Please click the button for Quran o Itrat Academy Whatsapp Channel.
Whatsapp Channel
Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+


Question & Answers << Go Back

Topic: Ahkam-e-nikah (1043 Questions)


Showing 100- 150 questions from 1043 questions on this page.

Answers found for searched words
Id:
6508
Mujtahid:
dioband Date:

Question: apnay sai zada age ki larki sai nikah jaiz hai

Answer: Note : Is website me fiqha e jaffaria k mutabiq jawabaat diay jatay hein.
Jee haan.Nikah main umar ki koe qaid nahi he. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 2349). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
6538
Mujtahid:
Date:

Question: ahl-e-kitab se shadi karna jaiz ha iska tfseeli jawab dejea or Quran o Hadis ki roshni main with references

Answer: Musalman aurat kafir mard se shadi nahi kar sakhti chahae daimi nikah ho ya mutaa, kafir ehl e kitab ho ya na ho. Musalman mard bhi ehl e kitab k alawa kafir auratoon se nikah nahi kar sakhta. Lakin ejlay kitab(yani yahoodi aur essai) auratoon se mutaa karney me koi haraj nahi he aur ehtiyaat ki bina per un se daimi aqd na kia jaay. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 2362) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id:
6546
Mujtahid:
Date:

Question: main ik larki se love karta hon uske ghar waly nahi mante ham ne 2 gohaon ka samne nikka kar lia ha kia ya jaiz ha ?

Answer: 1)kawari(virgin) lerki os waqt tak nikah nahi kersakti jab tak k lerki ka Baap ya Dada lerki ko nikah ki ijazat nah day day.or yehi hokum ehtiyaat e wajib ki bina(base) per os sorat main bhi hay k jab larki khud mukhtar or baligh bhi ho. agar lerki kawari nah ho tu os k liay baap ya dada ki ijazat ki zororat nahi hay.(yahaan kawari nah honay say muraad sirif ye hay k aisi lerki jo talaaq yaafta ho ya baywah ho or oskay shohar nay oskay saath hambistari /jima(intercourse) kia ho or oskay kawaraypan ko khatam kia ho or oski iddta bhi khatam ho chuki ho.agar zinaa ya aisay hi kisi kaam say oska kawaraypan khatam hoa ho tu ye kawari hi kehlaay gi. isi terah agar baap ya dada os merd k saath osay shaadi kernay ki ijzat nah daitay hon jo sharan(Ismlam ki nazar main) or urfan(maa’aashay ki nazar main) os k brabari(equal) ka ho tu ijazat ki zarorat nahi, isi terah baap ya dada ki maujood nah hon ya kisi doosri wajah say ijazat laina mumkin hi nah ho or lerki ka nikah kerna bohat zarori ho tab hi baap ya dada say ijazat layna laazmi nahi hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah#2341,2342 & minhaa jus saliheen,part #3,maslah #70).
2)Nikah karney me gawahoon ki zarorat nahi he. (ref : tauzeeh e ul masayl ayat ullaha sistani (d.b.) masla # 2335)
3)jins e mukhalif se dosti kerna jaiz nahei koun ke ghuna me mubtila hone ka khof majood he. ( kitab nigah aur libas ques # 106 , pg # 69). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
6552
Mujtahid:
Date:

Question: kia larrki apni pasand se shaadi nhn kr sakti? jabke uska baap us k rishte ko haan krne k baad kch problems ki wjah se inkaar kr de..

Answer: 1) lakin kawari(virgin) lerki os waqt tak nikah nahi kersakti jab tak k lerki ka Baap ya Dada lerki ko nikah ki ijazat nah day day.or yehi hokum ehtiyaat e wajib ki bina(base) per os sorat main bhi hay k jab larki khud mukhtar or baligh bhi ho. agar lerki kawari nah ho tu os k liay baap ya dada ki ijazat ki zororat nahi hay.(yahaan kawari nah honay say muraad sirif ye hay k aisi lerki jo talaaq yaafta ho ya baywah ho or oskay shohar nay oskay saath hambistari /jima(intercourse) kia ho or oskay kawaraypan ko khatam kia ho or oski iddta bhi khatam ho chuki ho.agar zinaa ya aisay hi kisi kaam say oska kawaraypan khatam hoa ho tu ye kawari hi kehlaay gi. isi terah agar baap ya dada os merd k saath osay shaadi kernay ki ijzat nah daitay hon jo sharan(Ismlam ki nazar main) or urfan(maa’aashay ki nazar main) os k brabari(equal) ka ho tu ijazat ki zarorat nahi, isi terah baap ya dada ki maujood nah hon ya kisi doosri wajah say ijazat laina mumkin hi nah ho or lerki ka nikah kerna bohat zarori ho tab hi baap ya dada say ijazat layna laazmi nahi hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah # 2341-42). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
6558
Mujtahid:
Sunni Date:

Question: kia sali ki beti say shadi jaiz hay.

Answer: Note : Is website me fiqha e jaffaria k mutabiq jawabaat diay jatay hein.

Insan apni sali ki beti (biwi ki bhanji) say apni biwi ki ijazat k bagair shadi nahi kar sakta lakin agar wo apni biwi ki ijazat k bagair nikah kar lar lay aur baad may biwi ijazat day day to phir koi iskaal nahi hay. Aur agar ijazat na day to in ka nikah batil hay. (Ref : Tauzeeh e ul Masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 2357-8) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
6561
Mujtahid:
Date:

Question: meri sawal ya ha ka shadi ki date rakhana sa phala larki ki mahwaari ka din poacha jate han ya nae

Answer: Haiz k ayyaam (days/ periods) mein aurat (women) ki farj mein jima karna mard aur aurat dono k liay haram hai. chahay maqam e paishab sirf supari ki had tak hi aurat ki sharam gaah main dakhil hoa ho aur mani bhi kharij nah hoe ho, balkay ehtiyaat-e-wajib yeh hai ke supari se kam miqdaar mein bhi jima nah kia jay. albattah yeh hukum aurat se dubur (maqaam-e-pakhana) mein jima k liay nahi hai. lekin dubur mein jima, aurat ki razamandi k bagair ho to ehtiyaat-e-wajib ki bina par jaiz nahi hai (chahey woh haiza ho ya na ho) or razi honay ki sorat main shaded makhroh hay. (ref : tauzeeh e ul masayl ayat ullaha sistani (d.b.) masla # 448, & Al-masail e mutakhaba, maslah # 67). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
6564
Mujtahid:
no just Imam follow, Date:

Question: salamu ali kum, Syed Zadi Ka Nikah Ghair Syed Zad Sy haram hai kafi mufti hazarat kahty hain aur fathwa dia hai.jasy k sadqa haram hai sadaat per wase he haram hai syed zadi ummati per.ku k niqah kerny say syed ki yani sadaat ki izzat nahe rahti. aur in ki azzat nabi s.w.w.s ki hai.phir perda nahe rahta syed aur ghair syed mai. i am cunfus hon.mara bhe yahe aqida hai k syed zadi haram hain ummati per. batain kia karon.ager jaiz hai tu kasy hai ager nahe tu kase. plz reply me must must must.

Answer: Shia Sayed merd ka nikah ghiar syed shia aurat k saath hosakta hay or isi terah syedah shia aurat ka nikah ghair syed shia merd k saath hosakta hay.(Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus saliheen Part # 3, Maslah # 221).(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
6602
Mujtahid:
aqa-e-sistani Date:

Question: salam alekum janab.mai ye janna chahata hu k kya islam mai insan apne sagi bhanjee se nikha kar sakta hai.

Answer: On aurtoon k saath jo insan ki mehram hoon nikah haram hay. maslan maan, behen, baiti, phophi, khala, bhatiji, bhanji, saas. etc (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 2349) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
6622
Mujtahid:
Date:

Question: ASSALAM O ALAIKUM quran paak may irshaad hay k aik muslim mard aik ehl_e_kitaab pakbaaz larki se shadi kar sakta hay lakin aik muslim aurat kisi muslim se hi shadi kar sakti hay lakin wo kisi ehl_e_kitaab se shadi nhi kar sakti iski kia waja hay plz tafseelan bayan kar dain. JJAZAKALLAH

Answer: 1)Musalman aurat kafir mard se shadi nahi kar sakhti chahae daimi nikah ho ya mutaa, kafir ahl e kitab ho ya na ho. Musalman mard bhi ahl e kitab k alawa kafir auratoon se nikah nahi kar sakhta. Lakin yahoodi aur essai auratoon se mutaa karney me koi haraj nahi he aur ethiat ki bina per un se daimi aqad na kia jey. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 2362)
2)Shayad is may ye hikmat ho k aam tour par aurat mard k deen say mutasir hoti hay. Albetta hokum e shryat kisi bhi hikmat ki bina per na sabit hota hay. Aur na bartaraf. (ref : Mujtahid se pouchey gay sawalat part # 3, ques # 107, pg # 54) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
6654
Mujtahid:
Date:

Question: mera nikkah huay ek saal hogaya hai. magar abhi rukhsati nahin hui. kuch financial problems ki waja se rukhsati delay hui hai. aur abhi further 6 months delay ho sakti hai. kia itna waqfa jaiz hai. aur kia es se nikkah pe koi asar tu nai paray ga.

Answer: jee nahi is se nikah per koe asar nah perhay ga. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 2328-2384) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
6690
Mujtahid:
suni Date:

Question: mera sawal ye ha k kia 6 month husband wife se sex na kary to kia nikah toot jata hy ya is mein koe aur ahkam hy

Answer: Note : Is website me fiqha e jaffaria k mutabiq jawabaat diay jatay hein.
Is se nikah batil nahi hota he albetta Shohar apni jawaan bivi say 4 mahinay say ziyada muddat(time period) k liay hambistari(intercourse) tark nahi kersakta magar ye k(except) hambistari os k liay nuqsandah ya ziyada takleef ka sabab(reson) ho ya oski bivi khud 4 mahinay say ziyada muddat k liay hambistari tark kernay par raazi ho ya nikah kertay waqt nikah k zimn(agreement) main 4 mahinay say ziyada muddat k liay hambistari tark kernay ki shart rakhi gae ho.(tauzeehul masail,Agha Seestani,maslah # 2335 , 2382).

Print

Id:
6709
Mujtahid:
Date:

Question: main shia aur syed hu. main ek sunni larkay se shadi karna chahti hu. kya hmari shadi ho skti hy?

Answer: shia lerki ka sunni lerkay say nikah kerna agar wo naasbi(wo loog jo aaimma a.s bugz or dushmsni ka izhaar karain) nah hoon tu makroh hay or agar naasbi hoon tu on say nikah kerna haram hay. or agar sunni say nikah kernay main gumrahi ka khatra ho tu haram hay.(Ref:Ayatullah Sistani(d.b), Minhajus Saliheen,Part#3, Maslah#215 ) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Sayed merd ka nikah ghiar syed aurat k saath hosakta hay or isi terah syedah aurat ka nikah ghair syed merd k saath hosakta hay.(Ayat Ullah Seestani(d.b), minhaajus saliheen Part #1,maslah#221). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
6710
Mujtahid:
Ayatullah Sistani Sahab Date:

Question: masla no 2379,2385,& 2386 (Tauzi - sistani sahab) ke bina par agar koi ladka kisi virgin ladki sey uske wali ki ijazat ke bagair nikah kar le tou kya woh nikah jayaz hai jab ke woh ladka islamic laws ke mutabiq uske liye capable ho aur woh dono nikah karchuke hain tou ab iske liye kya huqm hai

Answer: Agar lerki kanwari ho laikin baap ya dada os merd k saath osay nikah kernay ki ijazat nah daitay hon jo urfan ya shar,an oska ham pallah ho ya baap or dada baiti ki shadi k silsilay main kisi terah shareek honay k liay razi nah hoon ya diwaangi ya is jaisi kisi dosri wajah se ijazat dainay ki ehliyat nah rakhtay hoon tu in tamaam soratoon main on se(baap ya dada) ijazat laina lazim nahi hay.(Ref: Ref:Ayatullah Sistani(d.b), Tauzihul masail, Maslah# 2342).

Note: aap nay jo maslah no 2379,2385,& 2386 k hawalay diay hain wo ba zahir durost maloom nahi hotay.Q k Ayatullah Sistani(d.b) ki tauzee main nikah ki sharait ka biyaan maslah # 2335 se lay ker 2344 or pg#359 se lay ker 361 tak hay. (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
6732
Mujtahid:
Date:

Question: mari Mangatar ka NIC Nhe Bana Howa Kya Nikah ky Leye NIC ka Hona zarori hai ya Nhe

Answer: Nikah k lie NIC k hona zarori nahi he. (Ref: Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 2335). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
6734
Mujtahid:
none Date:

Question: shaadi se pehle agar kisi ladki se mohobaat ho aur dono me jaise ki nikah me ikrar hota hai huaa ho to kya ye rista shaadi ka darja rakhta hai ya nahi ? aur mohabat pori karne ke liye dusri shaddi jaiz hai

Answer: Aqd e nikah ki sharayet me hain ke:-
1) Ehtiyaat wajib he k sahih arabi me parha jaay,or agar khud merd or aurat sighah arbi main nah perh saktay hon tu arbi k ilawa kisi dosri zaban main perh saktay hain or kisi ko wakeel banana laazimi nahi hay.
2) Sigha parhne wala aqal-mand ho or agar apne lie perh raha ho to baligh hona bhi zurari he .
3)Ye k merd or aurat or uska wakeel sigha parhte waqt qasd e insha rakhte hon. (ref : tauzeeh e ul masayl ayat ullaha sistani (d.b.) masla # 2335)

jins e mukhalif se dosti kerna jaiz nahei koun ke ghuna me mubtila hone ka khof majood he. ( kitab nigah aur libas ques # 106 , pg # 69). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
6766
Mujtahid:
qamer ghouri Date:

Question: mere papa mama ki begair ijazat k nikah karna chahty hain\. kya yeh jaiz hai?

Answer: Jee Han ye jaiz he. Nikah e daa’imi ya nikah e munqata(muta) k liay pehli bivi ki ijazat laina wajib nahi hay.(Ayat Ullah Seestani(d.b), mihajus Saliheen, part # 3,maslah # 200 - 2).

Print

Id:
6779
Mujtahid:
Date:

Question: salam mera sawal ye hy k agr kisi larki sy zana kia ho to wo pregnant ho jaye aur abotion krwa ly to jis larky ny us larki sy zana kia ho to wo dono nikah kr sakty hein k nai

Answer: 1) Agar koe shaks kisi aisi bay shohar aurat k sath zina kare jo iddat main nah ho to ehtiyat e wajib ki bina wo shaks is(aurat) k tauba kerne se pehle is se shadi nahi ker sakta.(Ref:Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31th edition,maslah #2364) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
2)Agar koi aurat zina se hamila ho jay to bachay ko ghirana(abortion) is k lie jaiz nahi he. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 2364 , 2417). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
6886
Mujtahid:
sunni Date:

Question: Assalam_o_Alaikum, mairee shadi ko 12 saal guzzar chukay hain aur hamaray koi oulad nahi hai aur mairee bevi main problem hai aur main nai us ka bohat illag karwaia hai ab doctor kahatah hain k test tube baby hi ab iska illaj hai, mairy mann kahtey hai baita dosree shadi kar lo jab main apni bevi say dosree shadi ki batt karta hun wo kahti hai k mujhay talaq da do phir dosree shadi kar kain 1:- kia main apni mann ka khanay per us ko talaq da sakta hun shareat is k baray kia kahte hai? 2:- aggar main dosree shadi kar lon aur mairee pehlee bevi kahay aur main us ko talaq na diana chahonn aur wo khula ka irada kar lay to main kia karoon. Please mairy masalay ka jald jawb dejeay. shukria

Answer: Note : Is website me fiqha e jaffaria k mutabiq jawabaat diay jatay he.
Aap ki liay dosri shadi kerna jaiz or halal hay balkeh aik se zaid shadi karna riwayaat ki roshni me mustahab he.
Aap k liay apni biwi ko talaq daina wajib nahi hay.islam ne talaq ka haq merd ko dia hay.isi terah aap k dosri shadi kernay per agar wo aap se talaq maangay tab bhi aap k liay osay talaq daina wajib nahi hay.(ref : Mujtahid se pouchey gay sawalat part # 3, ques # 105, pg # 53, Ref:Ayatullah Sistani(d.b), Tauzihul masail, Maslah# 2462). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
6896
Mujtahid:
Date:

Question: Assalamu alaikum.. mein ne aik larki ke sath court merriege ki hai... court merriege kernay se pehlay parents ko bohat manaya but woh nahi manay......lakin wakt k sath woh maan gai hain.....ab woh hamari shadi kerna chahty hain......woh yeh nahi jantay ke hamari pehly hi court merriege ho chuki hai...or na hum batna chahty hain..kia ham apny parents ke samny dobara nikah ker saktay hain??

Answer: Court marriage sahi nahi he q k nikah ki chand shariat he :
1). Ehtiyaat wajib he k sahih arabi me parha jaay,or agar khud merd or aurat sighah arbi main nah perh saktay hon tu arbi k alawa kisi dosri zuban main perh saktay hain or kisi ko wakeel banana laazimi nahi hay.
2. sigha parhne wala aqal-mand ho or agar apne lie perh raha ho to baligh hona bhi zurari he .
3. ye k merd or aurat or uska wakeel sigha parhte waqt qasd e insha rakhte hon. (ref : tauzeeh e ul masayl ayat ullaha sistani (d.b.) masla # 2335)

2)Agar khud aurat aur mard chahein to ghair daimi nikah(muta) ka sigah, nikah ki muddat aur meher taay karney k baad perh sakhte hein. (ref : tauzeeh e ul masayl ayat ullaha sistani (d.b.) masla # 2334).

(ÒæÌʘ äÝÓی Ýی ÇáãÏۃ ÇáãÚáæãۃ Úáی ÇáãªÑ ÇáãÚáæã)(Zauwajtoka nafsee fil muddatil ma’loomati alal mahril ma’loom) Or os k baad merd furan kahay (ÞÈáÊ)(qabilt) tu nikah hojaay ga.

3)Is k alawa kawari(virgin) lerhki os waqt tak nikah nahi kersakti jab tak k lerhki ka Baap ya Dada lerhki ko nikah ki ijazat nah day day.or yehi hokum ehtiyaat e wajib ki bina(base) per os sorat main bhi hay k jab larhki khud mukhtaar or baligh bhi ho. agar lerki kawari nah ho tu os k liay baap ya dada ki ijazat ki zororat nahi hay.(yahaan kawari nah honay say muraad sirif ye hay k aisi lerki jo talaaq yaafta ho ya baywah ho or oskay shohar nay oskay saath hambistari /jima(intercourse) kia ho or oskay kawaraypan ko khatam kia ho or oski iddta bhi khatam ho chuki ho.agar zinaa ya aisay hi kisi kaam say oska kawaraypan khatam hoa ho tu ye kawari hi kehlaay gi. isi terah agar baap ya dada os merd k saath osay shaadi kernay ki ijzat nah daitay hon jo sharan(Ismlam ki nazar main) or urfan(maa’aashay ki nazar main) os k brabari(equal) ka ho tu ijazat ki zarorat nahi, isi terah baap ya dada ki maujood nah hon ya kisi doosri wajah say ijazat laina mumkin hi nah ho or lerki ka nikah kerna bohat zarori ho tab hi baap ya dada say ijazat layna laazmi nahi hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah#2341,2342 & minhaa jus saliheen,part #3,maslah #70). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
6903
Mujtahid:
Ayatullah sistani sahab Date:

Question: Kya urdu zaban mai larka aur larki nikha aapas mai padh saktay hai.aisa karnay dono miya biwi ban jayengai.

Answer: Ethiat e wajib ki bina per nikah ka sigah Arabic zaban me parha jay aur agar khud mard aur aurat sigah Arabic me na parh sakhtay hoon to Arabic k alawa kisi doosri zaban me bhi parh sakhtay hein aur kisi shakhs ko vakeel banana lazim nahi he albattah un ko chahiay k wo alfaaz kahain jo “zau,wajtu” aur “qabiltu” ka mafhoom ada kar sakhain. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 2335) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
6907
Mujtahid:
Date:

Question: meri talak ho gai ha,,iddat b pori ho gai ha ab mujy ek larka pasand ha mery ghar walay nahi maan ray kiya main shadi kar sakti ho u se

Answer: Agar lerki kawari nah ho tu os k liay baap ya dada ki ijazat ki zororat nahi hay.(yahaan kanwari nah honay say muraad sirif ye hay k aisi lerki jo talaaq yaafta ho ya baywah ho or oskay shohar nay oskay saath hambistari /jima(intercourse) kia ho or oskay kawaraypan ko khatam kia ho or oski iddat bhi khatam ho chuki ho.agar zinaa ya aisay hi kisi kaam say oska kawaraypan khatam hoa ho tu ye kawari hi kehlaay gi. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 2342) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
7285
Mujtahid:
imam khamine nd imam sastine Date:

Question: agr bewe mar jai or oska khawand os k janazay ko kandha day too kia os ourat or mard ka nikah toot jata hai?

Answer: Musalmaan ka ghusl, hunoot, namaz e mayyit, or dafan chahay mernay wala 12 imami shia nah bhi ho, os k wali per ye umoor wajib hain.shadi shuda aurat ka wali os ka shohar hay.biwi apnay shohar ko ghusl e mayyit day sakti hay or shohar bhi apni biwi ko ghusl day sakta hay or sharam gaah ko daikh bhi saktay hain.
Agar koe aurat bay aulaad mer jay tu os k maal ka nisf hissa shohar ko or baqi maanda dsoray wurasa ko milta hay.or agar aurat ki isi shohar se ya kisi aur shohar se aulad ho tu saray maal ka ¼ hissa shohar ko or baqi maanda dsoray wurasa ko milta hay.
(Ayatullah Sistani(d.b), Tauzihul masail, Maslah # 531,535,548,552,2727)

Note:ye tamaam batain isi baat per dalalat kerti hain k biwi ya shohar main se kisi aik ki wafaat se rishta e azdawaaj nahi toot ta. (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
7417
Mujtahid:
Date:

Question: salaam, agar biwi pregnant ho or husband biwi ki haan ke baad kisi or se sambandh bnaye tho kya jayej hai.

Answer: Aik se zaid shadi karna riwayat ki roshni me mustahib he .(ref : Mujtahid se pouchey gay sawalat part # 3, ques # 105, pg # 53)

Print

Id:
7428
Mujtahid:
sunni Date:

Question: kya larki ke nikah m baap razi na ho to kya dada aur chacha larki ka nikah karwa sakte hai ?

Answer: Jee haan.agar dada razi ho tub hi nikah sahi hoga.laikin chacha ki ijazat zarori nahi hay.Q keh Kawari(virgin) lerki os waqt tak nikah nahi kersakti jab tak k lerki ka Baap ya dada lerki ko nikah ki ijazat nah day day.or yehi hokum ehtiyaat e wajib ki bina(base) per os sorat main bhi hay k jab larki khud mukhtar or baligh bhi ho. agar lerki kawari nah ho tu os k liay baap ya dada ki ijazat ki zororat nahi hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah# 2341,2342) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
7442
Mujtahid:
Date:

Question: asalam alekum. mera sawal ya hai ke kia apni sagi bewa mumani se shadi ho sakti ha .

Answer: Jee haan shadi ho sakhti he. Faqat 7 qiam ki auratoon se shadi karna haram he. 1)Maa 2) beti 3)behn 4)bhai ki beti 5)bahn ki beti 6)bap ki bahn 7) khala. (Ref : Minhaj us salaheen Ayat ullah sistani d.b. masla # 90) (ref : tauzeeh e ul masayl ayat ullaha sistani (d.b.) masla # 2349).
(magar wafat ki iddat khatam honay k baad) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
7472
Mujtahid:
Date:

Question: AS_SALAMU ALAYKUM mera taulak suni zad se ha.mera sawal ye ha k me aik syed karki se boohat pyar karta hun or wo b mugh se boohat pyar karti ha.oor ham dono shadi karna chahty han.so please ap mughy QURAN ki or HADEES mubarik ki ruh se or daleels se btain. ye rishta bilkull theak ha ya nai..? please mufti sahab mughy parsnly tor par batain kun k ye faisla ham sab ki oor ham 2no ki zidigi k masla ha.kunk main nei chahta k kal ko is fasily se hamari AAKHRET mein be ap samg rahy han na k main kya kehna chahta hun..? bohat suna ha k syed larki k sath rista any wali zindigi m theak ni rehta or ye ho jata ha wo ho jata ha..or bee kuch asa wesa.soo pleas please ab ap hi btain k ye hamara faista theak ha ya ni.or is k bary main HAMARY pyary NABI HAZRAT MUHAMMAD{P.B.U.H} k kya irshad mubarik ha..or plz is k ans mry email me send kar den.please i hope. u anderstand me...KHUDA HAFIF

Answer: Note : Is website me fiqha e jaffaria k mutabiq jawabaat diay jatay hein.

Sayed merd ka nikah ghiar syed aurat k saath hosakta hay or isi terah syedah aurat ka nikah ghair syed merd k saath hosakta hay.(Ayat Ullah Seestani(d.b), minhaajus saliheen Part #1,maslah#221).

Print

Id:
7480
Mujtahid:
Date:

Question: Aslam-o-alaikum .sir agar sunni larki apni behn k shor se nikah kr le tu ye jaiz hai k nahi or bennoi ne pehli behan ko 2 tallak de kar istagassa le kar rakha ho oss k bad saali se nikah kia ho jab k pehli behan b ossi k ghar mein ho or saali se chori nikah jaiz hai k nhi?plz replay me..

Answer: Is website me fiqha e jaffaria k mutabiq jawabaat diay jatay hein.

Agar koi shakhs kisi aurat se shadi karay to chahiay wo daimi nikah karay ya muta karay jab tak wo aurat is k nikah me he wo shakhs oski behan se shadi nahi kar sakhta. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 2355). Note: Quran main sorah nisaa ki ayat #23 main bhi is hokum ka zikr aya hay k “tum per haram kia gaya hay k …………. do behno ko (nikah) jama karo…” (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
7506
Mujtahid:
Date:

Question: molwey sahib meira sawal ye hey ,ki islami nuqta ye nazar se is masley ka kiya hal hey ,ki eak karkee ko mun se behan kaha ho awer us se shadi karney ka irada ho jaye ,kiya us se shadi ho sakte hey ?

Answer: Jee han shadi ho sakhti he ,moonh se behen kehnay se wo mehram nahi ban jati.Faqat un auratoon k saath jo insan ki mehram hon shadi karna haram hay. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 2349). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
7511
Mujtahid:
Date:

Question: Step khala se shadi karna jayez ha?

Answer: Sagi Khala se nikah haram hay or sagi khala se muraad maan ki behen hay, chahay dono k baap aik hoon ya dono ki maan aik ho ya maan or baap aik ho. Is k alawa jo khala ho maslan rishtay ki kala yani maan ki cousin waghaira.((Ref:Ayatullah Sistani(d.b), Minhajus Saliheen,Part#3, Maslah# 90)
(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
7515
Mujtahid:
Date:

Question: apni marzi sy shadi krnay ka masla

Answer: kawari(virgin) lerki os waqt tak nikah nahi kersakti jab tak k lerki ka Baap ya Dada lerki ko nikah ki ijazat nah day day.or yehi hokum ehtiyaat e wajib ki bina(base) per os sorat main bhi hay k jab larki khud mukhtar or baligh bhi ho. agar lerki kawari nah ho tu os k liay baap ya dada ki ijazat ki zororat nahi hay.(yahaan kawari nah honay say muraad sirif ye hay k aisi lerki jo talaaq yaafta ho ya baywah ho or oskay shohar nay oskay saath hambistari /jima(intercourse) kia ho or oskay kawaraypan ko khatam kia ho or oski iddta bhi khatam ho chuki ho.agar zinaa ya aisay hi kisi kaam say oska kawaraypan khatam hoa ho tu ye kawari hi kehlaay gi. isi terah agar baap ya dada os merd k saath osay shaadi kernay ki ijzat nah daitay hon jo sharan(Ismlam ki nazar main) or urfan(maa’aashay ki nazar main) os k brabari(equal) ka ho tu ijazat ki zarorat nahi, isi terah baap ya dada ki maujood nah hon ya kisi doosri wajah say ijazat laina mumkin hi nah ho or lerki ka nikah kerna bohat zarori ho tab hi baap ya dada say ijazat layna laazmi nahi hay. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 2341-42). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
7518
Mujtahid:
Date:

Question: agar kisi sharif ur namazi larki k liy aik sharabi ur galat fail waly larky ka rishta i magar wo larka dil ka acha ho tu us k sath rishta kia jay yan nhn.

Answer: aurat or os k wali(baap/dada) ko chahiay keh on sifaat or khasaais ko ehmiyat dain jin ka shohor main hona zarori hay.aurat ko chahiay keh wo aisay merd ko apnay rafeeq e hayaat k taur per muntakhab karay jo deendaar,paak daman,or baa akhlaaq ho.sharabi nah ho or buraeyoo or muhliq gunaho ka irtekaab nah kerta ho.( Ref:A.sistani(d.b),jaded fiqhi masa’il, masalah # 387) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
7534
Mujtahid:
none Date:

Question: kia 2 behanon ko baik wkt 1 he shakhs nikah mein rakh skta hei k nai bht majbori ki halat ho please lazmi mail me answer dain bht shukria

Answer: Agar koe shakhs kisi aurat se shadi karay to to chahae wo daimi nikah karay ya muta karay jab tak wo aurat is k nikah me he wo shakhs is ki behen se shadi nahi kar sakhta. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 2355).
(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
7535
Mujtahid:
none Date:

Question: salam mera sawal he k meri dost k husbnd apni sali yani biwi ki behan se usko panah dene ki gharaz se shadi krna chahta hei kia islam is baat ki ijazat deta hei?jaldi jawab dena thanx

Answer: Agar koi shakhs kisi aurat se shadi karay to chahae wo daimi nikah karay ya mutaa karay jab tak wo aurat is k nikah me he wo shakhs is ki behan se shadi nahi kar sakhta. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 2355)

Print

Id:
7560
Mujtahid:
Date:

Question: ma shadi se pahlay larki do dekhna chahta hon..plz quran,sunat k ref.se guide karen.

Answer: Mard shadi se pehlay is aurat ke maqamaat e husn ko dekh sakhta he ya is se hum kalam ho sakhta he jis ka rishta lena chahta he. Is bina per isi khatoon ka chehra, is k baal, gardan, haatheliyaan, pindliyaan, kalaiyaan aur is qism k maqamaat e husn ko dekhna haiz he magar shart ye he k is nazar ka maqsad jinsi lazzat hasil karna na ho. (Ref : Jaded Faqhi Masayl Ayat ullaha Sistani d.b. Masla # 390 pg # 233) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
7565
Mujtahid:
Ayoutallah Sistani Date:

Question: Salam: My Marriage has passed eight months but i am not able perform intercourse to date as my wife has almost no sex drive. Initially she reacted whenever i tried to do and some times even she yelled on me. But whenever i talk on this subject she never stops me but she says that she can not do this. Currently the situation is like that when ever i come close to her or simply kiss her , she behaves like a "dead body" although her reactions are controlled . Please advice that should i perform without caring her feeling and problems or leave her. according to her she do not like sex as to her its a dirty process. please advice . I am follower of Ayoutallah sistani. Syed Abid Hasan

Answer: 1)For a woman with whom permanent marriage is contracted, she should submit herself to his sexual desires, and should not prevent him from having sexual intercourse with her, without justifiable excuse.
2)If the wife does not fulfil her matrimonial duties towards her husband, she will not be entitled for the food, clothes or housing, even if she continues to live with him. But if she refuses to obey occasionally, the common verdict is that even then she cannot claim any entitlement from her husband. But this verdict is a matter of Ishkal. In any case, there is no doubt that she does not forfeit her Mahr. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 2376,77)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
7601
Mujtahid:
Date:

Question: sir mara masla ya ha k mai syed or shia family se belong karte ho laken mai jis sa shadi karna chahte ho wo syed or shia nah ha tu kya aise surat mai mai us sa shadi kar sakte ho or agar kar sakte ho tu nikah kon sa ho ga ahle tashe ka ya ahle sunat ka agar sunat ka lehaz sa hota ha tu kya shadi ka bad mai apni cast pa chal sakte ho ya phr mujhy nikha k bad sunni tarqy par rehna ho ga mehrbani farma kar is ka jawb tafsil se agha kry shukrya

Answer: Agar is baat ka dar aur khof ho k mustaqbil ko aap ghumrah bhi ho sakhti hain jis ka ethimal beherhaal majood he to phir aap k lie is k saath shadi bhi jaiz nahi hogi. hum aap ko bataor e khass nasihat kartay hein k aap is terah ki shadi na karein.(Mujthid se poushey gye sawalat part # 2, ques # 136, pg #62 ) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
7602
Mujtahid:
ayat ullah sistani Date:

Question: salam kia shohar baik wkt 2 behno ko apne nikah mein rkh skta he? plz answe krain me bohat baar pehly bhi yehi question kr chuki hon mgr mujhy answer nai dia gaya

Answer: Agar koi shakhs kisi aurat se shadi karay to chahiay wo daimi nikah karay ya muta karay jab tak wo aurat is k nikah me he wo shakhs oski behan se shadi nahi kar sakhta. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 2355).

Note: Quran main sorah nisaa ki ayat #23 main bhi is hokum ka zikr aya hay k “tum per haram kia gaya hay k …………. do behno ko (nikah) jama karo…” (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
7611
Mujtahid:
none Date:

Question: salam.me 1 suni larki hun or 1 shia larke se shadi karna chahti h magar mere mere ghar wale ise najayez kehte han.aap muge suuni nuktae nazar se batyen me unhn kse convince karun.mera apna khyal he k shadi jayez he.plz meri madad karain.dosra masla ye he k mera rishta arha he wo khte han meri choti bahn se rishta tab karain ge jab me han kar dnwo 2 bahai han jo hum 2 behnu se karna chate han.kia muge inkar k haq he.or kia me un se yeh keh se hun k mene istakhra kia he k ye shadi mere lye thek nah halan k mene istakhra nah kia

Answer: Note : Is website per fiqha e jaffaira k mutabiq jawabaat diay jatay hein.
Shia lerkay ka sunni lerki say or isi terah shia lerki ka sunni lerkay say nikah kerna agar wo naasbi(wo loog jo aaimma a.s bugz or dushmsni ka izhaar karain) nah hoon tu makroh hay or agar naasbi hoon tu on say nikah kerna haram hay. or agar sunni say nikah kernay main gumrahi ka khatra ho tu haram hay.(Ref:Ayatullah Sistani(d.b), Minhajus Saliheen,Part#3, Maslah#215 )
Jhoot boolna jaiz nahi ho ga. Albatta toriyaah kar sakhti hein. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 2334) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
7612
Mujtahid:
Date:

Question: kiya apni saagi khala se shadi karna thek he aur agar ho sakti he to to tarika he kiya plz. bataian

Answer: Jee nahi apni khala se nikah karna jaiz nahi he. Faqat 7 qisim ki auratoon se shadi karna haram he. Jin me se aik khala bhi hein.
Saath mehram aurtain ye hain:
1)Maa 2) beti 3)behen 4)bhai ki beti 5)bahn ki beti 6)bap ki bahn 7) khala. (Ref : Minhaj us salaheen Ayat ullah sistani d.b. masla # 90) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
7613
Mujtahid:
Date:

Question: mayra sawal hai ... k may Bava hun 2 betay hain mayray ... aik 12 saal ka aur dosara 7 saal ka . kia may apni marzee say aisay admee say nikah kar saktee hun jis ki pheli biwi ous k sath ho? aur wo mujhay bachun samait apnay sath rakhna chahata ho ? wo admee kamata hai phara likha hai. apnay bhaiun may sub say bara hai . kia hum dono apnay apnay maa baap ki marzee k baghair nikah kar saktay hain ??? plz jawab zaroor deyen. shukria.

Answer: 1) Baywah aurat doosri shadi apnay wali ki ijazat k baghair kar sakhti he. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah#2341,2342 & minhaa jus saliheen,part #3,maslah #70)
2) Aik se ziada shadi karna riwayat ki roshni me mustahaib he. (ref : Mujtahid se pouchey gay sawalat part # 3, ques # 105, pg # 53) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
7616
Mujtahid:
deu bund Date:

Question: ager wife gulti se ya mazaq mein husbend ko bhai keh day to kya nikah toot jata hai

Answer: Note : Is website per fiqhae jaffaria k mutabiq jawabaat diay jatay hein.
Jee nahi is se nikah batil nahi hota he. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 2335) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
7698
Mujtahid:
Date:

Question: Asalamoalikum mera sawal ye hain ke mane ghar walo se chup ke nikah kia ha or mere nikah ko 1 sal ho gea ha or hum ma miya bevi wala rishta b ha, ab ghar waly nai janty humari shadi ka to kya ma dobara ghar walo ke samne apni bevi se nikah kar sakta ho plz mujy eska jawab de ye jayaz ha?

Answer: kawari(virgin) lerhki os waqt tak nikah nahi kersakti jab tak k lerhki ka Baap ya Dada lerhki ko nikah ki ijazat nah day day.or yehi hokum ehtiyaat e wajib ki bina(base) per os sorat main bhi hay k jab larhki khud mukhtaar or baligh bhi ho. agar lerki kawari nah ho tu os k liay baap ya dada ki ijazat ki zororat nahi hay.(yahaan kawari nah honay say muraad sirif ye hay k aisi lerki jo talaaq yaafta ho ya baywah ho or oskay shohar nay oskay saath hambistari /jima(intercourse) kia ho or oskay kawaraypan ko khatam kia ho or oski iddta bhi khatam ho chuki ho.agar zinaa ya aisay hi kisi kaam say oska kawaraypan khatam hoa ho tu ye kawari hi kehlaay gi. isi terah agar baap ya dada os merd k saath osay shaadi kernay ki ijzat nah daitay hon jo sharan(Ismlam ki nazar main) or urfan(maa’aashay ki nazar main) os k brabari(equal) ka ho tu ijazat ki zarorat nahi, isi terah baap ya dada ki maujood nah hon ya kisi doosri wajah say ijazat laina mumkin hi nah ho or lerki ka nikah kerna bohat zarori ho tab hi baap ya dada say ijazat layna laazmi nahi hay. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 2341-42) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
7703
Mujtahid:
Date:

Question: salam!mere nikah ko 3 sal hogaye hai lekan abhe shadi hoi hai ky nikah dubara karna jaiz hai ya nahi plz muje tora agha kare

Answer: Nikah k baad jab bhi kabhi bhi rukhsati ho, dobara nikah ki zarorat nahi hoti.yaani is kaam ki wajah say(late rukhsati) nikah nahi toot ta. Aur agar dubara nikah karna chahae to kar sakhtay hein.(Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah#2349-2508). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
7710
Mujtahid:
akaye siestani Date:

Question: mere bhai ki shadi geer mazhab me karna chahte hai huqumat chahti hai ke high court me shadi karo. magar pehle sunnat jamad ka nikah karo . mera sawal hai ke sunnat jamad ke nikah ke bad shadi shi tareeke se ho sakti hai. and my next question is. "ya ay-yo-hal lazeena amano ittakullah wwkunu mas sadikeen" in which sura? & para? No. of aayet?

Answer: 1)Sunnat jammat k nikah k baad agar shia tareeqay se nikah kar lia jay to nikah sahi ho ga. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 2328-2344)
2)ye ayat 11 paray me mojood surah e toba ki ayat no 19 he. (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
7728
Mujtahid:
Date:

Question: Agar apni biwi ko galti sy ya jan bojh k insan beti,behan,maa,bhabi kah dy tu kia nikah tot jata ha..? pher ye btaein k is ka hal kia hai..?

Answer: Is terha se biwi haram nahi hoti he aur na hi koe kaffara ho ga. Q k ye zihaar nahi kehlaay ga. Or zihaar ye hay k sohar apni zauja ko mukhatib kar k ye sighah arabi zaban main kahay k “anti alaiya kazahri ummee” aur zaruri he k zihaar ka sighah 2 aadil mardoon k samnay kaha jaay aur wo dono sunain. Aur shohar apnay ikhtiyar se kahay. Aur zihaar k sighay mard ki taraf se hoon. (Ref : Minhaj us salaheen Ayat ullah sistani d.b. part # 3 masla # 634-640) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
7732
Mujtahid:
Date:

Question: agar aik mard married ho aur larki unmarried laikin wo dono zana se bachnay k liay nikah kr lain.aur jab us larki k ghar walay uski shadi kaheen aur krna chahain to wo pehlay mard se divorce lay lay.kya islam main zina se bachnay ka yeh tareeka jayaz hai?

Answer: 1)kawari(virgin) lerhki os waqt tak nikah nahi kersakti jab tak k lerhki ka Baap ya Dada lerhki ko nikah ki ijazat nah day day.or yehi hokum ehtiyaat e wajib ki bina(base) per os sorat main bhi hay k jab larhki khud mukhtaar or baligh bhi ho. agar lerki kawari nah ho tu os k liay baap ya dada ki ijazat ki zororat nahi hay.(yahaan kawari nah honay say muraad sirif ye hay k aisi lerki jo talaaq yaafta ho ya baywah ho or oskay shohar nay oskay saath hambistari /jima(intercourse) kia ho or oskay kawaraypan ko khatam kia ho or oski iddta bhi khatam ho chuki ho.agar zinaa ya aisay hi kisi kaam say oska kawaraypan khatam hoa ho tu ye kawari hi kehlaay gi. isi terah agar baap ya dada os merd k saath osay shaadi kernay ki ijzat nah daitay hon jo sharan(Ismlam ki nazar main) or urfan(maa’aashay ki nazar main) os k brabari(equal) ka ho tu ijazat ki zarorat nahi, isi terah baap ya dada ki maujood nah hon ya kisi doosri wajah say ijazat laina mumkin hi nah ho or lerki ka nikah kerna bohat zarori ho tab hi baap ya dada say ijazat layna laazmi nahi hay.
2)Zina se bachnay k lie nikah(daimi/mutaa) kia ja sakhta he magar mandarja balla maslay ka khayl rakhna zaroori he. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah # 2341-2, 2385) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
7898
Mujtahid:
love... Date:

Question: me 1 ladki ko bhut pyar krta hu..wo bhi mujhe karti thi..par kuch meri aadto se tang ho kar wo dur chali gyi. hum dono 4 saal se 1 dusre ko bhut pyar karte the.. ab wo mujh se nafrat karti he.. koi tareeqa batayiye jis se uske dil me apne liye pyar paida kar saku.. 1 baat wo non muslim he.. or me uske bina 1 pal nhi rah sakta...or humara rista bhi ho jaye koi wajeefa bata dijiye..sukriya

Answer: 1)Aik musalman mard ahl e kitab k alawa kafir auratoon se nikah nahi karsakhta he. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 2363)
2) jins e mukhalif se dosti kerna jaiz nahei koun ke ghuna me mubtila hone ka khof majood he. ( kitab nigah aur libas ques # 106 , pg # 69).

Print

Id:
7931
Mujtahid:
sistani Date:

Question: salam molana allah aap ko salamat rakhy plz ye bataye k kia syed zaadi ka nikah ghair e syed se ho sakta hai plz jazakallah allah hafiz

Answer: Shia Sayed merd ka nikah ghiar syed shia aurat k saath hosakta hay or isi terah syedah shia aurat ka nikah ghair syed shia merd k saath hosakta hay.(Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus saliheen Part # 3, Maslah # 221). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
7974
Mujtahid:
nikha Date:

Question: assalam ale kum hazrat mera sawal ye hai ke,me ek ladki se bohut pyaar karta hun or wo bhi mujhe karti hai,2 saal pehle humne ghar walo ki marzi ke bagair nikha kiya tha,jisme dost shamil the,wo mere saat 2 saal se biwi ki tarha se paish ati hai hum humbister bhi hote hai abhi hamare ghar walo ko is nikha ke bare main nahi malum kyunki wo abhi apne ghar main rehti hai,or hum kabhi kabhi milte hai..plzz mujhe bataiye kya jab uske ghar walo ko malum hoga to kya wo shariyat ka sahara lekar uska kahi or nikah kar denge ya shariyat ke hisaab se mujhe wo milegi..plzzz help me

Answer: Ethiat e wajib he k insane is aurat se is k toba karnay se pahle nikah na karay jis k sath is na zina kia ho . (Ref : Jaded Faqhi Masayl Masla # 403 pg # 235)

Print

Id:
8056
Mujtahid:
Date:

Question: Mein shadi shuda hun.kia mein apni sali se shadi kar sakta hun.dono ko 1 sath rakh sakta hun.

Answer: Agar koi shakhs kisi aurat se shadi karay to chahae wo daimi nikah karay ya mutaa karay jab tak wo aurat is k nikah me he wo shakhs is ki behan se shadi nahi kar sakhta. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 2355) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print