Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+


Question & Answers << Go Back

Topic: Taubah (156 Questions)


Showing 150- 156 questions from 156 questions on this page.

Answers found for searched words
Id:
123463
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2024-01-07

Question: ramzan chalrahy ha or mujhse zinah hogaya hai jisky sath hua hai wo mera cousin hai please kuch bataen

Answer: Jis kisi ne koi ghunah kiya ho to use chahiye ke wo sachay dil se tauba kare. aur Sache dil se tauba karne se Parwardigar e aalam yaqeenan muaaf farmaye ga Q parverdigar ne Quran majeed me wada kiya hai ke wo tauba karney walon ki tauba ko qabool karta hai. Aisa hargiz nahin ho sakta ke wo apne waday par amal na karay.
(Ref: website Ayatullah Sistani(d.b), tauba, link; https://www.sistani.org/urdu/qa/01766/ ).
[Updated on 08-Jan-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
123466
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2024-01-10

Question: Kya zinha karne ke bad hame asi touba mil sakti hai jisse hamare upar koi azab najil na ho plz bataye. or ek bar zinha karne ke bad hamare hone wale biwi or bache par koi farq to nahi padega ?

Answer: Jis kisi ne koi ghunah kiya ho to use chahiye ke wo sachay dil se tauba kare. aur Sache dil se tauba karne se Parwardigar e aalam yaqeenan muaaf farmaye ga Q parverdigar ne Quran majeed me wada kiya hai ke wo tauba karney walon ki tauba ko qabool karta hai. Aisa hargiz nahin ho sakta ke wo apne waday par amal na karay.
(Ref: website Ayatullah Sistani(d.b), tauba, link; https://www.sistani.org/urdu/qa/01766/ ).
[Updated on 11-Jan-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id:
123653
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2024-03-01

Question: Maen Kuch Saal pehly khyali duniya me friends bnaye thy or sb ko b unki baten btati thi, me khud ko bemar pretend krti thi Sirf tawajjah hasil krny k Liye k sb dost mjhy Pyar daen mjhy attention daen. Me jhoot bolti thi mjhy pta b tha Meri imaginary duniya hae me bemar ni hun me Jo kahaniyan sb dosto ko sunayi hun wo Sach ni hae phir b bolti thi. Phir ahista ahista mjhy smjh any lgi me ny toba ki mjhy LGny lga jhoot bolna Galat hae aik din sb ko Sach pta LG jaye ga or ye mjhy Pyar ni kraen gy me sb ko face kesy kru gi. Me ny apni khyali duniya k logo ko khtm krna shuru kr diya phir me jhoot bolna chor diya pr us k Liye mjhy apny sb dosto Sy bat krna he bnd krni pri q k in Sy bat krti thi to wo to Meri kahaniyan sun'ny k aadi thy wo to mujhy asal me janty he ni thy. Me ny jhoot bolna to chor diya pr sb dost b chin gy mjh sy. Ab JB me ye sochti to mjhy guilt hota hae k me jhoot bolti thi me ny logo ka Dil dukhaya hae sb Sy achanak bat cheet khtm kr k. Mery me himat ni thi sb ko Sach btany ki. Me ny Socha Allah Mera parda rkh ly ga inshallah. Pr Mera guilt ni jata mjhy khyal aty rehty k Allah Tala ny mjhy maaf Kiya ho ga k ni. Me kaffara ada krna chahti hun mujhy smjh ni ati me Kya kru.

Answer: Salam..un..Alaik
Ap Allah se khuloos e dil se Taubah krein apni galati ka aitraf krte hue to Insh Parwardigar e Alam apki galati ko bakhsh dega vo bara Maaf krne wala hai
Ab koshish kije k apne maazi ki galtiyo ko kisi k samne paish na krein yaani or mazeed kisi ko na batae q k Allah ko baat pasan nhi k kisi k gunah Ashkar ho chahe vo ap k hon ya kisi or k..
Agr jo pehle dost rhein hai vo Sahiban e Iman ho to un se dobara baat cheet ki jae lkn khayal rhe k apne guzishta gunah ika zikr na kia jae ..
Un bato ko chupane k lie jhoot bolna jaiz nhi haan Albatta "Touria" ( Niyyat tabdeel kr k koi baat krna ) ka sahara lia jaskta hai..

[Updated on 02-Mar-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
123706
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2024-03-10

Question: Mere father 3 may ko wafat paa gaye thy kl 11 may wali din q ky meri walida iddat ma h toh unky liye qalma prh rhi thi toh zohar ki nmz ky baad or asar sy kuxh waqt phly woh tasbi rkh ky soo gai toh jb woh uthi toh mujy khny lgi mene tumhre papa ko khaab ma dekha ha kpro ka rang b btya jo ky ik dafa ki nzr ma koi or rang tha baad ma koi or rang tha woh meri walida khti h ky woh sai halat ma thy or un ka chehra jawan tha ankho ka rang b saaf nzr a rha tha halaky woh jb hayat thy toh ankhy pori nhi kholty thy pr walida btati h un ki ankhy b pori khuli thi or unho ny walida sy kaha punjabi ma ky jaha mera ghar bnaya h tum logo ny waha bhut ponndd h or khti unho ny mujy galy ma lgya or kaha qurbani mt dena mere liye ya srif itna ky qurbani na dena yh fikra thik su smj nhi aya walida ko ya bhul geya

Answer: Ap bs is bat ka kahayal krein k ap k walid k zimme kisi ka koi haq to nhi hai, Agr koi haq hai to usko ada krne ki koshsih krein..
Note : Apne walid k lie Istagfar krein or unk lie Isal e Sawab krein..
Parwrdigar unhein Ala Illiyen me shumar farmae
[Updated on 11-Mar-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
123715
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2024-03-08

Question: Sir Mai jis SE Pyar Karti hun os NY mery sth proper sex Kiya seal bi toot gaye hai or ab Meri shadi Kisi or k sth hai kia os ko pata lg jaiga k mery sth pehly sex howa hai or seal Toti ha

Answer: Aam tour pe pata chal jata hai.. Ap pr lazim hai k Indallah apne gunah ki maghfirat talab krein aur sache dil se toubah krein..
[Updated on 09-Mar-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
123779
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2024-03-15

Question: assalum o alaikum mje puchna hai k agr ghalti mein sex k naam p koi haraam cheez kr lain jub k ab wo donon miyan biwi talaaq le rhy hoon tou ab hum apni ghalti ka azaala kesay kr saktty hain?

Answer: Agar waqatan koi fail e haram anjam dia hai to uss ki toubah krna zararori hai.
Mola Ali a.s ki hadees k mutabiq istighfaar taubah main 6 batain shamil hain nidamat k saath sachay dil say 14 masoomeen a s k waseelay k saath allah say maafi talab kernay say tubah foran qobool hoti hay 1. maazi past k gunah per shamindagi 2. aaindah in future gunah nah kernay ka masboot iradah 3. logo ka jo haq aap per baaqi hay os ko ada kerna maslan kisi ka maal ya haq nahaq khaya that tu os say maafi maangna ya oska haq ada kerna 4. jin wajibaat ko ada nahi kiya os ko ada kerna maslan namaz roza ko agar ada nahi kiya tha tu os ki qaza bja laana 5. jo ghosht maal e haram say jism main paidah hoa ho os ko gham o ranj say pighla daina yahaan tak k naya ghosht paidah ho 6. jism ko waisay hi ibadat ka mazah chakhana jis terah osko gunah say maza chakhaya tha
(Ref: Nehjul Balaghah Kalimaat e Hikmaat 417)
[Updated on 16-Mar-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print