Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+


Question & Answers << Go Back

Topic: Ahkam-e-nikah (1043 Questions)


Showing 150- 200 questions from 1043 questions on this page.

Answers found for searched words
Id:
8064
Mujtahid:
Date:

Question: SALAM SIR MERA SAVAL YE HE KE KIYA APNI SAAGI KHALA SE SHADI KI JASAKTI HE AUR AGAR HAAN TO KESE OUSE JAIZ KIYA JAKASTA HE

Answer: Jee nahi khala se nikah karna haram he q k un auratoon k sath jo insane ki mehram hoon nikah haram he. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 2349) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
8251
Mujtahid:
Date:

Question: Mai ek ladki ko bhot pyaar krta hun par wo Hindu h aur wo b mujhse bhot pyaar krti h Mai usse shaadi krna chahta hun pr wo kehti h ye mumkin nhi h pls kuch Aisi dua bata den ki ye mumkin ho jaaye meri us ladki se shaadi ho jaaye wo b raaji h par kehti h uske parents kbi b nhi maanenge hum bhag kr shaadi krna nhi chahte isliye koi aesa raasta bataye ki uske parents raaji ho jaayen.

Answer: 1)Musalman mard bhi ahl e kitab k alawa kafir auratoon se nikah nahi kar sakhta. Laikin yahoodi aur essai auratoon se mutaa karney me koi haraj nahi he aur ethiat ki bina per un se daimi aqad na kia jey. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 2362)
2) jins e mukhalif se dosti kerna jaiz nahei koun ke ghuna me mubtila hone ka khof majood he. ( kitab nigah aur libas ques # 106 , pg # 69). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id:
8288
Mujtahid:
cousin ki beti k sath shadi Date:

Question: aslam0alaikum molana main yeh pochna chata hoon k kia main apni cousin ki beti k sath shadi kar sakta hoon ya nai?

Answer: Jee haan shadi kar sakhtay hein. Faqat 7 qism ki auratoon se shadi karna haram he. 1)Maa 2) beti 3)behn 4)bhai ki beti 5)bahn ki beti 6)bap ki bahn 7) khala. (Ref : Minhaj us salaheen Ayat ullah sistani d.b. masla # 90) (ref : tauzeeh e ul masayl ayat ullaha sistani (d.b.) masla # 2349). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
8295
Mujtahid:
Date:

Question: humhara masla yah hai k humhari mangni ho gai thi, os k bad aik mera husband or mujha sa galti ho gai pr humhain ahsas b tha. hum na apna ghar walon pa zor dia shadi k lya .kyun k ma pregant ho gai thi.aftr 2 week humhari shadi hoo gai.hum na allah sa bht maafi manghi hai.aik beta hai ab.mujha pouchna hai k aisi halat ma (means pregance)ma nikha hoo jata hai ya nahi?

Answer: Ethiyat e wajib he k insaan is aurat se is k toba karnay se pahle nikah na karay jis k saath is na zina kia ho.(Ref : Jaded Faqhi Masayl Masla # 403 pg # 235)

Agar is mislay ko jaantay hoay k ye amal zina or najiaz hay tu ye amal zina hoga or paida honay wali aulaad zina zada shumaar hogi.(A.sistani(d.b),jaded fiqhi masa’il, masalah # 439)

Print

Id:
8358
Mujtahid:
Date:

Question: main ne bap ki ijazat kbina nikah kar liya hai kia hmaranikah ho gya hai.

Answer: kawari(virgin) lerhki os waqt tak nikah nahi kersakti jab tak k lerhki ka Baap ya Dada lerhki ko nikah ki ijazat nah day day.or yehi hokum ehtiyaat e wajib ki bina(base) per os sorat main bhi hay k jab larhki khud mukhtaar or baligh bhi ho. agar lerki kawari nah ho tu os k liay baap ya dada ki ijazat ki zororat nahi hay.(yahaan kawari nah honay say muraad sirif ye hay k aisi lerki jo talaaq yaafta ho ya baywah ho or oskay shohar nay oskay saath hambistari /jima(intercourse) kia ho or oskay kawaraypan ko khatam kia ho or oski iddta bhi khatam ho chuki ho.agar zinaa ya aisay hi kisi kaam say oska kawaraypan khatam hoa ho tu ye kawari hi kehlaay gi. isi terah agar baap ya dada os merd k saath osay shaadi kernay ki ijzat nah daitay hon jo sharan(Ismlam ki nazar main) or urfan(maa’aashay ki nazar main) os k brabari(equal) ka ho tu ijazat ki zarorat nahi, isi terah baap ya dada ki maujood nah hon ya kisi doosri wajah say ijazat laina mumkin hi nah ho or lerki ka nikah kerna bohat zarori ho tab hi baap ya dada say ijazat layna laazmi nahi hay.
(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah # 2341-2) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
8979
Mujtahid:
nikah Date:

Question: Assalam u alaikum janab mujhe nikah karna hai kya hum khud nikah larka larki kissi ko witness banaye bina nikah kar sakte hai ?? or nikah karne k liye hume konsi surat ya ayat parhni hogi ya kiss tarah karna hoga or agar chupke nikah karle ghar walo ko bina bataye phir ghar wale bhi hamara nikah kare to aisa jaiz hai nikah par nikah ??

Answer: 1)Nikah me shart ha k (makhsoos) alfaaz k zariye eijaab or qabool kiya jaye. or koi bhi amal eijaab k qaim maqaam nahi ban sakta.(lehaza alfaaaz ada karna zaroori hai)(ref. jaded fiqi masail aqa sistani pg no. 245 masla #439)
Nikha per gawaho hona zarori nahe hai. (Ref : Minhaj us salaheen Ayat ullah sistani d.b. part # 3 masla # 3)
Ehtiyat e wajib ki bina per nikah(nikah k alfaaz) arabi me perhai jaay agar khud mard aur aurat arabi me na persakte ho to arabi k ilawa kisi aur zabaan me nikah per sakte hai. Masln phele mahar moiiyan karne k bad aurat kahay me ne is mahar per jo moiiyan ho chuka hai apne app ko tumhari biwi banaya is k lmhe bher baad mard kehe me ne is shadi ko qabool kiya to nikah sahe hai. aurat agar pele se shadi shuda na ho (yani pele shohar se is k intercourse na hoa ho ) to is ki shadi me baab ya dada ki ijazat zarooori hai. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla #2335,2333,2341) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye). . 2) sigha parhne wala aqal-mand ho or agar apne lie perh raha ho to baligh hona bhi zurari hai . 3)Merd or aurat or uska vakil sigha parhte waqt qasd e insha(nikah ka irada ) rakhte hon. (ref : tauzeeh e ul masayl ayat ullaha sistani (d.b.) masla # 2328+2335). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
8990
Mujtahid:
syed ali husain seestani Date:

Question: Aslam o alaikum, Mery bhai ny aik divorced orat sy shadi ki hy jiss ki pahly shohar sy aik jawan bati hy jiss ko meri bhabi apny sath ly kr ai hy. mera bhai apni bivi k pahly shohar wali bati k sath meri shadi krna chahta hy kia ye shadi islami lehaz sy jaiz hy? mehrbani frma kr mera jawab jald az jald dia jay

Answer: Gee han bilkul ap us larki se shadi kr sakte hen.
(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah #2351).

Print

Id:
9013
Mujtahid:
Date:

Question: agr ksi nay zina kia ho to kia uska nikah haram hota ha ya halal.. or kia uska shadi krna zani say he lazmi ha ya ksi say b shadi kr sakta/skti ha???

Answer: Wo kise or se bhi shadi kar sakta hai. aur jis ka sath zina kiya hai us hi se shadi karna zarori nahe hai.
Zina kerna gunah e kabira hay.(Ref:Ayatullah sistani, Minhajus Saliheen,Part#1, Maslah#30)
Agar koe shaks kisi aisi bay shohar aurat k sath zina kare jo iddat main nah ho to ehtiyat e wajib ki bina wo shaks is(aurat) k tauba kerne se pehle is se shadi nahi ker sakta.(Ref:Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31th edition,maslah #2364) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
9025
Mujtahid:
Date:

Question: Main ek ladki se pyar karta hu. O bhe mujhse pyar karti hai magr o kafir hai kya main saadi kar sakta hu

Answer: Gee nahi Musalman mard ki shadi kafir(ghair kitabi) aurat se nahi ho sakti.(lehaza phele us aurat ko musalman hona zarore hai us k bad ap shadi kr sakte hen.)(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 2362)

Print

Id:
9057
Mujtahid:
Date:

Question: Salam, jnab main ye janna chahta hun ke bina biwi ki marzi ke mard kisi orat se nikah kar sakta hai.

Answer: Nikah e daa’imi ya nikah e munqata(muta) k liay pehli bivi ki ijazat laina wajib nahi hay.(Ayat Ullah Seestani(d.b), mihajus Saliheen,part #3,maslah#200,202). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
9081
Mujtahid:
Date:

Question: Assalamualaikum maine ek kuwari ladki ke saath zina kiya aur usi se shaadi ki aur shaadi se pehle uske saath kai baar zina kiya aur zina karne se pehle maine us ladki se bola bhi ke ye gunaah hai to us ladki ne kaha ke tum mujh se shaadi kar rahe hona gunaah nahi hai aap please bataiye ke mai kya karoon maine zina kiya hai aur usi ladki se shaadi ki aur mujhe ek ladki hai to kya mai us ladki se shaadi karke theek kiya ya nahi aur maine khuda se touba ki hai aaj mujhe maloom pad raha hai to mai aap se pooch raha hoon ke ab mai kya karoon.kya mera nikah jayaz hai ya nahi. please bataiye.bohot meherbani hogi mai kya karoon.

Answer: 1) Jis shakhs ne kisi aurat sai zina kia ho aur os sai shadi karna chahae to is k lie ehtiyat e wajib ye hai k wo os aurat say toba karnay say pehlay nikah na karain. (Ref : Jaded Faqhi Masayl Ayat ullaha Sistani d.b. Masla # 403 pg # 235)
2) Ghuzishta amal k liay Allah say Sachay dil say tauba karain Parwardigaar ne quran me wadah kia he k wo tauba karney walon ki tauba ko qabool karta he aur aisa hargiz nahi ho sakhta he k wo apne wadeh per amal na karey (Ref : sistani.org ques # 1,toba) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
9113
Mujtahid:
IMAM ABU HANEEFAH Date:

Question: agr larka or larki..pure neat kr k ijab o qabol krtay hay ..aur larka ye kahtay ..YA ALLAH me tjhay hazir nazir jan kr guwah bna kr fla larki ko suhcy dil or neat say apnay nikah me laita ho aur ijazt mangta ho larki ssay agy larki bh ALLAH ko hazir nazir rakh qbool krlaiti hay to kia yeh nikah lago ho jata ha??? neat blqul asal mia biwi wali.hay aur insan hunay ki waja say neat ye hay k gunnah say bach jaiye ....plz guide me

Answer: Note : Is website me fiqha e jaffaria k mutabiq jawabaat diay jatay hein.

Aqd e nikah ki sharayit me se khuch ye haain k:- 1. ahteyat wajib he ke sahih arabi me padha jae. 2. ye ke mard w orat ya uska wakeel sigha parhte waqt qasde insha rakhte hon. 3. sigha parhne wala ehtiyaat ki bina per baligh aur aaqil ho . 4. mard aurat mu’aiyan hoon 5. mard aur aurat shadi per razi hoon.(ref : tauzeeh e ul masayl ayat ullaha sistani (d.b.) masla # 2379)

kawari(virgin) lerki os waqt tak nikah nahi kersakti jab tak k lerki ka Baap ya Dada lerki ko nikah ki ijazat nah day day.or yehi hokum ehtiyaat e wajib ki bina(base) per os sorat main bhi hay k jab larki khud mukhtar or baligh bhi ho. agar lerki kawari nah ho tu os k liay baap ya dada ki ijazat ki zororat nahi hay.(yahaan kawari nah honay say muraad sirif ye hay k aisi lerki jo talaaq yaafta ho ya baywah ho or oskay shohar nay oskay saath hambistari /jima(intercourse) kia ho or oskay kawaraypan ko khatam kia ho or oski iddta bhi khatam ho chuki ho.agar zinaa ya aisay hi kisi kaam say oska kawaraypan khatam hoa ho tu ye kawari hi kehlaay gi. isi terah agar baap ya dada os merd k saath osay shaadi kernay ki ijzat nah daitay hon jo sharan(Ismlam ki nazar main) or urfan(maa’aashay ki nazar main) os k brabari(equal) ka ho tu ijazat ki zarorat nahi, isi terah baap ya dada ki maujood nah hon ya kisi doosri wajah say ijazat laina mumkin hi nah ho or lerki ka nikah kerna bohat zarori ho tab hi baap ya dada say ijazat layna laazmi nahi hay. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 2341-42). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
9145
Mujtahid:
nika Date:

Question: aoa sir agar ik admi viasa apply kay liya niaka karta ha to is kay baray may kiya hokum ha? aur kuch arsay k bad rishta paka ho jata ha aur dobara niaka kar kay shadi ho ti ha to is baray mau kiya hokum ha?pala nika ka process b sahi ha lakan niyat nahi ha.

Answer: Nikah ki chand shartain hein jin per amal kar k hi nikah ko sahi kia ja sakhta he jin main se khuch ye hain: 1. Ehtiyaat wajib he k sahih arabi me parha jaay,or agar khud merd or aurat sighah arbi main nah perh saktay hon tu arbi k ilawa kisi dosri zaban main perh saktay hain or kisi ko wakeel banana laazimi nahi hay. 2. sigha parhne wala aqal-mand ho or agar apne lie perh raha ho to baligh hona bhi zurari he . 3. ye k merd or aurat or uska wakeel sigha parhte waqt qasd e insha rakhte hon. (ref : tauzeeh e ul masayl ayat ullaha sistani (d.b.) masla # 2335)

kawari(virgin) lerki os waqt tak nikah nahi kersakti jab tak k lerki ka Baap ya Dada lerki ko nikah ki ijazat nah day day.or yehi hokum ehtiyaat e wajib ki bina(base) per os sorat main bhi hay k jab larki khud mukhtar or baligh bhi ho. agar lerki kawari nah ho tu os k liay baap ya dada ki ijazat ki zororat nahi hay.(yahaan kawari nah honay say muraad sirif ye hay k aisi lerki jo talaaq yaafta ho ya baywah ho or oskay shohar nay oskay saath hambistari /jima(intercourse) kia ho or oskay kawaraypan ko khatam kia ho or oski iddta bhi khatam ho chuki ho.agar zinaa ya aisay hi kisi kaam say oska kawaraypan khatam hoa ho tu ye kawari hi kehlaay gi. isi terah agar baap ya dada os merd k saath osay shaadi kernay ki ijzat nah daitay hon jo sharan(Ismlam ki nazar main) or urfan(maa’aashay ki nazar main) os k brabari(equal) ka ho tu ijazat ki zarorat nahi, isi terah baap ya dada ki maujood nah hon ya kisi doosri wajah say ijazat laina mumkin hi nah ho or lerki ka nikah kerna bohat zarori ho tab hi baap ya dada say ijazat layna laazmi nahi hay. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 2341-42). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
9149
Mujtahid:
Sex Date:

Question: Sali ke sath sex karna jayaj hai ya nahi ?

Answer: G nahi haram hai. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2355) Update on dated 12-01-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
9171
Mujtahid:
ayatullah sistani Date:

Question: meri age 25 he .men apne walidain ki ijazat k bagir 3 mukhtlif larkion se muta nekkah kia aor aik larki se nekahe daimi kia .lakin sub nekah men ne khud parhe hen .larkion ka wkel me khud tha. aya un k sath mrey tamam mamlat sahe hen .koi gunah to nae kia.

Answer: Agr un tmam larkiyon k walid ap k unse nikah (mutah or daami) se razi the, or apne tamam nikah shartait ka khayal ache hue nikah kiya tha to ap k nikah sahi shumar honge. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2335-2341-2342) Update on dated 15-01-2015.(Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey)

Print

Id:
9197
Mujtahid:
sistani Date:

Question: 1- agar koi admi dosre shadi karna chaye to pahle bivi se ijazat lena zarori ha agar ha to kitni or ijazat lane ki kia waja ha, agar wo inkar kar de to nahi kar sakta 2-agar koi shaks ghsle janabat kare kapron ma cheentain lag gain to un kapron se namaz parhi ja sakte ha. 3 agar koi shaks ghusle janabat kar k najis kapre pahen le or bad ma jism doh kar dosre kapre pahen le to kia dobara wazu karna pre ga. 4. namaz ma imam mahdi k zahor ki dua kis tarha karen iltemas e dua syed mawadat ali

Answer: 1) Mard bivi ki ijazat k baghair shadi ker sakta hai. (Ref: Minhajus saliheen, part#3, maslah#202) 2) Agr badan se mani ki nijasat ko pani se paak karne k bad jab insaan gusal karta hai to is se neche girne wala pani or chetain najis nahi hoten. (Mujtahid se pochay gaye sawalaat, part#4, masla#15) 3) Is se wuzu batil nahi hota hai (Ref:Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail,33rd Edition,maslah # 322) 4) Ap ko chahiye k ziyada se ziyada duwa e salaamti- e- IMAAM E ZAMANA(a.s) pharhain.(Ref: Naway-e-saaleheen, pg # 207) Update on dated 23-01-2016.(Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey)

Print

Id:
9214
Mujtahid:
Date:

Question: shide kitne years k bad karna acha ha

Answer: Shadi k liay behtareen umar jis umar main zimedaroyaan nibha sakay (Ref: sistani.org, urdu topic shadi.). (Khuda aap ki Tawfiqaat mein Izafa farmaye)

Print

Id:
9238
Mujtahid:
ayat ullah sistaani Date:

Question: AOA,if a married woman do mutta with an unmarried shia guy till december 2011 but before completing this time period she wants to break up fom that guy now,she has not been in contact with him for last 2 months almost,she does not want to contact him again to ask him for forgiving the remaining time period so that she can do permanent nikkah with some other guy.now how can she observe iddat what will be the process is there any way she her orself assume separated from him ans start doing idda or is there any other way mind it they have not been in contact for 2months

Answer: Jis orat se muta kiya gaya ho us ka zojiyat se aazaad hona munhasir hai ke ya to nikha ki muddat katam hogaae ya shoohar us muddat ko muaaf kar de. Basurate deegr wo nikah men hote hue kisi or se mutah nahi kr sakti
(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah #1649,1650 ) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Ager ap ke shoohar ne ap ke sath mujaamiat ki hai to zaroori hai ke ap iddat rakhain.Pas agr apko haaiz ata ho to zaruri hai ke 2 haiz ke baraaber(ka time period) jitni iddat rakhen or 1 haiz ke baraber iddat rakna ehtiyaat e wajib ki bina per kafi nahi hai or is iddat ke baad doosri shadi Kar sakti hen. Or agr haiz nahi ata ho to 45 din ki iddat rakhen or dosri shadi is iddat ke baad karenn. Or agr haamila hai to ap ki iddat bache ke hamal ya isqat tak hai.or agr apke shohar ne apke sath mujamiat nahi ki to ap ke liye koi iddat nahi.
(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 2479,2475 )
(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
9291
Mujtahid:
Friendship Date:

Question: Kya love marriage jayez hai

Answer: G han islam love marriagr se mana nahi krta lekin Larki se is eetbaar se dosti krna ke ye piyar ban jaye or phir is se shadi kr lenge to ye dosti jaaiz nahi.
(Ref : Mujtahid se poche gaye sawalat, Pg#4).
Agr nikah ki sharait (jo masla 2335 se 2344 tak bayan kiya gaya hai) mojod hon to Love marriage jaiz hai.

Print

Id:
9319
Mujtahid:
Date:

Question: sir mra question ye he k mne apne parents se chup kar 2 gawahon ki shahadat main nikah kar lia he... ab ye bat apne parents ko nhi bata sakti jb ke usko bht mishkil se shadi pe agree kia he.. jb k hm shariyat mutabik wife hasband hen to kia hm ek doosre se doobara nikaah kar sakte hen kia hmara doosra nikaah jaaiez hoga?

Answer: Nikah ki sharton k bagher nikah nahi hosakta or uski sharton men se hai k agr larki baligh hone k sal ko pohnch chuki ho or rasheedqa ho yani apna bura samjh sakti ho agr wo shadi krna chahe or kunwari bhi ho or apni zindagi k kaam khud mukhjtari se anjam detio na deti ho balke Ehtiyat-e-wajib ki bin pr agr khud mukhtari se bhi apne kamon ko anjam deti ho tab bhi us larki ko chahiye k pne wali(baap ya dada) se ijazat lekr phir nikah kre(yani in ki ijazt k bger nikah waqe nahi hosakta) jesa k apne apne walden ki ijazat k bger nikah kiya hai to asal men wo nikah hua hi nahi hai or na ap dono aps men miyan b.v bane hen, lehaza ab jo nikah ap k walden ki ijazat se waqe hoga wohi nikah waqe hoga.(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah#2828 ki heading,2341,2342).(Khuda aap ki tawfiqaat men izafa farmaye)

Print

Id:
9337
Mujtahid:
Date:

Question: Main ek agha khani se pyar krti hun.or mera firka suni hai.kia meri shadi hosakti jaiz hoge shadi meri?

Answer: Note : Is website me fiqha e jaffaria k mutabiq jawabaat diay jatay hein.

Print

Id:
9342
Mujtahid:
Date:

Question: agar hsbnd kuch aesa karna chahy js my us ki wife ki mrzi na ho to kya wife ko ghuna ho ga? aga han to kyun?

Answer: Jis orat ka daaimy(hmesha ka) nikah ho jaye us k liye Hram hai k shohar ki ijazat k bger ghr se bahir nikle chahe uska nikalna shohar k haq k manafi na bhi ho, mgr ye k koi aham zarurt pesh aye ya ghr men rehna us k liye nuqsan ka baa`is bane ya ghr us k munasib na ho, or isi tarh us k liye zaruri hai k jab bhi shohr jinsi lazzaten hasil krna chahe to uski khuahish puri kre or shar`ee uzr(shar`ee waja jese periods ka aana) k bger shohr ko ham_bistry se na roke.(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah# 2376)(Khuda apki toufeeqt men izafa frmaye)

Print

Id:
9349
Mujtahid:
Date:

Question: mein nikah krna chahta hun ghar waly razi ni dono k or nikah k bad aik sal tk larki ko apny sath rakhny ki condition mein ni hun agr nikah k bad sex kr lia jay or jb tk hum sath na reh skty hun tb b mila jay to kia islam mein ijazt ha?or agr hum family planning b krty han aik sal tk to kia hukam ha?

Answer: Sab se pehli bat to ye hai jab tak larki k wali(bap ya dada) larki ko nikah ki ijazat na den tab tk nikah nahi ho sakta , han agr larki k walden nikah ki ijazat deden to phir ap k liye mtlb larke k liye apne walden se ijazat lena zaruri nahi hai, nikah ho sakta hai, albatta chonke nikha k bad wo larki apki biwi hojayegi to is hawale se ap pr kuch zimedariyan ajayengi is tarah k us larki ki ghiza(khana, peena) libaas, rehaish or zindagi ki baqi zaruriyat ka intazam ap pr wajib hojayega, or agr ap ye chizen use na de paen to chahe ap is condition men na bhi hon tab bhi ap apni biwi k maqrooz hojaenge, or isi family planning krna bhi apk liye jaiz hai albatta uski tmam shrton ka lehaz krte hue.
(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah #2341-2376)(Khuda aap ki tawfiqaat men izafa farmaye).

Print

Id:
9392
Mujtahid:
agha sistani Date:

Question: jis larki se mangni ho jaye jo k shari wife nahi banti us se bat karne k liye khud larki or larka apas me phon mai nikah par le ta k bat kar sake to kia ye jaiz hai..

Answer: Kunwari (virgin) larki us waqt tak nikah nahi kr sakti jab tak k lerki ka Bap ya Dada larki ko nikah ki ijazat na daen. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah#2341,2342)
(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
9443
Mujtahid:
MALOOMAT NIKKAH Date:

Question: ASSLAM O ALAIKUM, SIR MUJHEY YEH POOCHNA HEY K, DO SAGI BEHINO KO DO, YANE EK BAP AUR EK BATA NIKAH KER SAKTEY HEN. WOH DO BEHN HEN AUR YEH DO BAP BETE. KINDLY REPLY ME. THANKS

Answer: Gee han wo dono bap beta un dono behnon se shadi kr sakte hen q k agr bap ek larki se shadi kre to wo larki us k bete ki soteli maa ban jayegi or soteli maa ki behn mehram nahi banti lehaza beta apni soteli maa ki behn se shadi kr sakta hai. (jin mehram oraton se nikah nahi hosakta un men soteli maa ki behn shamil nahi hai balke us ka shumar na_mehram oraton men hota hai)
(Ref : Ayat_ullah Sistani(d.b),Tauzeeh_ul_Masail 31st edition, Maslah # 2349)

Print

Id:
9447
Mujtahid:
Questions Date:

Question: asalam walekum mere naam Sayyed alfaraj me One Muslim Ladki ke sath shadi ki ho Huska sath mene nikhah ki me ye poochna chahahta hu ke huse mene talak nahi diya to me aur ho dusra shadi karsakte pls say

Answer: Mard k lye aik se ziyada nikah karna jaiz hai.
(Ref : Minhaj us salaheen Ayat ullah sistani d.b. part # 3, masla # 200)

Print

Id:
9450
Mujtahid:
Ayatullah Sistani Date:

Question: Salam, Nikah main gawahon ka hona zaruri kion nahi? Quran ki koi ayat hai is silsilay main?

Answer: Nikah per gawahon ka hona zarori nahe hai balke mustahab hai.
(Ref : Minhaj us salaheen Ayat ullah sistani d.b. part # 3, masla # 3)

Print

Id:
9474
Mujtahid:
NIkah Date:

Question: asalam o alikum. mera naam aziz jawaid haidery ahi aur mai sunni hoon, aur mai ik shia syedah se shadi krna chahta hoon, wo bhi muj se shadi krna chahti hai. barah e karam mje is mai rehnumai farmay.

Answer: Ho sakta hai magar kawari(virgin) lerki os waqt tak nikah nahi ker sakti jab tak k lerki ka Baap ya Dada lerki ko nikah ki ijazat nah day day.or yehi hokum ehtiyaat e wajib ki bina(base) per os sorat main bhi hay k jab larki khud mukhtar or baligh bhi ho. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah#2828 ki heading,2341,2342)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Ager larki ko koof ho ke shadi ke baad wo apne mzhab se munharif ho sakti hai(jis ka ehtimaal mojood hai) to us ke liye ap se shadi karna bhi jaaiz nahi hai.(Ref: mujtahid se poche gaae sawaalaat, masala # 136, ALLAH ap ki toofeeq main izafa farmaae).

Print

Id:
9482
Mujtahid:
Date:

Question: with christen nikah jais he k nahi

Answer: Musalmaan mard yahoodi or masihi(chriten) orat se aarzi nikha(yani nikah-e-muta) kar sakta hai, or ehtiyaat e wajib ye hai ke non- muslim orat se daaemi nikha(permanent nikah) na kiya jaae.(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),jaded fiqhi masail masail, maslah # 2362)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
9507
Mujtahid:
Date: 2018-05-28

Question: kia aik musilman ladka aik hindu ladki sai shadi kar sakta hai plz answer me ?

Answer: Musalman mard kafir oraton se nikha nahi kr sakta. Lekin yahudi or eesaai(christian) oraton se nikah-e-mutta krne men koi harj nahi hai or Ehtiyat-e-lazim ki bina pr unse daaimi aqad(hmesha ki shadi) na kiya jaye.
(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah #2362 ) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
9515
Mujtahid:
Date: 2018-05-29

Question: Hazrat Sahib ye frma den k kya nikah k liy gawah ka hona zarori hy ya jst mrd aort ALLAH ko ya Quran ko gwah bna k nikah kr skty hn r 1 dosry ko qbol kr skty hn?

Answer: Nikha pr gawahon hona zaruri nahi hai.
(Ref : Minhaj us salaheen Ayat ullah sistani d.b. part # 3 masla # 3eidition 4)
Orat agar pele se shadi shuda na ho ya phir bewa ho lekin is tarah k(guzishta shohar se is k intercourse na hua ho)to is ki shadi me baab ya dada ki ijazat zarooori hai bger bap ya dada ki ijazt k nikah sahi nahi hai.
Ehtiyat-e-wajib ki bina per nikah(nikah k alfaaz) arabi me parhai jaye agr khud mard aur aurat arabi me na persakte ho to arabi k ilawa kisi aur zabaan me nikah per sakte hai. Masln phele mahar moiyan karne k baad aurat kahay me ne is mahar per jo moiiyan ho chuka hai apne app ko tumhari biwi banaya is k lmhe bher baad mard kehe me ne is shadi ko qabool kiya to nikah sahe hai.aurat agar pele se shadi shuda na ho ya phir bewa ho lekin is tarah k(yani pele shohar se is k intercourse na hoa ho )to is ki shadi me baab ya dada ki ijazat zarooori hai.
(Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla #2335,2333,2341)
(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
9517
Mujtahid:
Date: 2018-05-29

Question: sir mera question hain . mari wife bhoot darti hain sex karnay say . sirf mari happyness kay laya wo lat jati hain ore bolti hain ap kar loo than mujay maza nahin atta . us ko kabi realize hotay bhee nahin deka main kya karo . mari ik bati bhee hain shadi ko 3 year ho gaya hain . kya main dosri shadi kar sakta houn . plz help me

Answer: Gee han Mard k liye 4 shadiya karsakta hai.
(Ref : Minhaj us salaheen Ayat ullah sistani d.b. part # 3 masla # 200)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
9522
Mujtahid:
Date: 2018-05-29

Question: sir mera Q he ke jis ka doood piya jae os ki betiyon se nikkah jaiz he ya nai hadees ya quran se hawala den ?

Answer: Jis aurat ne aap ko doodh pilaya hai un ki betiya app ki mehram hai lihaza un se nikah karna haram hai.
(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 2428)(Ref : Minhaj us salaheen Ayat ullah sistani d.b. part # 3, masla # before 94eidition 4)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
9759
Mujtahid:
Date:

Question: kia shadi sy pehly naak ka cheedna lazim/ya nath k bagher nikah nahi hota

Answer: Jee Nahi, Nikah karnay k liay aisi koe shart nahi hay.or naak main jo baali ya nug pehna jata hay wo na-mehram se chupana wajib hay. (Ref : Tauzeeh e ul Masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 2335+A.sistani(d.b),jaded fiqhi masa’il, masalah # 531)

Print

Id:
9760
Mujtahid:
ayyt ullha sisstani Date:

Question: i have 6 kids , i satisfied my husband from evey kind , but he wants to go for mutta with a girl which he found from internet by chatting, i dont like the other girl in my presence can i take seperation from mu husband bc he wants other girl just for his pleasure. plz iam under stress mola ke wastay mujay iss ka solutin chahiay. mai aik syed zadi hoon . imam e zamana ka wasta meri help kijiay

Answer: It is permissible and jaiz for man to have 2nd marriage because more than one marriage is Recommended for man in islam.(Mujtahid se pochay gay sawalaat, part# ,pg#53 ,sawaal# 105) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
9776
Mujtahid:
Date:

Question: saali say shaadi karnay k lyay mujhay kya tariqa apnana paraiga .Quran o hadeed k mutabiq koi tariqa bataiay plz

Answer: Agar koi shakhs kisi aurat se shadi karay to chahiay wo daimi nikah karay ya mutaa karay jab tak wo aurat is k nikah me he wo shakhs oski behan se shadi nahi kar sakhta. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 2355).
Note: Quran main sorah nisaa ki ayat #23 main bhi is hokum ka zikr aya hay k “tum per haram kia gaya hay k …………. do behno ko (nikah main) jama karo…” (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
9791
Mujtahid:
Date:

Question: mjy yeh puchna hai k kya kisi chat room my agr koi do frnd ik dusry ko yeh keh day k han kabool hai.i mean mazak my yeh kahy k han yeh rishta kabool hai tou kya nikaah ho jata hai?

Answer: G Nahi.(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2335-2341).Update on dated 18-11-2015.(Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey)

Print

Id:
9813
Mujtahid:
Date: 2018-06-03

Question: mei ak lrkay sa pyar krti hon hum na ak dinbeth k Allah or nabi pak ko apna gahwa bana k nikah kr lia. mene arbi mei pucha k mei tm ko khud py mehram krti hon us na kaha qabolto kia hmra nikah ho gaya?

Answer: G nahi ye nikah sahi nahi hai.(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2335-2341).Update on dated 18-11-2015.(Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey)

Print

Id:
9816
Mujtahid:
Date: 2018-06-03

Question: Mera Masla ye hai k main ek Hindu Larke ce peyar karta hun aur us ce shadi karna chahta hun magar mere mumy dady nahi man rahi hai aur me bahot pareshan hun. Khuda ke waste mere madad karo aur muje kuch wazaif batao main us larke ke bena nahi reh sakta

Answer: Jab tak wo larki islam qabool na krle tab tak ap us larki se shadi nahi kar sakte. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2362).Update on dated 18-11-2015.(Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey)

Print

Id:
9825
Mujtahid:
Date: 2018-06-07

Question: AGAR LARKI KO SHAADI SE PEHLE MEHAR ADA KAR DIYA JAYE TO KYA US SE SHAADI SE PEHLE HUMBISTARI JAYEZ HAI.

Answer: Jee nahi nikah se pehle jaiz nahi. (Ref:Ayatullah sistani, Minhajus Saliheen,Part#1, Maslah#30,eidition 1430 ). Update on dated 20-11-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
9846
Mujtahid:
Shadi Date:

Question: Assalam-o-alikum, Please is sawal ka jawab jld se jld de diye ga, Mera sawal he k koi larhki or larhka ager dil se Khuda ko hazir-o-nazir rkh k ek dosre ko apne hmsafer k rop me mante meaning k wo jis tarha han nikah hota he wese hi ager wo 3 br ek dosre ko qabol kahen ge to kia unka nikah mana jae ga ya nahi. Shukriya.

Answer: Jee nahi is terah nikah nahi hota.ye tariqa durust nahi hay.
1)Aqd e nikah ki kuch shra,it hain k:-
i. Ehtiyaat wajib he k sahih arabi me parha jaay,or agar khud merd or aurat sighah arbi main nah perh saktay hon tu arbi k ilawa kisi dosri zaban main perh saktay hain or kisi ko wakeel banana laazimi nahi hay.
ii. Sigha parhne wala aqal-mand ho or agar apne lie perh raha ho to baligh hona bhi zurari he .
iii. ye k merd or aurat or uska wakeel sigha parhte waqt qasd e insha rakhte hon. (ref : tauzeeh e ul masayl ayat ullaha sistani (d.b.) masla # 2335)

2)Nikah parhnay ka tareeqa :
Agar aurat aur mard khud daimi nikah ka seegha parhain to maher moyyan karne ke baad pahlay orat khay : ﺰﻮﺠﺗﻚ ﻨﻓﺴﻰ ﻋﻟﻰ ﺍﻟﺼﺪﺍﻖ ﺍﻟﻤﻌﻟﻭﻡ "zawwajtoka nafasee alas sidaaqil maloom" yaani me ne is meher par jo moyyan ho chuka he apne aap ko tumhari biwi banaya aur is k lamhe bhar bad mard khe : ﻗﺒﻟﺖ ﺍﻟﺘﺰﻭﻴﺞ "qabiltuz tazweej" yaani me ne azdawaj ko qobool kiya, to nikah sahih he aur isi tarh agar faqat "qabilto" khe tab bhi nikah sahih he. (tawzihul masail Aqai Sistani d.b. masaala no. 2333)

3)kawari(virgin) lerhki os waqt tak nikah nahi kersakti jab tak k lerhki ka Baap ya Dada lerhki ko nikah ki ijazat nah day day.or yehi hokum ehtiyaat e wajib ki bina(base) per os sorat main bhi hay k jab larhki khud mukhtaar or baligh bhi ho. agar lerki kawari nah ho tu os k liay baap ya dada ki ijazat ki zororat nahi hay.(yahaan kawari nah honay say muraad sirif ye hay k aisi lerki jo talaaq yaafta ho ya baywah ho or oskay shohar nay oskay saath hambistari /jima(intercourse) kia ho or oskay kawaraypan ko khatam kia ho or oski iddta bhi khatam ho chuki ho.agar zinaa ya aisay hi kisi kaam say oska kawaraypan khatam hoa ho tu ye kawari hi kehlaay gi. isi terah agar baap ya dada os merd k saath osay shaadi kernay ki ijzat nah daitay hon jo sharan(Ismlam ki nazar main) or urfan(maa’aashay ki nazar main) os k brabari(equal) ka ho tu ijazat ki zarorat nahi, isi terah baap ya dada ki maujood nah hon ya kisi doosri wajah say ijazat laina mumkin hi nah ho or lerki ka nikah kerna bohat zarori ho tab hi baap ya dada say ijazat layna laazmi nahi hay.(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah # 2341-2) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
9882
Mujtahid:
Date:

Question: shadi ki pahli raat mai agar shauhar sohbat mai makam ho jata hai to kya uska walima jayez nahi hai

Answer: G nahi aysi koi bat sabit nahi hai Waleema ek mutahab amal hai chahe sobat se pehle ho ya bad men.(Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 3, Mafhoom e Maslah # 04, Eidition 1417 hij). Update on dated –2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey)

Print

Id:
9908
Mujtahid:
Ref:Istiftaat A.Sistani I-32 Date:

Question: Syed Larki ka Nikah Gher Syed Larkay se ho sakta hai k nhi plz batain me bohut perashan hoon

Answer: Syed merd ka nikah ghair syedah aurat k saath ho sakta hay or isi terah syedah aurat ka nikah ghair syed merd k saath ho sakta hay.(Ayat Ullah Seestani(d.b), minhaajus saliheen Part # 1, maslah # 221). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
10014
Mujtahid:
Ayat ullah sistani sab Date:

Question: Ya ali madad mera swal hai k agar shadi shuda larki k sath zinha kiya jaye to keya uski talaq ke bad us k sath nikha jaiz hai

Answer: Ehtiyaat e wajib k tor per wo larki hamesha k liye us zaani per haram hojati hai. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2367).Update on dated 19-11-2015.(Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey)

Print

Id:
10544
Mujtahid:
Date:

Question: kia 2 gawahoon ki moujoodgi mein nikah ho skta,agar ho skta he to larki ka dosra nikah ho jaye ga pehley nikah ko khatam kiye baghair agar ho skta he to pahley wala talaq de deta he to dosra nikah barqarar rahe ga plz jawab zroor send krna ap ko ALLAH ka wasta kia wo guneh gar honge jinhon ne dosra niakah krwaya he

Answer: Agr Pehla nikah bilkul sharaee hua hai to dusra nikah batil hai q k ye ek haram amal hai. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2366) Update on dated 02-12-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey)

Print

Id:
10555
Mujtahid:
Date:

Question: AS SALAM-O-ALYKUM JANAB me apni wife se 2 years se dur hon mujhy. kya itne time alag hone se nikkah tootta hai? aur please sahi explain karke batayega. thanks

Answer: Jee nahi apka nikah nahi toota.(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2380) Update on dated 02-12-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey)

Print

Id:
10558
Mujtahid:
Date:

Question: hazrat me ye janna chahta ho k agar shadi se pehle sex ho jai to kiya baad me nikah nahi hota ya nikah haram ho jata he and agar Larka or larki milte ho par sex (Jama) na kiya hua to is k bare me kya hukum he and kya nikah k liye lazmi he k gawah mojod ho kya esa mumkin he k bina Qazi or Gawaho k nikah kiya ja sake

Answer: Agr sex hojaye to jab tak larki apne is kam per Allah se toba na karle tab tak nikah nahi hosakta, albatta agr sex nahi hua to phir bger kisi shart k nikah sahi hai, Nikah men agrchhe kisi gawak ya qazi ki zarurat nahin hai albatta larki jab tak larki ka wali (bap ya dada) razi na ho tab tak nikah nahi hosakti.(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2341-2341-2364) Update on dated 02-12-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey)

Print

Id:
10581
Mujtahid:
Date:

Question: Agr kisi ki agagment(mangni)ho jae to jis larki k sath agagment(mangni) ho gi kya us k sath hum sex ker saktay hain.....Islam me is k liya kya kaha gya hy??????

Answer: Mangni ki koi sharai hesiyat nahi hai, lehaza jab tak nikah nahi hojata tab tak is qism k taluqat haram shumar honge. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2330).Update on dated 08-01-2016.(Khuda apko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey)

Print

Id:
10627
Mujtahid:
Ayatullah Sistani Date:

Question: Salam sir, kya mai Bakera Larki se jo ke Baligh hain Muttah karsakta hon? uska Walid usko bachpan me hai chor choka hain or wo khud dosra shadi kya hain ab mujeh btaye plzz ke mai Mutta karlo usse? Larki khud job karti hain and uska abu unko chor choka hain kya ejazat to zaroori nahi abu ka? plzz tell me..

Answer: Wali (bap ya dada) ki ijazat zaruri hai. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2341)Update on dated 12-01-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
10664
Mujtahid:
Agha Seestani Date:

Question: I am a married man and i am having an affair with a married woman to the extent that we have already had sexual relation. We want to get married once my new partner is divorced from her husband. I will not divorce my wife as she has nobody to look after. So what is the ruling on this. Plz reply asap.

Answer: You can not marry with this women forever, and except this women you can marry without giving divorce the first wife. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2367) Update on dated 02-12-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey)

Print