link visit karen.
https://ur.wikifeqh.ir/%D9%82%D8%B1%D8%A7%D9%93%D9%86%DB%8C_%D8%AF%D8%B9%D8%A7%D8%A6%DB%8C%DA%BA#%D9%82%D8%B1%D8%A2%D9%86%DB%8C%20%D8%AF%D8%B9%D8%A7%D8%A6%DB%8C%DA%BA
[Updated on 30-May-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: is it true or false aital kursi kuran moged ki aik ayat ha?
Answer:
Yes it is True. it is surah baqrah & ayat #257 .
(Ref: https://www.balaghulquran.com/index.php?sno=2&ano=257 ).
[Updated on 01-Jun-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Quran majeed ka khalasa kis sorat ko kha jata hai?
Answer:
Surah Mubaraka e AL HAMD ko kulasae Quran kaha jata haiisi lie iss surah ka laqab "Ummul Kitab" hai yaani poore quran ka markaz o mehvar..
(Ref: Tafseer e Al Meezan)
[Updated on 28-Jun-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Badle ke den se kon sa den murad ha
Answer: Qayamat k din ko badlay yani jaza daine ka din kaha jata hay. [Updated on 09-Jul-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Surat_tul_ Haj mein hukamrano ko Kya Takid ki gai hai
Answer:
Surah Haj me umomi tour pe tamam momineen ko zulm se baraat krne ka hukm hai jese Ayat no. 45 me irshad hua;
"Garz k ktni hi bastiyan hin jinhein ham ne tabah o barbad krdia k vo zalim thi to apni chaton k bak ulti pari haiaur un k kuwin muattal pare hai aur un k mazboot mehal mismar hogae hai"..
(Ref: Surah Mubarakae HAJJ)
[Updated on 31-Jul-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Quran ko quran me Ruh kon surah me kaha gaya h
Answer:
Surah Yaseen ko Rooh e Quran aur Qalb e Quran kaha jata hai
(Ref: Bonus k 1572 sawalat aur jawabat, Page# 259)
[Updated on 02-Aug-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Quran ko quran me rooh kaha gaya he....wo konsi surah he??
Answer: Sorah shuraa, ayat#52. main quran ko rooh kaha gaya hay.(Ref: Al quran). [Updated on 14-Aug-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Salam plz mojy is ayt ka meaning bta dyn r ye kis maqsd k ley prhi jati hai la yraon fiha shamsan wala zamhreer
Answer:
Translation: Jaha vo (Jannati afraad) takhto pe baithe hue hnge na aftaab ki garmi daikheinge na sardi..
Riwayat k mutabiq Surah Dehar ki tilawat krne wale ko Jannat ki naimatein aur Rasool e Khuda s.a ki hamnasheeni hasil hogi..
(Ref: Surah Dahar/Insan Ayat No. 13)
[Updated on 02-Aug-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Asalam o alikum me ne quran hifz kiya h lekin duran e hifaz me bht chutiya krti thi apne madrasy se or adha quran bhoola chuki thi lekin socha revision me kr ln gi paka me complete kr liya lekin pechy se bhola chuki thi or phr school chali gai ab bht darti hon or Allah se ro ro k tauba b ki h lekin dubra yad krne se darti hon k dubra na bhola dn hadees me ata h k pathar ka azab ho ga jisne Quran bhola diya meri mushkil ko dor kry plz me bht tuba kr chuki hon
Answer:
Quran majeed ki yaad ki huei aayaat ko bhool jana Haram nahin hai aur unhen dobara yaad karna bhi wajib nahin hai.
(Ref: Mujtahid se poochay gaye sawalat part #2, sawal #198, pg #81,82).
[Updated on 27-Jul-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Tafseer e Quran kub sy shoro howa kia sahaba ny bhi tafseer e quran kia?
Answer:
Maktab e tashaiyu ki pehli Tafsir e Quran pr likhi jane wali kitab ka naam Tafseer e Qomi hai jis k musannif Allama Ali Ibn Ibrahim Qomi the(d. 919 CE)..
Allama Qummi, Imam Hasan Askari a.s k dour me mojood the aur ye kitab bhi Imam k dour me hi likhi gai hai..
Is kitab se pehle ayaat ki tafaseer k mutalliq Aimma a.s ki riwayat hua karti thi laikin baqaida koi kitab nahi thi..
Inho ne sb se pehle Riwayat e Aimma a.s ko jama kr k Tafseer e Quran k naam se ek kitab murattab ki..
(Ref: Wikipedia/ list of tafseer works)
[Updated on 08-Aug-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kya phone me Qur'an padh ke Qur'an ko mukammal liya ja skta hai?
Answer:
Jee han, kar sakti hain, Jaiz hai.
(Ref: email rcvd from Ayatullah sistani d.b).
[Updated on 29-Jul-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Assalamualaikum! Sir mera sawal ye hy k ager bv k najaiz taluqat ka pata chal jay or phir shoher us ko talaq dy dy. To kya rozy qayamat wo apni ex.wife sy apny sath kiy gay salook ka hisab ly sakta hy ya nahi?? Or aesi sorat main jo bachy apni maa sy ya baap sy door hon jaty hain to kya un bachon ka hisab bhi maa baap ko dena pary ga
Answer:
Qayamat k maidan me huqooq ullah (Namaz, rozay wagera) k sath sath huqooq un naas (Logo k huqoq jo insan pr wajib hote hai) ka bhi sawal hoga..
Jis ne kisi insan k haq me kotahi ki hogi vo us ka hisab ada krega.. (Ref: Sorah e zilzaal, ayat#8).
[Updated on 04-Dec-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Quran Pak m qul kitnay nabio Ka name hy???
Answer:
Quran me Taqreeban 26 anbiya ka ke mane zikr hue hain.
(Ref: Al-Quran, https://www.balaghulquran.com/)
[Updated on 29-Aug-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Quran Pak m qul kitnay nabio Ka name hy???
Answer:
Quran e Majeed me kul 25 Nabiyo k naam mojood hai, vo mandarja zail hai..
1. Adam (A.S) آدم
2. Idris (A.S) إدريس
3. Noah (A.S) نوح
4. Hud (A.S) هود
5. Saleh (A.S) صالح
6. Abraham (A.S) ابراهيم
7. Lut (A.S) لوط
8. Ismail (A.S) اسماعيل
9. Isaac (A.S) اسحاق
10. Yaqub (A.S)(Jacob) يعقوب
11. Yusuf (A.S)(Joseph) يوسف
12. Ayyub (A.S) (Job) أيوب
13. Shoaib (A.S) (Jethro) شعيب
14. Musa (A.S) (Moses) موسى
15. Harun (A.S) (Aaron) هارون
16. Dhul-Kifl (A.S)(Ezekiel) ذو الكفل
17. Daud (A.S)(David) داود
18. Sulayman (A.S) (Solomon) سليمان
19. Ilyas (A.S) (Elijah) إلياس
20. Al-Yasa (A.S) (Elisha) اليسع
21. Yunus (A.S) (Jonah) يونس
22. Zakariya (A.S) (Zechariah) زكريا
23. Yahya (A.S) (John the Baptist) يحيى
24. Isa (A.S) (Jesus) عيسى
25. Hazrat Muhammad (Sallahu Alaihi Waalihi Wasallam) محمد
[Updated on 10-Sep-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: وہ کونسے نبی ہے جنہوں نےساری آیات اور سورہ کو جمع کرکے قرآن کریم کی شکل دی
Answer:
Rasoole khuda s.a ne bhi quran ko apne dour me jama krwaya
Bad e Rasool s.a Mola Ali a.s ne bhi quran ko jama kia jis me Ayat uss ki tafseer or nuzool k aitibare se thi lkn uss quran ko Khulafa ne qubool nh kia..
(Ref: Qur'an - wikishia.net)
[Updated on 24-Sep-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: As-slamu alaikum, agar ghalti se Ghar mai paltu janwar Quran ki kitaab ki toheen karay to kya Karna chahye ?
Answer:
Quran e Majeed ki touheen krna haram hai or agar koi bacha ya deewana ya koi janwar se bh quran ki touheen horhi ho to use rkna wajib hai..
(Ref: Touzih ul Masail Agha Sistani d.b, 51th Edition, Mafhoom e Masala No. 317)
[Updated on 28-Sep-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Agar nmaz party aagy Sy lrky ya Kuta guzar jae to nmaz toot jaty h.ye Kon C ayat ka tujma h
Answer:
Yeh kisi ayat ka tarjuma nahin hai aur namaz parhte waqt kisi ka namazi ke samne se ghuzr jane se namaz nahin tootati.
(Ref: Tauzeehul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #885,1113).
[Updated on 02-May-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Mujhe yeh Janna tha ... Quran me kul kitne aayat hain .... Kya ap bata sakte hain ?? Baaz Loog Alag Alag Number aayat kehte hain ... plz Sahi Kya hai batayen .. shukriya
Answer:
Quraan majeed me total 6236 aayaat hain.
(Ref: http://www.qpsh.ir/node/3045 + http://porseman.org/q/show.aspx?id=183417 ).
[Updated on 12-Jul-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: ہمارا دین کیا ہے
Answer:
Hamara deen, Islam hai.(Ref: Sorah e aal e imran, ayat#19)
(Rel: link; https://ur.wikishia.net/view/%D8%A7%D8%B3%D9%84%D8%A7%D9%85 ).
[Updated on 24-Feb-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Assalamualaikum Dabat ul arz ke baare mein batein
Answer:
وَ اِذَا وَقَعَ الۡقَوۡلُ عَلَیۡہِمۡ اَخۡرَجۡنَا لَہُمۡ دَآبَّۃً مِّنَ الۡاَرۡضِ تُکَلِّمُہُمۡ ۙ اَنَّ النَّاسَ کَانُوۡا بِاٰیٰتِنَا لَا یُوۡقِنُوۡنَ ﴿سورہ نمل :۸۲﴾
"اور جب ان پر وعدہ (عذاب) پورا ہونے والا ہوگا تو ہم ان کے لیے زمین سے ایک چلنے پھرنے والا نکالیں گے جو ان سے کلام کرے گا کہ درحقیقت لوگ ہماری آیات پر یقین نہیں کرتے تھے"۔
دَآبَّۃً الۡاَرۡضِ: لسان العرب میں آیا ہے: و کلُ ماشِِ علیٰ الارضِ دابۃٌ۔ ہر زمین پر چلنے والے کو دَآبَّۃٍ کہتے ہیں۔ خود قرآن میں بھی انسان کو دابۃ میں شامل کیا گیا ہے: وَ مَا مِنۡ دَآبَّۃٍ فِی الۡاَرۡضِ اِلَّا عَلَی اللّٰہِ رِزۡقُہَا (سورہ ہود :6) زمین پر چلنے پھرنے والا کوئی ایسا نہیں ہے جس کا رزق اللہ کے ذمے نہ ہو۔
تفسیر مظہری 9 :50 میں آیا ہے: بغوی نے لکھا ہے کہ حضرت علی (علیہ السلام) نے فرمایا وہ دَآبَّۃ ایسا دَآبَّۃ نہ ہوگا جس کی دُم ہو، بلکہ وہ داڑھی والا دَآبَّۃ ہوگا۔ آپ علیہ السلام کا اس کلام سے اس چیز طرف اشارہ ہے کہ وہ آدمی ہوگا (چوپایہ نہ ہوگا)، لہذا یہ زمین پر چلنے پھرنے والا جو لوگوں سے بات کرے گا، جسے زمین سے نکالا جائے گا، کوئی انسان ہے جسے زمین سے دوبارہ زندہ کیا جائے گا، جیسا کہ بعض امامی روایات میں آیا ہے کہ حضرت علی علیہ السلام کی ذات کی طرف اشارہ ہے۔ قرآن اس مطلب کو صراحت کے ساتھ بیان کرنا نہیں چاہتا اور اجمال میں رکھنا چاہتا ہے۔ بہرحال یہ اس وقت کی بات ہے جب عذاب کا آنا یقینی ہو جائے گا اور توبہ کا دروازہ بند ہو جائے گا۔ اس وقت یہ دَآبَّۃ الۡاَرۡضِ اللہ کی طرف سے اعلان کرے گا۔
(Ref: https://balaghulquran.com/printayat.php?id=027082 ).
[Updated on 13-Mar-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Quran ki Ayat aur sifhat ko jalana
Answer:
Hargiz jaiz nahin hai.
(Ref: Tauzeeh ul masail jaame, Ayatullah Sistani(d.b), part #1, maslah #428).
[Updated on 07-May-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kia zina ya sirf hambistri Ka Sochna bhi gunah hai? Mai hambistri Ka Sochta hoon sirf soonay se pehley magr Mani Kabhi Nahi Nikalata
Answer:
1: Agar zehen men bure khayalat aayen to is se koi gunah nahin hota. Yeh shaitaani waswase hain aur in ko dafa o door karne liye Hazrat imam Ali Riza(a.s) se marvi riwayat ke mutabiq zawaal e aaftab ke waqt 150 baar yaa quddoos ka wird karne se dil ko noorani ho jata hay or is wird ki wajah se shaitaani waswason se aman mil jaati hay.
2: Waswaas se bachne ke liye (Laa haula walaa qoowata illaa billaah) parhain.
(Ref: Minhaj us Saleheen, Ayatullah Sistani(d.b), part #1, maslah #30. + Dunya or akhirat ki 100 pareshaniyon ka hal, pg #20. + Mafati jinah pg #208).
[Updated on 07-May-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]