Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+


Question & Answers << Go Back

Topic: Rizq k liay wazifa (246 Questions)


Showing 150- 200 questions from 246 questions on this page.

Answers found for searched words
Id:
61128
Mujtahid:
Date:

Question: Gee aslam o alikum main dubai main food products ka business kar raha hoon liken mera business acha nahi chal raha main ne Allah Talah se apne per month profit ke dua kar raha hoon ke ya Allah pak mera par month profit itba kar dain sorry main bata nahi sakta ke main kitna mang raha hoon please muge kuch batain jis ke through mera profit jo main mang raha hoon wo muge ata ho gaye Allah Talah ki taraf se thanks

Answer: Riwayat mai hai k jo shakhs subah k waqt kisi sai baat karnay sai pehlay 3 bar surah e maida surah # 5, ayat # 114, ki tilawat karay osay waha sai rozi milay gi jahan sai osay wahm o ghuman bhi na ho ga. (Ref : Kitab payam e shifa Pg # 232) ayat (rab’ban’a anzil alina . . . . . . khairur razaqeen )(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
61150
Mujtahid:
Date:

Question: mera computer ka business tha or acha chal raha tha laikin phir aahista aahista kaam kum hoota gaya or ma bohat ziada qarz ma doob gaya hoon ab naya kaam start kiya ha liakin us ma b kamiyabi nahi ho rahi ap koi wazifa bataien jiski waja se mera karoba kamiyab hojaie

Answer: Riwayat mai hai k jo shakhs subah k waqt kisi sai baat karnay sai pehlay 3 bar surah e maida surah # 5, ayat # 114, ki tilawat karay osay waha sai rozi milay gi jahan sai osay wahm o ghuman bhi na ho ga. (Ref : Kitab payam e shifa Pg # 232) ayat (rab’ban’a anzil alina . . . . . . khairur razaqeen )(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id:
61221
Mujtahid:
Date:

Question: Asslam O Alaikum! Rizq kee bandish, bemari, bayroozgar aur qarz kee preshani kaa maslah mera aur meray baray bahi kaa pechlaay takreeban 7 saloon saay chal raha hai, abb gahr mein bohat ziada preshani shru hoo giee hai, koie kaam shru karein tou awal hota naheen hai aur agar shru hoo jiaay tou iss qadir preshani aur takaleef atien hein keh majboran khatam karna parta hai aur mazzed qarz mein chalaay jaty hein, Bray mehrbani koie wazifa bata dejay jis say mamulat thek hoo jien, Jazaak'ALLAH , wsalam...

Answer: Rizq k liay:
1-Surah e talaq surah#65 ayat#2 ka akri hissa and ayat#3 puri yani(wa-maei yattqillaha yaj-al lahu makhraja sy........le kulle shaei-in qadra tak) rozana 3 baar parhain,awal-o-aakhir aik martaba durood bhi parh lain,rizq mai bohat izafa hoga,aur agr qarz ada krna hai tu isi ayat ko rozana 21 baar parhain.(ref:book payame shifa pg#229)
2-Dur e nazeem main heh agar koe in teen naamo ko har rooz 11 mertabah perhe gat u oski tangi e mash wusat e rizq main badal jay gi. ‘الکریم الوھاب ذوالطول’(alkareemul wahaabo zut,taul). (Ref: Nawa e saliheen, pg#345).
3- kisi aik namaz k baad har roz 15 mertaba awwal o aakhir salawaat k sath sorah maida(sorah#5) ki ayat# 114 ayaat perha karain tu bay hisab rizq ki farawani hogi.(Ref: Nawa e saliheen, pg#345).
Qarz ki adaegi k liay:
1-Kitab sirrul mustatir sheikh bihae(r.h) main hazrat imam e riza a.s se riwayat hay k agar koe maqrooz ho or qarz ki adaegi ki koe sorat nazar nah aati ho tu sorah e ambiya(sorah#21) ki ayat# 87or 88 ko 442 mertabah perhe tu insha Allah os k qarze ki adaegi ki sorat paida ho jay gi.(Ref: Nawa e saliheen, pg#347).
2-Agar koe qarz daar ho jay tu sorah feel(sorah#105) ko likh ker bazo per baandh le tu is ka qarz ghaib se ada hoga. (Ref: Nawa e saliheen, pg#347).
3-Agar koe sorah deher(sorah#76) ko likh ker gale main daale tu is ka qarz ghaib se ada hoga. (Ref: Nawa e saliheen, pg#347).(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
61252
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Abul Qasim e Khoie Date:

Question: pakistan railway main job ly liyay apply kiya hai to raqawat a rai hai ap plz mje koi hall btai takay mera kam asani sy ho jai

Answer: 1-Surah e talaq surah#65 ayat#2 ka akri hissa and ayat#3 puri yani(wa-maei yattqillaha yaj-al lahu makhraja sy........le kulle shaei-in qadra tak) rozana 3 baar parhain,awal-o-aakhir aik martaba durood bhi parh lain,rizq mai bohat izafa hoga,aur agr qarz ada krna hai tu isi ayat ko rozana 21 baar parhain.(ref:book payame shifa pg#229)
2-Dur e nazeem main heh agar koe in teen naamo ko har rooz 11 mertabah perhe gat u oski tangi e mash wusat e rizq main badal jay gi. ‘الکریم الوھاب ذوالطول’(alkareemul wahaabo zut,taul). (Ref: Nawa e saliheen, pg#345).
3- kisi aik namaz k baad har roz 15 mertaba awwal o aakhir salawaat k sath sorah maida(sorah#5) ki ayat# 114 ayaat perha karain tu bay hisab rizq ki farawani hogi.(Ref: Nawa e saliheen, pg#345). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
61326
Mujtahid:
Date:

Question: Assalamoalaikum janab mai ek daulat mand insan banna chata hu mujhe daulat k liye koi amal bataye

Answer: Hazrat Imaam Jaffar o Sadiq (a.s) se marvi riwayat ke mutabiq Sura e yoosuf (sura no 12) ko likh kar 3 din apne ghar main rakhain or phir use wahan se utha kar ghar ki bahar wali dewaar main chupa dain ke koi is se muttale na ho. (Ref : Dunya Wa Akhirat ki 100 Pareshanion ka hal , pareshani no # 30 , pg # 27 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).

Print

Id:
61636
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Abul Qasim e Khoie Date:

Question: AoA, Sir main 7 months say out of job hon. Jahan bhe apply kerta hon koi jawab nahe milta, Bhot preshani hay baray meharbani rehnumai farmain.

Answer: Wssalam o alykum, Hazrat Imaam Jaffar o Sadiq (a.s) se marvi riwayat ke mutabiq Sura e yoosuf (sura no 12) ko likh kar 3 din apne ghar main rakhe or phir use wahan se utha kar ghar ki bahar wali dewaar main chupa de ke koi is se muttale na ho. (Ref : Dunya Wa Akhirat ki 100 Pareshanion ka hal , pareshani no # 30 , pg # 27 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai)

Print

Id:
61893
Mujtahid:
Date:

Question: Salam.. mere shohar ka garmio ka season h km ka lkn un ka km ni chulta market down rehti h bht preshan h ghr mai betiya h un ki parhai likhai ki bht tnsn rehti h ghr ka khrcha bht e mushkil sy niklta plzzz koi wazifa bta dyn jo mai kr sku or rizq mai barket pry..

Answer: Riwayat mai hai k jo shakhs subah k waqt kisi sai baat karnay sai pehlay 3 bar surah e maida surah # 5, ayat # 114, ki tilawat karay osay waha sai rozi milay gi jahan sai osay wahem o ghuman bhi na ho ga. (Ref : Kitab payam e shifa Pg # 232). Update on dated 17-04-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
61918
Mujtahid:
Date:

Question: asslamu alikium mera naam saad hai waise to allah ka shukr h papa bahr rhte h or kamte bhi acha hai lekin unhe bohe time ho chuka hai bahr rhte hue to ab mai ye chahta hu k allah muje itni rozi ata krde k mai apne ppapa ko india bhi bula saku or unhe yha kam na krna pade or apni famly ko ache se chala saku koi wazifa btaye plz

Answer: Riwayat mai hai k jo shakhs subah k waqt kisi sai baat karnay sai pehlay 3 bar surah e maida surah # 5, ayat # 114, ki tilawat karay osay waha sai rozi milay gi jahan sai osay wahm o ghuman bhi na ho ga. (Ref : Kitab payam e shifa Mafhoom e Pg # 232). Update on dated 17-04-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
62160
Mujtahid:
Date:

Question: Sir I am pharmacist by profession and doing a job at d Watson pharmacy but I am not satisfied with my job. There is no scope of pharmacy I want to go us for clinical residency training program I had tried alot but there is a hurdle in my way. Kindly tell me prayer.I had also given gat general exam many times. But not successful,tomorrow is my result kindly pray for me. I am also doing css my papers are going to start from 14th Feb to 22nd Feb. Kindly tell me dua. I regularly offer prayer and recitation of holy quran but alot of hurdles I am facing. I have no brother I am the elder sister and having alot of responsibilities.

Answer: Riwayat mai hai k jo shakhs subah k waqt kisi sai baat karnay sai pehlay 3 bar surah e maida surah # 5, ayat # 114, ki tilawat karay osay waha sai rozi milay gi jahan sai osay wahm o ghuman bhi na ho ga. (Ref : Kitab payam e shifa Pg # 232) ayat (rab’ban’a anzil alina . . . . . . khairur razaqeen )
Jo kohe kise hajat k lie surah yaseen ki ayat no:40 ko 7 baar perhe to is ki hajat pure hoghe. ( ref: payaam shifa, pg: 249)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
62236
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ruhollah Khomeini Date:

Question: Janab rizq k hawaley se sur-e-yousuf ko likh kar ghar k bahir wali diwar mey chupa dyny waley wazeefay ki mazeed maloomat ki darkhuwast hey. Kia poray sur-e-yousuf ko aeyrab k sath yani zair zabar paish k sath likhni hey ya bagair airab k bhi likhi ja sakhti hey. dono mey afzal tareeh amal kon sa hoga? please jaldi jawab dijiey ga. Shukria.

Answer: Riwayat mai hai k jo shakhs subah k waqt kisi sai baat karnay sai pehlay 3 bar surah e maida surah # 5, ayat # 114, ki tilawat karay osay waha sai rozi milay gi jahan sai osay wahm o ghuman bhi na ho ga. (Ref : Kitab payam e shifa Pg # 232) ayat (rab’ban’a anzil alina . . . . . . khairur razaqeen )(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
62242
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Abul Qasim e Khoie Date:

Question: how i can get continue jobs?

Answer: Riwayat mai hai k jo shakhs subah k waqt kisi sai baat karnay sai pehlay 3 bar surah e maida surah # 5, ayat # 114, ki tilawat karay osay waha sai rozi milay gi jahan sai osay wahm o ghuman bhi na ho ga. (Ref : Kitab payam e shifa Pg # 232) ayat (rab’ban’a anzil alina . . . . . . khairur razaqeen )(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
62329
Mujtahid:
Date:

Question: Assalam O Alaikum, Janab e mohtram. mera ye sawal ha k ma mulk se bahar jana chahta ho apnay rozgar k lye. Baraye maharbani Quran o Sunnat k hawalay se koi waziffa inayat farmaye. Jazakumullah Ahsanul jaza fid darain e khair.

Answer: Agar koi shakhs rozgar sai mehroom ho gaya ho ya rozgar na milta ho to nochandi jumeraat aur juma roza rakhay, shab e juma mai bistr par janay sai pehlay surah yousuf ki ayat no. 54 say 56 tak aayat ko chand martaba parhain. Roz e juma namaz e subah aur baad namaz e zohar in aayaat ki tilawat karay aur zohar aur asr k darmian in ayaat ko kaghaz par likhay, baad e asr, maghrib aur isha bhi tilawat ko tark na karay aur bistr e khawb par tilawat karnay k baad 100 martaba “ la illaha il’lal’la ” aur 100 martaba “ Allaho akhbar ” aur 100 martaba “ Almamdo lil’lah ” aur 100 martaba “ subhan Allaha ” keh kar takiey(pillow) k nichay rakh kar so jae subah ko bedar honay k baad is noshtay ko taweez bana kar dahanay hath par bandh lay aur Khuda sai pukhta ehad karay k kisi par ziadti na karay ga. inshAllah jald rozgar mil jae ga. Aur agar koi shakhs ye ayaat nahi parh sakta to wo khud roza rakh kar ayaat kisi sai likhwa laye aur in tasbeehaat ko parhta rahay. (Ref : Aasar e Ahlbait a.s. pg # 100-01) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
62380
Mujtahid:
Date:

Question: job nhi lag rhi

Answer: 1-Surah e talaq surah#65 ayat#2 ka akri hissa and ayat#3 puri yani(wa-maei yattqillaha yaj-al lahu makhraja sy........le kulle shaei-in qadra tak) rozana 3 baar parhain,awal-o-aakhir aik martaba durood bhi parh lain,rizq mai bohat izafa hoga,aur agr qarz ada krna hai tu isi ayat ko rozana 21 baar parhain.(ref:book payame shifa pg#229)
2-Dur e nazeem main heh agar koe in teen naamo ko har rooz 11 mertabah perhe gat u oski tangi e mash wusat e rizq main badal jay gi. ‘الکریم الوھاب ذوالطول’(alkareemul wahaabo zut,taul). (Ref: Nawa e saliheen, pg#345).
3- kisi aik namaz k baad har roz 15 mertaba awwal o aakhir salawaat k sath sorah maida(sorah#5) ki ayat# 114 ayaat perha karain tu bay hisab rizq ki farawani hogi.(Ref: Nawa e saliheen, pg#345).

Print

Id:
62521
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ruhollah Khomeini Date:

Question: Salam. Mey kafi pareyshan hoon. mey ny 2010 mey Economics mey Masters kia 1st division mey or phir agay parhnay k liey irada kia. Admission bhi ho gaya lakin M.phil ki thesis likhnay se pehlay course work mey kam number anay or financial crisis ki waja se taleem adhori reh gai. Mey agay parh sakhta hoon lakin financial crisis bohot hain. 2011 se 2015 agaya hey.. jis jaga interview dyta hoon wapis call nahi ati ya interview k liey bulatay he nahi hain. Aik bank mey job lagi thi lakin wahan ziyada pressure honay or logo k galat rawiyeh ki waja se job chorni pari. 17 years education k bawajood job nahi mil parahi hey. meray sath k kai dost achi jaga job kar rahy hain.. kabhi kabhi dil mey suicide karny ka khayal ata hey lakin phir Allah ki zaat pe yaqqen rakhta hoon k halat hamesha aik jaysy nahi rahain gy. Mey behtreen rozgar chahta hoon lakin sifarishat kafi hoti hain. Karon tu kia karo? kahan jaoon? kis se madad mangoon? Government job tu kia mughey private job bhi nahi mil pa rahi hey. mughey nahi maloom k masla kia hey? kisi ka dil dukha dia koi gunnah kar dia? Please meri rehnumai karain. Bohot shukria k sath apkay jawab ka muntazir.

Answer: 1-Surah e talaq surah#65 ayat#2 ka akri hissa and ayat#3 puri yani(wa-maei yattqillaha yaj-al lahu makhraja........le kulle shaei-in qadra) rozana 3 baar parhain,awal-o-aakhir aik martaba durood bhi parh lain,rizq mai bohat izafa hoga,aur agr qarz ada krna hai tu isi ayat ko rozana 21 baar parhain.(ref:book payame shifa pg#229)
2-Dur e nazeem main he agar koi in teen naamo ko har rooz 11 mertabah perhe ga tu oski tangi e mash wusat e rizq main badal jay gi. ‘الکریم الوھاب ذوالطول’(alkareemul wahaabo zut,taul). (Ref: Nawa e saliheen, pg#345).
3- Kisi aik namaz k baad har roz 15 mertaba awwal o aakhir salawaat k sath sorah maida(sorah#5) ki ayat# 114 ayaat perha karain tu bay hisab rizq ki farawani hogi.(Ref: Nawa e saliheen, pg#345).
Note: Khudkushi aik haram kaam hai. Allah Taala ne insaan ko zindagi jaisi azeem nemat se nawaza ha lihaza insaan ko chaye ke is nemat per Allah Taala ka khas shukar ada karay or is zindagi ka maqsad(Marifat e Khuda or Ibadat e Khuda) ko pora karay. Allah Taala ki khusnodi ke liye os ke ahkaam ke mutabik apni zindagi guzaray. Masail tu zindagi ka hissa ha, insaan ko chaye ke Ahlebait(a.s) ke btay hoy raastay per amal kartay hoy in masail ka saamna karay or Allah Taala ki riza per razi rahay or os per mukammal bharoosa karay.

Print

Id:
63193
Mujtahid:
Date:

Question: AOA, mera naam naveed hussain aadil hy age 45 yrs hy, main bohat bemaar rehta hu psycho ho gya hu, me ne dubai me construction ka business start kia tha aj se 4 saal pehlay lekin aaj tak aik rupay ka profit nahi hua, main bohat pareshan rehta hu or business loss pe ja reha hy shuru se hi, log kaam kerwatay hy magar cheque ya cash nahi detay kabhi labour sath chore deti hy, or main din me 18 se 20 ghentay sota hu, gari me jaun kahin to drive kerta hua so jata hu 2 bar accident hua hy, bohat jagah se amliyaat kerwaye magar faida nahi hua, plz do something for me by the Grace of GOD MIGHTY ALLAH

Answer: 1) Riwayat mai hai k jo shakhs subah k waqt kisi sai baat karnay sai pehlay 3 baar surah e maida surah # 5, ayat # 114, ki tilawat karay osay waha sai rozi milay gi jahan sai osay wahm o ghuman bhi na ho ga. (Ref : Kitab payam e shifa, Mafhoom e Pg # 232).
2)Neend kam karne k lie: para#8, surah aaraaf ki ayat# 54 se 56 perh kar Allah se neend kam karne ki dua kare . (Ref: payaam shifa, pg#185). Update on dated 22-04-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
63239
Mujtahid:
Date:

Question: Assalamalakum sir mere father ka gahrelo cheezo ka dukhan hai waha bepar nahe ho rah hai achche se achcha bepar ke liye duwa boleye plz is ki waje se mere aabbu bahut pareshan rehete hai....

Answer: Surah e Zariyat(surah #51) aur surah e alam nashrah(surah # 94) k parhnay walay k lie Khair o barkat mai izafa aur rizq mai ziadti hoti hai aur is k ahl o ayal ki rozi wasee(ziada) hoti hai ye amal tajrba shuda hai. (Ref : Kitab payam e shifa Mafhoom e Pg # 236). Update on dated 17-04-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
63273
Mujtahid:
Date:

Question: Asalamalaikum sir mere abbu aur husband ke achchi kamai ke liye koi wazifa bataiye sir aap se ajizana guzaresh hai k is sawalo ka jaldse jald jawab dijeye is ke liye mai intezar karungi

Answer: Riwayat mai hai k jo shakhs subah k waqt kisi sai baat karnay sai pehlay 3 bar surah e maida surah # 5, ayat # 114, ki tilawat karay osay waha sai rozi milay gi jahan sai osay wahm o ghuman bhi na ho ga. (Ref : Kitab payam e shifa, Mafhoom e Pg # 232) Update on dated 30-04-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
63275
Mujtahid:
Date:

Question: i wish to wazifa to increase in wealth/ dast-e-ghaib, prize bond. etc plz help

Answer: Riwayaat main hai k jo shakhs subah k waqt kisi sai baat karnay sai pehlay 3 bar surah e maida surah # 5, ayat # 114, ki tilawat karay osay waha sai rozi milay gi jahan sai osay wahm o ghuman bhi na ho ga. (Ref : Kitab payam e shifa, Mafhoom e Pg # 232) Update on dated 30-04-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
63700
Mujtahid:
Date:

Question: sir mujhe please koi Hal bataia Jo bhi kam ho ne se pehle khatm hojata hai aur my ne tijarath me dhokd nahi diya phir bhi my nuksaan me hu mera har kam ulta hojata hai

Answer: Hazrat Imaam Jaffar o Sadiq (a.s) se marvi riwayaat k mutabiq, Sura e yosuf (sura#12) ko likh kar 3 din apne ghar main rakhain or phir usay wahan se utha kar ghar ki bahar wali dewaar main chupa dain ke koi is se muttale nah ho. (Ref : Dunya Wa Akhirat ki 100 Pareshanion ka hal , pareshani no # 30 , pg # 27). Update on dated 05-05-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
63707
Mujtahid:
Date:

Question: As salamu alaykum, mein saal 2007 say naukri key bina pareshan hun, jit ne bhi naukri aati gayi usmey 6mahino say zyada naukri nahi karpa rahahun, mein germany, canada bhi gaya tha naukri ki talash mein lakin nakamiyab tha, meri biwi bhi naraz ho kar mujpar ilzzam lagga kar mujey meri pareshani me chodkar mikey chali gayi, meray upar karaz ke bhoj be bahut hey, mujjey kuch wazifa batadey ke meri naukri lag ja ye, merey karaz katam ho aur meri biwi hachey aklak sey wapas akkar merey sat zindagi betayen

Answer: 1-Surah e talaq surah#65 ayat#2 ka akri hissa and ayat#3 puri yani(wa-maei yattqillaha yaj-al lahu makhraja sy........le kulle shaei-in qadra tak) rozana 3 baar parhain,awal-o-aakhir aik martaba durood bhi parh lain,rizq mai bohat izafa hoga,aur agr qarz ada krna hai tu isi ayat ko rozana 21 baar parhain.(ref:book payame shifa, Mafhoom e pg#229)
2- kisi aik namaz k baad har roz 15 mertaba awwal o aakhir salawaat k sath sorah maida(sorah#5) ki ayat# 114 perha karain tu bay hisab rizq ki farawani hogi.(Ref: Nawa e saliheen, Mafhoom e pg#345). Update on dated 02-05-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
63718
Mujtahid:
Date:

Question: aslm u alaikm mere walid sahab saudi me hain waha driver hain apki gaye hain to unka kaam hi nhi ban rha h kafil hakama nhi de rha h. begair hakame k koi kaam nhi hota hum teen behne h bhai nhi h hame walid sahab k rozi me barkat aur hakama mil jaye islie kuch wazifa bataiye aur wo.wahin rozibse lage rahein q k yaha hamra koi dahand pani nhi h koi wazifa batiye k kafil hakam de de mere walid ka naam mohd ayaz h aur kafil ka naam abdullah abdul rehman shahbani h.plz jaldi rply kijiye

Answer: 1-Surah e talaq surah#65 ayat#2 ka akri hissa and ayat#3 puri yani(wa-maei yattqillaha yaj-al lahu makhraja sy........le kulle shaei-in qadra tak) rozana 3 baar parhain,awal-o-aakhir aik martaba durood bhi parh lain,rizq mai bohat izafa hoga,aur agr qarz ada krna hai tu isi ayat ko rozana 21 baar parhain.(Ref:book payame shifa, Mafhoom e pg#229)
2- kisi aik namaz k baad har roz 15 mertaba awwal o aakhir salawaat k sath sorah maida(sorah#5) ki ayat# 114 perha karain tu bay hisab rizq ki farawani hogi.(Ref: Nawa e saliheen,Mafhoom e pg#345). Update on dated 02-05-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
63730
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ruhollah Khomeini Date:

Question: Jinab qarz main doba hoa ho nokri nahe chor sakta qarz ki waja se meherbane farma ker kuch batayenh khe mera qarz utar jaye.

Answer: Hazrat Imam Jaffar Sadiq (a.s) se marvi riwayaat k mutabiq, Surah e yousuf (sura#12) ko likh kar 3 din apne ghar main rakhain or phir use wahan se utha kar ghar ki bahar wali dewaar main chupa dain k koi is se muttale nah ho. (Ref : Dunya Wa Akhirat ki 100 Pareshanion ka hal , pareshani no # 30 ,Mafhoom e pg # 27). Update on dated 02-05-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
63849
Mujtahid:
Date:

Question: Assalam O Alaikum. Hazratjee, mai berozgar hoo, koi rozi chahe private ho ya Government ho nahi mil rahi. Mai bahot pareshan hoo. Mai shadi shooda hoo aur mujhe 2 bachche hai. Please iska kuch hal batladeejeeye. PLEASE, PLEASE, PLEASE REPLY MY QUESTION SOON. Shukriya.

Answer: Wssalam o alykum, Surah e Hijr (surah#15) ko likh kar apnay bazo k sath bandh lain. (Ref: Dunya Wa Akhirat ki 100 Pareshanion ka hal , pareshani no # 30 ,Mafhoom e pg # 27). Update on dated 01-05-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
63925
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: salam,mera msla ye hai k mera rishta 1:30 sal phlay hochuka hai meray dadehal main par meray mangetar ki job nhe horae ta'k shadi ho.baraye meherbani koe wazifa inayat farmayen q k hum dno chahtay hain isi year shadi hojaye q k mslay bht araye hain bht log hmaray dushman hain tou plzz koe dua wagera bta di jiye ta'k jald unki job and hmari shadi ka intezam hojaye isi saal..

Answer: Riwayat mai hai k jo shakhs subah k waqt kisi sai baat karnay sai pehlay 3 bar surah e maida surah # 5, ayat # 114, ki tilawat karay osay waha sai rozi milay gi jahan sai osay wahm o ghuman bhi na ho ga. (Ref : Kitab payam e shifa Pg # 232) Update on dated 24-04-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
63929
Mujtahid:
Date:

Question: Asalam Alakum sir mara masla ya hay ka may na jo be exam daya ha job ka lay us ko may na Allah Pak ke madad say pass kaya hay mari job be ho jati ha lakin phir kuch dino ka bad muja us post say hata daya jata hay or kisi or ko select kaya jata hay ya mara sat kahi bar howa ha ( Meharbani farma kr Qurani dua bataya ta ka Allah pak mara ya masla hall kara Allah Pak ap ko is ka sawab day )

Answer: Riwayat mai hai k jo shakhs subah k waqt kisi sai baat karnay sai pehlay 3 bar surah e maida surah # 5, ayat # 114, ki tilawat karay osay waha sai rozi milay gi jahan sai osay wahm o ghuman bhi na ho ga. (Ref : Kitab payam e shifa, Mafhoom e Pg # 232) . Update on dated 24-04-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
65834
Mujtahid:
Date:

Question: mara sawal he k koe dua batain dukan chalny ki

Answer: Surah e Zariyaat(surah #51) aur surah e alam nashrah(surah # 94) k parhnay walay k lie Khair o barkat mai izafa aur rizq mai ziadti hoti hai aur is k ahl o ayal ki rozi wasee(ziada) hoti hai ye amal tajrba shuda hai. (Ref : Kitab payam e shifa, Mafhoom e Pg # 236). Update on dated 24-06-2015 (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)(Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
66036
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Salam once again,Meny phly b apsey question kara tha job and shadi k hawalay se(question ID 63925) apney mja jo surah maida ki ayat 114 btae ti wo meny b parhi nd mery fioncee ne b nd bht koshishain ki hai job ki koe response nae araha phr molana se pata karwaya tou hamaray har kaam pe bandish karae gae hai meri step mother ki taraf se,i dont know allah behtar janta hai unko humse kyun bughz hai samnay hamari mukhlis bnti hain peet pechay ye sab hai hum dono boht pareshan hain plzzzz imam-e-zamana a.s k sadqay main hamari help karain 3 br bndish karae hai unho ne job nd shadi pe,mry fioncee ne phr khulwae 2 br mgr dobara krwadeti hai plsss koe hal koe dua bataen k step mom raah-e-raast pe ajaen humain ek hony dain q k we can't live without eachother humara alag hona possible nahi hai q k hum mian b.v k pakeza rishtay main bandhay huey hain sharai tor per, secretly hum dno k siwa ghar ka koe fard nahi janta ye baat.kindly help us sir,waiting for ur reply 3 saal honay walay hain humari engagement ko or job ki waja se shadi ka koe asra nahi.plzzz help me mja hazaron ki job ki khuwahsh nhi bs itna ho k 2 waqt ki roti izat se khali jae.apka ehsan hoga hum per.main hmsha ayatullah sistani k liye duago rahungi.

Answer: Surah e talaq surah#65 ayat#2 ka akri hissa and ayat#3 puri yani(wa-maei yattqillaha yaj-al lahu makhraja sy........le kulle shaei-in qadra tak) rozana 3 baar parhain,awal-o-aakhir aik martaba durood bhi parh lain,rizq mai bohat izafa hoga,aur agr qarz ada krna hai tu isi ayat ko rozana 21 baar parhain.(Ref:book payame shifa, Mafhoom e pg#229). Update on dated 29-06-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
66862
Mujtahid:
Date:

Question: Mere husband ny ak job k lite apply kiya hai ...koi dua ya wazeefa bata due k in kitaraf sy acha response aye ...plz reply soon

Answer: Husool rizq or taraqqi e rizq k liay sab se pehlay 11 mertaba salawaat perha jay phir 141 mertaba یا رزاق ارزقنی “yaa razzaaqo orzuqnee”. Update on dated 27-08-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
66973
Mujtahid:
Date:

Question: Salam molna sahb muja zahni prshni hy mra Ahn m ismic khylat aty hy har waqt ya kor pak kalam prta rhta hun jb k bgar wazoo k or asi jago p prna jha ghndgi ho prna ghlt hy m koshesh krta hun pr pir b a jty hy or khud kalmi krta rhta hun or ya dar laga rhta hy ka mri duaa qabool hoe k nhe 4 sal sa bay tozgar hun shdi ke khwish hy pr barozgri ke waja sa nhe kr sakta abi plz wafiza bta

Answer: 1)Baghair wuzu kalma or quran perhna jaiz hay agarchah behter hay k ba-wuzu perha jaey. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #321).
Surah e talaq surah#65 ayat#2 ka akri hissa and ayat#3 puri yani(wa-maei yattqillaha yaj-al lahu makhraja sy........le kulle shaei-in qadra tak) rozana 3 baar parhain,awal-o-aakhir aik martaba durood bhi parh lain,rizq mai bohat izafa hoga (Ref:book payame shifa, Mafhoom e pg#229). Update on dated 24-08-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
67509
Mujtahid:
Date:

Question: aslamoeliakum mara swal hai k jb sy mari shadi hoe hai hamary ghar may rizak ana band hogia hai or na hi ulad hai mary husband bot mahnat karty hai jo b kamm shuro karty hai kharab hojata hai nuksan hojata hai laria b karty hai or unho ny mjy mari ami ghr shor dia or khty hai k lyny ajo ga vo khty mari vja say rizak nae ata or jadoo ka b asar hai un par ab may ami ghar ho or un k pas jana chati ho ap please madad farmayn k mary husband mjy lyny ajayn koi wazeefa bta dyn please bot mehrbani hogi apki shukaria

Answer: Surah e Zariyaat(surah #51) aur surah e alam nashrah(surah # 94) k parhnay walay k lie Khair o barkat mai izafa aur rizq mai ziadti hoti hai aur is k ahl o ayal ki rozi wasee(ziada) hoti hai ye amal tajrba shuda hai. (Ref : Kitab payam e shifa, Mafhoom e Pg # 236). Update on dated 23-09-2015 (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)(Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
70250
Mujtahid:
Date:

Question: Assalamulaikum Mera sawal hai ki jab se Meri shadi Hui hai mere shohar ke dhande me kami hona shuru ho gayi or Ab to halat Ye hai ki kaam bilkul hi band ho gaya hai kamai or rozgar ka koi jariya nahi hai is I vajah se hamare bich bahut bar ladai ni ho jati hai or Kuch zadu ka asar bhi bata rahe hai Meharbani kar ke koi half ya wazifa batae jisse rizk or rozgar ka koi zariya ban sake or hamari zindagi me Kuch sukoon aae plzz Meri madad kijiye plzzz

Answer: Surah e Zariyaat(surah #51) aur surah e alam nashrah(surah # 94) k parhnay walay k lie Khair o barkat mai izafa aur rizq mai ziadti hoti hai aur is k ahl o ayal ki rozi wasee(ziada) hoti hai ye amal tajrba shuda hai. (Ref : Kitab payam e shifa, Mafhoom e Pg # 236). Update on dated 23-09-2015 (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye). Update on dated 02-03-16. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
70441
Mujtahid:
Date:

Question: Aoa..mery shohar ki ek saal se nokri nahi hai.27 January ko hum Dubai gy job ki talash mai.mai ek mahina reh k nakam wapis agae wo abhi wahin hain.unka 3 months ka visa hai..mai chahti hun k unko jald achi c job mil jy q k mai bht mushkil waqt guzar the hun.UN k parents nai chahty k wo bahar settle houn..mai bht pareshan hun.plz koi wazifa bta dain.or ye b k hmy nokri mil jy ge k nahi.. Husband name: Raheel Ahmed Khan Mother name: fehmida My name:maryam Nadeem Mother name: farzana

Answer: Surah e talaq surah#65 ayat#2 ka akri hissa and ayat#3 puri yani(wa-maei yattqillaha yaj-al lahu makhraja sy........le kulle shaei-in qadra tak) rozana 3 baar parhain,awal-o-aakhir aik martaba durood bhi parh lain,rizq mai bohat izafa hoga,aur agr qarz ada krna hai tu isi ayat ko rozana 21 baar parhain.(Ref:book payame shifa, Mafhoom e pg#229). Update on dated 15-03-2016. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
70806
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: asalam o allikum sir mare sath mushkil ha or wo ya k ma ne shop ki ha lakin us ma sale nahi ho rahi pichle 3 months se apne pass se expenses utha raha hon koi hal batain k karobar ma taraqi ho

Answer: Surah e talaq surah#65 ayat#2 ka akri hissa and ayat#3 puri yani(wa-maei yattqillaha yaj-al lahu makhraja sy........le kulle shaei-in qadra tak) rozana 3 baar parhain,awal-o-aakhir aik martaba durood bhi parh lain,rizq mai bohat izafa hoga,aur agr qarz ada krna hai tu isi ayat ko rozana 21 baar parhain.(Ref:book payame shifa, Mafhoom e pg#229). Update on dated 16-04-2016. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
71794
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Assalam u Alykum me ne last year 01-05-2015 me apna karobar shuru kia tha shop ke the photo state ke kam mera the chal raha tha kuch amdani bhe thk the par 01-02-2016 me ne wo shop chor k us k brabr me shop le or jb se mera kam bilkul band h or me boht pareshan hun qarza bhe ho gaya h mujh pe plz ap btain me kya kru koi wzifa bta dain ya istekhara krin mujha koi advice dain mujh pe boht zima dariyan hain or me apni amdani ke waja se un pe pura nhi utar pa raha me apna burha waldin ka iklota sahara hu or boht pareshan hun

Answer: Riwayaat main hay k jo shakhs subah k waqt kisi sai baat karnay sai pehlay 3 baar surah e maida surah # 5, ayat # 114, ki tilawat karay osay wahaan sai rozi milay gi jahan sai osay wehem o gumaan bhi nah ho ga. ayat (rab’ban’a anzil alina . . . . . . khairur razaqeen ) (Ref : Kitab payam e shifa Pg # 232). Update on dated 26-06-16. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
72982
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: I wnt to power full wazifa of rizq for quran and break all bandish

Answer: Riwayaat main hay k jo shakhs subah k waqt kisi sai baat karnay sai pehlay 3 baar surah e maida surah # 5, ayat # 114, ki tilawat karay osay wahaan sai rozi milay gi jahan sai osay wehem o gumaan bhi nah ho ga. ayat (rab’ban’a anzil alina . . . . . . khairur razaqeen ) (Ref : Kitab payam e shifa Pg # 232). Update on dated 26-08-16. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
82137
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Aslwkm..Meri apse ek sawal h mere rishtedar mujhe bahut zada pareshan karte h Dua tabeez ka Sahara leke Mai jab bhi apni coaching chalati hu bacche ana. Band kar dete h kuch Dino bad padosi aurat bhi Pooja path or kabhi khoon fek deti h darwaze par.m married and m having a bbay also and naw we are suffering from huge loss and have no money to run daily needs me and my husband both do namaz regularly...plzz give me some suggestions

Answer: Husool e rizq or taraqqi e rizq k liay 141 mertabah ye zikr perha jaay. “yaa raz’zaaqo urzuq’nee”یا رزاق ارزقنی.(Ref: naaemul aamaal,pg#315). Update on dated 10-03-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
84793
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Sir wazifa batain karobar jald choro ho jaiya kamayab hojaoya ure har jaiz kam main bhi kamyabi

Answer: Riwayat mai hai k jo shakhs subah k waqt kisi sai baat karnay sai pehlay 3 bar surah e maeda ayat # 114 ki tilawat karay osay waha sai rozi milay gi jahan sai osay wahm o ghuman bhi na ho ga. (Ref : Kitab payam e shifa Pg # 232) ayat (rab,ban,a anzil alina . . . . . . khairur razaqeen ) (Ref : Kitab payam e shifa Pg pg # 240-41). Update on dated 09-02-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
85029
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Asklm, mai up se hun meri pblm ye hai k mere bhai k kaman nahi horahe hain bht rukawatein aarahi hai, mai unke kamoun k liye wazifa karna chahati hun, jo sirf 3 din mein ho, chahe kitna b mushkil wazifa kyun na ho lakin mai karungi bus 3 din mein unke kaam hojaye wo bht pareshan rahete hain isliye

Answer: Husool e rizq or taraqqi e rizq k liay 141 mertabah ye zikr perha jaay. “yaa raz’zaaqo urzuq’nee”یا رزاق ارزقنی.(Ref: naaemul aamaal,pg#315). Update on dated 17-07-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
87069
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: assalamwalekum,meri sagai ho chuki hai paresani yah hai ki meri sagai jis ladke se hui hai unki khi pr bhi job nhi lag rahi,sari conformation ke baad end me job hath se chala jata hai,sasur ka bhi yahi hal hai to achhese rozi suru ho jae iske lie kya kiya jae jisse unki rozi jald hi suru ho jae.

Answer: 1. Har shab e jumma 100 bar ism e Mubarak (al zaar’ro)الضار ki tilawat karna doulat wa mansab k hasool k lie nihayat mujjarab he. (Ref : Dunya Wa Akhirat ki 100 Pareshanion ka hal pg # 63) 2. Husool e rizq or taraqqi e rizq k liay 141 mertabah ye zikr perha jaay. “yaa raz’zaaqo urzuq’nee”یا رزاق ارزقنی.(Ref: naaemul aamaal,pg#315). Update on dated 27-02-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
87941
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Mein be rozgar hu mujhe koi kamane ki jariya nahi hai main bahut pareshan hu.

Answer: Riwayat mai hai k jo shakhs subah k waqt kisi sai baat karnay sai pehlay 3 bar surah e maeda ayat # 114 ki tilawat karay osay waha sai rozi milay gi jahan sai osay wahm o ghuman bhi na ho ga. (Ref : Kitab payam e shifa Pg # 232) ayat (rab,ban,a anzil alina . . . . . . khairur razaqeen ) (Ref : Kitab payam e shifa Pg pg # 240-41). Update on dated 23-10-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
91581
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: As salam alaykum , mai bahot pareshaan hu mere husbad ka court me case chalra hai bahot problem hai unki salary ana bhi band hogayi hai plzz meri help karo mere garme rizq aur barkat aye muje mera khud ka ghar haseel ho aur mere husband ki sab problems khatam hojaye inshallah

Answer: 1-Kis bhi jaiz muqaddame main kamiyabi Hasil kerne k liay adalat main wird kerte rahain“ yaa howa, yaa man laa howa illaa howa”(یا ھو یا من لا ھو الا ھو) . (Ref: nameemul amaal, pg#314).
2-Husool e rizq or taraqqi e rizq k liay 141 martaba “yaa razzaaqo urzuqnee”(یا رزاق ارزقنی). (Ref: nameemul amaal, pg#312). Update on dated 23-07-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
92773
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2018-10-25

Question: Sir mn 6 months she jobless hu koi kam hi nai milta jaha jata hu koi na koi rukawt aajati h koi ESA zikr batae k mujhe job mil jaye or apne Roxi mn barkat ho

Answer: 1-Kis bhi jaiz muqaddame main kamiyabi Hasil kerne k liay adalat main wird kerte rahain“ yaa howa, yaa man laa howa illaa howa”(یا ھو یا من لا ھو الا ھو) . (Ref: nameemul amaal, pg#314).
2-Husool e rizq or taraqqi e rizq k liay 141 martaba “yaa razzaaqo urzuqnee”(یا رزاق ارزقنی). (Ref: nameemul amaal, pg#312)
[Updated on 25-Oct-2018 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
92853
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2018-10-31

Question: Asslam o alaikum men pheli martba aya apki acdmy men to mera sawaal tha ke men apni api pas rehta hun to wo 16 saal se lahore hen par apna makaan ni ban paya ab men bi idhar reh raha hun aur kam kar rha hun to apna gahar chata hun. aur jiju ka kam ni chal raha 3 din se ja rahy aur khali hath a rahy hen.

Answer: Riwayat mai hai k jo shakhs subah k waqt kisi sai baat karnay sai pehlay 3 bar surah e maeda ayat # 114 ki tilawat karay osay waha sai rozi milay gi jahan sai osay wahm o ghuman bhi na ho ga. (Ref : Kitab payam e shifa Pg # 232) ayat (rab,ban,a anzil alina . . . . . . khairur razaqeen ) (Ref : Kitab payam e shifa Pg pg # 240-41).
[Updated on 31-Oct-2018 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
94161
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Assalamualayekum Ji mai naukri ke talash me hu but muje jaldi Nokri mil jaaye iska kii wajeefa

Answer: Riwayat main hai k jo shakhs subah k waqt kisi sai baat karnay sai pehlay 3 baar surah e maeda ayat# 114 ki tilawat karay osay waha sai rozi milay gi jahan sai osay wahm o ghuman bhi na ho ga. (Ref : Kitab payam e shifa Pg # 232) ayat (rab,ban,a anzil alina . . . . . . khairur razaqeen ) (Ref : Kitab payam e shifa Pg pg # 240-41). Update on dated 15-02-19. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
94401
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2019-03-01

Question: Aoa.. mere nikkah k baad dono gharon mai bht mushkilat peda hoi h kabi bemariyan khtm hone ka naam nai leti kabi jobs khatam hojati h hr tarf pareshanian h.. aisa ku horaha h?

Answer: Dua e tawassul ki tilawat ki jaey or tamaam mushkilaat k liay dua karain, insha allah tamaam mushkilaat door ho jain gi. (Ref: https://urdu.duas.org/imammahdi/dua-tawasal.htm).
[Updated on 01-Mar-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
94992
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ruhollah Khomeini Date: 2019-03-26

Question: Mery rozgar ko khatam kariny wala aik officer hai Javeed Abro aur woh hi mery duty bahal kar sakita hai us Kay liya koi wazifa

Answer: 1-Kis bhi jaiz muqaddame main kamiyabi Hasil kerne k liay adalat main wird kerte rahain“ yaa howa, yaa man laa howa illaa howa”(یا ھو یا من لا ھو الا ھو) . (Ref: nameemul amaal, pg#314).
2-Husool e rizq or taraqqi e rizq k liay 141 martaba “yaa razzaaqo urzuqnee”(یا رزاق ارزقنی). (Ref: nameemul amaal, pg#312).
[Updated on 26-Mar-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
95361
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2019-04-13

Question: Assalam alaicum Rizq me barkat kese ho

Answer: Riwayat main hai k jo shakhs subah k waqt kisi sai baat karnay sai pehlay 3 baar surah e maeda ayat# 114 ki tilawat karay osay waha sai rozi milay gi jahan sai osay wahm o ghuman bhi na ho ga. (Ref : Kitab payam e shifa Pg # 232) ayat (rab,ban,a anzil alina . . . . . . khairur razaqeen ) (Ref : Kitab payam e shifa Pg pg # 240-41).
[Updated on 13-Apr-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
95524
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2019-04-20

Question: Mere shohar jis bhi kam ko shuru karte hai unhe nuksan ho jata hai ghar ki maali halat kharab ho gayi hai..kuch aisa bataye ki mere shohar ka business acha chale aur rozi risq ki barkat ho..

Answer: Riwayat main hai k jo shakhs subah k waqt kisi sai baat karnay sai pehlay 3 baar surah e maeda ayat# 114 ki tilawat karay osay waha sai rozi milay gi jahan sai osay wahm o ghuman bhi na ho ga. (Ref : Kitab payam e shifa Pg # 232) ayat (rab,ban,a anzil alina . . . . . . khairur razaqeen ) (Ref : Kitab payam e shifa Pg pg # 240-41).
[Updated on 20-Apr-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
98089
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2019-07-01

Question: Assalamu alaikum. Mai do saal se kaam dhoond rahi hu,har jageh jakar try karlia hua hai par mujhe koi kaam nhi mil raha. Hamare padosi hai jinse hamari gehri dushmani hai, unki beti se mere bauhat barhi dushmani hai. Aaye din woh aur uski ammi mujhe pareshan karne ke liye mere fake accounts wagairah banati rehti hai, unhone hamari ammi ko ek baar bataya tha ki unki behen jadoo ke ilam se saari cheezo ki maloomaat karti rehti hai. Mujhe unpar shaq hai ki unhone kuch kiya hua hai mere upar. Job almost pakki hone ke baad bhi nhi milti. Please mujhe koi wazifa batae. Please help kare. JazakAllah khair.

Answer: riwayat mai hai k jo shakhs subah k waqt kisi sai baat karnay sai pehlay 3 bar surah e maida surah 5 ayat 114 ki tilawat karay osay waha sai rozi milay gi jahan sai osay wahm o ghuman bhi na ho ga ref kitab payam e shifa pg 232 ayat rab ban a anzil alina khairur razaqeen
[Updated on 01-Jul-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
98254
Mujtahid:
Date: 2019-07-06

Question: AOA mere shohar ki kaam o karobar sb bandh hogai h hamari Mali haalat thik nhi h ye sb kyu ho rha h ye mujhe samajh nhi aa rha h iske liye main konsi wazifa padhu

Answer: Riwayat main hai k jo shakhs subah k waqt kisi sai baat karnay sai pehlay 3 baar surah e maeda ayat# 114 ki tilawat karay osay waha sai rozi milay gi jahan sai osay wahm o ghuman bhi na ho ga. (Ref : Kitab payam e shifa Pg # 232) ayat (rab,ban,a anzil alina . . . . . . khairur razaqeen ) (Ref : Kitab payam e shifa Pg pg # 240-41).
Husool e rizq or taraqqi e rizq k liay 141 mertabah ye zikr perha jaay. “yaa raz’zaaqo urzuq’nee”یا رزاق ارزقنی.(Ref: naaemul aamaal,pg#315).
[Updated on 06-Jul-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print