Showing 50- 100 questions from 246 questions on this page.
Question: asalumulaikum!!!! rizq mn izafay k lia koi dua btaya aur mera post burh jae mja koi wazifa batain... mja cigratte ki bht adat ho gae hai is k chornay k lia b kch btaya ... KHUDA HAFIZ!!!!
Answer: Wssalam o alykum, Wusat e rizq or cigratte ko chorne ke liye,40 din tak har rooz Namaaz e Subha ke baad Sura e Maaeda (sura # 5) ki ayat no 114 ko 50 martaba halat e wazo main kisi se baat kiye bageer pharye, 1st din 2 rakat namaaz e hajaat pharne ke baad 100 martaba salawaat pharye, phir 39 dino main namaaz e hajat nahi pharni lekin 10 martaba salawaat phar kar apni hajat (rizq, promotion or cigratte ko chorna) ko pura karne ki dua maangain. (Ref : Kitab payam e shifa Pg # 232 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).
Question: Mra masla ye ha k mene i.com kia ha gar k halat thek na hony ki waja se agay taleem jari nai rakh saka rozgar talash kr rha hn kam hoty hoty ruk jata ha koi asan wazeefa bta dain mehrbni hogi
Answer: Surah e talaq (surah#65) ki ayat#2 ,3 rozana 3 baar parhain, awal-o-aakhir aik martaba durood bhi parh lain,rizq mai bohat izafa hoga,aur agr qarz ada kerna hay tu isi ayat ko rozana 21 baar parhain.(Ref: Book payam e shifa pg#229) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: Mene i.com kia ha gar k halat thek na hony ki wja se stdy chor di koi sarkari job dund rha hn nai milti koi asan sa wazeefa bta dain plz mene wednesdy ko 2 rakat namaz rozar k liy b pari the
Answer: Hazrat Imaam Jaffar o Sadiq (a.s) se marvi riwayat ke mutabiq Sura e yoosuf ko likh kar 3 din apne ghar main rakhe or phir use wahan se utha kar ghar ki bahar wali dewaar main chupa de ke koi is se muttale na ho. (Ref : Dunya Wa Akhirat ki 100 Pareshanion ka hal , pareshani no # 30 , pg # 27 , Allah Taala hi tofiqaat mian izafa karne wala hai).
Question: Khero barkat ke liye
Answer: Surah e zariaat surah # 51 aur surah e alam nashrah surah # 94 k parhnay walay k lie khair o barkat mai izafa aur rizq mai ziadti hoti hai. (Ref : Payam E Shifa pg # 236)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: Asslamalikum. my rizq ki tangi se pareshan hun jitna bhi kamao barkat nahi rahti, aur rozana kaam karne par bhi Qarz hote ja rahe hai. my mera Qarz ka bhoj kaise rokun aur rizq me barkat ke liye kuch wazifa batadijiye. Nake kam karne kaheli bhi bahot hai aap mujhe allah se qarib hone ka tariqa batadijiye.
Answer: Wssalam o alykum, Surah e Hijr (surah no. 15) ko likh kar apnay bazoo k sath bandh lain. (Ref : Dunya Wa Akhirat ki 100 Pareshanion ka hal , pareshani no # 30 , pg # 27 , Allah Taala hi tofiqaat mian izafa karne wala hai).
Question: Plz esa koi wazifa bata dijey jisse mujhe allah ke hukum se gaybi se daulat milta rahe.
Answer: Hazrat Imaam Jaffar o Sadiq (a.s) se marvi riwayat ke mutabiq Sura e yoosuf ko likh kar 3 din apne ghar main rakhe or phir use wahan se utha kar ghar ki bahar wali dewaar main chupa de ke koi is se muttale na ho. (Ref : Dunya Wa Akhirat ki 100 Pareshanion ka hal , pareshani no # 30 , pg # 27 , Allah Taala hi tofiqaat mian izafa karne wala hai).
Question: sir mera naam bilal hai muje ko nokari nai milti mein bht pershan hoon jis ko bholty hain bus woh he kheta hai k hum kam karein ga aur 2 , 3 mah guzarty hain to kuch na khuch aur he masala ho jata hai koi wazifa sand karein plz
Answer: Agar koi shakhs rozgar sai mehroom ho gya ho ya rozgar na milta ho to nochandi jumarat aur juma roza rakhay shab e juma mai bistr par janay sai pehlay surah yousuf ki ayat no. 54 say 56 tak aayat ko chnd martaba parhain. Roz e juma namaz e subah aur baad namaz e zohar in aayaat ki tilawat karay aur zohar aur asr k darmian in ayaat ko kaghaz par likhay baad e asr, maghrib aur isha bhi tilawat ko tark na karay aur bistr e khawb par tilawat karnay k baad 100 martaba “ la illaha il’lal’la ” aur 100 martaba “ Allaho akhbar ” aur 100 martaba “ Almamdo lil’lah ” aur 100 martaba “ subhan Allaha ” keh kar takiey(pillow) k nichay rakh kar so jae subah ko bedar honay k baad is noshtay ko taweez bana kar dahanay hath par bandh lay aur Khuda sai pukhta ehad karay k kisi par ziadti na karay ga. inshAllah jald rozgar mil jae ga. Aur agar koi shakhs ye ayaat nahi parh sakta to wo khud roza rakh kar ayaat kisi sai likhwa layaur in tasbeehaat ko parhta rahay. (Ref : Aasar e Ahlbait a.s. pg # 100-01)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: ASSALMUALIKUM hazrat aisa koi amal batye ke mujhe allah ke khazane se gaib se paisa mile jitna mai chahta hon itna ke mai apni niyyat ko pura kar sako hazrat meri niyyat ye hai ke paisa milte hi sabse pehle 1 masjid tamir karna chahta hon jis ka total kharch 3 carore hai allah ke waste meri madad farmaye allah aapko jazae khair ata farmaye aapki dua ka talib Aadil hameed
Answer:
Note : Is website per fiqha e jaffaria k mutabiq jawabaat diay jatay hain.
1)Masjid ka Tameer krna mustahab hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 898)
2) Jo shakhs surah e hijr surah no. 15 ko likh kar apnay bazoo k sath bandh lai to o ski khareed o farookth ziada ho jae gi, log os say karoobar karna behtr samjhain gay aur jab tak ye likha hua is k pas ho ga Khuda k hokum say is ka rizq ziada ho ga. (Ref : Dunya Wa Akhirat ki 100 Pareshanion ka hal pg # 27) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: mera pahle bahut achha kam chalta tha ab hamara kam nahi chalta hai mai bahut paresan hou es k ley kon si doaa padhna chahey jo ki mera pahle k trah kam chalu ho jaey
Answer: Jo shakhs surah e hijr surah no. 15 ko likh kar apnay bazoo k sath bandh lai to os ki khareed o farookth ziada ho jae gi, log os say karoobar karna behtr samjhain gay aur jab tak ye likha hua is k pas ho ga Khuda k hokum say is ka rizq ziada ho ga. (Ref : Dunya Wa Akhirat ki 100 Pareshanion ka hal pg # 27) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: Assalm o alikum hazrat aisa koi amal batye ke mujhe allah ke khazane se gaib se bohat paisa mile or main us se apni or gareebon ki zindagi ki tamam zarooriyat pura kar sakoo koi asaan sa amal batla de ap ki bohat mehrbani ho gi shukriya.
Answer: Doulat mandi k lie 40 raat mai hai raat ko 40 martaba surah e lail surah # 92 ko parhain aur jab is ayat par pounchay “ ﻮﻤﺎﻻﺤﺪﻋﻨﺪﻩﻤﻦﻨﻌﻤﻪﺘﺠﺰﻯ ” to osay 3 bar parhain. (Ref : Payam E Shifa pg # 230)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: Assala mu alaikum ba rehmatullahe ba barakatahu Moulana Sahab, Janab mera nam vassem hein mein bhopal me ek company me job karta hu , janab me apna khud ka business karna chahta hu or Allah ke karam se jis company me kam karta hu usi se juda hua business me karna chahta hu, lekin hamesha kuch na kuch aise waqeyat ho jate he jisski wajeh se mere kam nahi ho pata , iski wajeh se me bahut jyada depress rehne laga hu, barahe karam kuch aisi dua bata dijiye jisse me sukun se apna kam suru kar suku or apne ma bap or bhaiyo ka khayal rakh saku, me apke jawab ka beshabri se intezar kar raha hu .. allah hafiz
Answer:
1)Hazrat Imam Jaffar e Sadiq a.s. ka farman he ke “Namaz e shab charey ko zeba(khoob surat) aur Aqhlaaq ko acha banati he. Aur insan ko khushboo daar karti he. Rizq ki ziadti aur qarz ki adaigi ka baes benti he ghum ko door karti aur aankooh ko noor ata karti he”. Aik aur irshad k aik jumla he k namaz e shab charahey ko safaid aur khoobsurat karti he. (ref : Kitab payam e shifa pg # 147)
2)Jo shakhs surah e hijr surah no. 15 ko likh kar apnay bazoo k sath bandh lai to o ski khareed o farookth ziada ho jae gi, log os say karoobar karna behtr samjhain gay aur jab tak ye likha hua
is k pas ho ga Khuda k hokum say is ka rizq ziada ho ga. (Ref : Dunya Wa Akhirat ki 100 Pareshanion ka hal pg # 27) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: Asslam-u-alaikum. Hazrat ma bersarey rozgar hoon Mager 3 sal say meri Tarqee nahee hoyee koyee Wazefa bata deen
Answer: Jo koi kisi aisi jigha par kaam karta ho jahan par salary mai izafa bohat mushkil sai hota ho aur maalik salary na barhata ho to chaheay k rozana har namaz k baad 100 martaba Bismillah parhay inshallah bohat jald salary mai izafa ho jae ga. (Ref : wazaif e talib pg # 142)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: salam meray pas paiso ki bht tangi hay or mai halal maal kamana chahta hu koi wazifa batayeh jis say meray pas itna ho k mai dusro ki madad bhi kersakun
Answer: Riwayat mai hai k jo shakhs subah k waqt kisi sai baat karnay sai pehlay 3 bar surah e maida ayat # 114 ki tilawat karay osay waha sai rozi milay gi jahan sai osay wahm o ghuman bhi na ho ga. (Ref : Kitab payam e shifa Pg # 232) ayat (rab’ban’a anzil alina . . . . . . khairur razaqeen )(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: Assalamu Alaikum Janab Mera naam Farhan khan Waldiyat Marhoom Farooque khan aur Marhooma Husaina Begum. Janb main kafi dino se bahut ziyada paresha chal raha hoon apni taleem puri karne ke baad bhe mujhko rizqnahi mil pa raha hai jisse mere haalat khasta haal ho chuke hain. App se ek gujarish hai ki mujhko sahi raah dikhayien aur ek Jayez rizq haasil karne mien meri madad karien. Allah Hafiz
Answer:
Note : Is website mai fiqh e jafaria k mutabiq jawabat diay jatay hain.
Surah e talaq surah#65 ayat#2 ka akhri hissa and ayat#3 puri rozana 3 baar parhain,awwal-o-aakhir aik martaba durood bhi parh lain,rizq main bohat izafa hoga,aur agar qarz ada kerna hai tu isi ayat ko rozana 21 baar parhain.(ref:book payame shifa pg#229). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: Assalam u alaikum janab main duniya ka sab se ameer aadmi banna chahta hu jis se main tamam muslim bhaiuyon ki maddad kar sakoo koi aasan aisa amal batla de jis se main ameer ban k aap jaise bhaiyo ki madad kar sakoo shukriya.
Answer: Surah e talaq surah#65 ayat#2 ka akhri hissa and ayat#3 puri rozana 3 baar parhain,awwal-o-aakhir aik martaba durood bhi parh lain,rizq main bohat izafa hoga,aur agar qarz ada kerna hai tu isi ayat ko rozana 21 baar parhain.(ref:book payame shifa pg#229). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: sir mia 1 saal se pakistan se bahir hon or eurap aye hoye 15 din ho gaye hian mia bara pareshan hon koi merey liye kuch nai kar raha mia farig hon merey family b bari pareshan hian ap mera istehara kar k batain k aya merey halat kab theek hon gay
Answer:
1)Hazrat Imam Jaffar e Sadiq a.s. ka farman he ke “Namaz e shab charey ko zeba(khoob surat) aur Aqhlaaq ko acha banati he. Aur insan ko khushboo daar karti he. Rizq ki ziadti aur qarz ki adaigi ka baes benti he ghum ko door karti aur aankooh ko noor ata karti he”. Aik aur irshad k aik jumla he k namaz e shab charahey ko safaid aur khoobsurat karti he. (ref : Kitab payam e shifa pg # 147)
2)Agar koi shakhs rozgar sai mehroom ho gya ho ya rozgar na milta ho to nochandi jumarat aur juma roza rakhay shab e juma mai bistr par janay sai pehlay surah yousuf ki ayat no. 54 say 56 tak aayat ko chnd martaba parhain. Roz e juma namaz e subah aur baad namaz e zohar in aayaat ki tilawat karay aur zohar aur asr k darmian in ayaat ko kaghaz par likhay baad e asr, maghrib aur isha bhi tilawat ko tark na karay aur bistr e khawb par tilawat karnay k baad 100 martaba “ la illaha il’lal’la ” aur 100 martaba “ Allaho akhbar ” aur 100 martaba “ Almamdo lil’lah ” aur 100 martaba “ subhan Allaha ” keh kar takiey(pillow) k nichay rakh kar so jae subah ko bedar honay k baad is noshtay ko taweez bana kar dahanay hath par bandh lay aur Khuda sai pukhta ehad karay k kisi par ziadti na karay ga. inshAllah jald rozgar mil jae ga. Aur agar koi shakhs ye ayaat nahi parh sakta to wo khud roza rakh kar ayaat kisi sai likhwa layaur in tasbeehaat ko parhta rahay. (Ref : Aasar e Ahlbait a.s. pg # 100-01)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: main duniya ka sab se ameer aadmi banna chahta hu halal tareeke se koi aisa khas amal batye ap ki meharbani hogi shukriya
Answer:
1)Hazrat Imam Jaffar e Sadiq a.s. ka farman he ke “Namaz e shab charey ko zeba(khoob surat) aur Aqhlaaq ko acha banati he. Aur insan ko khushboo daar karti he. Rizq ki ziadti aur qarz ki adaigi ka baes benti he ghum ko door karti aur aankooh ko noor ata karti he”. Aik aur irshad k aik jumla he k namaz e shab charahey ko safaid aur khoobsurat karti he. (ref : Kitab payam e shifa pg # 147)
2)Riwayat mai hai k jo shakhs subah k waqt kisi sai baat karnay sai pehlay 3 bar surah e maida ayat # 114 ki tilawat karay osay waha sai rozi milay gi jahan sai osay wahm o ghuman bhi na ho ga. (Ref : Kitab payam e shifa Pg # 232) ayat (rab’ban’a anzil alina . . . . . . khairur razaqeen )(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: asalam waleikum mufti saheb mai India se hu,mere sawal a hai ki hamare papa govt employee hai unka promotion 2 years se postpone hora hai plzz koie wazifa batayein jaldi se promotion k liye plz aur unke high officers aur colleagues b tang karthe hai office mein so plz esko b koie wazifa batayein plz allah hafiz
Answer: Kisi bhi jaiz maqsad mai qamiabi k lie pehlay 11 martaba darood sharif parhain aur phir 101 martaba ﻳﺎﺍﷲ ﻳﺎﺭﺤﻣﻥ ﻳﺎﺭﺤﻳﻢ ﻳﺎﻜﺭﻳﻢ ﻳﺎﺣﻰ ﻳﺎﻗﻳﻭﻢ parhain. (Ref: Naeem ul aamaal pg # 314)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: meri qualification complet ho gayi haipar abhi tak job nahi lagi hai me koi dua pata karna chahati hoon taki meri job jaldi lag jaye
Answer: Agar koi shakhs rozgar sai mehroom ho gya ho ya rozgar na milta ho to no-chandi jumarat aur juma roza rakhay shab e juma mai bistr par janay sai pehlay surah yousuf ki ayat no. 54 say 56 tak aayat ko chnd martaba parhain. Roz e juma namaz e subah aur baad namaz e zohar in aayaat ki tilawat karay aur zohar aur asr k darmian in ayaat ko kaghaz par likhay baad e asr, maghrib aur isha bhi tilawat ko tark na karay aur bistr e khawb par tilawat karnay k baad 100 martaba “ la illaha il’lal’la ” aur 100 martaba “ Allaho akhbar ” aur 100 martaba “ Almamdo lil’lah ” aur 100 martaba “ subhan Allaha ” keh kar takiey(pillow) k nichay rakh kar so jae subah ko bedar honay k baad is noshtay ko taweez bana kar dahanay hath par bandh lay aur Khuda sai pukhta ehad karay k kisi par ziadti na karay ga. inshAllah jald rozgar mil jae ga. Aur agar koi shakhs ye ayaat nahi parh sakta to wo khud roza rakh kar ayaat kisi sai likhwa layaur in tasbeehaat ko parhta rahay. (Ref : Aasar e Ahlbait a.s. pg # 100-01)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: ASLAM U ALIKUM.sir main kafi arsa sa out of country jana ka liya try kr raha job ka liya pr kam nhe ho raha kia karo
Answer: Agar koi shakhs rozgar sai mehroom ho gya ho ya rozgar na milta ho to nochandi jumarat aur juma roza rakhay shab e juma mai bistr par janay sai pehlay surah yousuf ki ayat no. 54 say 56 tak aayat ko chnd martaba parhain. Roz e juma namaz e subah aur baad namaz e zohar in aayaat ki tilawat karay aur zohar aur asr k darmian in ayaat ko kaghaz par likhay baad e asr, maghrib aur isha bhi tilawat ko tark na karay aur bistr e khawb par tilawat karnay k baad 100 martaba “ la illaha il’lal’la ” aur 100 martaba “ Allaho akhbar ” aur 100 martaba “ Almamdo lil’lah ” aur 100 martaba “ subhan Allaha ” keh kar takiey(pillow) k nichay rakh kar so jae subah ko bedar honay k baad is noshtay ko taweez bana kar dahanay hath par bandh lay aur Khuda sai pukhta ehad karay k kisi par ziadti na karay ga. inshAllah jald rozgar mil jae ga. Aur agar koi shakhs ye ayaat nahi parh sakta to wo khud roza rakh kar ayaat kisi sai likhwa layaur in tasbeehaat ko parhta rahay. (Ref : Aasar e Ahlbait a.s. pg # 100-01)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: Assalamu o alaikum, Hajrat, mai ek dukaan kholna chahta hoo, so, mai chahta hoo ki mera dukaan khoob kamiyabi ke saath permanent chalta rahe. so, mujhe koi aisa wajeefa dedo ki jisko padhne se customer khoob aaye permanently. Please reply to my question without fail please. Shukriya. Khuda Hafeez.
Answer:
1)Jo shakhs surah e hijr surah no. 15 ko likh kar apnay bazoo k sath bandh lai to os ki khareed o farookth ziada ho jae gi, log os say karoobar karna behtr samjhain gay aur jab tak ye likha hua is k pas ho ga Khuda k hokum say is ka rizq ziada ho ga. (Ref : Dunya Wa Akhirat ki 100 Pareshanion ka hal pg # 27)
2)Hazrat Imam Jaffar e Sadiq a.s. ka farman he ke “Namaz e shab charey ko zeba(khoob surat) aur Aqhlaaq ko acha banati he. Aur insan ko khushboo daar karti he. Rizq ki ziadti aur qarz ki adaigi ka baes banti hai ghm ko door karti aur aankooh ko noor ata karti he. (ref : Kitab payam e shifa pg # 147) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: ASSLAMO ALIEKUM SIR me rozgar ke lia boht preshan hun beshak ALLAH rozi deta ha lekin muje aisa lagta ha muj me koi aisi khobi nai ha jo mere rozgar me madad de na marketing na dealing na education na koi fun me maichor i mean age ke sath samjdar hona na wo hun aisa lagta ha ke ALLAH Muje moqa de gaein per me pehcahn na pao ya muj se kho jae ALLAH se har waqt dua kerta hun ke muje is qabil bna ke apne zor e bazo pe koi kam ker ke khud kafil ho sakoon kahi set nai hua aaj tak mein kabhi ik jaga kabhi dosre jaga meri is problem ko koi nai samjhta aap koi ayat btaein take meri rozgar ke problem hal ho jae ameen ALLAH MERI ROZGAR KA MASLA HAL FARMAYE AMEEN
Answer: Surah e Zariyaat(surah #51) aur surah e alam nashrah(surah # 94) k parhnay walay k lie Khair o barkat mai izafa aur rizq mai ziadti hoti hai aur is k ahl o ayal ki rozi wasee(ziada) hoti hai ye amal tajrba shuda hai. (Ref : Kitab payam e shifa Pg # 236 , ALLAH TAALA tofiqaat main izafa farmaae).
Question: assalm u alaikum mujhy job k liay koi wazeefa bata dijiay 4 saal sa job ni mil rae koi business karna chahta hon tou oss ma b rukawat hoti hai..... plz kuch bta dain jis sa mere mushkil asaan ho jay or mery rizq ka koi source ban jay. jaza kallah
Answer: Surah e talaq surah#65 ayat#2 ka akri hissa and ayat#3 puri yani(wa-maei yattqillaha yaj-al lahu makhraja sy........le kulle shaei-in qadra tak) rozana 3 baar parhain,awal-o-aakhir aik martaba durood bhi parh lain,rizq mai bohat izafa hoga,aur agr qarz ada krna hai tu isi ayat ko rozana 21 baar parhain.(ref:book payame shifa pg#229)
Question: Assalam o alaikum, Hazrat mera sawal hai ki mai kaam mai bahot susti karta hu per mai mhenat karna chata hu likin kuch smaj nahi ata ki kya karu koi wazifa ata karde ta ki ye kahili susti khatam ho jai
Answer: wssalam o alykum, her shab e jumma 100 martaba ism e mubaaraka al zaarro ki tilawat karna dolat o mansab k hosool k liye nihaayat mujarrab hai.(Ref : dunya o aakrat ki 100 pareshaniyoon ka hal , pareshani # 68 , pg # 63 , ALLAH tofiqaat main izafa farmaae).
Question: hum ten patner the jinhone matrimonial kola tha ab ek patner hut gae he or esa lagta he unhone mera office band diya he agar allha ki marzi he to thik he agar nak\hi to aap se dua he ke aap koi rasta bate
Answer: Jo shakhs surah e hijr surah no. 15 ko likh kar apnay bazoo k sath bandh lai to oski khareed o farookth ziada ho jae gi, log os say karoobar karna behtr samjhain gay aur jab tak ye likha hua is k pas ho ga Khuda k hokum say is ka rizq ziada ho ga. (Ref : Dunya Wa Akhirat ki 100 Pareshanion ka hal pg # 27) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: rizaq zaya karnay walo kay liye koi ayat jis mein rizaq zaya karnay walo kay liye saza ho
Answer: Surah e zariaat surah # 51 aur surah e alam nashrah surah # 94 k parhnay walay k lie khair o barkat mai izafa aur rizq mai ziadti hoti hai. (Ref : Payam E Shifa pg # 236)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: Assalamualaikum m india m jaipur m rhta hu aur m metal ka kaam krta hu lekin mjhe isme jyada munafa nhi hota h mjhe mere kaam ko badane aur mere munafe ko badane ka koi wajifa bta dijiye m aapke jawab ka intejar krunga khuda hafij.
Answer: Jo shakhs surah e hijr surah no. 15 ko likh kar apnay bazoo k sath bandh lai to oski khareed o farookth ziada ho jae gi, log os say karoobar karna behtr samjhain gay aur jab tak ye likha hua is k pas ho ga Khuda k hokum say is ka rizq ziada ho ga. (Ref : Dunya Wa Akhirat ki 100 Pareshanion ka hal pg # 27) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: Hazrat assalam o alaikum Mai mera chicken biryani ka karobar shuru karna chah raha hoo, aur bahot dino se dukan ki talaash kar raha hoo, lekin koi dukaan ka intezam nahi ho paraha hai, pareshan hoo. Koi aasan sa wajifa dedo, jis se mera dukaan ka bhi intezam ho jaye aur mera dukaan khoob achcha chale permanently. aamin.
Answer:
1)Kisi bhi jaiz maqsad main kamiyaabi k liay 11 martaba durood sharif prhnay k baad 101 mertabah perhain. (yaa Allaaho yaa rahmaano yaa raheemo yaa kareemo yaa hay’yo yaa qay’yoomo). (Ref: Naemul aamaal , Pg # 314).
2)Jo shakhs surah e hijr surah no. 15 ko likh kar apnay bazoo k sath bandh lai to oski khareed o farookth ziada ho jae gi, log os say karoobar karna behtr samjhain gay aur jab tak ye likha hua is k pas ho ga Khuda k hokum say is ka rizq ziada ho ga. (Ref : Dunya Wa Akhirat ki 100 Pareshanion ka hal pg # 27) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: i m very poor pls tell me prossies
Answer: Sura e al-Zariyaat ki her roz 1 martaba tilawat karain. (Ref : Dunya Wa Akhirat ki 100 Pareshanion ka hal , pareshani # 72 , pg # 76 , ALLAH TAALA tofiqaat main farmaae).
Question: Asalam o Alikum main jo b kam karta hon hamesha ulta hota hai. qarzy pe qarza charta ja raha hai so please koi amal btain jis se mery sary qarzay utar jain aur mera rizq mein b izafa ho aur job mein b taraqi ho
Answer:
1)Hazrat Imam Jaffar e Sadiq a.s. ka farman he ke “Namaz e shab charey ko zeba(khoob surat) aur Aqhlaaq ko acha banati he. Aur insan ko khushboo daar karti he. Rizq ki ziadti aur qarz ki adaigi ka baes banti hai ghm ko door karti aur aankooh ko noor ata karti he. (ref : Kitab payam e shifa pg # 147)
2)Imam raza a.s. farmatay hain k kisi bhi kaam ko start karnay sai pehlay khuda ka nam “ ﺍﻠﻤﺒﺪﺉ ” parhay to wo kaam apnay anjam ko pouchay ga. (Ref : Dunya o aakhirat ki 100 preshanio ka hal pg # 31-32)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: asllam walaikum mufti shaab aap koi essa tarika batayae jisse ghar mai roji mai barkat ho or imaan mazbut ho
Answer:
Riwayat mai hai k jo shakhs subah k waqt kisi sai baat karnay sai pehlay 3 bar surah e maeda ayat # 114 ki tilawat karay osay waha sai rozi milay gi jahan sai osay wahm o ghuman bhi na ho ga. (Ref : Kitab payam e shifa Pg # 232) ayat (rab’ban’a anzil alina . . . . . . khairur razaqeen )
Iman ki hifazat k lie hazrat Ali a.s. nai farmaya hai k Sadqa dai kar iman ki hifazat karo. Is k alawa iman k lie har namaz k baad dua ﺮﻀﻴﺖﺑﺍﷲ۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔ parhain. (Ref : Payam E Shifa pg # 118)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: AoA,MUJHY AAPNY HUSBAND KI JOB KE SILSILY ME AP SE KUCH POCHNA HAI KE HUM LOG 2007 SE BAHIR KI JOB KE LIYE APPLY KER RHY HAI OR AJ TAK KERTY REHY HAI ,MAGER AB TAK KUCH PATA NHI CHALA,HUM LOG ALLAH TALAH SE DUA KERTY REHTY HAI,HAMARY HUQ ME KYA BEHTER HAI BAHER JANA YA YEHI PE REHANA,AP PLZ MUJHY KOI WAZIFA KERNY K LIYE BATA DEI JIS SE HUMY ASANI HO SAKKY......SHUKRYA.
Answer: Dua e tawassul ko her waqt perh saktay hain,laikin kisi khaas maqsad k liay is dua ko musalsal 14 dino tak rozana namaz e fajar k baad aik 2 rakat namaz e hajaat ada kernay k baad perh ker dua maangain. insha allah parvadigar aap k haq me jo behtar hoga wo karega .(Ref: Naeem ul aamaal pg# 40-41) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: salam mera sawal ya hy ka please koi dua batiya ka meri job ho jay jahan ma chahta hoo or please roman ma batiya ku ka mujhe arabi parhni nhi ati
Answer:
1)Agar koi shakhs rozgar sai mehroom ho gya ho ya rozgar na milta ho to nochandi jumarat aur juma roza rakhay shab e juma mai bistr par janay sai pehlay surah yousuf ki ayat no. 54 say 56 tak aayat ko chnd martaba parhain. Roz e juma namaz e subah aur baad namaz e zohar in aayaat ki tilawat karay aur zohar aur asr k darmian in ayaat ko kaghaz par likhay baad e asr, maghrib aur isha bhi tilawat ko tark na karay aur bistr e khawb par tilawat karnay k baad 100 martaba “ la illaha il’lal’la ” aur 100 martaba “ Allaho akhbar ” aur 100 martaba “ Almamdo lil’lah ” aur 100 martaba “ subhan Allaha ” keh kar takiey(pillow) k nichay rakh kar so jae subah ko bedar honay k baad is noshtay ko taweez bana kar dahanay hath par bandh lay aur Khuda sai pukhta ehad karay k kisi par ziadti na karay ga. inshAllah jald rozgar mil jae ga. Aur agar koi shakhs ye ayaat nahi parh sakta to wo khud roza rakh kar ayaat kisi sai likhwa layaur in tasbeehaat ko parhta rahay. (Ref : Aasar e Ahlbait a.s. pg # 100-01)
2)Dua e tawassul ko her waqt perh saktay hain,laikin kisi khaas maqsad k liay is dua ko musalsal 14 dino tak rozana namaz e fajar k baad aik 2 rakat namaz e hajaat ada kernay k baad perh ker dua maangain. insha allah parvadigar aap k haq me jo behtar hoga wo karega .(Ref: Naeem ul aamaal pg# 40-41) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: salam sir m job ki waja se bhut zada pershan ho dil karta kia karo plz sir koi asa wazifa batie meri acci job lag jaie thanks
Answer: Agar koi shakhs rozgar sai mehroom ho gya ho ya rozgar na milta ho to nochandi jumarat aur juma roza rakhay shab e juma mai bistr par janay sai pehlay surah yousuf ki ayat no. 54 say 56 tak aayat ko chand martaba parhain. Roz e juma namaz e subah aur baad namaz e zohar in aayaat ki tilawat karay aur zohar aur asr k darmian in ayaat ko kaghaz par likhay baad e asr, maghrib aur isha bhi tilawat ko tark na karay aur bistr e khawb par tilawat karnay k baad 100 martaba “ la illaha il’lal’la ” aur 100 martaba “ Allaho akhbar ” aur 100 martaba “ Almamdo lil’lah ” aur 100 martaba “ subhan Allaha ” keh kar takiey(pillow) k nichay rakh kar so jae subah ko bedar honay k baad is noshtay ko taweez bana kar dahanay hath par bandh lay aur Khuda sai pukhta ehad karay k kisi par ziadti na karay ga. inshAllah jald rozgar mil jae ga. Aur agar koi shakhs ye ayaat nahi parh sakta to wo khud roza rakh kar ayaat kisi sai likhwa layaur in tasbeehaat ko parhta rahay. (Ref : Aasar e Ahlbait a.s. pg # 100-01)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: sir mera business phly buhat acha chulta tha lakin aab saab mery clients bhag jaty han buhat loss horaha ha last few months sy plz koi acha wazifa butain k mera business phir sy buhat ach hojay.
Answer: Jo shakhs surah e hijr surah no. 15 ko likh kar apnay bazoo k sath bandh lai to log os say karoobar karna behtr samjhain gay aur jab tak ye likha hua is k pas ho ga Khuda k hokum say is ka rizq ziada ho ga. (Ref : Dunya Wa Akhirat ki 100 Pareshanion ka hal pg # 27) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: Salam mene phly b Quston pucha tha ap ne ans nai dia bhot zyda zukam ki wja se mri awaz dab gai ha bolny me bhot problm ha rozgar b nai mil rha bolty bolty ruk jata hn log mazak uraty han plz my help khuda k wasty mri zndgi ka sawal ha plz plz plz plz plz plz plz
Answer:
1)Zukam mai haldi ka istemal nehayat mufeed hai aur hakeemo ki mutabiq is tajerbay ki tasdeeq hui hai. 4 masha haldi garam pani k sath subah phir aisi hi khoorak sham ko lai lain. (Ref : Apna dawakhana pg 27)
2)Riwayat mai hai k jo shakhs subah k waqt kisi sai baat karnay sai pehlay 3 bar surah e maeda ayat # 114 ki tilawat karay osay waha sai rozi milay gi jahan sai osay wahm o ghuman bhi na ho ga. (Ref : Kitab payam e shifa Pg # 232) ayat(rab’ban’a anzil alina . . . . . khairur razaqeen ) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: as salam walekkum hazrat main job kerta hu jo bhi paise kamata hu sub idher udher kherch ho jata hai main koi extra kharch bhi nahi hai or na hi koi galet shook hai phir bhi paise me berkhet nahi hoti aap se iltija hai ke kuch khero berket batayn
Answer: Surah e zariaat surah # 51 aur surah e alam nashrah surah # 94 k parhnay walay k lie khair o barkat mai izafa aur rizq mai ziadti hoti hai. (Ref : Payam E Shifa pg # 236)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: salam mera 2 problem han.. plz app bata han k main kai karn. 1.. mera bacha 3 mnth ka hai.. or woh doohd piny per bohat rota hai.. bohat zid karta hai app mjha koi dua bata han k main us pay dam kara k parn.. 2.. mera husband ko job nai mili rahi hai hum sub bohat problem main b han bata han k kai masala hai.. humari shadi main b bohat nazaran thik. or mera dilvery ka time pay b bohat problem howi... plz koi hal bata han..
Answer:
1)Agar surah ghashiya surah # 88 bachay par parhi jae to won a daray ga aur na roae ga. (Ref : Payam e Shifa pg # 288)
2)Agar koi shakhs rozgar sai mehroom ho gya ho ya rozgar na milta ho to nochandi jumarat aur juma roza rakhay shab e juma mai bistr par janay sai pehlay surah yousuf ki ayat no. 54 say 56 tak aayat ko chand martaba parhain. Roz e juma namaz e subah aur baad namaz e zohar in aayaat ki tilawat karay aur zohar aur asr k darmian in ayaat ko kaghaz par likhay baad e asr, maghrib aur isha bhi tilawat ko tark na karay aur bistr e khawb par tilawat karnay k baad 100 martaba “ la illaha il’lal’la ” aur 100 martaba “ Allaho akhbar ” aur 100 martaba “ Almamdo lil’lah ” aur 100 martaba “ subhan Allaha ” keh kar takiey(pillow) k nichay rakh kar so jae subah ko bedar honay k baad is noshtay ko taweez bana kar dahanay hath par bandh lay aur Khuda sai pukhta ehad karay k kisi par ziadti na karay ga. inshAllah jald rozgar mil jae ga. Aur agar koi shakhs ye ayaat nahi parh sakta to wo khud roza rakh kar ayaat kisi sai likhwa layaur in tasbeehaat ko parhta rahay. (Ref : Aasar e Ahlbait a.s. pg # 100-01)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: Aslam O Alikum berozgari hai.Koi b kam pora nai hota.pershani boht hai.plz ALLAH K Hukam se Mere masle ka hal bta dain.
Answer:
1)Riwayat mai hai k jo shakhs subah k waqt kisi sai baat karnay sai pehlay 3 bar surah e maeda ayat # 114 ki tilawat karay osay waha sai rozi milay gi jahan sai osay wahm o ghuman bhi na ho ga. (Ref : Kitab payam e shifa Pg # 232) ayat (rab’ban’a anzil alina . . . . . . khairur razaqeen )
2)Imam raza a.s. farmatay hain k kisi bhi kaam ko start karnay sai pehlay khuda ka nam “ ﺍﻠﻤﺒﺪﺉ ” parhay to wo kaam apnay anjam ko pouchay ga. (Ref : Dunya o aakhirat ki 100 preshanio ka hal pg # 31-32)
3)Har qism k gham aur pareshani k lie surah anaam ayat 17 ko sehri(fajar sai pehlay) k waqt likh kar apnay pas rakhay. (Ref : Payam E Shifa pg # 185)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: Assalam.o.Alaikum mera naam saira hai mere bhai ko job nahin mill rahi hai bohat pareshan hai koi hall bataen
Answer: Agar koi shakhs rozgar sai mehroom ho gya ho ya rozgar na milta ho to nochandi jumarat aur juma roza rakhay shab e juma mai bistr par janay sai pehlay surah yousuf ki ayat no. 54 say 56 tak aayat ko chand martaba parhain. Roz e juma namaz e subah aur baad namaz e zohar in aayaat ki tilawat karay aur zohar aur asr k darmian in ayaat ko kaghaz par likhay baad e asr, maghrib aur isha bhi tilawat ko tark na karay aur bistr e khawb par tilawat karnay k baad 100 martaba “ la illaha il’lal’la ” aur 100 martaba “ Allaho akhbar ” aur 100 martaba “ Almamdo lil’lah ” aur 100 martaba “ subhan Allaha ” keh kar takiey(pillow) k nichay rakh kar so jae subah ko bedar honay k baad is noshtay ko taweez bana kar dahanay hath par bandh lay aur Khuda sai pukhta ehad karay k kisi par ziadti na karay ga. inshAllah jald rozgar mil jae ga. Aur agar koi shakhs ye ayaat nahi parh sakta to wo khud roza rakh kar ayaat kisi sai likhwa layaur in tasbeehaat ko parhta rahay. (Ref : Aasar e Ahlbait a.s. pg # 100-01)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: mujhe please koi wazeefa batain jis se mera qarza aur rizq mein izafa ho.
Answer:
1)Riwayat mai hai k jo shakhs subah k waqt kisi sai baat karnay sai pehlay 3 bar surah e maeda ayat # 114 ki tilawat karay osay waha sai rozi milay gi jahan sai osay wahm o ghuman bhi na ho ga. (Ref : Kitab payam e shifa Pg # 232) ayat (rab’ban’a anzil alina . . . . . . khairur razaqeen )
2)Agar surah kahf qarz ada karnay k iraday say parhain to inshAllah qarz ada ho jae ga. Ya maqrooz adami har namaz k baad ba-qa’edgi say surah muzammil ki tilawat karay to qarz ada ho jae ga. (Ref : Kitab payam e shifa Pg pg # 240-41) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: Aasalam alikum. Ap ne meri friend k bohat confusion dur kar diye to meri b help kijiye mai ne P.G Kiya hai aur gar mai bethi hon muje job nai milta sb ofic mai sufarish chahye jo mere pas nai gar k halat b thek nai isiliye muje job ki ashad zorurat hai muje koye upai betaye jis se muje job mil jaye aur milne k baat boss muje par meharban rahe. Allha apki umer lambi kare. Answer zorur dijeye
Answer: Agar koi rozgar sai mehroom ho gya ho ya rozgar na milta ho to nochandi jumarat aur juma roza rakhay shab e juma mai bistr par janay sai pehlay surah yousuf ki ayat no. 54 say 56 tak aayat ko chand martaba parhain. Roz e juma namaz e subah aur baad namaz e zohar in aayaat ki tilawat karay aur zohar aur asr k darmian in ayaat ko kaghaz par likhay baad e asr, maghrib aur isha bhi tilawat ko tark na karay aur bistr e khawb par tilawat karnay k baad 100 martaba “ la illaha il’lal’la ” aur 100 martaba “ Allaho akhbar ” aur 100 martaba “ Almamdo lil’lah ” aur 100 martaba “ subhan Allaha ” keh kar takiey(pillow) k nichay rakh kar so jae subah ko bedar honay k baad is noshtay ko taweez bana kar dahanay hath par bandh lay aur Khuda sai pukhta ehad karay k kisi par ziadti na karay ga. inshAllah jald rozgar mil jae ga. Aur agar koi shakhs ye ayaat nahi parh sakta to wo khud roza rakh kar ayaat kisi sai likhwa layaur in tasbeehaat ko parhta rahay. (Ref : Aasar e Ahlbait a.s. pg # 100-01)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: salam janab mra sawal ye ke mre pas job to h lkn salery nhi ati salery 4 ya 5 mahine m milte h aur wo bhi ek mahine ki. m bhtt preshn ho gya hu mre pass paise bhi mhi hain. m bhtt tme se job talash kar rha hu lkn job nhi ho rhi h koi ase dua btai jo m padh li aur mre acchi job ho jai pls pls m bhtt preshn hu pls reply kre pls mre sth walo ko sb ko job mil gai hain lkn mjhe nhi mile h m bhtt preshn hu
Answer: Agar koi shakhs rozgar sai mehroom ho gya ho ya rozgar na milta ho to nochandi jumarat aur juma roza rakhay shab e juma mai bistr par janay sai pehlay surah yousuf ki ayat no. 54 say 56 tak aayat ko chnd martaba parhain. Roz e juma namaz e subah aur baad namaz e zohar in aayaat ki tilawat karay aur zohar aur asr k darmian in ayaat ko kaghaz par likhay baad e asr, maghrib aur isha bhi tilawat ko tark na karay aur bistr e khawb par tilawat karnay k baad 100 martaba “ la illaha il’lal’la ” aur 100 martaba “ Allaho akhbar ” aur 100 martaba “ Almamdo lil’lah ” aur 100 martaba “ subhan Allaha ” keh kar takiey(pillow) k nichay rakh kar so jae subah ko bedar honay k baad is noshtay ko taweez bana kar dahanay hath par bandh lay aur Khuda sai pukhta ehad karay k kisi par ziadti na karay ga. inshAllah jald rozgar mil jae ga. Aur agar koi shakhs ye ayaat nahi parh sakta to wo khud roza rakh kar ayaat kisi sai likhwa layaur in tasbeehaat ko parhta rahay. (Ref : Aasar e Ahlbait a.s. pg # 100-01)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: AoA! Mein paishay se aik Software Engineer hoon, mein chahta hoon mein apne shobay mein aur jahan mein kaam kar raha hoon khoob tarraqee paon aur senior level ka ohda loon. Is ke liye aap kya tajweez karengi. W.salam
Answer: Har shab e juma 100 martaba ism e Mubarak “ ﺍﻠﺿﺎﺮ ” ki tilawat karna daulat o mansab k husool k lie nihayat mujarrab hai. (Ref : Dunya o aakhirat ki 100 preshanio ka hal pg # 63)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: aoa janab mai wasim. aap se puchna chahta ho ki mai mach. diploma engg. houn . lekin kisi kam ka nahi main ramzan se pahle meri job chhut gayi hai . lekin ham kafi dino se aapna karobar karne ki soch rahe hai kouki mere walid apne kam me expart hai .lekin we abhi pvt. job karte hai. unki sallary me kafi wakt se ezafa nahi ho raha hai .lekin jab bhi kuch paise bachakar karobar ke liye sochte hai to parisani tangi aa jati hai ab maine karobar ke liye formet bhi le liya hai lekin is wakt rizk ki bahut tangi ho gayi hai . dil kar raha hai fir se noukri karu lekin noukri achhi nahi lag rahi hai .main jahan chhahta hu waha lag jaye ya walid ke rizk me ejafa zyada ho ya apna karobar kre usme barkat ho bulndi mile . aap se eltiza hai ki ranumai kre koi dua ya wazifa bataye aap ki meharbani hogi allah aapke elm me barkeat ata kare amin.
Answer: wssalam o alykum, ager sura e yosuf likha jaae or ghar main 3 din rakh liya jaae phir use wahan se utha kar ghar ki bhahar wali diwaar main ese rakha jaae ke kisi or ko na pata chale to INSHALLAH ALLAH TAALA ap ki tamaam jaiz hajatain pori farmaa de ga.(Ref : dunya o aakrat ki 100 pareshaniyoo ka hal , pareshani no # 30 , pg # 27 , ALLAH TAALA tofiqaat main izafa farmaae).
Question: Assalam wakekum Janab mai company mai designer hu lekin pichle kuch time se us company mujhse jhut bulwaya jq raha tha logo se unhe dhoka diya ja raha tha mere zarriyee the aur mujhe ramzan k time leave chaiye thi kyuki maine itekaaf mai baithna tha to woh bhi nahi de rahe the maine isi waja se maine resignn kar di thi lekin woh bhi accept nahi kiye theto maine jo date resign mai di thi usi date se kaine jana band kar di ab woh log meri salary nqhi dege aise kahe rahe hqi aap koi wazifa bataye jissse woh khud meri salary de de aur myjhe pareshan na kare please mujhe repky lijiyega. allah hafiz
Answer:
Wssalam o alykum, sura e anaam aayat no165 ko kisi safeed looh per kunda (naqsh karwa kar) kar ke apne paas rakhain,100 martaba is aayat ko phar kar apni company ke boss se apna matlab bayaan kare to INSHALLAH ALLAH TAALA ap ko kaamyabi aata kare ga.
(Ref : tajalliyaat e Quraan , pg # 52 , ALLAH TAALA tofiqaat main izafa farmaae).
Question: asalam alakum.sir ma 3 saal sa soutafrica ma apne 1 patnar k sath cellphone ka karobar kar raha hoan shoroan k 2 saal ma allah pak na bohat nawaza ha ab 4 mah pahle hum razi khushi ilag ho ga hain magar tab sa mera karobar dinbadin boht kam ho raha hai plz mahrbani kar k muje koi hal batain.allah ap ko is ka ajar da ga ameen
Answer:
Rasool Allah se manqool hadees ke mutabiq ap sura e zukhruf ko likh kar apne karobaar ki jaga per rakh dain to ALLAH TAALA ap ke karobaar main nafa o barkat aata farmaae gaa.(Ref : dunya o aakrat ki 100 pareshaaniyoon ka hal , pareshani # 31 , pg # 28).
Note ager ap ke sabiqa patner ka karobaar acha chal raha hai to us se is bare main mashoora lain.(ALLAH TAALA tofiqaat main izafa farmaae).
Question: Magrib k waqt sari lites q on kardi jati hain .islm me iski kia kia hesiat hhe he
Answer: Imam Jafar e Sadiq a.s. nai farmaya hain k garoob e aftaf(magrib) sai pehlay chirag roshan karna pareshani ko door karta hai aur rozi barhata hai. (Ref : Tehzeeb ul Islam pg # 489)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: mujhe naukri nahi milrahi hai bahut pareshn hu dua karo
Answer: 1)Riwayat mai hai k jo shakhs subah k waqt kisi sai baat karnay sai pehlay 3 bar surah e maeda ayat # 114 ki tilawat karay osay waha sai rozi milay gi jahan sai osay wahm o ghuman bhi na ho ga. (Ref : Kitab payam e shifa Pg # 232) ayat (rab,ban,a anzil alina . . . . . . khairur razaqeen ) 2)Agar surah kahf qarz ada karnay k iraday say parhain to inshAllah qarz ada ho jae ga. Ya maqrooz adami har namaz k baad ba-qa,edgi say surah muzammil ki tilawat karay to qarz ada ho jae ga. (Ref : Kitab payam e shifa Pg pg # 240-41) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: sir mera ye sawal hai k me jas rozgar p lagta hu wo kch hai manthe me chor data hu es ki koi waja
Answer: 1)Riwayat mai hai k jo shakhs subah k waqt kisi sai baat karnay sai pehlay 3 bar surah e maeda ayat # 114 ki tilawat karay osay waha sai rozi milay gi jahan sai osay wahm o ghuman bhi na ho ga. (Ref : Kitab payam e shifa Pg # 232) ayat (rab,ban,a anzil alina . . . . . . khairur razaqeen ) 2)Agar surah kahf qarz ada karnay k iraday say parhain to inshAllah qarz ada ho jae ga. Ya maqrooz adami har namaz k baad ba-qa,edgi say surah muzammil ki tilawat karay to qarz ada ho jae ga. (Ref : Kitab payam e shifa Pg pg # 240-41) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)