Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+


Question & Answers << Go Back

Topic: Muta (273 Questions)


Showing 250- 273 questions from 273 questions on this page.

Answers found for searched words
Id:
121860
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-03-18

Question: بسم اللہ الرحمن الرحیم سلام علیکم کن عورتوں سےمطع کیا جا سکتاہے

Answer: Mehram khawateen ke alawa har wo na-mehram khatoon jis se nikah e daimi (permanently marriage) ho sakta ho us se nikah e mutah (temporary marriage) bhi ho sakta hai. Is ke alawa koi aurat hoti to na-mehram hi hai aur us se nikah (daaimi ya mutrah) ho sakta hai, lekin kisi wajah se us se nikah (daaimi ya mutrah) nahin kiya jaa sakta, jaise ke agar koi aurat zinakar mashhoor ho to us aurat ke tauba karne se pehle us se nikah (daaimi ya mutrah) nahin kiya jaa sakta.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2349 to 2375).
[Updated on 18-Mar-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
121946
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-04-02

Question: کیا شادی شدہ مرد متہ کر سکتا ہے۔ مرد کے لئے کیا شرائط ہیں

Answer: Jee han,( kise musalman aurat se )kar sakta hai aur koi shart sharait nahin hain balke agar kisi shakhs ki chaar daimi biwiyaan nikah main hon Q ke musalam mard aik waqt me chaar shadiyan kar sakta hai, tab bhi us ke liye jaiz hai ke wo jitne chahe ghair daimi (muta) nikah karay.
(Ref: Minhajus Saliheen, Ayatullah Sistani(d.b), Part #3, Maslah #200,202,344).
[Updated on 03-Apr-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id:
122248
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-06-02

Question: Main Muslim shadi shuda mard hoon Wife b mojood hy Kya main kisi Muslim bewa ya talaq yafta aurat sy apni biwi ki ijazat k bgher muttah kr skta hun? Plz rehnumaae frmaen

Answer: Jee han, (kisi musalman aurat se) mutah kar sakte hain balke agar kisi shakhs ki chaar daimi (permanent) biwiyaan nikah main hon Q ke musalam mard aik waqt me chaar shadiyan kar sakta hai, tab bhi us ke liye jaiz hai ke wo jitne chahe ghair daimi nikah (mutah) karay.
(Ref: Minhajus Saliheen, Ayatullah Sistani(d.b), Part #3, Maslah #200,202).
[Updated on 03-Jun-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
122351
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-06-13

Question: Kya mard ko mutta ma phale bivi ki eejazat zaroori ha. Urat agr divorced hou

Answer: Jee nahin, (musalmaan aurat se) mutah karne ke liye mard ko apni pehli biwi se ijazat lena zaroori nahin hai balke agar kisi shakhs ki chaar daimi (permanent) biwiyaan nikah main hon (Q ke musalam mard aik waqt me chaar shadiyan kar sakta hai) tab bhi us ke liye jaiz hai ke wo jitne chahe ghair daimi nikah (mutah) karay.

(Ref: Minhajus Saliheen, Ayatullah Sistani(d.b), Part #3, Maslah #200,202).
[Updated on 14-Jun-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
122396
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-06-16

Question: Kya zina kerne wali Muslim Surat SE muta Kya ja Sakta hai 2 Aur Kya wo aurat Jo Apne ikhrajat khud apni income SE kerte ho khud mukhtar Mai shumar hoge

Answer: 1: Agar woh badkaar aurat zina mein mashhoor ho (yani woh aurat jo kisi se bhi zina ke liye tayaar ho) to ehteyat e wajib ki bina par us ke tauba kar lainay se pehlay us se mutah nahin kar satke.
lekin agar zina mein mashhoor nahin hai to us se mutah kar sakte hain.

2: Khud mukhtari se muraad ye hai ke aurat apni zindagi ke faisle khud karti ho aur apna kharcha khud bardasht karti ho.
Ab agar larki khud mukhtaar nahin hai to nikah ke liye us ke baap ya dada ki ijazat zaroori hai, lekin agar larki khud mukhtaar ho to bhi ehteyat e wajib ki bina par baap ya dada ki ijazat zaroori hai.

(Ref: website Ayatullah Sistani(d.b), link: https://www.sistani.org/urdu/qa/01867/ ).
[Updated on 17-Jun-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
122828
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-08-30

Question: Salam,, jis lrki se mutta kya ho kya us se daimi nikah kr skte hn?

Answer: Nikah e mutah me jo muddat tay paayei thi agar wo muddat khatam ho jaye ya jo muddat baaqi bachi ho wo biwi ko bakhsh (maaf kar )di jaye to us se daaimi nikah kar sakte hain.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #44, maslah #2395).
[Updated on 31-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
123261
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-11-12

Question: I want to perform Mutta but I am unable to find a woman for it. I am 22 years old, is there any anyone to whom I can contact for Mutta.

Answer: Only sharaei questions are answered on this website.
[Updated on 13-Nov-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
123431
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-12-22

Question: My husband and i had mutaah for five years but we ended after 4 years. Later we realised that we are unhappy without each other. Can we go for reconciliation as i am in still iddah? My husband didnt say me that he gifted me rest of period rather he said you are free from my side . will our mutaah technically end as he didnt gift me rest of period ???

Answer: Agar shohar "he said you are free from my side" is tarah kahe aur is se shohar ki muraad baqiya muddat bakhshna ho to sharaei aitebaar se kaha jaye ga ke shohar ne aap ko baqiya muddat bakhsh di hai. Lehaza ab iddat ke dauraan ya iddat ke baad dobara mutah kiya jaa sakta hai.

(Ref: Tauzeeh ul masail Jaame[farsi], Ayatullah Sistani(d.b), part #2, edition #1443, maslah #342).
[Updated on 22-Dec-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
123471
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2024-01-08

Question: main haram sa bachna cahta hun aur Aytalullah Sistani ki taqleed main hun main muttah karna cahta hun aur kafi kud sa koshish bhi ki but koi ni mil raha kiya ap log is mamlay main koi rehnumai kar sakhtay hain Name: Syed Raza Mehdi Age: 32 City: Lahore mujha bus shareef khatoon cahya jo kud bhi gunnah sa bachna cahti ho

Answer: Is website par faqat Ayatullah Sistani ke fatwe ke mutabiq sharaei masail bayan kiye jate hain.
[Updated on 09-Jan-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
123518
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2024-02-29

Question: Agar nikkah na howa wa ho , lekin nikah e munkatey parha howa ho or dono mehram ho ek doosre kay to kiya larka larki key srf hath or peshani ko choom sakta izzat ko barkar rakhtay howey or kisi b haram kaam ko na sochtay howey..

Answer: Nikah e Mutaa yani Temporary Nikah bhi Permenant Nikah ki hi tarah hota hai bs farq yh hai k Temporary me Ikhrajat, wajib nhi hote hai, wo aurat Meeras bhi nahi pati or ek time period tk hi mehram rehte hai..
Agr Nikah e Mutaa me ye shart rakhi gai hai k bosa nahi deskte to bosa dena Sharan Haram hoga varna koi mumaniyat nahi hai..
(Ref : Tauzeeh ul Masail Ayatullah Sistani edition 39 pg no 367)
[Updated on 29-Feb-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
123537
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2024-01-12

Question: Assalam u Alaikum Me aik lrky ko pasnd krti hn wo bhi mjhy psnd krta he, ksi gunah me na parren isliye hmne chupke muttah kiya tha, jiske baray me srf uske ghar wly janty hain. Uske baad mere liye Australia se rishta aya jispe mene apne parents ko rishte se inkaar krdia aur apni pasnd zahir ki jispe wo bhi naraz huwe aur kehne lgy tm hmari nafarmani karrhi ho tmhri shadi to hmari mrzi se hi hogi, jisko me psnd krti thi wo rishta bhejna chah rha tha aur mere parents ne ussy milne se bhi inkaar krdia srf apni zidd aur ego ki wjh se k log kya kahengy. Unho ne Quran lakr mjhy qasam di k me haan krdn, mere muslsal inkaar pe wo mere sth bht bura salook krny lagy, mere walid ne kaha k iska khana peena alg krdo issy na koi bt kre aur mjhy ghr me aik bejaan chz ki trhn treat krne lgy,yahan tk k mjhpe badkaari ka ilzam bhi lgaya gya. Mene unko muttah k baray me nai btaya q ke janti thi k wo zbrdsti meri talaq krwa dengy. Mene majboor hokr unki psnd se nikkah krlia jispe me ab bhi dil se raazi nhi aur na hi usy apna shohar manti hn. Lekin ab me talaq lena chahti hn to kya iska koi gunah mjhpr rhega? Ya issy waldain ki nafarmani hogi? Me us shakhs k sth nhi rehna chahti. Inho ne mjhse mera haq cheena kya me gunehgaar hn?

Answer: (Note: Is website par fiqh e jafferiya (shia mazhab) ke mutabiq jawabat diye jatay hain).

1: Aap ne pehle jis mard ke sath mutah kiya tha wo sahi nahin Q ke us me aap ke wali (baap ya dada) ki ijazat shaamil nahin thi jabke nikah (chahe daaimi ho ya mutah) ke sahi hone ki chand sharaait hain in me se aik shart ye hai ke nikah ke waqt larki ke wali (baap ya dada) ki ijazat hona zaroori hai aur wali (baap ya dada) ki ijazat nah ho to nikah sahi nahin hota.

2: Aap walid sahb ne jis mard ke sath aap ka nikah karwaya hai wo bhi sahi nahin hai Q ke is aap ki razamandi shaamil nahin thi jabke nikah (chahe daaimi ho ya mutah) ke sahi hone ki sharaait me se aik shart ye bhi hai ke nikah ke waqt larka aur larki dono nikah ke liye raazi hon lekin chunke aap ki razamandi shaamil nahin thi lehaza aap ke ye nikah bhi sahi nahin hai.

3: Larki ko apne wali (yani baap ya dada) se ijazat lena zaroori hogi Q ke wo kunwari larki jo baaligh ho lekin khud mukhtaar nah ho to nikah ke liye us ko apne wali (baap ya dada) ki ijazat zaroori hai aur agar larki khud mukhtaar ho tab bhi nikah ke liye apne wali (baap ya dada) se ijazat lena ehtiyaat e lazim ki bina par zaroori hai. yani kunwari larki apne wali (baap ya dada) se ijazat liye bager nikah nahin kar sakti.

(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2328,2335,2341).
[Updated on 12-Jan-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
123603
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2024-01-22

Question: Agr muta ki muddat khatam hori ho aur muta dubara krna ho us hi larki sy to kiya larki iddat karegy?

Answer: Agar mutah ki muddat ke duaraan hambistri huei thi to aurat iddat rakhe gi lekin is iddat ke dauraan wohi mard dobara mutah kar sakta hai. Q ke mard ye kar sakta hai ke jis aurat ke saath is ne pehlay mutah kiya ho aur abhi us ki iddat khatam na huei ho, us se daimi nikah (permanent) kar lay ya dobara mutah kar lay, lekin agar mutah ki muddat mukammal nahin huei aur wohi shakhs is aurat ke saath daimi nikah (permanent) ya mutah kare to ye nikah baatil hai, lekin ye kar sakta hai ke baaqi manda muddat osay bakhsh day aur is kay baad aqd-e-daimi (permanent) ya mutah karay.

(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2396).
[Updated on 22-Jan-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
123680
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2024-02-11

Question: Salam kya shadi shuda mard but parast larki se muta kar Sakta hai

Answer: Muslaman mard kafir aurton (masalan hindu aurat) se nikah (daimi ya mutah) nahin kar sakta.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2362).
[Updated on 12-Feb-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
123775
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2024-03-13

Question: Assalamualaikum Agha sahab mera sawal yeh ha ke agr sigha ke baad larka larki ek dusrey ke sath physical hojaey ya phir sex kr le to kia yeh zina ke hukum mai ayega aur agr ayega to iss ki tooba kia ha??

Answer: Agr mutaa se pehle ourat ne yh shart rkhi ho k shohar uss se sex nhi krega to baghair ourat ki rizamandi k yh jaiz nhi hoga. Ourat agr razi hojae to phr koi masla nhi
(Reff : Touzih ul masail Agha Sistani d.b, 39th Edition, Masla No. 2387)
[Updated on 14-Mar-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
123797
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2024-03-26

Question: Hindu ladki ko Musalman karke usse muta kar saktey hai or agar muta ki muddat khatm hone par wo phir apne mazhab par palat Jai to ladka gunha me Shamil hoga?

Answer: Kisi kafira khatoon se muta ya nikah krna jaiz nh..
Agar vo zaban se Kalima e Shadatain prhti ho or in aqaid ka izhar bhi krti ho to vo musalman shumar hogi lkn agar yaqeen ho k dil se musalman nhi hui to aisi aurat kafira hi shumar hogi.
(Reff: Touzih ul Masail Agha Sistani d.b, 39th Edition, Masla No. 205,)
[Updated on 26-Mar-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
123844
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2024-04-19

Question: Main ek shadi shuda mard hn aur karachi main rehta hn aur apni ek doest say mutta Karna chahata hn woo kawari hai maa hayat hain Walid aur dada wafaat pa chukay hain aur kiya karachi main rehtay huway biwi ki mojoodagi main nikah mutta kar saktay hn. Kiya ye Sahi Hoga.

Answer: Agar vo aurat razi hai to tmam sharait ( jis me muta ke sighe ka perhna ,mehar ko moaiyan karna ,sahe tareqe se shuru se aakhir tak muddat ko moaiyan karna bhe hay) ki riayat krte hue Uss larki se nikah e muta kia jaskta hai..
(Ref: Touzih ul Masail Agha Sistani d.b, 39th Edition, Mafhom e Masla No. 2342)
[Updated on 19-Apr-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
125747
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2024-01-25

Question: Mutah ki iddat ke doran kia aurat dobara mutah kr sakti hai usi mrd se js se pehle kiya ho mutah ?

Answer: Jee han, Mutah ki iddat ke dauraan usi mard se dobara mutah kiya jaa sakta hai.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2396).
[Updated on 25-Jan-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
125933
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2024-02-15

Question: السلام علیکم ورحمۃ اللہ وبرکاتہ میرا سوال متعہ کے ٹوپک سے ریلیٹڈ ہے اس کا جواب اغا سستانی کے فتاوی کے مطابق چاہیے س۔ میں نے ایک بیوہ عورت کے ساتھ جس کے تین بچے ہیں ایک سال کے مقرر ٹائم اور مقرر مہر پر متعہ کیا ہے لیکن کچھ ہفتوں کے بعد میں جذبات میں ا کر اس کو میسج کے ذریعے طلاق تین مرتبہ لکھ کر سینڈ کر دی اس طلاق کی کیا حیثیت ہے اور کیا ہم دوبارہ رجوع کر سکتے ہیں اور کیا متعہ کا مقرر ٹائم ختم ہونے کے بعد عدت بھی ہوتی ہے والسلام

Answer: Fiqhe jaferia me aytullah sistani ke mutabiq
1: Nikah e mutah me talaq hoti hi nahin. balke jab tak shohar mutah ki muddat biwi bakhsh nahin deta, miyan aur biwi dono me alehdagi nahin hoti. Isi tarah jab tak mutah ki tay ki huei muddat khatam nahin ho jati, miyan aur biwi dono me alehdagi nahin hoti. lehaza agar shohar ne mutah ki muddat biwi bakhsh nahin di aur mutah ki tay ki huei muddat khatam bhi nahin huei, wo dono miyan biwi hi rahen gay.

2: Agar mutah ki tay ki huei muddat khatam ho jaye ya shohar baaqi muddat biwi bakhsh day to agar dono ke darmiyan hambistri huei thi to aurat ke liye iddat rakhan zaroori hai.

(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2473,2479).
[Updated on 16-Feb-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
125978
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2024-03-05

Question: Kia ak waqt ma 2 mutah jaiz hain?

Answer: Jee, Jaiz hain.

(Ref: Minhajus Saliheen, Aayatullah Sistani(d.b), edition #1443, part #3, maslah #202).
[Updated on 06-Mar-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
125985
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2024-03-04

Question: کیا طلاق یافتہ اہل سنت لڑکی جو زنا کار بن گئ ہو اور خود کفیل ہو اور پیسہ معین کر کے زنا کرتی ہو کیا اس سے متعہ کرنا صحیح ہے یا نہیں

Answer: Agar woh zinakar aurat zina mein mashhoor ho (yani woh aurat jo kisi se bhi zina ke liye tayaar ho) to ehteyat e wajib ki bina par us ke tauba kar lainay se pehlay us se mutah nahin kar satke. lekin agar zina mein mashhoor nahin hai to us se mutah kar sakte hain.

(Ref: website Ayatullah Sistani(d.b), link: https://www.sistani.org/urdu/qa/01867/ ).
[Updated on 05-Mar-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
126004
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2024-03-07

Question: Aoa mera ye sawal hai kay agar larki virgin na ho pehlay say tou kiya wo apnay father ki permission kay baghair mutta kar sakti hai?

Answer: Baaligh larki jo kanwari (virgin) ho wo us waqt tak nikah (daaimi / mutah) nahin kar sakti jab tak us larki ka Baap ya Dada larki ko nikah ki ijazat nah day day. aur yahi hukum ehtiyaat e wajib ki bina (base) par us soorat main bhi hai ke jab larki khud mukhtar aur baaligh bhi ho.
Lekin agar larki kanwari (virgin) nah ho to phir nikah (daaimi / mutah) ke liye baap ya dada ki ijazat ki zaroorat nahin hai.

(Note: waazih rahe ke yahaan kanwari (virgin) nah hone se muraad sirf ye hai ke aisi larki jo talaaq yaafta ho ya bewah ho aur us kay shohar ne us ke saath hambistari / jima {intercourse} ki ho aur us ke kanwarepan {virginity} ko khatam kiya ho aur us ki iddat bhi khatam ho chuki ho). lekin agar zina ya aise hi kisi kaam ke zariye se us ka kanwarapan {virginity} khatam hua ho to ye kanwari (virgin) hi kehlaaye gi.

(Ref: Minhaj us Saleheen, Ayatullah Sistani(d.)b, part #3, maslah #68,70. + Tauzeeh ul masail, edition #42, maslah #2341,2342).
[Updated on 08-Mar-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
126007
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2024-03-07

Question: Agar larki talaq yafta ho tou kiya us ko mutta kay liya ijazat lena zarori hai ?

Answer: Agar kanwari nah ho, maslan aisi larki jo talaaq yaafta ho aur us ke shohar ne us ke saath hambistari {jima / intercourse} ki ho aur us ke kanwarepan {virginity} ko khatam kiya ho aur us ki iddat bhi khatam ho chuki ho to wo apne wali yani baad ya dad ki ijazat ke bager nikah (daami / mutah) kar sakti hai.

(Ref: Minhaj us Saleheen, Ayatullah Sistani(d.)b, part #3, maslah #68,70. + Tauzeeh ul masail, edition #42, maslah #2341,2342).
[Updated on 08-Mar-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
126349
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2024-04-18

Question: Assalamualaikum jnab Mera sawal ye hai k jis se muta Kiya hua ho or muddat puri honey k bad Kya dobara same person semuta kr skty hain?

Answer: mard ye kar sakta hai ke jis aurat ke saath is ne pehlay mutah kiya ho aur abhi us ki iddat khatam na huei ho, us se daimi nikah (permanent) kar lay ya dobara mutah kar lay, lekin agar mutah ki muddat mukammal nahin huei aur wohi shakhs is aurat ke saath daimi nikah (permanent) ya mutah kare to ye nikah baatil hai, lekin ye kar sakta hai ke baaqi manda muddat osay bakhsh day aur is kay baad aqd-e-daimi (permanent) ya mutah karay.

(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2396).
[Updated on 19-Apr-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print